• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Reply ya revoo na aane par tention mat Lena...kyoki shuruwat me kisi bhi story par reader nhi aate hai....phir dhire dhire jab carava 20 update Tak pahuchata tab jakar reader ka judav hota hai ...so sad na hone ka bhi....aisa isiliye hota hai ki writer 5-10 update dene ke baad bhag jata hai...to koi bhi reader shuruwat me kisi bhi story ko dil se nhi lagata hai....
:hug: bahut bahut dhanyavaad mitr
Hmm story to complete hogi :yes2:
Thank you so much :bow: means a lot
:toohappy:
 
Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 4•°

Recap -

Beeeep! ... Card reader se verification milte hi darwaja khul gaya tha.

Woh uske peeche peeche andar bhi aana chah rahi thi.. Lekin gate jaldi hi band ho gaya tha aur usko dubara khol ne ke liye ladki ke pass ID nahi thi!

Dusri taraf khade Manav ne use ek chhoti si wave di aur bina kisi hesitation ke andar chala gaya. Use bahut rahat mili...ke aakhirkaar usne "musibat" Se chhutkara pa liya tha.

"Dekhna Tum khud mere paas aaoge! " Bahar khadi ladki ne bade confidence se kaha.

AB AAGE :-

Uss mysterious little girl se nijaat paane ke baad, Manav kuch information, books dhundhne ke liye library ki second floor par gaya.
Aur aakhir me, usne kuch relevant books issue karwayi aur library se bahar aa gaya.

Jaisa ki use ummid thi, bahar use wo little girl kahi bhi nahi dikhi.

" Kya pata ab wo kya karegi.... ." Dhundh se bhare aasmaan ko dekhte hue, Manav abhi bhi iss ladki se jude poore ghatnakram/incident ke baare mein soch raha tha.

Agar ladki ke parents sach me mein iss baare me usse milne aaye, to yah kitna pareshani bhara hoga... Bead/moti ko kho dene me poori galti uss ladki ki hi thi. Phir bhi, ladki ne use hi dooshi thehraya taaki wo khud bach sake..

Jab weh hostel me apne room lauta, to uske roommates aaj ke hue hungame ki wajah aur aage kya hoga.. Isko lekar chintit the. Baharhaal, Manav ne sabhi ko, bina koi details diye, bataya ki mamla badi aasani se settle ho gaya tha. Wo apne doston ko iss tention bhare jhamele me ghaseetna nahi chahta tha.

"Waise... chhutki thi badi sundar.. use bas kuch saal do fir dekho...., mere se guarantee lelo, wo kisi bhi school ki sabse popular ladki banegi. " Adarsh ne Manav ke kandhe ko thapthapate hue uss ladki ki tareef ki. Wo Manav ko dilasa dene ki koshish kar raha tha.

Sach me, wo behad sundar thi, Magar wo.. Badi wali panauti bhi thi. Isliye, samjhdari usse doori banaye rakhne me hi thi.

" Kyu be tereko to is week apne ghar jaana tha ? To tune information, books , sab ready kar liya ? " Captain sahab ne poochha.

" Haan, mai bas ab ghar jaane ke liye ready ho raha hun." Manav ne library se issue karwayi hui kitabon ko table par rakha aur ek dusra khali backpack nikal liya.

"Hmm... Kal jaldi wapis aa jayio, taaki apan sham ko patte/taash khel saken !" Reminder dete hue Adarsh ne ek baar fir Manav ke kandhe ko thapthapaya.

" Han han thik hai! main aa jaunga. "

...
...
...

Manav ne apne hostelmates ko bye kiya aur nikal pada.

Bus me...., Manav ne apni kalai dekhne ke liye dubara apni aasteen upar chada li.

Hare nishan kafi had tak dragon ki scales ke jaise the. Wo to acha hua ki usne jordaar scrubbing ki thi, jiske karan rang kuch had tak feeka pad gaya tha.

Usne socha ki agar dadi ma ne yah dekh liya, to wo pakka yahi sochegi ki weh college me galat sangat ke saath ghoom raha tha aur unke dekha dekhi ye tattoo banwa liya ... Manav ne ek gehri saans chhodi.

Jaise hi usne khidki kholi, thandi tazi hawa ke jhonke aane lage aur uske tanaav/tention ko mitane lage. Aakhirkaar uski neend lag gayi.

Kareeb ded ghante (1.5 hour) ke baad Manav utha . Uska stop, bas aane me hi tha.

Abhi bhi wo neend me /sleepy hi tha. Khair stop aate hi apna backpack le wo bus se utar gaya aur ek chaude concrete ke raaste par chalane laga.

Samay-samay par , wahan kayi mehengi, fancy cars aati jati rahi. Iske ulat, ek backpack laade paidal chalta Manav, thoda aasahay lag raha tha.

Basti tak aate aate use kareeb 30 minutes lage.

