- 1,217
- 3,872
- 159
thanks brother ☺Beautiful update, mere hisab se wo ab is moti ko nikalne ke vikalp per vichar nahi kerenge
Shayed kuch aur ho jese manav and sanvi something like that

Dhanyavaad bhaiBro sandar mast majedar update bhai
waiting for next update jaldi dana bro hosekto bro
Naya update bas kuch hi der meWaiting
Awesome and shandar•°UPDATE 7•°
Recap -
"Aap dono......" Maanav ne un do logo ko confusion me dekha.
Un dono ne dheere se Manav ko sar jhukakar greet/pranaam kiya aur car ka darwaja kholte hi badi vinamrata/ politeness ke sath kaha,
" Humare Malik , jo Miss Saanvi ke father bhi hain, ne hume aapko lene ke liye bheja hai. Hum bas aapka doophar ka time lenge. To Please! Aap car me baithiye."
AB AAGE :-
Aisa kuch hoga.. . Manav ne kabhi ummeed nahi ki thi. Usne to socha tha ki Saanvi aur uske parents, direct administrative office jayenge.., par yahan to uske liye ek Sedan bheji gayi thi.
"...Ho sakta hai ki ye meri maut ka invitation ho.. ya fir kidnapping ka koi jaal......? "
" Hahhh..., mujhe nahi lagta ki ye log mujhe koi nuksaan pahunchaenge." Kuch seconds sochne ke baad, Manav car mein baith gaya.
Bang! Bang!
Car ke darwaje band ho gaye.
Uske teeno namune hairaani se is luxury sedan ko dekh rahe the. Jitna unhe pata tha...., Manav ek simple background se tha.
Ve chakit the ki Manav ne aakhir aisa kya kar diya jo aisi car use lene aayi!
Wo black sedan, palak Jhapakte hi campus se bahar nikal gayi.
Raaste me.., apne dono taraf baithe aadmiyon se, Manav ne koi bhi question karne se khud ko roka.., uska maanna tha ki jab vah destination/ gantavya par pahuch jayega to jabaab apne aap mil jaega.
Sedan smoothly aage badh rahi thi. Use fir iss vichaar ne gher liya ki shayad ab wo kabhi wapas nahi laut payega...
Lagbhag aadhe ghante/ 30 min ke safar ke baad, car city ke all time busy, business area me aa gayi.
Wahan Manav ki nazar mein kareeb 70 manjila/floors wali ek skyscraper/ gaganchumbi-imarat aayi. Building ke oopar ek vishaal sign board tha , jispar do bade, jaane maane, shabd likhe the - SHAURYA GROUP
USA me Nasdaq par listed, Shaurya Group desh ke sabse bade business groups mein se ek tha aur nisandeh, South India me sabse bada business empire!
**(Nasdaq - global stock market) **
Jab sedan uss skyscraper ke gate par aakar ruki, to dono aadmi utre aur Manav ke liye darwaja khool diya,
" Sir, please aaiye..."
Skyscraper itni unchi thi uski height ko pass se dekhkar Manav ko halka chakkar sa aa gaya. Car se utarne ke baad, unme se ek aadmi raasta dikhate hue use building mein le gaya.
Receptionist, jo kisi heroine ki tarah haseen thi, apni sundar muskan se unka swagat karti hai. Usne unhen register karne ke liye nahi kaha aur unke liye security pathway khol diya.
Manav ki ghabaraahat ab badh gayi thi.
Wo vyakti use elevator/lift me le gaya jaha usne number 75 daba diya.. Building ki sabse oopri manjil!
Lift teji se oopar jaane lagi.. Aur Manav uss serious look wale vyakti ko chupchaap ghoorta raha..
" Akhir.. hai kon, in logo ka Malik?? Jo aisi jagah par kaam kar sakta hai..?"
Ding!
Lift oopar ki manjil par pahunch gayi.
Lift ke gate khule.. aur,
ab Uska ka welcome, Chamakdar red carpets/kaalinon, ek white & golden lobby aur shaandaar chandeliers/jhoomaron ne kiya....
![]()
Lobby kisi imperial 5 star hotel ki tarah luxurious thi.
