• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,529
94,693
304

Subha

Active Member
980
1,331
123
Aur intezaar na karwana bhai..
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Raja chouhan

Active Member
1,991
28,964
173
Update 163



Subah jaldi uth kar main jaldi se taiyar ho gya. Ma baba ajaya mama Kamlesh mama aur Deepika mami bhi jaldi uth kar taiyar hone me lag gye. Karan bhaiya ko maine apne sath hi utha liya tha. Ma ne pooja ka saman mujhe mandir le jane ko kaha. Main jaldi jaldi me bina doodh piye hi mandir chala gya. Mandir me pandit ji ne apne sath mujhe laga liya pooja ki taiyari karne me.

Idhar ghar me karan mauke ki talash me tha . Amit ka mobile usne rat ko hi apni side daba liya tha jo Amit jaldi me bhool hi gya. Ghar me abhi aade se jyada log to kamron me hi sir rhe the. Gauri mami taiyari me lag gyi thi vijay mama bahar nikal gye the. Ajay mama bhi subah ka chakkar lagane kheton me chale gye kamini mami apne kamre me hi thi . Kamlesh mama rat k nashe se abhi bahar nahi aya tha aur kamre me bache k sath leta tha. Deepika mami naha kar taiyar hone chali gyi. Karan apna kam karne me lag gya jo usne socha hua tha. Sara kam wo pehle hi set kar lena chahta tha ta ki aram se sab karne k bad wo bina apne upar bat aaye Amit ko fasa sake. Bas sahi mauke par use ungali hi karni thi.

Nidhi bhi jaldi se uth kar taiyar ho gyi. WAise to

Mami ne bola tha k mandir me sabka jana zaruri nahi par fir bhi wo jana chahti thi is pooja me . Nidhi k sath Radha bhi uth kar taiyar hone lagi. Baki sab abhi so hi rahi thi itni jaldi uthne ki aadat jo nahi thi kisi ko.

Nidhi : are Radha tum bhi taiyar ho gyi ? Tumhe kya zarurat thi ? Aram se uthti sabki tarah. Mami ji ne kaha to tha sabka jana zaruri nahi. Wahan par bade mama aur mami hi jayenge chhote mama aur mami k sath. Function to bad me ghar par hi hoga.

Radha : didi aap bhi to ja rahi hain na. Waise bhi ma aur badi mausi bhi ja rahi hain to maine socha main bhi bhagwan se ashirwad le lungi.

Nidhi : tum to badi ho gyi gudiya . Mujhe laga tha tujhe ye sab acha nahi lagta hoga.

Radha : acha kaise nahi lagega didi ? Usi par to bharosa hai mujhe . Waise bhi aise mauke roz roz kahan milte hain.

Nidhi : sahi kaha , waise aaj to bilkul pari jaisi lag rahi ho . Ye suit to bahut hi acha lag raha hai tum par

Radha : sharmate hue ) thanks didi. Ye Amit ne hi dilaya tha.

Nidhi : sach !! Ye to bahut acha hai. Aur tum par aur bhi acha lag raha hai. Chal tum mausi ko dekho zara main neeche mami k pas ja rahi hun . Sabko chai bhi to pilani padegi, mami akele hi lagi hongi.

Itna keh kar nidhi niche chali gyi aur Radha apni ma k kamre me. Gauri jaldi se jaldi se mandir jane k liye zaruri cheezein dekh rahi thi aur abhi sabko jane se pehle chai bhi to pilani thi. Waise to pooja k liye zaruri saman bhej diya tha Amit k hath par aur bhi kuch cheezein thi sath me jo chahiye thi wahan par .

Nidhi : good morning mami ji sari taiyari ho gyi ?

Gauri m : are tum uth gyi beta ? Tumhe kya zarurat thi itni jaldi uthne ki?

Nidhi : main bhi mandir jane wali hun aapke sath.

Gauri m : ye to achi bat hai.

Nidhi : mami ji ye Amit kahan hai ? Kamre me bhi nahi aur yahan bhi nazar nahi aa raha. Karan bhi kamre me nahi hai .

Gauri m : Amit to kab ka mandir chala gya pooja ka saman lekar . Abhi tak aya nahi shayad pandit ji ne rok liya hoga. Karan ka mujhe pata nahi . Tu baith main zara chai bana lun. Mandir jane wale sab uth kar taiyar ho rahe hain. Jane se pehle kam se kam chai to pila dun warna wahan 1-2 ghante lag jayenge aur tab tak bhukhe rehna padega.

Nidhi : main isi liye to aayi hun. Aap apna kam kijiye chai main bana deti hun

Gauri m : are nahi beti main banati hun tu baith. Tujh se bhala kam karwaungi main?

Nidhi : ye keh kar paraya mat karo mami ji. Beti bhi kehti hain aur kam bhi nahi karne deti .

Gauri m : acha theek hai karle apni marji.

Nidhi chai bana kar sabko dene lagi . Kamini mami bhi uth chuki thi. Ajay mama abhi bahar the. Deepika mami aur Kamlesh mama bhi taiyar ho chuke the lagbhag . Upar jab gyi to uski ma aur divya mausi bhi taiyar thi. Rita mausi bhi taiyar ho rahi thi . Radha bhi wahin baithi thi. Apni beti ko is tarah subah subah taiyar dekh kar aur chai lekar ati dekh rajani ko bada acha laga tha. Uski beti kitni samajhdar thi jo itni jaldi uth kar khud hi kam karne lag gyi zarurat ko dekhte hue jabki baki sab abhi so hi rahi thi .

Divya : ye meri sabse samajhdar beti. Dekho bina kahe hi sab kar rahi hai . Sach me didi nidhi aap par hi gyi hai. Har bat ka khud hi khayal rakhti hai. Bhagwan kare ise aisa ladka mile jo ise hamesha khush rakhe.

Rajani : sach kahun divya to mujhe bhi nidhi par garv hota hai jis tarah ye khud hi sab dekhti hai ghar bhi aur job bhi . Mere pata nahi kaun se punya karam ka fal hai ye meri beti .

Nidhi apni ma aur mausi ki baton par muskura rahi thi. Aur Sharma bhi rahi thi. Magar mausi ki bat sun kar dil me amit k nam ki hi ghantiyan bajne lagi thi.

Divya : dekho kaise Sharma rahi hai. Didi bhi bilkul tere jaisi hi thi shadi se pehle. Bas itna farak hai k tumhari tarah inhone job nahi ki . Warna tum poori copy ho didi ki. Aur dekh lena tere liye koi rajkumar hi aayega. Main to chahti hun Radha bhi tumhare jaisi hi bane

Radha : main didi jaise kaise ban sakti hun ma ? Didi to sab se achi hain. Aur inke jaise koi bhi nahi ban sakta.

