• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Yasasvi1

❣bhootni💞
1,015
2,730
144
Kya calculation lagayi h apne :what3: :bow:
Abhi tak delay nhi hue h Yasasvi1 ji agar month wise dekhe to.. aur aage bhi nhi honge :good:

Me koshish karunga ki jitne extra updates post kar saku utne karu..
3 updates har week de pana abhi to meri capacity se baahar h :sad:
Really sorry :verysad: and story ko itna pasand karne ke liye aapka bahut bahut dhanyavaad 😊😇🙏
Are majakaham aasti....😇 don't take it sirious me ase mahakh karti rahti hu
 
  • Haha
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 71•°

Recap -

Manav : ".. Dadi kahan hai.. ? "

Rajyavardhan : "Hehe, ve Avantika ke saath kitchen me hai aur dinner ready kar rahi hai." 😄

Weh hansa. Phir, woh serious chehre ke saath Indrasen ki or muda aur kaha,

Rajyavardhan : "Aap, mere saath study room me chalo. "

Neeche dekhte hue Indrasen ka chehra laal ho chuka tha.

Khair.. weh Rajyavardhan ke peeche peeche study room me chala gaya..,

Rajyavardhan, jo Indrasen se lamba aur sharirik roop se jyada tagda tha.

AB AAGE :-

Manav kitchen ki taraf badh gaya aur kitchen me aakar, khana banane busy Auntie aur dadi ko abhivaadan kiya.
Saanvi ne bhi Manav ki nakal karte hue apni maa aur dadi ko abhivaadan kiya.

Chunki dinner banna abhi start hi hua tha, Avantika ne Manav aur Saanvi ko, dinner ready hone tak, oopar jaakar games khelne ke liye kaha.
Is tarah, ve donon oopar gaye aur Saanvi ke bedroom me aa gaye.

Ab Saanvi ko, Manav ka uske room me ghusna.. bura nahi lagta tha. Lekin bedroom me abhi bhi Saanvi ka hi raaj chalta tha, aur jab tak Manav yahan tha to use Saanvi ke bataye rules ka paalan to karna hi tha.

Room ke andar aate hi Saanvi ne turant bata diya ki kon kya karega,

Saanvi : "Mai games khelugi, aur tumhe jo novel achi lage wo padhlo,"

Bookshelf se, Manav ne wo novel uthaya jise weh pichli baar aadha padh chuka tha. **(update 15)**

Novel uthakar usne jaanboojh kar causally Saanvi se poochha,

Manav : "Tumhara birthday kab hai?" :readnews:

Saanvi : "Next month. "

Bolte hue Saanvi ne computer on kar diya aur fir bed ke paas aakar wahan rakhi apni pink slippers pehen li.

Manav : "Abhi tumhare chacha West Ocean ka kuch bol rahe the.. kya hai ye West Ocean? " :think:

Manav mysterious Dragon Tribe ke baare me bahut kam jaanta tha. Kabhi-kabhi to use lagta ki ye.. so called dragons, aam logon ki tarah hi hai.
To wahin.. kabhi-kabhi in logon ke har movements aur.. har shabd kisi rahasya ki tarah hote the. :confuse:

Saanvi : “West Ocean, humari East Ocean ki tarah ek Dragon Clan (vansh) hai, lekin unke control areas dusri jagahon par hai. Unka mortal world ka business bakwas hai aur wo log bahut stupid aur ghamandi hai ugh" :feelsbadman:

Mortal World - yaani nashwar sansaar.. ye normal world, jo hum mortals abhi dekh paa rahe hai. Jitni duniya ka hume pata hai.
Mortal world business - dragons ka mortals ki duniya me business. Jaise East Ocean ka "Shaurya Group".

Saanvi ke bolne ke lehje se saaf pata chal raha tha ki uski najaron me West Ocean Dragon Clan kitni buri hai.

"West Ocean... phir to North aur South Ocean Dragon Clans bhi hongi..?" 🤔
Manav ne anumaan lagaaya.

Computer par Game open karte hue Saanvi ne bataya,

Saanvi : “Yeah, lekin humara unse jyada contact nahi hai; hum bas Annual Conference me hi mil paate hai,"

Manav : "Annual Conference..?? " :what3:

Saanvi : "Hmm~, ye River, Stream, Lake aur Ocean Dragon Clans ki regular meeting hai. . Annual Conference ke alawa, biannual (Dwivarshik) Dragon Tribe Meetings bhi hoti hain. Ye to jitna tum imagine kar sakte ho usse bhi kahin jyada complicated hai. .
Anyways, isme mera kuch role nahi hai.. dad hi sab kuch handle karte hai."

Screen par game start ho chuka tha. Saanvi ne apni kursi aage khiskayi aur mouse ko pakad liya. Ab weh Manav ke saath baat karne ya uske sawaalon ke jawab dene ke mood me nahi thi.

