• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,615
94,824
304

Lonetiger

Active Member
639
3,051
123
Update 141

Divya mausi mujhe bachpan se lekar apni shadi tak k kisse bade chaw se sunati rahi aur main bhi unke chehre par aayi khushi ko dekh kar khush hota har kissa mantramugdh sa sunta raha. Divya mausi apne sunehre palon ko sunte waqt untni khush lag rahi thin jaise k wo abhi bhi unhi yadon me hi wo khushi mehsus karti hain jo hakikat me unhe bad me kabhi naseeb nahi hui . Apni ma k bare me sun kar mujhe bhi badi khushi mil rahi thi . Ek ek tasveer dikhati hui mujhe bhi un yadon ka safar karwa rahi thi jin par wo sirf ma k sath rahi thi hamesha . Divya mausi jaise kisi aur hi duniya me pahunch gyi thi. Ek ek yad ko unhone aise bayan kiya k jaise wo meri ankhon k samne hi ho raha ho. Aisi deewanagi to Maine na kabhi dekhi na suni thi. Aise lag raha tha k jaise in yadon ko sahejna hi unki zindagi ek matra kam tha. Divya mausi batati gyi aur main sunta gya hum dono ki hi ankhon me ek pal neend na aayi aur kab subha ka ujala ghar me failne laga humen bhi pata na chala. Mera mobile subah k alarm se jab bajne laga to humen waqt ka dhyan aya.

Divya mausi : ye kya subah ho gyi ? Dekh baton hi baton me pata bhi nahi chala k waqt kya ho gya hai. Maine apne sath teri bhi neend kharab kar di

Amit : sach kahun to mausi ji neend ka to ehsas bhi na hua mujhe . Aap ne to sab kuch aise bataya k mujhe sab apni ankhon k samne hota hua mehsus ho raha tha. Aap sach me dono ek dusre k sab se jyada kareeb thi. Isi liye aapne ma k jane k bad apne liye jeena hi chhod diya .

Divya mausi : sad ) jeena usi k sath to seekha tha. Hum do kahan thin , samajh lo k do jiska ek jan thi. Jab jan hi jisam se juda ho gyi to reh hi kya gya piche? Agar Radha ki zimmedari na hoti to main bhi usi k sath chali jati.

Amit : aur mausa ji ka kya ? Kya aap unhe pyar nahi karti?

Meri is bat par divya mausi k chehre par mano koi bhaw hi na aya jaise is bat ka koi matlab hi na tha.

Divya mausi : sab ki apni zindagi hoti hai beta , zaruri nahi k har kisi k man me pyar ho .

Ab tum kuch der so jao. Nahi to tabiyat kharab ho jayegi .

Itna keh kar mausi ne mujhe apne sath uthaya aur kamre se bahar aa kar fir se use band kar diya . Mausi mujhe sone ka keh kar khud bhi apne kamre me chali gyi. Magar main soch me pad gya. Mausa ji ki bat par mausi ne jo kaha wo kuch aur bayan kar raha tha. Dusri bat k sari rat unhone mujhe chhote chhote kisse sunaye magar apni aur ma ki shadi k pehle tak k. Kamre me kahin bhi mere papa ya unki family me se kisi ki koi tasveer nahi thi. Maine bhi is bare me sawal puch kar unhe dukhi karna theek nahi samjha. Abhi 5 baje the to kuch der maine bhi neend lena theek samjha aur bed par let te hi mujhe neend aa gyi .

Main bed par soya pada tha k mujh par kisi ne pani daal diya aur main hadbada kar uth gya.

‘ utho Kumbhakarn , college nahi jana kya ? Ya roz class se gayab hone ka theka le rakha hai ? Time dekho kitna ho gya hai. ‘

Ye awaz Kalpana ki thi jiske piche Neha didi aur Radha bhi aa gyi thi kamre me. Pani ki vajah se neend to meri bhi ud gyi thi par samne Kalpana ko dekh kar main hairan ho raha tha. Mujhe is bat ka khyal bhi nahi tha k main is waqt apne bister par hun aur babu Rao ji subah ki salami de rahe the . Magar Kalpana ki nazar jab wahan gyi to usne sharam se nazren jhuka li .

Kalpana : jaldi se ready ho kar aao hum bahar hi hain. Chalo didi chalo Radha.

Kalpana apne sath dono ko le gyi magar uski nazaron ka ishara main bhi samajh chuka tha is liye kuch kehne k bajaye khud ko hi chhupa raha tha. Agar Neha didi aur Radha me se koi dekh leti to kya samajhti? Kalpana kya soch rahi hogi mujhe aise is halat me dekh kar ? Khair main jaldi se utha aur bathroom me ghus gya. Jaldi se badan gila karke fresh ho kar main. Wapis aa gya magar time ho raha tha to teeno ladkiyan chali gyi thi college. Main jaldi se kapde pehnne laga aur taiyar ho kar hall me aa gya .

Divya mausi : are are kahan ja rahe ho ? Nashta to kar lo.

Amit : mausi ji late ho jaunga pehle hi der ho chuki hai.

Divya mausi : ab ek lecture to miss hoga hi to kam se kam nashta to karlo.

Maine mausi ki bat mante hue nashta kiya aur nikal gya . Second lecture shuru hone se pehle main college pahunch gya tha aur sidha class me chala gya jahan Manju m abhi aaye hi the. Neend to poori hui kahan thi is liye aankhen abhi bhi bojhil lag rahi thi . Sath wali row me hamesha ki tarah Kalpana baithi thi aur mujhe dekh kar smile kar rahi thi magar aaj kuch sharam bhi thi uske chehre par jo wo bar bar nazren chura rahi thi . Khair lecture khatam hua aur hum chal pade canteen ki taraf.

Mohit : abe kya hua rat ko soya nahi tha jo abhi bhi neend me hai ?

Amit : han yar subah hi soya tha 5 baje k bad aur fir 9 baje uth gya.

Kalpana : I am sorry mujhe pata nahi tha warna main aisa nahi karti .

Mohit : ab tumne kya kiya hai ?

Amit : kuch nahi isne bas mujhe neend se jagaya hai . Aur tumhe maafi mangne ki zarurat nahi hai . Doston ka itna hak to hota hi hai. Waise bhi agar nahi uthati to college se chhutti ho jati.

Minal ko ata hua dekh kar Mohit tez kadmo se uski taraf bad gya to Kalpana ahista se boli

Kalpana : sorry maine tumhare bedroom aa kar aise tumhe wo .... mujhe pta nahi tha aisa kuch hoga .

Amit : kya aisa kuch ?

Kalpana : sharmate hue ) kuch nahi

Pehle to main samjha nahi k wo kis bare me bat kar rahi hai lekin jab mujhe yad aya to mujhe hansi aa gyi. Hum canteen tak pahunch hi gye the aur jab meri nazar samne se aa rahi Rima par padi to use dekh kar meri dhadkan hi tez ho gyi. Kya lag rahi thi, long skirt k sath top pehne khule balon k sath wo kayamat lag rahi thi magar ye kyaaaa ?? Uske sath uske jaisi ek aur hoor bhi aa rahi thi same long skirt aur top me . Rima se ab mera dhyan hat kar us Haseena par chala gya . Ye to rima se bhi jyada katil lag rahi thi aur jab maine uska chehra dekha to muh khula ka khula reh gya. Ye koi aur nahi Radha thi . Radha ko pehli bar main aise kapdon me dekh raha tha. Sachmuch kayamat lag rahi thi. Rima aur Radha dono barabar chalti hui mere samne aa kar ruki to meri halat dekh kar sharmane lagi.

Radha : sharmate hue) aise kya dekh rahe ho?

Amit : ye tum hi ho na Radha ? Ya main sapne me hun ?

Neha didi : lag to aise hi raha hai k tum neend me ho abhi tak. Chalo ab andar ya yahi khade rehna hai .

Amit : sach me Radha tum is dress me bahut khubsurat lag rahi ho.

Radha k gaal tamatar ki tarah lal ho gye mere muh se aise apni tareef sun kar.

Minal : bilkul sahi kaha , main to khud hairan ho gyi thi ise dekh kar .

Hum baten karte hue apne adde par baith gye . Itne me sheena aur Shivani bhi aa gyi aur unke sath shalu bhi thi. Shalu aaj aayegi mujhe iski ummeed nahi thi. Teeno ne aate hi Radha ki tareef shuru kar di. Waise to rima bhi bahut khubsurat lag rahi Thi par Radha ne aisi dress pehli bar pehni thi to uska look aaj alag hi lag raha tha jis vajah se aisa ho raha tha.

Sheena : Radha you are looking gorgeous yar

Shivani : exactly Radha to aaj pehchan me hi nahi aa rahi . Waise Rima bhi kuch kam nahi lag rahi .