Itna keh kar Radha nidhi k gale lag gyi

Nidhi : tu bhi sab se pyari hai . Dekh lena mausi Radha k liye bhi koi rajkumar hi aayega. Iske liye to aapko ladka dhoondhne ki bhi zarurat nahi padne wali .

Radha : mere liye to ma ko ladka dekhne ki zarurat hai bhi nahi didi. Par aapke liye bhi rishta khud chal k aayega dekh lena aap.

Radha ki is bat par sab hasne lage par divya Radha ki bat me chhipe matlab ko samajh gyi thi. Chehre par muskan liye wo Radha ko hi dekh rahi thi. Radha ab Amit ko kis had tak apna samajhne lagi hai divya ye saf mehsus kar rahi thi.

Rita : subah subah kiske rishte ki bat ho rahi hai bhai mujhe bhi batao.

Naha dho kar taiyar ho kar kamre me aate hue rita ne poocha.

Divya : nidhi ki bat kar rahe the hum sab. Dekho chai bana kar layi hai sabke liye.

Rita : ye to hai hi sab se samajhdar kash meri karuna bhi is jaisi ban jaye to kitna acha ho. Neha to iske jaisi hi hai bas abhi parhai me lagi hai.

Divya : karuna bhi bahut pyari beti hai didi bas usme thoda bachpana hai abhi. Samajhdar to wo bhi bahut hai.

Nidhi : theek kaha mausi , naina aur karuna me bachpana hai bas magar dono samajhdar hain.

Baton baton me chai khatam karne k bad sab neeche aa gyi. Neha ko rita ne baki sab k dhyan rakhne ko keh diya tha. Karuna naina abhi so rahi thi aur kamini bhi ghar par hi rukne wali thi. Sab Ajay ko bhi vijay ne ghar par rukne ko keh diya taki piche bhi dhyan rahe aur sab kam sahi se nibat saken. Amit abhi bhi mandir me hi tha. Karan Kamlesh mama k sath unka saman le kar baten karta hua chal raha tha. Sab paidal hi mandir pahunch gye jahan pooja honi thi. Amit ne pandit k sath sara saman set kar diya tha pooja k liye. Sab ne pehle mandir me matha teka . Nidhi to andar se bahut khush thi mandir aa kar . Uski manokamna poori hone ka signal jo mila tha yahin par. Nidhi aur Radha dono hi chamak rahi thi. Radha ne to Amit k dilate hue kapdon me hi chamak rahi thi wahin nidhi bhi aaj special suit pehne khubsurati ki misal lag rahi thi . Nidhi aur Radha ne jab amit ko dekha to wo bhi dekhti reh gyi. Aaj mandir me pooja k liye Gauri ne use kurta pajaama silwa kar diya tha pehnne k liye jo us par bahut janch raha tha. Mathe par tilak lagaye is safed poshak me me wo hero lag raha tha. Pooja k liye pandit ji ne hawan kund k pas Kamlesh aur Deepika ko sabse aage bithaya . Munna Deepika ki goad me tha. Deepika chahti thi k munne ka asli bap uske sath rahe is liye usne amit ko apne pas hi bitha liya. Gauri to sab janti thi is liye wo bhi khush thi jabki rita bhi khush ho rahi thi ye dekh kar. Amit k piche hi Radha aur nidhi dono sath sath baithi thi. Kamlesh k ek taraf Vijay aur Gauri bhi baith gye aur rajani rita divya unke piche. Karan pooja me baithne ki bajaye idhar udhar tehal raha tha. Lagbhag dedh ghanta is hawan aur pooja me laga aur fir pandit ji ne ladke k liye jyotish k hisab se kuch nam bataye. Uske ilawa usne apni pasand ka nam bhi rakhne ki bat ki to bina Kamlesh ki parwah kiye Deepika jhat se bol uthi .

Deepika m: pandit ji munne ka nam aarav rakha hai maine. Aur mujhe yakeen hai k kisi ko aitraz nahi hoga.

Kamlesh to bas bete k hi chaw me har bat man jata tha aur baki sab ne bhi is nam par samarthan de diya .

Gauri m : bahut hi acha nam hai ab se hum munne ko aarav hi kahenge .

Munne ka nam arav sun kar Radha andar se bahut khush thi. Kyunki amit ne use pehle hi kaha tha k jo wo kahegi munne k wahi nam hoga. Usne pyar se Amit ki taraf dekha jo munne ki taraf dekh raha tha . Nidhi ko bhi ye nam pasand tha to use bhi dil se khushi hui k jo nam un sab ne select kiya tha wahi nam rakha gya munne ka.

Pandit ji : ab ladke ko uske pita ki goad me dekar use ye Ganga jal pilaiye

Kamlesh ne aarav ko god me liya aur use Ganga jal pila diya. Deepika to Amit k hathon se sare karam kaand karwana chahti thi.

Deepika m : ji suniye main chahti hun k arav bada ho kar hamare Amit jaisa samajhdar aur pehelwan bane . To kyun na Amit k hathon bhi aarav ko Ganga jal pila den.

Kamlesh : han han kyun nahi jaisa tum kaho .

Kamlesh ki sehmati milte hi Deepika ne aarav ko Amit ko god me dal diya aur usne apne hath se apne bete ko Ganga jal pilaya. Deepika ka man itne se hi santusht ho gya tha . Jabki Gauri aur rita to Deepika is himmat par hairan thi. Radha aur nidhi bhi Amit ki is tareef par khush ho rahi thi. Magar amit ne wo kar diya jisse Deepika ki ankhon me aansoo hi aa gye. Amit ne gale se sone ki chain utar kar aarav k gale me daal di. Sabhi Amit ki is harkat par khush ho rahe the magar Gauri aur rita kuchh jyada hi khush thi. Amit ka pyar dekh kar . Jaise taise pooja samapt hui to pandit jo ko dan dakshina dene k bad vijay aur Kamlesh mandir k pas me hi lage pandal me chale gye jahan par gaon walon k liye bhojan ki vyavastha ki gyi thi. Bhojan abhi ban raha tha aur gaon walon ne bhi dopehar ka bhojan karna tha to abhi time tha usme is liye sab ghar wapis aa gye. Ab tak naina karuna bhi uth kar taiyar ho chuki thi aaj sab ne ache ache kapde pehne the. Amit ko dekh kar naina aur karun ki ankhon me khas chamak aa gyi thi. Jab sab mil kar baithe to mandir ka sara kissa sunane lage . Kamini bhi khush ho rahi thi sun kar jo Amit ne kiya tha aaj.

Naina didi : oye hero tera phone kahan hai ? Kalpana ka abhi phone aya tha wo sab pahunchne wale hain. Tujhe phone kar rahe the aur tu phone nahi utha raha.

Amit : wo didi jaldi me phone ghar hi bhool gya tha. Kamre me pada hoga .

