• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aidenhunt

Active Member
1,522
3,677
144
Update 141



PARAS

Sultan:tum hone wale sultan ho bolna agar tumhe koi pasand ajaye to bhi waise bhi mujh se zyada dunya tum ghumte ho

Shamshera:man me)Abba jaan jinse me muhabbat karta hu jinko apni zindagi bana na chahta hu uska naam bhi le liya to shayad aap abhi meri jaan le lein

Sultan:jaao beta aur so jao raat bhar k jage ho me dekhta hu

shamshera:theek hai jaisa aapka hukm

shamshera apne huzre me jata hai aur let jata hai aur use fir se uski ammi hooriya yaad aarahi thi wo kaafi thaka tha kuch der me gehri neend me chala jata hai

Idhar Sultan meer wahid apne huzre me soch raha tha k aakhir kaun hai jo uski jaan lena chahta hai,sultan uth kar thodi der baagiche me tahalta hai fir wapas aakar sultan snanghar me jata hai aur naha dho kar apna nashta kar k apne darbar me jane lagta hai darbar me pahuchte he waha saare mantri gan khade ho kar sultan ka swagat karte hai sultan ja kar apne gaddi per baith jata hai aur apne hatho k ishare se sabko baithne ko kehta hai sab niche baith jate hai

Sultan:man me)abhi mujhe kisi ko pata nahi chalne dena hai k mahal me saajish ho rahi hai nahi to mera dushman hoshiyar ho jayega mujhe use uski he jaaal me fasana hoga

Sultan:chan paasha aaj ka darbar shuru kiya jaaye

chan pasha:Jo hukm sultan

Gul shah:man me)aaj ka aakhiri din hoga meer wahid tumhara q k ab sultan ban ne ki bari meri hai

Sultan apne mantrio se har masle per baat karne lag jate hai

Chan pasha:Sultan aaj he Maharaj devraj ka aadmi khabar le kar aaya k wo Ghatrashtra se kuberi laut aaye hai

Sultan:Kuberi me ab kaisa mahaul hai

Chan pasha:Sultan maharaj devraj bhut jald he kuberi wasio ko insaaf balbute apna kayal kar lenge aur sab unko apna raja man lenge q k waha pr gareebo ko raja ratan singh ne bhut sataya hai

Sultan:Meri khwaish hai k raja ratan singh ki biwio se devraj shadi kar le

sultan dastan:beta ye to galat hai kisi se zor zabardsti krna

Sultan:abba jaan maine ye nahi kaha mai chahta hu k ratan singh ki biwiya maan jaye aur devraj k sath ghar basa le isi me unki bhalai hai

Udhad parde k peeche auroto k darbar me hooriya ki saas afsana khatun hooriya ki tabyat kharab thi sun kar use apne paas bulati hai

Afsana :Beti hooriya aap ki tabyat kaisi hai ab

Hooriya:theek hai ammi jaan
06-BECF35-A5-F5-4-FF3-8-AD6-E00-C383-EEADB
Afsana:Beti tu bhut kamzor lag rahi hai khane peene pr dhyan do

Hooriya:ji zarur ammi jaan

Afsana:Beti jab se tu mere bete sultan meer wahid se shadi kar k aai hai tab se me tujhe apne bahu nahi beti samjhi hu fir bhi tumne mujhe tak khabar pahuchana gawara nahi samjha

Hooriya:ammi jaan mai bhi to aapko apni maa manti hu islye to apko bewajah pareshan nahi karna chahti thi

Afsana:beti aaj jo ye sultanat hamare paas hai jo aaj mera beta aadhi dunya par hukumat kar raha hai wo sab teri duwao k badaulat beti..tumhare aane se pehle hamare paas tha he kya..hum pareshan ho jayenge lekin tumhe pareshan nahi hone denge hoor e jahan

Hooriya:man me)Islye to ammi jaaan wo dusri teesri fir chauthi shadi kar liye aur mujhe akela chhor dya ab to me sultan ko bhaddi moti or budhi lagne lagi hu

