• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.
145
245
43
Andi mandi shandi jo bar bar shedule tode uski g mein "ab khud samjhdar ho"


Iss pehle tumhara shedule 2 bar tutta hai agar aah 3rd time tutta to dekhiyo sharap de diya hai upar😶😶😶
 
  • Haha
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Mohoday kya aapke update dene ke irade ha ya koi samsya apko wiwas kar tahi h update nahi dene per ager asa ho to batye shreemaan....🤭
Ati uttam star ki hindi ka prayog :bow:
Agla bhaag taiyar h bas trutiya sudhar kar apke saamne prastut karna h maanniye mahodaya 😄
 

Yasasvi1

❣bhootni💞
1,015
2,730
144
Ati uttam star ki hindi ka prayog :bow:
Agla bhaag taiyar h bas trutiya sudhar kar apke saamne prastut karna h maanniye mahodaya 😄
Apki is gustakhi ke liya kya saja muhaiya karwayi jaye batiye
....aap khate ha saptahik tor pe 2 bhaag diye jayange per...aap pta nahi hame asa lag raha ha ki kitne hi...dino baad aap apna bhaag de rahe h 🤧
 
  • Wow
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Mere Doston.. update padhne se pehle twins ladkiyon ke ache ache naam suggest karo! :wave:





•°UPDATE 72•°


Recap -



Manas aur Anvi ko apni taraf aate dekhkar, daadi ke chehre par jara bhi khushi nahi dikhi; Iske bajaay, unka chehra gusse se tamtama gaya.



Pharsh ki taraf ishara karte hue Dadi ne Manas se gusse me kaha,


Daadi : "Apna ! haaath aage karoO !! "

Dadi itne gusse me thi ki ye kehte hue unka ka poora shareer hil gaya tha.






AB AAGE :-




badi jaldi hai update padhne ki :sigh: Naam suggest karo pehle 😏






:what3: :what3: :what3:

Dadi ko itne gusse me dekhkar, Avantika sahit uska poora pariwar bhi hairaan reh gaya.




Manas : "Maa.., maa please aap shaant ho jayiye,"

Hadbadi me, Manas 2 kadam aage badha aur dadi ko samjhane ki koshish karne laga,

Manas : "Wo.. Mantri ji ke sath kuch research projects discuss karne the.. isiliye mai thoda late ho gaya.."



Dadi : "Research..! Research! ! Research ! ! ! Sirff research hi tumhari priority hai. . hai na... ? ye boodhi aurat to tumhare liye kuch ahmiyat nahi rakhti.... " 🙁


Kehte hue dadi ka chehra utar gaya tha.




Yeh dekhkar ki dadi ki tone thodi naram ho gayi hai, Manas 2 kadam aur aage badha aur apni maa ko car tak le jaane me unki help karne ki mansa se bola..,


Manas : "Aisi baat nahi hai maa.. aaiye mai aapk.... ."



"APNAA HAATH AAGE KAROO!!!"

Achanak dadi ki awaaj tez ho gayi.




Netaon, buddhijeeviyon se sammaanit Manas Shisht.. , apni maa ki daant se kaamp gaya aur.. Ek baari Avantika ke pariwaar ko sharmindagi bhari nazar se dekha. 😕



Haalaat bigadte dekh Avantika dadi ke paas aayi aur unko shaant karne ki koshish karne lagi,



Avantika : "Auntie.. aap sha.. "




Lekin Dadi ne haath uthaya 🤚 aur Avantika ko rok diya,


Dadi : "Bete.. aap beech me na pado. Aaj ise (Manas) apni galti ka ehsaas hona hi chahiye! "




Maa aur bete ke beech ki awkward condition ko dekhkar, Anvi ne aakhirkaar.. apni chuppi todi aur thoda aage aate hue kaha,


Anvi : "Mom.., please shaant ho jayiye. Apka high blood pressure.… ”


Lekin dadi ne use bhi beech me hi rok diya,


Dadi (Anvi se) : " Aur, tum ! ! " 👉

Aamtaur par milansaar rehne wali dadi aaj baukhlayi hui thi,

Dadi : "Kya tumne Manu ko janm dene ke baad se kabhi uski dekhbhaal ki ? ? Nahi!!
Maine akele hi uska dhyaan rakha !!
Kya tumne kabhi apne ghar ke prati daayitvon ke baare me kabhi chinta kii ?? Nahii!!
Maine sabhi cheejon khyaal khud rakha!
Kaam ! Kaam! Kaam !! Kya tumhari life me bas "Kaam" hi sab kuch hai!!! " :mad1:


Apni saas se daant kha kar, sundar aur shaleen Anvi thoda peechhe hat gayi aur fir chup rahi.