Naina didi : ye Radha bhi nahi lekar gyi thi . Wo sab kitna pareshan ho rahe the. Rasta puchne k liye .

Amit : par Mohit ko pata hoga na wo pehle aa chuka hai.

Naina didi : wo alag aa raha hai apni family k sath.

‘ aa raha nahi aa gya hun didi ‘ main palat kar dekha to samne se Mohit chalta hua mere gale lag gya . Piche piche hi uncle aunty bhi the jo sab se gale mil rahe the. Unke sath hi ek khubsurat ladki bhi thi jo dekhne me bilkul Aunty jaisi thi doodh si rangat aur khubsurati me unse bhi ek kadam aage. Charahari kaya saleeke se pehne disigner suit me wo simple reh kar bhi akrashak lag rahi thi. Main dekhte hi samajh gya k ye karishma hai Mohit ki badi behan. Waise bhi ek bar tasveer dekh chuka tha main.

Vijay : are itni der kar di aane me , mujhe laga tha tum to pooja se pehle hi aa jaoge

Raghav : aa to jata bhaiya par aap to jante hi hain. Home minister k bagair hum chal nahi sakte

Rama : dekha didi aate hi sari bat mere par dal di jaise Maine hi late karwaya ho. Khud hi bhool gye the apna zaruri saman aur ab mujhe keh rahe hain.

Rama ne Gauri se gale mil kar nakhre se ye kaha.

Gauri : tu chhod inko , sab mard ek jaise hi hote hain. Mujhe bahut khushi hai k tum log pahunch gye time se. Abhi mandir se pooja karwa kar hi aa rahe hain. Are ye fool si gudiya kahin karishma to nahi ?

Rama : han didi yahi hai karishma . Karishma pehchana inko? Damini chachi k bhaiya bhabhi hain ye . Aao inse milo .

Karishma aage aayi to Gauri ne karishma ka matha chumte hue use gale se laga liya. Karishma bhi Gauri se gale lag kar mili. Rama rajani rita aur divya se bari bAri se mili . Aise hi karishma bhi unse bari bari mili aur unse pyar liya . Jab wo divya k samne aayi to karishma ki ankhon me aansoo aa gye.

Divya : kya hua beti tumhari ankhon me aansoo kyun aa gye ?

Karishma : itne salon bad aaj damini chachi ko hi apne samne dekh kar ye apne aap ye nikal aaye mausi.

Divya ki ankhon me bhi aansoo aa gye aur usne kas k karishma ko gale se laga liya . Dono hi rone lagi thi . Rita ne dono ko alag karte hue dono ko shant kiya .

Rita : aaj khushi ka mauka hai aur tum dono ro rahi ho. Chalo baitho aram se yahan par . Karuna inke liye thand lao itni door se aa rahe hain .

Karishma : nahi mausi sab theek hai kisi cheez ki zarurat nahi hai.

Nidhi : zarurat kaise nahi hai? Rishima itni door se aayi hai to thanda kaise nahi piyegi ? O sorry sorry rishima ka to ice cream chahiye ya wo barat wala gola.

Karishma: aap ??

Nidhi : nahi pehchana na ? Pehchanogi bhi kaise ab to tum wo chhoti bachi nahi rahi na jo mere sath kulfi lene jati thi.

Karishma : nidhi didi ???

Nidhi : han nidhi

Karishma zor se gale lag kar mili nidhi se . Dono ko bachpan ki kuch yaden abhi bhi yad thi. Nidhi k is tarah karishma k gale lagne se ab naina aur Neha bhi aa kar karishma se mili karishma unko bhi pehchan gyi jab nidhi ne unke bare me bataya isi tarah karuna k bare me bhi usne bata diya. Bachpan me sab sath khela karte the jab kabhi damini k ghar jana hota tha sab behno ka. Raghav to Pawan k bhai saman hi tha to dono me farak nahi tha. Karishma ka chehra jo kuch der pehle murajhaya hua tha Wo ab khul chuka tha. Jaise wo apne sare gum yahan aate hi bhool gyi thi. Rama apni beti ko khush dekh kar hi khush ho rahi thi. Idhar Mohit bhi bari bari se mila sab se . Amit bhi Raghav aur Rama se mila to Rama use karishma k samne le aayi .

Rama : karishma pehchano to bhala ye kaun hai .

Karishma apne samne khade is 6 feet k lambe chode kisi filmi hero jaise ladke ko dekh kar hairan ho rahi thi. Majboot kandhe chauda seena damdar baju . Safed kurte pajame me ek model hi lag raha tha. Karishma use gaur se dekhne lagi . Andaza to use tha hi k Amit se mulakat hogi par yahan karan bhi tha to use pata nahi tha dono me se Amit kaun hai . Par jab usne chehre aur ankhon ko gaur se dekha to pehchan gyi .

Karishma : amit !!!!!

Uchalti hui karishma didi mere gale se lag gyi. Kuch der wo aise hi mere gale lagi rahi. jab mujhe apne kandhe par gilapan mehsus hua to Maine unko piche kar ke unka chehra dekha jo aansuon se bhara hua tha.

Amit : ye kya didi ? Pehli bar aap mujhse mil rahi hain aur rone lagi ?

Karishma : ye to khushi k aansoo hain. Main aaj bahut khush hun. Tum nahi jante main bachpan se hi tumhe kitna yad karti rahi hun. Mere liye tum aur Mohit dono hi mere sage bhai the. Aur jab chacha chachi k sath tumhare jane ka suna tha to ek dam se jaise duniya hi badal gyi thi meri. Papa bhi to aksar rote rehte the chacha ko yad kar k. Jab ma ne bataya tha k tum wapis aa gye ho to mujhe yakeen hi nahi hua. Main to usi pal ud kar tumhare pas aa jana chahti thi tumhe ek bar dekhne k liye .

Amit : to fir aayi kyun nahi ? Aap to rakha di par bhi nahi aayi .

Karishma : wo wo kuch zaruri kam aa gya tha.

Main janta tha k wo jhootha bahana kar rahi hain par maine jyada bat nahi khinchi.

Karishma : waise tum to chacha se bhi lambe ho gye ho aur ek dam pehelwan. Shakal chaacha par hai par ankhen chachi par. Badi tareef suni hai ma se tumhari . Ab lag raha hai k ma ne bhi kam hi bataya tha.

Nidhi didi : ise pehchanati ho ?

Nidhi ne Radha ko karishma didi k samne kar diya .

Karishma : hmmm dekhne me foolon si nazuk aur khubsurati me divya mausi jaisi. Sharmana bhi waisa hi hai , zarur ye hamari mom ki gudiya hai Radha .

Radha karishma didi ki baton se Sharma rahi thi par karishma didi ne use gale se laga liya. Fir baba ajay mama aur Kamlesh mam bhi Mohit aur karishma didi se mile . Mohit mere pas aa gya.

