• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
waiting for next updates?

Hurry Up Waiting GIF by Travis
Mr Bean Reaction GIF
Still Waiting Office Tv GIF by The Office

Moone Boy Waiting GIF by HULU

Dear writer,

Please make sure to drop update before match.... ๐Ÿ˜๐Ÿ˜ To make Sunday super....๐Ÿค—๐Ÿค—

Bhai wait for next update bhai..๐ŸŒœ.๐Ÿ‘ฝ.๐ŸŒ›

WAITING FOR NEW UPDATE

Update dedo sir...
Match bhi nhi ho raha.... Paani gir rahah kuch toh time pass ho... ๐Ÿ˜๐Ÿ˜

Update has been posted
 
Last edited:

_SMOOKER_X_

Ne dis jamais que je t'aime
Supreme
5,304
6,971
189
โ€ขยฐUPDATE 75โ€ขยฐ

Recap -

Badon ki baatcheet ki direction ko bhaampte hue, table ke neeche, Saanvi aur Manav ke haathon ka attack & defense ka silsila ruk chuka tha. Donon ki najren ab badon ke chehron par thi aur saara dhyaan unki baaton par.

Kuch seconds situation dekhne aur sochne ke baad, Avantika dadi ki or mudi aur unse poochha,

Avantika : "Auntie, kya aap Sani ko apni bahu banana pasand karengi?"

AB AAGE :-

Avantika ke sawaal poochhte hi poore compartment me ghanghor shanti chha gayi.

Saanvi ke liye ye moment itna surprising nahi tha kyonki use restaurant aate waqt, car me hi pata chal chuka tha ki aisa kuch hone wala hai.

Dusri or.. , Manav ke to toote ude hue the. :shocking:
Use andaaja to tha ki ye sawaal.. kabhi na kabhi uski family ke saamne aayega , lekin.. usne bilkul bhi expect nahi kiya tha ki Avantika auntie itne straight forwardly poochh lengi.

Vaastav me, Manav ne to socha tha ki ye pehli family meet bas ek simple mulakaat rahegi aur.. fir kuch aur mulakaaton ke baad hi, sahi samay dekhkar uski aur Saanvi ki shadi ka prastaav rakha jayega..

:what3: :what3:
Manas aur Anvi bhi Avantika ko aashcharya se dekhne lage; unhe laga ki kahin unhone kuch galat to nahi sun liya!

Dadi ka right hand, joki ek dish ki plate ki taraf pahunchne hi wala tha, beech me hi ruk gaya, aur... Dadi ke expression aadhe hairaani aur aadhe khushi wale ho gaye.
๐Ÿ˜ฎ๐Ÿ˜ƒ

Halaanki, Rajyavardhan ke chehre ka serious expression un teeno (Dadi, Manas, Anvi) ko bata raha tha ki unhone kuch bhi galat nahi suna..

"Be..ta jii, a-aap keh rahi hai ..."
Dadi ke honth achaanak aayi is khushkhabri se tharthara uthe,

"Sani meri bahu ban sakti hai??" ๐Ÿ˜ƒ

"Ji haan," :approve:
Avantika ne haan me sar hilaaya.

Dadi ne mudkar Manav aur Saanvi ko dekha, jo embarrassment me ek saath baithe hue the.

Phir Dadi Avantika ki or wapas mudi aur turant sehmat ho gayi,

Dadi : "Yeh.. to bahuttt, jyada achcha rahega!!!" ๐Ÿ˜„

:idk1: :idk1:
Manas aur Anvi ne confuse hote hue ek doosre ko dekha. Unhe kuch samajh nahi aa raha tha ki akhir yahan.. chal kya raha hai.

Bhale hi wahan maujood logon me, un donon ke paas sabse tez dimaag aur sabse shandaar logical reasoning thi, lekin.. phir bhi, foreign se wapas aate hi bahu mil jaana.. unki soch se pare tha. Unhone to abhi, apne jaroori kaam tak nahi niptaye the.

[ Ek din pehle Thursday ko ve India wapas aaye & university me lectures diye, aur aaj.. Saturday to dadi ke saviours se mil rahe hai]

Avantika : "To phir, ye rishta tay raha!" :laughclap: *sighs*

Avantika ne khushi me taali bajai aur raahat ki saans li; Dadi ke jawaab se weh bahut khush lag rahi thi.

Idhar.. Manav ke maata-pita, Manas aur Anvi ko pichle aadhe minute se baat karne ka koi mauka nahi mila.. kyonki inki family ki "Big Boss", Dadi maa thi, jo Manav ki life se juda itna important decision akele hi le chuki thi.

Manav aur Saanvi ne ek doosre ko awkwardly dekha; donon ko ummeed nahi ki thi ke yeh sab kuch is tarah se aur itna jaldi ho jayega.

Manav ke maata-pita jinhone Saanvi ko theek se dekha-samjha tak nahi tha, vaastav me ab, dadi ki pasand ki bahu ko achchhi tarah se dekhne ke liye Saanvi ki or mude.

Halaanki un donon ke liye, is chhoti ladki ka first impression achcha raha tha, parantu phir bhi..., unke liye apni maa ko bachane walon ki beti ko, apni bahu ke roop me swikaar karna.. bahut jaldibaaji wala decision tha.

Kismat se Manas aur Anvi, donon kayi baar najuk pari-stithiyon se guzar chuke hai aur.. unmen emergencies ka thande dimaag se saamna karne ki bhi kshamta thi.
Kuch nahi keh sakte ki.. agar unke paas itna achchha vivek, itna acha aatm-sanyam nahi hota to ve kaisa react kar dete, na jaane kya-kya bol dete..

