• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Akky

New Member
30
61
33
Bhai detail me har ek shij likhne ki jarurat nhi hai bas content jayda ho
Ho ye rha hai content hai kam or har ek detail pe focus hai jayda
Itne details me padhne me maja kharab ho jata hai.
So please detail me likhna avoid kar do jo need hai whi likho.
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Mansion not sir aap titni pyari khani likhe or me apki tarif nahi kru to me aachi redar kesa banungi 😁or ye update lena or story padhna bhi to ek lalch h
Thank you so much 😄 :bow:
Aap already bahut aachi member & redar ho 😊
Ye to h kai baar lalch bhi aacha hota 🤣
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Yasasvi1

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Bhai detail me har ek shij likhne ki jarurat nhi hai bas content jayda ho
Ho ye rha hai content hai kam or har ek detail pe focus hai jayda
Itne details me padhne me maja kharab ho jata hai.
So please detail me likhna avoid kar do jo need hai whi likho.
Okay bro 👍
Iska mai dhyaan rakhunga ☺
 

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
✨🅼🅴🅶🅰
🆄🅿🅳🅰🆃🅴✨



•°UPDATE 67•°


Recap -



Manav : "Hum... internet cafe me raat bita sakte hai?" :hmm



"Kya wahan... safe rahega..??"
Aahna ne bhauhen chadhate hue hichkichahat se poocha.



Internet cafe ka maahaul aur air quality.. dono yakeenan bahut kharab the, aur waise bhi Aahna games nahi khelti thi to use, is tarah ki jagah par le jaana theek nahi hoga. .



Manav ne kuch der socha aur fir Aahna se poochta hai,


Manav : "ya fir ... campus ke baahar.. hotels me..?"





AB AAGE :-



"Ah..?" 😳
Aahna ne chaunk kar Manav ki or dekha. Fir usne jhijhakte hue poochha,

"Kya.. tum wahan pehle ruke ho?"



Manav : "Um ... not really. . lekin maine suna hai ki rooms ki cost jyada nahi hai. Lagbhag ₹ 1200 per night. Abhi humare paas apni students IDs hai... to shaayad isse hume room mil jaye..."

Manav ne dheemi awaaj me kaha kyunki wo nahi chahta tha ki Aahna ye soche ki woh kitna "experienced" hai.



Aahna ne thoda sochne ke baad same question poochha,


Aahna : "Kya.. waha rukna safe hoga..? "



Manav : "Well... safe to hona chaahiye," :hmm:

Manav khud apne uttar ke baare me nishchit nahi tha.



University ke paas ki hotels me tarah-tarah ke log rukte the aur Manav ne wahan hone wali kayi vaardaton ke baare me bhi sun rakha tha. To.. Aahna ko hotel me akela chhodkar, uska apne hostel me wapas lautna.. sahi decision nahi hota.



Manav ne do baar dikhawa karte hue khaansa aur fir dheere se poochha,

Manav : " Ahem.. Ahem! agar tumhe wahan akele rukne me problem hai to... mai tumhare saath ruk sakta hun ... ?"



Manav ka suggestion reject karne se pehle Aahna thodi jhijhaki,


Aahna : "Ye ... theek nahi rahega.."



Ab jab Manav ke koi bhi ideas kaam nahi aaye, to usne sujhaav diya,


Manav : "To.. fir apan Nimra ko call kar lete hai.. wo warden ko utha degi.." 🤔

[Nimra, Aahna ki roommate & classmate]



"Mai apna mobile nahi layii. . yahi to problem hai! ," :sigh2:
Aahna ne bebasi se kaha. Weh sirf guest lecturers ke liye hostel se baahar aayi thi, isliye usne apna mobile saath laane ki jehmat nahi uthayi.
Akhir kise pata tha ki aisa bhi kuch ho jayega?



Manav : "Mere paas uska number nahi hai.. aur na hi Adarsh aur baki logon ke paas hoga..,"



Chunki students apne courses aur schedules khud arrange kar sakte the, isliye classes kaafi loose thi. Iske alawa, Manav ki class ki gini chuni ladkiyan... humesha ek saath rehti thi. Iska matlab tha ki ladkiyon aur ladkon ke beech jyada baatcheet nahi hoti thi.



