• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
โ€ขยฐUPDATE 14โ€ขยฐ


Recap -

"Sure.. yeh aapke campus se jyada door nahin hai. Yadi aap bus bhi lete hain, to route 767 aapko seedhe yahan pahuncha dega." jab Manav uske plan ke liye sahmat hua to Avantika muskura di. ๐Ÿ˜Š
Bahut pyaari muskaan thi... :love:

Manav ne Saanvi ko dekha. Usne socha ki is chhoti ladki ke facial features aur body shape uski mom ke jaise hi hai. Jab ye badi hogi.. to ek behad khoobsurat apsara banegi.

"Humph!" aur Saanvi ne Manav ke saath eye contact ko avoid kar diya ๐Ÿ˜ค



AB AAGE :-


Choonki ve pehle hi main topic par baat kar chuke the, isliye ab situation clear lag rahi thi. Dinning table par mahol ab pehle jitna awkward nahi tha.

Baatcheet ke dauraan, Manav ko pata chala ki ghar ka itna shaandaar interior design, Avantika ne khud kiya tha. Avantika ki normal pehchaan ek designer ki thi aur woh designer community me bahut famous thi.

Aage baatcheet karne ke baad, hairaan hue Manav ๐Ÿ˜ฒ ko pata chala ki Chennai city ke top 10 landmarks mein se 1 Saanvi ki mom ka masterpiece bhi tha!

Yeh masterpiece.... ek stadium tha, jise iss saal Chennai University ke admission brochures ki promotional pictures me bhi dikhaya gaya tha. Pichle saal hi iska construction poora hua tha.

"Iske dad ek successful businessman hain aur mom ek outstanding designer... is tarah ki family saaf taur par upper-middle class se bhi oopar hai...
Bhale hi inki Dragon jaisi koi hidden identity na hoti, phir bhi Saanvi jaisi chhoti ladki ke paas proud aur show off - karne ke liye paryaapt assets hai." Manav khate khate soch raha tha.


Lunch karte samay, Avantika hi thi jo mukhy roop se Manav se baat kar rahi thi. Uske bagal me baithe Rajyavardhan ka dhyaan khane par tha aur kabhi-kabhar hi wo kuch kehta tha.
To wahin Saanvi apna sar neeche kar, khaana aise chabaa rahi thi jaise ki wo rice nahin balki Manav ko kha rahi ho. ๐Ÿ˜…

...
...

"sasuraal-walon ke saath pehli mulakaat shaayad aisi hi hoti hogi..," Manav ne unke questions ka jabaab dete hue socha. .

"Kya aapke parents foreign me hai?" Avantika ne Manav se poochha.

Manav : "Ji, ve.. next month tak wapas aayenge,"

Avantika ne kuch socha aur kaha, "Jab aapke parents wapas aa jaye to dono families ke beech ek meet-up kaisa rahega?"

Ye sunte hi Manav ke dil ki dhadkan kuch pal ke liye ruk gayi.. ๐Ÿ˜ถ
Maana ki usne is fact ko to accept kar liya tha ki uska aur Saanvi ka saath lambe samay tak rahega, lekin.... Avantika ki is nayi request ne use ek baar phir asahaj kar diya tha!

"Agar mom - dad ko pata chala ki unki absence me.. ek middle-schooler ladki, meri mangetar ban gayi hai.... To pata nahi unki kya reaction hogi...!" Manav soch raha tha.

"Kyuki jab sab kuch tay ho gaya hai to.., donon families ka milna normal hi hai," ๐Ÿ˜Š Avantika ne Manav ki hesitation ko dekha aur kaha.

Manav ne Avantika ke gentle expression ko dekha.. Use pata tha ki woh asal mein is mamle ko jald se jald suljhaana chaahti thi. Aur waise bhi, Avantika ke perspective dekhe to, aise cheeje parents hi tay karte hai.


"Maine kab kaha ki mai isse shadi karungi!!" Aakhirkaar Saanvi ne apna sar uthaaya aur kuch kaha.

"Aapne jo mistake ki hai uske liye aapko jimmedar hona hoga Sani! Agar aap Elder Vinod ki baat maanti, to ye sab nahi ho raha hota.. **(update 8)**
Aap kya chaahti hai ki doosron ko aapki mistakes ki saja bhugatni pade! ?" Avantika ki expression abhi bhi gentle the, lekin uski tone kathor ho gayi thi!

Saanvi ne baat karna band kar diya kyonki weh jaanti thi ki galati uski hi thi. Phir bhi, wo apni iss galti ke liye aise "uncle" se shaadi nahi karna chaahti thi...

