• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 6•°

Recap -

Manav ne unhen dekha aur chupchaap balcony mein chala gaya.


" Maine abhi apni poori taakat nahin lagai thi, tabh bhi maine Sameer ko easily hara diya tha. Phir, mainne jaanboojhkar apna jor kam kar diya taaki vah takkar ke match se jeet sake. Pichle week ki panja ladayi ke baad, meri taakat kaise bhayaanak tarike se badh gayi hai. " Manav ne apni kalai ko ragadte hue bechaini se chaand ki or dekha.



AB AAGE :-

Kai baar dhulayi ke baad, Manav ke haath par aaya dragon - scales jaisa tattoo feeka padne laga tha. Kintu, chaand ki roshni me, tattoo chamak raha tha aur aisa laga raha tha jaise usme koi mysterious power/rahesyamayi shakti ho.

"Daadi ma ne dragon ki jo kahani sunayi thi, vah sach nahin ho sakti... Agar sach hui t....."

"MaanaV! ! Aaja taash khelte hai ! " Adarsh ne chillakar, Manav ko apne gehre vichaaron se jaga diya tha.

Lagbhag poori raat taash khelte hue unki Sunday-night beet chuki thi.
Ab unki aankhen, Monday ki subah hi khulni thi.

"Hey Manav! , maine suna hai ki tum ek ladki ke saath chhedkhani kar rahe the aur ab wo tumhari baja rahi hai ? "

"Hah! maine to suna hai ki wo ladki ekdum pagal hai, usne poore campus mein wanted postar laga rakhe the... Arrrr... Mera saara maza hi chhot gaya! Bekaar hi mai Saturday ko ghar chala gaya tha ..."

"Mai to khud Cafe mein tha... ladki kamaal ki thi, aur wo Manav ke pet ko bhi touch kar rahi thi !"

"Aree, Manav! Bata to tune us chhoti ladki ke saath kya kiya tha ? "

"Tum log bas karo! Manav acha banda hai...,uspar ilzaam lagana ab band karo..!

"Satya vachan!! Manav ek accha banda hai! Wo itna accha hai usse isi semester me 6 baar Good person Card (friend zoned) mil chuka hai! haha.. "

**( kisi ko friend zone karna - yani usko bas friend tak hi rakhna, usse aage kuch nhi..
Jab koi Good person Greeting card deta hai , matlab wo apko bas ek friend tak hi simit rakhna chahta h) **


Jab tak teacher nahi aaye, classroom me sabhi aapas mein yahi sab ☝ discuss karte rahe. Har koi us ladki ke baare mein baat kar raha tha jo last Saturday, bade taamjhaam ke saath Manav ko dhundhe ke liye college aayi thi, jisse yeh is week ka sabse trendy topic ban gaya tha.

Sabse peeche baithe, head down kiye Manav ne explanation dene ki koi jahmat nahi uthaai. Tej dhoop ka sukoon use thoda sleepy bana raha tha.


Kabhi-kabhi jab wo sar uthakar dekhta, to usko front desk par baithi Class President Aahna Gupta najar aati. Use aisa lag raha tha jaise Class President, jo kuch bhi hua tha, uske baare mein genuinely jaan na chahati ho. Halaanki, Manav ne jab bhi uski or dekha to usne turant, eye contact karne se parhez kiya.

Manav use samjhana chahta tha ki woh tharki ya manchala nahin tha, sara raayta to uske doston ne phailaya tha. Jab bhi wo apne doston se kisi ladki ke baare me baat karta ya tareef karta, to uske harami dost uska naam lekar, uss ladki ko love letter pakda dete, aur Natijan... uska sabse jyada Good person Card milne ka record badhta jata.


Jahir tha.... 🤣🤣 Aahna bhi un ladkiyon me se ek thi jinhone usse Good person card diya tha.

"Mai usse apne saath beach par chalne ke liye puchoon... kya yeh theek rahega..? daadi ma shayad iske jaisi beautiful ladki ko pasand. karengi."

"Lekin pichli baar jab Sameer ne uske saamne mera naam bigada tha..., to usne kaha tha ki use mujhme koi interest nahin hai..." jab ye baat yaad aayi..., to Manav ne gehri saans chhodi aur desk par sona jaari rakha.

Boring afternoon class, aakhirkaar samapt ho gayi. Manav ek dhundhle sapne se jaaga to usne apna right hand sunn/numb sa laga..

Aur jab wo apne right hand ko idhar-udhar ghumakar Sunntapan se chhutkara paane ki koshish kar raha tha, to usne mahsoos kiya ki uska right hand bahut mota ho gaya hai!

Uski long-sleeve shirt ke kaaran, Adarsh aur dusre friends uske haath me aaye badlaav ko notice nahi kar paye the. Halaanki, Manav saaf taur par mahsoos kar sakta tha ki uska daahina haath sooj gaya tha!

Ajeeb tattoo, Nakchadi chhoti ladki aur achaanak badhi taakat ke baare mein sochne ke baad, Manav ko inn sabhi ke beech kuch na kuch connection ho..aisa laga. Jaldi hi wo uth khada hua, bhari class se jane me use kuch jhijak hui, lekin phir wo tez kadmon se classroom se baahar nikal gaya.


" Oyee..." Sameer aur anya do.. jo apna bag pack kar rahe the aur chai ke liye saath jaane vaale the, unhone, Manav ko yun achanak aese jaldbaaji me jaate hue dekha... Par unhen samjh nahi aya ki akhir Manav aise kyu chala gaya...

Class se tezi se bahar nikal, Manav usi tez speed se chalta raha.... jab ki usne campus ke bahar ek taxi na rokli..