Thodi der aur warden office ki khidki knock karne ke baad, aakhirkaar Aahna ne haar maan li,


Aahna : "Subah hone me abhi bhi bahut time hai.. humen kahi rukne ki jagah dekhni chahiye..,"


Abhi kismat se Manav uske saath tha, isliye weh jyada pareshaan nahi thi.




Is samay, Manav ne achanak kuch socha aur kaha,


Manav : "Hum KTV (karaoke) ja sakte hai aur wahan raat bita sakte hai. Midnight se subah 6:00 baje tak ek room ki cost bhi bas ₹ 250 hogi!" :idea:



Aahna : "Haan! ye achcha hai!" 🙂

Aakhirkaar Aahna uske suggestion se sehmat ho gayi.




Raat thandi thi.., aur ve hostel me nahi ja sakte the. Aahna ke, karaoke jaane ke liye haan kar dene ke baad, donon bicycle se wapas Central Square aa gaye.




Raaste me,

Manav ne apne sabhi suggestions ke baare me socha jo usne abhi-abhi Aahna ko bataye the aur fir usne dhyaan diya ki woh uske saath hotel ke ek room me raat bitaane ko keh raha tha.



Manav (man) : “Damn it! Damn it! mai ye kya bol raha tha! ?" 🤦‍♂


Manav ne aisa suggestion dene ke liye khud ko kayi baar kosa.




To wahin doosri or, uske peechhe baithi Aahna ne itna nahi socha.
Weh to, Manav ke itne der raat tak uske saath rukne ke good intention se bahut prabhaavit hui.



Aahna jaanti thi ki ladke aamtaur par apne hostels me der se laut-te the aur wahan ke wardens ko ladkon ke 'closing time' ke baad wapas aane ki aadat thi. .
Isliye, weh sure thi ki agar Manav chaahta to wo.. abhi bhi apne hostel me wapas ja sakta tha ...


Aahna (man me) : "Yeh sab meri galti hai. Agar mai baat karne me itna busy nahi hoti aur time ka dhyaan rakhti, to Manav mere saath itni der raat bhatakne ke bajaay apne hostel wapas chala gaya hota."


Back seat par baithi Aahna apne hooth kaat-ti hui khud ko bura bhala keh rahi thi. :ohno:



Khair ve "Golden Ages Karaoke" gaye, jo Central Square par ek building ki second floor par sthit tha. Unhone raat ke liye ek chhota room maanga.


Room tak le jaane wala male waiter, un donon ko aise aadhi raat ko yahan dekh kar, sandeh bhari nigahon se ghoorta raha. 🤨




Room ke saamne aane ke baad waiter ne unhen yaad dilaya,

Waiter : "Room kewal singing ke liye hai, dusre "kaamon" ke liye nahi,"



Aahna : "Dusre kaamon..."

Isse pehle ki Aahna poochhti, weh achaanak waiter ki baat ka matlab samajh gayi. Embarrassment se uska chehra laal ho utha. :blush:



"Mera matlab hai.."
uska chehra dekhkar waiter ne joda,

"Aap yahan gaa sakti hai, lekin aap.. so nahi sakti. Jaise ki rules hai, aap donon me se kam se kam ek ko jaagte rehna hoga."




"Oh, ok.. ok," Aahna ne budbudaya.

Uska sharmana tab aur badh gaya jab usne dekha ki Manav use ajeeb tareeke se dekh raha hai. Weh fatafat room me chali gayi aur wahan rakhe ek couch par baith gayi.



Room me aane ke baad waiter ne Manav ko kuch aur baatein batayin, sabhi equipments chaalu kiye aur fir room se baahar chala gaya.



Couch par baithi Aahna ko bahut awkward lag raha tha. Weh room ke chaaron or dekhne lagi. Abhi bhi weh embarrass mehsoos kar rahi thi.




