• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
โ€ขยฐUPDATE 18โ€ขยฐ


Recap -

"Kya Sani ke dad ka Dragon Clan me itna high status hai..!?"
Manav ko laga ki ye poochhne ka achcha mauka hai to,usne yeh question pooch hi liya.
Iska answer sochne me usne bahut maathapachhi ki thi.

Pehle Dadi ki, aur Elder Vinod ki baatein.. Uske baad Ms. Shalini ka East Ocean par reaction.. In sab se Manav ko lag raha tha ki shayad Sani ke pita.., Dragon Clan ki ek badi hasti hai..!

Avantika : "Hmm...! Ve East Ocean ke king hai. East Ocean.. Jo 3000 sq kilometre ke kshetra me phaila hai.. Ve iske Leader hai! "



AB AAGE :-


Klik Klik Klik...

Jab Manav, Avantika se baat kar raha tha, to - klik- jesi aawaaj aayi, jaise koi darwaje ke handle ko ghuma raha ho!


Avantika dheere se muskuraayi :) aur pyar se Manav se kaha, "Sani aur uske chacha aa gaye... Aap unse baat kyon nahin karte.. mai yahan sambhaal lungi. "

Manav ne bhi ek komal muskaan ke saath uttar diya, "Ji.. Sure" โ˜บ


Wo kitchen se baahar chala aaya aur usne dekha ki Sani, jisne school ki wahi light - blue uniform pahni hui thi, ek jhaadidaar ghani bhauhen/eyebrows aur badi aankhon wale aadmi ke saath ayi hui thi. Uss Aadmi ki kad-kathi kisi danav se kam nahi thi!

"Namaste.., uncle" Manav ek pal ke liye jhijhka aur us aadmi se kaha.

"Humph!" us aadmi ne na kewal Manav ko reply nahi diya balki Manav ko dekh uska chehra bhi ghrina se bhar gaya..

Saanvi ne bhi mahol ko halka karne ki koshish nahi ki. Usne apna school bag sofa par patka aur kitchen ki taraf bhaag gayi.
Fir wo wahan apni mom se baatein karne lagi.

Uss aadmi ke aise bartaav baad Manav thoda baukhla gaya tha.
Halaanki, yeh vyakti usse bada tha aur Saanvi ka chaacha tha. Isliye, Manav ne khud ko shaant kiya aur sofa par baith gaya.

Sofa par baithkar wo aaj Saanvi ko jo kuch bhi padhane wala tha uspar ek najar daalne laga. .

"To tum ho Manav Shisht! ?" jab usne dekha ki use ignore kar Manav apna kaam me busy ho gaya hai to, aakhirkaar jhaadidaar ghani bhaunhon aur badi aankhon wale vyakti ne poochha.


Manav pehle to use nazarandaaj karna chaahta tha. Lekin, fir Manav ne socha ki shaayad Sani ke uncle ne pehli baar mein uska abhivaadan nahin suna hoga..

Isliye usne saralta se uttar diya, "Ji haan."


Saanvi ke chacha ne aage kuch nahin kaha aur Manav ko oopar se neeche dekh, use dhyaan se observe karne laga.

Pehle to Manav ne jyaada nahi socha. Halaanki, fir use mehsoos hua ki yeh vyakti uski saadhna ki progress ko check kar raha tha! aur.... ye pata lagte hi Manav ke dil ki dhadkan badh gayi..


"Garbage ! Ek to Sani ki internal core ko nigal liya oopar se saadhna karte hue bhi itna samay beet gaya.., lekin phir bhi shareer mein koi badlaav nahi!," Aadmi ne kuch seconds observe karne ke baad kaha.

Uske shabd kathor the. Halaanki Manav shaant swabhaav ka tha, parantu phir bhi wo apne gusse ko rok nahin saka..

Jab Manav aur weh aadmi aggression se ek-doosre ko ghoor rahe the.. , Saanvi kitchen se baahar aayi aur kaha, "Chachu, use ignore kariye. Mumma ne aapse poochhne ke liye kaha hai ki aap dinner me kya khayenge~?""

