• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Mast mast update tha bahi
dhanyavaad bhai :hi:
Kashmakash me fasa manav shisht abhi talmel bithane ki koshish me hi hai, ulza hua hai ,har din naye log mil rhy hai nayi bat pata chal rahi hai ,uper se sanvi ka gussa aur ek normal se ladke ki supernatural ke dunia me aane ki kahani dino dil badi dilchasp hoti ja rhi hai
:laughing: Sach kahe bhaya
Ab dekhna ye h ki Manav in cheejon kese handle kar pata h, kya wo khud pis jayega ya pees dega :gaylaugh:
:pepenice: Nice review bhai
Thanks once again 😄 🙏
 
  • Haha
  • Like
Reactions: Xabhi and Amrit_#0

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 12•°

Recap -

Thigne buddhe ko dekh kar, Manav ke man me khatre ki ghanti baj gayi - 😨
Usne is bujurg ko Saanvi ke pita ke office mein dekha tha!

Yeh bujurg wahi "besharm Oldman" - Elder Sharad tha, jisse Saanvi ko itni nafrat ho gayi thi ki agar uska bas chalta to wo iss buddhe ke tukde tukde kar deti! **(update 8 ) **

"Kunwar Manav! Miss Saanvi ki family ne aapko visit ke liye invite kiya hai, " Elder ne bade garv se kaha!

AB AAGE :-

Manav ne asamanjas se boodhe vyakti ko dekha. Jabki, Adarsh aur baaki dono ne, achaanak Manav ka haath chhod diya aur usse doori bana li.

Hostel ke entrance gate par kayi students aa ja rahe the - kuch apni classes se laut rahe the, to kuch apna backpack le apne ghar ko ravana ho rahe the..
Jahan kahi bhi ve students khade the, wahin se Manav ko utsukta se dekhne lage.

Manav poori tarah embarrassed tha... lekin weh chup raha.

"Please..! Car me aaiye," Elder Sharad ne samman/respect ke sath Manav se kaha.

"NAHI..! !" chillate hi Manav ke sabr/patience ka baandh toot gaya.

"Yeh sab kya hai....! Aur mujhe pehle se kuch kyu nahi bataya...!" Manav chida hua tha.

Elder Sharad : "Kunwar Manav.., aapki Miss Saanvi ke saath sagai ho chuki hai.. Aur in cheejon par itna irrational/aaviveki behaviour, achchha nahi hota hai."

Halaanki, uske shabdon ko thodi doori par khade logon ne nahin suna hoga lekin ,
Adarsh aur doosre roommates mates ne ek ek shabd ko suna, "Ssagaii.....!?" ve ise zor se dohrane ke alawa kuch nahi kar sake.

"Ye Saanvi kon hai...?" Sameer ne uljhan mein Adarsh aur Rupam se dheere se poochha.

Lekin un dono bas naa me sar hila diya.

"Aap kya chahte hai.. Ki hum yahi aapka wait karte rahein?" elder Sharad ne vinamrata se poochha.

"Theeek haii! Theek hai!! aap jeete! !" Jyada se jyada logon ko unhen gherta dekh,
Manav unke baare me sochkar jaldi se car mein baith gaya.

Aur sabki najaron ke saamne wo black Lincoln Stretch Limousine, entrance gate se door nikal gayi!

Manav ko khudko simple aur lowkey dikhana ab kathin hota jaa raha tha.

"Manav ki life me chal kya raha hai!" black Lincoln ke door jaate hi, turant Sameer ne kaha.

...
...
...

Thodi der city ke roads par smoothly daudne ke baad, gaadi ek 2 manjila ghar ke aage pahuchi.

Ghar ke simple look se koi bhi andaja nahi laga sakta tha ki ye kisi rich family ka ghar hoga. .

Khair gaadi ruki. Elder Sharad, Manav ko saath liye gaadi se utre.. Aur unhone doorbell baja di.

Apron daale ek khoobsurat mahila ne darwaja khola aur badi shaaleenta se kaha, "Aaiye andar.. "

"Mai inhe yahan le aaya hu, Madam. Ab mai wapas jata hoon, agar aapko kisi cheej ki jaroorat ho to please mujhe call kar dijiyega," elder Sharad ne mahila se vinamrata se kaha.

"Sure...! thank you Elder Sharad. Mai aapko aapke kaam se nahin rokungi.. Aisa lagta hai ki aap Purple Light Scroll ke 9th level ko paar karne wale hain... mai aapka aur time waste nahin karungi," usne muskurate hue kaha.

"Thank you.., madam," elder Sharad ne haathon jodkar jhukte hue dhanyawaad diya, black Lincoln me baitha... aur chala gaya.

Phir, darwaje par khadi weh khoobsurat mahila, Manav ko dekhkar muskurai aur kaha, "Aaiye.."

IMG-20230529-140326.jpg

Kya kehne the us mahila ki muskaan ke.. 😍

Gulzaar bhi likhte honge,

Uski muskan par shayri,
Itni haseen muskan hai uski,
Ke bhar gayi hogi Gulzaar ki dairy.. !

Uske baal... itne sundar dhang se bandhe hue the jaisi ki wo abhi - abhi kisi ancient/pracheen painting se baahar nikal aayi ho!
Use dekhkar, chida hua Manav kaafi relax ho gaya tha.

"ji..." usne dheemi awaaj me mein uttar diya aur uske peeche peeche andar chala aaya.

Living room ko bade delicate tarike se renovate, aur achi tarah se saaf, kiya gaya tha.

Manav ko living room tak guide kar, wo dheere se mudi aur poochha, "Aapne abhi tak Lunch nahi kiya hoga?"

"Nahin..." Manav ne bewakoofi se uttar diya.

Apne saamne khadi is beautiful aur elegant lady ko dekh, weh mantrmugdh/spellbound tha.

"Mai Avantika Maurya, Saanvi ki mom hoon.. Uske dad use school se lane gaye hai, ve aate hi honge.. Aap khade kyu hai..? Aaiye Baithiye. Mai tabtak lunch ready kar leti hun," Weh Manav ko couch tak le gayi aur muskura di. Phir wo kitchen mein chali gayi.

"Ek adarsh/ideal samajhdaar wife aur pyaar karne wali mom kaisi honi chahiye.. ye aunty iska sabse best example hai" Manav ne uski peeth ko dekhte hue apne man mein socha.

Couch par baithe Manav ne ghar ko dhyaan se dekha. Baahar se ye ghar bada simple dikhta tha jabki iske ulat, interior design aur decoration bahut hi aakarshak aur sundar tha. .

Left side safed seedhiyaan thi jo doosri majil par, bedrooms ki or jati thi. Right side ek study room tha. Study room me dikh raha ek bada sa dark brown colour ka bookshelf, parivaar ka scholar/vidwaan hona ko dharsha raha tha.

Living room ka fluffy/fur wala- royedaar carpet bedaag tha. Uske oopar laga medieval/madhyakaleen style ka jhoomar, parivaar ki ameeri saaf bata raha tha.

Ka!

Main door khula aur Rajyavardhan, Saanvi ke saath andar aaya.

Saanvi abhi bhi apni wahi light-blue school uniform mein thi. Jab usne Manav ko dekha, to usne nafrat se apne daant pees liye. Phir bhi uske chehre par surprised hone ke bhaav nahi the, "Shayad.. uske dad ne use, aate samay iss baare mein bataya hoga," Manav ne man hi man socha.

"To aap aa gaye," Rajyavardhan ne halke se uska abhivaadan kiya.

"Namaste uncle...," Manav ne jaldi se khade hokar uska abhivaadan kiya.
Vaastav me usne Rajyavardhan ko apne sasur ke roop mein nahin dekha tha, wo to yaha ek guest tha isliye use vinamr hona pada..

Usne Saanvi ko dekha jo uske dad ke bagal mein muh fulaye khadi thi.
Manav, ek aisi complicated background wali nakchadi middle-schooler ke saath engaged hone ke vichaar se hi kaamp utha.

"Namaste.., baitho baitho," Rajyavardhan ne shaanti se kaha aur Saanvi ki or muda, "Aap dono baatein karo. Mujhe abhi bhi kuch kaam karna hai."

Phir woh study room mein chala gaya aur kuch documents ko check karne laga.

Carpet/kaaleen par khadi Saanvi, Manav ko ghoor rahi thi. Aisa lag raha tha ki wo use kachcha chaba jayegi!

"Mai tumhe warn kar deti hu. Maine tumse shaadi karne ke liye kabhi haan nahi kaha samjhe! Isliye apni itni mehmaan nawazi mat karwao aur yaha se chale jao!" usne bade aggression ke saath kaha.

"Galat! Problem yeh hai ki mai khud kabhi bhi tumse shaadi nahi karna chahunga, theek hai! ? Aur jab ve mujhe jabardasti yaha laye hai to... Mai kya kar sakta huu!!?" Manav ne bhi chillakar, Saanvi ko unfriendly look diya.

Phir usne man hi man socha, "Kya.. ek mid-schooler par aise chillana sahi tha..? Mujhe aise chillana nahi chahiye tha.." lekin tabhi use ehsas hua ki...,
maujooda haalat mein ye mid-schooler uski mangetar/fiancee hain.

"Mai apne computer par game khelne ke liye oopar ja rahi hoon. Sado/rot yahin!" Saanvi ne Manav ko dekha aur seedhiyon ki taraf chal padi.

"Saani!!" Rajyavardhan ki kathor awaaj daayein/right or study room se aayi.

Saanvi ne apne daant pees liye aur apne dad ke shabdon ko sun chalna band kar, wahin khadi ho gayi.

Kuch der tak gambheerta se sochne ke baad usne muh fulakar, Manav par apni aankhein ghumaai, aur bade dheere-dheere uske paas jaane lagi jaise ki hajaaron patthar uske pairo/legs par baandh diye ho.

Bom!
Beman se weh, Manav ke paas couch par baith gayi.

"Agar tumhe baat nahin karna hai to TV hi dekh lete hai..," Manav ne anichchha se uski taraf dekha aur remote uthakar TV chalu kar di.
Wo iss panauti se baat nahi karna chahta tha.

Saanvi use gusse se ghoorti rahi.

Usko ignore kar, Manav ne channel badalna jaari rakha.

"🎵 Oh Dora! Humne kiya ..! 🎵

🎶🎶🎶

🎵 Humne kiya!!! 🎵"

Manav uski or muda, "Tumhe ye dekhna pasand hoga.." 😁😁

**(Dora the explorer - chhote bacchon ka pasandida cartoon)**

"Bhaad!! mein jao!" Saanvi ne use maarne ke liye table se kuch uthaya.

"Saanii! !" Rajyavardhan ne phir se study room se uska naam pukaara. Weh theek - theek jaanta tha ki Saanvi kya kar rahi hogi jaise ki usne living room mein apni dono aankhein chhod di hon. .

Saanvi ne beman se wo cheej wapas table par rakh di, phir bhi uski nigaahen Manav par hi tiki rahi., "Mai tumhe warning de rahi hu! Mujhse mat uljho! "

"Tum mujhe itna hate/nafrat karti ho?" Manav halke se muskuraya.