Manav : "Don't worry. Yahan.. thode strict rules hai," 😅

Manav ne randomly ek microphone uthaya aur use apne bagal me rakh diya aur aage kaha,
"Mai yahan Adarsh aur baaki doston ke saath pehle bhi aa chuka hu. Lekin hum logon ko.. yahan aane ki bajaay internet cafe jana jyada acha lagta hai. "



Aahna : "Mujhe pata hai. Mai Nimra aur kuch other girls ke saath yahan aa chuki hoon. Atleast ye jagah.. internet cafe and hotel, donon se jyada safe to hai," 🙂



Aahna ki laal hoti aankhon ko dekhkar Manav ko samajhne me der nahi lagi ki Aahna thak chuki hai,


Manav : "Tum so jao Class President. Mai jaagta rahunga."



Manav ki baat par Aahna hichkichaayi,
"Tumhe bhi to sona hoga..." :?:



"It's ok! mai to har kabhi doston ke saath jaagta rehta hun.., mujhe iski aadat hai!"

Manav ne use litane ke liye uske kandhon ko push karte hue aage kaha,
"Don't worry, mujhe neend nahi aayegi. Tumhe guard karne me mujhe koi problem nahi hai!” 🙂



Aahna ne apne hothon ko daba liya aur embarrassment me Manav ki or dekha.

Weh kuch kehna chahti thi lekin samajh nahi pa rahi thi ki kahan se start kare. .



Manav ne apni jacket utaar di aur Aahna ke oopar daal di,

Manav : "Sone ke baad tumhen thand lag sakti hai. Anyways, ab thodi der so jao. Tab tak mai music sun lunga aur.. kuch gaane gaa lunga, taaki mai jaagta rahu. "


Usne khade hokar kuch popular songs par click kiya. Phir, weh wapas Aahna ke paas baith gaya.



Couch par lete hue Aahna ne adh - khuli aankhon se use dekha aur ek aah bhari,

Aahna (man me) : "Manav... sach mein ek Shisht Manav hai.."



Familiar song ko sunte hi Manav ne microphone 🎤 uthaaya. Usne voiceover chalu kiya aur gaane ke saath randomly gungunane laga.
Class President ke saamne gaane me woh thoda hichkicha raha tha.



Idhar Aahna chupke se apni tirchi najron se use dekh rahi thi aur sone ka naatak kar rahi thi. 👀



Ek darjan se jyada gaano ke baad, apni familiar melodies ko sunte hue Aahna ki palken bhari ho gayi.
Use Manav ki gungunahat lori (lullaby) ki tarah lag rahi thi aur akhirakaar.... weh ghode beech kar so gayi. :sleep:


...
...
...


Jab uski ankhein dubara khuli to, usne Manav ko jhapki lete hue paaya. 😴



Weh uth baithi, jisse uske footwear ne sofe par chatakne ki awaaj ki. Awaaj sunte hi Manav turant jaag gaya aur uske haath se microphone chhutkar farsh par gir gaya.



Aahna ne apni aankhein mali, aur Manav ki aankhon ke chaaron or halke kaale ghere dekh, apradh - bodh se poochha,


Aahna : "Tum saari raat jaagte rahe...?" 😐




Manav : "Woh.. waiter raat bhar check karta raha.. To mai chaahkar bhi nahi so sakta tha,"

Usne apne haath stretch kiye aur hansa, "tum to theek se soyi na?" 😀



"Hmm... mujhe to kuch sapne bhi aaye"
Aahna ne Manav ko jacket lautate hue jabaab diya aur apne kapde check karne lagi.


Aisi baat nahi thi ki, use shak tha ki sote hue Manav ne uske saath chhedkhani ki hogi. Balki weh to Manav par khoob bharosa karti thi.


Isliye.. iske bajaay, kapde check karni wajah ye thi ki woh dari hui thi ki kahin uske kapde oopar - neeche naa khisak gaye ho aur uski body ke wo parts reveal na ho gaye ho jinhe reveal nahi hona chahiye tha.



Jab usne dekha ki uske kapde theek hai to weh shaant ho gayi.


Aahna : "Time kya hua. .? "



Manav : "6 bajne wale honge.. room ka time bhi khatam hone wala hai. "


"Um," Aahna ne haan me sar hilaaya,
"Kal ke liye thank you so much Manav.. " ☺



Manav : "Ah, it's nothing. Is tarah ki cheejen kabhi-kabhi ho jati hai" 🙂

Woh khada hua aur kaha,

"Chalo breakfast ke liye kahin chalte hai!"