Mohit : abe tu phone kyun nahi utha raha tha? Chal jaldi wo sab aa gye hain phone aa raha hai minal ka.

Hum dono fatafat bike le kar shehar se gaon aane wale raste par pahunch gye samne se do cars aa rahi thi ek Sheena ki aur ek Kalpana ki. Maine unhe piche aane ka ishara kiya aur unhe ghar tak le aya. Ghar k samne aa kar jab dono cars ruki to ek me se Sheena shivani rima aur minal nikli jabki dusre me se Kalpana aur shalu . Sab ki sab aaj beauty contest me shamil hone aayi lag rahi thi. Makeup bhi ache se kiya hua tha aur kapde bhi aise jaise shadi par aayi ho. Magar ek bat thi k sabne aaj indian dress hi pehni thi. Aaj to Kalpana k bal bhi saleeke se straight kiye hue the jo hamesha rubber band me bandhe rehte the. Par meri nazar to bas Rima par hi thi . Kya lag rahi thi wo . Halke curli brownish baal jheel si ankhen chandi sa rang . Main to usme kho sa gya tha. Ek nazar usne bhi mujhe dekha par uski nazron me kuch narazagi thi .

Kalpana : ghar bula kar kya bahar hi khade rakhna hai ab?

Amit : o sorry sorry aao andar aao.

Sheena : bahut ache lag rahe ho in kapdon me.

Amit : tum bhi .

Shivani : aaj to alag hi look lag rahi hai tumhari.

Amit : thanks

Minal Mohit k sath hi andar chal di. Sabse piche ab shalu reh gyi thi. Mujhe dekh kar uske chehre par dard k bhaw aa gye the.

Amit : kya hua shalu tum aise ? Koi bat hai Kya ?

Shalu : tum theek to ho na ?

Amit : han , mujhe kya hoga ?

Shalu : mujhe sab pata chal gya hai. Mere sare dukh dard to tumne door kar diye . Apni bari aayi to sab chhupa liya.

Amit : aisa kuch bhi nahi hai. Wo sab ek hadsa tha aur main bilkul theek hun please tum aisa mat socho . Ghar par function na hota to tumhe sabse pehle batata . Ab muskurao aur chalo andar. Tumhe sab se milawata hun.

Karan aangan me hi karishma ko dekh raha tha jab bahar se pariyon ka taula andar dakhil hua . Sabse aage to wahi thi jisne karan ki gaand koot di thi ‘ Kalpana ‘ karan ne socha tha k wo badla lega par jab pata chala k wo DC ki beti hai to irada apne aap hi badal gya . Kalpana aaj sach me khubsurat lag rahi thi karan ne use ek nazar dekha par usne to karan ki taraf dekh hi nahi aur sidha aage barh gyi. Uske piche hi jab Sheena dakhil hui to karan ki laar tapkaane lagi upar se bhi neeche se bhi. Sheena bhi aaj beauty queen hi lag rahi thi. Lage bhi kyun na wo to Amit ko hi rijhane aayi thi yahan. Doodh sa safed badan aur zabardast figure k sath unchi aedi k sendal pehne wo cat walk karti ek taraf se baal kan k piche karti aa rahi thi . Abhi karan is jalwe ko dekh k ubhara hi nahi tha k Sheena k peeche chalti firti sakshat pari ( Rima ) ko dekh kar to karan ka muh khula ka khula hi reh gya. Aur uske piche piche shalu Shivani bhi apne aap me kalam thi. Shalu ki figure to sab se jyada gadrayi hui thi aur karan bhi uske assets ko hi dekh raha tha. Sab ki sab amit ki dost hain ye dekh kar to karan ki jhaanten hi sulag gyi . Kahan use is shehar me aa kar ek ladki naseeb nahi hui thi abhi tak aur yahan Amit to pariyon me reh raha tha . Karan ka khurafati dimag ab nyi soch me pad gya k kis tarah wo in pariyon k jhund me shamil ho . Usne dekha k sab ladkiyan nidhi didi naina Neha karuna se gale mil rahi hain to use ummed ki kiran dikhai di.

Nidhi : wah aaj to lagta hai shehar ki sari raunak hamare gaon me hi aa gyi hai.

Nidhi ne sabka swagat karte hue kaha to Kalpana unse gale lag kar mili.

Kalpana : humne socha aaj gaon ki thandi hawa me bhi aag laga hi dete hain isi liye apne sath ek se ek bomb lekar aayi hun he he he

Kalpana ka andaz alag hi tha. Nidhi k chehre par bhi khushi aa gyi thi Kalpana se gale milte hue.

Nidhi : thanks Kalpana tumne jo amit k liye .....

Kalpana : nahi didi , thanks nahi. He deserve it . Mujhe to afsos hai k uski madad k liye gyi police ne uske sath wo sab .

Nidhi : jo bhi hai agar tum na hoti to pta nahi kya hota uske sath

Kalpana : kuch nahi hone dungi use main. Pata hai didi apka bhai na khud hi mushkilon me ja kar sar fasa leta hai par jaisa bhi hai apne aap me wo akela hi hai . Papa bhi ab to uski hi bat karte hain k kitna bahadur hai wo.

Nidhi : chal aa baith main tere liye kuch lekar aayi.

Kalpana : aap baitho , main mehman thoda hi hun koi. Apna ghar samajh kar aayi hun yahan

Karuna : haste hue ) kaisi ho partner ? Suna hai tere papa shehar k sab se bade don hain

Kalpana : he he he don nahi didi DC hain. Kaisi hain aap ?

Karuna : main to fit hun hamesha ki tarah . Par tu to aaj kamal hi lag rahi hai yar. Aaj to fighter se beauty queen ban gyi .

Kalpana : sharmate hue ) kya didi , beauty queen to aap aur nidhi didi lag rahi hain .

Sheena : hi didi kaisi hain aap ?

Nidhi : achi hun aur tum sab ko dekh kar aur bhi achi ho gyi hun. And sheena thanks tumne jo Amit k liye kiya wo .....

Sheena : aisa keh kar sharminda na karen didi. Uske liye to kuch bhi karun wo kam hi hai . Aap chhodiye us bat ko.

Karuna : waise Sheena yar tum to aaj chalti firti aag hi bani hui ho .

Sheena : sharmate hue ) kya yar ab meri bhi taang khinchogi tum

Naina : sahi keh rahi hai ye , tum wakai me aaj aag lagane hi aayi ho yahan . Main ladka hoti to aaj tumhe utha hi leti .

Sheena : itni bhi kuch khas nahi hun . Aap teeno to mujhse bhi jyada sundar hain.

Rima : namaste didi

Nidhi : are wah aaj to lag raha hai sidha swarg se utar kar pari mere samne aa kar khadi ho gyi hai. Kitni pyari lag rahi ho. Nazar na lage kisi ki tumhe.