Shalu : dono hi kamal ki lag rahi hain jaise dono behne hi hon.

Kalpana : ye sab kamal in janab ka hai. Dono ko kal shopping karwa kar di hai aur humen kisi ne pucha tak nahi .

Minal : sach me ?? Yar ye to fayde me reh gyi aur ek main hun koi puchta bhi nahi

Mohit : aise kaise nahi puchta , tum kaho to abhi chalte hain na shopping par

Kalpana : tum dono to rehne hi do , this is not fare Amit , matlab ye to partiality hai na. Kam se kam mujhe to bula lete . Matlab ab jo bindas rehta hai uski value nahi aur jo naraz hota hai uski jhat se suni jati hai.

Amit : are tum to naraz ho gyi , acha tumhe bhi shopping karwa dunga kisi din bas . Iske liye naraz hone ki zarurat nahi hai tumhe. Waise bhi Neha didi bhi to rehti hain abhi.

Sheena : humne kaun se pap kar liye jo hamara nam nahi liya .

Shivani : bilkul , hum bhi to kuch hain ya nahi ?

Amit : lagta hai meri jeb tum sab mil ke khali karwane wali ho. Chalo ye hi sahi , kisi din tum sab ko lekar chalunga aur shalu tum bhi chalna . Tumhare bagair nahi jayega koi

Kalpana : aur nahi to kya , aapko bhi chalna hoga. Aur mujhe bhi aise dress chahiye . Dekho dono kitni khubsurat lag rahi hain in dress me.

Amit : ye to Rima ki choice hai

Rima : isme kaun si badi bat hai ye to bas aise hi . Radha par ye jyada ache lag rahe hain .

Radha : Amit theek keh raha hai tumari choice achi hai. Main to kabhi ye sab dhoondh bhi na pati .

Ab sab ladkiyan shopping k bare me hi bat karti rahi aur main bas Rima aur Radha ko dekhta raha. Rima mere samne baithi thi to maine table k neeche se apne paon se uske paon ko sehlana shuru kiya . Magar wo dekh hi nahi rahi thi . Jab maine uski skirt ko thoda upar uthate hue uski pindali tak apna paon lagaya to Rima k sath Radha bhi hil gyi . Rima se ab meri nazar mili to Mujhe dekh kar wo Sharma gyi jabki uske sath baithi Radha pehle hi sharama kar chehra jhukaye baithi thi. Thodi der bad bell ho gyi aur hum sab apni class me wapis chale gye . Coffee pine se ab kuch hosh aa gyi thi mujhe. Baki sab lecture khatam hone k bad hum sab science block me chale gye aur idhar udhar ki baton me lage rahe. Shalu jab mere pas aayi to Maine chupke se usse pucha

Amit : tumhe aaj rest karna chahiye tha tum kyun aa gyi ?

Shalu : itni bhi problem nahi thi mujhe . Waise bhi agar nahi aati to tumse kaise milti. Mujhe sabke sath acha lagta hai. Ghar par baith kar bore hone se acha hai tum sab k sath rahun.

Amit : tum khush to ho na mera matlab kal tumhe meri vajah se dard bhi hua aur main aise tumhe chhod kar chala aya .

Shalu : kal ka din meri zindagi ka sabse acha din tha. Main ye kabhi nahi bhulungi. Aur tumne mujhe koi dard nahi diya. Wo sab to pyar ki nishani tha.

Kalpana : yahan akele me kya baten kar rahe ho aap ? Ab batao mujhe shopping kab karwaoge?

Amit : o meri lady don jaldi hi tumhe aur baki sab ko shopping karwa dunga thoda sabar rakho. Shalu se bhi abhi isi bare me bat kar raha tha .

Kalpana : good , didi aap bhi mere sath hi chalna aur bilkul bhi resham nahi karna . Iski jeb to main khali karwa k rahungi.

Sheena : mujhe mat bhool jana , mere bagair gye to acha nahi hoga keh deti hun.

Amit : kya yar tum sab bar bar aise kyun keh rahi ho ? Maine kaha na k sab ko lekar Jaunga . Agar yakeen nahi hai to ye lo mere card aur khud hi chale jao.

Sheena / Shivani / shalu / Kalpana : nooooooo

Sheena : bat paison ki nahi hai sath chalne ki hai. Paise to yahan sabke pas hi hain. Humen bas tumhare sath jana hai.

Kalpana : correct . Lo wo sab bhi aa gye

Udhar se science team bhi aa gyi. Sab mil kar parking me pahunch gye. Radha mere pas aa gyi to maine kaha

Amit : Radha tum car me chali jao kahin tumhari dress kharab na ho jaye .

Radha : main to tumhare sath hi jaungi , subah bhi mujhe acha nahi laga tha aise tumare bagair ana. Ye dress maine specially tumhe dikhane k liye hi pehna tha aur tum sote rahe.

Amit : tum wakai me is dress me aur bhi khubsurat lag rahi ho. Dekha nahi sab ne kitni tareef ki tumhari.

Radha : ye sab tumhari hi vajah se hai. Aur isi liye main tumhare sath hi jana chahti hun. Tumhare li hui dress pehan kar tumhare sath na jaun ye koi achi bat hai ? Agar dress ko kuch hua bhi to tum nyi dila dena.

Amit : theek hai jaise tum kaho .

Radha muskurati hui mere piche baith gyi aur mere kandhe par hath rakh liya . Sab ek ek kar k nikal gye. College se thoda door jate hi Radha ne apna hath mere pet par rakh diya.

Amit : Radha aaj tum itni khubsurat lag rahi ho in kapdon me to college k ladke to aaj tumhe hi dekh rahe honge. Canteen me to maine bhi ye note kiya tha.

Radha : mujhe kisi se kya ? Koi dekhta hai to dekhe. Main kisi ko nahi dekhti.

Amit : matlab tumhe koi pasand nahi?

Radha : tum jo ho

Amit : matlab

Radha : tumhe acha lagega main kisi aur ko dekhun ?

Amit : maine ye kab kaha

Radha : to puch kyun rahe ho ? Aur koi bat karo

Tabhi ek lambi si car hamare barabar chalne lagi. Maine is car ko college se nikalte waqt bhi dekha tha magar sheeshe kale hone ki vajah se pata nahi tha k andar kaun hai . Barabar chalte chalte jab us car ka sheesha neeche hue to andar wale ko dekh kar main hil gya. Ye Megha thi Sheena monty ki ma. Wo mujhe hi dekh rahi thi. Usne mujhe dekhte hue ishara kiya to Maine na me gardan hilayi. Usne fir Radha ko dekha aur aage nikal gyi. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ab kya karun. Ye to mere piche yahan tak pahunch gyi. Itne dino se main uska phone nahi utha raha tha is liye shayad wo yahan aa gyi. Kyunki use pata tha main yahin padta hun.

Radha : kaun thi ye Aunty ? Aur tumhe aise kyun dekh rahi thi.

Radha k sawal ka ab main kya jawab deta ?

Amit : mujhe kya pata kaun thi , main nahin janta?

Radha : to wo tumhe ishara kyun kar rahi thi?

Amit : kya pata ? Tum kyun tension le rahi ho? Agar puchna hai to chalun kya uske piche ?

Radha : nahi rehne do , hum sidha ghar chalte hain .

Radha ne to itna keh kar bat khatam kar di par mujhe ye sab theek nahi lag raha tha . Agar Megha aise hi mere piche aati rahegi to pata nahi kya ho. Mujhe iska hal karna hi hoga . Use ek bar milna hi hoga . Yahi sochta main bike chalata raha aur hum ghar aa gye .

Divya mausi : aa gye tum dono.

Radha : han ma ab jaldi se khana laga do

Divya mausi : ruk pehle mujhe teri nazar utarne de. Aaj itni pyari lag rahi ho kahin kisi ki nazar hi na lag gyi ho.

Itna keh kar mausi kitchen se mirchi le ayi aur Radha ki nazar utarne lagi .

Radha : kya ma aap bhi , mujhe kisi ki nazar nahi lagegi.

Divya mausi : tu chup reh , aaj tu kitni pyari lag rahi hai tujhe khud bhi nahi pata . Tu bhi idhar aa teri bhi nazar utar dun

Amit : ab mujhe koi kyun nazar lagayega ?

Divya mausi : chup kar k sidha khada ho ja. Tu jitna logon ki madad karta hai na tujhe to har koi nazar laga dega.

Radha : sahi kaha ma wo car wali aunty bhi ghoor ghoor k dekh rahi thi ise

Divya mausi : car wali Aunty ? Kaun car wali aunty ?

Amit : kuch nahi mausi aise hi koi sadak par chalte hue hamen dekh rahi thi aur ye pata nahi kya kya sochti hai.

