• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,877
188
•°UPDATE 3•°

Recap -

" Hmm... Mai ise yahan mahsoos kar sakti hun, thik tumhare pass.." jaise hi usne ye kaha, usne apni bhaunhe sikod li aur aisa lag raha tha jaise wo kuch bade dhyaan se sun rahi ho.


Achanak se, uska haath ab Manav ke pet par pahunch gaya.

Aur jaise hi Manav ne apne pet ko uske hath se door le jane ki koshish ki, uss cute little girl ne turant Manav ki kalai/wrist ko pakad liya aur aasteen upar kar di - jisse
hare rang ka Dragon jaisa tattoo ujaagar ho gaya!




AB AAGE :-


Apne ajeeb se tattoo ko chhipane ke liye, Manav ne turant apna haath peeche kheech liya.

Tabhi ! uss sundar chhoti ladki ne phir se apna haath badaya aur Manav ke pet par rakh diya.. Jaise ki woh kuch mahsoos karne ki koshish kar rahi ho.

" Tum.... Ye Kya kar rahi ho...? Tumhari uss chij ke liye kya mere pet ko chhuna jaruri hai..? Manav ne uska haath chhudaya, wo ab uncomfortable /asahaj lag raha tha.

Iss samay tak, bheed abhi poori tarah se nahin chhati thi. Kayi, abhi bhi kuch aur hone ka intjaar kar rahe the. Iss age/umar ki chhoti ladki ko university me kisi ko aise dundhna.... Ye logo ko har tarah ki cheejon ke baare me sochne par majboor kar raha tha.

" Tum dono!! , tumhari jo bhi problem hai.. use kahin aur solve karo." chunki wo bheed ko poori tarah se nahi hata paaya, Adarsh, Manav ko bahar nikalne mein help karne ke liye dusre tarike try kar raha tha.


" Chhutki tum...! , tereko ab Manav mil gaya hai na! Mere ko lagta hai ki tum dono ke beech koi misunderstanding hui he. Waise ye hai Manav Shisht , tumhara naam kya hai ? "

" Sabse pehle to, mujhe chhutki mat kaho!! Humph, aur ye ek shisht manav hai ?? mujhe to ye ashisht manav jyada dikhta hai! "
Manav ki or dekhte hue, uss ladki ne farmaan jari kara,

" Jab tak tum mujhe meri cheej wapas nahi kar de dete, tab tak tum kahin nahi jaa sakte! "

**( Shisht Manav - Sabhya Insaan/Good person
Ashisht Manav - Ashabya Insaan/ Bad person) **

" Acha theek hai!! theek hai..! Lekin chalo! hum kahin aur baat karte hai.....!" Manav ne ladki ki kalai pakdi aur academic building ki aur badh chala.

Kyuki excitement aur masala dono hi kam ho gayi the, kisi ne bhi unke pichhe jaane ki takleef nahi ki. Thodi der tez kadam taal ke baad, Manav ne ladki ki naajuk kalai ko chhod diya aur kaha, " Kya ho tum!!!, tumhe itna bada bawal machane ki kya jarurat thi?? I swear..., maine sach me tumhara kuch nahi liya."

" Tum kise bewakoof banane ki koshish kar rahe ho? Jara apni wrist par bane pattern ko explain kar sakte ho! ??" Uski najar Manav par tiki hui thi. Aur Uske haav bhaav Manav ko chhod dene ke to bilkul nahi lag rahe the.

" Ye.. Shayad se so - called generation gap..ka asar ho sakta hai..." Apne se takareeban 4 ya 5 saal chhoti, jiddi ladki ko dekhkar, Manav ko mehsoos hua ki wo iss ladki se paar nahi paa sakega.

" Dekho... pahli baat! maine tumhara kuch nahi liya. Doosra, maine kal tumhari jaan bachayi - aabhari/grateful hone ki bajay ulta tumne mujhpar punch/ mukka jad diya. Aur sabse badi baat, tumne poore campus me mujhe lekar hahakaar macha diya ..., batao iske baad mai kaise yaha normally reh sakunga?" Manav ne apne points rakhe.

"Mujhe bas meri wo cheez vaapas kar do aur fir sab kuch normal ho jaega," usne Manav ko ghoorna jaari rakha aur apni jidd par adi rahi.

Uski lagataar same demand ne Manav ko pagal karke rakh diya tha.

"Thik hai ... Ab jo bhi hoga dekha jayega. . main kuch khaane ja raha hun." ladki ko wahi chhod, Manav muda aur Rose cafe ki aur badh gaya. Ye Rose cafe academic area ke sabse najdik tha.

Baharhaal, apni pretty si, cute si "chhutki" Nahi maani aur chal di Manav ke piche piche..haalanki uske facial expression Manav ko khaa jane wale hi the.