"Haha, kuch bhi chalega! Mere itne bhi nakhre nahi hai.." Saanvi ke sawaal ko sunte hi jhaadidaar ghani bhaunhon aur badi aankhon wala aadmi achaanak se kisi sharmili ladki ki tarah naram pad gaya tha.

"Okay..!" Saanvi ne kitchen ki or mudte hue kaha, "Mumma! Chachu ne kaha hai kuch bhi chalega, aap kuch bhi bana sakti hain!"

Saanvi ko dekhte hi is chhote chacha ki aankhein khushi se bhar gayi..
Jaahir si baat thiki wo apni bhatiji/niece se bahut pyaar karta tha. ๐Ÿฅฐ

Phir Saanvi khushi se apne chhote Chachu ke paas daudte hue aayi aur kaha, "Chachu, chachu yaad kariyee? aapne car mein kuch promise kiya tha! ?"


"Haan! Betu haan! chachu kaise bhool sakte hain.. Haha" us aadmi ne apni jeb se ek wallet nikala aur Saanvi ko kareeb, ek hazaar ke 10 note saup diye (โ‚น10,000), "Is baare mein apne dad ko mat batana okay!"

Saanvi khushi se chahak rahi thi :happy: aur Chehekte hue usne apne chhote pink wallet mein saare rupee daal diye.
Phir usne apne chachu ko pyaar se hug kiya ๐Ÿค— aur kaha, "Chhote Chachu is the Best!! Hehe"

"Pagal bachchi!" ๐Ÿ˜„ uske chacha ne khushi se uska sar sehlaaya.
Chacha ka chehra pyaar se bhar gaya tha. ๐Ÿฅฐ


Chacha & bhatiji donon ne sofa par baithe Manav ko aise ignore kar diya tha jaise wo waha maujood hi na ho...

Manav jaanta tha ki usne in Chhote chachu ko galat tareeke apna attitude dikhaya tha, halaanki, uske prati chachu ka bartaav bhi koi acha nahi tha!
Aur, Saanvi...... Jahir tha ki, wo use pareshaan karne ke liye jaanboojhkar use nazarandaaj kar rahi thi!

Khair, Manav ko achche pata tha ki wo kitni nakchadi aur narrow-minded hai.

Chunki, chacha Saanvi se bahut pyaar karte the, to woh Manav se achcha bartaav waise bhi nahi karte, khaskar jab Saanvi Manav ko itna napasand karti ho....


Khair, Manav ne bhi un dono ko ignore kiya aur study materials ko check karna jaari rakha.

Baharhaal,Ye awkwardness aakhirkaar tab tooti gayi jab Avantika swaadisht khaana lekar kitchen se baahar aayi..

Avantika : "Sani! aap fir se apne chachu ko pareshaan kar rahi hain na?"

Saanvi hans rahi thi ๐Ÿ˜ aur Avantika ki aawaaj sun, aakhirkaar usne apne chachu ke saath bachkaana rock-paper-scissors khelna band kar diya.

"Manu.. Aaiye aap bhi! saath dinner karte hain," Avantika ne pyar se Manav ko bulaya.

Saanvi aur uske chacha ke bartaav ke kaaran, Manav unke saath dinner nahin karna chahta tha. Halaanki, Avantika ne uske saath achchha vyavhaar kiya tha aur wo use niraash nahin karna chaahta tha..., isliye, wo bhi straight face liye table ki taraf chal diya.

ve chaaron kram se apni seats par baith gaye. Saanvi Manav ke saamne baithi thi, uske chachu aur Avantika Manav ke aas paas baithe the. (Avantika - head of the table)

"Yeh Sani ke chhote chacha hai, Indrasen Maurya. Aap inhe Sani ki tarah hi chhote chachu keh sakte hain. .

Elder Vinod ki tarah, ye bhi East Ocean ke Elders mein se ek hai. Sani aapko baad mein details samajha degi," Manav ke baithne ke baad, Avantika ne us vyakti ka parichay diya.
**(update 8) **



"Chhote chachu..," Avantika ka baare me sochte hue, Manav ne beman se Indrasen ka halke se sar jhukakar abhivaadan kiya.