Veh aadmi, Manav ko raasta dikhate hue aage badha. Dono abhi bhi maun/silent the.
Wo ke office room ke bahar ruk gaya jiske sign board par likha tha "CEO office".
Usne darwaja khatkhataya, aur thodi unchi awaaj me kaha "Malik..!, wo yahan hai! "
"Use Andar Lao. " kamre se ek garimamayi/dignified lekin thaki hui awaaj aayi.
Aadmi ne darwaja khola aur Manav ko andar le gaya.
Kam se kam 200 sq. m. ke area ka ek bada shaandaar office Manav ke saamne aaya.
Crew cut hairstyle aur chaukor/square chehre vaale vyakti ne Manav par apni gehri nigaahe tika di.
Saath hi, uske aas paas 8 serious look waale aadmi aur the. Ve sabhi black suit me the.
Usne, jo aadmi Manav ko saath laya tha, usse poocha "Kya wo iske pass hai?"
"Ji.. Haan. Main mahsoos kar sakta hoon," aadmi ne dhyaan se uttar diya.
Vah vyakti, jo CEO lag raha tha, ne Manav ko dekha aur kaha, "Saanvi ne mujhe sab kuch bata diya hai. Agar tum apni bhalai chahte ho to use abhi wapis kar do."
"Mere pass kuch nahi hai..!," apne daant peeste hue, Manav ne kaha.
Bina koi aur baat ke, uss chaukor chehre wale vyakti ne sirf teen shabd bole, "Iski talashi lo."
Paas khade logon me se 4 log , ek chhalaang maarte hi Manav ke pass pahuch gaye aur furti se uske haathon aur kandhon ko jakad liya, jabki Manav ko yahan laane wala aadmi bade professional tareeke se uski talashi lene laga.
Manav jaan chuka tha ki vah "Sher ki gufa" me gus aaya hai, Lekin use yakeen tha ki jab unhe uske pass kuch milega hi nahi, to ve uske saath kuch bura bhi nahi karenge.
Jaisa ki Manav ne socha tha, Checking ke pahle round ko khatm karne par us aadmi ko kuch nahin mila. Fir usne doosra round shuru kiya, aur ab uske hand movements smooth se stiff/sakht ho gaye.
Usne, tention me apna sar uthaaya,
" Malikk......!"
"Maine tumhe kitni baar kaha hai ki mujhe malik mat kaha karo.. mujhe boss bulao! " chaukor chehre vale aadmi ne kheejte hue kaha.
"Ji... Boss..!" us aadmi ne Manav ke pet ki or ishaara kiya, "Miss Saanvi ki wo cheej...iske pet me hai!"
Ye sun chaukor chehre wala aadmi jam sa gaya, jabki doosre logo ke facial expressions bhi badal gaye.
Kuch soch vichaar karne ke baad, chaukor chehre wale vyakti ne order diya,
" Sabhi Elders/Varishthon ko bulao."
**( Elders - ye ek designation/pad hai , hum inhe pancho se relate/compare kar sakte hai.. [Sarpanch wale panch mahodaye jan]) **
"Ji! " Office se 9 mein se 8 aadmi bahar chale gaye, aur ab chaukor muh wale vyakti ke pass keval ek hi aadmi khada tha.
"Saani ko school se le aao." chaukor chehre wale vyakti ne uss aadmi se kaha.
" Ji !" aadmi ne order liya aur turant kamre se bahar ho gaya.
ab kamre mein keval chaukor muh wala aadmi aur Manav bache the.
"Mera naam Rajyavardhan Maurya hai. Aapka naam kya hai? " chaukor chehre wale vyakti ne Manav ko dekha aur poochha.
"..Manav Shisht. " usne ne uttar diya.
Manav ko dekhte hue, Rajyavardhan ne bolna jaari rakha,
" Oh, Manav Shisht..., sabhya manav/good person.. Hmm..
Yeh maamla pechida ho gaya hai.., aapko yahan thodi der aur rukna hoga,"
"Theek hai..." Manav ne apni confusion ko chehre par jahir nahi hone diya. Andar, weh bada ashaant tha, ke uske pet mein koi cheej thi.., aur wah cheej uske tattoo se related lag rahi thi.