"Bhaiya...! , Vaels International Middle School le Chaloo... jaldiiiii !! " Manav taxi me baith gaya aur bechaini se kaha.

"Ok....! " Taxi driver ne taxi dauda di. 10 minute ke ander hi, Manav Vaels International Middle School ke main entrance gate ke saamne khada tha.

Jab weh pahucha, to middle school ke bachche school se nikal hi rahe the. Fir, Uniform pehne students ki bheed gate se baahar nikalne lagi.

Manav ek unchi fence par apne panjo/toes ke bal khada ho gaya tha. Woh, students ki bheed me uss little girl ko dhudhne ki koshish kar raha tha.

Haalanki, sabhi bacchon ne ek jaisi halke neele rang ki uniform pahni hui thi aur un sabki age lagbhag samaan thi.
Manav ki eyes tired ho gayi, uske panjon me halka sa dard hone laga, lekin phir bhi, abhi tak wo ladki nahi dikhai di.

"Uncle.......!, kya tum mujhe dhoondh rahe ho ?" achaanak, Manav ke theek peechhe , ek tej awaaj aayi.

Manav ne mudkar dekha to wo wahi young ladki thi, jise wo dhoondhne ki koshish kar raha tha.

Usne wahi halki- neeli uniform pahni hui thi, wahi pony tail thi, dusre students ki tarah wahi VIMS (Vaels International Middle School ) ka tag tha. Keval ek cheej jo alag thi, aur vah thi.. uniform par laga uska name tag - Saanvi Maurya, Class 8, Section B.

Uske theek bagal mein ek aur ladki khadi thee. Halaanki, wo ladki utni sundar nahin thi, lekin weh same class aur same section ki thi.

Manav aise fence par khada joker lag raha tha...
"Hhh...! "
Embarrassed Manav niche kood gaya,

"Maine tumse pehle hi kaha tha... tum mujhe dhoondhne jaroor aaoge." Saanvi naam ki is ladki ne confidence & proud ke saath kaha.

"Sani! Kon hai ye ?" Saanvi ke bagal wali ladki ne Manav ko satarkta se dekhte hue dheere se poochha.

Saanvi ne us ladki se kaha, "Chennai University ke ek Uncle. Inhone mujhse kuch udhaar liya hai."

Uncle.... Jab Manav ne suna ki ladkiya use kya keh rahi hai, to use aisa laga jaise uske dimaag me hathode/hammer pad rahe ho. .

Jabaab sunne ke baad bhi, Saanvi ke saath khadi ladki Manav ko lekar satark thi.

"Ye ladki bhi..., aise kar rahi hai jaise mai koi bura aadmi hun.... Mujhe lagta hai ki mera face, kind & harmless type dikhta hai..." Manav ne us ladki ki haav bhaav dekhkar socha.

"To tumhara naam Sani hai..?" Manav ne Saanvi se poocha. Wo ye awkward moment change karna chahta tha.

Saanvi ne apne name tag ki or ishara kar diya.

"Tumhara naam kya hai? Uncle! " usne Manav se poochha.

"....Mera naam Manav Shisht hai " Manav ne kaha.

"Shisht.. Normally jo log khud ko achchha aur Sabhya insaan kehte hain, asal mein wo achchhe nahin hote." Saanvi ke pass wali ladki ne kaha.

"Daksha, Tu chali ja! mujhe is Uncle se kuch baat karni hai to me tere saath ghar nahi jaa paungi." Saanvi uss ladki se kaha.

"OOkay... But be careful..." ladki ne phir.. Manav ki or satarkta se dekha aur Saani ko satark kar vida le li.


Daksha ko door jaate hue dekhkar, Saanvi ne Manav ki or dekha aur kaha..
" Uncle, tum mujhse milne ke liye late ho gaye.."

" Mujhe Uncle mat bulao.. Bas Manav.." Manav ka sar jaise phatne ko tha.

"Oh..Okay.., Uncle" Saanvi ne kaha.

Manav bechara asahaay tha.

"Acha hua tum mujhse milne aa gaye. . lekin, Sorry, tum late ho gaye. Maine use guma diya.. ye baat mere parents ko pata chal gayi hai... Tum bas ab mere dad ke gusse ko jhelne ka wait karo.. "

Manav is nakchadi chhoti ladki se thoda gussa tha. Lekin ab usse kuch kehte na bana.

"Bas aaj aur .... Kal mere parents khud tumse milenge." Ye bolne ke baad, Saanvi turant bhaag gayi. Usne Manav ki reaction ka bhi intjaar nahin kiya.

Avakk Manav, kuch der wahin khada raha. "Zaroor! " Apne Daant bheech kar, Manav ne socha, "Aane do tumhare parents ko. Dekhte hai.. kaun kisse darta hai!"

University laut kar wo sone ke liye seedha hostel chala gaya. Uska ab dinner karne ka bhi man nahi tha.

Jab Manav ke roommates laute, aur usko sota hua paya to apas me baat karne lage. .

"Manav khoya khoya lag raha hai.. Kisi aashiq ki tarah. "

"yah ashiqui uss chhoti ladki ko lekar hi hogi ?"

"Hatt be..! Manav us chhutki ko kyu pasand karega ?"

"Mereko to lagta hai ki Yeh shayad Aahna ke khwaabo me duba hua hai? "

"Kya bak raha hai be, kya Manav Class president par lattu hai ?"

" Kyu... Tereko nahi lagta!?"

" Apan uski kuch help kare kya ?"
..
..
..