Chidi hui Saanvi ne kaha, "Sach kahu to, mujhe tum bilkul bhi pasand nahi ho! " 😤

"Same here! tum itni sundar bhi nahin ho.., oopar se ekdum paagal ho! aur.. koi dusra pagal hi hoga jo tumse shaadi karega," Manav ne dheere se kaha.

"Tumko to m...!!!" Saanvi ne apni aankhein chaudi kar li.

"Ladna band bhi karo, aap donon. Future mein.. waise bhi Husband-wife banne wale ho." apne haath mein dish/pakwaan liye, Avantika kitchen se baahar nikli.

"Mom..... ye mujhe pareshaan kar raha hai," 🥺 Saanvi ne bade aakarshak tareeke se bholepan se kaha.

"Hmm Maine sab dekha.., Saani! aap hi use pareshaan kar rahi thi," Avantika dheere se muskuraayi aur doosri dishes taiyaar karne, wapas kitchen mein chali gayi.

"Achi baat hai.. Ab to tum khush hoge badbudaar Uncle! mere parents bhi tumhara hi favour kar rahe hai humph," jaise hi uski mom gayi, Saanvi ne bholepan ko chhod apne "shaatir" svabhaav ko phir se ujaagar kiya.
Usne Manav ko dekh, phir se bura muh bana liya tha 👿

"Itna kya bhadak rahi ho..?
Acha.. kya.... tumhara school me koi nibba.. Mera matlab koi bf hai?" Usne sadakon par ghumne waale nibba-nibbi ke baare mein sochte hue poochha.

P.S. :-

Purple Light Scroll ke 9th level - Annexure

Kaisa tha ye update?
Friday ko dubara milenge new update ke saath
To be continued.....
 
Last edited:

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,394
28,383
218
Excellent update

Amrit_#0

Active Member
1,747
3,794
143

Mast update bro 💗💗
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,573
174
•°UPDATE 8•°

Recap -

Waise bhi, acha mehsoos nahi hota jab aapke pet me koi benaam cheej ho. Aur uss cheej ne jeena haram karke rakha ho.

Khair, usse ummeed thi ki ve log bina surgery ke uss moti/bead ya jo bhi cheej hai, usko baahar nikaalne ka tareeka dhoondh lenge.

Vishaal aur aalishan office mein akele baithe Manav ne, shahar ki or dekha, use aisa mehsoos ho raha tha jaise weh baadalon par baitha ho!

AB AAGE :-

Meeting room mein, Rajyavardhan head of the table par baitha tha aur uske bagal mein Saanvi baithi thi aur baaki logon ne dono taraf ki seats le li thi. Unme se kuch, achanak ho rahi meeting ko lekar hairaan the, jabki anya/others ke chehre par serious expressions the kyonki ve is meeting ke reason ke baare mein jaante the.

"Mera aapko is meeting mein bulaane ka kaaran yah hai ki.., Saanvi ne galti se apni internal core ek mortal ko saunp di hai. "
Rajyavardhan ne meeting start ki.

Yeh khabar sunkar kayi logon ne aashcharya se ek-doosre ki or dekha.

Rajyavardhan : "Last saturday ko Saanvi pahli baar baarish/rainfall kar rahi thi. Elder Vinod ko use guide karna tha, lekin Saanvi ne unki baat nahi suni aur khud se practice karne ke liye unhe chhod diya.. Jisse ye durghatna ho gayi.."

"Mai.. apni duty theek se nahi kar payaa...! Drago.... Bosss..! Please mujhe saja dein! "
Ghabraye hue, saphed bhauhen/eyebrows aur saphed baalon vaale ek Elder apni seat chhod, ghutne tekne hi wale the..

"Isme aapki koi galti nahin thi. Ye mere laad pyaar ka natija hai ki, Saanvi itni jiddi ho gayi hai." Rajyavardhan ne sabko dekhne se pahle Saanvi par najar daali.
"Ab pareshaani yah hai ki Saanvi ka internal core kisi aur ke haath mein hai."

"Agar kisi mortal ne li haii, to bass, hum usse aasaani se wapas le sakte haiii." ek jhaadidaar bhauhen/bushy eyebrows aur badi aankhon vaale vyakti ne suggest kara.

Rajyavardhan ne ek viraam ke baad jaari rakha, "Agar yah itna aasaan hota, to main tumhe yahan nahin bulata. Kuch unexpected bhi hua .. : mortal ne Saanvi ke internal core ko nigal liya hai.."

Iss information ne meeting mein, Saanvi sahit sabhi ko stabdh/stunned kar diya.

"Yeh..! yeh kaise.. possible hai? Humare kabeele/tribe ka internal core...." kisi ne turant iski possibility par savaal uthaaya.

Rajyavardhan ne shaant lehje me samjhaaya, "Saanvi ka internal core abhi bahut chhota aur immature hai. Jab yeh aakash se niche gira, to yeh accidentally mortal ke munh mein chala gaya tha. "

ek-doosre ki or dekhate hue Elders, dheemi awaaj mein baatein karne lage.. (Phusphusane lage)

"Pichhale kai hajaaron saalon mein ek internal core ko nigalne vaala mortal nahin hua hai ..."

"kya woh iss mortal world mein ek saadhak/cultivator hai.. kyonki wo internal core ko nigalne ke baad bhi fata/explode nahi ..."

"3000 saal pahle aakhiri group ka yahan se udne/fly ke baad, yahan lagabhag koi bhi saadhak nahin bacha hai.... shaayad bas 2 ya 3 abhi bhi iss mortal world mein rah rahe hain ..."

"Yah fact, ke mortal explode nahin hua..., Miss Saanvi ke internal core ki weak power ke kaaran aisa hona chahiye.... "

...
...
...

Kam se kam 2 minute tak yunhi phusphusate hue baat karne baad ,sabhi dheere-dheere shaant ho gaye.

Jab sab baat karna band kar diye to Rajyavardhan ne poocha,
"Elders.., aap logon ko kya lagta hai.. hume is problem ko kaise solve karna chahiye?"

"Yeh bahut serious matter hai.. Haalanki, Miss Saanvi kuch saalon tak khatre se bahar hai, lekin apni internal core ke bina , wo saadhna/cultivation nahi kar payengi aur naahi dragon me transform ho sakengi.
Iske alava.., ancient records/ pracheen abhilekho ke according, apni tribe ke members, maturity se pehle yadi apni internal core ko kho dete hai, to ve 5 saal se jyada nahi jee sakte..., bhale hi wo Healthy kyu na ho. " Kuch soch vichaar karne ke baad, safeed eyebrows aur safeed baalon wale, Elder Vinod ne kaha.

"Kyaa....!! iska matlab yeh hai ki agar Saani ko internal core wapis nahi mili to woh 20 ki umrr/age tak hi jee payegi...!"? Rajyavardhan ne chintit hote hue poocha.

Elder Vinod ne warning di, " prakriti/nature ki chamatkaari jadi - bootiyon/herbs ki madad se, ve apni life badha sakti hai, yaha tak ki ek aur internal core bhi viksit kar sakti hai, lekin Miss Saanvi badi keemti hai, inko lekar risk nahi liya jaa sakta. "

"Kya core baahar baithe mortal ke pet mein hai!!! ?" jhaadidaar/ bushy eyebrows aur badi aankhon wala weh aadmi achanak uth khada hua. "Isme mushkil kya hai!! use yahan lao aur uske pet ko kaat dalo!! . . hame internal core vaapas mil jayegii!!!"

Rajyavardhan chup raha....., vah sharminda lag raha tha.

"Elder Indrasen..., 2000 saal ho gaye hain aapko! aur abhi bhi aapka ye hot- tempered ravaiya....."

aadmi ke bagal mein baithi mahila ne disapprove hote hue kaha.

"Yahan Saani ki life khatre me hai !!!...., aur waise bhi wo mortal ek cheenti/ant se jyada kuch nahi hai!!! Yunhi masal dunga use to mai!!" Elder Indrasen chillaaya.

Uske gusse ko dekh kar, kuch Elders apna sar hilakar, haami bharte hue dikh rahe the.

"Use maar daalo !! aur uski body ko samudra mein phenk do.. kisi ko kuch pata nahin chalega!!,"
Elder Indrasen ne bolna jaari rakha.

Yeh plan sunkar jo Elders sar hilakar haan me haan mila rahe the, ve tention me dikhne lage.

Khair.., elder Indrasen ko ignore/najarandaaj kar , Rajyavardhan ne baaki elders se poocha, "Aap sabka kya kehna hai ? Koi suggestion hai kisike pass ?? "

Naraaj eldar Indrasen, baith gaye aur bagal ki mahila se poochhne ke liye mude, "Kya maine galat kaha tha! ??"

Mahila ne uski or dekha, "Boss ne hamen modern logo ke taur tareeke seekhne ke liye kaha tha. Aaj Saikadon/hundreds saal ho gaye hain, aur aap abhi bhi ek gangster ki tarah behave kar rahe hai... Mai to yeh sochti hu ki iss ravaiye ke sath, kaise iss saal aap swarg ki pareeksha/heavenly tribulation nikalenge..! "

"Mai... mai bas keh deta hu, kuch karta thode hoon... Tumhe pata to hai.. Mai kisi ko nahi maarta..." elder Indrasen sharmindgi ke sath muskuraaya.

"Ab chup rahiye aur doosre elders ki baat suniye.." mahila ne abhi bhi use nirashaajanak roop se dekha.

Is beech, ek aur safed baalon wala elder khada hua,
"Ek.. raasta hai..... jisse Miss Saanvi ki yeh samasya bhi hal ho jayegi aur wo mortal bhi jeevit reh sakega..! "

Apne bade haath ko uthate hue, Rajyavardhan ne kaha, "Hmm... bataiye!"

Halaanki, elder kahne se pahle kuch seconds ke liye hichkichaya/hesitate,
"..lekin ... mujhe nahin pata ki mujhe.... yah kehna chahiye ya nahin......"

Rajyavardhan ne encourage kiya, "Aisa kuch bhi nahin hai jo aap nahin keh sakte ho. Jo kuch bhi aap kehna chahte hain bebaak hokar kahiye, main aapko punish nahin karoonga."

"Hmmm...... theek hai..!" Elder ne sir hilaaya.
" Baat aisi hai ki..., agar wo mortal dragon core ko absorb kar sake aur kuch had tak saadhna/cultivation kare, to weh Miss Saanvi ke vital essence ko banaye rakhne ke liye , kuch dragon essence ko transfer kar sakta hai."

Rajyavardhan : "Lekin! shayad.... ek mortal humare tareeko/techniques se saadhna nahi kar payega.... Khair..! is problem ko agar hata bhi dein.., aur Agar aapka plan kaam kar jaye to , 5 saal baad jab Saanvi 20 saal ki hogi..., tab ? Tab kya hoga?"

"Tab tak... Dragon core bhi kaafi bada aur majboot ho chuka hoga, to wo iska aadha hissa Miss Saanvi ke saath share kar sakta hai. Aakhirkaar, dragon core unka hi hai aur isiliye isse unhe koi khatra nahin hoga....
Aur ye tabhi ho sakta hai jab ve…..."

"Jab ve!??" Rajyavardhan ne turant poochha.