"Baithein." Rajyavardhan ne apne bagal ki seats ki or ishara kiya.
Manav aage badha aur ek leather sofa par baith gaya. Kamre ke glass/sheeshe se use poori Chennai City dikh rahi thi aur door ... Samudra ki jhalak bhi dikhai de rahi thi.
Samay beetta gaya par dono chup rahe.
Lagbhag aadhe ghante baad, log jaldi mein, andar aane lage.... ve sabhi confused aur tensed lag rahe the.
Thodi der baad, Saanvi , ek aadmi ke saath andar aayi.
Jab usne Manav ko dekha, to usne sadi hui shakl bana li. Beshak, Manav ne bhi use aisa hi javaab diya.
" Saanvi! ye expression nahi dein. Yeh sab aapki hi galati thi," Rajyavardhan ne usko daant/scold diya.
Saanvi ne apna sar shake kiya, uspar daant ka asar nahi dikh raha tha.
Kuch hi der mein, ek darjan se jyada log iss bade office room me jama ho gaye.
Sabko aaya hua dekhkar, Rajyavardhan ne serious expression se kaha.
" Chunki, sabhi yahan hai, hum meeting start kar sakte hain.
Saanvi, aap bhi aao,"
Ek secret door apne aap khul gaya, aur ek chhota meeting room jo office room se juda tha, ujaagar hua.
Jab ve log meeting room mein jaane lage, Rajyavardhan ne Manav ki or rukh kiya aur kaha, "Please, aap yahan thodi der aur baithen aur meeting ke results ka wait karein."
Manav ke paas sahmati mein sar hilaane ke alaawa koi option nahin tha.
Waise bhi, acha mehsoos nahi hota jab aapke pet me koi benaam cheej ho. Aur uss cheej ne jeena haram karke rakha ho.
Khair, usse ummeed thi ki ve log bina surgery ke uss moti/bead ya jo bhi cheej hai, usko baahar nikaalne ka tareeka dhoondh lenge.
Vishaal aur aalishan office mein akele baithe Manav ne, shahar ki or dekha, use aisa mehsoos ho raha tha jaise weh baadalon par baitha ho!
ye hua aaj ka update..
Kya lagta hai aap logon ko ..kya hone wala hai?
Milte kal new update me...
To be continued.....
Sandar update hai bhai•°UPDATE 8•°
Recap -
Waise bhi, acha mehsoos nahi hota jab aapke pet me koi benaam cheej ho. Aur uss cheej ne jeena haram karke rakha ho.
Khair, usse ummeed thi ki ve log bina surgery ke uss moti/bead ya jo bhi cheej hai, usko baahar nikaalne ka tareeka dhoondh lenge.
Vishaal aur aalishan office mein akele baithe Manav ne, shahar ki or dekha, use aisa mehsoos ho raha tha jaise weh baadalon par baitha ho!
AB AAGE :-
Meeting room mein, Rajyavardhan head of the table par baitha tha aur uske bagal mein Saanvi baithi thi aur baaki logon ne dono taraf ki seats le li thi. Unme se kuch, achanak ho rahi meeting ko lekar hairaan the, jabki anya/others ke chehre par serious expressions the kyonki ve is meeting ke reason ke baare mein jaante the.
"Mera aapko is meeting mein bulaane ka kaaran yah hai ki.., Saanvi ne galti se apni internal core ek mortal ko saunp di hai. "
Rajyavardhan ne meeting start ki.
Yeh khabar sunkar kayi logon ne aashcharya se ek-doosre ki or dekha.
Rajyavardhan : "Last saturday ko Saanvi pahli baar baarish/rainfall kar rahi thi. Elder Vinod ko use guide karna tha, lekin Saanvi ne unki baat nahi suni aur khud se practice karne ke liye unhe chhod diya.. Jisse ye durghatna ho gayi.."
"Mai.. apni duty theek se nahi kar payaa...! Drago.... Bosss..! Please mujhe saja dein! "
Ghabraye hue, saphed bhauhen/eyebrows aur saphed baalon vaale ek Elder apni seat chhod, ghutne tekne hi wale the..