Yadi Manav ke classmates ne ye 👇najara dekha hota, to ve yakeenan dang rah jaate. Manav ka ghar asal mein harbour area mein padta tha, jahan Chennai ka sabse acha ocean (Bay of Bengal) view tha. Iske alawa, cottages ke group ke beech mein, uska normal sa dikhne wala do manjila ghar , beach se mahaj kuch 100 meter ki doori par tha.

" DaaAAdiiiiiiiiiiiii....!! " thaka hua Manav, lohe ke ek nakkashidaar gate ko Kholte hue chillaaya.

" Manu..!, tum aa gaye! " ek dayalu aur saumya dikhne wali bujurg, ghar se bahar aayi aur apni humesha rehne wali muskaan ke saath Manav ka swagat kiya.. "Bachha.. Aaj tumhe itni der kaise ho gayi? "

Manav me apni daadi ma ke pair chhuye
" Hehe.. , Mujhe ek assignment next week submit karni hai, isliye mujhe aane se pahle usiki kuch aur information dundhni padi thi."
Apni dadi ji ke piche piche ghar ke andar aate hue, Manav ne poochha, " Aap batao dadi! apka week kaisa raha.... Shyam uncle nahi dikh rahe! ?"

" Kaisa rahega... wahi rojmarra ke kaam - ghar ki aur aaspaas ki kuch saaf safaai, beach par walk/ser, flowers aur lawn ki dekhbhaal...., aur haan ! Thodi bahut stock trading bhi ki......
Shyamu.. iss weekend chhutti par hain.., to tum iss baar apni dadi ki cooking skills dekhna, " dadi ji ne haste hue javaab diya.

" Stock trading? Kaisa performance raha dadi apka ?" Manav ne bhujhe man se poochha.

" Beta.. yah aisa business nahin hai jahan aapko har samay sirf profit hi ho... Sach kahu to , is week me ₹ 15,000 ka nuksaan ho gaya hai. Lekin, aajkal mujhe iski koi chinta nahi... Kyuki baat hi kuch aisi hai...,
Norway se khabar aayi hai ki, tumhare mom-dad ka kaam poora hone mai hai aur wo next month tak yaha laut sakte hai." Kitchen me jati hui dadi ji ne Manav ko samjhaya.

" Oh.., next month? Iss baar wo jaldi aa jayenge." Manav bhi dadi ji ki help karne kitchen ki taraf badha.

Chunki, Manav ke mata-pita videsh mein the aur Manav ko saptah ke dauran college jaana hota tha, ye dadi ke liye boriyat aur akelepan paida kar sakata tha. Isliye unhone ek cook - Shyam ko kaam par rakha tha, taaki koi dadi ji ke liye khana bana sake aur unke saath rahe jisse unhe ghar me akelapan na mehsoos ho.

Halanki, Shyam uncle ko is weekend kuch family matters ke kaaran ghar jaana pada.

Waise, Manav ke liye ghar par karne ke liye jyada kuch nahi tha, phir bhi wo apni dadi se milne aur unko company dene ke liye kabhi kabhi aa jaya karta tha.

Apne mata-pita ke alawa, jo Jyadatar bahar hi rehte the aur kabhi kabhar hi ghar aa pate the, Manav apni dadi ma ke sabse kareeb tha.

" Dadi maa, ek sawal hai jiske bare me aaj mai soch raha tha..." sabjiyaan kaatte samay Manav ne poochha, "Kya... aapko lagta hai ki dragons hote hain ? "

"DRAGONS!!?" aisa lag raha tha ki dadi ji ko aise topics me bada interest hai. Unki aankhein chamak uthi aur unhone sochte hue kaha , "Kaha jata hai.., bahut pehle Chennai ke kuch nivaasiyon ka...dragons se saamna hua tha!!."

"Sach me aisa hua tha..!! ?" Manav ko bhi ab isme interest aane laga tha.

" Haa beta.... Sach me! mera khud bachpan me ek dragon se saamna hua tha. Mai tab kafi young thi, apne 20s me. Ek din, mai khet me kaam kar rahi thi, mausam acha tha.. khula hua..... lekin achanak se toofaan aa gaya. Meri ek acchi friend aur mai, apne aapko bachane ke liye jagah dhoondh rahe the... Ke Tabhi maine dekha ek bhayanak, bahut ghana baadal.. Wo baadal jaise jameen me utar raha tha..!"

Apni dadi ma se kahani sun rahe , Manav ko laga jaise uske dil ki dhadkan tham gayi ho.. " Phir kyaa huaa!! daaDi! ? "

"To, us samay, maine dekha ki uss baadal se ek dragon ke shape ki bijli baahar nikli aur poore akash me sama gayi... Aur uske baad Kuch pal ke liye to saara Aasmaan hi chamak utha tha.. . Mai to dar hi gayi thi. Mujhe pehle to laga ki yah ek illusion hoga. Par, jab maine iske baare mein aur socha..., to maune gaur kiya ki wo baadal aur dusre baadlon se bilkul alag tha... Jahan saare badal gehre kaale the, to wahin wo baadal kuch grey ... kuch safed tha." is ghatna ko yaad karte hue dadi ji kisi gehri soch me doobi hui lag rahi thi.