Cafe me dakhil hone ke baad, Manav chal diya food counter ki or.. Par!
Par... Wo ladki kiski joonk / leech ki tarah apne Manav ka picha nahi chhod rahi thi.

Yahan tak ki jab Manav ne ordar karne ke liye apna Prepaid Cafe card nikala, to uski teekhi najren Manav se hi chipki hui thi.

"Yarrr.... kya karu me tumhara!! ? " Manav ne aah bhari, aur dubara apna Prepaid Cafe card nikala,
" Mam, one more order of Nachos Grande, please. "
Bechara wo aur kar bhi kya sakta tha.

Aur fir, jab wo apni food tray ko table tak le gaya, ladki bhi apni tray lekar uske piche piche aa gyi.

Jaise hi woh baitha, ladki theek uske saamne baith gayi.

( Manav ki naak me dum kar ke rakha hai " Sundar ladki" ne 😁)

Wo ab uske har move ko copy karne lagi. Jab wo khayega to wo khayegi. Jab wo khana band kar dega to wo bhi kar degi.

" Dadi amma.. Tumhe dadi amma kehna hi sahi rahega, hai na ? Tumm.. samjhti kyu nahi...! Mere pass tumhari koi si bhi cheej nahi haiii!!!." Manav safai dene aur uss ladki ko frown look dene ke alawa kuch nahi kar sakta tha.
Ek jaan bachane ke chakkar me itni badi aafat gale pad jayegi..., Nishchit taur par Manav ye expect nahi kiya tha.

" Tumhara tatto to kuch aur hi keh raha hai. Jo cheej tumne li hai uska ye sabse solid proof hai. " Ek second ke liye bhi, apni ankhein Manav se naa hatate hue, weh ladki apni baat par kayam rahi.

"...Aur tumhe aisa kyon lagta hai..? " Manav ne poocha.

" Mai..., mai iska reason tumhe nahi bata sakti... Aur vaise bhi, mai jaanti hu ki mera moti/bead tumhare pass hi hai. Konsi pocket me chhipaya hai tumne?? Waise usse tumhare pet ke aas pass hona chahiye, right?
Humph! Tumhare liye yahi thik rahega ki tum khud se bata to nahi to me khud check karungi. " Usne jor dekar kaha.

" Mujhe check karegi ... ? itni chhoti ladki kitni badi badi baatein karti hai ?" Manav ne uspar ek nazar daali aur apna khana jaari rakha.

Jitni speed se wo khaa rahi thi, aisa lag raha tha ki jaise wo Manav ke intzaar me subah se bhookhi rahi ho.

Mauka acha tha to, Manav ne apna sar uthaya aur chupchaap usse dhyaan se dekha. Unse observe kara ki jo white shirt usne pehni thi wo koi mamuli si shirt nahi thi. Bhale hi shirt se ek middle - schooler wali jhalak mil rahi thi, lekin, yeh ek retro style ki shirt thi. Sundar butterfly wali collar ke sath wo shirt uss khoobsurat ladki ki khoobsurati ko aur badha rahi thi.


2020-10-16-Shooting-Mie-Carol-7458-Done-800x-1.webp



Saath hi, shirt ke nichle hisse ko uski jeans mein saleeke se dala/tuck gaya tha, jisse uski patli kamar ki rooprekha saaf najar aa rahi thi. Aur uske idyllic style ke floral pattern wale wooden sandals.... Kya kehne!
Manav ko yakeen ho chala tha ki yeh ladki, jaroor ek extraordinary background se belong karti hai.

**( idyllic style ya Cottagecore style ek fashion style hai jisme rural life represent hoti hai, dusre shabdon me, nature ke kareeb karne wala fashion style) **

Khaas taur par , kisi aise person ke liye jo ek middle - schooler ki age ka tha, uska, ₹ 1500 ko yunhi carefree kharch kar dena...., jahir hai, koi samanya/ordinary middle - schooler aisa kaarnama kabhi na karta.

**(₹1500 , 2005-2013 me theek thak amount thi) **

Isi time me, ladki ne achanak, apna sar uthaya liya. Usko laga ki... Manav usse taad raha tha. Ye dekh fauran Manav ne apna sar neeche kar liya wo koi aur lafda nahi chahta tha.

Kehna nhi hoga ki, campus me iss cute si chhoti ladki ki maujoodgi , university ke kayi students ka dhyaan bhi apni or aakarshit kar rahi thi..

" Ayy... ye log kuch ulta seedha nahi soch rahe honge.... , unhen bas yahi lag raha hoga ki yeh meri chhoti behan hai...hmmm..." Manav ne khud ko aashvast kiya.