"Isme aapki koi galti nahin thi. Ye mere laad pyaar ka natija hai ki, Saanvi itni jiddi ho gayi hai." Rajyavardhan ne sabko dekhne se pahle Saanvi par najar daali.
"Ab pareshaani yah hai ki Saanvi ka internal core kisi aur ke haath mein hai."
"Agar kisi mortal ne li haii, to bass, hum usse aasaani se wapas le sakte haiii." ek jhaadidaar bhauhen/bushy eyebrows aur badi aankhon vaale vyakti ne suggest kara.
Rajyavardhan ne ek viraam ke baad jaari rakha, "Agar yah itna aasaan hota, to main tumhe yahan nahin bulata. Kuch unexpected bhi hua .. : mortal ne Saanvi ke internal core ko nigal liya hai.."
Iss information ne meeting mein, Saanvi sahit sabhi ko stabdh/stunned kar diya.
"Yeh..! yeh kaise.. possible hai? Humare kabeele/tribe ka internal core...." kisi ne turant iski possibility par savaal uthaaya.
Rajyavardhan ne shaant lehje me samjhaaya, "Saanvi ka internal core abhi bahut chhota aur immature hai. Jab yeh aakash se niche gira, to yeh accidentally mortal ke munh mein chala gaya tha. "
ek-doosre ki or dekhate hue Elders, dheemi awaaj mein baatein karne lage.. (Phusphusane lage)
"Pichhale kai hajaaron saalon mein ek internal core ko nigalne vaala mortal nahin hua hai ..."
"kya woh iss mortal world mein ek saadhak/cultivator hai.. kyonki wo internal core ko nigalne ke baad bhi fata/explode nahi ..."
"3000 saal pahle aakhiri group ka yahan se udne/fly ke baad, yahan lagabhag koi bhi saadhak nahin bacha hai.... shaayad bas 2 ya 3 abhi bhi iss mortal world mein rah rahe hain ..."
"Yah fact, ke mortal explode nahin hua..., Miss Saanvi ke internal core ki weak power ke kaaran aisa hona chahiye.... "
...
...
...
Kam se kam 2 minute tak yunhi phusphusate hue baat karne baad ,sabhi dheere-dheere shaant ho gaye.
Jab sab baat karna band kar diye to Rajyavardhan ne poocha,
"Elders.., aap logon ko kya lagta hai.. hume is problem ko kaise solve karna chahiye?"
"Yeh bahut serious matter hai.. Haalanki, Miss Saanvi kuch saalon tak khatre se bahar hai, lekin apni internal core ke bina , wo saadhna/cultivation nahi kar payengi aur naahi dragon me transform ho sakengi.
Iske alava.., ancient records/ pracheen abhilekho ke according, apni tribe ke members, maturity se pehle yadi apni internal core ko kho dete hai, to ve 5 saal se jyada nahi jee sakte..., bhale hi wo Healthy kyu na ho. " Kuch soch vichaar karne ke baad, safeed eyebrows aur safeed baalon wale, Elder Vinod ne kaha.
"Kyaa....!! iska matlab yeh hai ki agar Saani ko internal core wapis nahi mili to woh 20 ki umrr/age tak hi jee payegi...!"? Rajyavardhan ne chintit hote hue poocha.
Elder Vinod ne warning di, " prakriti/nature ki chamatkaari jadi - bootiyon/herbs ki madad se, ve apni life badha sakti hai, yaha tak ki ek aur internal core bhi viksit kar sakti hai, lekin Miss Saanvi badi keemti hai, inko lekar risk nahi liya jaa sakta. "
"Kya core baahar baithe mortal ke pet mein hai!!! ?" jhaadidaar/ bushy eyebrows aur badi aankhon wala weh aadmi achanak uth khada hua. "Isme mushkil kya hai!! use yahan lao aur uske pet ko kaat dalo!! . . hame internal core vaapas mil jayegii!!!"
Rajyavardhan chup raha....., vah sharminda lag raha tha.
"Elder Indrasen..., 2000 saal ho gaye hain aapko! aur abhi bhi aapka ye hot- tempered ravaiya....."
aadmi ke bagal mein baithi mahila ne disapprove hote hue kaha.
