• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
:hello: :wave: Xabhi bhau :hug:
Jabardast update bhai sandar amazing
Shukriya bhai 😊 🙏
isme mujhe bas ek hi baat kahni hai, ye jo aap Lagbhag Har dusri line me synonyms likhte ho samjhane ke liye uske chalte flow nhi ban paata padhne ka, Bich me rukna padta hai, ho sake to aap ise kam karne ki Kosis kare...

Kahi kahi ho to chalta hai pr Har jagah aisa karna un-necessary hai...

Baki update superb tha bhai
Ohh aisa.. :monkahmm:
Alright bhai :good: kam karte hai ise
thank you for your suggestion 😊 👍
 
  • Love
  • Like
Reactions: Amrit_#0 and Xabhi

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Ha ab mere ko nya masala mil rha hai padhne ko,
:hi:
manav ko apna man ekagrachit karne ki pahli tecnik mil chuki hai or ab vo uski training karta hai Lagbhag roj raat me...
Han 😄 shruwaat ho chuki h
Raat me taki uski din ki routine kharab na ho
Ye mis Salini to alag hi level ki pratibha rakhti hai, vo inspector hai dragons ki, unhone manav ko Har baat ko secret rakhne kaha hai, pr sale ye ladke to shalini ji ke pichhe aise hath dho kr pade hai Jaise sahad ke chhatte me makkhiya bhinbhinati hai...
:evillaugh:
cold beauty ka attraction jyada rehta :love:
Ye sanvi ke ghar se gadi aayi hai manav ke liye, mujhe lagta hai ab manav ko kah dena chahiye ki mere liye yadi bhavisya me kabhi gadi bheje to normal si car kafi hai Ya auto bhi chalega pr aise mahgi gadiya na bheje, meri college life prabhavit ho rhi hai, Yadi manav himmat nhi karega to mujhe afsos hai ki ye sab badhta hi jayega or ek Samay aisa bhi aayega jb college ke ladko me ladai Ho jayegi manav ki ya fir ye dost bhi bichhud jaye...
:verysad:
jo hukam Xabhi aaka
Aapki seekh ka palan karwate agle adhyaay me :bow:
Maza aaya nye nye updates padh kr superb bhai sandar jabarjast
Bahut bahut dhanyavaad bhai
Lovely review 😄🙏
 
  • Love
  • Like
Reactions: Amrit_#0 and Xabhi

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Ye sanvi or manav ki bato ka Jo aapne is update me uske MA baap ke sath ka dikhaya hai mujhe ye or bhi dekhna tha, bada maza aa rha tha ise padhne me...
Ohhh 😅
Jaroor bhaya, baaton ka sil-sila continue rakhte h agle update me 👍
Bapu udhar se Har baar apni bitiya ko control kr rha tha or idhar sanvi manav ko apne mithe bol Suna rhi thi...
🤣🤣🤣
Superb jabarjast amazing update bhai sandar
Thank uu so so much bhai 😄🙏
:happy:
 
  • Like
  • Love
Reactions: Amrit_#0 and Xabhi

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 13•°


Recap -


"Achi baat hai.. Ab to tum khush hoge badbudaar Uncle! mere parents bhi tumhara hi favour kar rahe hai humph," jaise hi uski mom gayi, Saanvi ne bholepan ko chhod apne "shaatir" svabhaav ko phir se ujaagar kiya.
Usne Manav ko dekh, phir se bura muh bana liya tha 😈

"Itna kya bhadak rahi ho..?
Acha.. kya.... tumhara school me koi nibba.. Mera matlab koi bf hai?" Usne sadakon par ghumne waale nibba-nibbi ke baare mein sochte hue poochha.



AB AAGE :-

Manav ka sawaal sunkar, Saanvi ne use kuch seconds ke liye sawaliya najar se dekha aur kaha, "Mai un bachchon ke jaise ye sab drame nahi karti!"

Manav : "Un bacchon... Tum khud bhi bachchi hi ho! 😂 Mature nahin ho! "

Saanvi : "Haan haan, mai tumhare jitni mature nahi hoon, U-n-c-l-e !!"
usne jaanboojhkar "uncle" shabd par jor diya.