Manav ne ladki se kaha, " Behtar rahega ki tum ye khane ke baad yaha se chali jao. Kyuki tum yahan tak akele ... khud se hi aayi ho, to tumhare parents bhi chinta kar rahe honge... "

" Agar tum jo mera hai, use mujhe wapas kar dete ho to me asaani se apne ghar jaa paungi. Me tume warning de rahi hoon..., agar mere parents ko pata chal gaya ki maine kya khoya hai aur usse dhundne ke liye tumhare paas aayi hu, to tum badi musibat me fas jaoge. " Manav par apni aankhein tikate hue, usane pehli baar!!, bade hi shaant aur madhur tarike se ye baat kahi thi.

Baharhaal, uske ek ek alfaaz saaf taur par bade khatre ki or ishara kar rahe the.

Is baar, uski baat ne Manav ko lagabhag dara hi diya. Haalanki, Manav ko pata nahin tha ki woh kis baare mein ,konse khatre ko lekar kya baat kar rahi hai.
"Is age ke bachche, bhale hi chhote-chhote matters kyu na, ve hamesha apne parents ko shamil kar lete hai, taaki ve unhe aage kar khud unke pichhe chhip saken. Hmmm... Jaisa ki ye bata rahi hai, agar isme iske maata-pita shamil ho gaye to yeh waqai mere liye ek badi aur pechida musibat ho jayegi. " Uske dimag me iss tarah ke vichar daud bhaag kar rahe the.

Phir bhi , Manav ko abhi bhi yahi lagta tha ki usne uss ladki ka kuch nahi liya hai. Kal iss ladki se takrane ke baad, Woh to bas cards ke 2 deck lekar lauta tha.

Jahan tak us moti/bead ka sawal hai, jisko lekar isne itni basad macha rakhi hai, us time to Manav ne maatr bina pocket ke kapde aur ek jodi chappal pahan rakhe the. To vah apne saath kuch kaise la sakta tha? Isne jaroor kahin aur gira diya hoga.

Aur rahi baat uski skin par bane hare pattern ki, to doctor ke anusaar kuch samay pahle jyada seafood khane ki wajah se hi ye allergic reaction hui thi.

Haalanki, ladki ke jiddi bartaav ko dekhte hue..., use dar tha ki ,
agar uski family ko bhi yakeen ho gaya ki usine moti/bead liya hai.. To uske paas khud ko saabit karne ka koi tarika nahin rah jaega. Yeh sochkar, Manav ko mahsoos hua ki kisi ko bachane ki koshish mein wo khud musibat me pad gaya tha. Uski haalat- aa bail mujhe maar - jaisi ho gayi thi. Ab use halka sirdard hona shuru ho gaya tha.

" Tum mera pichha chhod do please.... Maine bataya na ki maine tumse kuch nahin liya!, matlab kuchh nahii liyaA...! Ab bhale hi tum apne parents ko apne saath le aao, lekin phir bhi mai yahi baat kahunga!!," Apni baat rakh, Manav tray ko le khada hua.

Iske baad, usne tray return ki aur cafe se bahar nikal gaya. Aur.......
Jab usne piche mudkar dekha, to paaya ki ladki abhi bhi uska peechha kar rahi thi.

Aakhirkaar, Manav ne us par dhyaan nahi dene ka faisla kiya aur apni student ID nikalte hue library building ki or badh chala.

Beeeep! ... Card reader se verification milte hi darwaja khul gaya tha.

Woh uske peeche peeche andar bhi aana chah rahi thi.. Lekin gate jaldi hi band ho gaya tha aur usko dubara khol ne ke liye ladki ke pass ID nahi thi!

Dusri taraf khade Manav ne use ek chhoti si wave di aur bina kisi hesitation ke andar chala gaya. Use bahut rahat mili...ke aakhirkaar usne , "musibat" Se chhutkara pa liya tha.

"Dekhna.. Tum khud mere paas aaoge! " Bahar khadi ladki ne bade confidence se kaha!




I hope ki ye update aapko acha laga ho...
Waise Ye ladki thi ya aafat? Agar koi ladki apko aise pareshaan kare to apki kya reaction hogi?
Girl ki full form bhi hai ek -G.I.R.L = Ghost In Real Life 🤣🤣
Chaliye milte hai next update me...
To be continued.....
very nice update bhai
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 23•°


Recap -

"Huh..?" Kuch der baad use achanak laga ki jaise corner se use koi dekh raha ho..

Usne us taraf dekha. 👀

Us taraf .. wo dekhta hai ki, Aahna, ek lambi chiffon floral dress me lagbhag 10 meter door ek seedhi par chupchaap baithi hui thi aur muskura kar use dekh rahi thi....



AB AAGE :-

Manav ko uske aas-paas koi aur najar nahi aaya, aisa lag raha tha ki wo yahan akele aayi thi..,
Ek pal ki hichkichaahat ke baad, wo jogging karta hua uske paas pahuncha,

Manav : "Tum.... yahan..!?"