Agle din, Manav ne class me khud ko khush aur acha bhala dikhane ki koshish ki. Tatto poori tarah se gaayab to ho gaya tha, lekin uska poora hath bahut sooja hua tha. Athaah taakat paakar, haath ki nasein / veins phadphada rahi thi, ve fat jane ko aatur thi. Ye behad aprakritik/unnatural tha.

Manav ke teeno roommates ne uski smile ke piche ki takleef mehsoos ki aur socha ki vo apni single life ko lekar pareshaan hai. Isliye, unhone uska dil behlane ke liye, break me uske sath matargashti/maujmasti ki.

To dusri or, Manav Saanvi ke maata-pita ke baare mein sochkar sochkar bahut bure mood mein tha. Kya pata wo log is matter/mamle ko university ke administrative office le jaye. .
Lecture ke baad, Adarsh, Sameer aur Rupam ke paas gaya.. "Sunooo dono.., Manav ka shayad dil toot gaya hai. Wo pahle kabhi itna udas nahin tha."

"Sach bola.., aisa lagta hai ki uske dil ko gehri choot pahuchi ho. Hume use khush karne ki koshish karte rehna chahiye.... Aisa karte hai usko apne sath Lunch ke liye le chalte hai.., " Rupam ke yeh kehte hi , lunch ki bell baj uthi.

Sameer aur Rupam ne Manav ko haath se oopar kheench kar utha liya, " Chal! Manav! Aaj tu apni pasand ka lunch karna !"

" Yrr... Ruko.....mera kuch bhi khaane ka man nahi hai..." Manav ne kaha, wo dono usse kheech kar classroom se bahar le aye the. Jabki uske mind me to bas yahi chal raha tha ki kab administrative office se uske liye bulawa aa jaye... Ke tabhi...!
Ek kaali cheej uski najar me aa gayi...

Aur wo cheej thi.... ek black colour ki Mercedes Benz S-Class Sedan jo university ke main entrance par park ki gayi thi. Gadi ke paas, black suit aur white gloves pehne, do middle age ke aadmi khade the.

Kayi students university ke gate par jama ho gaye , yah jaanne ke liye ki, yahan aisa kon raes-jada ya raes-jadi padhta hai , jiske intzaar me ve dono khade the.
Agar yahan gaur kare to.. Chennai University, mainly normal citizens/ aam naagriko ke liye hi thi. Bhale hi university me kuch ameer bachche bhi padhte the par, ye university , raesjaado ke standard ki to bilkul nahi thi.


Wahan chal kya raha tha.... Ye dekhne ke liye Rupam aur dusre friends khud to gaye hi.. Manav ko bhi kheech kar le gaye.
Kalpna se pare, vo dono black suit wale aadmi Manav ki or lapke aur kaha " Aakhirkaar aapki classes poori ho gayi hai. Chaliye! Humare Malik aapka intzaar kar rahe hai."

Is achanak hui ghatna se Rupam aur Sameer hairaan rah gaye. Jaise hi un dono ne suna ki black suit wale aadmi Manav ka hi intzaar kar rahe the.. unhone Manav ke haath chhod diye..

Aaspass ke sabhi students, saamne chal rahe tamashe ko dekh, aapas mein discussion kar rahe the..

Agar Saturday ko jo kuch Cafe me hua tha, wo "Badi News" thi, to... do logo ka, S-class Mercedes Benz me, Manav ke liye aana ek "Breaking News" Hogi!!!

"Toh... ye Manav ek rich family se hai... "

"Nahi......! Shayad wo log Manav ki family se nahin hain... Uska khud ka reaction dekho.., wo khud shocked hai."

Jo students Manav ko jaante the lekin uske jyada close nahin the, unhone is matter par sabse jyaada bakchodi ki.

"Aap dono......" Maanav ne un do logo ko confusion me dekha.

Un dono ne dheere se Manav ko sar jhukakar greet/pranaam kiya aur car ka darwaja kholte hi badi vinamrata/ politeness ke sath kaha,

" Humare Malik , jo Miss Saanvi ke father bhi hain, ne hume aapko lene ke liye bheja hai. Hum bas aapka doophar ka time lenge. To Please! Aap car me baithiye."




Bataiye.. kaisa laga aap sabko ye update?
Manu ka to promotion ho gaya

friend zoned se uncle zoned 🤣

Fir milenge Friday ko naye update ke saath...

To be continued.....
 
Last edited:

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
झिलमिलाते दीपों की रोशनी से प्रकाशित ये दीपावली आपके घर में सुख- समृद्धि और सफलता लेकर आए।
💐 🌾 🌺 💐 🌾 🌺 💐 🌾 🌺

हैप्पी दिवाली!✨


🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸
🪔🕯 🪔🕯🪔🕯🪔🕯🪔🕯🪔
🔹🔸 🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸

May this Diwali , which illuminated by the light of twinkling lamps, bring happiness, prosperity and success in your home.
🎊 ✴️ 🎊 ✴️ 🎊 ✴️ 🎊 ✴️ 🎊 ✴️

Happy Diwali✨


🎇 🎆 🌌

😊 😇 🙏



 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,574
174

Rohit1988

Well-Known Member
2,199
7,161
158
Part l - Onset of the Storm 🌀


NOTE :-

" Iss kahani ki timeframe approx. 2005-2013 rahegi. .. to maximum details isi timeline ke according hongi "

Pesh hai pehla Update ----


•°UPDATE 1•°


Kaale baadalon ne pure Aasmaan ko dhakh rakha tha... Aur Bijli ke chamakte hi Aasmaan me uski tez Gadgadahat goonj uthi.