Dadi : "MujhEE..! APNA HAATH DOO ! !" d


Dadi teesri baar Manas par chillayin.



Apni bujurg maa ko gusse me kaanpte dekh, Manas ko dar tha ki kahin high blood pressure ke kaaran maa ko ek aur daura naa pad jaye.. aur isliye, uske paas embarrassment me apna sar neeche karne aur apni hatheli ko aage badhane ke alawa koi chara nahi tha.



Dadi ne chaaron or dekha aur.. unhe wahin table par rakha hua Avantika ka ruler 📏dikh gaya. Dadi ne use turant utha liya.



Ye ruler sheesham ki maheen & majboot lakdi se bana tha, joki chikna aur sakht tha.



Dadi : "Jaisi ki purani kahawat hai, insaan me achchayi aaye na aaye, burayiya khud ba khud aa jati hai! Tumhari sabhi foreign trips se aisa lagta hai ki tum apne saare sanskaar.. apna saara anushashan bhool gaye..! !"


Kehte hue dadi ne apne ek haath me Manas ka haath pakda aur sakht ruler uski hatheli par jor se de mara.



Tez dard ko mehsoos karte hue, Manas ke man me apna haath peeche karne ki ichchha hui.. lekin usne, apni maa ke gusse se dar se aisa karne ki himmat nahi ki.


Ruler hatheli par se uth-te hi hatheli par turant maar ka laal nishaan dikhayi dene laga.



Dadi : “Jab me is high blood pressure ke kaaran behosh ho gayi thi, tab tum kahan the?? Jab mai hospital se discharge hui tab tum kahan the!?? kahan the tummm jab mujhe hospital se wapas ghar jaana tha!!? ??
Agar Avantika ka parivaar nahi hota, to.. mai.. mai to mar chuki hoti! " :mad:



S N A P !

Manas ki hatheli par ek aur jordaar mara dadi ne.




Anvi ko apne pati ki haalat par taras aa raha tha lekin woh.. dadi ko rokne se dar rahi thi. Usne dheemi awaaz me kaha,


Anvi : "mom...., aisa mat kahiye please..." :?:



Dadi : "Mera kaha ek ek shabd sach hai! Avantika ki family ne meri jaan bachayi! aur.. unhone hi meri dekhbhaal ki..
Tab tum kahan thi!??? Manas mera beta hai, aur tum, meri bahu ho! lekin, jab mai khatre me thi tab tum donon kahaan the!! ?? Oopar se tum donon meri jaan bachane walon ke saath aisa vyavhaar karte hoo!!??? mai bhale hi anpadh hoon, lekin mai morality ko jaanti hoon! Bhale logon ka ehsaan maanna, mai jaanti hoon!!"



S N A P !

Teesri kadi chot Manas ki hatheli par padi.



Manas ki poori hatheli laal ho gayi thi aur.. abhi, yeh.. world famous scientist apna sharm se laal aur paseene se tar chehra neeche kiye hue apni maa ke saamne chupchaap khada hua tha.



Dadi : “Jab time 11 baje ka decide hua tha, to tumhe to 11 baje se pehle hi aa jaana chahiye tha. Tumhe der ho gayi to kya?? Tumhe dusron ke time ki bilkul bhi kadr nahi hai! !! Avantika ki family ne meri jaan bachayi hai, aur tumne unhen bewajah itna intjaar karwaya! Kya tum unke jara bhi ehsaan-mand nahi ho..!!? ? Itne nirlajj kabse ho jaye tum Manas! ! "




Snap ! Snap ! Snap ! Snap !


Jab bhi dadi kuch kehne apna munh kholti, ruler tezi se baar-baar Manas ki hatheli par aa girta.



Dadi : " Tum ehsaan-faramosh, kapti aur.. besharam ho gaye ho! Nahi chahiye mujhe tumhare jaisa beta!! " :angry:


Manas ki hatheli par padhti har ek maar se dadi gussa badhta jaa raha tha. Ve ab haafne lagi thi, lekin Manas ki pitayi.. wo to aur bhi tej ho gayi thi.