Aahna ne apna sar halka sa jhukaya aur muskura di,

Aahna : "Mai tumhari running dekhne aayi thi. " 😊

Uske chamkeele kaale baal, uske damakte gore forehead ko dhanke hue the aur,
uski lambi pony-tail... jo uski peeth ke peeche thi, uske fresh look ko aur bhi fresh bana rahi thi.

Raat ki hawa use chhoo kar Manav ke nostrils me khushboo ki leher bhej rahi thi..
Soft aur white skin, chamakte saaf reshmi baal, aur uski lehrahati dress se pata chal raha tha ki usne abhi-abhi shower liya tha.

Asal me, Manav ko humesha se hi Aahna badi sundar lagi.., aur.., wo akela nahi tha , uske sabhi male classmates bhi bilkul aisa hi sochte the.

Chunki usne university - activities ke dauran shayad hi kabhi apna chehra dikhaaya tha, class ki sabse popular ladki, sirf uski class ya uske major me hi "popular" ban ke reh gayi thi. Isliye.. use kabhi, university ki sabse popular ke roop me famous Fareeha ka competitor nahi dekha gaya.


Vaastav mein, Manav ko Aahna, Fareeha ki tulna mein jyada sundar lagti thi, saath hi use Aahna ka fresh aur elegant temper bhi jyada attractive lagta tha!

Baharhaal Manav ne apne sawal jaari rakhe,

Manav : "Tumhe kaise pata chala ki mai yahan practice kar raha hun?"

Daudte samay use jyaada paseena nahi aaya tha, lekin ab Aahna ka saamna karte hue use achaanak se paseena aane laga..
Nervous jo ho gaya tha bechara..🤣

Aahna : "Main Class President hoon, so.. I know everything!"

Abhi bhi muskurate hue, Aahna ne Manav ko confidence se dekha,

Aahna : "Aajkal tum.. har raat 9 baje se yaha running ki practice karte ho.. Kyu! sahi kaha na?" 😊


Manav ko ye to pata tha ki ladkiyon ke beech koi bhi information bahut teji se phailti hai lekin..
usne kabhi ummeed nahin ki thi ki us jaise ek sadharan aur low-key classmate ko, Aahna kabhi notice bhi karegi..

Khair, Manav ka sochna bhi theek tha.., kya ladkiyaan humesha sirf handsome ladko ke baare me hi baat nahi karti?

Aahna : "Waise... tum.. daudte hue bade dashing dikhte ho! ,"

Embarrassed hokar Manav ne apna sar neeche kar liya, 😅

Manav : "Thank you..! Beautiful Class President ka compliment milna honour ki baat hai..,

Phir se, Aahna ne apni sweet si smile di,

Aahna : "Mai Class President hoon, to yeh meri duty hai ki mai tumhe.., apni class ke honour ke liye encourage karun." 😊

Manav : "Toh tumne... bas yunhi hi encourage karne ke liye tareef ki thi...."
Manav ne use niraasha se dekha.

Manav ki nirasha ko dekhte hue Aahna ne turant kaha,

Aahna : "Maine.. tareef bhi genuine ki thi aur encouragement bhii! Sach mein.. tum daudte hue kaafi attractive dikhte ho! "

Jis kshan usne yeh kaha, use apne shabdon mein kuch galat aashay laga... Usne apna sar neeche kiya aur apni baat par muskura di..
Aur.., jab usne phir se apna sar uthaaya to, uska Class President wala confidence wapas aa gaya tha,

Aahna : "Ahem..! tum apna 100% effort de rahe ho..., bhale hi tum race me last hi kyu na aao, mujhe tab bhi khushi milegi ki tumne apna best dene ki poori koshish ki.."

Manav : "Thanks a lot!! for the encouragement!" 😊

Usne jeb se apna mobile nikaala,

Manav : "9 : 40 pm baj gaye! Hum jaldi wapas nahi gaye to hostels band ho jayenge!"

Aahna : "Aaj Friday hai... hostels 12 : 00 am baje tak khule rahenge! "

Manav : "Ohh haan....! mai to bhool hi gaya tha" 😅

Ek pal sochne ke baad usne bolna jaari rakha,

Manav : "lekin fir bhi..! raat bahut ho gayi hai aur maine apni practice bhi kar li hai... Chalo mai tumhe tumhare hostel tak chhod deta hun?"

Jabaab dene ke bajaay Aahna ne achanak poocha,

Aahna : "Kya tumhe bhookh nahin lag rahi! ?"

Manav kuch seconds ke liye pura blank ho use dekhta raha,

Manav : "Room me biscuits aur other snacks pade hai.. me kha lunga..."

