• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
  • Like
Reactions: Amrit_#0

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 22•°


Recap -

Usne dekha ki uske favorite middle school English test bank ke title page par gadhe (donkey) ke sar wali ek drawing bani hui thi!

Phaili hui naak, baahar ko aati ajeeb si aankhein, bade bade kaan aur mote honth... Neeche likha tha:
" S丅ᑌᑭ I ᗪ ᑌ Nᑕᒪᗴ "

Gadhe ke sar wali drawing ko dekhte hue, jo behad badsurat thi lekin thoda thoda uske chehre se mel kha rahi thi, Manav bas muskura diya.. 😆



AB AAGE :-


Agle 2 dinon mein,
Manav Saanvi ko padhane nahi gaya, balki usne raat ka samay sports field par long-distance running ki practice me laga diya. Use First aane ki ummeed nahi thi..., lekin woh Last bhi nahi aana chaahta tha.

Uska maanna tha ki usme abhi bhi long-distance running skills thi aur.., use bas practice kar apne form me lautne ki jarurat thi...

Football field ke baahar 400 m synthetic race-track ko roshan karne wale kewal 4-5 light poles ke alawa, poora sports field shaant aur veeraan lag raha tha.

Wahan, apni saanson aur kadamon ko control karte hue Manav practice karne me busy tha.. 🏃 _-

Usne jaanboojhkar raat 9 baje yahaan daudne ka decide kiya tha.
Ek ghante baad Hostel buildings ke entrance gates band hone wale the. Basketball aur football players sabhi wapas jaa chuke the, aur isliye, iss time practice karte samay use distractions face nahi karne padege. .


...

...

...

Aaj Weak Optical Signal Processing ki class mein, heavenly beauty Ms. Shalini ne ek studded shirt, denim shorts aur Dr. Marten boots pehne hue the. Ve itni khoobsoorat lag rahi thi ki... ladke chillaye aur cheer kiye bina nahi reh sake....! 😍

Halaanki, usne Manav par ek nazar tak nahin daali, jaise usne use last week apne office me bulaaya hi naa ho!

Khair, usne ladko ko mantrmugdh kar apna lecture diya aur bell bajte hi class se chali gayi.
Baharhaal Manav ko pata tha ki doosri duniya me unke raaste mile jaroor the, lekin ab ve samaanya duniya mein laut aaye the aur ab sirf ajnabi the. .

Uska maanna tha ki jaroor Ms. Shalini, Vinod Sir paas uske baare me baat karne gayi hongi..

Aur waise bhi, ek super beautiful female teacher, ek nihayati hi ordinary student ko koii special treatment to degi nahi! :buttkick:


Raat ko daudte samay, uske dimaag me aaj din me ghati cheejen chal rahi thi.. ki achaanak ! ek basketball uske pairon ki or aayi.

Manav ne daudna band kar diya. Usne basketball uthayi aur jahan se ball aayi thi us taraf dekha.

Thodi doori par, safed shirt pehne ek handsome ladka bleacher par baitha tha. Sugathit, muscular aur majboot shareer ke saath hi, us ladke ki shaandaar eyebrows oopar aur baahar ki or jhuki hui thi..

Khair, Manav ne use pehchaan liya..

Lakshya Chowdhury, ye janab Chennai University me 'Most Handsome Guy' ke roop mein jaane jaate hai, Rock Climbing Club ke President aur ek celebrity student..! jiski diwani normal girls to kya, University ki sabse popular ladki - Fareeha bhi thi!

Manav ne ek haath me basketball pakdi aur doosre haath se uski or ishara kiya 👉
Is ishare se hi usne bina bole poochna chaha ki kya ball uski hai?

Lakshya ne haan me sar hilaaya aur apne ek haath ki ungaliyon ko apni or ghuma ball lautane ka ishara kiya.

Manav ne basketball ko uski or phenkne se pehle ek kadam aage badhaaya. . aur

Basketball, unke beech kareeb 20 m se jyada doori tay kar, Lakshya ke oopar aa pahuchi!


Lakshya ne apne haath oopar kare aur ball ko catch kar liya.

Ball lautate hi, Manav palta aur phir se apni practice shuru karne ke liye taiyaar ho gaya.

"Junior!" Lakshya ne achaanak kaha.

"Uh?" Manav ne palat kar aashcharya se uski or dekha,

Lakshya : "Maine suna.. ki tu bhi 1500 meter race me participate kar raha hai?"

Manav ne use saavdhaani se dekha..., uske shabdon me use nafrat ke kuch ansh mehsoos jo hue the..

"Sunne me ye bhi aaya.. ki tu aajkal badi surkhiya batoor raha hai.. Kyu!"
Ball ko apni ungli par ghumaate hue, Lakshya ne poochha, "Tera apni ameeri ka showoff karna.. aur us din, campus me limo ka tere liye aana..! Akhir maajra kya hai kid ! ? ?"