Manas, apni maa ke saamne sar jhukhye chupchaap dard bhari maar jhel raha tha. Usne is poore samay ke dauraan apna sar neeche rakha.


Jab weh yuva ladka tha to, jab kabhi bhi woh koi gadbad karta ya apni padhayi me aalas karta, to dadi use isi tarah punishment deti thi.
Pichhle kareeb 20 saalon me, jab se weh bada hua aur apna naam kamaya, use apni maa se iss tarah ki saja nahi mili thi.



Aaj baahri logon ke saamne usne phir se apni maa ke gusse ka anubhav kiya..
Manas na kewal aasehniye dard ko mehsoos kar raha tha balki, iske saath sharm, glaani aur Saanvi ke pariwar ke prati kuch aabhaar bhi mehsoos kar raha tha.



Dadi : "Maine tumhen kya nahi sikhaya..! vinamrata, honesty, dusro ki respect karna, naitikta.., vishwas! kya tum sab bhool gaye! ? ? " 😡



Snap ! Snap ! Snap ! Snap !


Manas ki hatheli par ruler ki ek ke baad ek maar padti gayi. Dard se usne ne apne daant pees liye, aur apna haath wapas peeche kiye bina chupchaap apni maa ke gusse ko jhelta raha..,
Uske haathon.. jinki Science field ke log bahut kadr aur respect karte the, kyuki Manas itna skillful tha ki sirf microscope aur tweezers ki madad se cell membranes ko asaani se split kar deta tha.

Abhi.. wahi skillful haath asehniye dard me tha.




Dadi : "Aisa bilkul bhi mat sochna ki kuch awards jeet kar ya goverment ka support hai isliye tum baaki sabhi aam logon se upar ho gaye hoo! Sabse upar tumhare usool aur sanskaar hone chahiye.....! Apne pariwar ki madad kar rahe logon ko tum aise treat karoge....!!? ? Kaise tum apne aap ko ek sabhya insaan bata sakte ho...."



Ab dadi ki saans phoolne lagi.., dadi ab aur khadi nahi reh sakti thi, aur.. isliye unhen apne peechhe rakhe sofa par baithna pada.



Manas fauran aage badha aur apni maa ka haath pakadte hue unke paas neeche baith gaya,


Manas : "Haan maa..., mujhse galati ho gayi.." 🙁



Anvi bhi kuch kadam aage badhi aur apna sar jhukate hue boli,


Anvi : "Meri bhi galati thi.. mom.. " 😔




"Apni galatiyon ka pashchataap karne me koi kabhi late nahi hota! Achchi baat hai ki tum donon ko apni galti samajh aa gayi..! Jab bhi kabhi foreign jao to apni sanskriti, apne riwaz kabhi mat bhoolna!! "

Dadi ne fir se tez awaaj me kaha.



Ab aakhirkaar.., Avantika ko dadi maa ko khush karne ka mauka mil gaya tha,


Avantika : “Auntie~, aap please shaant ho jayiye. . aap abhi abhi recover hui hai.. please apni health ka dhyaan rakhiye,"



Saanvi bhi Dadi ke paas aa gayi aur unko shaant karne ki koshish me kaha ,


Saanvi : "Hmm dadi~ please gussa mat kariye.. " 😺



Manav bhi dadi ke paas aaya aur dheere dheere unki peeth thapthapane laga, jisse dadi ko apni saans sambhalne me madad mili.



Abhi..,


Manas aur Anvi chupchaap dadi ke paas khade the. Kuch din pehle, ve donon auditorium me lectures dene wale confident aur professional scientists the, lekin ab..,

🥺 🥺

unki aankhon me aansu the, jaise ki bachche galti karne par apni maa se daant khane ke baad react kar rahe hon.



Dadi se sar uthaya aur fir un donon se kaha,


Dadi : "Vinamrata aur sadachaar! ye humare pariwar ke adarsh hai! bhale hi tum donon apna bright career bana rahe ho, lekin koi fayda nahi! agar tum apne insaan hone ke sabse buniyadi aadarsho ko hi bhool jao! !! "



Manas : "Maa, hume aisa nahi karna chahiye tha..,"


Anvi : "haan.. mom.. "



Lekin dadi ne unhe bura muh banate hue dekha,


Dadi : "to theek hai. ab jao mere bags le aao! " 😤




Hadbadi me, Manas aur Anvi ne daadi maa ke bags uthaye aur bags ko apni car me rakhna shuru kar diya.