Manav ke chehre par silly expression dekhkar, Aahna muskurai,

Aahna : "Class ke honour ke liye tum itni mehnat kar rahe ho to.. mai tumhe late-night snack ki treat deti hu.. As a reward!" 😊


"Okayy..." Manav ne haan me sar hilaaya. Use ummeed nahin thi ki Aahna use late-night snack liye invite karegi!

Khair, uske liye yeh pehle se hi ek bada surprise tha ki Aahna itni raat ko uski running practice dekhne aayi thi!

Manav : "Ek minute rukna!"

Manav ne use rukne ke liye kaha aur track paar kar ghaas par padi apni jacket uthai. Phir wo wapas Aahna ki taraf dauda.

Apni sundar long dress mein seedhiyon par khadi Aahna, Light poles ki mand roshni ke baavjood, behad fresh aur aakarshak lag rahi thi.


Manav : "Lets go!"

"Ok." Aahna ne sar hilaaya aur Manav le peeche ho li.

Whoosh... ! 🌬

Sports field se baahar nikalte samay hawa ka ek jhonka unki or aaya.
Bina soche-samjhe, Manav ne turant apni jacket Aahna ke kandhon par daal di aur phir uske aage aakar apne shareer se use, tej hawa ke jhonke se bacha liya.


Jab ve campus ki shaant sadak par laute to, Aahna ne Manav ko jacket wapis di aur kaha,

Aahna : "Maine kabhi tumhari Gentlemanliness/sajjanta notice kaise nahi ki..!?"


Manav : "Kya Aisa.. isliye to nahi... ki mai Sameer ke saath itne lambe samay se raha hun to mujh me bhi uske kuch bad manners aa gaye honge??"
Manav ne majaak kiya😜

Chalte hue Aahna ne use bataya,

Aahna : "Adarsh aur tumhare doosre dost kabhi-kabhi sach me limit cross kar dete hai.., lekin... tum unse alag ho.."

Aadhi raat hone ko thi, aur.. lagbhag sab kuch sunsaan ho gaya tha. Street lights ki mand roshni ki wajah se sadak par na to utna uljala tha or na hi ghupp andhera..
Ye sab un donon ko kuch kuch, ajeeb.. aur romantic feel karwa raha tha.

Manav : "Itna bhi alag nahi hu, balki wo log mujhse better hai!"
Manav ne khud ka majak udaya😛


Ispar Aahna uski tareef karne se khud ko rok nahi saki,

Aahna : "Mujhe lagta hai ki tum cheejon ko lekar jyaada honest ho.. ! Khud hi dekhlo.., tumne kam se kam race se kuch din pehle practice to shuru ki...!"

Manav : "Haha.. mai bas ek shy ladka hun jo haarne se darta hai..." 😅

Aahna chup rahi aur Manav ke saath kandhe se kandha milakar university ke pichhle gate tak pahuch gayi. Weh apni soch me gum dheere dheere chal rahi thi jaise ki wo Manav ke shabdon ke baare me soch rahi ho ya fir kuch aur hi soch rahi ho...

Manav ne kabhi nahi socha tha ki wo itni raat gaye campus me, class ki sabse popular ladki ke saath kandhe se kandha milakar chalega...
Agar koi bhi unhen dekhta to unhen ek hi couple samjhta!

Pichhle gate par pahuch kar, achanak se Aahna ne se Manav se poochha,

Aahna : "Tum kya khaana chahoge? "

Manav : "Umm... Fried rice?"
Manav ne doubt me poochha.

Iss samay fried rice sabse sasta meal tha jiske baare mein wo soch sakta tha. Aakhirkaar.., wo ek ladki se treat lene me uncomfortable mehsoos kar raha tha.

"Ok!" Aahna turant maan gayi.

Ye Friday ki raat thi, to hostel buildings 12 baje tak khuli rehne wali thi. Vastav me.., kayi student late - night meals ke liye baahar aaya karte the.

Ab yahan Manav ko , Aahna ki treat accept karne ke apne phaisle par pachhtawa hone laga.., Use dar tha ki jo bande hostel me taash khel rahe the.., ve sab.. late night snack ke liye idhar bhi aa sakte the!

"Agar... Un namuno ne mujhe yahan dekh liya to... Phir wo naa jaane mere baare me kaisi kaisi afwaah faila denge...! mai to gaya kaam se...!!" Manav soch me pad gaya tha. :nervous:


Jab Aahna khushi khushi ek food stall ki taraf badhi to use dekhkar lag nahi raha tha use Manav ke jaisi koi chinta bhi hai..
Stall par pahuch kar wo mudi aur poocha,

Aahna : "Jo bhi tum khaana chaho.., aao dekh lo! "

Uske carefree andaaj ko dekhkar Manav ki chinta aur embarrassment kuch kam hui..
Usne bas spicy fried rice ka hi kaha.