"Kya hua?? Kya maine apki kuch limelight leli ! hmm?" Manav ne seedhe pooch liya.


Snap!

Lakshya ne achaanak basketball ko ghumana band kar diya,

Lakshya : "Yeah! tere ye cheap dikhawe irritate kar rahe hai mujhe! ! "

Haalanki Manav low-key aur vinamr tha, par wo takaraav & vaad-vivaad se kabhi nahi dara.


Lakshya ki aankhon me dekhte hue usne poochha,

Manav : "So.. senior hone ke naate, aap to mujhe sabak sikhana chahenge?? Do whatever you can do! I don't care!! "

Lakshya ne koi jabaab nahi diya. Iske bajaay, usne poochha,

Lakshya : "Sab gossip karte hai ki Ms. Shalini.. tujhe apne office me le gayi thi! Kya chal raha hai unke aur tere beech! ??"

uske shabdon me.. Manav ko nafrat aur beinteha jalan mehsoos hui.

Manav : "Mere paas apko batane ke liye kuch nahi hai, sorry!"

Itna keh, Manav running practice karne ke liye wapas palat gaya.

Lakshya ek pal ke liye thithak gaya, ek sadhaaran junior me itni akad dekh use bahut aashcharya hua..
Aur Manav ki peeth ko dekhte hue uske haath basketball par kas gaye...

Jab Manav ek chakkar laga kar wapas lauta, to Lakshya ja chuka tha.

Manav jaanta tha ki pichhle kuch hafton me usne sabka dhyaan apni taraf kheecha tha, aur.. campus me use pick karne ek limousine ka aana to yakeenan ek bada show-off tha... bole to aag me ghee!


Aur sabse jaruri baat, use apne office me bulaane ke liye Shalini ne bhari class me jo invitation diya tha, us invitation ne kayi self-important 'handsome' ladko ki aankhon ko jealousy se laal kar diya tha. **(update 11) **

Ho sakta hai ki un sabhi ne socha ho ki Manav ne sabhi show-off wale karname Ms. Shalini ko attract karne ke liye kiye the aur ab, ve 'famous' students gusse mein the kyunki Manav ke wo bakwas show-offs kaam kar gaye the aur wo Ms. Shalini ko impress karne me kaamyaab ho gaya tha!

Dekha jaaye to un logon ka gussa hona lajmi hi tha.. aakhirkaar, un londo ke jalwon par kewal sundar & aam ladkiyan hi marti aur aahe bharti thi, jabki khoobsurti ki parakashtha.. :hot: Ms. Shalini ne unpar koi dilchaspi nahin dikhai. 🥲

Vaastav mein, Shalini ki sundarta logon ki kalpnao se pare thi.., isliye yeh swabhaavik hi tha ki male students uske liye paglaye hue the.

Keh sakte hai ki.., agar Manav ko uski real identity (inspector) nahi pata hoti, to wo bhi auron ki tarah uski sundarta ka gungaan kar raha hota.. 🤣

9:45 pm baj rahe the jab Manav jogging karte hue apne hostel pahucha. Adarsh aur uske 2 aur roommates, unke room ke saamne wale room me (Room no. 301) , Ritik aur dusre doston ke saath ek 'bhayankar taash ke khel' me lage hue the.

Manav ne thanda-thanda shower lene ke liye apni towel aur dusra samaan uthaya aur bathrooms ki or chal diya. Usne Lakshya se hui mulakaat ke baare me kisi ko kuch nahi bataya..
..
..

Bas half day ki classes ke saath Friday bhi jaldi beet gaya. Chunki jyadatar students local areas se the, Chennai University har Friday ki dophar ko asaamanya roop se shaant ho jati thi.. Sab apne apne gharon ko laut jo jate the.

Adarsh aur baaki dost log is weekend me ghar nahi jaana chaahte the, to ve Manav aur kayi dusre doston ko hostel rooms se ghaseette hue paas ke KTV Karaoke me le gaye.

Saans foolne tak gaana gaane ke baad, ve ek hot pot restaurant me gaye aur wahan jamkar khaya piya. Pet pooja kar ve hostel laute aur taash khelne me lag gaye.


College ki hostel life hai bhai kya kahe.., maximum students ke din unproductive and carefree hi beet te hai...

Sach kahe to, Manav ko bada sukoon tha ki uske sage bhai jaise dost the jo humesha uska saath dete the... bhale hi situations kaisi bhi hon..

Iske alawa ve sab kuch saath me kiya karte the- chahe wo Class me jaana ho ya bunk karna, ghoomna fir na, bakchodi karna, drink karna aur bhi bahut kuch.
(Sahi samjhe 😁 kuch kaamo me Manav unka saath nhi deta , example - drink karne me :beer2: )

Khair....... Kuch bhi ho..! Saanvi ke chhote chacha mortals ki inn chhoti-chhoti par, "beshkeemti " khushiyon ko kabhi samjh nahi sakenge..