" Ji wo....." Elder ne Hichkichahat se apne haath malte hue, difficulty ke saath bas itna hi kaha, "....consummation karein...."

** (consummation - relationship me pehla intercourse/sambhoog , khaaskar shaadi ke baad ki suhagraat - isko consummation of marriage bhi kehte hai.) **

"KyaaA!!!" Saanvi 1 second ke liye thithak/froze gayi aur phir turant khadi hui aur cheekhi , "Old man Sarad!!! tum budhaape mein bhi itne besharm kaise ho sakte ho...!!"

"BEHAVE! !" Rajyavardhan ne apni beti par najar daali aur ek powerful presence ka jhonka nikala, jisne Saanvi ko apni seat par waapas dhakel diya.

"Elder Sharad ka idea ek kaargar solution ho sakta hai," Safed bhaunhon aur baalon wala Elder Vinod achanak bola.

" Practically dekhe to, Agar hum Elder Indrasen ke suggestion ke anusaar chale aur uske pet ko kaatkar core ko bahar nikal le, to bhi ek dooshit/contaminated core ko Miss Saanvi ki body mein vaapas karna.., kahin se bhi safe nahin hoga...
Maine ek pracheen/ancient book me Elder Sharad dwaara bataye gaye solution ke baare mein padha hai. Yeh ek prakaar ki surrogate/pratinidhi core saadhna hai. Iss tarah ki saadhna ke saath problem yah hai ki ismen bahut jyada time lagta hai aur ek bina internal core ek saadhak/cultivator ki help ki bhi jaroorat hoti hai. In sabhi problems ke alawa, saadhak ko bahut hi kam benefits milte hai, aur... , yahi kaaran hai ki iss method/vidhi ne dheere-dheere apni appeal kho di aur ab iska abhyaas nahin kiya jaata hai. Halaanki, miss Saanvi ke case mein, iss method ko try kiya jaa sakta hai."

"Nahiiii !!!" Saanvi turant chillaayi,
" main marna pasand karoongi !!!"

Apni beti ke chillane ko ignore karte hue, Rajyavardhan ne apna haath lahraaya/wave, aur Saanvi aise jam gayi jaise ki woh kisi invisible rassi se bandhi ho, kyonki ab wo na to hil sakti thi aur na hi chilla sakti thi.

Elder Vinod ki or mudte hue, Rajyavardhan ne apni bhaunhen sikod li, "Agar ham yeh solution try karte hain .....to kya iska matlab yahi hoga ki Saani aur uss mortal ko ......"

" Ji.. Humare paas koi doosra chaara/option nahin hai..." Elder Vinod ne vinamrata poorvak kaha.

Ek pal ke vichaar ke baad, Rajyavardhan ne poochha, "Us ladke ka character/charitra kaisa hai?"

"Mai ne yahan aane se pehle kuch jaanch-padtaal ki thi. Uska naam Manav Shisht hai. Weh kind - hearted/dayalu hai aur apni daadi ke sabse kareeb hai. Halaanki wo apni university.. apni study mein bahut acha nahin hai, uska bas pass hone layak result aata hai . Lekin woh na to stupid/moorkh hai aur na hi immoral/anaitik/vyabhichaari hai. Sabse jaroori baat...., weh shaadishuda/married nahin hai aur uska koi affair ya girlfriend bhi nahin hai."

"Hmm... Dragons aur humans ke beech shaadiyan/marriage rare/durlabh to hain, lekin pehli bhi ho chuki hain. Ek baar, use ek Dragon ki nayi pehchan/identity mil jaye , to uske liye humari techniques/tareeko se saadhna karna, apne dragon laws/kanoon ke khilaf nahin hoga." Rajyavardhan ne kuch der socha, "Aap use iss plan ke baare me bataye aur dekhen ki weh kya response/pratikriya deta hai. Agar weh raaji hota hai, to maamla settled/suljha-hua hai."

P.S. :-

* mortal - apne jaise log jinka birth-death ka cycle chalta rehta hai. inse ulat ( ye half information hai , poori info jaldi hi milegi)

* immortals- jo amar hote hai, jinhe kahi angels, to kahi dev, to kahi farishte bhi kaha jata hai.

* swarg ki pareeksha/heavenly tribulation -

In sab ka description aapko jald hi Annexure me mil jayega.

To kaisa laga aap sabko ye update?
Kya aap me se koi karna chahega kisi dragon se shaadi?? 😅
Milte hai next update me
To be continued.....
Jabardast update bhai sandar amazing isme mujhe bas ek hi baat kahni hai, ye jo aap Lagbhag Har dusri line me synonyms likhte ho samjhane ke liye uske chalte flow nhi ban paata padhne ka, Bich me rukna padta hai, ho sake to aap ise kam karne ki Kosis kare...

Kahi kahi ho to chalta hai pr Har jagah aisa karna un-necessary hai...

Baki update superb tha bhai
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,573
174
•°UPDATE 9•°

Recap -

"Hmm... Dragons aur humans ke beech shaadiyan/marriage rare/durlabh to hain, lekin pehli bhi ho chuki hain. Ek baar, use ek Dragon ki nayi pehchan/identity mil jaye , to uske liye humari techniques/tareeko se saadhna karna, apne dragon laws/kanoon ke khilaf nahin hoga." Rajyavardhan ne kuch der socha, "Aap use iss plan ke baare me bataye aur dekhen ki weh kya response/pratikriya deta hai. Agar weh raaji hota hai, to maamla settled/suljha-hua hai."

AB AAGE :-

SwoosH!

Meeting room ka automatic darwaja khul chuka tha.

Ek darjan se jyada log, kuch buddhe aur kuch yuva, room se bahar nikle. Saanvi sabse pehle baahar nikli thi. Manav ko dekhte hi uski shakl aisi ho gayi, jaise wo use kachcha chaba jayegi.

Manav hakka bakka tha, soch raha tha ki ab usne uska kya bigaad diya. " Isne aapni cheej khud gumai, jiske kaaran mujhe yahan bhugatna pad raha hai. Ye to acha hua... ki iske father ek acche insaan hai, nahi to ye mujhe maar hi daalti. "

Jabki doosre log, Manav ko ghoorte hue office room se bahar nikal gaye.

Phir Rajyavardhan nikla aur, Saanvi ko vaapas school le gaya. Weh apni beti ko kaise shaant kar paya.., yeh Manav ki soch se baahar tha.

Ab room mein keval elder Vinod aur Manav hi bache the.

Manav ne elder Vinod ki or dekha aur uske kuch bolne ka intjaar kiya.
Pichhle kuch dinon mein tamaam ajib-o-gareeb cheejon ko jhelne ke baad uska dimaag thaka hua tha, aur usne - meeting me kya hua hoga- sochne ki koshish bhi nahin ki.

elder Vinod ne Manav ke saamne ki seat li aur vinamrata se poochha,
" Kya.. aapka naam Manav Shisht hai?"

Manav - " Haan.., aur aap hai...?"

"Hehe, aap mujhe grandpa Vinod keh sakte hain." elder Vinod ne Manav ko vinamrata se dekha,
"Aap confused lag rahe hain..?"

"Itna bhi nahin!," Manav ne kuch rukhe andaaj se uttar diya.

elder Vinod ne phir bhi Manav ko sneh/lagaav se dekha, "aap.. future mein aur bhi cheejon ko experience karenge."

"Hm?" Manav ne uska, aage bolne ka intajaar kiya.

"Waise.. Aap Saanvi ko lekar kya sochte ho ?" achanak, elder Vinod ne baat badal di.

".. Huh.. woh... Immature.., bad mannered.. , jiddi, badtameej, , man mauji.." Manav shuru hua.

Elder Vinod ne ek muskan ke saath Manav ko tokte hue kaha, "Asal me.. Saanvi ek badi pyaari ladki hai."

" Nahi.. mai nahi maanta.." Manav ne turant javaab diya.

"Dheere-dheere.. future mein aap khud jaan jayenge," elder Vinod ne shaanti se kaha.

"Future mein..??" Manav ne satarkta se usko dekha.

elder Vinod, Manav ko dekhkar muskuraya,
"Haan! aap donon ka saath lambe samay tak rahenga."

Manav sakpaka gaya tha, " Kya.! Kya matlab! ??"

"Humare boss aapko pasand karte hain aur maante hain ki, aap unke damaad banne ke kaabil hain," elder Vinod ne use bataya.

Ye sunkar, Manav ka muh khula ka khula reh gaya. "Yeh.. Kaisa majak hai?!!

"wo middle - schooler Saanvi bas 14 -15 saal ki hogi.. jabki main 19 saal ka hoon!" usne socha.

Elder Vinod : "Aapko kya lagta hai.., jo moti/bead aapne nigal liya tha wo koi mamuli bead thi?"

Uss din ki ghatna aur fir baad me ladki ka moti! moti! .. ye rat lagana.., aur ab Elder Vinod ki baat...
Manav ko achanak yaad aaya ki jab usne Saanvi ko catch kara tha to uske munh mein candy jaisi koi cheej chali gayi thi.

"Wo.. Kya tha..?" Manav ne poochha.

"Dragon core," eldar Vinod ne dheere se kaha.

Manav ne hairaani se use dekha..,l agta hai ye saare log hi paagal hai.. , usne socha.

Elder Vinod : "Dragons, jo Heaven (swarg/jannat) ke paar udaa karte hai. Kya aap unpar yakeen karte hain?"

Manav ka dimag ghoom gaya tha. Usne naa me sar hilaaya.

"Dragons...., jo aakash aur dharti ko badal dete hain! Kya aapko unpar yakeen nahi hain!!! ?" elder Vinod ne poochhna jaari rakha.

Manav ne phir se naa me sar hilaaya.

"Drago..." elder Vinod phir kuch ulta seedha poochhte, uske pehle hi Manav ne apna sar naa me hila diya. Wo ab irritate ho chuka tha.

Elder Vinod ka, thodi thodi jhurriyon wala chehra utar gaya tha, "Agar aap mera vishwas nahin karenge..!, to wo bead kisi bhi pal aapki jaan le lega!!"

Manav ke chehre par sawaal dekhkar, elder Vinod ne apna haath khola, aur...
Uske hatheli mein ek green-blueish / hare-neele colour ka ek 'water bead' aa gaya!

"Aapke pet ka bead meri hatheli ke water bead jaisa hi hai." Manav ke aashchary ko najarandaaj karte hue, elder Vinod ne dheere se water bead ko hawa me upar utha diya, "Halaanki, jaise-jaise samay beet te ga..."

2022-10-17-17-11-59-371.jpg

Water bead dheere-dheere uske poori hatheli jitna bada ho gaya…

Hare-neele rang ke vishaal, crystal ball jaise water bead ki satah par Manav ke chehre ka saaf reflect/pratibimb ho raha tha.

"Aur aakhir me.., yah hoga...", elder Vinod ne water bead ko dekhte hue kaha.

BhamMM!!!!

Water bead phat pada aur Manav ke upar paani ke chheente aa gaye.

Chaunka aur dara hua Manav, aadha kadam/half step peechhe hat gaya.

Elder Vinod ne muskurate hue Manav ke pet ki or ishara kiya.