Hooriya:Shukria ammi jaan aainda apko bata dya karungi

tabhi waha pr Naaz aajati hai aur muskurate hue

Naaaz:ammi jaan mujhe mallika e jahan ki ek or shikayat karni hai

afsana:kaho beti naaz kya baat hai

Naaz:Ammi jaan kuch dino tak to Hooriya baaji naye naye poshak pehan rahi thi ab ye kal parso se to ye wapas purane jhola jaise poshak pehan rahi hai inhe bataye ye nay libas me kitni khoobsurat lag rahi thi

Afsana:Ye bat sach hai naye libaas me to bhut zyada he khoobsurat lagti thi hooriya

Hooriya:ammi jaan wo naye libaas kaafi kase hue hai aur usme mere badan ka bhi andaza saaf pata chalta hai

naaz:Lijiye ammi jaan hooriya baaji kaun sa mahal k bahar jati hai jo gair mard unhe dekhe or waise bhi shehzade shamshera ne to keh he dya tha k jo hooriya baji ko aakh utha kar dekhega uski kya saza hogi tab se to koi dekhna to door jaha hooriya baaji jati hai waha par ek mard nahi dikhta

Afsana:ye baat bhi sahi hai hooriya ab pehle jaise to nahi aapko koi ghoor raha ho aur qatl ho raha hai to thode kase hue libaas pehan lene me kya burai hai

Hooriya:bass ammi sochungi is bare me pr hamesha se dheele dhale kapde pehan ne ki adat hai islye

Naaz:Hooriya baaji nakhun ko bhi dhak k rakhna pasand karti hai inka bass chale to aakho par bhi patti bandh k chale

ye keh kar naaz hasti hai aur sath afsana bhi has deti hai

Naaz:Lagta hai shamshera aaj bhi darbar me nahi aaye

Hooriya:hmm baaji kahi hog

Naaz:kya baaji aap ko us par lagam lagane ki zarurat hai do din se wo gayab hai ab aapko to pata he hai wo kaha hote hai

Hooriya:man me)Kaha hoga ..hoga kisi vaishya k paas apne hawas ki aag thandi kar rha hoga..mai to us se baat karna gawara nahi mai kya samjhau use

Afsana:Hooriya hume lagta hai shehzade shamshera ki ab shadi kar deni chahiye umar hui ab

Hooriya:Ji ji aap sahi keh rhi ho

Naaz:to kab karogi uski shadi baaji jaldi se bahu le aao

Hooriya:Wo inkar hai naaz

afsana:Beti hooriya tum use manao mujhe umeed hai wo tumhari baat kabhi nahi katega

Dupahar me shamshera uthta hai aur apne aap ko tayyar kar k apne pita sultan meer wahid se milne jata hai

Sultan:aaao beta mere sher

Shamshera:aap theek to hai na abba jaan

Sultan:bilkul aao baitho

Shamshera:abba jaan mai chahta hu k aap jab tak ye guthi nahi sulajh jaati tab tak aap mahal se bahar nahi jaaye

Sultan:hmm shayad tum theek kehte ho

Shamshera:abba jaan kya aapko kisi per shaq hai

sultan:Ab tak to kuch samajh nahi aya hai par bhut jald hum dushman ki sajish nakam kar denge hmm beta tumhari wafadari aur mehnat se me bhut khush hu tum na hote to shayad dushman k sajish ka hume pata nahi chalta mujhe bhut fakhr hai tumper

Idhar baap bete saajish ko pehchanne me lage the or udhar chan pasha apne ghodo ko dauraye paras se door pahado k taraf ja raha tha halki suraj ki roshni thi andhera dheere dheere chha raha tha chan pasha apne ghode ko puran ki ore daura raha tha aur surya ki kirne chan pasha apne peeche chhorta aage barh raha tha chan pasha gufa k paas ja kar apne ghodo ko rokta hai aur utar kar gufa me jata hai

Shungu:aaaao chan pasha

chan pasha:hmm shungu tayyari kaisi chal rahi hai

Shungu:hamari tayyari puri hui par

Chan pasha:kya?