Radha : tum nazar utaro ma , waise bhi har koi ladki ise hi dekhti rehti hai.

Divya mausi : dekhegi hi , heera hai mera beta.

Radha : aur main ?

Divya mausi : tum to meri zindagi ka Anmol khazana ho.

Radha : heera to khazane k sath hi rehta hai na ma. Matlab humen bhi sath me rehna chahiye .

Divya mausi ne ek pal Radha ko dekha aur fir kitchen me chali gyi . Radha apne room me chali gyi aur main apne room me. Maine darwaza band kar k fauran Megha ko phone lagaya jo usne dusri hi ring par utha liya.

Megha : to aa hi gyi yad. Dekh lo tumne kya jadu kar diya hai k tumhare piche piche ghoom rahi hun.

Amit : tum mere piche kyun aayi ? Kisi ko pata chal jata to ?

Megha : to kya karti tum to ab phone bhi nahi uthate mera. Ek to pehle mujhe apna deewana bana diya hai aur ab mujhse milte bhi nahi ho. Waise ab pata chala mujhe k tum phone kyun nahi utha rahe the. Itni achi gf jo mil gyi hai to ab mujhe kyun yad karoge .

Amit : bakwas band karo wo meri gf nahi hai

Megha : bachi nahi hun main, jaise wo baithi thi waise sirf gf hi baithti hai. Acha wo sab chhodo tum apni personal life me jo marzi karo mujhe parwah nahi, mujhe bas tum apna thoda sa time de diya karo. Kal mujhe mere flat par milne ana aur agar na aaye to fir main college hi aa jaungi bad me mat kehna.

Amit : theek hai main aa jaunga par ab dobara aise mere piche mat ana .

Itna keh kar maine bat khatam ki aur phone band kar diya. Ab to Megha se milne jana hi padega ye sochte hue main kamre se bahar aaya . Divya mausi lunch laga rahi thi aur hum sab ne mil kar lunch kiya .

Udhar Rita mausi k ghar jab Kalpana Neha ko chhodne gyi to karan pehle se hi unka wait kar raha tha. Kuch dino se ye roz ki adat ho gyi thi. Karan kisi na kisi bat ka bahana kar k is waqt ghar aa hi jata tha . Use pata tha k Kalpana is waqt aati hai Neha didi ko chhodne . Neha didi ne to is bat par gaur hi na kiya par Kalpana ise ignore nahi kar rahi thi. Wo bindas zarur thi par uske sath hi intelligent bhi thi. Wo har par gaur karti thi.

Neha : aaj to bade handsome lag rahe ho karan kya bat hai?

Karan : bas ye to aise hi main apne dost ko chhodne aya tha to idhar aa gya .

Kalpana : acha didi ab main chalti hun.

Karan : are aap bahar se hi chali jayengi kya ? Andar aaiye mausi to kab se aapka wait kar rahi hain.

Neha : ma kyun wait kar rahi hai? Chal aja Kalpana thodi der ma se bhi mil le.

Kalpana : acha didi main zara car side me laga kar aati hun.

Neha : aja karan bahar kyun khada hai?

Karan : didi aap chalo , main Kalpana ko lekar ata hun.

Neha andar chali gyi aur Karan Kalpana k pas chala gya ho car ko park kar k bahar nikal rahi thi. Wo darwaza band kar k jaise hi palti to karan uske behad kareeb khada tha jis vajah se wo takrate takrate bachi .

Kalpana : aap yahan ?

Karan : maine socha aapko akele chhodna acha nahi lagta aap hamari mehman hain.

Kalpana : aisi koi bat nahi , Rita aunty mujhe apni beti hi manti hain aur Neha didi karuna didi bhi behno ki tarah hi hain. Main aisa nahi sochti kuch bhi

Karan : tum bahut achi ho Kalpana , jitni khubsurat tum khud ho utna hi sundar tumhara dil bhi hai. Isi liye to main tumhe sab se jyada pasand karta hun

Kalpana : ye aap kya keh rahe hain ?

Karan : kya kaha maine ? Main to bas itna hi kaha k main tumhe pasand karta hun . Kya tumhe main acha nahi lagta?

Kalpana : dekhiye aap mere liye bhi bhai jaise hain . Main usi nazar se dekhti hun apko. Please aap aisi baten mat kijiye.

Karan : dekho Kalpana tum bahut achi ho aur khubsurat bhi aur har ladki ko ek pyar karne wala to chahiye hi hota hai na. Jahan tak mujhe pata chala hai tumhari life me koi ladka nahi hai. Hum dono ki jodi bahut achi rahegi . Main tumhe bahut khush rakhunga. Tum ek bar han kardo.

Kalpana : sakhti se ) dekhiye main aapse izzat se bat kar rahi hun kyunki aap mere dost k cousin hain warna aisi badtameezi karne wale ka main muh tod deti hun. Aur kisne kaha k meri zindagi me koi ladka nahi hai? Meri zindagi me already ek ladka hai . Aap apne liye koi aur dekhiye.

Karan : tum jhooth bol rahi ho main janta hun k koi ladka nahi hai. Dekho mujhme koi kami hai kya jo tum aisa keh rahi ho ? Kai ladkiyan mere aage piche mandarati hain magar mujhe sirf tum pasand ho. Ek bar han keh do to tumhe khush rakhunga .

Kalpana : jo apke aage piche mandarati hain

Unhi se kyun nahi karte aisi baten ? . Mujhe maaf karo aur mera picha chhodo. Meri life already ek ladka hai

Karan : aise nahi , pehle mujhe nam batao us ladke ka. Mujhe pata hai tum bas jhooth bol rahi ho.

Kalpana : nam janna hai ? Uske bad to dobara aisi harkat nahi karoge aap ?

Karan : tum nam batao uska

Kalapan : theek hai to suno , wo Amit hai jise main pasand karti hun. Ab hato aur jane do mujhe .

Karan : kya ?? Tum use pasand karti ho ? Hai kya usme jo tum use pasand karti ho? Gaon dehat se aya hai , ata jata kuch hai nahi . Kahan tum shehar ki high society ki ladki kahan wo gaon ka desi . Tum jaisi ladki k sath wo aise lagega jaise hoor k sath langoor.

Kalpana : mind your language you , ab tak main sirf is liye chup thi k tum Amit k cousin ho. Ab agar ek lafz bhi uske khilaf kaha na to yahin abhi isi waqt mar mar k bhurtha bana dungi. Tum khud ko samajhte kya ho ? Ho kya tum ? Are uske paon k jute k barabar bhi nahi ho tum . Gaon dehat se aya hai bas yahi jante ho ? Usme jo khoobiyan hain uski aadhi bhi tum me ho na to tumhe aise kisi ko kuch kehne ki zarurat na pade , ladki khud hi tumare aage apna dil rakh de. Kya kaha tha tumne k use kuch ata jata nahi ? Usse jyada sanskar to kisi me maine dekhe bhi nahi . Har ladki ko protect karta hai wo apni behno se hi puch lo ja kar. Mujhe hairani ho rahi hai k tum uske cousin ho. Jise tum aira gaira samajh rahe ho na koi bhi ladki uske kadmo me apna sab kuch kurban kar degi aur tum use aise ghatiya bol kar khud ko acha sabit karna chahte ho. Jao apna rasta napo , agar dubara mere samne aisi waisi koi bat ki to main bhool jaungi k tum uske cousin ho.

Karan to pehle hi Amit se jalta tha aur kalapan ki aisi jali kati baton se wo apni beizzati bardasht nahi kar paya aur gusse me aa kar Kalpana ka hath pakad liya.

Karan : khud ko samajhti kya ho han ? Uske liye meri insult kar rahi hai us do take k aaaaaahhhhhhhhh

Karan ne taish me aa kar galti kar di. Shayad use pata nahi tha k Kalpana judo player hai . Jaise hi usne Kalpana ki kalai pakdi aur amit k bare me kuch bolne laga . Kalpana ne apni kohni ka majboot war uske jabade k neeche kar diya aur karan ek pal me hi hosh gawa baitha .

Kalpana : gusse me ) maine kaha tha na ek lafz bhi uske khilaf mat bolna . Abhi itne me hi chhod kar ja rahi hun agar dobara aisi harkat ki to anjam aur bhi bura hoga .

Karan kalapana k ek war se hi khud ko sambhal na paya tha aur piche gir gya . Kalpana gusse se apni car me baithi aur dhool udati hui nikal gyi . Car ki awaz se Neha bahar aayi to dekha Kalpana ja chuki hai aur karan apne jabade ko masal raha tha kapdon par dhool bata rahi thi k wo neeche gira hai abhi. Neha didi ko ye ajeeb laga k Kalpana to abhi andar aane wali thi aur ab bahar se hi chali gyi .