Jab water-bead phata tha.., uss pal ko sochte hi Manav ko achanak pet mein dard uthne laga.

"Mere paas saadhna ki vidhi/takneek (cultivation technique) ka ek set hai. Aap ise lein aur apni saadhna par kadi mehnat karein..
Lekin yaad rahe, aapko ise dusre logon se chhipana hoga. . Saadhna ki vidhi ka yah set, aapki body mein maujood dragon core ki power ko daba sakta hai. Isiliye, iss vidhi se yeh phatega nahi.. aur aap bhi jeevit rah sakoge..." , kisi jaadugar ki tarah elder Vinod ne hawa me se ek pracheen/ancient kitaab nikali aur Manav ke haath mein rakh di.

"A - aakhir aap... hain konn..?" Manav ne poochha.
Use aisa laga, jaise uska dimaag confusion se ghoom gaya hai aur in sabhi unrealistic/aavastwik cheejo ko samajh nahi paa raha hai.

"Hum hai........" elder Vinod behtar effects ke liye jaanboojhkar ruka, aur fir Manav ke kaan me phusphusate hue kaha...,

"Dragons..!"

Manav aadha meter aur peechhe ho gaya. Bakwas karne wale boodhe/oldie ko dekhte hue, usne socha ki bhudhau jaroor koi fraudster(dokhebaaj/jaalsaaj) hai.

Lekin Manav ko samajh nahin aa raha tha ki uske haath me water bead aayi kaise thi.

kya wo dhokhadhadi ka ek naya tareeka tha? Aaye din ho rahe frauds ko dhyaan me rakhte hue, Manav ko old man par bilkul bhi bharosa nahin hua.

"Mai jaanta hu ki aisi baaton ko digest karna mushkil hai, lekin aapko inki aadat ho jaegi." elder Vinod ne Manav ke kandhe ko pyaar se thapthapaya. "Ab jab aap hum mein se ek hain, to aapko apne is dragons wale common secret ko secret hi rakhna hoga..,. Aisa karke, aap anjaan khataron se bhi bach sakenge."

Manav ne uljhan me uski or dekha, yah sochkar ki kya dragons insaan jaise dikhte hai? Heaven ke paar udna..? aakash aur dharti ko badal dena..? Kya bakwas hai ye. .!!

Use laga ki, jaroor ye koi ghotalebazi hai, na ki marvel ke characters ki tarah shahar mein chhipe hue superheroes ka ek group!

"Aisa lagta hai ki aapko abhi bhi mujh par bharosa nahin hai." Manav ko dekhte hue, elder Vinod ne achanak se ancient book ko uske ke haath se vaapas le liya aur apne doosre haath ki hatheli.. Manav ke maathe/forehead par rakh di.

Ek dum se, Manav ke dimaag mein chamkeele golden letters/aksharon wala ek paragraph ubhar aaya! Isse pahle ki vah kuch react karta, elder Vinod ne apna haath hata liya.

"Yeh •Spirit Concentration Scroll•/aatm ekaagrata scroll ka pehla chapter hai.. Bahut asaan hai, aur aap ise har raat aadha ghanta dhyaan/meditation karke bhi isme maharat haasil kar lenge..
Mai samay-samay par aapki progress check karunga, aur yadi aap acha perform nahi kar paate hain, to aapko punishment bhi milega," elder Vinod ne Manav se sneh/lagaav se kaha.

"Hahhh...! ye boodha aadmi harmless dikhta hai lekin asal mein hai kitna aggressive! ... Maine kab kaha ki mai inn cheejo ki saadhna karunga..?" Sochte hue, Manav ne ghabraahat aur gusse se use dekha.

" Befikr rahiye, saadhna ki ye techniques nuksaan ki bajaay aapka bhala hi karengi. Doosri taraf, agar aap inse saadhna nahin karenge, to aapki jaan ko khatra rahega. ..
Ab se, mai, apne dragon circle mein aapka guardian hoon.. Yadi aapko koi bhi pareshani ya doubts hote hain, to aap bas mujhe call kar lena....." elder Vinod ne ek name card nikaala aur Manav ko thama diya.

" Inke paas name cards bhi hain .... ye dragons kaafi professional hain, ya shayad nahin hai..."

Achambhit Manav ne name card liya aur us par di gayi jaankaari ko padh wahin jam gaya..

Vinod Bedi, Managing Vice Principal, Chennai University!

"Abse apni pahchaan/identity yaad rakhein.. Ab aap , na keval Chennai University ke student hain, balki ..." apna haath aage badhaate hue, Vinod Bedi ne Manav ke sar ko thapthapaaya,
"Dragon king ke damaad bhi hai."

P.S. :-

* Saadhna, kuch log tapasya bhi kehte hai, dragons ke liye kya maayne hai saadhna ke, kyu karte hai ve saadhna..
Ye sab Annexures jald hi me milega.

ye hua update 9 ,
Fir milte hai naye update ke sath..
To be continued.....

•°UPDATE 10•°

Recap -

Achambhit Manav ne name card liya aur us par di gayi jaankaari ko padh wahin jam gaya..

Vinod Bedi, Managing Vice Principal, Chennai University!

"Abse apni pahchaan/identity yaad rakhein.. Ab aap , na keval Chennai University ke student hain, balki ..." apna haath aage badhaate hue, Vinod Bedi ne Manav ke sar ko thapthapaaya,
"Dragon king ke damaad bhi hai."

AB AAGE :-

"D-dragon.... Dragon king..??" Manav fir se chaunk utha.

(Jhatke pe jhatke mil rahe the Manav ko :noo: )

Vinod khada hua, " Aapki aur bhi afternoon classes hongi.., right? Jaldi jaayein aur attend karein. "

Manav ne kuch seconds ke liye socha.., khada hua aur aalishaan office se baahar nikal gaya.

Phir wo akele hi lift se neeche aane laga.

Lift mein khada Manav floor numbers ko kam hote hue dekh raha tha aur soch raha tha ki jo kuch abhi hua.. bilkul kisi sapne jaisa tha...

Weh pehli manjil par aaya. Jab wo us haseen receptionist ke paas se gujara, to haseena Manav ko dekhkar muskurayi, "Inhe CEO sir ne khud bulaya tha.. Jaroor yeh koi important guest honge. .." usne socha.

Aakhirkaar, weh taxi se college lauta. University ke familiar views ko dekhkar, , Manav ko laga jaise ab vah, sapne se reality mein vaapas aa gaya hai.

"Kahan ho tum log!!?" usne apna phone nikala aur Adarsh ko call laga di.

Adarsh : "Hum building A me Art Appreciation Class mein hain. Tu bata! Theek to hai!! Koi disturbance na ho isliye humne tereko ko call nahi ki..."

"Haan.. Mai theek hoon..!, aata hu wahin. " Manav ne call cut ki.

Sabse pahla kaam jo wo abhi karna chaahta tha, wo tha apne yaaron ko dhoondhna. Un sabhi ajeebo-gareeb ghatnaon ke baare mein, use laga tha ki unmen se kuch bhi real/sach nahin hai.

Manav teji se building A me pahucha aur pichhle darwaje se, chupke se class mein ghus gaya.

"Ab bata..! Kya hua tha?! Kon the wo log?.....!!." Adarsh aur baaki doston ne chinta mein Manav se poochha.

Manav ne gehri saans chhodi..,

"Iske baare mein baat mat karo."
aur weh baith gaya.

Aahna - Class President, jo aam taur par sabse aage baith ti hai, use laga ki Manav vaapas aa gaya hai.... Confirm karne ke liye usne peeche mudkar insab ki or dekha.

Jab Rupam ne, Aahna ko peechhe mudte dekha, to usne Manav se kaha, "Kya baat hai..... Aajkal Aahna ko teri badi fikr/chinta ho rahi hai.."

Manav is topic ko discuss karne ke mood mein nahin tha. Usne apna sar shake kiya aur poochha, "abe wo chhod! tu ye bata.. humare Principal ka naam kya hai?"

Sameer : " Harwinder Singh! Sale.. tujhe itna bhi nahi pata tha? !doob mar! "

Rupam : " To vice principal kon hai ?"

"Managing Vice Principal ka naam to Vinod Bedi hai.. Mujhe aur dusre vice principals ke baare mein nahin pata." Sameer bata to aise raha tha, jaise woh show off kar raha ho ki use kitni jaankari hai..,
usne bolna jaari rakha,
"Managing Vice Principal college me sabse jyada powerful hai.. , kyuki uski position bas principal ke baad hi hai. Isiliye to use No. 1 Vice principal bolte hai.. . chutiyon!"

Manav ne iss baatcheet ke baare mein socha.. Par kuch kaha nahi.

" Tu ye sab kyu pooch raha hai..? kya wo log principal se related/sambandhit the..!? " Sameer ne Manav se poochha.

" Nahi..! Wo bas aise hi...." Manav ne apni pocket/jeb me wo name card tatola.

" Manav Shisht! , stand up and answer the question!" Professor , jo smart board ke aage khade the, ne Manav ko doosron se baat karte hue dekh liya tha. Unhone, use pichle darwaje se class me ghuste hue bhi dekha tha aur ab ve behad gusse me the.

Bechara Manav... woh to aadhe lecture tak wahan nahin tha. . Kaise kisi question ka answer de pata?

Iss tarah, use professor se khoob khari khoti sunni padi.

Class President Aahna ne apna sar ghumaya aur Manav ki or daya/pity ki najar se dekha.

Lecture Khatm hone ke baad, Manav, Adarsh aur dusre dost jan Hostel mein laut aaye. Ritik aur baaki log bhi turant unke room me ghus aye aur Mercedes-Benz wale incident/ghatna ke baare me poocha.

Manav ne bas itna kaha ki foreign se uska ek relative/rishtedaar aaya tha aur usne hi saath me lunch karne ke liye car bheji thi.
Manav ne baat banayi aur phir kaha ki ab wo iske baare mein aur baat nahi karna chahta hai.

"Tumhe kya hua? aajkal bade khoye khoye lagte ho. Kya tumhe fir se kisi ne reject kiya ?"
Jab Manav raat mein apne Notes bana raha tha, to use Class President Aahna ka ek sms mila.

" Nahin. Mai bas kuch dino se busy tha." Usne socha aur reply diya. Manav ko ummeed nahin thi ki wo use message karegi.

🎶 🎵 🎶🎵... Manav ki desk par rakha phone achaanak se bajne laga.

yeh Aahna ki call thi, to use uthani padi.

"Hello.... "
...
...
...

"Aaj subah kya hua tha..." Aahna ne phone par poochha.

Manav : "Oh subah.., mera ek relative foreign se lauta tha.. aur humne saath lunch kiya. Usko surprise dena tha..., isliye mujhe iske baare mein pahle se nahi pata tha."

Aahna : "Abhi tum kahan ho...?"

"Abhi mai.. apne hostel room mein hoon,"
Manav ne uttar diya

Kuch seconds ke liye shaanti rahi... aur fir usne achanak poochha, " Walk par chaloge!? Moonlight/Chandini abhi bahut achi hai."

Manav ke man me laddu footne lage.. kyonki usne is tarah ke invitation ki ummeed nahi ki thi.