Manav muskuraya aur usse bahas na karne me hi apni bhalai samjhi.
Usne mudkar Rajyavardhan ko dekha jo apne study room mein, documents ko review karne mein busy tha. Phir usne Avantika ki taraf dekha jo ki kitchen mein khaana banane me busy thi. .
Ant mein, usne Saanvi ki or dekha, jo uske bagal me, haath me remote liye TV dekh rahi thi. Wo kafi sunder aur chulbuli lag rahi thi.

3 logon ki ye family ek normal aur sampann family ki tarah hi thi,

"Kya mai... ekdum se iss family ka member ban gaya hun..?"
Manav confused tha.

Avantika kitchen se aakhiri 2 dishes baahar layi aur jor se kaha, "Lunch time! Lunch time! !"

Saanvi ke pita, Rajyavardhan ne documents review karna band kara aur study room se baahar chala aaya.

"Manav, aaiye saath me lunch karte hai," Avantika ne lagav se kaha.

Saanvi ne Manav ko gusse me aise dekha 👹 jaise use dekhkar Manav dar se ghar chhod kar bhaag jayega!

"Saani.. aisa face nahi banaiye. Ek pal ko maan bhi lein ki Manav aapka mangetar nahi hai, lekin phir bhi wo apna mehmaan hai," Avantika ne Saanvi ke sar ko thapthapaya aur use daanta.


"Mangetar" shabd sunte hi Manav ka dimaag phir se jam gaya..

"Aaien.., baithen" Rajyavardhan ne adab se baithte hue Manav se kaha.

Manav awkward feel kar raha tha, lekin weh unke invitation ko na nahi keh saka.


Ek chair le wo bhi baith gaya.

Un chaaron ke hisaab se dinning table bahut
badi thi.

"To aap apni college life me busy honge?" Avantika ne Manav ko plate lagai aur poochha.

"Uh.. Ji haan," Manav ne uttar diya. Use ajeeb lag raha tha.
Wo abhi-abhi unse mila hai.. Aur unke ghar par khaana kha raha hai.. Oopar se baatcheet aise ho rahi thi jaise weh bhi unki family ka member ho.

Kuch der yahi sab sochne ke baad use yaad aaya ki usko "Dragon Clan" ke baare mein poochna tha.

"Mai jaanti hu ki aapke paas hume lekar bahut se questions hain.., lekin mujhe bharosa hai ki aapko dheere-dheere in cheejon ki aadat ho jayegi," Avantika ne kaha jaise ki use pata ho ki Manav kya soch raha tha.

Avantika : "Abhi Saani bas middle school ki 8th class mein hai. Sach kahe to, is age mein shaadi ki baat karna jaldbaaji hi hogi.. Haalanki, humare dragon circle me ye sab cheejen, kam age me bhi tay ho sakti hain.. Mai bas itna kehna chahti hu ki Saani ki life ab tumhare haathon mein hai."

Ye sunkar Manav achambhit reh gaya. Ab wo bhi serious ho gaya tha.

Avantika ne aage jaari rakha, "Aapne Saani ke internal core ko nigal liya hai. Waise, hum ise aapki body se by-force bhi nikaal sakte hain, lekin yeh tarika definitely aapko gambheer chot pahunchayega... Asal me Saani badi kind-hearted hai, aur wo is problem ka koi bhi hinsak solution nahin chahati.. .
Aur raha mera viewpoint.., to mai nahin chahti ki Sani ki galati ki saja kisi nirdosh ko bhugatni pade.."

Avantika yahan thoda ruki aur Manav is samay Saanvi ko dekhe bina nahin reh saka, lekin Saanvi ne apna muh fer liya.

"To, humne decide kiya hai ki Sani ki internal core aapki body me hi rahegi aur aap saadhna karna start karenge. Halaanki, mai ye clear kar deti hu ki.. ye tarika bhi poori tarah se safe nahi hai. Yadi aap ek nishchit samay mein ek nishchit level tak nahin pahunch sake. .. doosre shabdon mein, yadi aapki body internal core ki overflowing energy ko jhel nahi paayi, to iska result bhi jaanleva hoga," Avantika ne badi seriousness ke saath kaha.