Neha : karan kya hua tumhe ye tumhare muh par kya hai aur tumhare kapde kyun gande ho gye ? Ye Kalpana kahan chali gyi tum to use lene aye the na?

Karan : wo aaaahhh wo chali gyi use jana tha kahin . Main bhi chalta hun didi bad me milta hun .

Neha : par andar ma tumara intzar kar rahi hai khane par .

Karan : bad me aaunga main mujhe zaruri jana hai.

Itna keh kar karan bina koi aur bat sune apni bike lekar chala gya . Magar Neha khadi is bare me sochne lagi ki ho na ho kuchh to hua hai jo Kalpana aise chali gyi warna wo to aisi nahi hai.

Idhar dopahar ki neend lene k bad jab mausi ne mujhe jagaya to ab sab acha lag raha tha. Jo sar me pehle bhari pan tha wo har gya tha. Divya mausi mere pas baithi thi aur aaj chai Radha bana kar layi apne hathon se .

Radha : garma garam chai , ye lijiye Radha k hathon ki special chai . Lijiye mr Amit aur ye lijiye mata shri apke liye bhi.

Amit : tumhe kya hua hai ? Ye sab ?

Radha : lo ek to special apne hathon se chai bana kar pila rahi hun aur upar se sawal kar rahe ho.

Divya mausi : theek to keh raha hai wo , kabhi dekha jo nahi usne tumhe aise kam karte hue.

Radha : to kya main kam nahi karti ? Aap khud hi to kitchen me ghusne nahi deti mujhe .

Divya mausi : mere hote tujhe kam karne ki zarurat hi kya hai?

Amit : kyun nahi hai mausi ji ? Kal ko iski shadi hogi to kya khilayegi ye apne sasural walon ko ? Pati to bechara bhookha hi mar jayega. Aap ek kam karna iske liye koi bawarchi hi dhoond lena aap jo ise khud bana kar khila sake.

Radha : dekha ma kya keh raha hai ye ? Aap ise hi khana banana sikha do . Mujhe nahi sikhana to.

Divya mausi : bas bas tum dono ye kya baten karne lage. Meri bachi ko waqt aane par main sab sikha dungi .

Radha : nahi ab aap ise hi sikhao , waise bhi mujhe to Dr banna hai to kitchen ka kam ise hi sikhao.

Amit : main kyun sikhun ? Aur mere kam sikhne se tumhe kya ?

Radha : tumhe kam aayega to mera hi fayda hai na.

Amit : wo kaise ?

Divya mausi : chai thandi ho jayegi tum dono ki behasbaji me . Chalo pehle chai piyo.

Amit : chai pite hue ) wah mausi ji ye chai to bilkul aap jaisi banai hai Radha ne . Kahin aap ne ho to nahi banai thi?

Radha : dekha ma ye fir se shuru ho gya

Divya mausi : nahi beta ye Radha ne hi banayi hai. Han main ise bata zarur rahi thi k kya dalna hai aur kab kya karna hai

Amit : ha ha ha ha matlab hath Radha k the par bana aap hi rahi thi .

Radha : maaaa tum bhi iske sath mil gyi . Dekh lena shadi k bad main tumhe hi apne sath le jaungi fir karti rehna sari Umar sewa.

Aise hansi mazak k sath humne chai pi aur main nikal gya stadium ki aur. Ab main ache se practice karne laga tha halanki pehle jaisi lay abhi nahi aayi thi. Par fir bhi kafi bad tak improve tha . Stadium se free ho kar main Manju m k ghar ki taraf ho liya . Aaj bhi Sheena ki car bahar khadi thi to main samajh gya wo yahin hai. Bike ki awaZ sunte hi darwaz khul gya . Magar aaj darwaza Sheena nE khola tha.

Sheena : aa gye tum , hum sab kab se tumhari wait kar rahe the.

Amit : hum sab kaun ?

Sheena : pehle andar to aao .

Sheena ne mujhe andar aane ka rasta diya . Main jaise hi andar aya to sofe par Manju m k sath baithe shakhs ko dekh kar mere kadam wahin jam gye .
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Bunny..

🅒︎🅞︎🅞︎🅛︎
1,188
5,107
143

Jabardast mindblowing update.......
 
Raja chouhan

Active Member
1,991
28,973
173
Update 142

Samne sofe par Manju m k sath Rima aur Rupali baithi thi. Sheena ka to mujhe pata tha or Rima aur uski ma aise yahan aa jaye hi ye main itni jaldi expect nahi kar raha tha . Mujhe dekhte hi Manju m meri taraf badi jabki Rupali mujhe dekh kar asmanjas me thi. Rima k chehre par to muskan tair gyi thi.

Manju m : are aa gye tum , bhabhi yahi hai jiske bare me main bata rahi thi. Isi ki vajah se meri zindagi me khushiyan wapis aayi hain. Ise main kahun main khud nahi janti par he is lucky for me. Amit , meet my bhabhi Rupali Rima ki mom.

Amit : namaste Aunty .

( maine aise hi zahir kiya k main pehli bar Rupali se mil raha hun aur usne bhi waise hi kiya )

Rupali : khush raho , bahut tareef suni thi tumhari aaj milna ho hi gya . Sheena ne bataya tha k kaise tumne use bachaya tha. Rima bhi bahut tareef karti hai tumhari.

‘ are kiski tareef ho rahi hai mom mujhe bhi batao ‘

Ye awaz andar se aa rahi kisi ladki ki thi jo shayad Rima ki sister thi. Mujhe ye awaz jani pehchani lagi aur jab wo samne aayi to hum dono hi ek dusre ko dekh kar hairan ho gye. Ye awaz Dr rina ki thi.

Dr rina : shocked ) Amit tum !!!!!

Amit : shocked ) aap !!!

Manju m : tum dono ek dusre ko jante ho?

Dr rina / Amit : han

Manju m : magar kaise ?

Dr rina : main batati hun . ma maine tumhe jis ladke ka bataya tha na wo yahi hai. Isi ne mujhe us din shadi me bachaya tha.

Ab bari thi Rima k shock hone ki. Wo hairani se kabhi mujhe kabhi apni behan ko dekh rahi thi.

Rupali : to wo tum the jisne meri bachi ko bachaya . Tum sach me bahut ache ho.

Itna keh kar Rupali teji se mere pass ayi aur mujhe gale se laga liya.

Rupali : thank you very much tumne bahut bada ehsan kiya hai hum par. Sach me wo devi hi hai jisne tum jaise bete ko janam diya hai. Tum ne meri dono bacchiyon ki madad ki aur meri is pyari se nanad ko bhi nyi zindagi di. Aur mujhe .... mujh par bhi tumne ehsan kiya . Thank you very much beta.

Amit : isme ehsan kaise Aunty , maine wahi kiya jo karna chahiye tha. Aap aisa keh kar mujhe sharminda kar rahi hain.

Sheena : aaj ek aur karanama saamne aa gya tumhara. Hum sab par tumne koi na koi ehsan kiya hai. You are such an amazing guy.

Dr rina : mujhe koi batayega aur kaun kaun si bat mujhe pta nahi hai ?? Hmmm

Sheena : didi apse to bat hoti nahi hai par Rima sab janti hai. Amit ne hi mujhe bachaya tha jab kuch gundon me mujhe aur Radha ko kidnap kar liya tha.

Dr rina : to wo dusri ladki tum thi?

Sheena : aap janti hain ?

Dr rina : han wo hamari bat hui tha na to baton baton me ye bat batayi thi isne.

Sheena : main to bahut sharminda hun didi , kabhi kabhi khud ko hi galiyan dene ka man hota hai k main monty ki behan hun. Usne iski behan k sath kya karna chaha aur isne fir bhi mujhe bachaya.

Dr rina : shocked ) kyaaaa ???? Wo monty tha jisne ??

Meri taraf dekhte hue ) to wo ladka monty tha ???

Ab is bat me dr rina Kya pooch rahi thi ye sirf main hi janta tha. Aur ab Dr rina kaise behave karengi mujhe ye samajh nahi aa raha tha kyunki unke diye hue injection se maine unke hi cousin ko namard bana diya. Maine sirf han me gardan hilayi aur Dr rina k chehre par gussa aa gya . Ab is bat ko koi aur nahi janta tha siwaye Rupali k jo bilkul bhi naraz nahi thi is bat se. Magar wo bhi nahi janti thi k uski apni beti ka hath bhi isme hai.

Manju m : kamal hai , tum hum sab se hi jude hue ho aur humen hi nahi pata . Ab aao yahan sab k sath baitho. Main kuch khane peene ko lati hun.