Uske soch me, class President Aahna Gupta ek bahut popular ladki thi. Na keval uski khud ki class ke kayi ladke use pasand karte the, balki bahut se upper-year senior students bhi uske peeche the.

Yadi Adarsh aur sab, Manav ke peeth peechhe, uske behalf me Aahna ko love letter nahi dete, to Manav aur Aahna ke beech itni awkwardness nahin hoti.

Manav ek pal khud ke vichaaron se joojha/struggle aur fir phone par kaha, "Abhi... ? abhi mujhe kafi notes banane hai.. Hum fir kabhi chale.. To theek rahega? Waise.. mai theek hu.. don't worry...

"Umm ...Okk.. yadi tumhe kuch doubts aaye, to mujhse pooch lena." Aahna ne kaha,

Ek pal ke viraam ke baad, usne bolna jaari rakha, "Chahe.... Kuch bhi ho.., mai tumhari Class President hoon. So.. I need to take care of you.. Right?"

"Haha.. yeah, thanku for your concern..." Manav kahne ke liye aur kuch nahin soch saka.

"No worries." Bol Aahna ne phone rakh diya.

Manav ne apna mobile desk par rakh diya. Weh thoda excited mehsoos kar raha tha.

"Kon tha!!!?" Manav se poochhte hue teeno roommates, haathon me snacks liye room me ghuse.

" Koi nahi." Manav muskuraya.☺

"Lodu tu aajkal bada ajeeb ho rakha.. Pata nahi kya kya chalta rehta tere man me! " Adarsh ne aakar Manav ko halke se mukka maar diya.

Manav ne shaanti se mukka khaya aur socha, "Agar koi Class President aur mujhe.. akele saath me walk karte hue dekhle.., to pata nahi vo kya sochega... kya Aahna ko isse fark nahi padta?

Aadhi raat me, jab Adarsh aur sabhi gehri neend me the.. Manav chupke se apni berth se neeche utra. Phir usne room ki balcony ka darwaja khola aur bahar balcony mein chala gaya.

Chandni tej thi...

Manav ne Vinod Bedi ka name card nikaala.. Kuch der usko dekh kar vaapas apni pocket me rakh liya.

" Mujhe ek baar try Karna chahiye..."

Khamoosh aakash ki or chehra karke, Manav ne apne tan aur man ko sthir/stable kara. Phir apne man mein saadhna vidhi/cultivation technique ke baare mein sochne laga.

Aur.. Manav ke dimaag mein wo golden scripts aane lagi. Manav ne word by word technique ke meaning ko samjhne ki koshish ki aur jaisa ki Vinod ne kaha tha, poore concentration/ ekagrata se meditation/dhyan kiya.

Usne do baar uska dhyaan kar liya tha. Wo chupke se apne room mein lauta, aur dekha ki 2 ghante beet chuke the.

Matlab wo 2 ghante lagataar baahar khada raha... Manav aashcharya chakit tha.

Weh sure nahin tha.., ki yah koi psychological effect tha ya nahin. Kyuki Practice ke baad, usne mehsoos kiya ki uske haath ka sooja hua hissa vaapas normal ho gaya tha.

"Jo bhi ho.., maine apna kaam kar diya hai. Ab sona chahiye.." Sabhi thoughts ko hata, Manav lait te hi so gaya.

Agle kuch din, life/ jeevan, talaab ke paani jaise theher gayi thi. Manav jaise ek ordinary/sadharan classmate par sabka dhyaan kam ho gaya tha. Lekin Aahna abhi bhi Manav ki taraf dekhti thi, jab bhi weh apne peechhe baithi ladki se baat karti thi.

Manav har raat "practice" karne ke liye balcony mein jata tha.., lekin kuch khaas progress nahi hui. Uski badhi hui taakat bhi kam hokar normal hone lagi thi, aur woh phir se, panja ladayi / arm wrestling mein Sameer se haarne laga tha.

Usne Vice principal ka name card chhipaye hi rakha. Jab ek Vice Principal ki nazar aap par ho, to yah koi achchha mehsoos ni karata.. . Matlab bina dare kuch kar hi nahi sakte bc :nervous:

Khair, Thursday/guruvaar palak jhapakte hi aa gaya. Mechatronic Engineering padhne wale sabhi londo ke liye yah ek romaanchak din hota tha.

Aur is romaanch!! ka kaaran.. :-
2nd year ka ek compulsory course - Weak Optical Signal Processing- tha.

"Jaldi karo saalo!! Jaldiii karoo!!! Fatafat front row ki seats par kabja karo!! " Advanced Mathematics ki class se bahar aate hue, Sameer ne Manav ko apne saath ghaseeta aur ek aur bade classroom ki taraf pagal pan se bhaaga.

Peechhe se Adarsh aur Rupam chillaye, "Humare liye 2 seats bacha lenaa! ! Sameeeer!!! "

Sameer class me light ki speed se aaya, lekin..
Woh phir bhi dukhi tha kyonki pahli 15 rows mein dusre londe pehle hi baith chuke the.

"Hum abhi bhi lode jitne slow hai!" Sameer ne gusse se kaha.
Usne middle seats ko chuna, Manav ko apne saath kheench liya, aur un dono chutiyon ke liye do seats aur bacha li.

"BhennchodD...! ! yah to bahut peechhe hai!! " Adarsh aur Rupam saans fula kar daude aur jab unhone apni seats ki location dekhi to ve bhi gusse me the.

"Kamino ne aage ki seats par baithne ke liye classes skip kar di to.. , mai kya hi kar sakta tha..!!?" Sameer ne maasoomiyat se kaha.

" Waah bete! Sale tune ye daawa/claim nahi kiya tha ki tu unse shaadi jaroor karega ? Aur chutiya me Class skip karne ki bhi himmat nahi hai..shaadi kya khaak karega! " Rupam ne uska mazaak udaaya.

"Sahi bola! lavde tu unke lecture ke liye kal se hi kitna excited tha" Adarsh ne baat ko badhate hue Sameer ko aur uksaya.

"Aur tum dono to bilkul excited nahi the! Kyu ? to kya Itni tez daud kar apni gand marane aaye ho!??" Sameer apna aapa kho chuka tha.., ke tabhi!

Boom! BooM…!

Is samay, ladko ka ek aur group achi seats ke liye classroom mein dauda chala aya. Halaanki, ve Sameer group ki tulna mein dheemi speed se daude aur kewal peechhe hi baith sake.

Iske turant baad, class me sabse late kuch ladkiyaan aayi aur jab unhone dekha ki aage ki seats par ladkon ka kabja hai.. to unke paas sabse peechhe baithne ke alaawa koi aur chaara nahin tha.

Aahna un ladkiyon me se ek thi. Usne Manav se eye contact kiya lekin kuch kaha nahin.

"aajkal tere Aahna ke saath bade nain matakka chal rahe hai... Kahin tum dono.. date wate to nahi kar rahe!?" Rupam ne kuch mahsoos kiya aur Manav se poochha.

"Abe Mai poora din tum logo ke saath hi to rehta hun... dating kab karunga?" Manav ne Rupam ke sar par dheere se maara.

Classroom me Bahut shor ho raha tha. Manav ki class ke alaawa, yahaan 4 doosri class ke students bhi the. Har koi baat kar raha tha, khaaskar ladke.

Ding.. Ding.. Ding... ghanti baji.

Aur...
high-waisted shorts pehne hue sunder..., sudol pairon.. ki ek jodi ne class me kadam rakha..

IMG-20221018-211351.jpg

Saare ladke haafne lage.

:hot: :hot: :hot: :hot: :hot: :hot:

Halke sky-blue colour ka high-waisted Jean shorts jise military style ke buttons se sajaaya gaya tha.

Upar ek , shoulder cut aur flounce trim style wala top tha. Haath me handouts/notes pakde, ek behad khoobsurat hasina ne classroom mein pravesh kiya.

IMG-20221018-211539.jpg

"Aahh ... Lovelyy... aur mature.., maturee aur pure....." Sameer ne jeebh/tongue baahar nikaal di aur tippani/comment kiya.

Aas paas ke sabhi ladko ko haafta dekh, Manav bhi 'beautiful entry of the beauty' ko dekhe bina nahi reh saka.

Vaastav mein.., Ms. Shalini abhi bhi behad chamkdaar, delicate aur good-looking thi. . Yahan tak ki agar usne revealing kapde nahin bhi pehne hote, tab bhi woh kisi bhi male/mard ke blood/khoon ka temperature badha sakti thi.

Shalini apni high heels mein dheere-dheere dias/manch ke saamne chali aayi.

Males/purushon ki saari nigaahen us par kasi hui thi. Yahan tak ki,' 'Concentration' Cultivation technique/ekaagrata saadhana vidhi ki practice ke baavjood, apna Manav bhi apni concentration/ekaagrata chhod use ghoor raha tha.🤣

"Aaj hum 3rd module ke baare mein baat karenge. So.. Everybody! open your textbook to page number 73." Shalini ki chest/chhaatee ke saamne lage mini - microphone se, uski angelic/deviye awaaj class ke har corner tak pahuch gayi.

" Ahhh... jannattt...!!" Sameer uski awaaj ke nashe mein dooba tha, "Har din is tarah ke lecture ko attend karna kitna pleasant/sukhad hoga."

"ye sach me... Kitni sundar hain.." :wooow: Manav ne unki or dekha aur socha.

"Unka body figure, appearance aur makeup... sab kuch kitnaa perfect hain... Iss tarah ki women ko kis tarah ke men pasand hote honge... ?" Manav ne man hi man socha.

Bhale hi, semestar ki shuruwat se, sabhi ne uske kewal kuch lectures hi attend kare the, phir bhi sabhi male students ke dilon ko usne jeet liya tha.

Iske alawa, Shalini ke lectures clear, organised aur samjhne mein aasaan hote the. Yahan tak ki class ki ladkiyon ko bhi yeh maanna pada aur inhi reasons/kaarano se ve bhi uski tareefein kiya karti thi.

Dedh ghante/90 minutes ka lecture kab khatm hua pata hi nahi chala. Sabhi ladke abhi bhi Shalini ki khoobsurati mein doobe hue the aur khud ko control nahin kar pa rahe the.

Halaanki, har koi jaanta tha ki iss iceberg beauty ne, kabhi bhi aisi koi baat nahin ki jo course se related na ho aur na hi kabhi students ke kisi bhi 'out of the topic' question ka uttar diya.
Saath hi wo, lecture ke baad 1 minute bhi nahi rukti thi..
Doosri ghanti bajte hi, wo apna aakhri sentence poora kar, apne notes uthati thi aur usi samay class se baahar chali jaati thi.
(sakht londiya)

"Agar main.. is tarah ki beauty ki tareef me ek shabd bhi kah paaya..., to mujhe marne ka bhi koi afsos nahin hoga.." yah dekhkar ki Ms. Shalini jaane hi wali hai, Sameer ne Manav ka haath kheencha aur aah bhari.