IMG-20221010-132808.jpg


Aisa laga mano kadkadati bijli aasmaan ke tukde tukde karna chah rahi ho..

" Kya..musibat hai ! " Kharab mausam ko dekh Manav Shisht ne aah bharte hue kaha; usko andaja tha ki Toofan [ Storm ] aane wala hai. Nami/moist wali hawa ko apne ander bharte hue woh tezi se nukkad wali dukan ki or badh chala, joki bas Ab lagbhag 300 meter door thi.

Yadi hostel area ki superstore ka renovation nahi ho raha hota, yadi wo rock, paper, scissors match me lagatar teen bar scissors nahi khelta, to woh nikkar ( half pant) aur plain T -shirt me yahan bahar nahi nikla hota. Woh to maje se apne bed par laita tha aur kitab padh raha tha, kintu uske roommates ko patte (taash /cards) khelna tha.

"AHAHH..... " Jaise hi Manav apni speed badhane ko hua, usse apne upar ek ladki ki cheekh sunai di.

Usne confusion me upar dekha. Upar ka najara dekhte hi woh chonk (shocked) utha.
Ek ladki Aasmaan se niche gir rahi thi!!!

Aur Itna hi nahi.. Wo ladki uske sar par girne wali thi!!

" OOOHhh... " Manav ne furti se ek kadam piche lete hue apni center of gravity ( normally naval se thoda niche center me) ko niche kiya. Fir usne apne haathon ko aage badhate hue ek perfect - Horse stance - le liya.

mqdefault.jpg


**(Horse Stance - ek common martial arts posture hai. Name ke according ye horse riding ke dauran banne wala pose hai. Ye pairo ko train karne ke liye hota hai. ) **


DhaAdaAAM!!!!!!!!!

Ladki sidha Manav ke chest par giri, aur uske girne ke force ka asar kuch aisa hua ki Manav ki center of gravity aur 10 centimeter niche ho gayi. Force itna tagda tha ki wo lagbhag gir hi gaya tha.

Iss ladki ka sar bhi Manav ke muh se jaa takraya tha.... Takraav itna tez tha ki Manav ke saare daant/teeth hil gaye the.

Gatak.....! Kuch uss ladki ke muh se bahar nikla, aur, kyuki Manav ka muh iss instant shock se pura khula hua tha, wo " Kuch " smoothly uske gale utar gaya.

Kuch. . meetha sa... , chikna aur chhota.... Manav kuch react kar pata, usse pehle hi wo candy jesi chij uske pet me ja pahuchi thi.

Haalanki, Manav ka dhyaan ispar nahi tha.. Wo to uss ladki ke bhaar /weight se lada hua tha, aur ladki ko catch karne ke karan uske hath bhi sunn pad gaye the. Isi beech usne apne haathon me padi ladki ko dekha...

Lambi kaali palke... , pyari si pony tail... ,
" Vaels International Middle School " Badge wali light blue uniform me ek nav yovana.. Sach kahe to, ladki badi hi sundar thi...

" Ahh... " Kuch 2 seconds ke baad, jaise uss ladki ko samjh aya ki kya hua tha. Apni sunder badi kaali ankhein kholte hi woh cheekh padi...aur Manav ko dekhte hi woh uspar se hi khade hone ki kosish karne lagi.


Ladki ka bhaar ko jhelne ke baad Manav ke pairon me jaise jaan hi nahi bachi thi. Usse kuch bhi nahi pata tha ki ye ladki kahan se giri , wahan to unchi buildings bhi nahi thi.

Baharhaal, ladki ne khade hone ke baad khudko set kiya. Aur jaise hi usne Manav ke honthon par laal nishan dekha... Wo sharma gyi aur Manav ke shoulder par ek punch jadd diya.

"Areeyyy..... Maine tumhe bachaa.... " Manav apni baat khatam kar pata, ladki pehle hi bhaag gayi.

" Huh.... Aajkal ki ye papa ki pariya kitni nakchadi hoti hai..... Waise wo itni unchai se girne ke baad bhi thik lag rahi hai.. " Bhaagti ladki ko dekhte hue Manav ne apne kandhe ko sehlaya.
"Khair ye itna bhi bura nahi tha. Usne mujhe jor se nahi maara... Mere gaalo ko bhi to baksh diya. . "

Fir Manav ne apne hothon ko chua. Wo kissing ki warm feeling ko yaad nahi rakh saka jiske bare me usne bahut kuch suna rakha tha.

Ab Banda second-year university student tha fir bhi ab tak ek girlfriend nahi bana paya.
" Me bhi kitna bada chomu hu.... " Sochte hue usne apni sunn hui thighs ko thapthapaya aur khada hua. Usne upar akash ko dekha aur paya ki kaale ghane baadal chhat chuke the yaha tak ki surya dev bhi pragat ho gaye the.


" Hadd hai.. Ye mausam bhi... Mujhe laga tha toofaan aane wala hai. " Manav badbadaya. Khair wo jo hua usme naa atakte hue, tezi se dukaan par pahuncha aur cards/taash ke 2 deck kharid liye. Jiske baad wo furti se apne hostel lauta jo Campus ke South end par padta tha.

" Tujhe itni der kaha lag gayi ? Jaldi aa be !! ham sab kab se wait kar rahe hain! "
Manav ko dekhte hi uske teeno roommates chillaye.

Manav ne table par taash ke dono deck patke aur kaha, " Tum log hi khel lo.. mera man nahin hai."

" Kya hua be tereko ? Itna chida hua kyu hai ? " White t-shirt daale Adarsh Shukla ne pochha,
" Sale kya humne decide nahi kiya tha ki jo haarega wahi jaega patte khareedne ? "
Adarsh ' self-declared ' hostel ka captain tha..