Aahna : "Tum itni der tak daud rahe the.. bhookh to tumhe lagi hi hogi..! Aur kuch bhi le lo!"

Usse pooche bina, Aahna ne mac and cheese pasta ka bhi order de diya.

Phir.. usne kuch fries bhi le li.

Ve pass lage tables me se ek table par baith gaye aur besabri se khaana banne ki swadisht-khushboo ka anand lete hue aur fries khate hue apne order ke aane ka wait karne lage.

"Hey bhagwaan! unlogon ko yaha mat aane dena..." Manav man me pray kar raha tha. :pray:

Jab Aahna ne Manav ko dekha to usne sawaal kiya,

Aahna : Tum.. itne nervous kyon lag rahe ho?"

Manav : "Uh.. nahi to.. mai nahi hun! "

Manav ne pretty Class President ki or dekha aur kabool kar hi liya ki wo waqai nervous tha..,


Manav : "*sighs* Class President, mai pehli baar aapke saath late night snack kha raha hun.. Of course mai thoda nervous hun..!"😅

Apni khoobsurat chamakdar aankhon se Manav ko dekhte, Aahna ne agla sawal kiya,

Aahna : " Kya tum pehli baar kisi ladki ke saath late night snack kar rahe ho! ? ?"


Aur Manav iss sharmnaak sachchai ko accept nahi karna chahata tha 🤣 isliye usne jhooth bolte hue kaha,

Manav : "Kon bola..! You know.. jab mai high school me tha, to meri ek gf bhi thi....!"

Manav ko sakpakate hue dekhkar, Aahna khilkhila uthi,

Aahna : " Haha..! tumhari baat par believe karna mushkil hai.. Manav!" 😄

Manav ne embarrassment mein apne honth twist kiye aur Aahna ka sawal uspar hi daal diya,

Aahna : "Class President, you are so pretty.. Tumhare to pakka bfs rahe honge."

Aahna ne apna sar naa me hilaaya, aur uski pony - tail bhi uske movement ke saath hil gayi. Street light ki roshni mein uske baal aur bhi jyada chamakdar lag rahe the! 🤩

"Phir to apan ek jaise hue," bina soche samjhe Manav bol pada.

Uski baat par Aahna bina kuch kahe bas muskura di.

Achaanak Manav ke dimaag me aaya ki ve 'ek jaise' to bilkul bhi nahi the!
Aahna bahut sundar thi, aur yakeenan bahut saare ladkon ne use propose kiya hoga. Apni study par focus karne ke kaaran usne inn cheejon ko bas ignore kar diya tha.
Wahin doosri or.., wo ek sadhaaran ladka tha jise koi bhi ladki pasand nahin karti thi. 😶

"Aapka Spicy fried rice aur mac and cheese pasta!"

Stall wale ki wife unki dishes la chuki thi. Aisa lag raha tha ki usne fresh beauty, Aahna ki sundarta ko notice kiya tha.., kyuki wo baar baar Aahna ko dekhne se khud ko nahin rok paa rahi thi.

Na kewal stall wale ki wife balki paas ke male students bhi kankhiyon se Aahna ko dekh rahe the. 👀👀👀👀👀

Ek beauty.., yahan tak ki low-profile wali bhi, males ki attention se nahin bach saki...

"Khao!" Aahna ne Spicy fried rice ko dekha aur casually Manav ko spoon aur fork ki ek jodi saump di.

Wahan ke male students joki unhen nahi jaante the, unke liye Aahna ka ye casual gesture lovey-dovey wala laga, natijan unki nazren Manav ke prati jealousy se bhar gayi..

"Ye chutiya kitna ordinary dikhta hai.., ameer bhi nahi lagta. . to sale ne iss beauty ko pata kaise liya??" Male students khaana khaate hue Manav ki kismat se jal rahe the aur unka kankhiyon se Aahna ko taadna jaari raha.

Manav : "Class President..., tum weekend par apne ghar nahi gayi?"
Manav ne spoon-fork ke packet ko kholte hue poocha. Ye spoon-fork set one-time use wala tha.

Aahna ne bina soche samjhe jabaab diya,

Aahna : "Kyuki mai tumhen daudte hue dekhna chaahti thi,"

Phir wo Manav ke chehre par aaye aashcharya ke bhaav ko dekhkar muskurai, aur apni kahi hui baat ko theek karne ke liye usne kaha,

Aahna : "Hehe.. Okk.. ! mujhe Student Council ki kuch cheejen organize karne ke liye rukna pada..!"

Manav : "Ohh.. to iska matlab mujhe treat dena tumhare original plan me nahi tha...?"

Aahna : "Let me think. ..."