Parantu.............,

Sabhi ko aashcharya me daal, is baar, ghanti bajne par bhi Ms Shalini class ke bahar nahi gayi.
Usne apna naajuk haath uthaya aur Sameer ki or ishara karte hue kaha,
"That... Student! come to my office. "

"Mee....!!!?" Sameer uth khada hua. Woh hairaan tha aur khushi se lagabhag behosh hi hone wala tha.

"No! the guy besides you." Shalini ki ungli thodi si right side ki or chali gayi aur Manav par tik gayi!

ye tha update 10 milenge agle update me...
To be continued.....

•°UPDATE 11•°

Recap -

Sabhi ko aashcharya me daal, is baar, ghanti bajne par bhi Ms Shalini class ke bahar nahi gayi.
Usne apna naajuk haath uthaya aur Sameer ki or ishara karte hue kaha,
"That... Student! come to my office. "

"Mee....!!!?" Sameer uth khada hua. Woh hairaan tha aur khushi se lagabhag behosh hi hone wala tha.

"No! the guy besides you." Shalini ki ungli thodi si right side ki or chali gayi aur Manav par tik gayi!

AB AAGE :-

"Mee..!!?" Manav ne khade ho apni or ishara kiya. Wo confused lag raha tha.

Shalini ne haan me sar hilaya.

"Wooww........." Poori class chaunk gayi aur cheekhen/screams kisi baadh/flood ki tarah nikal aayi.

Is asadhaaran/extraordinary roop se sundar teacher ka, ek student se apne office aane ke liye kahna..... kuch aisa tha jo pahle kabhi nahin hua..

Isliye, sabhi ka dhyaan aakarshit karte hue, Manav naam, ek baar phir se gossip ka topic ban gaya.
Manav, dais/manch ki or badh chala, aur class me sabhi ki hairaan, jealous nazaren us par tik gayi.

Shalini ne bina kuch kahe Manav ki or nod/haan-me-sar hilaya. Phir usne lecture notes uthaye aur classroom se baahar chali gayi.

Manav bhi uske peeche peeche chal diya, use jara bhi andaja nahin tha ki aakhir Ms. Shalini kya karne ja rahi hai.

Hallways se gujarte hue aur academic buildings ke overbridge ko paar karte hue, Manav Shalini ke peeche peeche uske office tak pahuch gaya,
jabki poore raaste, students ki bheed use jigyasa se dekh rahi thi.

Ye jaan ne layak baat hai ki Ms. Shalini, jo 1 saal pehle hi university aayi thi, na keval Mechatronic Engineering Department mein.., balki poori university me ek "celebrity" ban gayi thi. Har koi jaanta tha ki ye teacher, jo university me ek most beautiful celebrity ki tarah hai...,
abhi bhi single hai!

Shalini ne key/chabi baahar nikali aur office ka darwaaja khola.
Darwaja khulte hi un dono chehron par taazgi bhari mahak aa gayi.

Khidki ke paas paudhon/plants ke 6-7 gamle the. Lakdi ki imitated-antique / nakli-antique tables aur chairs, university dwara di jaane wali tables-chairs se bahut jyada alag thi. Jaahir tha, Shalini ne unhen khud khareeda tha.

Poore office ka decoration aur interior bahut hi sundar aur manohar tha, jaise ki ye uski khud ki chhoti si duniya ho.

Jahan, jyadatar teachers ko office rooms share karne padte the, wahin Ms. Shalini ka khud ka separate office hona.. Saabit karta tha ki university me unka status/rutba normal nahi tha.

Asli antiques na hone ke baavjood, sabhi lakdi ki tables, chairs aur shelves bahut mehengi thi..,
"Lagta hai... Ms. Shalini kaafi well-off/sampann family se hai.." Office ko observe karte hue Manav ne socha.

Shalini ne darwaja band kar diya aur lecture notes ek table par rakh diye. Phir usne rosewood/sheesham ki ek chair kheechi aur badi shaleenta se baith gayi.
Usne Manav ki or dekha aur poochha, "Tum kahan se ho?"

"Mechatronic Engineering..." Manav ne uttar diya.

Manav ne office ko poora observe kara aur socha ki shayad, Ms. Shalini ke office me aane wala, wo pehla lucky student tha.

"Baat badalne ki koshish mat karo," Shalini ne Manav ko dekhte hue kaha.

"What......?" Manav confused tha. Wo Chennai University ke Mechatronic Engineering Department ka student tha to.. woh aur kahan se ho sakta hai?

Aisa lag raha tha jaise Ms. Shalini uske jabaab se naraaj ho gayi thi. Halaanki is samay unka chehra gusse se bhara tha, phir bhi unki sundarta ko describe karna impossible tha.

Unka har act.., har move itna classic aur elegant hota tha ki, koi doosri khoobsurat mahila unki nakal kabhi nahin kar sakti thi. Yahi wajah thi ki anaginat/countless ladke unke deewane the.

Shalini ne apna slim haath aage badhaya aur Manav ki kalai/wrist pakad li. Unki harkat tej nahin thi, lekin Manav ke paas isse bachne ka koi raasta nahin tha.

"Jaisa ki maine expect kiya tha, yeh water element/ jal tatv hai. Batao mujhe! ki tum kahan se belong karte ho.. River, Steam, Lake, ya Ocean(nadi, bhaap, jheel, ya sagar)?"
Shalini ne laparwahi se poocha.

Kon anumaan nahi laga sakta tha, ki ye najara dekhkar kitne hi ladke jealousy/ eershya se cheekhne lagenge!

"Mam.. Aap ye kya poo...." Manav ne aur confused hote hue use dekha.

"Yadi tum mujhe seedha jabaab nahi de sakte, to mere paas tumhaari jaan lene ke liye kayi reasons hai." Shalini ki eyes mein achanak chilling expression aaya, jisse Manav ka poori body kaampne lagi.

"Yeh kaise ho sakta hai? Tumhare jaisi ek normal human body, ek dragon ki sensation de rahi hai.. Tumhe cultivation technique/saadhna vidhi kahan se mili?" Manav ko ghoorte hue, Shalini uske kahe har shabd ke baad ruk gayi.

Manav ek pal ke liye jhijhka aur usne kaha, "Wo..... Vinod Sir..se..."

"Oh? to tum poorv sagar/East ocean se ho?" Shalini ne bhaunhen chadha di.., vo thoda hairaan jo thi.

Jabki, Manav jyada hairaani mahsoos kar raha tha.
"East ocean/Poorv Sagar...." ,Use daadi ma ke saath hui baatcheet yaad aane lagi.

"Ajeeb hai.., ek normal person East Ocean Dragon Clan ke saath kaise ghulmil sakta hai ..." Weh khud se budbudayi aur phir poochha, "Vinod Bedi ke saath tumhara kya relation/rishta hai?"

Manav : "Iske baare me mai khud sure nahi hu... Aur aap hein kon..?! "

Manav ,in dinon uske saath ho rahi ajeebogreeb cheejon ko samajh nahi paa raha tha. Use laga jaise ab uska sar, soch soch kar phat jayega.

"Mai ek "Inspector" hoon, aisa lagta hai ki tumhe kuch nahi pata." apne sundar baalon/hairs par haath pherte hue, Shalini bhi confused lag rahi thi. Usne darwaje ki Or ishara kiya aur kaha, " Ab tum ja sakte ho, mai Vinod se khud pooch lungi. "

Jis tarah se unhone Vinod kaha.., aisa lag raha tha ki wo Vinod Sir se oonche pad par hai!

Halaanki, Vinod Bedi Vice - principal tha, jabki weh university ki bas ek teacher ...

Manav poori tarah se chakraya/puzzled hua tha.

"Lekin mai tumhe warning de deti hu ki yadi tumne koi bhi secrets ujagar karne ki himmat ki! to ye mujhe, tumhe maar daalne ke liye ek solid reason hoga." Office se nikal rahe Manav se Shalini ne kaha.

Cough..Cough.. ye sunkar Manav ko office se nikalte samay khasi/cough chalne lagi.

Weh chinta aur dar mein apne Hostel wapas aa gaya. Hostel aate hi, turant 7-8 ladke uske paas pahuch gaye, jaise wo uska hi intzaar kar kare ho

"Ms. Shalini ne kya kaha??"

"Unhone tujhe kyu bulaya tha! ! ?"

"Kya tu unke office gaya tha! ?"

"Bhai tune unki attention lene ke liye kya kiya tha..? humse kuch mat chhipa yaar!!"

Manav un ladko se ghira hua tha, lekin usne unhe kuch bhi nahi bataya , weh Shalini ki warning ko bhoola nahin tha.

Ye maalum hote hi ki, Manav unhe kuch nahi batayega, un logon ne target badalne ka faisla kiya, aur phir Adarsh aur baakiyo ko pakad liya kyonki ve Manav ke sabse kareeb the..

Parantu, Adarsh aur baakiyo ko bhi yeh nahi pata tha ki Manav ne haal hi me Ms. shalini ki attention lene ke liye kya kiya tha.
Jab ve main campus mein the tab ve chaaron har time saath hi the.., aur unhone aisa kuch nahi dekha jo Manav ne kiya ho aur Ms. Shalini ko interesting laga ho.

Natijan, Manav ka Shalini ke office jaana londo ke beech ek unsuljhi paheli ban gaya tha.

Manav, in dinon unke liye bahut jyada gossip aur surprises laaya tha. Dheere-dheere logon ko lagne laga ki Manav jaroor koi special/khaas hai.

Halaanki, Manav, in sab conversation/baatcheet me shaamil nahin hua. Weh to soch raha tha ki sab uske baare mein aur kya sochenge jab unhen pata chalega ki uske paas Vice-Principal ka name card hai!

Khair, sabhi logon ki lagaataar questioning se bachne ki koshish karte karte...aakhirkaar raat ho gayi. Room ke chaaron ladke so jaane ke liye bahut excited lag rahe the. (Manav sawaalon se bachne ke liye aur ve teeno sawaal daagne ke liye. )

Khaas kar Sameer, jo Manav se poochhta hi raha ki Ms. Shalini ne use kyu bulaya tha.

Is maamale ko aasaani se suljhaaya ja sakta tha, lekin Manav ka ispar kuch bhi kehne se mana kar dene par, bheed ki curiosity badh gayi thi. Manav baat taalne ke liye kuch bhi bahana bana sakta tha, lekin Ms. Shalini ke mysterious temper aur uski warning ko dekhte hue use, chup rehna hi jyada safe laga.

"Saare visitors chale gaye.. Ab bas apan close buddies hi bache. . Manav! , ab bata Ms. Shalini ne kis liye bulaya tha? " Sameer ne Manav ki or karwat lekar poocha.

Rupam aur Adarsh, jo lower/nichli berths par soe the, dono ne apne kaan is ummeed se khade kar liye ki, Manav ab jaroor kuch batayega.

"Is baar ko kheechna band kar aur so ja!" Wo aur keh bhi kya sakta tha.. Manav ne gehri saans chhodi.

"Abee..! Dost, dost na raha...." Sameer bahut maayoos ho gaya tha.

" Mc!! tu aajkal bada chhupa rustam ban raha hai. " Adarsh ne upper berth ke niche laat/kick maari.

Situation hi aisi thi ki Manav kya batata. Weh apne doston se kuch bhi baat kar leta tha.. unhe kuch bhi bata sakta tha..,

lekin in cheejo ke maamle mein weh kuch nahin kar sakta tha.