Main dr rina ki taraf abhi bhi dekh raha tha jahan par bhaw badal rahe the magar wo meri taraf nahi dekh rahi thi. Tabhi unka phone baja aur wo bat karne k bad hospital jane ka keh kar nikal gyi .

Rupali : beta tumhare mom dad se bhi milawao kabhi humein. Main unse milna chahungi jinhonne tum jaisa sanskari beta paida kiya hai.

Amit : janam dene wale ma bap to ab duniya me nahi hai par jinhonne apna beta bana kar pala hai unse kabhi aapko zarur milawaunga .

Rupali : oh I am sorry , palne wale bhi kuch kam to nahi honge jinhonne aise sanskar diye hain.

Manju m : ye lo coffee piyo . Amit ko mere hath ki coffee pasand hai . Ye roz padne ata hai to hum coffee zarur pite hain.

Manju m sabke liye coffee le aayi thi .

Manju m : bhabhi ab to aap aati rehna mujhe acha lagega . Ab aap sab milne aaye hain to lag raha hai k mera bhi pariwar hai.

Rupali : ab to aati hi rahungi . Aur isi bahane Amit se bhi mil liya karungi.

Manju m : sheena Rima tum dono kuch bol kyun nahi rahi ?

Sheena : main to ye soch rahi hun bua k kaisa ittifaq hai . Amit ne aap par mujh par didi par ehsan kiye aur hum sab ek hi pariwar se hain .

Rima : didi isne to aur bhi kaiyon par ehsan kiya hai . List bahut lambi hai iske karnamo ki.

Manju m : kiski bat kar rahi ho Rima ?

Sheena : wo college me kuch dost hain jin par isne ehsan kiye hain.

Amit : main sirf wahi karta hun jo mujhe sahi lagta hai. Aap ise ehsan mat kahiye . Madad karna insan ka farz hai so maine ki aur fir mujhe to madad mil jati hai badle me.

Rupali : ye tumhara badappan hai k tum bina kisi lalach k har kisi ki madad kar dete ho. Tumne jo kuch bhi kiya hai iske liye agar kabhi main kuch kar sakun tumhare liye to zarur karungi .

Amit : iski koi zarurat nahi hai. Sheena Rima aur rina meri dost hain. Dosto par ehsan nahi hote aur Manju m to mujhe bhai manti hain to kahin se bhi koi ehsan nahi.

Rupali : sab k sath rishta bana liya aur main ? Mere sath to rishta nahi hai na ? To mere upar jo ehsan kiya wo ? Kya uske liye bhi mujhe kuch nahi karna chahiye ?

Manju m : aap par kya ehsan kiya hai isne bhabhi ?

Rupali : wo wo meri 2-2 betiyon ki madad ko bachaya hai isne aur Sheena to kitna badal bhi gyi hai. Ye kya ehsan nahi mujh par?

Manju m : chhodo bhabhi aisa mat socho. Ye ab hamara apna hi hai. Isne bataya na ke maine ise bhai banaya hai to bhool jao sab. Aur tum log ab coffee pi lo warna thandi ho jayegi.

Coffee k bad main jyada der nahi ruka kyunki main unki apas ki baton me kendar nahi banna chahta tha. Sheena aur Rima mujhse bat karna chahti thi par sab k samne aise bat karna bhi shak paida kar deta. Main Manju m k ghar se nikla to mujhe Dr rina ka khyaal aaya . Wo thodi gusse me lagi thi, maine soch kyun na unse ek bar bat kar li jaye. Ye soch kar main sidha hospital chala gya. Dr rina shayad kisi patient ko dekhne gyi thi to main unke cabin me unka wait karne laga. Thodi der me wo jaise hi wapis aayi to mujhe dekhte hi ek jagah ruk gyi . Main bhi apni jagah pe khada ho gya .

Dr rina : to tumne wo injection monty ko laga diya?

Amit : hmmmm

Dr rina : tum jante ho tumne kya kiya ?

Amit : uski thi saza thi warna wo pata nahi kitno ki zindagi barbad karta . Maine use zinda chhod diya itna hi kafi hai.

Maine itna keh kar Dr rina ki taraf dekha to wo lagbhag uchalti hui mere gale lag gyi. Main to hairan ho gya k unhe to gussa hona chahiye tha aur wo khush ho rahi hai.

Dr rina : tum nahi jante tumne kya kiya hai. Main janti thi wo kitna galat hai par chah kar bhi kuch kar nahi sakti thi. Tumne use jo saza di hai wo main kabhi de nahi pati par tumne bilkul sahi kiya hai.

Amit : aap ye kya keh rahi hain ? Wo apka to apka bhai hai.

Dr rina : bhai nahi hai wo , bhai k nam par kalank hai. Uski gandi nazar har kisi par rehti thi aur usne ...... wo isi layak tha.

Amit : aap koi bat chhupa rahi hain? Aap chahen to bata sakti hain mujhe

Dr rina ( man me ) ab kaise bataun k Maine use meri hi ma k sath darindagi karte dekha hai. Main isi liye us ghar me rehna pasand nahi karti. Dono bap beton ki gidh si nazar maine kai bar dekhi hai meri ma meri behan aur mujh par bhi. Ek ko tumne saza de kar humen bacha to liya par dusra abhi bhi hai. Kash k bhagwan use bhi saza de uske karmo ki.

Amit : aap chup kyun ho gyi ? Chaliye chhodiye. Apni jagah par baith jaiye warna kisi ne aise dekh liya to kya sochega?

Dr rina : ho kisi ko sochna hai soch lene do. Aaj main bahut khush hun.

Amit : aap ne kabhi bataya nahi k Sheena aur Rima apki behne hain?

Dr rina : ab mujhe kya pata tha k tum unko jante hoge. Maine to aise hi bat nahi ki. Tumne jo kiya hai uske bad mere dil me tumhari izzat aur bhi bad gyi hai.

( man me ) ab to main tumhare sath hi apni zindagi bitana chahti hun. Ab is dil par tumhara nam likh gya hai . Kisi aur k bare me kabhi soch bhi nahi sakti main.

Amit : acha ab main chalta hun.

Dr rina : itni jaldi kya hai ? Ek cup coffee to pi sakte hain na sath me?

Amit : abhi abhi pi kar aya hun Manju m k hath ki.

Dr rina : ek cup mere sath bhi pi lo please.

Amit : ye please kehne ki zarurat kya hai? Dost manti hain to hak se kahiye. Chaliye mangaaiye jaldi se.

Dr rina : smile ) main abhi mangawati hun.

Uske bad ek ek cup coffee humne sath me pi aur kuch baton k bad maine vida li aur ghar aa gya. Ghar par divya mausi kitchen me kam kar rahi thi . Main apne room me ja kar naha kar fresh ho gya aur fir kuch der bad mausi ne khane ki awaz de di. Aaj khana Radha paros rahi thi to maine maze lete hue kaha.

Amit : to Radha bhi kitchen ka kam sikhne lagi hai.

Radha : khud hi to keh rahe the mujhe kam nahi ata. Ab kar rahi hun to tab bhi baten kar rahe ho.

Amit : acha hai sikh lo , kam se kam apne pati ko to khana khila hi logi .

Radha : tumhe khila rahi hun na , ye sab tumhare liye hi sukh rahi hun jyada baten mat banao.

Amit : mere liye ? Mujh par is meharabani ki vajah ? Kahin fir se shopping par to nahi jana tumhe?

Radha : wo to main waise bhi ja sakti hun . Mujhe pta hai tum mujhe inkar nahi kar sakte.

Amit : tumhe kaise pata main inkar nahi kar sakta ?

Radha : bas pata hai.

Amit : mausi kya kar rahi hain ab kitchen me?

‘ aa gyi main bhi , bas zara saman samet rahi thi’

Divya mausi apni sadi k pallu se apna chehra pochti hamare pas aa gyi .

Divya mausi : dekha kaise kam kar rahi hai meri beti. Zid kar rahi thi k mujhe bhi kam karna hai. Maine mana kiya to kehne lagi k tumne ise kaha hai. Ye salad isi ne kata hai aur sabhi banane me bhi hath baant rahi thi. Chal aaj ab tu bhi baith ja k sab k bad baithegi .

Radha : ma pehle aap dono khao main parosti hun .

Amit : o madam bass bhi karo , ek hi din me sab karogi kya? Aao betho sath me.

Radha : acha baithti hun par pehle tum shuru karo.

