• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 66•°


Recap -



Aahna ko mood me dekhkar, aakhirkaar Manav ko sehmat hona pada,

Manav : "Ok! Treat meri taraf se. Chalo Central Square chalte hai." 🙂



Aakhir, Aahna pehle se hi use 2 baar treat de chuki thi. To favour lautane, Manav Aahna ko treat dene ke liye raaji ho gaya tha.



Aahna : "Ok!" 😄


Aahna ne apki bicycle parking se nikali. Manav ne cycle chalayi aur use university ke west gate ke baahar, Central Square le gaya.





AB AAGE :-



Is suhavni raat me campus ki shaant sadakon par Manav, Aahna ko peeche bithaye bade smoothly cycle chala raha tha. Raat ki hawa se ped - paudhon ke hilne ki awaaj ke alawa, sab kuch bahut shaant tha.



Is pal ne Manav ko pichli baar ka yaad dila diya jab woh, university ke baahar kuch khane ke liye, aise hi raat ke samay me campus ki sunsan sadakon par Aahna ke saath chal raha tha. **(update 23)**


"Agar tum in 4 saal ke dauraan ladki nahi pata pate, date par nahi jaa pate .. to tumhari university life barbaad hai noobs...."

Pichli seat par Aahna ke hone se, kayi senior students dwara bola jaane wala ye quote 👆 achanak se Manav ke dimaag me aa gaya.



Usne peeche mudkar Academic Building E ke gol Lecture Hall ko dekha, jo abhi bhi chakachaundh se bhara hua tha. Sath hi ye wo pal bhi bhi tha jab usne Aahna ko dekha, jo back seat par baithi university ke artificial talaab ko chupchaap dekh rahi thi..
Aahna ke chehre par santushti bhari muskaan saji hui thi.


Lambi palken, chamakdaar aankhein, khoobsurat chehra, lehrate baal aur smooth figure...



Manav (man me) : "For real.. Class President bahut beautiful hai.. " ☺



Manav ne natak kiya ki wo Academic Building E ko dekh raha hai, balki dekh to woh kahin aur raha tha. 😂 (Aahna ko)




Bahar, jab ve Central Square pahunche to yeh area humesha ki tarah behad busy tha. Aaj hostels 11 baje tak khule rehne wale the; isliye, energetic students jaldi se hostels lautne ko taiyar nahi the.



Cycle park karte samay Manav ne Aahna se kaha,

Manav : "Class President tumhe bhi bhookh lag rahi hogi? to.. random snacks khane ke bajaay dinner kare? "



Halaanki, Manav aise ladkiyon ko khaane ke liye invite nahi karta tha, lekin aaj.. wo jaanta tha ki woh Aahna ko bas 1-2 snacks khilakar , tarka nahi sakta tha.



Aahna ne apne pet ko sehlate hue jawab diya;

Aahna : "Sure, Koshy’s Restaurant,"

Usne ishara diya ki vaastav me, use bhi bhookh lag rahi thi.



Manav muskuraya aur Aahna ke saath road cross karte hue Koshy’s Restaurant ke paas pahuch gaya.



"ManaVV !! "

Achanak peeche, ek kone se jaani pehchani awaaj aayi.



Manav ne mudkar dekha to use Sameer dikha. . jo ek outdoor barbecue booth par baitha tha. Sameer ke paas baithe Adarsh aur Rupam ke muh to pehle hi aashcharya se khul chuke the. 😲😮




Manav ke roommates ko dekhkar, Aahna bhi thoda hairaan thi.


Aahna : "Ohh.. tum log bhi yahan ho?"


Ab jab ve log ek dusre se mil chuke the to, Manav ke paas Aahna ke saath, apne doston ke paas jaane ke alawa aur koi chaara nahi tha.


Manav : "Tum sab yaha..?"



"Abbe.. wo hum hostel me bore ho rahe the, to khuch khane peene ke liye yahan aa gaye," :hmm:
Adarsh ne apna sir khujlaate hue kaha.



Adarsh ki baat par Sameer ne apni aankhein sikod li; 😒

Shayad weh soch raha tha ki kyu Adarsh use Manav ko awaaj lagane se rok raha tha.