Rima : sharmate hue ) aap se to kam hi hun didi. Sabse pyari aap hi hain.

Karuna : tum idhar aao Rima darling. Tum meri gf ho

Karuna ne Rima ko khinch kar apne gale laga liya. Rima to Sharma gyi jabki baki sab hasne lage

Naina : control karo zara khud par karuna ki bachi . Ye shehar nahi gaon hai aur hum sab ghar me hain.

Karuna : to kya hai ye meri darling hai. Ise to main nahi chhodne wali.

Shivani bhi bari bari se teeno se mili. Udhar se karan mauke ki talash me tha par Kalpana ki vajah se wo ruka hua tha . Tabhi Gauri wahan aa gyi . Kalpana bhi Gauri ko dekh kar jaldi se uski taraf barh gyi.

Kalpana : kaisi hain Aunty

Gauri ne bhi Kalpana ko kas k gale se laga liya aur uska matha chooma. Amit se Kalpana k bare me sun kar wo Kalpana se khud milna chah rahi thi uska shukriya ada karne k liye. Is liye wo itne josh aur pyar se mil rahi thi .

Gauri : jeeti rahi meri bachi . Main bata nahi sakti main kitni khush hun tumhe apne samne dekh kar . Main kab se tumse milna chah rahi thi. Tumne jo Amit k liye kiya main uska ehsan kaise chukaungi.

Kalpana : aisa keh kar mujhe paraya mat karo Aunty . Wo mera bahut accha dost hai. Aur fir wo bhi to sabki madad karta hai aur meri bhi ki hai usne.

Gauri : sach me tum bahut achi ho. Aao baitho main tumare liye kuch lati hun

Kalpana : nahi Aunty aap bas pas me baithiye , yahan hum sewa karwane nahi aaye bas aap sab se milne aaye hain .

Kalpana aur Gauri ko apas me baten karte dekh karan baki sab k pas pahunch gya .

Karan : are didi mujhe nahi milwayengi in sab se? Inhe pehle kabhi nahi dekha ?

Nidhi : Sheena Shivani Rima shalu ye hai mera chhota bhai karan. Karan ye sab Amit ki friends hain.

Karan ne unse hath milana chaha to pehle hi sab ne hath jod diye. Udhar se Neha aur Radha bhi aa gye .

Neha : didi ye sirf Amit ki hi nahi hamari bhi dost hain.

Sheena sabse pehle gale lag kar mili Neha se . Aise hi Neha aur Radha un charon se mili. Karan kisi tareeke in sab se bat karna chah raha tha par Neha sabko ghar walon se milane ka keh kar aage barh gyi aur Gauri k pas le gyi . Karan wahan akela hi khada reh gya man me gaaliyaan bakta hua. Ek ek kar k poori family se in sab ladkiyon ko milwa diya ghar ki ladkiyon ne. Radha to rima ka hath pakad kar hi chal rahi thi . Dono me achi bonding ban chuki thi pichle kuch samay me jab se Rima ko amit ne fir se bulana shuru kiya tha . Radha ko bhi pata tha k Rima ne hi uski madad ki thi aur fir wo thi bhi to achi . Iske ilawa Dr rina bhi uski behna thi jo Amit k itne kam ati thi. In ladkiyon se mil kar sab se jyada khush divya hui. Khas kar k Kalpana se mil kar. Divya ne bhi Kalpana ko shukriya kaha aur sath hi uska matha choom kar use pyar diya.

Time 11 se upar ho gya tha to Ajay aur vijay Amit ko sath liye udhar chale gye jahan function rakha gya tha. Gaon wale aane shuru ho gye the to sabke liye khana shuru karwa diya gya . Idhar ghar me abhi sabhi ladies aur ladkiyan apas me lagi hui thi. Radha ne rima ko apne sath hi rakh liya tha. Nidhi badi hone k nate sabko samay de rahi thi. Naina aur karuna ne baki sab ko sath bandha hua tha . Karan moke ki talash me mara mara fir raha tha. Neha Karan ko mauka nahi de rahi thi kisi k pas aane ka kyunki wo janti thi karan k irade theek nahi hain. Minal Mohit se milne ki Firak me thi to Mohit bhi nazar bacha kar ghar se nikal gya minal ko peeche aane ka ishara kar k. Car to thi hi Mohit k pas to wo minal ko sath liye nikal gya kahin akele me time bitane k liye .

Radha Rima K sath aarav ko khilane lagi. Deepika bhi is pari jaisi ladki ko dekh rahi thi. Pata to use bhi tha k Rima ko amit pasand karta hai. Radha aur Rima dono ek jaisi lag rahi thi magar Rima ke curly brownish baal aur grey ankhen use sab se alag bana rahi thi.

Deepika : bahut hi khubsurat ho Rima tum aur ye tumari ankhen sab se alag hain.

Rima : sharmate hue ) thanks mami ji , mujhe ye ankhen mom se hi mili hain.

Deepika : matlab tumhari ma bhi tumhare jaisi khubsurat hongi fir to

Rima : wo to mujhse bhi zyada sundar hain .

Deepika : to unhe kyun nahi lekar aayi ?

Rima : wo bua theek nahi thi to ma unke pas hi hi ruk gyi.

Deepika : waise tum itni khubsurat ho to koi na koi ladka to pasand kiya hoga na tumne apne liye ?

Rima Deepika k is sawal par aur bhi Sharma gyi .

Radha : nahi mami ye bhi meri tarah hi hai. No bf

Deepika : par koi pasand to hoga k nahi ? Waise hamara amit bhi bura to nahi hai. Par lagta hai tumhe wo pasand nahi aya .

Deepika ne janbujh kar Rima ko chedte hue ye bat kahi thi. Radha ko amit ka Rima k liye is tarah zikar karna acha nahi laga tha par wo kya kehti. Magar Rima to jhat se bol padi.

Rima : maine aisa kab kaha

Jaldi se Rima bol to padi par Deepika k chehre par aayi kutil smile dekh kar Rima ko apni galti ka ehsas hua aur wo Sharma gyi .

Rima : mera matlab tha Amit ko sab pasand karte hain. Wo sabki izzat karta hai . Use koi napasand kaise kar sakta hai ? Waise bhi meri didi ki usne madad ki thi to main uski bahut izzat karti hun.

Deepika itne par hi nahi ruki aur fir se lapet liya Rima ko.

Deepika : acha to tum is liye use pasand karti ho k usne tumhari didi ki madad ki. Warna tumhe usMe aisi koi bat na lagi k use pasand kiya jaye. Chalo koi bat nahi hum uske liye koi aur dekh lenge.