Maine khana shuru kiya tab kahin Radha hamare sath baithi. Khate waqt bhi Radha ka dhyan apne khane me kam aur meri taraf jyada tha. Roti sabji khatam hone se pehle hi Radha daal deti. Divya mausi Radha ko aise dekh kar khush bhi ho rahi thi aur khamosh bhi thi jaise kuch soch rahi ho. Khana khane k bad Radha divya mausi k sath kitchen me bartan sametne me lag gyi aur main apne room me aa gya . Maine phone dekha to rima k messages aaye hue the. Maine use phone karna hi behtar samjha. Waise to jab se main yahan aya tha Rima se phone par bat nahi karta tha k kahin mausi ya Radha sun na len.

Rima : ghar par nahi ho kya ?

Amit : main to ghar par hi hun , par tum aise kyun puch rahi ho?

Rima : khud hi to keh rahe the k jab tak yahan ho phone par bat nahi kar sakte .

Amit : wo mausi aur Radha kitchen me hain to thodi der k liye socha bat kar hi leta hun.

Rima : shukriya shukriya . To didi ko bhi jante ho tum , mujhe bataya bhi nahi. Badi tareef kar rahi thi didi aur mujhe pata bhi nahi tha k wo tum ho .

Amit : mujhe kahan pata tha k wo tumhari behan hai. Main to khud hairan ho gya tha unhe dekh kar.

Rima : any wya jo bhi hua acha hi hua. Pata hai ma kya keh rahi thi.

Amit : kya keh rahi thi ?

Rima : ma keh rahi thi k tum bahut ache ho aur tum jaise ladke ka sath jis ladki ko milega wo kitni kismat wali hogi.

Amit : to tumne kuch nahi kaha?

Rima : kya kehti ? K aapki beti ko uska sath mil chuka hai aur wo aapka hone wala damad hai ??

Amit : to bata deti na

Rima : itni himmat nahi hai mujhme. Tum me hai to khud bat kar lena unse . Waise mujhe nahi lagta wo mana karengi. Wo tumse bahut impress hain.

Amit : tum to khush ho na

Rima : bahut bahut bahut khush. Pata hai aaj sab kitne khush the. Bua k sath itne salon bad aaj hum sab mile . Ma to bahut khush thi aur didi bhi . Main to sab se chhoti thi jyada nahi janti par didi aur ma k sath bua ka bahut pyar tha shuru se. Aur ye sab tumhari vajah se hua . I am so happy

Amit : to fir mujhe mera inam kyun nahi diya abhi tak.

Rima : inam chahiye ?

Amit : hmmm

Rima: muaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhh . Ye lo inam

Amit : phone par ? Mujhe to real me chahiye .

Rima : wo bhi mil jayega. Mabadolat tum par bahut khush hain. Is liye jo chahoge milega.

Amit : fir to main tumhari poori body par kiss karna chahunga .

Rima : you !!!!! Aur kuch nahi sujhta tumhe? Jao main bat nahi karti tumse.

Amit : abhi to keh rahi thi jo chaho milega aur ab mana kar rahi ho.

Rima : mujhe kya pata tha tum aisi cheez mang loge. Gande , cheater

Amit : ab cheating to tum kar rahi ho . Agar nahi karni to theek hai . Mujhe bhi kuch nahi chahiye .

Rima : main apne kapde nahi utarne wali . Kapdon k upar se karna ho to kar lena .

Amit : mujhe nahi karna kuch bhi.

Rima : naraz ho gye ??

Amit : nahi , koi aur bat karo.

Rima : acha theek hai main upar se apni T-shirt utar sakti hun.

Amit : koi aur bat karo .

Rima : to tum aise nahi manoge? Acha theek hai jab kahin akele me milenge to main tumhe tumara inam de dungi. Magar tum kuch nahi karoge .

Amit : kya sach me tum kapde utarogi.

Rima : gande , aise kyun bolte ho ? Mujhe sharam aa rahi hai.

Amit : sharam aa rahi hai to fir kaise karogi ?

Rima : mujhe nahi pata tum khud hi kar lena.

Amit : agar maine kuch aur bhi kar diya to

Rima : you !!!! Besharam gande jao main bat nahi karti bye.

Itna keh kar Rima ne phone kat diya . Wo kuch jyada hi Sharma rahi thi aur main bhi uske maze le raha tha. Rima ne phone katne k thodi der bad good night ka message kiya aur sath me I love you besharam bhi likha tha . Message pad kar mujhe hansi aa gyi aur maine bhi use I love you too ka message kar diya . Thodi der bad Radha aur mausi dono hi mere pas aa gyi . Radha k hath me mere liye doodh ka gilas tha aur uske piche hi mausi bhi thi.

Radha : ye li garma garam doodh pi lo.

Amit : yar tum to aaj se hi ek dam badal rahi ho. Kahin kal ko pen ki jagah belan hi na pakad lena , pata chale madam answer sheet par khane ki recipy hi likh kar aa gyi .

Radha : maze le rahe ho na mere , koi bat nahi bachu sab ka hisab lungi dekh lena .

Divya mausi : theek hi to keh raha hai. Tum dheere dheere sikh lena sab , itni jaldi kya hai ?

Radha : dekha tha na apne kya keh raha tha ye ? Ab to main sab kam sikh kar hi rahungi. Warna ye hi kal ko shikayat karega aapse .

Divya mausi : bas bas jyada bat nahi , use doodh pine de aur tu bhi apna doodh pi kar ab aram karo ja kar.

Radha : kya ma !! Thodi der baten karte hain na . Abhi mujhe neend nahi aa rahi .

Divya mausi : time se soyegi nahi to fir subah utha nahi jayega.

Radha : uski chinta nahi hai. Ye hai na subah mujhe uthane ki zimmedari iski hai .

Divya mausi : to usse kam le rahi hai. jab wo nahi hoga tab kya karegi ?

Radha : tab to aap ho hi na mother India . Waise bhi hum kahan der tak jagte hain .

Divya mausi : theek hai theek hai, chal ab doodh piyo aur baten karlo jab tak.

Doodh pine k bad mausi aur Radha dono chale gye aur main bhi late gya. Thodi der bad divya mausi fir se kamre me aayi aur mere pas hi baith kar mera sar sehlane lagi. Main abhi ankhen band kar k leta hi tha to fir se uth gya.

Amit : mausi aap?

Divya mausi : lete raho , main to bas dekhne hi aayi thi k tum so gye ya nahi.

Amit : aap bhi mere sath hi so jaiye na idhar.

Divya mausi : nahi tum aram se so jao main apne kamre me so jaungi.

Amit : kab tak akeli rahengi aap ?

Meri is bat par divya mausi k chehre k bhaw badal gye aur wo meri ankhon me dekhne lagi .

Amit : kab tak aap akele reh kar khud ko saza dogi ? Kya aapko nahi lagta k aapko bhi jeena chahiye. Aap ne to zindagi se aise muh fer rakha hai jaise aap jee nahi rahi bas saza kat rahi hain. Aap dikhawe k liye muskurati to ho par aapki ankhon me ye sunapan main achi tarah se janta hun. Aap ma se bahut pyar karti thi ye sab jante hain . Par kya ye sahi hai k aap ne unke jane k bad jeena hi chhod diya ? Kya ma aapko aisi halat me dekh kar khush hogi ? Wo aapki jan thi aur aap unki , kya wo apni jaan ko aise akele Rota dekh kar zindagi se hara hua dekh kar Shanti se reh pati hongi?

Meri baten sun kar divya mausi ki ankhen bhar aayi aur aansoo fir se apni Seema langh kar neeche girne lage.

Divya mausi : uske siwa aur tha hi kya meri zindagi me mere pas? Agar Radha meri god me na hoti to main bhi usi din mar jati.

Amit : aap aisa kaise soch sakti hain? Ma ko gye itne saal ho gye fir bhi aap aaj tak dukhi hain. To kya wo aapke aisa karane se khush hoti? Aapko to unki zindagi bhi jeeni thi , wo sab kuch dekhna tha jo kabhi unhone socha hoga. Magar aap sirf roti rahi.

Divya mausi : to kya karti ? kaun tha mere pas jiske liye main khush hoti ? Ek Pati mila usne bhi kabhi mujhe samjhane ki koshish tak nahi ki do pyar k bol tak nahi bole mere sath . Kaun tha mere aansoo pochne wala? Damini khud to chali gyi mujhe chhod gyi akela rone k liye.

Itna keh kar divya mausi roti hui uth kar jane lagi to maine unka hath pakad liya.

Divya mausi : chhodo mera hath

Amit : nahi , ab aur nahi , main apko us kamre me khud ko kaid karne nahi dunga. Aap ko un bejan cheezon me apni behan nazar aati hai aur aapke samne jo zinda nishani hai uski wo nazar nahi aati ? Kya wahin aapko ma ka ehsas hota hai mere sath nahi? Kal tak koi nahi tha aapke aansoo ponchne wala par main aapko rone nahi dunga.

Itna keh kar maine mausi ko kheench kar apne gale laga liya.