Khair.. kuch seconds ke baad akhirkaar Manas ne sawaal kiya,

Manas : "ye.. sab.. ? " ๐Ÿคจ

Avantika : "Mujhe Manu bahut achche lagte hai, aur Auntie Sani ko bahut pasand karti hai. Isliye, hum aaj.. inki shadi ka rishta pakka karna chaahte hai. " ๐Ÿ˜Š

Ab haalat aisi thi ki top scientist Manas Shisht bhi confusion me tha,

Manas : "But.. bachche kya chaahte hai? " :what3:

Apni baat kehne ka mauka milte hi Saanvi turant uth khadi hui,

Saanvi : "Mai is rishte se agree nahi karti, mom! " :nono:

Manas : "Tum kya sochte ho Manu?! "

Use apne bete ki raay ki jyada parwaah thi.

"Mai..."
Manav hichakichaaya.

Avantika Manav ko hi dekh rahi thi. Aur jab Manav ne Avantika Auntie ki ummeed bhari najron ko dekha to, weh ek pal ke liye ruka aur fir bola,

Manav : "Mujhe is rishte se koi problem nahi hai."

Manav (man me) : "Maine haan kar diya hai lekin phir bhi, abhi kuch nahi hoga.. kyonki Sani ne to pehle hi mana kar diya. Hmm.., achcha hua! mujhe Uncle aur Auntie ko bhi niraash nahi karna pada.. donon ne.. mera aur dadi ka kitna dhyaan rakha hai! ,"

Manav ne kabhi bhi is ziddi, nakchadi chhoti ladki ko apni hone wali wife ki tarah nahi dekha.
Dekha jaaye to Manav ke jaisa ek shaant swabhaav wala ladka, sweet aur cute ladkiyon ko hi pasand karega.
(Aahna jaisi ๐Ÿคฃ)

Rajyavardhan : "Sani ka rishte se mana karna, serious matter nahi hai. To.., agar Sani maan jati hai to aapko koi problem nahi hogi?"

Rajyavardhan ke shabdon me alag hi wajan , alag hi prabhaav tha, maano koi vishwa-vijeta apni baat rakh raha ho.
Bhale hi Saanvi, kuch aur bhi kehna chaahti thi, lekin Rajyavardhan ke prabhaav se uski ghiggi bandh gayi.

Kuch soch-vichaar karne ke baad Manas ne jawaab diya,

Manas : "Yadi donon bachche isse agree karte hai to definitely hume koi problem nahi hogi,"

Manas ne Saanvi ko dhyaan se dekha aur usme use koi bhi kami najar nahi aayi. Saath hi, woh ye bhi jaanta tha ki dadi use kitna pasand karti hai.

To aakhirkaar, Manas ne Mauryas ke plan ko maan lene ka phaisla kiya kyonki, use nahi pata tha ki akhir unke asal iraade kya hai.

Rajyavardhan : "To ye aapki, haan hai? "

"Ji Ji, lekin agar Sani..."
Manas confused tha.

Rajyavardhan : "Ab jab aap is rishte se sehmat hai, to hum baaki cheejen baad me discuss kar sakte hai."

Manas ne apni patni ki raay jaanne ke liye Anvi ki or dekha, aur.. Anvi ne table ke us paar baithi Saanvi ke barbie doll jaise sundar chehre ko dekha aur apne pati ko haami me sar hilakar ishara kar diya.

Anvi vaastav me ek great scientist thi; uski logical soch ne use turant shaant kar diya tha..; Aisi situations me aam maayein ghabra jaati hai ya fir hyper ho jaaya karti hai.

"Hmm, yah sab bachchon par depend karta hai. Yadi humare donon bachche, future me apni relationship ko badhakar husband-wife banna chahenge to isse mujhe aur Anvi ko koi problem nahi hogi"
Manas ne apni baat spasht roop se saamne rakh di.

Halaanki, yeh ๐Ÿ‘† kehne ke baad bhi, Manas ko thoda ajeeb lag raha tha kyonki Rajyavardhan ki beti abhi kewal middle school me thi. Bhale hi ve log sach me Manav ko pasand karte hon, lekin unhen itni jaldbaazi me rishta pakka karne ki koi jarurat nahi thi.

"Matlab sab kuch set hai," ๐Ÿ˜Š
Avantika muskurayi aur apna cold drink ka glass uthaaya,
"Cheers!" ๐Ÿฅ‚

Saanvi, jo abhi bhi khadi hui thi, ne mehsoos kiya ki uski raay ko, uske maata-pita ne poori tarah se nazar-andaaz kar diya.. jaise ki uski raay.. koi maayne hi nahi rakhti ho.

Halaanki, woh dadi ke saamne gusse me kuch bhi kehna ya karna nahi chahti thi. Parantu, uska gussa use ander hi ander khaaye jaa raha tha.

Udhar, Saanvi ko dekhte hue Dadi ne bahut jyada khush hote hue kaha,

Dadi : "Sani~ meri nanhi gudiya ๐Ÿฅฐ Dadi apko bahut pyaar karti hai" ๐Ÿ˜„

Saanvi ko laga ki.. uske saath bahut galat hua hai, lekin.. sabke saamne woh ek aansoo bhi nahi baha sakti thi.
Uske bolne ke adhikaar ko uske maata-pita ne poori tarah se chheen liya tha. Unhone use apni baat kehne ka mauka diye bina use ek tarah se "bech" diya tha.

Saanvi (man me) : โ€œYe bahut galat ho raha hai! Bahut galat!! Mujhe apne liye ladna hoga! Apni baat kehni hogi! " ๐Ÿ˜ฌ

Halaanki.. , jaise hi usne Rajyavardhan ki baaj ๐Ÿฆ… jaisi najron ko apne upar ghoorta hua paaya, to uska ladne, bolne ka junoon turant thanda pad gaya.

Akhir.. uske dad hi uski family me final decision lete hai aur upar se ve Dragon King bhi hai.
Saanvi ki family ke mukaable Manav ki family, behad democratic thi, aur isiliye woh apne phaisle khud le sakta tha.

To doosri or, Saanvi ek vishaal saamrajya ki princess hone ke baavjood, khud ke man mutabik jyada kuch nahi kar sakti thi.

Khair..