Radha to Deepika ko dekhe ja rahi thi k mami ye kaisi baten kar rahi hai. Rima to Deepika ki bat se fir utawali ho gyi . Use laga k kahin sachmuch Deepika Amit k liye kisi aur ko hi select na kar le

Rima : pasand kyun nahi hoga ? Itna acha hai wo dil ka kitna Sacha hai aur sabki parwah karta hai. Personality bhi hero ki tarah hai . Bilkul ek ideal hai. Kaun si ladki hogi jo use pasand nahi karegi ?

Deepika : matlab tumhe wo pasand hai . To bat karen tumhare gharwalon se .

Ab to rima sharam se zameen me garhi ja rahi thi uske gaal gulabi ho gye the sharam se. Jaldi se wo wahan se uth kar bhag gyi . Jabki Radha ko Deepika ki ye bat bilkul pasand nahi aayi thi. Usne bhi aarav ko wapis unki gaod me pakda diya aur pair patak kar chal Di magar karishma ne use apne pas bitha liya.

Karan jo kisi ek ladki par try marne ki Firak me tha usne Rima ko jab akeli utt kar jate dekha to wo jaldi se uske pas pahunch gya .

Karan : hi

Rima : namaste bhaiya

Rima ne use respect di kyunki wo amit bada bhai tha. Par bhaiya sun kar karan ki jhaante sulag gyi. Fir bhi chehre par smile laate hue bola.

Karan : are ye bhaiya kahan se aa gya ? Common rima we are friends. Tum pehli bar yahan aayi ho aur hamari mehman ho aao main tumhe apna gaon dikhata hun.

Rima : thanks , par main function par aayi hun to gaon fir kabhi dekh lungi abhi to family se hi Milne aayi hun.

Karan : are wo to tumne mil hi liya hoga na. Function to Sara din chalega . Hamare gaon k pas ek nadi bhi nikalti hai aur hamare apne khet , baagh bhi hain. Chalo tumhe wo dikha ke lata hun. Akhir mehman nawazi ka kuch mauka humen bhi to do.

Rima : jo wo fir kabhi dekh lenge. Waise bhi sab yahin par to hain . Agar aap dikhana hi chahte hain to main abhi sabko puchti hun.

Karan k to Armanon par pine hi firne laga tha jaise .

Karan : wo sab apas me busy hain . Tum apni bat karo , yahan bore ho jaogi . Chalo mere sath main tumhe bore nahi hone dunga. Waise bhi is mahol me tum jaisi ladki kya karegi.

‘ are rima , main kab se tumhe dhoondh rahi hun . Chalo mere sath tumse ek bat karni hai ‘ Neha Karan ko Rima se bat karta dekh wahin aa gyi. Rima bechari bhi karan ki baton ka jawab nahi de pa rahi thi wo jald se jald apna picha chhudana chah rahi thi. Neha k aate hi wo jaldi se uske sath nikal gyi. Karan ek bar fir hath Malta reh gya .

12 baje Kamlesh ne sabko karyakram wali jagah chalne ko kaha to sab milkar udhar chal diye. Sabhi ladkiyan ek sath chal rahi thi. Raste me jo bhi milta wo ankhen badi badi kar k in pariyon ko dekhne lagta. Karna bhi unke piche piche dum hilata chal raha tha. Jab sab karyakram wali jagah par pahunche to wahan lagbhag sara gaon pahunch chuka tha. Bahar hi khade Ajay aur vijay sabka swagat kar rahe the. Pandal acha sajaya gya tha . Gaon ka sampann pariwar hone k nate intzam bhi usi hisab se the. Vijay aur ajay sajjan vyakti thi to sara gaon unki izzat karta tha aur isi liye yahan aaj poora gaon aya tha. Apne pariwar ko aya dekh dono bhai unke sath hi ho liye. Kamini is halat me bhi dheere dheere chal kar yahan tak aa hi gyi thi. Halanki paon bhari the aur mahina bhi aathwan tha. Gauri kamini ka khas dhyan rakh rahi thi. Ajay bhi unke sath ho liya. Raghav vijay k sath . Kamlesh to Deepika ko sath lekar sham se chal raha tha logon ko garv se apna bacha dikhate hue.

Ladkiyon ki nazar yahan aate hi khane ki bajaye amit ko dhoondh rahi thi jo jaldi hi nazar aa gya khane peene k saman ki vyavastha ko sambhalte hue. Is kam me dara bhaiya aur Raju uske sath lage hue the. Amit ko aise kam karta dekh sab andar hi andar khush bhi the . Par akele me milne ki chahat kai dilon ko mayus bhi kar rahi thi.

Vijay ne sare pariwar ko ek alag kone me le jakar sabke liye baithne aur khane ki vyavastha karne k liye amit ko hi awaz lagai. Amit aur Raju ne jaldi se 4 table aur chairs lagwa kar sabko bithaya aur unke liye jo bhi kuch bana tha sab ek ek kar k bhijwa diya. Bayen karte hue sab khana kha rahe the . Gaon k naujwaan to bas aahen bhar rahe the. Kar to koi kuch sakta nahi tha , sab jante the k inse panga liya to shamat aa jayegi. Karan mauka talash raha tha aur Neha Karan par nazar lagaye thi. Khana khane k bad ab sab ladkiyon ne Amit ko apne pas bul liya.

Kalpana : ye kya bat hui ? Hum sabko yahan bulakar tum khud gayab ho. Kam se kam hamari mehman nawazi to karo.

Shivani : bilkul sahi kaha . Humen bulKar khud gayab ho , hamara yahan aane ka kya fayda hua.

Amit : dekh to rahi ho yar main kitna busy hun aur fir sab hain to yahan aapke sath.

Sheena : hum to yahan aaye the k tum humen gaon dikhaoge par tum to khud hi nahi dikh rahe .

Amit : gaon dekhna ho to fir kabhi aa jana . Aaj to abhi mushkil hai .

Karan : main dikha deta hun ji aapko apna gaon , amit jo to abhi time nahi milne wala. Kyun Amit theek hai na ?

Karan yahan bhi apni taang fasane aa hi gya .

Kalpana : shukriya , hum fir kabhi dekh lenge. Ab to rasta bhi pata chal gya aur sab se mil bhi liya hai. Fir kabhi aa jayenge.

Karan ki Jhante fir se sulag gyi thi is bar par Kalpana ki is bat par upar upar se smile karne laga aur Kalpana ne nazar bachane laga.

Nidhi : are aap sab yahan ho. Chalo ghar chalte hain ab yahan hamara kya kam hai? Ghar k badon ko abhi logon ne badhai wagearah deni hai hum sab ghar chalte hain. Amit tum bhi sath chalo akhir ye tumhaare liye hi to aaye hain .

Amit : ji didi chaliye.