"Hm," Indrasen ne na to nafrat se aur na hi friendly hokar uttar diya.

Avantika ne notice kara ki mahool jyada saamanjasya-poorn nahin tha, isliye usne ek komal muskaan ke saath kaha, "Theek hai, chalo dinner karte hain." Baat karte hue usne Manav ko khaana serve kiya; woh Manav ka bada dhyaan rakh rahi thi..

Avantika paani ki tarah sheetal thi, jabki Indrasen khud ko shaant nahin kar pa raha tha, aur aakhirkaar unse apna muh khola, "Bhabhi, aap log theek nahi kar rahe hain! Bhala iss jaisa ek sadhaaran ladka apni Sani jaisi ek achi ladki ke laayak kaise ho sakta hai! ?""

"Manav vaastav mein ek achcha bachcha hai aur mujhe wo bahut pasand hai! Kya aapko ye reason kaafi nahi lagta?" Avantika ne uski or dekha aur aaraam se kaha.

"Par......" Indrasen speechless maano khaane ka niwaala uske gale me atak gaya ho. ๐Ÿ˜…

Yahi pal tha jab Manav ne mehsoos kiya ki asal me Avantika utni soft nahin thi jitni weh aamtaur par lagti thi. Uske paas kuch aisa vyaktitv tha jisme use kabhi apni baat dohraane ki jarurat nahi padi..
Abhi weh Rajyavardhan se bhi jyaada prabhaavshali lag rahi thi!

"Doosron ko shayad pata na ho, lekin mujhe sab pata hai Bhabhi! Agar ye ladka Sani ko uski internal core lautata hai, to isse Sani ko koi bhi nuksaan nahi hoga!," kuch seconds ke baad, aakhirkaar Indrasen se kaha.

Avantika : "Lekin isse Manav ko bahut nuksaan hoga! ,"

Indrasen : "Par Bhabhi! ye sirf ek sadhaaran insaan hai! Ek mamuli mortal!! To hum iski itni parwaah kyu kare jabki hum ise maar..."

"Enough!!" Avantika ne achaanak sakhti se kaha, "Aapke bhai yahan nahin hai, aur aap mujhse bahas karne ki himmat kar rahe hain!?? yeh decision Elders Council me sabki sehmati se liya gaya tha samjhe aap! Ab aage kuch mat kahiye! ! "

Iss ladai ne Manav ko ajeeb si situation me daal diya tha.. Halaanki, woh mehsoos kar sakta tha ki Avantika uska bachaav kar rahi thi!

"lekin..." Indrasen convince nahin tha, isliye wo bahas jaari rakhna chaahta tha,

Avantika : "Aur rahi baat Sani ki problems ki... Iske baare me humare apne judgements hain! Usne jo kiya uske liye use responsible hona hi chaahiye...
Mujhe jaanti hu ki aap Sani se bahut pyaar karte hain, lekin use bigadiye mat! Har baar jab bhi wo koi galti karti hai to aap uski galtiyon par parda daal dete hain.. Aapko aisa karna band karna hoga!!"


Avantika ke shabd aur jyada sakht ho gaye the, aur Indrasen ne aakhirakaar bolna band kar diya. Halaanki uske chehre par abhi bhi Manav ke liye ghrina bhari hui thi.

Unki bahas mein Saanvi ka chehra kabhi laal to kabhi peela pad raha tha, phir bhi wo chup rahi kyonki usme unke beech me bolne ki himmat nahi thi. ๐Ÿ˜ถ

Avantika ne apni tone kam ki aur aage kaha, "Ab samay aa gaya hai ki aap apne is chidchide aur gusse wale swabhaav ko badal lein! Aapka itni hinsak soch... Mujhe chinta hai ki is saal ki Tribulation/pariksha aap kaise nikal payenge...."
**(update 8 - paas baithi mahila ki baat) **

"Kuch bhi ho.., mai abhi bhi Sani ki shaadi is garbage ladke se karane ke phaisle ke khilaf hun," Indrasen bade dheere se budbudaya.