" Mujhe bas thoda chakkar aa raha hai... " Manav ne bunk bed ki apni upper berth par dhire dhire chadhte hue kaha.

" Abe natak band kar.... utar niche, aaj apan sab ne taash khelne ka plan banaya tha " Adarsh Manav ke iss ravaiye se khush nahi tha.

" Manav! tu thik to hai ? " Sameer Kumar, dusra roommate, ne chinta karte hue pucha.


" ... Pata nahi... , mujhe bas kuch acha mehsoos nahi ho raha..." Manav ne apni chhati sehlatate hue javab diya.
" kahin us ladki ko bachaane ke chakkar me mujhe koi andaruni chot to nahi lag gayi ? " usne socha.

" Chal fir.. Tereko clinic le chalte hai ?" Manav ke chehre ke haav bhaav ko dekhkar Adarsh bhi serious ho gaya tha.

" Areee nahi ... Mai thik hu.... me bas nukkad wali dukan par jate samay fisal kar muh ke bal gir gaya tha." Manav ne apni chin ki or ishara kiya jo thodi soojh gayi thi. Haalanki ye soojan uss ladki ke sar takraane se aayi thi.


" Acha to phir tu aaram kar, mausam khula hua hai to ham internet cafe chale jayenge." Rupam Dev, teesra roommate, bola.

" Haan theek hai , tum log maje karo." Manav ne unko wave di. Wo kamjori aur thakaan mehsoos kar raha tha.

Adarsh abhi bhi thoda chintit tha.. , " Sun, Agar kisi cheej ki jarurat ho to mereko phone kar diyo.." Wah bola.

"Hmm... Ok. ." Aur Manav apne naram, aaramdayak bistar par phail gaya.

To doston apne ye chaaro chaman single hi the. Taash ya video game Khelne aur ghumne ke alava inka koi dusra passion nahin tha..

Manav lait te hi neend ke aagosh me jaa chuka tha; woh ' kisi ' kaaran se behad thak gaya tha.

Jab woh utha to sham ke 6 baj chuke the. Table par khane ka ek parcel pada tha; ye dinner ka khaana tha jo uske teeno jigri uske liye laye the.

Room me dusre rooms se aa raha card playing ka dheema shor goonj raha tha. Uske roommates, aawaaz na ho isliye bagal ke room me taash khelne chale gaye the.

"Sacche yaar..." Manav apna sar khujate hue, khana lene ke liye apni upper berth se niche utra.

Jab usne parcel uthane ke liye apna haath aage badhaya, to wah chaunk gaya!! Uska shareer mano wahi jam gaya!
Andhere kamre me bhi wo apni right kalai/wrist par hare/green rang ka ek circle jaisa kuch dekh paa raha tha..

Manav ko laga jaise uske heart ne 5 second ke liye dhadakna hi band kar diya ho. Usne kalai ko theek se dekhne ke liye parda khola.

Ek hare rang ke machli ki scales jaise tattoo ne uske right arm ko kalai se kandhe tak dhak diya tha! !

Manav ko laga ki wah koi sapna dekh raha hai. Usne apni aankhen masali, par wo tattoo jesi chij abhi bhi vahin thi. Phir usne is hari chij ko apne sharir se hatane ki nakaam koshish ki, par wo tatto jyon ka tyon bana raha..

Shivering/kampkapi... Manav ko apne ek ek rom me kampkapi mehsoos hui.
Usne jaldi se apne saare kapde utare aur full length mirror ke samane jakar khada ho gaya. Woh dekhna chahata tha ki kya aisa kuchh uske dusre body parts par bhi hua hai...


CreaKkk...... Charmarahat ke sath darwaja khula, aur teeno mahashay andar chale aaye.

" Abee bhencho.... Porn star banega ye londa ?" Nange/naked Manav ko lagataar mirror ke samne ghoomte hue dekh, Adarsh chillaya.

" N - nahin... ... Chup kar be !! " Manav ne jaldi se apne kapde uthaye aur apne shareer ko dhak liya.
" Mujhe apni puri body me pain feel ho raha tha, isiliye me bas check kar raha tha ki kahin meri body ke kisi part me chot to nahin lagi, " usne safai di.

" Yadi tereko theek nahi lag raha hai to chal na clinic... Chal checkup karwa lena... " Adarsh ne chintit hote hue kaha.

" Areyy sab thik hai... Aisa kuch serious nahin hai." Manav unhe apni skin me ho rahi ajeebo gareeb cheej ke baare mein nahin batana chah raha tha. Aur waise bhi, use khud nahin pata tha ki kya ho raha hai aur isse deal kaise karna hai.

" Mujhe lagta hai ki tujhko nanga daudne ki tadap uthi hai. Kya bolte ho aaj raat apan public bathroom chale ? " Sameer ne upar Manav ki berth par chadhte hue kaha.

" Haan..... aur mujhe lagta hai ki yeh tera man hi he jo nange daudne ke liye tadap raha hai ! " Manav ne Sameer ko javab diya. Usne ab tak apne kapde pahen liye the sath hi apne hath ko aasteen se dhak liya tha.

" Acha Me thodi der bahar tehel kar aata hu. Tum log chill karo yahan."

" Tu khana to khale! ? " Adarsh ne parcel ki or ishara karte hue kaha,
"Maine ise tere liye hi laya tha ! "

" Mujhe abhi bhuk nahi hai..." Manav ne bahar nikalte hue kaha.