"Lekin.. lagata hai ki aajkal teri kismat.. love matters me chamki hui hai" Rupam ne achanak se kaha.

Is samay, room ki lights band thi; chaaron ladke andhere me baat kar rahe the.. Neend unki aankhon se koso door thi.

Sameer : "Bilkul..! , mujhe lagta hai ki apni Class President Aahna bhi is chutiye me interested hain."

"Ja bee..!!." Manav chillaaya. Akhirkaar use chup rahne ki zaroorat nahin padi kyonki topic aisa nikla jiske baare mein weh baat kar sakta tha.

Adarsh : "aajkal wo tereko mud mud kar dekhti hai, ab gandu ye mat kehna ki tereko is baare me kuch nahi pata.."

" Agar tu use pasand karta hai to acha sa din dekh kar propose kar de. Isme jijhakne ki kya baat hai?" Rupam ne sujhaav diya.

"Tum log bakwas mat karo! Mujhe lagta hai ki.. Ek Class President hone ke naate use bas apne classmates ki chinta rehti hai." Manav ko thodi ghabraahat mahsoos hui. Asal me, weh in cheejo me jyada nahi padta tha.

Use laga ki weh kisi aisi cheej mein ulajh gaya hai jisme use nahi ulajhna chahiye tha. Aur ab weh ise suljha nahi pa raha tha.
Use lag raha tha, jaise aane wale samay me uske liye hazaaron khatre mandra rahe ho.

"Tu ye bata.. tujhe Fareeha kaisi lagti hai? College ki sabse popular ladki! ?" Sameer chillaaya.

Manav : " Wo tujhe hi achi lagti hogi ..theek hai! maine use kabhi pasand nahi kiya.."

Sameer : "Lekin wo sach mein badi sundar hai :love: ... Adarsh bhi use pasand karta hai, kyu Adarsh?"

Adarsh : "Maa chuda apni! mera naam mat le, woh bas tereko hi pasand hai!"

Rupam : "Adarsh ki to wese bhi bahut saari gfs thi ..."

...
...
...

Ve der raat tak baatein karte rahe, jisse Manav ko aadhi raat me baahar jakar saadhna / cultivation karne ka mauka nahi mila. Halaanki, vaastav me.. use poori raat apne buddies ke saath baatein karna jyada acha lagta tha.

Jald hi agla din aaya, ek aur Friday.. jiske baad weekend aane me tha. Ms. Shalini ne Manav ko apne office aane ke liye kaha tha, nishchit roop se, aaj ka ye sabse hot topic tha.

Yahan tak ki Aahna bhi, jo kabhi lecture me baat nahi karti thi, samay-samay par apne aaspaas ki ladkiyon ke saath discuss kar rahi thi. Jaisa look wo Manav ko de rahi thi, Manav bata sakta tha ki weh Ms. Shalini ke baare mein hi baat kar rahi thi.

Students ke discussion se ho rahe shor ke karan professor lecture dene me concentrate nahi kar paa rahe the. Halaanki usne sabko kayi baar warning bhi di thi, lekin warnings se students ka discussion karne ka junoon kam nahi hua.

"Uff.., Lagta hai ki sablog kuch jyada hi bore ho rahe hai jo padhne ki jagah, lage hai faltu ki discussion karne. Yah sab shayad is weekend ke baad khatm ho jayega..
Pichli baar jab 4th year ke ek handsome se senior ne Fareeha ko propose kiya tha, to har koi bade interest se uske baare me baat kar raha tha. Lekin, 2-3 din baad unka interest dusre 'hot topics' me shift ho gaya tha..." apne pen ko ghumate hue, asahaay Manav soch raha tha.

Khat..! . Khatkhat!... Khat!

Classroom ka darwaja baahar se kisi ne khatkhataaya. (Digi class thi to gate band tha)

Lecture de rahe gussaye professor, darwaja kholne ke liye gaye. Woh gusse mein the kyonki koi bhi unki class me dhyaan nahin de raha tha. Unhone socha, ye koi late student hi hoga. Aur woh "late student" par apna gussa nikaalne wale the. Par, unhone dekha ki baahar khada vyakti...
Vice- Principal Vinod Bedi hai!

"Vice - Principal...." teacher ne dheere se kaha aur aadha kadam/half step peechhe hat gaya.

Vinod ka chehra bhaav viheen tha.. weh andar chala aaya. Usne, pehle teacher aur phir students ki or dekha aur poocha, "Yahan itna shor kyu ho raha hai?"

Vice-Principal ko saamne dekh sabhi students dar ke maare chup ho gaye. Kisi ne bhi yah nahin socha thi ki Vice-Principal khud class visit karne me kabhi interested honge.
Sanyog/coincidence se jab ve wahan se gujar rahe the tab class me bahut shor ho raha tha.

Vinod ki najre class ke har student par ja rahi thi. Jab usne Manav ke saath eye contact kiya, to Manav kaampne ke alawa kuchh nahin kar saka..

"Apni class ko control mein rakhiye aur theek se padhaen." Vinod apni baat professor se kehkar, classroom se nikal gaya.

Students ne dar me mein ek-doosre ko dekha, aur phir kisi ne baat karne ki himmat nahin ki. Sabko chup dekh, professor ne bhi raahat mahsoos ki... Aakhirkaar ab wo shanti se padha sakta tha.

Manav ne bhi raahat ki saans li. Usko to laga tha ki Vinod Sir uske liye hi yahan aaye honge, isiliye jab Vinod ki najar uske paas se gujari to weh kaamp gaya tha.

Friday ko koi afternoon class nahin thi, isliye students ab free the.

Manav ka ghar samudr ke kinare tha aur University ke itna kareeb bhi nahin tha. Isliye, weh har weekend ghar wapas nahin jaata tha. Rupam ka ghar aur bhi dur tha, to woh mushkil se ghar wapas ja pata tha. Bache, Sameer aur Adarsh, ve University ki free life ke aadi the, isliye yadi jaroori na ho to ve apne ghar nahin jaate the.

Ek-doosre ke kandhon/shoulders par haath daale chaaron, taash/cards khelne apne hostel jaa rahe the. Ve main campus ke South Gate ko paar karne hi wale the.., ki unhone dekha ki Hostel area ke gate par ek Black Lincoln Stretch Limousine khadi thi!
Dhoop mein vo behad chamakdaar aur shaandaar lag rahi tha.

IMG-20221021-131256.jpg

"Sala kon nawab hai, jiske liye is tarah ki car aayi hai! ?" Luxury car ko ghoorte hue Sameer chillaaya.

Unhone university mein kuch ameer bachchon ke baare mein suna tha, jinhen weekend par pick karne BMW jesi cars aati thi, lekin yeh pehli baar tha, jab kisi ko is level ki luxury car pick karne aayi thi.

Ve chaar hi nahi.., balki is hostel area mein rahne wale sabhi students ne pehle kabhi aisa scene nahin dekha tha.

Joi koi bhi gate se gujarta, weh ya to jaanboojhkar ya anjaane mein dheere dheere chalne lagta, yah dekhne ke liye ki akhir car aayi kiske liye hai?

Jab ve bhi car ke pass pahuche,
"Bhenchod.. ! aesi car bulakar show off karne wala koi chutiya hi hoga!" Manav par apna haath rakhte hue, Adarsh ne taana marte hue kaha.

"Haan, obviously ye show off hi hai. Itna show off karna kisi din inhe le doobega," Manav ne bhi kuch jealousy ke sath aise show-off ko bhala-bura kaha.

Wese, Low profile bankar rehne mein kuch bhi galat nahin tha..

Chaaron, burai karte hue jaise hi car ke pass se gujre..,
Car ka darwaja achanak khul gaya! Kaale rang ke kapdo me do danav/giant jaise aadmi aur ek thigna/short bujurg vyakti car se utre.

Thigne buddhe ko dekh kar, Manav ke man me khatre ki ghanti baj gayi - 😨

Usne is bujurg ko Saanvi ke pita ke office mein dekha tha!

Yeh bujurg wahi "besharm Oldman" - Elder Sharad tha, jisse Saanvi ko itni nafrat ho gayi thi ki agar uska bas chalta to wo iss buddhe ke tukde tukde kar deti! **(update 8 ) **

"Kunwar Manav! Miss Saanvi ki family ne aapko visit ke liye invite kiya hai, " Elder ne bade garv se kaha!

P.S. :-

* East Ocean - iska thoda reference update 4 me diya tha.

* East Ocean dragon clan -

* Inspector -

Haa! Annexure me details add ho jayengi.

Update 11 khatm hota hai yaha par, milenge update 12 me..
To be continued.....
Ha ab mere ko nya masala mil rha hai padhne ko, manav ko apna man ekagrachit karne ki pahli tecnik mil chuki hai or ab vo uski training karta hai Lagbhag roj raat me...

Ye mis Salini to alag hi level ki pratibha rakhti hai, vo inspector hai dragons ki, unhone manav ko Har baat ko secret rakhne kaha hai, pr sale ye ladke to shalini ji ke pichhe aise hath dho kr pade hai Jaise sahad ke chhatte me makkhiya bhinbhinati hai...

Ye sanvi ke ghar se gadi aayi hai manav ke liye, mujhe lagta hai ab manav ko kah dena chahiye ki mere liye yadi bhavisya me kabhi gadi bheje to normal si car kafi hai Ya auto bhi chalega pr aise mahgi gadiya na bheje, meri college life prabhavit ho rhi hai, Yadi manav himmat nhi karega to mujhe afsos hai ki ye sab badhta hi jayega or ek Samay aisa bhi aayega jb college ke ladko me ladai Ho jayegi manav ki ya fir ye dost bhi bichhud jaye...

Maza aaya nye nye updates padh kr superb bhai sandar jabarjast
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,573
174
•°UPDATE 12•°

Recap -

Thigne buddhe ko dekh kar, Manav ke man me khatre ki ghanti baj gayi - 😨
Usne is bujurg ko Saanvi ke pita ke office mein dekha tha!

Yeh bujurg wahi "besharm Oldman" - Elder Sharad tha, jisse Saanvi ko itni nafrat ho gayi thi ki agar uska bas chalta to wo iss buddhe ke tukde tukde kar deti! **(update 8 ) **

"Kunwar Manav! Miss Saanvi ki family ne aapko visit ke liye invite kiya hai, " Elder ne bade garv se kaha!

AB AAGE :-

Manav ne asamanjas se boodhe vyakti ko dekha. Jabki, Adarsh aur baaki dono ne, achaanak Manav ka haath chhod diya aur usse doori bana li.

Hostel ke entrance gate par kayi students aa ja rahe the - kuch apni classes se laut rahe the, to kuch apna backpack le apne ghar ko ravana ho rahe the..
Jahan kahi bhi ve students khade the, wahin se Manav ko utsukta se dekhne lage.

Manav poori tarah embarrassed tha... lekin weh chup raha.

"Please..! Car me aaiye," Elder Sharad ne samman/respect ke sath Manav se kaha.

"NAHI..! !" chillate hi Manav ke sabr/patience ka baandh toot gaya.