Anvi ne bhi apna glass uthaaya aur Avantika se kaha,

Anvi : "Cheers ! " ๐Ÿฅ‚

Anvi ka sochna tha ki uska bhola bhala masoom beta kabhi bhi girlfriend nahi bana payega. Lekin ab, bina kuch kiye.. uske liye ek rishta aa gaya tha.

Iske alawa, pata nahi kya karaan hai ki, Anvi ko Saanvi bahut achchi lagti hai.
~ Shaayad.. aisa isliye kyonki Anvi humesha se hi "girl child" ko pasand karti rahi hai.. lekin.. weh "girl baby" ko janam na de saki..,
~ Ya fir shaayad.. Avantika ki straight forward aur garm joshi wali personality ne uske dimaag par achcha impression daala tha.
~ Ya shaayad.. Saanvi ka naam uske naam se juda hua tha.. (Saanvi , Anvi) aur Saanvi me use apna bachpan dikhai deta tha.

Kuch bhi ho, jab tak dadi is rishte se khush thi, Saanvi ki kam umr, "rishta pakka" karne ke liye koi problem nahi thi kyonki ve uske bade hone ka wait kar sakte the.
Aakhir.. Saanvi ka pariwaar bhi to, vaastav me, ek achchha aur sabhya pariwaar lag raha tha.

Baharhaal, rista pakka hone ke baad Avantika ne dadi ki family ko shagun ke taur par kuch gifts diye.

Gifts dekh achanak, Manas ko apni jeb me rakha hua ek fancy lifafa yaad aa gaya, isliye fauran usne use nikaala aur Saanvi ke haath me rakh diya,

Manas : "Apni is first meeting me Uncle apke liye gifts laana bhool gaye.. Isiliye, bete aap is envelope ko as a 'small gift' rakh lo. "

Bhale hi usne ise mahaj ek small gift kaha, lekin Avantika ke pariwaar dwara ki gayi apni maa ki achchhi dekhbhaal ke liye, dhanyavaad ke roop me, vaastav me, lifafe ke andar โ‚น 1, 00,000 rupee the. **(update 53)**

" Dadi " naam ke is special bond ke chalte dono pariwaar swabhaavik roop se ek dusre ke kareeb aa gaye the.

Parantu, gusse me Saanvi apni hi soch me doobi hui thi,

Saanvi (man me) : "No way... mai usse shadi nahi kar sakti..." ๐Ÿ˜ฌ

Baharhaal, aaj ka Lunch donon families ko aur kareeb le laya;
Jahan, aaj ke lunch ke jariye Manav ki family apna aabhaar jatana chaahti thi; jabki Saanvi ki family, Shisht family se shadi ka commitment chaahti thi.

Halaanki Manas aur Anvi ne maukhik roop se is rishte ke liye haan kar di thi, lekin unhone ise jyada seriously se nahi liya.

Un donon ke liye, yah ek silly joke ki tarah tha jo sach ho bhi sakta tha or nahi bhi. Yani, achcha hoga agar Saanvi unki bahu bane.. lekin agar future me Saanvi kisi or se shadi karti hai.. to bhi unhe koi masla nahi.

Lunch ke baad Manas ne bill pay kiya, aur phir donon pariwaar hallways se hote hue lobby me pahuch gaye.

Rajyavardhan Manav ke paas aaya aur uske kaan ๐Ÿ‘‚ me fusfusaya,

Rajyavardhan : "Kal subah aap 7 baje aa jaayiye. Hum aapko Dragon Palace le chalenge, " :listen:

Update to yahin tak lekin aapke liye aur kuch bhi hai ๐Ÿ˜

Quiz 2 ka result ! !

Quiz 2 me Quiz 1 se jyada maja aaya. . scores ki range bhi kaafi wide rahi 20% , 60% to kabhi 80% aur 100%.. kabhi 40% to kabhi 50%!!

Waise.. ye % to bas ek process, symbolism aur bahana hai. Quiz ka asli maksad to fun.. aur story se connect hona hai. :D

Quiz 2 ke liye aap sabhi ko bahut bahut badhai :happyjump: ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ ๐ŸŽ‰๐ŸŽŠ

Quiz 2 ke topics jaise west ocean, Indrasen, bracelets necklace, etc ka reference recent updates me bhi aa chuka hai aur beshak, aage bhi ayega!

Is baar sabse pehle high score karne wale reader hai:-

Congratulations brother ! ! :congrats: :congrats: :laughclap: :applause:

Iske alawa Annexures bhi update ho chuke hai aur other information bhi add kar di gayi hai
(ye sabhi cheejen time to time update hoti rahegi) :-

Annexures :

Other informations :

Ye sab kuch aapko jald hi sticky thread me sabse upar mil jayega.
Enjoy! ๐Ÿ˜‰

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,
๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

To be continued.....
Awesome update... But still man nahi bhara woh baad ki baat h...
Kher Saanvi again with his rude attitude... I don't think that kind of relationship will work after how saanvi behaviour...
Ready to know how manav manage to make saanvi feel for her....
I also think saanvi like manav but no one takes his opinion makes her angry at some point that we can relate with his age that she is only 15 that also makes sence...
Great update waiting for Aahana reaction when she found manavs parents identity...๐Ÿ˜๐Ÿ˜

One request from my side take 4 days time write little bit every day and give us mega update that was actually very needed โค๏ธ
 
Last edited:

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
IMG-20230527-000837.jpg

Quiz 2 Maha Reader -

:cheerlead: :yourock: :mujra: :party1: :mujra: :rock2: :cheerlead:

โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€ ยฐโˆ˜โ‰โˆ˜ยฐ โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€

Vaibhav281201

New Member
25
46
13
Bhai mast update tha
Bs ek Request he Apse
Aap story ko bhot jada explain kardete ho isse link tutti jai bhai padhte wakt
Make sure ki carecter me hi jada bate ho or aap na story me koi topic ata hai to us topic bhot jada hi explain kardete ho isse na aapki story to labi ho jati hai but age nahi badh ti
 