" Bhains ki tang, kya manu relationship mein hai?" Rupam ne Manav ke ajib vyavhaar ko dekhkar puchha.

" Woh ? Ek to Wo mere jaisa dashing nahin hai, dusra wo iss Sameer jitna fit bhi nahin hai, upar se wo tere jaisa handsome bhi nahin hai... kya tereko lagta hai ki uska apne aage koi chance hai ? Khair chal... fir bhi... agar uski in 3 saalon me ek bhi gf ban gayi , to me tereko Rs. 1,000 dunga ! " Adarsh ne bade confidence se kaha.

P.S. :-
* Manav Shisht - literally... A good person. Aur wo asal me hai bhi. Aap isi baat se andaza laga lo ki wo maasoom gali tak nahi bakta. 😁
Ye to ho gayi majak ki baat. Majak se hatke, Aage aap dekhenge ki uska character kitna magnificent hai🤞.
"Manu" ye Manav ji ka pet / nickname hai.

* Rupam Dev - ye bhai apne naam ke anusaar.. roop wan hai.

* Hostel ke ek room ka setup- 2 bunk bed aur 4 roommates
Waise to har hostel ka apne alag bathrooms, toilets hai lekin campus me public bathrooms, toilets ki ek dedicated building bhi hai.




To kaisa laga aap sabko ye update?
Kayi sawal khade kiye iss update ne... Jaise.. wo ladki?
green skin ka maajra? etc..
Aise hi aur questions ke answers ke liye milte hai agle updates me...
To be continued.....



Congratulations bro new story
Nice start hope ye aage tak jayegi
Likhete raho time se update do
 

Rohit1988

Well-Known Member
2,199
7,161
158
•°UPDATE 2•°

Recap -

" Bhains ki tang, kya manu relationship mein hai ?" Rupam ne Manav ke ajib vyavhaar ko dekhkar puchha.


" Woh ? Ek to Wo mere jaisa dashing nahin hai, dusra wo iss Sameer jitna fit bhi nahin hai, upar se wo tere jaisa handsome bhi nahin hai... kya tereko lagta hai ki uska apne aage koi chance hai ? Khair chal... fir bhi... agar uski in 3 saalon me ek bhi gf ban gayi , to me tereko Rs. 1,000 dunga ! " Adarsh ne bade confidence se kaha.




AB AAGE :-

Jahan Adarsh aur baki ke roommates apni apni prediction de rahe the.... ki kaise agle 3 saalon me koi bhi ladki Manav ki gf banna to door.. usko dekhegi bhi nahi ; wahin Manav apni alag dhun me gum, campus chhod chuka tha. Usne ek taxi ko hath dekar roka aur nikal pada apne raste ki or jo tha - " Blk Super Speciality Hospital "- yeh hospital apne best Dermatology/twacha(skin)vigyaan department ke liye mashhoor tha.


Wahan, Manav bahut se complex administrative procedures aur thaka dene wale checkups se gujara. Jiske baad, tamam reports ke ek dher ko padhkar , Dermatologist expert ne Manav ko bataaya ki uske hath par hari dhaariyaan ek tarah ki dye ke karan bani ho sakti thi , mano jaise kuch low quality wali bedsheets ne apna colour chhod diya ho.

Reports ke mutabik, uski body normal thi... Body me cell mutation nahi hua tha.

**(kayi genetic bimariya cell mutation ke karan hoti hai, jissse body me abnormalities aa jati hai. )**

Sare tests ke results - no abnormalities in the body - bata rahe the. Iske alava, Hara rang fungi infection bhi nahi tha. Rahi baat scale pattern ki, to wo bas accidental hi tha - yani hara rang matra ek regular pattern me faila tha. Aur sab se jaruri baat, ye hara nishan yakeenan sankramak/contagious nahi tha.
Akhir me expert ne yahi kaha ki ye jyada seafood khane se hui allergic reaction hi hogi.

( apna corona to behad sankramak tha 🤣)

Halanki ye explanation Manav ko santusht nahi kar saka, par phir bhi iss explanation ne uski tention kaafi kam kar di.... Ab woh pehle ke mukable thoda nischit tha.

Reports milte hi, Manav hospital se apne Campus laut aaya. Laut ne ke baad Usne hare nishan ko saaf karne ka socha.

Manav ne apne hath ko saabun - scrub se jor-jor se ragadna shuru kiya, usne observe kara ki ab rang waqai kuch halka sa lag raha tha...

Aaj ka din yunhi.. bina kisi baat ke dar aur thakan me nikal dene ke baad, Manu ne apni bedsheet ko ek saaf nayi bedsheet se badal diya aur so gaya.

Saturday ki dophar ka suraj pardon se nikalta hua manav ke upar chad chuka tha.

" MANAV! MANAV! "

usi samay hostel ke iss kamre ka darwaja jor jor se khatkhataya jata hai.

" Mc ! kaun hai ! ? " Manav se nichli berth ke malik Adarsh ne ek takiya uthaya aur use darwaje par de mara.

" Manav bahar aaa... , koi sundar si ladki tera wait kar rahi hai ! " darwaje ke dusri taraf se Ritik ki awaaj ayi, jo isi hostel ke room no. 301 mein rahta tha, theek unke room ke saamne.

" Uhm..mm.. Su..n..da..rr lad..ki..? SundarRR ladkiiiii !! ? "
Confused aur sleepy, Sameer ekdum se apne sapne se jaaga aur turant uth ke baith gaya. Jab se University ki sabse popular ladki ne Sameer ko reject kiya tha, tab se usme relationship me aane ki himmat nahi bachi thi. Halanki, wo , ladkiyon ko taadne ke apne passion ko barkarar rakhne me kamayab raha hai..