Amit : aapko fir se muskurana hoga fir se jeena hoga. Yahi meri ma bhi chahti hai aur main bhi.

Divya mausi pehle mujhse alag hone ki koshish karti rahi par fir ek dam se unka rina bahut jyada ho gya aur mujhe kas kar gale lagate hue wo zor zor se rone lagi.

Divya mausi k rone ki awaz sun kar Radha bhi bhagti hui aayi magar humen is tarah dekh kar wo bhi darwaze par hi khadi ho gyi . Is nazare ko dekh kar uski ankhon me bhi aansoo the aur meri bhi. Radha wahin se humen dekhti rahi aur mere sath nazar milte hi uski ankhon me ek khushi nazar ayi. Wo chupchap apni ankhen saf karti hui wapis laut gyi.

Amit : ro lijiye jitna chahe ro lijiye ma par aaj k bad main aapko sirf haste hue hi dekhna chahta hun. Kya aap apne bete k liye , apni behan k liye fir se nahi jiyengi ? Zara sochiye aapko rota dekh kar mujh par Radha par aur meri ma par kya bit ti hogi. Ab aap kabhi nahi royengi. Main apko wo har khushi dunga jiski aap hakdar thi magar aapko nahi mili. Mausa ji ne aapko chahe na samjha ho par hum apko samajhte hain aur aapko ab kabhi rone nahi denge . Aapko un bejan cheezon se bahar aa kar jeena hi hoga. Us kamre ki kaid se aapko aazad hona hi hoga.

Divya mausi : rote hue )main damini ko kabhi nahi chhod sakti , main uske bina nahi jee sakti .

Amit : kaun keh raha hai k aap unhe bhool jao? Main bhi to jee raha hun na apni ma ko khokar. Kya aap unki jagah nahi le sakti? Kya aap mujhme apni behan ko nahi dekh sakti? Kya main aapko pyara nahi hun ?

Divya mausi : aisa mat kaho ? Tum to meri damini ka ansh ho . Uska vajood tum me hai.

Amit : to fir aap mujhe Rita dekhna chahti hain ? Apni behan ko rota hua dekhna chahti hain ?

Divya mausi : rote hue ) nahi main damini ko rota hua nahi dekh sakti . Wo bhi kabhi mujhe rone nahi deti thi.

Amit : to fir aapko unki kasam k ab aap fir se khush rahengi fir se jiyengi. Main aapko wahi pyar dunga jo main unko deta . Apko apni zindagi bhi jeeni hai aur meri ma ki bhi. Boliye aap karengi na aisa ? Aap khush rahengi na ? Fir jiyengi na ?

Divya mausi: han mere bache main tujhe dono ka pyar dungi . Main tere liye aur Radha k liye jiungi. Main tum dono ko bahut pyar dungi. Main damini k liye jiyungi. Mujhe maaf karde beta itne saal main tujhse door rahi . Tere sath khud ko bhi dukh deti rahi.

Divya mausi piche hat kar meri ankhon me bhi ansoo dekhe to meri ankhen saaf karte hue kehne lagi.

Divya mausi : tu kyun rota hai ? Mere aansoo ponch raha tha aur khud ro raha hai.

Amit : main kahan ro raha hun ma ye to tumhari behan ki hi ankhen hain jo aansoo rok nahi pa rahi .

Divya mausi ne fir se mujhe kas k gale laga liya.

Divya mausi : han ye meri behan ki hi ankhen hain isi liye ro rahi hain. Aur tere andar jo dil hai na wo bhi meri behan ka hi hai. Isi liye tune mera wo dard mehsus kiya jo koi nahi kar paya. Ye sirf damini hi kar sakti thi. Main ab kabhi nahi roungi. Main apni behan ki atka ko dukhi nahi karungi. Tu sach me meri damini ka hi aks hai aur main tujhe kuch aur hi samajhti rahi. Main ab tere liye jiungi mere bete sirf tere liye. Tu jo kahega wahi karungi . Tu kabhi mujhe akela mat chhodna . Main teri har bat manungi.

Itna keh kar divya mausi ne mere chehre par apne pyar ki barish karte hue aneko chumban de diye jisme sirf unki mamta thi. Maine bhi unke aansoo saaf kiye aur hum ek dusre k gale lage kitni der tak aise hi baithe rahe aur jane kab main mausi ki god me so gya aur aaj wo bhi sab kuch bhula kar chain se soyi . Kamre k bahar Radha tab tak khadi rahi jab tak k hum baten kar rahe the. Aur fir wo bhi apne kamre me ja kar so gyi apne dil me ek khushi liye apni ankhon me kuchh sapne liye.

Subah meri ankh khuli to divya mausi mere sath hi so rahi thi. Unka ek hath mere sir par hi tha. Zamane bhar ki masumiyat unke chehre par jhalak rahi thi. Magar chehre par aansuon k daag bhi nazar aa rahe the shayad wo mere sone k bad bhi royi hongi . Divya mausi ko dekh kar main fir se unki zindagi k bare me sochne laga. Maine man me irada kar liya k unke chehre par hansi wapis la kar hi rahunga. Mujhe unhone apni aur meri ma ki sunehri yaden to batayi thi par ab waqt tha unki zindagi ki kitab k un kaale pannon ko kholne ka jo shayad unhone kisi ko bhi nahi bataye the. Maine jhuk kar unke mathe par ek kiss kiya aur khud fresh hone chala gya. Uske bad maine thodi der exercise ki . Itne me mausi bhi uth gyi aur mere piche piche doodh ka gilas liye upar aa gyi . Doodh pite hue bhi wo pyar se mere sir par hath fira rahi thi. Unke pyar aur sneh se main bhi khush tha andar se par ab unko khushi dene k liye unke andar se main har wo dard nikalna chahta tha jo unhe aage nahi badne de raha tha.

Divya mausi : jaldi uth gya tha to mujhe bhi jaga deta.

Amit : aap itne sukoon se so rahi thi k mera dil hi nahi kiya aapko uthane ka.

Divya mausi : sach kaha tumne , barson bad mujhe aisi sukoon ki neend aayi hai. Mujhe sote hue aisa hi lag raha tha jaise main damini k sath hun. Aur jante ho maine sapne me bhi use dekha.

Amit : achaaa !!!! Kya keh rahi thi ma?

Divya mausi : wohi jo tum keh rahe the kal rat. Wo bhi mujhe khush rehne aur zindagi jeene ko keh rahi thi. Aaj se pehle main hamesha jab bhi use sapne me dekhti thi to purani yaden hi aati thi ya fir uski bhari hui ankhen jaise wo bhi dukhi ho. Par kal rat maine uske chehre par khushi dekhi. Aur mujhe bhi usne aise hi khush rehne ko kaha.

Amit : aur kya kaha ma ne ?

Divya mausi : aur ye k mere bete ka khyal rakhna kahin main tumhe bhi apne sath rulati na rahun. Chal ab neeche aaja main bhi tab tak naha leti hun aur us maharani ko bhi jaga dun.

Amit : nahi mausi ji use main jagaunga . Usne meri duty jo lagayi hai.

Divya mausi : acha theek hai tum use jagao aur main taiyar ho kar nashta lagati hun.

Divya mausi muskurati hui neeche chali gyi aur main bhi unke peeche peeche niche aa gya. Mausi nahane chali gyi aur main aa gya Radha ko jagane. Radha hamesha ki tarah apni masumiyat k sath sapno me khoyi hui thi. Use ye masumiyat aur khubsurati divya mausi se hi mili thi. Maine kuch der use dekha aur fir uske komal galon par apna hath rakh kar use awaz di.

Amit : Radha uth jao , dekho subah ho gyi .

Ek bar awaz dene se wo na uthi to Maine fir se uske gal sehlate hue use awaz di.

Amit : Radha dekho subah ho gyi hai uth jao. College bhi jana hai.

Radha : unmmmmm sone do na ma

Itna keh kar Radha ne mera hath apne chehre k neeche daba liya. Ek bar to dil kiya k uske aise hi sone dun . Wo itni pyari lag rahi thi k uthane ka dil hi nahi kar raha tha par college bhi to jana tha.

Amit : Radha dekho hum college k liye let ho jayenge utho jaldi se warna main pani daal dunga fir tumare upar.