  • Wow
Reactions: Shadow_Chaser

Rohit1988

Well-Known Member
2,199
7,158
158
โ€ขยฐUPDATE 74โ€ขยฐ

Recap -

Khair, Dadi ko khushi karne ke liye, achanak Anvi ke man me ek idea aaya,

Anvi (man me) : "Mom ko sabse jyada khushi Manu ki love life ke baare me jaankar milegi.." :idea:

Jaldi se weh Manav ki or mudi aur usse poochti hai,

Anvi : "Manu, jo cute ladki tumhare saath lectures attend karne aayi thi, woh tumhari girlfriend hai na!?" ๐Ÿ˜€

AB AAGE :-

Saanvi, jo badon ki baatcheet par dhyaan diye bina maje se khana kha rahi thi, turant alert ho gayi. ๐Ÿ‘€

Rajyavardhan aur Avantika, jo Manav ke maata-pita ke saath baat kar rahe the aur hansi majak rahe the, ve donon bhi serious ho gaye..

Achhe bhale mahaul me aaye badlaav ko bhaampte hue, Manav ne hadbadi me explanation diya,

Manav : "No Mom! wo to humari Class President hai!" ๐Ÿ˜ฌ

"Class President!?" ๐Ÿ˜
Anvi ko Manav ki baat par vishwas nahi hua,
"But Manu, maine to dekha tha.. kaise tum uska haath pakde hue the." ๐Ÿ˜Š

"NO Mom! stop it! maine nahi pakda tha!" :peperee:
Manav ghabra gaya tha. Usne apni maa ko samjhane ki koshish karte hue aage kaha,

"Usne ... usne seats dhoondhne ke liye mera haath pakda hua tha!" :sweat:

Ghabrahat se Manav ka chehra thoda laal ho gaya tha, lekin Anvi, jise kuch nahi pata tha, ne socha Manav sharma raha hai. Woh hanste hue boli,

Anvi : โ€œHehe~ apni mom se jhooth mat bolo. Mujhe koi problem nahi hai beta.. aur dadi bhi tumhari relationship se khush hongi. Waise wo ladki hai bahut sundar aur.. samajhdaar bhi hai. Tumhare dad ko bhi tum donon ko saath dekhkar acha laga tha. " ๐Ÿ˜„

Apne hothon ko kaat rahi Saanvi ke chehre ke expression badal rahe the jabki, uske parents ke expression pehle to aashcharya wale aur fir samajh me naa aane layak ho gaye.

Dadi : "Manu , kya sach me wo ladki tumhari girlfriend hai?" ๐Ÿ™ƒ

Manav : "Nahi dadi! wo nahi hai ! Wo to bas Class President hai. Hum kewal saath me lectures ke liye gaye the! That's it! " :sweat:

Ab uske maathe par paseena aane laga tha.

Halaanki uske aur Saanvi ke beech abhi tak kuch bhi nahi tha lekin, kam se kam kehne ke liye.. wo uska mangetar tha. Iske alawa, uske aur Aahna ke beech to kuch bhi nahi tha; toh.. wo kaise un cheejon ka dosh apne sar lele jo usne ki hi nahi..

Parantu, Manav ke explanation se uske parents ko yakeen ho chala ki uske aur us ladki ke beech kuch to chal raha hai. Apni maa ki khushi ko dekhte hue, Manas ne is topic par garmjoshi dikhayi aur kaha,

Manas : "Manu, bhale hi maine bas uski ek jhalak dekhi thi, lekin mujhe lagta hai ki.. wo ek achchhi ladki hai! Tum donon saath me bahut achhe lag rahe the.., agar tum uske saath aage badhna chaahte ho to mujhe bhi koi problem nahi hai. Yadi wo abhi tak tumhari girlfriend nahi bani hai, to.. tum usko propose kar sakte ho kyonki.. mujhe lagta hai ki wo ek smart aur sanskari ladki hai. I am sure ki tumhari dadi bhi us ladki ko pasand karengi. " ๐Ÿ˜€

Aaj Manas ne late aakar apni maa ko naraaj kar diya tha, aur ab woh apni maa ke favorite topic se unhe khush karna chaah raha tha.

Magar,

Manas aur Anvi, donon hi nahi jaante the ki table ke dusri taraf baithe bhaavi samdhi - samdhan ki nazron me ve iss matter ko bad se badtar bana rahe the.

Saanvi ki kam umr ke kaaran, unhone Manav aur Saanvi ko uss najar se nahi dekha jaise ki ve Manav - Aahna ko dekh rahe the.

Beete dinon Manav ke achchhe mood ko dekhkar, dadi ko bhi yahi laga tha Manav kisi ko date kar raha hoga. Ab jab Manas aur Anvi ne dadi ke kore andaje ko confirm kar diya, to dadi ka chehra khil utha,

Dadi : "Manu.., isme chhipane wali kya baat hai! Hehe. Ab tum jaldi se kuch time nikalo aur us ladki ko mujhse milane ke liye ghar lekar aao!" ๐Ÿ˜„

Akhirkaar... Saanvi ko apni bahu banana dadi ki wild wish jaroor thi. Lekin.. , agar Manav ne vaastav me koi ladki pasand kar li hai to ye bhi dadi ke liye khushi ki baat thi.

Idhar,

Saanvi ab aur bardaasht nahi kar saki.
Gussa..? ya mayusi..? ya phir jealousy..? pata nahi, lekin anjaane expression ke saath Saanvi achanak se uth khadi hui aur tezi se compartment se baahar nikal gayi.

Avantika : "Saniii !!! "

Avantika ne use pukara, lekin.. Saanvi ne apni maa ko peechhe mudkar tak nahi dekha.

Frustation me, Manav bhi jaldi se khada hua aur Saanvi ke peeche, compartment se baahar nikal gaya.

Manav ko apne peechhe aate dekh, Saanvi ne apne kadam tez kar diye aur seedhiyon ki or bhagi. Magar, woh.. Manav se aage kaise nikal sakti thi?