*Sighhhhs* Avantika aage bahas nahin karna chaahti thi, usne Manav ki or dekha aur kaafi lagav se kaha, "Theek hai, ab khaane par focus karte hain.. "



To kaisa laga aap sabko ye update?

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,

๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

Fir milenge Friday ko naye update me..
Be healthy~ , Be happy~ ๐Ÿ˜„
And God bless you all ๐Ÿ˜‡
To be continued.....
 

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
Sab depend kerta hai manav ke power full hone per ,me aesa aura dekhna chahta hu ki manav ke samne chite chachu apni pent gili ker de, tab maja aayega
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Mahendra Baranwal

Active Member
981
2,788
123
โ€ขยฐUPDATE 17โ€ขยฐ


Recap -

Beep.. beep.. beep.. beepโ€ฆโ€ฆ

Manav ka phone vibrate hone laga.
Usne phone uthaaya, to dekha ki Aahna ka message tha,
"University ne baaki 5 logon ko select nahi kiya hai. Bas tum hi 1500 meter ki race me participate karoge.
Mujhe pata hai ki tum running mein achchhe ho. Tum achcha kar loge ๐Ÿ‘ "

Padhkar Manav dang rah gaya!



AB AAGE :-

Usne iske baare mein socha aur fir apna phone rakh, wapas middle school English Test Bank mein busy ho gaya.

Classmates University ke English courses le rahe the.., lekin Manav middle school ke English questions solve kar raha tha...
Iss course ke chhote chhote sections hone ke karan, kewal Sameer aur Manav hi ek class me the. Rupam aur Adarsh is class me nahi the.

Unke second year ka schedule humesha bhara hua rehta tha..., matlab no free classes!

Shaam ke 5 baj chuke the, Manav ne Saanvi ke ghar jaane ke liye apna bag pack kar liya.


Aaj Manav pichli baar se jyaada ghabraya hua tha. Wo uske ghar pahuncha aur doorbell bajayi..

Ding.. Dong.. ๐ŸŽต

Darwaja phir se apron pehni Avantika ne khola. Uske baal pichli baar ki tarah bandhe the, aur uske haath paani se bheege hue the, jinse boonden neeche tapak rahi thi.
Jahir tha, wo kitchen mein kaam kar rahi thi.

"Itna jaldi?" usne Manav ko andar aane diya aur muskura di. ๐Ÿ˜Š


"Sani abhi tak wapas nahin aayi...?" Manav ander aaya aur poochha. Weh jaldi aa jaane ko lekar thoda embarrassed tha. Chunki wo pehli pehli baar tutor bana tha to usme experience ki bahut kami thi...

"Nahi, aaj uske dad der tak kaam me busy rehne wale hain, to uske chhote chacha use lene gaye hain." Avantika ne aise jabaab diya jaise Manav, unka family member ho.

Avantika : "Aap baithiye... kuch der TV dekh lein." ๐Ÿ˜Š

Manav ne apne samaan ko coffee table par rakh diya aur kuch seconds sochne ke baad, "Isse achha.. mai aapki kitchen me help kar deta hun?" usne kaha.

Avantika ne kuch pal Manav ko aashcharya se dekhne ke baad, muskurate hue kaha, " Theek hai.. "

Manav ne apni aasteen chada li aur uske saath kitchen mein chala gaya. Manav ko bura lagta agar wo bina kuch kare, yunhi kewal unka khaana khata..

Kya kare.. Khuddaar banda hai bhai!

Kitchen mein sabhi prakaar ke ingredients aur masaale the, aur ve sabhi bade kareene se rakhe hue the. Aisa lag raha tha ki Manav waqai bahut jaldi aa gaya tha kyonki Avantika ne abhi tak khaana banana bhi shuru nahi kara tha. Wo dinner ki taiyari shuru karne hi wali thi..

Baahar nikaale gaye ingredients ko dekh kar hi Manav bata sakta tha ki Avantika dinner me kya kya banane wali thi. Avantika ke kuch batane se pehle hi wo sink ke paas pahunch gaya aur sabjiyon ko dhone ke saath saath meat ke bhi pieces cut karne laga.