To dusri or, Manav bhi aur sawaal nahi puchhna chahta tha. Wo jaanta tha ki dheere-dheere use sab pata chal hi jayega.
Aur waise bhi.. jaisa ki Saanvi ki kaha..., ye cheezen uski kalpnao se kahin jyada complicated thi.

Saanvi ke chhote sahi lekin kaam ke jawabo se, Manav samajh chuka tha ki Rajyavardhan Uncle East Ocean Dragon Clan ko chala raha the aur is tarah, clan ke head hone ke naate unke paas bahut se contacts aur resources the.
Koi aashcharya nahi ki woh din bhar behad busy rehte the. Aur.. iske alawa, unke sabse chhote bhai Indrasen, saadhna ke levels me unse bahut aage nikal gaye the.

Dusri aur.. Rajyavardhan ki patni ke roop me, Avantika bhi ek busy woman thi. Is parivaar me kewal.. sabki ladli aur chahiti Saanvi hi aisi thi, jo ekdum tention free aur happy life ji rahi thi.
Halaanki, bade hone par use bhi apne hisse ke burdens aur responsibilities ko nibhana hoga..

Kursi par baitha Manav ye sab 👆 sochte hue Saanvi ko dekh raha tha, joki game khelne me poori tarah se talleen thi.

Khair kuch der sochne ke baad, usne time pass karne ke liye dubara se novel padhna start kar diya.

Samay yuhin beet-ta gaya aur.. jald hi dinner bhi ready ho chuka tha.

“Sani !! Manu ! ! Dinner ready hai, aa jao!
Neeche, Avantika ne unhen seedhiyon ke paas se awaaj lagayi.

"Aate hai !!!"

Saanvi aur Manav ne ek saath jawaab diya aur phir ve ek saath hi room se baahar nikle.

Neeche aakar jab Saanvi ko Indrasen kahin nahi dikha to usne poocha,

Saanvi : "Chachu, kahan hai..? "

"Unhe kuch kaam poore karne the to.. unhe wapas jaana pada..," :sigh2:
Avantika ne apne chehre par bebasi ke bhaav laate hue kaha.

" Ohh.. pakka unhone dad ke saath bahas ki hogi,"
Dinning table par baithte hue Saanvi ne sachchayi ujagar kar di thi. Usne aage kaha,

"Well.. mai baad me unse mil loongi. ”

Avantika ne apna apron utaarte aur kaha ,

Avantika : "Aapke chhote chachu bahut short tempered (gussail) aur ziddi hain. Unhe cheejon ko samajhne ke liye bas thoda time chaahiye..,"

Phir, weh Manav aur uski daadi ki or mudi aur boli,

Avantika : "Auntie, Manu, chaliye dinner karte hai."

Dadi : "Hmm..."

Dadi baith gayi aur aage kaha,

Dadi : "Mai yahan kitne lambe samay se rahi hun, aur aapko kitna pareshaan kiya.. iske liye mujhe khed hai,"

"Koi pareshani nahi hui hai Aunty~ , even aapne to meri bahut help ki hai," 😄
Avantika ne garmjoshi se kaha.

Avantika ki baat par daadi muskurayi aur Manav ki or mudkar boli,

Dadi : "Manu, maine tumhare dad ke saath baat ki aur.. humne ye decide kiya hai ki kal, donon families saath me lunch karengi.. jisse, hum sab ek-dusare ko aur ache se jaan payenge."

Manav : "Oh.. kal ..."

Manav ne haami me sar hilaya. Use pata tha ki ye din.. aakhir kabhi na kabhi to aana hi tha.

Dadi ne udas hote hue aage kaha,

Dadi : "To.. , ye dinner.. nanhi Sani ke ghar me mera aakhiri bhojan hai," :sigh2:

Saanvi ke ghar rukne ke dauran, Dadi aur Avantika ke beech gehri dosti ho gayi thi. Itna hi nahi, Dadi Saanvi ko bhi bahut pasand karne lagi thi. Halaanki Rajyavardhan ne dadi se shayad hi kabhi baat ki thi, lekin usne dadi ke prati poori imaandari se sammaan dikhaya tha.

Yahi sab kaaran the ki dadi maa, Avantika ke ghar se jaane me udaasi mehsoos kar rahi thi. Aakhir.. humesha apne kaam me busy rehne wale dadi ke bete aur bahu ne unhe kabhi bhi itni garmjoshi , itna apnapan nahi diya tha.

Dadi ki baat par Avantika ne turant kaha,

Avantika : "Auntie~, aisa mat kahiye na.. please. . Aap jab chahe tab aa sakti hain. Agar.. aap chaahe to aap humesha ke liye yahin rah sakti hain! hume bahut khushi hogi," 😊

Dadi : "Hehe, ye to impossible hai beta ji. Mai ab aapko aur pareshaan nahi kar sakti. Chaliye ... ab khana kha lete hain," 😄

Apni Daadi ke chehre par dukh aur udasi dekhkar, Manav ke man me aaya ki kyu na daadi yahin par rahe. .