Aahna ne asmanjas me uski or dekha,

Aahna : "Tum thodi der so to lete..?" 😳



Manav ne naa me sar hilaya, :noo:

Manav : "I'm fine ..."



Display par time dekhkar Aahna ne kaha,

Aahna : "Abhi 6 bhi nahi baje. Tumhe thodi der so jana chaahiye. Hostel jaane ka bhi koi matlab nahi hai kyunki abhi bhi gates band honge. . so jao Manav! yahan ka mai dekh loongi. "


Usne Manav ke thake hue chehre ko dekha aur achanak use ehsaas hua ki ye.. pehli baar tha jab weh kisi ladke ke saath raat bhar akele rahi. .



Manav : :noo: "No need, aadhe ghante me 6 baj jayenge,"

Manav aise nahi so sakta tha jisme ek ladki use guard kar rahi ho aur woh.. sota rahe.




Khair.. Aahna ne apne expression badle aur kaha,


Aahna : "hmm.. chalo to fir gaate hai! " 🤪




"Huh?" 👀 Manav thoda hairaan hua.



Aahna : "Humare paas abhi bhi aadha ghanta hai. Aur waise bhi hum ise waste kar rahe hain.. to kyu na singing hi kar lein. "


Aahna karaoke machine tak gayi aur kuch gaane select karne lagi.




Screen par pehla gaana aa gaya,


【Tere ore】


Kuch ghanton ki neend ke baad, Aahna ab tarotaaja mehsoos kar rahi thi. Usne bina sharmaye microphone uthaaya aur song ki melodies ke anusaar gaana gana shuru kar diya.



"Dil kho gaya, ho gaya kisi ka.., 🎶

Ab raasta mil gaya, khushi ka..
Aankhon mein hai khwab sa, kisi ka.. 🎵" :singer:


Manav ne Aahna ki awaaz suni.. use nahi pata the ki aamtaur par serious rehne wali Class President, itna acha gaa bhi sakti hai!


"Ab raasta mil gaya, khushi ka.. 🎵

Rishta naya rabba, dil chu raha hai,
Kheeche mujhe koi dore, teri ore.." 🎶 :singer:



Pehle gaane ke baad, Aahna ne doosra gaana gana start kar diya.



Uski awaaj bahut madhur aur sunne me sukhad thi, aur.. uske chehre par chhayi cute muskan mahaul me jaise khushi ki leher la rahi thi.



Manav Aahna ki taraf face karke baith gaya aur usko gaate hue chupchaap dekhne laga.
Maanna to padega.., padhaku Class President karaoke me bhi honhaar thi.



"Sau aasmaano ko

Aur do jahaano ko
Chhod ke aayi tere paas" :singer:




Achanak Manav ke man me ek baat aayi,


Manav (man me ) : "Kya wo.. mere liye ye songs ga rahi hai?" 👀

...
...
...


Lagataar 3 songs gaane ke baad, Aahna ne achaanak ek aur microphone uthaya aur use Manav ko dete hue kaha,


Aahna : "Sing with me!" :wink:



Manav ne jaldi se apne haath naa me hilaye,

Manav : "Ah? No.. mai acha nahi gaa pata! "



Lekin Aahna ne utsaah se microphone 🎤 Manav ke haath me thama diya,

Aahna : "To saath gaate hai. Yahan bas hum donon hi hai, to kyu itna dar rahe ho! ?"



Puraana gaana,

【Neele ambar par】


shuru ho gaya. Manav ko microphone pakadna pada aur fir usne awkwardly gaana :singer: start kar diya.



Kuch keh nahi sakte ki, kya uska potential nayi unchaiyon par pahunch gaya tha ya fir.. kuch aur hua tha.. lekin, Manav, jo poori raat soya nahi tha, bahut perfection ke saath gaana gaa raha tha.



Aahna ne khushi se apne haath hilakar usko protsahit kiya aur kaha,

Aahna : "Not bad! ab ek new song gaate hai, 'Apna Bana Le'! " 😄




Pehle to Manav ne mana karne ki koshish ki lekin aakhir me use gaane ko bahut ache se gaya. Gaane ka lagbhag har ek note usne bilkul perfect gaya tha.