Weh ek Chef ki tarah lag raha tha kyonki use pata tha ki woh kya kar raha hai. ๐Ÿ‘จโ€๐Ÿณ

Avantika : "Manu, aap ghar par humesha aise hi help karte hoge?"
Manav bagal mein Avantika, smoothly meat ko strips me cut kar rahi thi.

Manav : "Um ... Aisa bhi nahi hai.. ... Bas kabhi-kabhi mai apni daadi ka haath bata deta hu." ๐Ÿ˜…

Avantika : "Mai jaanti hu ki.. aap bade smajhdaar bachche ho..
*sighs* kaash.. meri Sani me aapki aadhi bhi samjh hoti.. . "

Manav ne bina soche-samjhe jawaab diya, "Abhi woh chhoti hi hai. Jab mai uski age ka tha tab mera man bhi bas khelne-koodne me laga rehta tha!"

Avantika : "Kya.. aapke parents hamesha se hi baahar rahe hain?"

Manav ne imaandaari se uttar diya, "Wo donon bahut busy rehte hain, aur.. bachpan se maine apna jyadatar samay apni daadi ke saath bitaaya hai."

"Ab aap university me hai toh.. Aapki daadi to bahut akelapan mehsoos karti hongi?"
Avantika ne sochte hue poocha.


"Usually.. Mai weekend me unse milne chala jaata hunn....." Manav ne Avantika ke sawaal ke doosre intention ko bhaamp liya tha. Usne asmanjas se uski or dekha.

"Ek baar jab aap aur Sani settle ho jaate hain, to mai aapki daadi ko yahaan humare saath rehne ke liye invite kar sakti hoon," Avantika ne aadha(1/2) second sochne ke baad kaha.

"Yehh..... shayad.. thoda jaldi hoga" Manav sharmindgi mein muskuraaya. "Unhe abhi tak Sani ke baare me kuch bhi nahi pata."

"Unhe jald hi pata chal jayega. Bade-jan kya sochte hai, kaise sochte hai; mai iske ke baare me aapse behtar jaanti hoon...,
Hmm.. Chaliye theek hai..! unhe batane ka chance mai aapko deti hoon. "

"J-Jii..." Manav ne haan me sar hilaaya aur aaluyon/potatoes ko patli strips me chop karna jaari rakha.

"Aunty wo.., inspector kon hote hai?" Manav ko achaanak yaad aaya to usne poochha.

Manav nahi jaanta tha ki Avantika ke saath wo hamesha comfortable kyon mehsoos karta tha. .
Shaayad isliye, kyonki uske liye jo "Mamta ya martatv" ki chhavi thi uss par Avantika khari utri thi.. !

"Ohh.., aap ek inspector se mile!?" Avantika thoda hairaan thi.

Manav : "Meri university me ek professor hai.. Unka naam Shalini hai,"

"Achcha.. to wo hai....." Avantika apne vichaaron me kahin kho gayi thi.

"Aap.. unhe jaanti hai..!?" Manav ne saavdhani se poochha.

Avantika : "Ye aise log nahin hain, jinhe aasani se handle kiya jaa sake. Lekin Shalini ka hum East Ocean ke saath ek rishta hai..., isliye wo aapke liye jyada pareshani khadi nahi karegi."


East ocean ka jikr Manav pehle bhi apni daadi aur phir Ms. Shalini ke muh se sun chuka tha.

"Lagta hai jaise aur bhi inspectors hai..? aur aisa lagta hai... ki ye (Avantika) khud bhi unki badi respect kartein hain." Manav ne socha. Wo aur jyada confused ho gaya tha.

Manav ke chehre par confusion dekh Avantika ne bolna jaari rakha, "Inspectors, Dragon Clan me khaas logon ka ye ek group hai jo Dragon Clan ke internal matters ki dekh-rekh karta hai. Unhe aisi kisi bhi cheej me interfere karne ka adhikaar hai jo rules ke khilaaf ho jaise rishvat ya murder... Jab tak unke paas apradhon ke saboot hain, tab tak unhe apne se oopar ke logon ko report kiye bina, khud se hi case handle karne ka poora adhikaar hota hai. "

"Aise to vo.. kuch bhi kar sakte hai. ." Manav ne socha.