Jab elegant aur gentle Avantika achanak itni serious ho gayi to Manav bhi ghabra gaya.


" Mai aapko kuch aur bhi batana chahunga" Rajyavardhan ne achaanak se kaha, "Vastav me, yadi hum core ko apki body se nikal kar Sani ko lauta de.., to iska Sani par koi bhi bura asar nahi hoga! Phir bhi.., maine sabhi Elders ko vishwas dilaane ke liye, Elder Vinod ko jhooth bolne ke liye kaha. Unhone sabhi se kaha ki apki body me rehne ke baad dragon core shuddh nahi rahegi, jisse Saanvi use apne andar adjust nahi par payegi...

Ye sab aapki jaan bachaane le liye tha." **(Update 8) **

Rajyavardhan ke shabdon ko sunne ke baad, Manav ko laga jaise woh anginat khataron se ghira hua hai.

Kuch din pahle wo kitni hi baar swarg-wasi (marne) hone se baal baal bacha tha. **meeting discussions**

Rajyavardhan ne Manav ki or dekha, "Ab aapke paas sirf 2 options hain. Pehla yahi ki, hum core ko jabardasti baahar nikale.. yeh aapke liye bahut jyada risky hai. Doosra, jaisa hum aapko batate jaye usike according saadhna karein. Risk to phir bhi hoga, lekin yeh bahut chhota hoga."


"Mai.. yeh jaan-na chahunga ki..." Manav ne Saanvi ki or dekha, "Core khone ke baad, Sani par iska kya asar hoga..?

yeh sunkar ki Manav ne use "sani" kaha, Saanvi ne use ghoora lekin kuch kaha nahi.

Rajyavardhan : "Filhal to koi khatra nahi hai. Lekin, 3 saal baad jab Saani 18 saal ki ho jayegi tabtak, yadi aap dragon core ki sabhi openings nahin khol sake aur uske aadhe (1/2) Connate Dragon Essence ko Sanki ko wapas transfer nahi kar sake...., to woh aur 2 saal se jyada nahi jee payegii...... " 🙁

Dinning table par achanak shaanti chaa gayi.


Manav : "Doosre shabdon mein..., agar hum 2nd option ko choose karte hain, to sabhi ko risk uthana padega.. Jabki pehle option me Sani ke liye koi risk nahi hai, lekin yeh option mere liye jaanleva ho sakta hai... kya mai sahi hu.. ?"

"Hmmm..!." Rajyavardhan ne haan me sar hilaaya.

Dinning table ek baar phir khaamosh ho gayi..

Manav : "Aur... Sagai, mangetar.. ye sab..?"

Rajyavardhan ne aram se kaha, "yeh 2nd option ki condition hai.. Agar sabhi second option chunte hai.., to aap log ek-doosre se shaadi karke hi is option ki jaruraton ko poora kar sakte hain."

"Ek-doosre se shadii..?" Manav ne iske baare mein socha.. aur turant samajh gaya. :sex:
Usne Saanvi ke chehre ki or dekha, jo is samay tamatar ki tarah laal tha.

**( 1. Shaadi 3 saal baad jab wo 18 ki ho jayegi,
2. Timeframe approx. 2005-2013) **

"Kya.. Koi aur option nahi hai...?" Manav ne socha aur poochha.

"Filhal to nahin," Rajyavardhan ne spasht uttar diya.

phir ek baar dinning table par sannaata chha gaya.

"Iss.. Chhoti ladki.. , Saanvi ne mujh par apni life daanv par laga di.. . ismen ab hesitate karne ke liye aur bacha bhi kiya hai?" Manav ne man hi man socha.

"Ise maaro mat.., lekin mai isse shaadi bhi nahin karna chaahti," Saanvi ne achaanak kaha.

"Ye dono conditions ek saath nahin ho sakti," Avantika ne use yaad dilaaya.

"Phir bhi..! mai isse shaadi nahin karungi! "
Laal hua chehra liye Saanvi ne kaha.

Avantika : "Toh.. Inhe maar de? ?"