Baharhaal, raat ke 9 baj chuke the, Manav ne apne patte/cards neeche patke aur kaha,

Manav : "Bas ! I'm out, Mai running ki practice karne sports field ja raha hun. "

Adarsh ne use rokne ki koshish ki,

Adarsh : "Abee chutiye ! mat ja! Race se kuch hi din pehle practice karne se kuch nahi hone wala.. Chal ab uthale apne patte!"

Manav : "Mujhe apni form me wapas aane ke liye practice to karni hi padegi.. Ritik! tu out ho gaya tha na! Aaja meri jagah khel le !'

Manav ne Ritik ke haathon mein apne cards thama diye,

Manav : "Yadi tu haara to haar sirf meri aur yadi tu jeet gaya to poora credit tera! "

Manav ke vaade par muskurate hue, Ritik turant baith gaya aur apne patte check karne laga.

Manav ne apne running shoes pehne aur jogging karta hua sports field ki or badh gaya.

Friday ki raat thi to campus me, asaamanya roop se sannata pasra hua tha. Jab wo office building ke paas se gujra, to usne yunhi casually oopar dekha aur uske man mein ek ajeeb sa vichaar aaya, "Ms. Shalini bhi apne ghar gayi hongi.. Unka ghar kahan par hoga..?"

Avantika ne use bataya tha ki Shalini ka East Ocean Dragon Clan ke saath kuch khaas rishta tha aur.., **(update 17) **

Manav yahi soch raha tha ki - "wo rishta kya tha ...? Shayad isliye wo Elder Vinod ki University me as a teacher kaam kar rahi hain.... "

Ms. Shalini ke baare me sochte hue, unse office building ko paar ki hi tha ki, raaste me use 2 ladkiya dikhai di. Unhone use naak bhauhen sikodte hue ghrina se dekha.. Shayad un dono ne use oopar dekhte hue dekh liya tha....

University ke lagbhag har male mein Shalini ke liye, kam ya jyada par, same feelings thi aur male students aamtaur par, uss bejod khoobsurati ki ek jhalak paane ki laalsa mein Shalini ke office ko ghoorte hue pakde jaate the..


Halaanki , yeh male students ke liye behad frustrating tha ki Ms. Shalini apna chehra bas tabhi dikhati jab ve apni class se aa rahi hoti ya kisi class me jaa rahi hoti.

Yahaan tak ki kisi cafeteria me bhi unhe kisi ne nahi dekha tha. Aur in sab cheejon ne, sabki is feelings ko aur bhi gehra kar diya ki weh ek fairy ki tarah thi jinhone is nashwar sansaar/mortal world ke khaane ko khaane layak nahi samjha....

Khair.., Manav sports field pahucha aur apne plan ke anusaar 10 chakkar lagane laga.. Usne paaya ki uska stamina pehle ki tulna mein bahut badh gaya tha! ,

Wo soch raha tha ki ye ho na ho Spirit Concentration Scroll ke 1st level ko paar karne ka hi result hoga.....

Light poles ki mand roshni Manav ki parchhai ko aur badhaye hue thi, jabki wo vishaal sports field aur raat ke akelepan ka luft utha raha tha.

Apni energy ko Spirit Concentration Scroll ke anusaar circulate karte hue aur natural essence (prakriti ki oorja) ka swaad lete hue, woh apni saans aur kadmon ko niyantrit kar sthir gati se daud raha tha
🏃_-


Uske kapde hawa me lehrahane lage. . Manav ko yeh ehsaas nahi tha ki daudte samay use ek sahaj aur free aura ne gher liya tha. Uske kadam sthir aur dridh the jabki ek halki hawa uske chaaron or aur uske kapdon me beh rahi thi..

Prakriti ke oorja use kitna prabhaavit kar rahi thi iss baat se Manav anjaan tha..,
Aur is shaanti se bhari raat mein uske har ek movements me pancho tavtvo ki jhalkiya dikhai de rahi thi! (Dharti, Agni, Vayu, Jal, aur Akash)

Saath hi uske har ek movements me yin aur yang ka prabhaav bhi tha !


10 chakkar daudne ke baad, usne 10 chakkar aur daude.

Manav hairaan tha ki uske itna daudne ke baavjood uski taakat bilkul bhi kam nahin hui! Woh long-distance running ki practice kar raha tha, lekin use aisa lag raha tha jaise wo casually tahal raha ho.. Itna daudne ke baad bhi Uske kadmon mein jara bhi bhaaripan nahin aaya tha!

"Huh..?" Kuch der baad use achanak laga ki jaise corner se use koi dekh raha ho..

Usne us taraf dekha. 👀

Us taraf .. wo dekhta hai ki, Aahna, ek lambi chiffon floral dress me lagbhag 10 meter door ek seedhi par chupchaap baithi hui thi aur muskura kar use dekh rahi thi....


Aur update hota h yahi par samapt,

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

milte h kal..
To be continued.....
 
Status
Not open for further replies.
Top