Manav daudkar uske kareeb pahucha aur uski kalai pakad li. Bade serious hote hue Manav ne kaha,

Manav : "Class President aur mere beech kuch nahi hai! "

Saanvi ne bura muh banaya aur apna haath jhatak kar Manav ki pakad se chhuda liya,

Saanvi : "Tumhe mujhe explanation dene ki koi zaroorat nahi hai !!!" :dscream:

Manav ne uske chehre ki or dekha aur poochha,

Manav : "Tum gussa ho..?"

Saanvi : "m-mai kyu gussa hone lagi !! ?? Mai to tumhe waise bhi pasand nahi karti ! Tumhara kisi ke bhi sath kuch bhi chale, I don't care !! " :rangery:

Manav : "Ok.. but mai fir bhi sab clear kar deta hu. Us din.. Class President mom-dad ke lectures attend karna chahti thi. Kyuki koi bhi uske saath nahi jaa raha tha to.. usne mujhse chalne ke liye poocha. Aur, baad me.. autograph lene ke time, 1 student bas 1 autograph le skta tha isliye dusra autograph lene ke liye wo mera haath pakad kar mujhe line tak le gayi.. ."

Manav use imaandari se sab kuch bata raha tha.. lekin Saanvi ne uski baat sunne se mana karte hue apne donon kaanon par haath rakh liya. ๐Ÿ™‰

"Ye.. pagal ladki... " :sigh:
Manav ne Saanvi ke right hand ko pakad kar neeche kiya aur kaha,
"Tumhe sunna to padega..! "

Saanvi : "No ! No ! ! No...!!!" :noo:

Asahaay hokar, Manav ne uska haath pakad liya aur use kheech kar wapas compartment ki taraf le jaane laga.

Saanvi apne left hand se Manav ke haath par maarne lagi,

Saanvi : "Chhodo mujhe!!! Mai wahan nahi jaungiii !! Meraa hhaath chhodoo !! "

Magar, Manav achanak thoda jhuk gaya aur Saanvi ko apne haathon me utha liya.

Saanvi : "Jerk!! Stupid !! Mujhe neeche utaaroo !!! " :rangery:

Saanvi, Manav ke kandhon aur aur uske seene par mukke ๐Ÿ‘Š๐Ÿ‘Š barsane lagi aur.. apne pairon se use laat maarte hue, use bura bhala kehne lagi.

Halaanki, uske kamzor mukkon aur laaton se Manav ko koi fark nahi pad raha tha jo ki ab, Spirit Concentration Scroll ke dusre level par tha.

Apne baahon me kasmasati Saanvi ko warning dete hue Manav ne kaha,

Manav : "Kick mat karo! Tumhari skirt sarak rahi hai.. "

Saanvi : "You.... jerkkk!" ๐Ÿ˜ฌ

Achanak usne apna sar ghumaya aur Manav ke haath par jor se kaat liya.

"Ouuchh..!!"
Manav chillaya lekin usne Saanvi ko neeche nahi utara,

Manav : "Ye kya..?? Jungli billi ho kya tum!!?"

Kismat se, woh Spirit Concentration Scroll ke doosre level par pahunch gaya tha, aur uske haathon ke muscles chattanon ๐Ÿ—ฟ ki tarah sakht ho gaye the; yahi kaaran tha ki.. Saanvi ke daanton ne use chot nahi pahuchayi.

Khair, Manav ke sawal par Saanvi ne gusse se jawab diya,

Saanvi : "Mai ek dragon hoon idiot! ! " :beee:

Compartment ke gate ke baahar, Manav ne Saanvi ko, jiska chehra gusse aur sharm se laal ho rakha tha, neeche utaar diya.

Jameen par pair padte hi Saanvi mudi aur dubara bhaagne ko hui, lekin Manav ne uske kandhon ko pakad liya aur use ghuma diya.
Phir usne Saanvi ka haath kaskar pakda aur darwaja khol kar use ander le gaya.

"Kya hua..??" ๐Ÿ˜ณ

Manas ne hairani se poochha.

Manav : "Wo.. k-kuch kaam aa gaya tha aur use sort out karne Sani ko baahar jaana pada,"

Apne chehre par sandeh liye, Manas ne phir poochha,

Manas : "To. ... matter sort out gaya?" :think:

"Haan.. dad, ho gaya."
Manav ne haan me sar hilaaya.

Usne Saanvi ka haath thoda aur kas kar pakad liya taaki woh fir se naa bhaag jaye.

Manas : "Baitho phir apni apni seats par. "

Saanvi ke laal chehre ko dekh rahi Avantika ko nahi pata tha ki aakhir.. baahar kya hua.
Lekin Manav ko chinta me Sani ke peeche bhaagta dekh aur fir Sani ka haath pakadte hue laut-ta dekhkar, Avantika ne socha ki yeh ek achchha sign hai.

Avantika ne donon ko dekhte hue kaha,

Avantika : "Aap donon wahin, saath baith jayiye. " :eek1:

Saanvi Manav ke bagal me nahi baithna chaahti thi, lekin wo apna haath uski pakad se nahi chhuda payi. .
Iske alawa, woh dadi aur Manav ke parents ke saamne khud ko badtamiz bhi nahi darshana chahti thi.

Anvi ko, Manav ka Sani ka haath pakad kar wapas aana.. ajeeb laga.
Khair.. ab jab Manav wapas aana gaya tha to usne purana topic resume karte hue poocha,

Anvi : "Manu, kya wo ladki sach me tumhari girlfriend nahi hai? "

"MoMM, jab mai keh raha hu ki wo meri girlfriend nahi hai to bas, mera believe kariye!"
Manav ne bebasi se kaha.
Ye shabd.. uski maa aur Avantika, donon ke liye the.