Avantika : "Unhe kabhi kam mat samajhiyega. Unme se kayi Heavenly level/deviye-star se bhi oopar hain. .
Elder Vinod, jo apne East Ocean Dragon Region ke ek behtareen Master hain.. Lekin 2 elder Vinod milkar bhi Shalini ka kuch nahi sakte! "

Manav ke paas is tarah power level ki koi samajh nahi thi. Use nahi pata tha ki inme ladai ya yudh kaise hote honge. Magar, wo itna jaroor samajh gaya tha ki jitna wo soch sakta tha use bhi kayi guna jyada shaktishali thi Ms. Shalini! !


Manav : "Unhe mere baare mein kaise pata chala..?"

Manav ne khud ke man aur dimaag me yeh baat achche bitha li thi ki Ms Shalini badi khatarnaak hai aur unse door rehne me bhi uski bhalai hai. .


"Baat yeh hai ki sab ki apni-apni aura hoti hai. Abhi aapki saadhna ka level bahut kam hai, isliye aap na kewal doosron ki balki khud ki aura bhi mehsoos nahi kar pate hain. Aur Shalini.. Dragon clan ki ek badi extraordinary inspector hai.. to wo aapki aura aasaani se dekh sakti hai! ," Avantika ne shaanti se samajhaaya.

Manav : "Kya.. mai apni Aura chhipa nahi sakta?"

"Aap chhipa sakte hai. Lekin agar koi vyakti aapse jyaada shaktishali hai, tab wo aapki aura dekh sakte hain," Avantika ne kaha jaise ki wo jaanti ho ki Manav ke dimaag mein kya chal raha tha.

Usne bolna jaari rakha, "Lekin chinta ki koi baat nahi hain. Dragon clan me ek-dusre ko jaan se maar daalne ki anumati nahi hai. Aur jab Shalini aapki dragon identity ko legal maan legi tab, wo aapko chot nahi pahuchayegi. Balki wo to aapko khataron se protect karegi! "

"Legal identity.... Kya main Ms. Shalini ki najar mein ek illegal character hoon? "Manav ne man hi man socha.

"Iske alawa, hum East Ocean Dragon Clan aapko kuch nahi hone denge!" Avantika ne apni peeth seedhi kar, bade confidence se kaha. :alright:

Manav ne Avantika ko dekha... Avantika ke in shabdon ne uska ka dil chuu liya tha. Nishchit roop se wo Manav ko apna damaad maanti thi. .
Agar aisa nahin hota, to kyu weh use kitchen me uski help karne deti ? aur.. kyu uske apne najdeek khade hone ko allow karti? ?



"East Ocean Dragon Clan......lagta hai ki yeh Clan sach mein behut powerful hai! Yahan tak ki Ms. Shalini bhi apni inspector wali special identity ke wabjood is clan ki bahut respect karti hongi." Manav soch raha tha.

"Kya Sani ke dad ka Dragon Clan me itna high status hai..!?"
Manav ko laga ki ye poochhne ka achcha mauka hai to,usne yeh question pooch hi liya.
Iska answer sochne me usne bahut maathapachhi ki thi.

Pehle Dadi ki, aur Elder Vinod ki baatein.. Uske baad Ms. Shalini ka East Ocean par reaction.. In sab se Manav ko lag raha tha ki shayad Sani ke pita.., Dragon Clan ki ek badi hasti hai..!

Avantika : "Hmm...! Ve East Ocean ke king hai. East Ocean.. Jo 3000 sq kilometre ke kshetra me phaila hai.. Ve iske Leader hai! "



P.S. :-

* Heavenly level/deviye-star-
* East Ocean? Iski location?

~details Annexure me update ho jayegi~


Batane ka ki kaisa laga ye update?

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,

๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

Dubara mulakaat hogi agle update me...
To be continued.....
Super duper
 
Status
Not open for further replies.
Top