"Yahan Saani ki life khatre me hai !!!...., aur waise bhi wo mortal ek cheenti/ant se jyada kuch nahi hai!!! Yunhi masal dunga use to mai!!" Elder Indrasen chillaaya.
Uske gusse ko dekh kar, kuch Elders apna sar hilakar, haami bharte hue dikh rahe the.
"Use maar daalo !! aur uski body ko samudra mein phenk do.. kisi ko kuch pata nahin chalega!!,"
Elder Indrasen ne bolna jaari rakha.
Yeh plan sunkar jo Elders sar hilakar haan me haan mila rahe the, ve tention me dikhne lage.
Khair.., elder Indrasen ko ignore/najarandaaj kar , Rajyavardhan ne baaki elders se poocha, "Aap sabka kya kehna hai ? Koi suggestion hai kisike pass ?? "
Naraaj eldar Indrasen, baith gaye aur bagal ki mahila se poochhne ke liye mude, "Kya maine galat kaha tha! ??"
Mahila ne uski or dekha, "Boss ne hamen modern logo ke taur tareeke seekhne ke liye kaha tha. Aaj Saikadon/hundreds saal ho gaye hain, aur aap abhi bhi ek gangster ki tarah behave kar rahe hai... Mai to yeh sochti hu ki iss ravaiye ke sath, kaise iss saal aap swarg ki pareeksha/heavenly tribulation nikalenge..! "
"Mai... mai bas keh deta hu, kuch karta thode hoon... Tumhe pata to hai.. Mai kisi ko nahi maarta..." elder Indrasen sharmindgi ke sath muskuraaya.
"Ab chup rahiye aur doosre elders ki baat suniye.." mahila ne abhi bhi use nirashaajanak roop se dekha.
Is beech, ek aur safed baalon wala elder khada hua,
"Ek.. raasta hai..... jisse Miss Saanvi ki yeh samasya bhi hal ho jayegi aur wo mortal bhi jeevit reh sakega..! "
Apne bade haath ko uthate hue, Rajyavardhan ne kaha, "Hmm... bataiye!"
Halaanki, elder kahne se pahle kuch seconds ke liye hichkichaya/hesitate,
"..lekin ... mujhe nahin pata ki mujhe.... yah kehna chahiye ya nahin......"
Rajyavardhan ne encourage kiya, "Aisa kuch bhi nahin hai jo aap nahin keh sakte ho. Jo kuch bhi aap kehna chahte hain bebaak hokar kahiye, main aapko punish nahin karoonga."
"Hmmm...... theek hai..!" Elder ne sir hilaaya.
" Baat aisi hai ki..., agar wo mortal dragon core ko absorb kar sake aur kuch had tak saadhna/cultivation kare, to weh Miss Saanvi ke vital essence ko banaye rakhne ke liye , kuch dragon essence ko transfer kar sakta hai."
Rajyavardhan : "Lekin! shayad.... ek mortal humare tareeko/techniques se saadhna nahi kar payega.... Khair..! is problem ko agar hata bhi dein.., aur Agar aapka plan kaam kar jaye to , 5 saal baad jab Saanvi 20 saal ki hogi..., tab ? Tab kya hoga?"
"Tab tak... Dragon core bhi kaafi bada aur majboot ho chuka hoga, to wo iska aadha hissa Miss Saanvi ke saath share kar sakta hai. Aakhirkaar, dragon core unka hi hai aur isiliye isse unhe koi khatra nahin hoga....
Aur ye tabhi ho sakta hai jab ve…..."
"Jab ve!??" Rajyavardhan ne turant poochha.
" Ji wo....." Elder ne Hichkichahat se apne haath malte hue, difficulty ke saath bas itna hi kaha, "....consummation karein...."
** (consummation - relationship me pehla intercourse/sambhoog , khaaskar shaadi ke baad ki suhagraat - isko consummation of marriage bhi kehte hai.) **
"KyaaA!!!" Saanvi 1 second ke liye thithak/froze gayi aur phir turant khadi hui aur cheekhi , "Old man Sarad!!! tum budhaape mein bhi itne besharm kaise ho sakte ho...!!"