Radha ne itna sunte hi ankhen khol li aur mujhe dekhne lagi. Bina kuch bole wo bas meri ankhon me dekh rahi thi aur main bhi khamoshi se use dekh raha tha. Pata nahi kya uski nazron me tha par wo jaise kuch keh rahi thi. Fir wo ek dam se uthi aur mere gale lag gyi . Ye sab itni jaldi hua k mujhe samajh me hi nahi aya. Par ye ehsas bahut khas tha. Hum dono hi khamosh the aur main use mehsus kar raha tha. Uska wo komal ehsas mujhe jaise apne sath bandh raha tha aur meri ankhen apne aap band ho gyi aur pata nahi kab mere hath uski pith par chale gye . Uski khushbu meri sanso me ghul rahi thi. Pata nahi ye kya Kashish thi jisne mujhe pathar ki tarah jad kar diya tha . Na Radha kuch bol rahi thi na main par hamari dhadkane jaise tez hoti ja rahi thi. Zuban khamosh thi aur dil bat kar rahe the. Mujhe ek atoot nirmal prem ka ehsas hone laga tha. Aur main khota chala gya us pyar k athah sagar me .

Radha : thank you very very much . Tumne ma ko sahara diya . Use hamesha se iski zarurat thi . Mere sath to wo kabhi apna dukh bant ti hi nahi par tumne unke zakhmi dil ko chhu liya hai . Please meri ma ko hasna sikha do use fir se jeena sikha do. Ye sirf tu hi kar sakte ho. Wo tumhe dil se pyar karti hain. Mujhe pata hai tum mere liye ye zarur karoge . Karoge na?

Amit : han Radha , main tumhare liye kuch bhi kar sakta hun aur divya mausi to fir bhi mere ma jaisi hi hain. Main unhe ab kabhi dukhi nahi hone dunga aur na hi tumhe.

Radha : tumhare hote main kise dukhi ho sakti hun. Tum bas hamesha mere pas rehna.

Hum dono aise hi gale lage hue the k bahar se ati mausi k kadmo ki awaz se hum alag hue. Radha ka chehra tamatar ki tarah gulabi se lal ho raha tha aur ek khushi uski ankhon me thi par jaise hi hamari nazren mili usne Sharma kar nazren fer li.

Radha : lagta hai ma taiyar ho gyi hai ab tum bhi naha lo .

Amit : han wo main , main bas tumhe hi jagane aya tha . Tum bhi taiyar ho jao .

Itna keh kar main kamre se bahar aane laga to piche Radha ki awaz ayi

Radha : thank you for this lovely morning.

Maine ek bar piche mud kar use dekha to wo Sharma kar jaldi se bathroom me ghus gyi. Main bhi uski is muskurahat se muskurata hua apne kamre me aa gya . Uske bad hum dono hi taiyar ho gye . Radha ne aaj bhi nayi dress pehni thi . Ye ek white aur pink combination ka designer suit tha ho aksar high society ki ladkiyan pehenti thi. Radha jab is dress me mere samne aayi to Main use dekhta hi reh gya. Radha meri halat par fir se muskurane lagi .

Divya mausi : are wah !! Meri beti to kal se bhi jyada khubsurat lag rahi hai . Idhar aa pehle kala tika laga dun warna kisi ki nazar lag jayegi tujhe.

Divya mausi ne apni aankh k kajal se ek kala teeka Radha k kan k piche laga diy aur uski balayen lene lagi.

Divya mausi : aise aur kitne dress liye hain tune ? Dekh kar to lag raha hai bahut mehenge honge. Paise kam to nahi pade the?

Radha : wo paise to isne liye hi nahi jo apne diye the.

Divya mausi : to iska matlab tumne iski sari jeb khali kar di?

Amit : are kya mausi aap bhi , aisa kuch nahi hai . Waise bhi baba ne aur Ajay mama ji ne bahut sare paise dal rakhe hain mere khate me. College admission k paise to aise hi bach gye the aur apna jeb kahrach bhi to istemal nahi hota. To fir iska istemal main apno par to kar hi sakta hun na. Waise bhi Radha ka bhi hak hai un paison par.

Radha : dekha ma , iski jeb par mera hak hai , main jo chahe karun. Waise bhi ye sab dress pehen kar maine iske sath hi to jana hai.

Divya mausi : bas bas , wo to rokega nahi tujhe par tum ko khud sochna chahiye . Chalo ab dono baitho main nashta lagati hun.

mausi ne humen garma garam paronthe khilyae. Nashta karne k bad hum college k liye nikal gye . Hamesha ki tarah Radha mere sath lag kar baithi thi aur uska hath mere pet par hi tha. Hum dono baten karte hue college pahunch gye . Parking me hi Mohit aur minal mil gye aur hamare piche piche hi Kalpana aur Neha didi bhi aa gye. Aaj mujhe Megha se bhi milna tha aur ye sab mujhse naraz na ho iske liye inke sath bhi rehna tha. Megha ne mujhe 11 baje bulaya tha to maine socha k canteen ki class k bad hi jaunga. Thodi der wo mera intzar kar hi legi.

Dusari taraf subah jab Kalpana Neha ko lene uske ghar gyi to Neha ne car me Kalpana se kal ki ghatna k bare Me poocha.

Neha : Kalpana , kal tum bahar se kyun chali gyi thi ? Hum sab tumhara andar intazar kar rahe the aur tum andar aane ka keh kar bahar se hi chali gyi?

Kalpana : wo wo papa ki call aa gyi thi , unhe mujhse kam tha to mujhe wapis jana pada.

Neha : sach bol rahi ho ?

Kalpana : hh haan didi main jhooth kyun bolungi? Aapko aisa kyun lag raha hai ?

Neha : wo is liye k ek to tum achanak se chali gyi aur dusra karan ki halat bata rahi thi k kuch hua hai . Dekho Kalpana main tumhe apni behan manti hun aur mujhe pata hai k tum bhi mujhe behan hi manti ho. To fir mujhe sach batao. Agar Karan ne koi badtameezi ki hai to mujhe pata hona chahiye taki aisa dobara na ho .

Kalpana : jaane dijiye didi , waise bhi use jawab mil gya tha. Aise bat badane se kya fayda? Main bat nahi karna chahti jisse aapko bhi dukh pahunche aur baki sab ko bhi .

Neha : dekh Kalpana, mujhe tumhara samman bhi utna hi zaruri hai jitna k apna. Agar tum mujhe sach nahi bataogi to kal se main tumhare sath nahi aaungi car me.

Kalpana : agar aapki yahi marzi hai to suniye . Kal karan ne mujhe purpose kiya tha . Maine kai bar ye note kiya tha k wo mujhe dusri nazar se dekhte hain aur roz kisi na kisi bahane se aate hain. Kal aapke andar jate hi wo mujhe rok kar khada ho gya aur mujhse friendship karne k liye kehne laga. Maine unhe talne k liye keh diya k mera bf hai. Aur jab usne ladke ka nam poocha to maine amit ka nam le diya. Mujhe laga tha k Amit ka nam sunte wo piche hat jayenge par wo to Amit k bare me bhi galat bolne lage. Mujhe gussa aa gya upar se usne mera hath pakad liya tha to Maine gusse me ek dhar diya. I think he is psycho , jaise wo amit k bare me bol raha tha wo shayad nafrat karta hai Amit se. Kya aisa kuch hua hai dono k beech jis vajah se wo aise kar rha hai?

Neha : kyaaaaa ??? Itna kuch ho gya aur tune batana theek nahi samjha? Karan se mujhe aisi ummeed nahi thi. Main aaj hi bat karti hun ma se.

Kalpana : rehne do didi isi liye main nahi bata rahi thi. Chhoti si bat ka issue ban jayega didi. Aur jab Amit ko pata chalega to fir kya hoga ? Main nahi chahti k us tak bat pahunche.

Neha : tujhe is bat ki tension hai k Amit ko bura lagega , aur jo mujhe bura lag rha hai? Waise bhi kal ko koi aur bat ho gyi to ? Fir Amit ko pata laga to ? Kya wo tab naraz nahi hoga ?

Kalpana : kya didi aap bhi, kuch nahi hoga. Kuch hua to main hun na sab theek kar lungi. Waise kal k prasad se mujhe nahi lagta wo dobara galti karega. Aur Amit ko kaise pata chalega jab tak use koi batayega nahi ?

Neha : par mujhe ye theek nahi lag raha. Mujhe sharam aa rahi hai k usne aisa kiya. Ek bhai garv se sar uncha kar raha hai aur ek sharminda kar raha hai.

Kalpana : chhodiye didi aap kyun dil par leti hain? Amit hai na sar uncha karne k liye , aap bas uske bare me sochiye .

Neha : wo hi to mera saccha bhai hai. Wo mujhe bahut pyar karta hai. Kash wo real brother hota mera. Karan pata nahi kyun aisa kar raha hai ? Use to Amit k bare me kuch galat nahi kehna chahiye kam se kam . Tu theek kehti hai is bare me main Amit se bat nahi karungi par karan se main zarur puchungi k usne aisa kyun kiya aur Amit k bare me wo galat kyun bola. ...
 
Status
Not open for further replies.
Top