Aahna ne pasta khane ke liye apna sar thoda neeche kiya aur bite lekar,

Aahna : "Hmm... Mere plan me bas tumhe practice karte hue dekhna tha, lekin.. jab maine dekha ki tum itni mehnat kar rahe ho to, mujhe laga ki tumhe treat dena to banta hai..."


Manav ko parwaah nahi thi ki wo sach bol rahi thi ya nahi kyonki uska itni raat ko aakar use practice karte hue dekhna..
Aahna ke ye baat Manav ke dil ko chuu gayi thi!

Achanak Aahna ne University ke sabse trendy topic par Manav se sawal kiya,

Aahna : "Uss din Ms. Shalini ne tumhen apne office me bulaya tha.., akhir hua kya tha!?"

Manav : "Wo.. kuch nahi unhone mujhe class me baat karte hue dekh liya tha.. , aur isiliye mujhe lecture dene ke liye apne office le gayi thi," 😅

Aahna ki aankhon se pata chal raha tha ki use Manav ki baat par jara bhi vishwas nahi hu lekin usne ispar dubara koi sawal nahi kiya.

Iske bajaay, usne doosra sawaal poochha,

Aahna : "Aur.. us chhoti cute si ladki ka kya matter hai..? uss din wo tumhe kitni taam-jhaam se doondh rahi thi..!


Manav ne turant uttar diya,

Manav : "Aajkal mai kuch ladkiyon ko tution de raha hu, wo ladki unme se hi ek hai. Uss din.. wo bas mujhse ladne aayi thi ke mai advance fees kyu le raha hu, haha..,"
Usne inn jaise sawaalon ke uttar pehle se hi taiyyaar kar ke rakhe the.

Itna bolkar usne Aahna ki or dekha,

Manav : "Class President aajkal mujhme badi interested hai... Kya baate hai.." 😅

"Inn dino jo kuch tumhare saath ho raha hai, use mai as a Class President notice na karu.. ye to impossible hai!," Aahna ne apna tark diya.

Ek muskurahat ke saath, Manav ne apna sar neeche kiya aur apne fried rice ko khatm karna shuru kar diya, ab wo.. nervous tha ya kuch aur baat thi.. Par khaate hue uske muh se chabane ki chap-chap awaaj aa rahi thi!

Jo students chupke-chupke un donon par apni nazaren gadaye hue the, ve uske ghatiya table -manners par bhadak uthe. .


"Chutiya.. Kaise khullam-khulla dikhawa kar raha hai ki itna gawar hone ke baavjood wo aisi item ke saath late-night meal khaa sakta hai! " Ve soch rahe the.


Halaanki.., sacchai yahi thi ki Manav nervous aur uncomfortable, dono tha. Wo 1 saal se jyada samay se Aahna ka classmate tha lekin, unke beech kabhi dhang se baat tak nahi hui!

University me classes bahut loosely organize thi. Chunki kayi classes ke same courses the aur alag alag majors ke students same public courses me enrolled the, isliye.. itni bheed me durlabh hi tha ki kabhi unki baatcheet hui ho!
Iske alawa, Manav ke major me bas kuch hi ladkiyaan thi, aur ve amuman ek saath hi samay bitati thi. In short! Manav ke paas Aahna ke saath baatcheet karne ke bahut kam mauke the!


Aahna : "Pichli baar... Rupam aur baaki logon ne mujhe tumhare naam se jo letter diya tha.. wo bas majaak tha na..?" **(Update 6) **

"Ehh?" Manav ne apna sar uthaya, Spicy fried rice khaane se uska chehra thoda laal ho gaya tha.

"Ek din wo sab mere paas aye aur... mujhe tumhara love letter diya...." shabdon ko apne muh se baahar nikaalne se pehle Aahna thoda hichkichai.

Bhale hi background ek aam food stall ka tha lekin...
Uski jheel jaise ankhein aur badi-badi palaken.... Kuch jyada hi sundar lag rahi thi!

Uski baat sun Manav ka chehra aur bhi laal ho gaya,

Manav : "H-Haan....... vo bas mazaak kar rahe the...."


Aahna : "Ohh..... mujhe bhi yahi laga tha ki vo mazaak kar rahe the." 🙂
Wo muskurai..

Aisa lag raha tha jaise iss baat se use kuch fark na padta ho..

Khair thodi der baad , achanak usne poocha,

Aahna : "Kuch seniors ne tumhare liye problems create ki hongi..? Kiya tha kya unhone kuch...?"

"Tumhe aisa kyu laga..!?" Manav turant satark ho gaya.

Aahna : "Mujhe Student Council se pata chala ki.. pichle kuch weeks me raha tumhara lavish behaviour, kuch bigdail senior male students ko pasand nahi aaya aur isliye wo sab tumhe sabak sikhane ki planning kar rahe hai.. "

Aahna se apni chinta vyakt karte hue Manav ko dekha.