Aahna : "Geez~! tum kitna acha gaa lete ho Manav! aiwen hi bol rahe the ki acha nahi gaa pata hehe! " :wink2:



Manav ko bhi yah ajeeb laga. Ek dum se uski vocal quality itni full aur broad kaise ho gayi thii??


Kya yeh... isliye tha, kyunki wo kaafi samay se Spirit Concentration Scroll ki saadhna kar raha tha?



Jab donon ne,

"Raataan Lambiyan"


ka ek aur duet khatam kiya aur next song choose karne hi wale the ki, achanak waiter ne darwaja khol diya aur andar aa gaya.



Waiter : "Excuse me, sir. Aapke room ka time poora ho gaya hai!"


Manav aur Aahna ko laga jaise unhone bas abhi abhi gaana start kiya ho.., ve aur gaana chaahte the. Lekin, aaj bhi unki classes thi, isliye singing continue rakhna possible nahi tha.


Donon ne ek-doosre ko dekha, muskuraye aur microphones neeche rakh diye. Phir, unhone apna samaan uthaya aur front desk par chek out ke liye chale gaye.



Aahna pay karna chaahti thi, lekin Manav ne use rok diya. Bhale hi wo Aahna ki wajah se raat bhar baahar tha, lekin phir bhi, weh kisi ladki ko uske liye pay kaise karne de sakta tha?



Karaoke se baahar aane ke baad, Aahna ne jor diya ki woh Manav ko breakfast karwayegi, jise Manav bas.. accept hi kar sakta tha.




Ve dubara Koshy’s Restaurant gaye aur is baar donon paushtik breakfast kiya.


Phir Aahna ko peeche bitha Manav ne, university ke west entrance ki or cycle dauda di. West entrance gate se university campus me aakar ab ve south direction ki or hostel areas me jaa rahe the.



University ki subah bahut shant thi. Taazi hawa beh rahi thi, aur vaatavaran bhi kaafi sundar tha.


Back seat par baithi Aahna ke donon haathon ne Manav ki shirt ko pakad rakha tha aur.. uski khud ki body hawa ki direction me jhool rahi thi. Kuch der sochne ke baad usne apna sar Manav ki peeth par rakh diya.


[Jacket cycle ki basket me thi]


Manav : "Subah subah thodi thand hai. Tumhe meri jacket chaahiye? "



Aahna, Manav ki shirt ke maadhyam se Manav ki peeth ki garmahat mehsoos kar rahi thi,


Aahna : "it's fine... "
weh phusphusayi.



Kuch der chup rehne ke baad usne achanak kaha,

Aahna : "Aaj me bahut khush hoon. " 😇



Manav : "Kya.. Class President?"


Manav use nahi sun saka kyunki ek to uska dhyaan cycle chalane par tha aur dusra, weh poori raat so nahi paaya tha isliye khud ko refresh karne ke liye, university ki taazi hawa me weh apne ander Spirit Concentration Scroll ko dohraha raha tha.



"Aaj ki singing bahut achi thi ! aur.. last night bhi! " ☺
Aahna ne awaaj uthayi aur kaha.



Manav cycle chalane aur man hi man Scroll ka dhyaan karne me busy tha to usne laparwahi se jabaab diya,


Manav : "Oh ... I am glad ki tumhe acha laga!"



Aahna (man me) : "Idiot..."




“One, two ! One, two !”



Achaanak kahin aas-paas se, taal mel ke sath chillane ki awaaj aane lagi.



Aahna, joki peeche baithi hui thi, ne achanak Manav ki shirt kheechi aur usse jaldi me kaha,


Aahna : "Manav ! Turn fast! apna route change karo!!" 😬



Manav : "Ehh, kya..?"


Cycle chalana, chehre par padti thandi hawa, Scroll, aur ye kahin paas se aarahi chillane ki awaajein..

In sab reasons se Manav fir ek baar theek se nahi sun paaya ki Aahna kya bol rahi hai.