"Manav thoughtful hai, acha insaan hai aur main usse satisfied hoon!" Avantika ne Saanvi ki or dekha aur kaha,
"Ab aap itni chhoti bhi nahin hain.., aap aise kisi bachche ki tarah humesha baat-baat par gussa karna band karein! Apko apni responsibilities leni chahiye aur unka saamna bhi karna hoga. Aapke dad aur mai kab tak aapko protect kar sakenge..? ?
Hum ye bhi chahenge ki jo hua tha usse, aap thodi mature bane. Ab aap aise kisi spoiled child ki tarah behave nahi kar sakti hain.. Kuch samjhi aap! ??"


Saanvi ne Avantika ki baat sunkar use udaas bhaav se dekha ๐Ÿ˜Ÿ Weh rona chaahti thi.. lekin Manav ke saamne khud ko kamzor bhi nahin dikhana chaahti thi... Usne apna sar phir se niche kar apne bhaav chhupa liye..
Isse jyada wo aur kar bhi kya sakti thi?

Avantika ko use lecture dete hue dekhkar, uske dad Rajyavardhan chup hi rahe.
Jahir tha, ki wo Avantika ki baat se sehmat the!

Saanvi ke parents is matter ko jaise treat kar rahe the, Manav ko iske pichhe kisi dusri badi wajah ka hona bhi mehsoos hua. .
Halaanki, Apni Saanvi ye sab samajhne ke liye abhi chhoti thi.


"Kya... ye Sani ko mujhe saupne ke liye is chance ko utilize karne ki koshish kar rahe hain? ? kya.. aisa ho sakta hai ki inke itne powerful background aur capabilities ke baavjood, abhi bhi kuch khatre aise hain jinke baare mein ye baat nahi kar sakte..?" Manav soch raha tha.

"Manu.." Avantika ne mudkar Manav ki or dekha, " Sani mein abhi bhi bachpana hai, please iske behaviour ko mind mat kariyega..."

"Ji haan.., mai samajh sakta hu.."
Bachpane waali baat par Manav agree kar sakta tha. ๐Ÿ˜

Bhale hi Rajyavardhan ne apna chehra bhaav viheen rakha hua tha, lekin, Saanvi ki laal aankhon ko dekhkar, jaise ki weh rone hi wali ho...., use bura lag raha tha. Baap jo tha.
Usne Saanvi se kaha, "Jaiye.., agar apka lunch ho gaya hai to thoda rest kar lein."

Saanvi ne haan me sar hilaaya aur oopar jaane ke liye teji se bhaagi. Uski footsteps
"da da da"

Sound ki series ๐ŸŽถ ๐ŸŽต bana rahi thi.


Manav ne use oopar jaate hue dekha aur phir waapas mudkar Avantika aur Rajyavardhan ko dekha.

Avantika : "Uska kuch der akele rehna hi behtar hoga,"

Manav apna sar neeche kar awkwardness ke saath bas muskura kar reh gaya..

Avantika : "Sach Sach bataiyega, Sani aapko kaisi lagti hai?"

Asal me, Manav ka is jungli nak-chadi little girl ke liye koi achchha impression nahin tha, lekin wo uske parents ke saamne uski kisi bhi kami ke baare mein, kaise kuch keh sakta tha.. ?
Isiliye, Manav ko Saanvi ki khoobiyon ke baare me thoda jor lagaakar sochna pada.


Usne kuch seconds socha aur kaha, "Weh bahut pretty hai.. bhale hi use gussa jaldi aa jata hai, par wo really.. badi cute hai,"
Pretty aur cute shaayad yahi 2 khoobiyaan thi jinke baare mein wo soch sakta tha. ๐Ÿ˜…

"Aap usse bade hain. Please humare liye uska dhyaan rakhna.. Uske dad aur mai usually kayi cheejon mein busy rahte hain.., aur isliye humare paas uski dekhbhaal karne ke liye utna time nahi rehta pata hai.., aur isiliye woh itni jiddi aur arrogant ho gayin...," Avantika ne chinta se kaha.

"J-Ji..." Manav ne sar hilaaya.
Bhale hi wo, vaastav me uss nakchadi Saanvi ko pasand nahin karta tha. Lekin wo, uske parents ke caring nature aur Saanvi ke prati unki chinta se bahut prabhaavit hua.

Asal me wo, Saanvi ki feelings ko bhi samajh sakta tha. Jab woh chhota tha, to uske parents bhi kaam mein busy rehte the aur uski jyaada dekhbhaal nahin kar pate the. Isliye, wo khud bahut egocentric aur independent ban gaya tha.. Wo to kismat achi thi jo uski ek caring daadi thi jo hamesha uski dekhbhaal kiya karti thi, daadi ma ki wajah se hi uske bachpan ki kuch achi memories ban saki..


"Oopar jaayein aur use company dein." Jab Avantika ne dekha ki Manav ka khaana ho gaya hai to usne seedhiyon ki or ishara kiya.

"Okay..." Manav ne paani piya aur lakdi ki un safed seedhiyon ki taraf badh gaya.

Seedhiyon ke saath wali deewaaro par kuch abstract paintings tangi hui thi. Manav unko dekhte hue dheere-dheere chad raha tha, aisa lag raha tha jaise weh kisi art gallery mein ghoom raha ho.