Manav ke uttar ke baad, Dadi thodi niraash ho gayi,

Dadi. : "Sighs* aur mujhe laga ki.. finally.. tumne ek girlfriend bana li hai," ๐Ÿ˜ž

Dadi : โ€œPurane jamane me, ek aadmi ki kam se kam 3 se 4 wives (patniya) hua karti thi. Lekin.., humare Manu ki to ek girlfriend tak nahi hai ..." :sigh2:

Apni dadi ke vichaaron ko sunkar Manav ko paseena aane laga.

Table ke neeche, Manav aur Saanvi ke haathon ko kushti ladta dekh Avantika ne dadi se poocha,

Avantika : "Auntie~ , aapko humari Sani kaisi lagti hai?"

Dadi : "Sani.. ye to badi achchi, smart aur pyari gudiya hai. Mai to inhe bahut pasand karti hoon. " ๐Ÿ˜€

Fir Avantika ne Manas aur Anvi se poocha,

Avantika : "Mr. Shisht aur Mrs. Kapoor.. aap donon ka kya sochna hai..? "

"Inke liye humara impression bhi mom ki tarah hain. Definitely, Sani bahut pretty aur smart hain," โ˜บ

Anvi ne kaha, aur Manas, jo uske bagal me baitha tha, ne sehmati me apna sar hila diya.

Badon ki baatcheet ki direction ko bhaampte hue, table ke neeche, Saanvi aur Manav ke haathon ka attack & defense ka silsila ruk chuka tha. Donon ki najren ab badon ke chehron par thi aur saara dhyaan unki baaton par.

Kuch seconds situation dekhne aur sochne ke baad, Avantika dadi ki or mudi aur unse poochha,

Avantika : "Auntie, kya aap Sani ko apni bahu banana pasand karengi?"

Dadi : "ohh Avantika aap mujhe agle update tak ka time sochne ke liye dedo.. " ๐Ÿคฃ๐Ÿคฃ๐Ÿคฃ
haan bhai update yahin tak.

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,

๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

To be continued.....

[/QUOTE

โฐ
ntastic update bhai lage raho

Fantastic update bhai
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,394
28,383
218
โ€ขยฐUPDATE 75โ€ขยฐ

Recap -

Badon ki baatcheet ki direction ko bhaampte hue, table ke neeche, Saanvi aur Manav ke haathon ka attack & defense ka silsila ruk chuka tha. Donon ki najren ab badon ke chehron par thi aur saara dhyaan unki baaton par.

Kuch seconds situation dekhne aur sochne ke baad, Avantika dadi ki or mudi aur unse poochha,

Avantika : "Auntie, kya aap Sani ko apni bahu banana pasand karengi?"

AB AAGE :-

Avantika ke sawaal poochhte hi poore compartment me ghanghor shanti chha gayi.

Saanvi ke liye ye moment itna surprising nahi tha kyonki use restaurant aate waqt, car me hi pata chal chuka tha ki aisa kuch hone wala hai.

Dusri or.. , Manav ke to toote ude hue the. :shocking:
Use andaaja to tha ki ye sawaal.. kabhi na kabhi uski family ke saamne aayega , lekin.. usne bilkul bhi expect nahi kiya tha ki Avantika auntie itne straight forwardly poochh lengi.

Vaastav me, Manav ne to socha tha ki ye pehli family meet bas ek simple mulakaat rahegi aur.. fir kuch aur mulakaaton ke baad hi, sahi samay dekhkar uski aur Saanvi ki shadi ka prastaav rakha jayega..

:what3: :what3:
Manas aur Anvi bhi Avantika ko aashcharya se dekhne lage; unhe laga ki kahin unhone kuch galat to nahi sun liya!

Dadi ka right hand, joki ek dish ki plate ki taraf pahunchne hi wala tha, beech me hi ruk gaya, aur... Dadi ke expression aadhe hairaani aur aadhe khushi wale ho gaye.
๐Ÿ˜ฎ๐Ÿ˜ƒ

Halaanki, Rajyavardhan ke chehre ka serious expression un teeno (Dadi, Manas, Anvi) ko bata raha tha ki unhone kuch bhi galat nahi suna..

"Be..ta jii, a-aap keh rahi hai ..."
Dadi ke honth achaanak aayi is khushkhabri se tharthara uthe,

"Sani meri bahu ban sakti hai??" ๐Ÿ˜ƒ

"Ji haan," :approve:
Avantika ne haan me sar hilaaya.

Dadi ne mudkar Manav aur Saanvi ko dekha, jo embarrassment me ek saath baithe hue the.

Phir Dadi Avantika ki or wapas mudi aur turant sehmat ho gayi,

Dadi : "Yeh.. to bahuttt, jyada achcha rahega!!!" ๐Ÿ˜„

:idk1: :idk1:
Manas aur Anvi ne confuse hote hue ek doosre ko dekha. Unhe kuch samajh nahi aa raha tha ki akhir yahan.. chal kya raha hai.

Bhale hi wahan maujood logon me, un donon ke paas sabse tez dimaag aur sabse shandaar logical reasoning thi, lekin.. phir bhi, foreign se wapas aate hi bahu mil jaana.. unki soch se pare tha. Unhone to abhi, apne jaroori kaam tak nahi niptaye the.

[ Ek din pehle Thursday ko ve India wapas aaye & university me lectures diye, aur aaj.. Saturday to dadi ke saviours se mil rahe hai]

Avantika : "To phir, ye rishta tay raha!" :laughclap: *sighs*

Avantika ne khushi me taali bajai aur raahat ki saans li; Dadi ke jawaab se weh bahut khush lag rahi thi.

Idhar.. Manav ke maata-pita, Manas aur Anvi ko pichle aadhe minute se baat karne ka koi mauka nahi mila.. kyonki inki family ki "Big Boss", Dadi maa thi, jo Manav ki life se juda itna important decision akele hi le chuki thi.

Manav aur Saanvi ne ek doosre ko awkwardly dekha; donon ko ummeed nahi ki thi ke yeh sab kuch is tarah se aur itna jaldi ho jayega.