Halaanki, jaisa ki dadi ma ne kaha.., ve ab Avantika ke pariwar ko aur pareshan nahi kar sakti thi.
Iske alawa, Manav ke maata-pita bhi videsh se laut chuke the, to Manav ki dadi ke liye kisi aur ke ghar me rehne ka koi kaaran hi nahi banta tha.

"Manu, aaj raat aap yahin ruk sakte hai. Hostel jaane ki jarurat nahi hai. "
Achanak Rajyavardhan ne kaha.

"Ok" Manav ne turant kaha. Weh bhi apni dadi ke saath jyada se jyada samay bitana chaahta tha.

Baahar boonda - baandi ho rahi thi, aur andar.. dining room ka mahaul thoda udaas tha.

Ye dusri baar tha jab Manav Saanvi ke ghar me raat rukne wala tha. Weh apni dadi ke room me pharsh par bichhaye gadde par lait gaya, aur.. dadi - pote ne raat bhar khoob baatein kari..

Dadi Saanvi ke parivar ki khoob tareef kar rahi thi.
Ab Manav ko achi tarah pata chal gaya tha ki dadi ne inn kuch dinon me Saanvi ke pariwar ke saath ek gehra rishta bana liya tha. .

:sunshine: Agli subah,

Aaj shaniwar tha, aur mausam bhi khula hua tha. Avantika ne dadi ka samaan pack kar diya tha lekin, weh abhi bhi dadi ma ka man badalne ki apni poori koshish kar rahi thi.
Weh to yahi chaah rahi thi ki dadi ma yahi ruk jaye..

Halaanki dadi bhi is pariwar ke saath rehna chaahti thi, lekin apne bete aur bahu ke aa jaane ke baad, yahan rehne me wo ab uncomfortable mehsoos kar rahi thi.

Avantika ke pariwar ke prati apna aabhaar vyakt karne ke liye, Dadi ne apne bete ko Chennai ka sabse best restaurant, Starlight Restaurant me tables book karne ke liye kaha tha.

11 baje lunch ka samay nirdhaarit hua tha. Aur plan ke anusaar, Manav ke parents ko lunch ke liye restaurant jaane se pehle, Manav, dadi aur unka samaan lene ke liye Saanvi ke ghar samay se aana tha.

Halaanki, filhal 11 baj chuke the lekin Manav ke maata-pita abhi tak nahin aaye..

Daadi, jo subah se hi bechain thi, ab aur intzaar nahi kar saki.. aur unhone apne bete ko phone laga diya.
Phone receive karte hi, Manav ke pita ne unhen bataya ki unki meeting late tak chali isliye ve late ho gaye.. ve jald hi wahan pahunch jayenge.

Isliye.. Saanvi ke ghar me, sab log living room me baithkar Manav ke parents ka wait karne lage.

Wait karte karte adha ghanta beet gaya, lekin Manav ke maata- pita abhi tak nahi aaye.

Dadi, jo badi der se khud ko shaant dikhane ki koshish kar rahi thi, ab aakhirkaar uttejit ho gayi.

Dadi ko pareshan dekh kar Avantika unke paas aayi aur unhe dilaasa diya,

Avantika : “Take is easy Auntie~. Traffic ne unhe late kar diya hoga. " 😊

Manav bhi ab apna dharya kho raha tha. Saanvi ki family apne saare kaam chhod kar wait kar rahi thi lekin.. uske parents abhi tak nahi aaye the..

Isi tarah intzaar karte-karte aadha ghanta aur beet gaya.

Ab jaise hi dadi phir se phone karne ko hui, ek white ford ghar ke darwaaje par aakar ruki.

Chamchamate silver suit me Manav ke pita aur ek long black western dress me uski maa car se baahar nikle aur ek dusre ke haath me haath daale tezi se aage badhe.

Donon ek dusre se poori tarah match ho rahe the, chaahe baat unke look ki ho ya swabhaav ki..

Nissandeh, perfect couple kaise hote hai? Koi bhi Manav ke parents ko dekhte hi bata sakta tha.

Agar Aahna yaha hoti, to woh chaunk kar behosh ho gayi hoti kyonki yeh couple aur koi nahin balki Manas Shisht aur Anvi Kapoor the jinhone kuch din pehle Chennai University me science lectures diye the!

Manas aur Anvi ko apni taraf aate dekhkar, daadi ke chehre par jara bhi khushi nahi dikhi; Iske bajaay, unka chehra gusse se tamtama gaya.

Pharsh ki taraf ishara karte hue Dadi ne Manas se gusse me kaha,

Daadi : "Apna ! haaath aage karoO !! "

Dadi itne gusse me thi ki ye kehte hue unka ka poora shareer hil gaya tha.

Update par yahin viram lagate hai.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

To be continued.....
 
Amrit_#0

Active Member
1,747
3,797
143

Awesome update bro 💗💗
 
Status
Not open for further replies.
Top