"BEHAVE! !" Rajyavardhan ne apni beti par najar daali aur ek powerful presence ka jhonka nikala, jisne Saanvi ko apni seat par waapas dhakel diya.
"Elder Sharad ka idea ek kaargar solution ho sakta hai," Safed bhaunhon aur baalon wala Elder Vinod achanak bola.
" Practically dekhe to, Agar hum Elder Indrasen ke suggestion ke anusaar chale aur uske pet ko kaatkar core ko bahar nikal le, to bhi ek dooshit/contaminated core ko Miss Saanvi ki body mein vaapas karna.., kahin se bhi safe nahin hoga...
Maine ek pracheen/ancient book me Elder Sharad dwaara bataye gaye solution ke baare mein padha hai. Yeh ek prakaar ki surrogate/pratinidhi core saadhna hai. Iss tarah ki saadhna ke saath problem yah hai ki ismen bahut jyada time lagta hai aur ek bina internal core ek saadhak/cultivator ki help ki bhi jaroorat hoti hai. In sabhi problems ke alawa, saadhak ko bahut hi kam benefits milte hai, aur... , yahi kaaran hai ki iss method/vidhi ne dheere-dheere apni appeal kho di aur ab iska abhyaas nahin kiya jaata hai. Halaanki, miss Saanvi ke case mein, iss method ko try kiya jaa sakta hai."
"Nahiiii !!!" Saanvi turant chillaayi,
" main marna pasand karoongi !!!"
Apni beti ke chillane ko ignore karte hue, Rajyavardhan ne apna haath lahraaya/wave, aur Saanvi aise jam gayi jaise ki woh kisi invisible rassi se bandhi ho, kyonki ab wo na to hil sakti thi aur na hi chilla sakti thi.
Elder Vinod ki or mudte hue, Rajyavardhan ne apni bhaunhen sikod li, "Agar ham yeh solution try karte hain .....to kya iska matlab yahi hoga ki Saani aur uss mortal ko ......"
" Ji.. Humare paas koi doosra chaara/option nahin hai..." Elder Vinod ne vinamrata poorvak kaha.
Ek pal ke vichaar ke baad, Rajyavardhan ne poochha, "Us ladke ka character/charitra kaisa hai?"
"Mai ne yahan aane se pehle kuch jaanch-padtaal ki thi. Uska naam Manav Shisht hai. Weh kind - hearted/dayalu hai aur apni daadi ke sabse kareeb hai. Halaanki wo apni university.. apni study mein bahut acha nahin hai, uska bas pass hone layak result aata hai . Lekin woh na to stupid/moorkh hai aur na hi immoral/anaitik/vyabhichaari hai. Sabse jaroori baat...., weh shaadishuda/married nahin hai aur uska koi affair ya girlfriend bhi nahin hai."
"Hmm... Dragons aur humans ke beech shaadiyan/marriage rare/durlabh to hain, lekin pehli bhi ho chuki hain. Ek baar, use ek Dragon ki nayi pehchan/identity mil jaye , to uske liye humari techniques/tareeko se saadhna karna, apne dragon laws/kanoon ke khilaf nahin hoga." Rajyavardhan ne kuch der socha, "Aap use iss plan ke baare me bataye aur dekhen ki weh kya response/pratikriya deta hai. Agar weh raaji hota hai, to maamla settled/suljha-hua hai."
P.S. :-
* mortal - apne jaise log jinka birth-death ka cycle chalta rehta hai. inse ulat ( ye half information hai , poori info jaldi hi milegi)
* immortals- jo amar hote hai, jinhe kahi angels, to kahi dev, to kahi farishte bhi kaha jata hai.
* swarg ki pareeksha/heavenly tribulation -
In sab ka description aapko jald hi Annexure me mil jayega.
To kaisa laga aap sabko ye update?
Kya aap me se koi karna chahega kisi dragon se shaadi??
Milte hai next update me
To be continued.....
Dhanyavaad bhayaBhai bahut sundar Dhakadar update bhai waiting for next update bro
ShatpratishatKya bat hai bahut hi lajwab update tha bhai
Aur lagta hai mera guss sahi nikla