Manav ke maata-pita jinhone Saanvi ko theek se dekha-samjha tak nahi tha, vaastav me ab, dadi ki pasand ki bahu ko achchhi tarah se dekhne ke liye Saanvi ki or mude.

Halaanki un donon ke liye, is chhoti ladki ka first impression achcha raha tha, parantu phir bhi..., unke liye apni maa ko bachane walon ki beti ko, apni bahu ke roop me swikaar karna.. bahut jaldibaaji wala decision tha.

Kismat se Manas aur Anvi, donon kayi baar najuk pari-stithiyon se guzar chuke hai aur.. unmen emergencies ka thande dimaag se saamna karne ki bhi kshamta thi.
Kuch nahi keh sakte ki.. agar unke paas itna achchha vivek, itna acha aatm-sanyam nahi hota to ve kaisa react kar dete, na jaane kya-kya bol dete..

Khair.. kuch seconds ke baad akhirkaar Manas ne sawaal kiya,

Manas : "ye.. sab.. ? " ๐Ÿคจ

Avantika : "Mujhe Manu bahut achche lagte hai, aur Auntie Sani ko bahut pasand karti hai. Isliye, hum aaj.. inki shadi ka rishta pakka karna chaahte hai. " ๐Ÿ˜Š

Ab haalat aisi thi ki top scientist Manas Shisht bhi confusion me tha,

Manas : "But.. bachche kya chaahte hai? " :what3:

Apni baat kehne ka mauka milte hi Saanvi turant uth khadi hui,

Saanvi : "Mai is rishte se agree nahi karti, mom! " :nono:

Manas : "Tum kya sochte ho Manu?! "

Use apne bete ki raay ki jyada parwaah thi.

"Mai..."
Manav hichakichaaya.

Avantika Manav ko hi dekh rahi thi. Aur jab Manav ne Avantika Auntie ki ummeed bhari najron ko dekha to, weh ek pal ke liye ruka aur fir bola,

Manav : "Mujhe is rishte se koi problem nahi hai."

Manav (man me) : "Maine haan kar diya hai lekin phir bhi, abhi kuch nahi hoga.. kyonki Sani ne to pehle hi mana kar diya. Hmm.., achcha hua! mujhe Uncle aur Auntie ko bhi niraash nahi karna pada.. donon ne.. mera aur dadi ka kitna dhyaan rakha hai! ,"

Manav ne kabhi bhi is ziddi, nakchadi chhoti ladki ko apni hone wali wife ki tarah nahi dekha.
Dekha jaaye to Manav ke jaisa ek shaant swabhaav wala ladka, sweet aur cute ladkiyon ko hi pasand karega.
(Aahna jaisi ๐Ÿคฃ)

Rajyavardhan : "Sani ka rishte se mana karna, serious matter nahi hai. To.., agar Sani maan jati hai to aapko koi problem nahi hogi?"

Rajyavardhan ke shabdon me alag hi wajan , alag hi prabhaav tha, maano koi vishwa-vijeta apni baat rakh raha ho.
Bhale hi Saanvi, kuch aur bhi kehna chaahti thi, lekin Rajyavardhan ke prabhaav se uski ghiggi bandh gayi.

Kuch soch-vichaar karne ke baad Manas ne jawaab diya,

Manas : "Yadi donon bachche isse agree karte hai to definitely hume koi problem nahi hogi,"

Manas ne Saanvi ko dhyaan se dekha aur usme use koi bhi kami najar nahi aayi. Saath hi, woh ye bhi jaanta tha ki dadi use kitna pasand karti hai.

To aakhirkaar, Manas ne Mauryas ke plan ko maan lene ka phaisla kiya kyonki, use nahi pata tha ki akhir unke asal iraade kya hai.

Rajyavardhan : "To ye aapki, haan hai? "

"Ji Ji, lekin agar Sani..."
Manas confused tha.

Rajyavardhan : "Ab jab aap is rishte se sehmat hai, to hum baaki cheejen baad me discuss kar sakte hai."

Manas ne apni patni ki raay jaanne ke liye Anvi ki or dekha, aur.. Anvi ne table ke us paar baithi Saanvi ke barbie doll jaise sundar chehre ko dekha aur apne pati ko haami me sar hilakar ishara kar diya.

Anvi vaastav me ek great scientist thi; uski logical soch ne use turant shaant kar diya tha..; Aisi situations me aam maayein ghabra jaati hai ya fir hyper ho jaaya karti hai.

"Hmm, yah sab bachchon par depend karta hai. Yadi humare donon bachche, future me apni relationship ko badhakar husband-wife banna chahenge to isse mujhe aur Anvi ko koi problem nahi hogi"
Manas ne apni baat spasht roop se saamne rakh di.

Halaanki, yeh ๐Ÿ‘† kehne ke baad bhi, Manas ko thoda ajeeb lag raha tha kyonki Rajyavardhan ki beti abhi kewal middle school me thi. Bhale hi ve log sach me Manav ko pasand karte hon, lekin unhen itni jaldbaazi me rishta pakka karne ki koi jarurat nahi thi.

"Matlab sab kuch set hai," ๐Ÿ˜Š
Avantika muskurayi aur apna cold drink ka glass uthaaya,
"Cheers!" ๐Ÿฅ‚

Saanvi, jo abhi bhi khadi hui thi, ne mehsoos kiya ki uski raay ko, uske maata-pita ne poori tarah se nazar-andaaz kar diya.. jaise ki uski raay.. koi maayne hi nahi rakhti ho.

Halaanki, woh dadi ke saamne gusse me kuch bhi kehna ya karna nahi chahti thi. Parantu, uska gussa use ander hi ander khaaye jaa raha tha.

Udhar, Saanvi ko dekhte hue Dadi ne bahut jyada khush hote hue kaha,

Dadi : "Sani~ meri nanhi gudiya ๐Ÿฅฐ Dadi apko bahut pyaar karti hai" ๐Ÿ˜„

Saanvi ko laga ki.. uske saath bahut galat hua hai, lekin.. sabke saamne woh ek aansoo bhi nahi baha sakti thi.
Uske bolne ke adhikaar ko uske maata-pita ne poori tarah se chheen liya tha. Unhone use apni baat kehne ka mauka diye bina use ek tarah se "bech" diya tha.