Isi samay,


Basketball team ka captain, Rannvijay aka Rocky, jo ek paseene se poori geeli hui dry-fit sports T-shirt pehne hue tha aur.. paseene se tar batar ho rahi basketball team ko lead kar raha tha, Manav-Aahna ki or daud raha tha.


Aaj Manav ne pehli baar basketball team ke captain ka chehra dekha tha, isliye woh cycle ki speed ko bahut dheema kiye bina nahi reh saka. .



Kareeb 2 meter lamba "giant" Captain, madhyam speed se jogging karta hua team ko lead kar raha tha aur theek same time me usne bhi, cycle chala rahe Manav aur peechhe ki seat par baithi Aahna ko dekhne ke liye apna sar ghumaaya.



Apne bade bhai ko dekhte hue Aahna vichlit ho gayi thi. 😖



Subah ke kareeb 06:20 baj rahe the. Basketball team ke players ke alawa, jo apni subah ki running kar rah the, maximum students nishchit taur par abhi bhi so rahe honge.



Manav aur Aahna, university ke west entrance se aa rahe the.

West Entrance Gate se aane ka kya matlab tha?


West entrance ke paar, Central Square ke aaspaas bahut se restaurants aur hotels the.


Kya ye donon is samay baahar khana kha kar wapas aa rahe the??


Aahna ne apna sar neeche kar liya.. weh samajh nahi pa rahi thi ki ab kya kare..



Lekin uska bada bhai, Rannvijay, kewal bache - kuche 6-7 basketball players ko lead karte hue, 'one, two; one, two' chillate hue.. unki bicycle ke paas se bina ki expression ke, daudte hue nikal gaya.


Aahna apne bade bhai ko achchi tarah se jaanti thi, aur.. uska bina expression wala chehra... aksar uska sabse daraavna expression hota tha.



Jahan Aahna is waakye se ghabrayi hui thi, to wahin Manav ne apna sar ghumaya aur basketball team ko dekha jo ek lambi deewaar ki tarah aage badh rahi thi.


Usne dekha ki jin 6 basketball players team se baahar kar diya gaya tha, ve players subah ki is training me maujood nahi the.



Manav (man me ) : "Basketball team ke is captain... Rocky ne university punishment ki wajah se team ke 6 players kho diye.. ye shayad mujhse nafrat karta hoga... lekin.. aisa lag raha hai ki ye mujhe abhi tak personally nahi jaanta.."


Sochte hue Manav ne South entrance ki taraf cycle badha di.




Aahna (man me) : "Oh no.. shit! " 😖

Back seat par baithi Aahna iske alawa aur kuch naa soch saki..








Update yahin tak!

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄


To be continued.....
 

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Mega Update jab de rahe ho bhai jissee padh ke maza hi aa jaye

Sach me kab de rahe ho?😏

Bhai wait for next update


Wait for next update

Bhai wait for next update..♥️🧡💙💛💚

Mansion not sir aap titni pyari khani likhe or me apki tarif nahi kru to me aachi redar kesa banungi 😁or ye update lena or story padhna bhi to ek lalch h

Waiting for kal


Bhai detail me har ek shij likhne ki jarurat nhi hai bas content jayda ho
Ho ye rha hai content hai kam or har ek detail pe focus hai jayda
Itne details me padhne me maja kharab ho jata hai.
So please detail me likhna avoid kar do jo need hai whi likho.


Please story fast likho.

Ye baat to sach hai bhai ki story thodi slow chal rahi hai wo nai chij nahi mil pa rahi hai bss conversation hi chal raha hai bura laga ho to maaf Krna bhai mai bss as reader comment kr raha hu


Posted 🥂
 

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Ye baat to sach hai bhai ki story thodi slow chal rahi hai wo nai chij nahi mil pa rahi hai bss conversation hi chal raha hai
Apki shikayaten aane wale updates me door hone wali h rocket league bro
bura laga ho to maaf Krna bhai mai bss as reader comment kr raha hu
Are nhi bhai 😄 aap apne thoughts freely rakh sakte ho muje acha lagega
And aap to khud kitne gajab ke aur experienced writer ho bhaya 😇
Mai to nausikhiya hu 😅
 
Last edited:
  • Love
Reactions: rocket league
Status
Not open for further replies.
Top