" Ehh ... hume aisa karne ki zaroorat nahi hai.." Saanvi ne apne honthon ko halke se kaat liya kyonki woh badi duvidha me thi. Aakhirkaar, yeh sirf uski galti thi, aur Manav nirdosh tha.

"Hmm.. chunki aap dono ko koi objections nahin hai, to hum doosre option ko follow karenge," Rajyavardhan ne apna faisla sunaya aur kaha, "Chalo ab khane par focus karte hain!"

"But Dadd...." Sani abhi bhi virodh karna chaahti thi, lekin Rajyavardhan ke facial expressions ne use rok diya.

"Sani.., bacche aapko apni galti ki responsibility leni hogi..." :alright: Avantika ne Saanvi ko dilaasa diya, "Maine Manav ke baare me pata kiya hai. Wo bada acha bachcha hai.. Weh badon ke prati considerate aur respectful hai. Aapke dad aur mai usse bahut satisfied hain, nahi to hum iss option ke liye raaji hi kyu hote? Aur jab tak aap sehmat nahin hain.. , woh nishchit roop se aapko achche se hi treat karega."

Avantika ke shabdon ko sunkar, awkward Manav, jo table par uske saamne baitha tha, ne apni body to chair par adjust kiya.. use pata nahi tha ki is baat par kya pratikriya de. Usne apne se 4 saal chhoti mangetar ke baare me kabhi nahi socha tha!

"Aapki English kaisi hai, Manu! ?" Avantika ne achaanak Manav se poochha.
Yeh confirm hone baad ki Manav se hi, Sani ki shaadi hogi, usne use alag tarah se sambodhit kiya. Ab Manav, Avantika ki awaaj me aur jyada apnaapan mehsoos kar sakta tha.

"Ji.., theek hi hai..," Manav ne jabaab diya aur socha ki unhen usse behtar pata hoga ki uski English kaisi hai, kyonki unhone pahle hi uski "detailed investigation" kar li thi.

Avantika : "Waise.., Sani sabhi subjects mein bahut achchi hai bas English me hi usko problems hoti hai. . Kuch samay ke liye aap shaam ko use English padhane aaien aur isse aap bhi use achhe se jaan payenge"

"Par.. Kon is uncle ko achche se jaanna chahega.." Saanvi ne bahut dheere se kaha. 😠

"Uh...." Manav har roj yahan aane ke lekar sure nahin tha. Iske alawa, use tutor banne ka bhi experience nahi tha. .

Avantika : "Usi time, Sani bhi aapko saadhna ke baare mein sikha sakti hai. Mujhe lagta hai ki.. yah sabhi ke liye bahut achchha hoga ki aap dono ek-doosre ki help karein,"

Yeh sochakar ki uski saadhna par Saanvi ki zindagi tiki thi, Manav laaparwah hone ki himmat nahin kar sakta tha, bhale hi woh use mangetar ke roop me swikaar nahi kar paa raha tha. Usne iske baare mein socha aur kaha, "Theek hai.., lekin aap logon ko mujhe lene ke liye car bhejne ki zaroorat nahin hai... main khud aa jaya karunga."

Ab manav college me luxury cars ko lekar koi aur hungama nahi chahta tha.. 😁


"Sure.. yeh aapke campus se jyada door nahin hai. Yadi aap bus bhi lete hain, to route 767 aapko seedhe yahan pahuncha dega." jab Manav uske plan ke liye sahmat hua to Avantika muskura di. 😊
Bahut pyaari muskaan thi... :love:

Manav ne Saanvi ko dekha. Usne socha ki is chhoti ladki ke facial features aur body shape uski mom ke jaise hi hai. Jab ye badi hogi.. to ek behad khoobsurat apsara banegi.

"Humph!" aur Saanvi ne Manav ke saath eye contact ko avoid kar diya 😤



P.S. :-


* Dragon core ki openings
* Connate Dragon Essence
~ Annexure ~



To bataiye kaisa raha update 13

🅁🄴🄰🄳,

🅁🄴🄰🄲🅃 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 😄 📝

Fir milenge agle update me..
To be continued.....
 
Status
Not open for further replies.
Top