" Bijli....... Dadi mujhe lagta hai ki.. ye koi natural phenomenon hi hoga. " Manav ne kaha.

" Tumhare dad ne bhi mujhse yahi kaha tha. Aur tumhe pata to hai, usko inn supernatural phenomena me na koi interest hai aur na hi tolerance. Haan par, meri us friend ne baad me mujhe bataya ki usne sach me ek safed dragon dekha tha, jo baadal se nikal kar, lake/jheel ka pani peene laga tha. Usne lake se paani ki ek moti dhaara ko aakash ki or jaate hue bhi dekha tha. Pehle to mujhe bhi believe nahi hua, par usne bataya ki wo ye sab kuch apne hosh-o-hawash me dekhi thi aur, woh mujhse kabhi bhi jhooth nahi bolegi. "

Dadi ji ka explanation itna saccha aur detailed tha ki, Manav ke to goosebumps hi aa gaye.

Agar dragons vaastav mein hote the, to.....

" Waise tum.. achanak se dragons ke baare me kyon poochhna chahte the? " apni yaadon se bahar nikal , daadi ji ne Manav se poochha.

" Wo mai.., mai bas curious tha." apne surprise bhare expressions ko chhipate hue, Manav ne apna sar neeche kiya aur sabjiyaan kaatna jaari rakha.

" Yahan iss Chennai city me, aisa kaha jaata hai ki kayi logon ne ateet mein dragons ko dekha tha. Iske alawa, pracheen legends/kivdantiya batate hai ki , Chennai ka purana name East Ocean City/ Purv Sagar Nagaram tha, aur yeh name paas hi kahi maujood, kisi Dragon Mahal/palace ki wajah se tha." Dadi ji ne kaha.

"Wo! Legends/ kivdantiyon wale East Ocean Dragon Palace/ Purv Sagar Dragon RajMahal ki tarah!! ?" Manav ne dadi ki taraf mudkar poochha.

" Haha! Ho sakta hai." sabjiyon ko dhone ke baad, daad ji ne unhen bartan mein rakh diya.

" To phir... Ab hume dragons kyu nahi dikhte ? " Manav ne sawaal kiya.

" Yeh climate change ke kaaran ho sakta hai. Vatavaran me pollution, green house gases aur bhi kayi nuksaan dayak chijo ne climate ki apni natural cycle me badlaav laa diya hai, jisse kayi jeev jantu extinct/vilupt ho gaye hai. " Dadi ji ke iss uttar par Manav kuch nahi keh saka...

...
...
...

Theek isi tarah donon ne tarah-tarah ke topics par baatein ki aur apna dinner khatm kiya. Kuch der saath mein TV dekhne ke baad, donon apne apne rooms sone me chale gaye.

Apne kamre mein jaane ke baad, Manav so nahi pa raha tha.
Uske window ko kholte hi, aya ek shaandar view- alag alag tarah ke stars se bhara Aasmaan! Door se aa rahi, lehron ki sukoon dene wali aawaj ke beech Usne dadi ma ki sunayi hui kahani ke baare me socha. Uske ander, Dragons hote the? Ab hote hai ya nahi? , ye pata lagane ki teevra/prabal ichchha panap uthi.

Unse apni kalai uthakar dekha, weh hare rang ka print abhi bhi pehle jaisa hi dikh raha tha. Jitna jyada wo uss pattern ko dekhta , utna hi use mahsoos hota ki pattern dragon scales jaisa dikhta hai.

IMG-20221012-194336.jpg

" Ahh... , mai shayad kuch jyada hi soch raha hoon ..." Usne khidki band ki, lights off ki, aur sapno me doob gaya..

Kaisa raha ye update?
Aapko kya lagta hai kya dragons waqai hote he ?
Milenge kal agle update me...
To be continued.....
 
9,468
39,829
218

Lady Bug🥀

Member
188
591
94

Dude sorry to say but ye story Dragon story jo sahil ji ne likhi thi usse inspired hai I mean pura ka pura common lg raha hai. But wo adhuri hai. I hope aap isee apne way se carry forward kroge , baaki aapne kuch changes aur kuch naya krne ka try , which is good. But ek chiz bolungi ki aapko main writer ya jis story se inspired ho unko credit de dijeye wrna koi sirfira report kr dega toh Mod band kr denge story. I hope isko positively lenge.
 
11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,004
143

Wo story bhi Chinese novel se le gayi thi...jaha Tak mujhe yaad hai...
 
Status
Not open for further replies.
Top