Shungu:Hume kaam se pehle apni aadhi raqam chahiye

Chan pasha:tumhe mujhpe bharosha nahi

shungu:hahaha bharosha jab tum apne sultan ka qatl karwa sakte ho to tum kuch bhi kar sakte ho chan pasha

Chan pasha:theek hai me 500 sone k sikke tumhe deta hu la kar

shungu:nahi

chan pasha shungu ka muh dekhta hai

shungu:hume 2500 sone k sikke abhi do aur 2500 sone k sikke kaam k baad

Chan pasha:ye to tum bada muh khol rhe ho shungu

Shungu:kaam bhi to bada hai chan pasha..kya tum nahi chahte k paras agle wazeer aazam tum bano

Chan pasha:agar me tumhari baat nahi manu to

Shungu:agar tumne chalaki ki to Mahal me tumhe aur tumhare ustad gul shah ko mai apne aakho k samne zillat ki maut marta hua dekhunga

Chan pasha:shungu tumhari ye himmat..mat bhulo k tum ek maamuli lootera hai cheeni lootere

Shungu:ab aage tumhari marzi tumhe raqam ada karni hai ya nahi

Chan pasha:theek hai badbakht me abhi laya

chan pasha ja kar sone ki sikke la kar de deta hai

chan pasha:Ab khush ho

Shungu:Chan pasha apne ustad ko kah do kal subah Sultan apne bagiche me tahalne to apne do pairo pe jayega par use wapas lane k lye 4 log lagenge

Chan pasha muskurata hai aur shungu ko khush ho kar dekhte hue

Chan pasha:theek hai me chalta hu par chahe tum apni jaan de do hamara naam tumhara aadmi nahi lega nahi to

Shungu:hum lootere zarur hai hai pr apne wasulo k pakke hai hum mar jayenge par tum ya tumhare ustaad gul shah ka nam nahi uglenge

Chan pasha gufa se nikal kar chala jata hai

shungu apne aadmio ko samjhata hai kaise hamla karna hai aur sultan ko subah sawere he maut k ghat utar dena hai

Chan pasha mahal pahuchta hai aur seedha apne ustad gul shah k kaksha me jata hai

Gul shah:aao chan pasha kaho kya khuskhabri hai

Chan pasha:Aapko kaise ahsas hua khushkhabri ka ustad

Gulshah:tumhare chehre ki muskurahat he bata rahi hai tum koi achi khabar le kar aaye ho

Chan pasha:maan lya aap ustad ho..baat ye hai shungu kal sawere hamla karega

Gulshah:tab to hume sawere jaag jana hoga taqe hum sultan ki jaan bacha paye

chan pasha hairan hote hue gul shah ko dekhta hai aur gul shah chan pasha ka chehra dekh zor se has padta hai

Gulshah:Chan pasha islye taqe hum sultan ko marte hue dekh sake apne aakho se
Gulshah gusse me kehta hai

Chan pasha ab has padta hai aur sath he gul shah bhi has deta hai

Shamshera raat me apne huzre me chahal kadmi kar raha tha

Shamshera:man me)aaaj raat mujhe hoshiyar rahna hoga agar saajish karne wale mahal k hai to ye bhi ho sakta hai abba jaan par hamla kare..un logo ki bato se ye lagta hai jaise hamla ki aakhiri tayyari me ho aur mujhe lagta hai wo hamla kabhi bhi kar sakte hai

Shamshera apne talwar paas rakha utha leta hai aur usko miyan se kheech kar apne talwar ki dhaar par hath lagte hue

Shamshera:Un lootero ko me isi talwar se maut ka maza chakhaunga aur kisi bhi trah mahal me sajish karne wale ka pardafash karunga us cheeni lootera shungu ko pakad k

To be continued
 
Top