Saanvi (man me) : โ€œYe bahut galat ho raha hai! Bahut galat!! Mujhe apne liye ladna hoga! Apni baat kehni hogi! " ๐Ÿ˜ฌ

Halaanki.. , jaise hi usne Rajyavardhan ki baaj ๐Ÿฆ… jaisi najron ko apne upar ghoorta hua paaya, to uska ladne, bolne ka junoon turant thanda pad gaya.

Akhir.. uske dad hi uski family me final decision lete hai aur upar se ve Dragon King bhi hai.
Saanvi ki family ke mukaable Manav ki family, behad democratic thi, aur isiliye woh apne phaisle khud le sakta tha.

To doosri or, Saanvi ek vishaal saamrajya ki princess hone ke baavjood, khud ke man mutabik jyada kuch nahi kar sakti thi.

Khair..

Anvi ne bhi apna glass uthaaya aur Avantika se kaha,

Anvi : "Cheers ! " ๐Ÿฅ‚

Anvi ka sochna tha ki uska bhola bhala masoom beta kabhi bhi girlfriend nahi bana payega. Lekin ab, bina kuch kiye.. uske liye ek rishta aa gaya tha.

Iske alawa, pata nahi kya karaan hai ki, Anvi ko Saanvi bahut achchi lagti hai.
~ Shaayad.. aisa isliye kyonki Anvi humesha se hi "girl child" ko pasand karti rahi hai.. lekin.. weh "girl baby" ko janam na de saki..,
~ Ya fir shaayad.. Avantika ki straight forward aur garm joshi wali personality ne uske dimaag par achcha impression daala tha.
~ Ya shaayad.. Saanvi ka naam uske naam se juda hua tha.. (Saanvi , Anvi) aur Saanvi me use apna bachpan dikhai deta tha.

Kuch bhi ho, jab tak dadi is rishte se khush thi, Saanvi ki kam umr, "rishta pakka" karne ke liye koi problem nahi thi kyonki ve uske bade hone ka wait kar sakte the.
Aakhir.. Saanvi ka pariwaar bhi to, vaastav me, ek achchha aur sabhya pariwaar lag raha tha.

Baharhaal, rista pakka hone ke baad Avantika ne dadi ki family ko shagun ke taur par kuch gifts diye.

Gifts dekh achanak, Manas ko apni jeb me rakha hua ek fancy lifafa yaad aa gaya, isliye fauran usne use nikaala aur Saanvi ke haath me rakh diya,

Manas : "Apni is first meeting me Uncle apke liye gifts laana bhool gaye.. Isiliye, bete aap is envelope ko as a 'small gift' rakh lo. "

Bhale hi usne ise mahaj ek small gift kaha, lekin Avantika ke pariwaar dwara ki gayi apni maa ki achchhi dekhbhaal ke liye, dhanyavaad ke roop me, vaastav me, lifafe ke andar โ‚น 1, 00,000 rupee the. **(update 53)**

" Dadi " naam ke is special bond ke chalte dono pariwaar swabhaavik roop se ek dusre ke kareeb aa gaye the.

Parantu, gusse me Saanvi apni hi soch me doobi hui thi,

Saanvi (man me) : "No way... mai usse shadi nahi kar sakti..." ๐Ÿ˜ฌ

Baharhaal, aaj ka Lunch donon families ko aur kareeb le laya;
Jahan, aaj ke lunch ke jariye Manav ki family apna aabhaar jatana chaahti thi; jabki Saanvi ki family, Shisht family se shadi ka commitment chaahti thi.

Halaanki Manas aur Anvi ne maukhik roop se is rishte ke liye haan kar di thi, lekin unhone ise jyada seriously se nahi liya.

Un donon ke liye, yah ek silly joke ki tarah tha jo sach ho bhi sakta tha or nahi bhi. Yani, achcha hoga agar Saanvi unki bahu bane.. lekin agar future me Saanvi kisi or se shadi karti hai.. to bhi unhe koi masla nahi.

Lunch ke baad Manas ne bill pay kiya, aur phir donon pariwaar hallways se hote hue lobby me pahuch gaye.

Rajyavardhan Manav ke paas aaya aur uske kaan ๐Ÿ‘‚ me fusfusaya,

Rajyavardhan : "Kal subah aap 7 baje aa jaayiye. Hum aapko Dragon Palace le chalenge, " :listen:

Update to yahin tak lekin aapke liye aur kuch bhi hai ๐Ÿ˜

Quiz 2 ka result ! !

Quiz 2 me Quiz 1 se jyada maja aaya. . scores ki range bhi kaafi wide rahi 20% , 60% to kabhi 80% aur 100%.. kabhi 40% to kabhi 50%!!

Waise.. ye % to bas ek process, symbolism aur bahana hai. Quiz ka asli maksad to fun.. aur story se connect hona hai. :D

Quiz 2 ke liye aap sabhi ko bahut bahut badhai :happyjump: ๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’ ๐ŸŽ‰๐ŸŽŠ

Quiz 2 ke topics jaise west ocean, Indrasen, bracelets necklace, etc ka reference recent updates me bhi aa chuka hai aur beshak, aage bhi ayega!

Is baar sabse pehle high score karne wale reader hai:-

Congratulations brother ! ! :congrats: :congrats: :laughclap: :applause:

Iske alawa Annexures bhi update ho chuke hai aur other information bhi add kar di gayi hai
(ye sabhi cheejen time to time update hoti rahegi) :-

Annexures :

Other informations :

Ye sab kuch aapko jald hi sticky thread me sabse upar mil jayega.
Enjoy! ๐Ÿ˜‰

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,
๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

To be continued.....
Awesome update.. ๐Ÿ’ฅ๐Ÿ’ฅ
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser
Status
Not open for further replies.
Top