"Yeh sab kya hai....! Aur mujhe pehle se kuch kyu nahi bataya...!" Manav chida hua tha.

Elder Sharad : "Kunwar Manav.., aapki Miss Saanvi ke saath sagai ho chuki hai.. Aur in cheejon par itna irrational/aaviveki behaviour, achchha nahi hota hai."

Halaanki, uske shabdon ko thodi doori par khade logon ne nahin suna hoga lekin ,
Adarsh aur doosre roommates mates ne ek ek shabd ko suna, "Ssagaii.....!?" ve ise zor se dohrane ke alawa kuch nahi kar sake.

"Ye Saanvi kon hai...?" Sameer ne uljhan mein Adarsh aur Rupam se dheere se poochha.

Lekin un dono bas naa me sar hila diya.

"Aap kya chahte hai.. Ki hum yahi aapka wait karte rahein?" elder Sharad ne vinamrata se poochha.

"Theeek haii! Theek hai!! aap jeete! !" Jyada se jyada logon ko unhen gherta dekh,
Manav unke baare me sochkar jaldi se car mein baith gaya.

Aur sabki najaron ke saamne wo black Lincoln Stretch Limousine, entrance gate se door nikal gayi!

Manav ko khudko simple aur lowkey dikhana ab kathin hota jaa raha tha.

"Manav ki life me chal kya raha hai!" black Lincoln ke door jaate hi, turant Sameer ne kaha.

...
...
...

Thodi der city ke roads par smoothly daudne ke baad, gaadi ek 2 manjila ghar ke aage pahuchi.

Ghar ke simple look se koi bhi andaja nahi laga sakta tha ki ye kisi rich family ka ghar hoga. .

Khair gaadi ruki. Elder Sharad, Manav ko saath liye gaadi se utre.. Aur unhone doorbell baja di.

Apron daale ek khoobsurat mahila ne darwaja khola aur badi shaaleenta se kaha, "Aaiye andar.. "

"Mai inhe yahan le aaya hu, Madam. Ab mai wapas jata hoon, agar aapko kisi cheej ki jaroorat ho to please mujhe call kar dijiyega," elder Sharad ne mahila se vinamrata se kaha.

"Sure...! thank you Elder Sharad. Mai aapko aapke kaam se nahin rokungi.. Aisa lagta hai ki aap Purple Light Scroll ke 9th level ko paar karne wale hain... mai aapka aur time waste nahin karungi," usne muskurate hue kaha.

"Thank you.., madam," elder Sharad ne haathon jodkar jhukte hue dhanyawaad diya, black Lincoln me baitha... aur chala gaya.

Phir, darwaje par khadi weh khoobsurat mahila, Manav ko dekhkar muskurai aur kaha, "Aaiye.."

Kya kehne the us mahila ki muskaan ke.. 😍

Gulzaar bhi likhte honge,

Uski muskan par shayri,
Itni haseen muskan hai uski,
Ke bhar gayi hogi Gulzaar ki dairy.. !

Uske baal... itne sundar dhang se bandhe hue the jaisi ki wo abhi - abhi kisi ancient/pracheen painting se baahar nikal aayi ho!
Use dekhkar, chida hua Manav kaafi relax ho gaya tha.

"ji..." usne dheemi awaaj me mein uttar diya aur uske peeche peeche andar chala aaya.

Living room ko bade delicate tarike se renovate, aur achi tarah se saaf, kiya gaya tha.

Manav ko living room tak guide kar, wo dheere se mudi aur poochha, "Aapne abhi tak Lunch nahi kiya hoga?"

"Nahin..." Manav ne bewakoofi se uttar diya.

Apne saamne khadi is beautiful aur elegant lady ko dekh, weh mantrmugdh/spellbound tha.

"Mai Avantika Maurya, Saanvi ki mom hoon.. Uske dad use school se lane gaye hai, ve aate hi honge.. Aap khade kyu hai..? Aaiye Baithiye. Mai tabtak lunch ready kar leti hun," Weh Manav ko couch tak le gayi aur muskura di. Phir wo kitchen mein chali gayi.

"Ek adarsh/ideal samajhdaar wife aur pyaar karne wali mom kaisi honi chahiye.. ye aunty iska sabse best example hai" Manav ne uski peeth ko dekhte hue apne man mein socha.

Couch par baithe Manav ne ghar ko dhyaan se dekha. Baahar se ye ghar bada simple dikhta tha jabki iske ulat, interior design aur decoration bahut hi aakarshak aur sundar tha. .

Left side safed seedhiyaan thi jo doosri majil par, bedrooms ki or jati thi. Right side ek study room tha. Study room me dikh raha ek bada sa dark brown colour ka bookshelf, parivaar ka scholar/vidwaan hona ko dharsha raha tha.

Living room ka fluffy/fur wala- royedaar carpet bedaag tha. Uske oopar laga medieval/madhyakaleen style ka jhoomar, parivaar ki ameeri saaf bata raha tha.

Ka!

Main door khula aur Rajyavardhan, Saanvi ke saath andar aaya.

Saanvi abhi bhi apni wahi light-blue school uniform mein thi. Jab usne Manav ko dekha, to usne nafrat se apne daant pees liye. Phir bhi uske chehre par surprised hone ke bhaav nahi the, "Shayad.. uske dad ne use, aate samay iss baare mein bataya hoga," Manav ne man hi man socha.

"To aap aa gaye," Rajyavardhan ne halke se uska abhivaadan kiya.

"Namaste uncle...," Manav ne jaldi se khade hokar uska abhivaadan kiya.
Vaastav me usne Rajyavardhan ko apne sasur ke roop mein nahin dekha tha, wo to yaha ek guest tha isliye use vinamr hona pada..

Usne Saanvi ko dekha jo uske dad ke bagal mein muh fulaye khadi thi.
Manav, ek aisi complicated background wali nakchadi middle-schooler ke saath engaged hone ke vichaar se hi kaamp utha.

"Namaste.., baitho baitho," Rajyavardhan ne shaanti se kaha aur Saanvi ki or muda, "Aap dono baatein karo. Mujhe abhi bhi kuch kaam karna hai."

Phir woh study room mein chala gaya aur kuch documents ko check karne laga.

Carpet/kaaleen par khadi Saanvi, Manav ko ghoor rahi thi. Aisa lag raha tha ki wo use kachcha chaba jayegi!

"Mai tumhe warn kar deti hu. Maine tumse shaadi karne ke liye kabhi haan nahi kaha samjhe! Isliye apni itni mehmaan nawazi mat karwao aur yaha se chale jao!" usne bade aggression ke saath kaha.

"Galat! Problem yeh hai ki mai khud kabhi bhi tumse shaadi nahi karna chahunga, theek hai! ? Aur jab ve mujhe jabardasti yaha laye hai to... Mai kya kar sakta huu!!?" Manav ne bhi chillakar, Saanvi ko unfriendly look diya.

Phir usne man hi man socha, "Kya.. ek mid-schooler par aise chillana sahi tha..? Mujhe aise chillana nahi chahiye tha.." lekin tabhi use ehsas hua ki...,
maujooda haalat mein ye mid-schooler uski mangetar/fiancee hain.

"Mai apne computer par game khelne ke liye oopar ja rahi hoon. Sado/rot yahin!" Saanvi ne Manav ko dekha aur seedhiyon ki taraf chal padi.

"Saani!!" Rajyavardhan ki kathor awaaj daayein/right or study room se aayi.

Saanvi ne apne daant pees liye aur apne dad ke shabdon ko sun chalna band kar, wahin khadi ho gayi.

Kuch der tak gambheerta se sochne ke baad usne muh fulakar, Manav par apni aankhein ghumaai, aur bade dheere-dheere uske paas jaane lagi jaise ki hajaaron patthar uske pairo/legs par baandh diye ho.

Bom!
Beman se weh, Manav ke paas couch par baith gayi.

"Agar tumhe baat nahin karna hai to TV hi dekh lete hai..," Manav ne anichchha se uski taraf dekha aur remote uthakar TV chalu kar di.
Wo iss panauti se baat nahi karna chahta tha.

Saanvi use gusse se ghoorti rahi.

Usko ignore kar, Manav ne channel badalna jaari rakha.

"🎵 Oh Dora! Humne kiya ..! 🎵

🎶🎶🎶

🎵 Humne kiya!!! 🎵"

Manav uski or muda, "Tumhe ye dekhna pasand hoga.." 😁😁

**(Dora the explorer - chhote bacchon ka pasandida cartoon)**

"Bhaad!! mein jao!" Saanvi ne use maarne ke liye table se kuch uthaya.

"Saanii! !" Rajyavardhan ne phir se study room se uska naam pukaara. Weh theek - theek jaanta tha ki Saanvi kya kar rahi hogi jaise ki usne living room mein apni dono aankhein chhod di hon. .

Saanvi ne beman se wo cheej wapas table par rakh di, phir bhi uski nigaahen Manav par hi tiki rahi., "Mai tumhe warning de rahi hu! Mujhse mat uljho! "

"Tum mujhe itna hate/nafrat karti ho?" Manav halke se muskuraya.

Chidi hui Saanvi ne kaha, "Sach kahu to, mujhe tum bilkul bhi pasand nahi ho! " 😤

"Same here! tum itni sundar bhi nahin ho.., oopar se ekdum paagal ho! aur.. koi dusra pagal hi hoga jo tumse shaadi karega," Manav ne dheere se kaha.

"Tumko to m...!!!" Saanvi ne apni aankhein chaudi kar li.

"Ladna band bhi karo, aap donon. Future mein.. waise bhi Husband-wife banne wale ho." apne haath mein dish/pakwaan liye, Avantika kitchen se baahar nikli.

"Mom..... ye mujhe pareshaan kar raha hai," 🥺 Saanvi ne bade aakarshak tareeke se bholepan se kaha.

"Hmm Maine sab dekha.., Saani! aap hi use pareshaan kar rahi thi," Avantika dheere se muskuraayi aur doosri dishes taiyaar karne, wapas kitchen mein chali gayi.

"Achi baat hai.. Ab to tum khush hoge badbudaar Uncle! mere parents bhi tumhara hi favour kar rahe hai humph," jaise hi uski mom gayi, Saanvi ne bholepan ko chhod apne "shaatir" svabhaav ko phir se ujaagar kiya.
Usne Manav ko dekh, phir se bura muh bana liya tha 👿

"Itna kya bhadak rahi ho..?
Acha.. kya.... tumhara school me koi nibba.. Mera matlab koi bf hai?" Usne sadakon par ghumne waale nibba-nibbi ke baare mein sochte hue poochha.

P.S. :-

Purple Light Scroll ke 9th level - Annexure

Kaisa tha ye update?
Friday ko dubara milenge new update ke saath
To be continued.....
Ye sanvi or manav ki bato ka Jo aapne is update me uske MA baap ke sath ka dikhaya hai mujhe ye or bhi dekhna tha, bada maza aa rha tha ise padhne me...

Bapu udhar se Har baar apni bitiya ko control kr rha tha or idhar sanvi manav ko apne mithe bol Suna rhi thi...

Superb jabarjast amazing update bhai sandar
 
Status
Not open for further replies.
Top