" MANAV, uth jaa bhaii ! Rupam ne mujhe tujhe lene ke liye bheja hai. Wo sundar chutki si ladki, jo tera wait kar rahi hai, uski wajah se Banyan Tree Cafeteria ke entrance par pehle se hi bheed jama ho gayi hai !

Uth jaa ab.. ... Uth sale ! audience tera wait kar rahi hai! "

Ritik ka darwaje ke dusri taraf se chillana chalu raha..

" ..kya.. Bak raha hai tu ? " apne halke dard bhare pet ko dheere se sehlate hue, Manav ne kuch socha....
jaise hi usne apna haath uthaya, spiral hare nishaan ki jhalak dikhai dene lagi.. Nishaan phika nahin pada tha, par aur jyada faila bhi nahin tha... Ye dekh usne thodi raahat mehsoos hui.

Khat! , KhatKhat!!, Khat! Darwaja khatkhatana chalu hi raha.

" Aa raha hoon! AA RAHA HOON !" Manav bistar se kood gaya aur darwaje ki aur badh gaya.

Is time tak, Adharsh, jo lower berth par tha, shor sharabe se so nahin saka.. aur junjhlate hue wo bhi apne bistar se uth khada hua.
Aur Dusri taraf , " Sundar ladki " shabd sunte hi, Sameer excited ho pehle se hi taiyar hona shuru kar diya tha.

" Bahut sare logon ne Banyan Tree Cafeteria ke entrance ko gher liya hai. Rupam aur me to breakfast ke liye ja rahe the ki humne suna koi kaand ho gaya hai. Jab hum dekhne ke liye wahan gaye to paaya ki wahan ek sundar ladki thi jo kisi ka intzaar kar rahi thi. "
Yeh dekhkar ki Manav ne akhirkaar darwaja khol diya hai, Ritik ne ek saans me sab bak diya.

" Abeee yaaarrr!!!!, iska matlab ye nahin hai ki wo mera wait kar rahi hai, hai na?
Is tarah ke maje Sameer ke liye hi thik hai... Mujhe koi interest nahi hai." Manav ne Ritik se kheejte/annoyed hue kaha aur wapas mud gaya.

Kal uska pet bahut kharab tha upar se aadhi raat tak use neend nahi aayi. Ab, is faltu ke hangame se jaagkar wo aur jyada chid gaya tha.

" Teri to...! Mujhe baat to khatm karne de!! " Ritik ne Manav ko pakad liya.
" Us pretty si ladki ke haathon mein tera sketch tha! Aur usne kaha hai ki jo koi bhi tujhe uske paas layega use Rs 1500 ka inaam diya jaega! "

" Mera...? " Manav kisi soch me kho gaya. Jald hi wo soch se bahar aaya aur Ritik ko ghoorte hue pucha, " To tu yahan Rs 1500 ke liye hai, hai na?"

" Heehee..." Ritik ki muskaan kuch jyada hi khili hui thi.

Is samay tak, unke hostel ke bahar jordaar Shor gul hone laga tha. Manav balcony me gaya aur dekhta hai ki uski pehchan wale male students ka ek bada sa group daudta hua hostel ki taraf aa raha hai. Woh sure tha ki sabhi inaam ke liye uske pass aa rahe the. Isliye, usne jaldi se kapde change kare, joote dale aur Ritik ke peeche peeche daudta hua niche chala gaya.

Hostel captain ke roop mein, Adarsh bhi iss unexpected kaand ko lekar chintit tha. Isliye, usne apni neend kharab kar, kapde badle, aur Manav ke sath ho liya.. jahan kahin bhi manav ja raha tha.

Adarsh, Manav ke sabse kareeb tha. Bhale hi woh aam taur par gaali-galauch karta tha aur Manav ko pareshaan karna bahut pasand karta tha, lekin phir bhi, ye Adarsh hi tha jo Manav ki sabse jyada parvaah karta tha.

Rahi baat Sameer ki , to woh sundar sundar ladakiyon se milane ka chance bilkul nahi chhod sakta tha.

Unki southern hostel building campus ke outside area me thi. Jaise hi charon southern entrance se main campus area me aaye, unhone apne raste me chote ya bade kayi bulletin/notice boards dekhe, - vo sabhi wanted posters se bhare hue the jin par Manav ki sketch thi. Posters ke niche, bade bade font mein likha tha, " Iss person ko mere paas lane ke liye Rs 1500 ka reward - Apna reward claim karne ke liye Banyan Tree Cafeteria ke entrance par aao. "

Agar University ke sabhi bulletin boards ko dekhe to , iss hisaab se kam se kam total 700-800 posters to honge hi. Yah national level ke wanted hone se kam nahin tha!!

" Kamine tune us ladki ke saath aisa kya kiya ki vo tujhe ek wanted man banane ke liye apne campus chali aayi ?" Excited Sameer ne Manav se se poocha.

" Mujhe kaise pata hoga ?? main to yeh bhi nahi jaanta ki woh kaun hai! " Manav ne Hadbadahat me javaab diya.

Badi hi bheed bhad se dhake/covered cafeteria ki aur, naa chahte hue bhi Manav badh gaya. Situation hi aisi thi.. Manav ke pass koi aur option hi nahi bacha tha.

" Wo raHA!.. UdhaR! Wo aa raha hai! " Wanted person ko apne samne paakar, kuch students ne taunting shuru kar di.