Iske sath hi nidhi karishma aur sabhi ladkiyon ko sath liye ghar ki taraf chal di. Gauri ne hi use aisa karne ko kaha tha. Kyunki abhi gaon wale bache ko uphar de rahe the aur family k sabhi bade logon ka yahin rehna zaruri tha. Ghar par is waqt gaon ki ho do auraten ghar k zaruri kam aur dekhbhal k liye chhod rakhi thi. Niche k darwaze band hi chhod kar nidhi sabko lekar upar wale kamron me le gyi . Radha rima ko apne sath hi rakh rahi thi. Rima bar bar amit ki taraf dekhti kuch kehna chahti ho jaise par Amit bhi aise me kuch nahi kar sakta tha. Sab amit k sath wale kamre me baithe the . Nidhi ne Amit ko family album lane ko kaha taki sabko apni sabki purani tasveeren dikha sake. Karishma ne hi ye demand ki thi. Taki wo Amit k bachpan ko dekh sake . Itne saal jo wo un sab ki ankhon se door tha.

Amit : ji didi main abhi laya.

Shalu : didi main zara washroom ho kar ayi

Nidhi : ruko main chalti hun tumhare sath

Shalu : it’s ok didi apna hi to ghar hai.

Itna keh kar shalu bhi Amit k piche hi nikal gyi. Amit sidiyan neeche utar k ma k kamre me gya to shalu bhi uske peeche hi aa gyi aur amit ko peeche se bahon me bhar liya . Amit ne gardan ghuma kar shalu ko dekha to Shalu ki ankhon se aansoo tapak rahe the.

Amit : ye kya shalu tum to rahi ho ? Kya hua hai ? Kisi ne kuch kaha kya?

Shalu : kisi ne kuch nahi kha . Par main khud ko rok nahi pa rahi thi jab se tumhare bare me pata chalA. Tum mere liye kya ho jante ho na. Tumhare sath itna kuch ho gya aur main tumhare liye kuch bhi nahi kar sakti .

Amit : fir wahi bachon jaisi bat , main bilkul theek hun. Apne ye aansoo aise mat bahaya karo. Tum sabse pyari dost ho meri janti ho.

Shalu : bas kehte hi ho par apne pas bhi nahi Aane dete .

Amit : maine kab mana kiya tumhe ?

Shalu : mana nahi kiya par gale bhi to nahi lagaya . Maine socha tha uske bad tum khud mujhe apne pas bulaoge par tum ... main hi layak nahi hun main janti hun.

Amit : khabardar jo aisa kaha to . Tum bahut achi ho aur main tumhe dil se apna manta hun.

Itna keh kar maine shalu k honthon par apne honth rakh diye aur hum ek dusre ko kiss karne lage . Shalu k hath meri peeth par kas gye. Maine bhi uski peeth kamar sehlate hue uski gaand masalne laga. Shalu ne mujhe deewar se laga liya aur mere sath zor zor se kiss karti hui lipatne lagi . Kuch der hum aise hi ek dusre ko kiss karte rahe aur fir maine hi kiss todi .

Amit : ab yakeen aya ?

Shalu : ruk kyun gye ?

Amit : isse jyada nahi , yahan koi bhi AA sakta hai . Hum fir kisi din fursat me mil lenge . Aur meri chinta na karo main bilkul theek hun. Ab jao main album Le kar aya.

Shalu fir se ek kiss kar k muskurati hui angan me bane bathroom me chali gyi . Par use is tarah se kamre se nikal kar bathroom jate hue karan ne dekh liya tha jo abhi baahar se aya hi tha. Shalu ki halat aur kamre ka darwaza khula dekh kar uska dimag chalne laga . Abhi wo soch hi raha tha k kamre se Amit nikla aur darwaza fir se laga diya. Amit k hath me album thi jise lekar wo upar chala Gya

Karan ( man me ) to ye setting hai iski . Is par nazar rakhta hun .

Karan ne dekha shalu bhi bathroom se aa gyi hai aur sidiyan charh rahi hai to wo uske piche piche uski matakti gaand dekhta hua sidiyan chadhne laga.

Karan ( man me ) kya mast figure hai , sala har mamale me lucky hai. Agar Main bhi us college me hota to iske jaisi koi meri bhi setting hoti . Dekhta hun shayad koi na koi inme se line de hi de. Hain sab bade gharon ki . Aish to poori karwayengi.

Album khol kar nidhi sabko tasveeren dikhane lagi . Sab ladkiyon ne unke aaspas circle bana liya tha . Karan bhi ab kamre me aakar Amit k sath baith gya tha. Rima bhi tasveeren dekh rahi thi par uski nazar Amit par bhi thi. Amit bhi usse milne ka bahana soch raha tha.

Amit : didi main wo dusri album bhi lekar ata hun jo ajay mama k kamre me padi hai shayad . Koi ek mere sath aa jao madad ki zarurat padegi upar se utarne me.

Maine pehle hi Rima ko ishara kar diya tha . Isse pehle k koi aur bolta Rima hi bol padi.

Rima : main aati hun waise bhi mujhse bhi washroom jana hai.

Radha : main bhi aati hun sath

Rima : tum baitho aram se , kaun sa kahin bahar jana hai .

Radha : acha theek hai jaldi aana

Main jaldi se bahar nikal gya aur Rima bhi piche aa gyi . Sidiyon se niche jane ki bajaye main bagal me apne kamre me chala gya aur Rima ko bhi andar kheench kar darwaza band kar liya . Darwaza band karte hi maine Rima ko bahon me bhar liya .

Rima : chhodo mujhe , mujhe tumse bat nahi karni .

Amit : acha !! Wo kyun bhala ? Mujhe bhi to pata chale meri jaan kyu naraz hai mujhse .

Rima : acha to ye bhi main bataun ? Itna kuch ho gya aur tumne mujhe kuch bataya tak nahi . Bas itna pyar hai na mujhse ? Jaan kehte ho par jaan samajhte nahi ho . Tumhe pata hai meri kya halat ho gyi thi jab didi ne bataya k tumari kaisi halat dekhi thi unhone .

Rima ki ankhon me halki nami aa gyi thi.

Amit : to meri badi sali sahiba ne akhir bata hi diya . Tum janti ho maine tumhe kyun nahi bataya tha?

Rima : kyun ?

Amit : kyunki mujhe un zakhmon se itna dard nahi hua jitna tumhari ankhon me ye aansoo dekh kar hota hai. Tum kehti ho main tumhe jan nahi samajhta, jaan samajhta hun tabhi to in ankhon me aansoo nahi dekh sakta. Aisa kabhi mat sochna k mere pyar me koi kami hai . Kami mujh me ho sakti hai mere pyar me nahi . Aisa fir kabhi mat sochna.

Rima : I am sorry , par mujhe kaisa laga tha wo bhi to samjho . Mera pyar itne dard me tha aur main uske pass nahi thi .

Amit : samajhta hun Rima sab samajhta hun , tum mujhse alag nahi ho . I love you from bottom of my heart I can feel you .