Manav : "Hmm... I see.. , well..! Its ok.., not a big deal!"

Itna keh Manav dubara sar neeche kar Aahna ki treat ka swaad lene laga..

Use to jaise koi fark hi pada..

"Unmen se kuch ko to mai jaanti hoon. . kya tumhare liye unki misunderstandings ko lekar main kuch baat karu unse..?" Aahna ne Manav ki rai maangi.


Manav ne apna haath hila kar mana kar diya,

Manav : "Yeh koi badi baat nahi hai... Tum pareshan mat ho.."

Usne nahi laga tha ki ye log uske liye kuch jyada pareshani khadi kar payenge. Aur.. sabse jaruri baat! wo nahi chaahta tha ki Aahna, ek ladki, uski problem solve karne ke liye uski help kare..! (Alpha Male ke lakshan 😅)

Khair Aahna ne chinta karte hue use advice di,

Aahna : "By the way.., mujhe lagta hai ki wo log tumhe bas dhamkane ki koshish kar rahe hain.. .!
Waise... ab aage tumhe university me low-key bankar hi rehna chaahiye..., "


"Lekin isme meri galti na thi.. aur na hai..!" Manav ne iske baare me man hi man socha lekin kuch kaha nahi.

Baharhaal, jab unka khaana khatm hua tab.., raat ke lagbhag 11 baj chuke the. Raat ki hawa aur bhi thandi ho gayi thi.

Aahna ki patli dress ko dekhkar, Manav ko chinta hui ki kahin ise zukaam na ho jaye..
Isliye usne suggest kiya ki unhen ab apne apne hostel laut jaana chaahiye. Aur ispar Aahna ko bhi koi aapatti nahi thi.

Waise bhi, ve abhi bhi sirf classmates hi the! aur.. ek real couple ki tarah aadhi raat tak haath me haath daale thode ghoom sakte the.. :hinthint:

Sunsaan campus se gujarte hue, pehle Manav, Aahna ke saath uske hostel tak gaya...

Entrance Gate par khadi hokar, Aahna ne meethi muskaan ke saath Manav ko encourage kiya,

Aahna : "Athletic Games mein apna best dena! " 😊

Manav : "Sure Class President! good night"
Itna bol Manav ne haath hilakar wave di. 🙋‍♂️

Kuch unknown reasons se, Manav ne Aahna ko uske naam ke bajaay use "Class President" kehana jyada prefer kiya. .

Wo apne hostel building jaane ke liye muda, aur uske man me ek sawaal aaya,

"kya.. ye humari date thi....?"

Agar ye date nahi thi to wo khud ko Aahna ke itne kareeb kaise mehsoos kar raha tha..??

"Lagta hai ki... Class President jaisi beauty mujhe bas acha perform karne ke liye encourage kar rahi thi.."
Khair.. usne apne khyaali pulaav se chhutkaara paane ke liye apna sar shake kiya aur hostel ki or badh gaya.

Hostel laut kar usne shower liya aur apne bistar par chad gaya.
Jald hi wo gehri neend me doob chuka tha.

...
...
...

🎶 🎵 Ding! Ding… Ding! 🎶 🎵

Agle din, Saturday ki subah, Manav apne mobile phone ki ringtone bajne se, gehri neend se baahar aaya.

"BhaDveee... ManavvV !!!"

uske neeche wali berth par so raha Adarsh mobile bajne se sabse pahle utha tha. Usne apni blanket ko ek taraf phenka aur table ki or lapka. Aur fir usne Manav ka mobile, oopar ki berth par so rahe Manav ke sar par halke se de maara!

"Emm.... hmm... "

Kasmasate hue Manav ne aankein kholi..
Screen par ek unknown number tha!

Neend tootne ki naraajgi ke saath usne call receive ki,

Manav : "Ehmm.. Hello...kon..?? *yawns* 🥱 itni subah kon call karta haii!!"

Doosri taraf se ek sthir aawaj aayi..,

"Mai Rajyavardhan hun. Hum abhi aapke hostel building ke saamne hai. Jaldi se ready hokar neeche aaiye. "

Aur itna bol Rajyavardhan ne call cut kar di...



Itni subah Dragon King ki call.... Kya lagta hai apko.. Kya wajah ho sakti hai?? 😁

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Aur haa..!
Doston pehla Quiz haazir hai.. Ise try kare..
I hope aap enjoy karenge 😅

Quiz 1 : 👈 Click here


Kal.. Update 24 :wavey:
To be continued.....
 
Last edited:

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Update 23 has been posted 😜
Meko laga 4 baje tak ready ho jayega par nahi ho paya 😅
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top