Natija?, pahle se hi khacha khach bhari bheed Manav ko raasta dene ke liye do bhaago me split ho gayi.

kuch 100 logon ki nigahon ke beech, Mavan awkwardly cafeteria ke entrance ki or badh chala.. Aur wahan wo dekhta hai...
Kal wali sundar ladki!!

Usne ek white shirt aur washed-out jeans pehen rakhi thi. Yeh ek bahut hi normal dress thi... phir bhi, us par kafi jach rahi thi.
Uske baalon ki lataye hawa me lehraha rahi thi... halanki, lahrahate baalon ke beech gusse 😡 wala chehra tha.

"Ohhh... Huuuuuu...!! "

Bheed ne hooting shuru kar di.

" ... Kya ladki hai.....," Adarsh, jo kayi girlfriends hone ka dawa karta tha, Manav ke kaan me khusphusaya.

" Tu itni khoobsurat ladki se kab mila ? Chal ek intro ho jaye ! " Sameer ne Manav ko ankh marte/ wink hue jor se kaha. Usko iss nayi sundar baala se baat karne ki badi khujli ho rahi thi.

Ye dekh kar ki finally Manav aa gaya hai, ladki tamtama gayi.

Awkwardness ko pare rakh, Manav seedhiyaan chada aur bheed ki ghoorti najron ke beech usne pucha, " Maine suna.. ki tum mujhe dhundh rahi thi.... ? "

" Kya kal tumne meri koi cheej li thi ! ? " Manav ki ankhon mein ghoorte hui, uss pretty little girl ne kadak awaaj me pucha.

" Kya! ? kya cheej..! ? " Manav ke liye ye sab unexpected tha. Wo confused hone ke sath hi surprised bhi tha.

Unko baatcheet shuru karta dekh, Ritik jaldi se upar aya aur unko beech me hi rok diya...

" To meraa... " Usne hath malte hue kaha.

Ladki ne uski or dekha aur apne handbag se ₹ 1500 nikaale aur Ritik ko thama diye.

Ye dekh bheed me kayi students chauk uthe. Unhe ye vishwas nahi tha ki yah chhoti ladki sach me reward de degi. Chaunkne ke alawa, unhe iss chance ko gawane dene ka afsos bhi hua.

Paise lekar Ritik to santushti poorvak bheed se bahar nikal gaya. Uska ab is jhamele me rukne ka koi irada nahi tha.. Sath hi, use ye dar bhi tha, ki wo ladki kahi rupee wapas na maang le.

" Ye ladki.... kitni rich aur baat ki pakki hai ...! Jahir he ye kitni arrogant hai! " Manav ne apne man me socha.

" Tum! kya tumne kal meri koi cheej li thi!? " Ladki ne apna sawal dohraya.

" Konsi! kya cheej..! ? " Manav ne use ghurte hue pucha. Wo jaanta tha ki ladki ki iss hungame se ab wo university me infamously " Famous " Ho jayega.

" Ek moti/bead! , ek neela moti! " Ladki boli.

" Maine nahi dekha.. Tumne shayad kahin aur gira diya hoga," Manav ne bina kuch soche samajhe uttar diya.

Edhar apni Audience unki iss baatcheet se bahut nirash hui. Unhone to socha tha iss ladki ko kisi tarah se chheda gaya hoga aur ab wo badla lene ke liye ayi thi. Lekin ladki ka bas kisi khoyi cheej ke liye aana audience ko majedaar nahi laga.

" Wo bead moti, soft aur bouncy hai." Ladki aage boli, " Mai tumhe 2 minute aur deti hu, aur ache se socho."

" Kya ham... kahin aur baat kar sakte hain ?" apne aas-paas ki chaukas nigahon ko dekhte hue, Manav ne request ki. Bina matlab fas jo gaya tha bechara.

" Tune usse jo kuch bhi liya hai, jaldi use wapas de de ! Neech! Ladki se chori karta hai " Bawaal machate hue , kuch male students ne Manav par chillaana shuru kar diya.

" Shut up ! Tum logon ko interfere karne ki koi jarurat nahi !" Ladki unki baaton ko kaat te hue kaha.

Unn Male students ko ye pasand nahi aya. Khair unhen ab iss pachde me aur padna theek nahin laga.

" Haan to.. Tamasha khatm ho gaya hai, Guys! Chalo niklo ab !" Adarsh ne basad ko dekhte hue kamaan sambhaali. Sameer, Rupam aur kuch dusre doston ki help se usne bheed ko titar-bitar karna shuru kar diya.

Aas pass ab kya ho raha hai ispar dhyaan na dete hue wo ladki Manav par hi focused rahi. " Dekho wo cheez mere liye bahut jyada important hai, so i hope ki tum mujhe wo wapas kar do."

" Lekin.. mujhe really nahi pata ki tum konsi cheej, konse moti ke baare me baat ka..... " isse pahle ki wo khatm kar pata, ladki ne apna hath badhaaya aur Manav ke muh par rakh diya.

" Hmm... Mai ise yahan mahsoos kar sakti hun, thik tumhare pass.." jaise hi usne ye kaha, usne apni bhaunhe /eyebrows sikod li aur aisa lag raha tha jaise wo kuch bade dhyaan se sun rahi ho.

Achanak se, uska haath ab Manav ke pet par pahunch gaya.

Aur jaise hi Manav ne apne pet ko uske hath se door le jane ki koshish ki, uss cute little girl ne turant Manav ki kalai/wrist ko pakad liya aur aasteen upar kar di - jisse
hare rang ka Dragon jaisa tattoo ujaagar ho gaya!



Kaisa raha ye update?
Milte hai update 3 ke saath...
To be continued.....



Fantastic update
 
Status
Not open for further replies.
Top