Rima ne meri peeth par apne hath kaste hue mere honthon par apne honth rakh diye . Hum dono ek dusre ko mehsus karte hue is madhur Milan me khote chale gye . Rima ne mere gale me bahen dal li thi aur maine bhi uske sir k piche hath rakh kar dusre hath se uski kamar ko tham rakha tha.

Rima k nikalte hi karan bhi bahane se kuch der bad bahar nikla tha Rima se chance marne k liye . Par jab wo neeche aya to niche na Rima dikhi na hi Amit . Kam wali se pucha to usne bhi kaha k koi nahi aya niche . Karan ka matha thanka. Wo idhar udhar dekh kar fir Se wapis upar jane laga to Amit ka darwaza bahar se khula dekh kar usne dheere se use kholne ki koshish ki to wo nahi khula . Fir usne darwaze se kaan laga liye. Par andar aisa kuch ho nahi raha tha k uske kuch sunai deta. Andar to bas pyar bhara kiss hi chal raha tha. Jab use kadmo ki awaz darwaze ki taraf aati sunai di to wo jaldi se door hat gya aur dekhne laga. Andar se Rima muskurati hui nikli aur piche hi Amit bhi. Rima dusre kamre me chali gyi aur karan use dekh kar fir se jalne laga .

Album dekh dekh kar sab hans rahe the aur meri hi tasveeron par comment kase ja rahe the. Kalpana to kuch tasveeron ki photo kheench rahi thi phone se. Karishma didi bhi khush ho rahi thi un tasveeron ko dekhti. 4 baje tak yehi sab chalta rha. Aur jab sab wapis ghar aa gye to ye college wali mandali bhi wapis jane k liye taiyar ho gyi . Jane se pehle ma ne sab ko shagun k taur par kuch paise aur mithai di. Sab ladkiyan arav k liye kuch na kuch gift bhi layi thi . Jaise wo sab ayi thi waise hi wapis chali gyi . Karan bhaiya bhi last tak unhe see off karne k liye sath hi the. Unke jane k bad uncle aunty bhi jane ka kehne lage . Baba ne roka bhi par unhone bataya k unhe zaruri meeting me jana hai subah to baba me jyada zor nahi diya. Aunty ne jate jate mujhe ghar aane ka kaha aur unki ankhon me ek ishara tha . Mohit aaj din me gayab raha tha minal k sath par ya taraf kisi ka dhyan nahi gya.

Sab mehmano k jane k bad baba ne mujhe ek bar pandal wali jahah par chakkar mar kar saman dekh kar aane ko kaha to main udhar chala gya. Pandal me main chakkar mar raha tha aur Raju wahin tha . Hum dono doston ne zaruri saman sameta aur mandir aur halwaiyon ko unka saman pahuncha diya . Uske bad hum baith kar baten karne lage . Waqt koi 8 se upar ho chuka tha. karan bhaiya bhi kuch der me wahin aa gye

Karan : aur kya ho raha hai?

Amit : kuch nahi bhaiya bas ek bar nazar marne aaye the.

Karan : main to bahut thak gya hun yar , tumko thakawat nahi hui?

Amit : thakawat to hogi hi bhaiya subah se laga hua hun . Ghar ja kar aram se sounga to sab theek ho jayega subah tak.

Karan : itna intzar karne ki zarurat kya hai ? Ye dekho energy drink , abhi pite hi 15 minutes me sari thakawat utar jayegi.

Raju : kya sach me bhaiya ? Itni jaldi thakawat utar jati hai ise pine se ?

Karan : aur nahi to kya , main jab kabhi jyada thak jata hun match khelne k bad to yahi pita hun. Sab khiladi pite hain ye. Tune kabhi nahi pi?

Amit : nahi bhaiya mujhe iske bare me kuch nahi pata

Karan : acha to chal aaj pi kar dekh .

Maine unke hath se wo Red Bull likha hua energy drink liya. Metal k is can ka chhota sa dhakkan unhone khud hi khol kar diya tha. Pehle Maine use naak se laga kar sunga . Sharab ki smell nahi thi

Karan : are kuch nahi hai yar , main tujhe kya kuch kharab cheez dunga .

Amit : are aisi bat nahi hai bhaiya. Aap to bade bhai hain mere

Itna keh kar maine wo uska ghoont bhara to ajeeb sa taste tha.

Amit : iska taste kuch ajeeb sa lag raha hai bhaiya.

Karan : are ye aisa hi hota hai. Dawai samajh kar ek bar me pi le.

Maine ek hi bar me poora can khali kar diya. Raju mera muh dekh raha tha .

Raju : mere liye to rakh leta thoda sa.

Karan : are tum chinta kyun karte ho tumhare liye bhi hai.

Karan bhaiya ne ek aur can dikhate hue khola to is bar usme se jhaag nikali .

Amit : bhaiya pehle wale se to jhaag nahi nikali thi , ye alag hai kya ?

Karan : nahi nahi ek hi to hai khud dekh lo. Wo to usko Maine aram se khola tha na. Acha Raju tum ye piyo main apne liye ghar se aur le ata hun .

Itna keh kar karan bhaiya wapis chale gye aur hun aram se baten karne lage. Kuch der bad mujhe apne shareer me thakawat ki jagah takat badti mehsus hone lagi . Ek suroor sa chhane laga tha. Mera land apne aap tight ho kar khada ho gya . Mera gala khushk hone laga aur talab hone lagi sex ki.

Amit : Raju yar main ab ghar chalta hun tabiyat thoda theek nahi lag rahi hai .

Raju : achanak tujhe kya hone laga?

Amit : pata nahi yar samajh nahi aa rahi . Main ghar chalta hun .

Raju : chal tere sath main bhi chalta hun.

Raju aur main ghar ko chal diye .

Karan Amit aur Raju k pas se sidha us jagah pahunch gya jahan Kamlesh apne dosto ko party karwa raha tha. Karan ne apne mama k pas kuch der baith kar mahol dekha aur jab Kamlesh suroor me aa gya to usne Kamlesh ko akele kuch kaha jise sun kar Kamlesh ek dam gusse me aya . Usne gusse me karan ka gala pakad liya .

Kamlesh : ye kya keh raha hai tu ? Agar teri bat galat nikli to teri chamdi udhed dunga.

Karan : mama gi agar galat niklun to jo chahe saza de dena . Par main sach keh raha hun . Ghar ki izzat mujhe pehle hai mama ji . Main ghar me kisi ko batata to koi yakeen nahi karta . Sab ki nazar me to wo bahut acha hai. Aapko batana mera farz tha . Ab aap jo chahe karen par mera nam nahi ana chahiye ye aap dhyan rakhiyega .

Kamlesh : agar tune jo kaha wo sahi hai to uski khaal udhed dunga aur agar tum galat nikle to wahi tere sath karunga main.
 
Status
Not open for further replies.
Top