Doosri manjil ke corner me bani ek chhoti si khidki se, Manav ne shaant aur sundar backyard ko dekha aur Avantika ke design sense ki tareef kare bina nahi reh saka!

Saanvi ka bedroom, doosri manjil par corner se pehla room tha. Baahar darwaaje par latki chhoti si black toy cat se, Manav ye easily bata sakta tha. :smartm:

Usne darwaje ko knock kiya.

Andar se koi aawaaj nahin aayi.

" Hello....! Kya tum mujhe ander nahi aane dogi! ?" Manav kuch seconds ke liye wahin khada raha aur poochha.

"Haan nahi aane diya to tum kya kar logee!!? mere parents se complain karoge? ? Jaao kardo, Humph!!" Saanvi ki shikaayat se bhari aawaaj ander se aayi.

Manav muskuraaya aur neeche jaane ki awaaj paida karne ke liye kuch chhote kadam uthaye.


Dong dong dong...

Aur bedroom se tej daudne ki aawaaj aayi!
Saanvi ko laga ki Manav sach mein uski shikayat karne neeche jaane laga hai to weh darwaja kholne ke liye daudi.

Wo Manav ko seedhiyon se wapas oopar kheechne ke liye, bedroom se baahar bhaagi..
Halaanki, usne yah nahin socha tha ki Manav abhi bhi darwaaje par khada hoga. Is tarah se, wo seedhe Manav se ja takrai!

Uski soft aur petite body ne Manav koi chot to nahin pahunchayi, ulta uske pet ko gudgudaa diya.

Manav ne us chhoti laparwah ladki ke kandhe ko apne haathon se pakad use support diya aur uski or dekha, "kya mai tumhe chugli karne wala lagta hun?"

Saanvi ne apna sir uthaaya aur sharma gayi. Halaanki yah uska misjudgement tha, phir bhi usne apne jiddipane se kaha, "tum chugli karne wale hi lagte ho!" ๐Ÿ˜ค

Manav muskura diya aur usse aur bahas nahin ki. Usne use thoda peeche dhakka diya aur uske bedroom mein jaane ko hua.

"Kya..kya..!? tumme jara bhi manners nahi hain? ? Aise randomly mere bedroom me mat ghusa karo!" Saanvi darwaaje par khadi ho gayi aur Manav ko gusse se dekha.

Manav ne uski or dekha aur use chidane ke liye kaha, "Mai to apni mangetar ke bedroom mein aa raha hu! Tumhe koi problem hai? ? "

"Tumko to mai...." Saanvi ne Manav ko dekha ๐Ÿ˜ก
Wo gusse mein thi lekin apna gussa baahar nahin nikaal pa rahi thi.


Uski aankhein laal thi.. aisa lag raha tha jaise wo sach mein royi ho. :weep:
Jab Manav ne yeh dekha to uska man use aur pareshaan karne ka nahi hua..
Manav ne uski gusse se bhari aankhon ko avoid kiya aur aise hi casually uske bedroom ko dekhne laga.

Farsh se lekar ceiling... aur saath hi window.., uska chhota sa bedroom ancient-themed wale flowers aur trees ki scenery se bhara hua tha. Baahar se aa rahi suraj ki roshni transparent glass par pad saare kamre ko chamka rahi thi.
Kulmilkar bedroom ki sundarta aisi thi ki kisi ko bhi chakachaundh kar de ๐Ÿคฉ

Ek light green colour ka fish tank windowsill ke oopar rakha hua tha jiske ander kuch goldfishes athkeliya kar rahi thi. Bed ke piche, oopar ki or latka hua vishaal calligraphy framed post ek anootha aur artistic mahol bana raha tha...

Phir bhi.., diwaar ka light khaki colour room ke araamdayak hone ka dawa kar raha tha, aur
Khaaskar..

Bada sa stuffed teddy bear ๐Ÿงธ ye prove kar raha tha ki is bedroom ki owner ek chhoti ladki hi thi jise bas thodi attention aur care ki zaroorat thi...!



To kaisa laga aap sabko ye update?

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,

๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

Agar aapko Saanvi ki "pretty" aur "cute" inn 2 khubiyon ke alawa koi aur khoobi pata ho to jarur batana ๐Ÿคฃ

Kal milte agle new update me...
To be continued.....
 
Last edited:

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
Behad khubsurat update tha
Sani khubsurat to hai hi sath hi sath determine bhi hai aur iske sath sath emotional bhi hai, jese jese badi hogi strong aur quite hoti jayegi aesa mera man kehta hai aur apna manu sensible hai preshaniyo ka samna kerne aur apne aap ko sabit kerne ka madda rakhta hai jese jese bada hoga . Aur carring hota jayega aur Sani ke liye pyar badta jayega
 
Status
Not open for further replies.
Top