Manav ne apne dad ke tamatar ki tarah laal ho rahi hatheli ko dekha jo lagataar kaampkapa rahi thi. Manav bhi jaanta tha ki is baar dadi bahut serious aur gusse me thi.



Khair.. kayi gehri saanse lene ke baad, dadi apne milansaar swabhaav me wapas lauti. Dadi ne Avantika aur Rajyavardhan se kaha,



Dadi : "Aaj jo hua.. uske liye mai aapse kshama (maafi) maangti hoon,"


"Koi baat nahi.. " ☺
Rajyavardhan ne muskurate hue kaha.



Apne bete ko sabke saamne daantne - peetne ke baad, Manav ki dadi ne apni jaan bachane walon se maafi maangi, is ummeed me ki late aane ke liye ve Manav ke parents ke prati apne man me koi bura bhaav nahi rakhenge.



Bags car me rakh Manas wapas andar aaya,


Manas : "maa, bags car me rakh diye hai. Kya.. ab hum lunch ke liye chale..?” :?:



Uske expression normal ho gaye the aur filhal woh kuch minute pehle ki tarah embarrass nahi lag raha tha.


"Ahm-hmm,"
Keh dadi uth khadi hui aur darwaje ki or badh gayi.



Avantika ke ghar me kayi dinon tak rest karne ke baad, dadi pehle se kahin jyada healthy aur majboot ho gayi thi. Aur.. unka rang aur chehre ka tez bhi kisi jawan lady ki tarah lag raha tha.



Ve bujurg thi, lekin ab unke shareer par pehle ki tulna me kam jhurriya thi. Haalanki dadi jaanti thi ki Avantika ne apne herb soup me kayi durlabh jadi bootiya daali hongi.. jisse unki sehat me itna sudhaar jo ho paaya tha.



Saath hi, dadi ne is par bhi gaur kiya ki Avantika Manav ko kitna pasand karti hai.


Saanvi aur Manav ko ek saath dekhkar, dadi ne dhyaan diya ki unke pote ka shaant swabhaav , Saanvi ki cutenesss se kaafi match ho raha tha.



Ab jab dadi ne sabhi ko bata diya tha ki Avantika ki family ne unki jaan bachayi thi aur.. uske alawa Manav ki family ke "Big Boss" ke roop me unhone apna adhikaar bhi dikha diya tha...
Matlab aage ab Manav - Saanvi se judi saari baatein bade smoothly hone wala thi.



Waise dadi ke man me jhaanka jaaye to dadi apne pote ki bahu ke liye aur kuch saal tak wait karne ke liye taiyaar thi, jab tak ki Saanvi aur Manav ke man me ek doosre ke liye feelings naa aa jaye. ..
Dadi ko Saanvi ki umr se bhi koi fark nahi padta tha, kyuki unhone apne bachpan me, 12-13 saal ki ladkiyon ki shadi hote hue bhi dekha tha.




Idhar dadi ke "mansubon" se bekhabar Manav, apni dadi ka haath pakadte hue baahar laaya aur unhen araam se apne pita ki Ford me baitha diya.



Rajyavardhan ne apni black Chevrolet garage se nikaali, aur fir donon cars ek ke baad ek Starlight Restaurant ke liye ravana ho gayi.




Rajyavardhan ke bagal wali seat par baithi Avantika poochti hai,


Avantika : "Aaj.., kya hum bas lunch karenge.. ya phir.. , Manu ke parents se shadi ki baat bhi karenge..?



Rajyavardhan : "Auntie ne hume kuch der pehle hi dikha diya tha ki Shisht Family me final decision wahi karti hai. Ab chunki Auntie apne favour me hai, to hum Shadi ki baat unke saamne rakh sakte hai. "



Pichhli seat par baithi Saanvi, apne parents ki baatcheet sun rahi thi. Kuch kehne ke liye uske honth khule.. lekin usne apne parents ko beech me nahi toka.



"But.. mai uss "stupid uncle" se shadi nahi karna chaahti."
Car ki khidki se baadalo ko dekhte hue.. Saanvi soch rahi thi.






Bas itna hi!

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄


To be continued.....
 
Status
Not open for further replies.
Top