Aahna : "Ok, to fir saath me hi dinner karte hai" 😊

weh Manav ki or mudi aur use sujhaav diya,

Aahna : "Manav, forget Koshy’s Restaurant! apan yahin kuch barbecue khate hai”



Abhi Manav soch hi raha tha ki kya bole ki..
Achanak Adarsh, apni plates ke 7-8 skewers 🍢🍢🍢 wahin chhod khada ho gaya,


Adarsh : "Nahi! Nahi! tum dono khao! Humara ho gaya, haha, hum to wapas hostel ja rahe hai!" 😅



Plates par bache hue skewers ko ghoorte hue, Aahna ne doubt me poocha,

Aahna : "Ah, really? " 🧐



"Are really ! really !! hum hostel jaane hi wale the!"
Ek haath se jaldi se plate ke kuch skewers uthate hue, Adarsh ne apne dusre haath se Sameer ke kaan 👂 ko maroda aur kaha,

"Abe chal na abb !!" 😬



"Ayyy!"
Sameer chillaya aur Manav par ajeeb najarein daali. :hinthint2:

Sameer ko ye samajhne me thodi der ho gayi ki kyu use Manav ko awaaj nahi deni chaahiye thi.



Adarsh ki tarah Rupam ne bhi jaldbaaji dikhayi aur beer ki aadhi khali bottle ko uthate hue wahan se jaane ke liye ready ho gaya..


Lekin tabhi Aahna se use yaad dilaya,


Aahna : "What Rupam? Tum hostel me beer nahi pi sakte! " 🙄



Naa chaahate hue bhi Rupam ko bottle wapas table par rakhni padi. Usne apne haath pooche aur shop owner se bill lene chala gaya. Iske baad ve teeno, choro (thief) ki tarah wahan se bhaag nikle.



Aahna : "Ehh ..." :sigh2:

Unki peeth ko dekhte hue, Aahna ne bebasi se aah bhari.



Ab jab ve jaa chuke the to, Aahna ko ghoorte hue Manav ne poocha,


Manav : "To ab ….. Koshy’s Restaurant chale?” 👀


Adarsh aur dono namunon ne use Aahna ke saath dekh liya tha; wo nahi jaanta tha ki ve teeno iske baare me kya kya soch rahe honge aur.. jab tak woh wapas apne hostel lautega tab tak pata nahi badbola Sameer kitna raaita phaila chuka hoga.. :sigh:



Aahna : "Ehm.. Ok! chalo"

Ve teeno kya soch rahe honge..? iske baare me kuch soche bina Aahna ne haami me sar hila diya.



Jab ve restaurant ke andar aaye to restaurant kaafi busy tha. Dono deewaar ke paas ki ek table par baith gaye, aur Manav ne mushroom manchurian, Garlic chicken, Sweet corn soup, Paneer fried rice aur
Payasam ka order de diya.



Order aane ka wait karne ke dauraan Aahna ne poocha,


Aahna : "Adarsh ki choten (injuries) theek ho gayi ?"



Manav : "Haan, wo ab theek hai. Moti khaal ka hai wo isliye jaldi theek ho gaya. Abhi dekha to tha tumne usko.. kitna natak kar raha tha ," 😀



Aahna : "Punishment ka notice kuch ajeeb tha. Mujhe to laga tha ki use atleast..verbal warning to milegi," 🤔



Manav (man me) : " Tum akeli nahi ho.. khud Adarsh ka bhi yahi sochna tha. Isliye, jab use notice ke baare me pata chala to uski first reaction shock wali thi. Anyways fight se pehle ke comparison me abhi wo, jyada better condition me hai,"



"Yeh acha hua ki tumhara name notice me nahi tha,"

Aahna ne bolna jaari rakha.


Uski baat par Manav muskura gaya.
Aahna ko to is baat ka bilkul bhi andaja nahi tha ki, aisa punishment notice laane ke liye Manav ne bahut kuch kiya tha.
Nahi to, jaisa ki Aahna ne kaha, university ek group ke saath chaahe kitna bhi pakshpaat kar le, lekin ladayi start karne wale group ke roop me, Adarsh ko kam se kam verbal warning to milni hi thi.



Khair kuch der sochne ke baad Aahna ne aage kaha,

Aahna : "Waise... tum fighting me bahut ache ho, " 😅



Abhi bhi Manav ki fake smile dekhkar, usne bolna jaari rakha,
"Mujhe nahi pata tha ki tum itne tough hoge... tough and mighty. " 😊



Manav ne anumaan lagaaya ki wo "violent" (hinsak) word bolne wali thi lekin, iske bajaay usne positive word "mighty" bol diya.



Manav : "Tum aisi hi ho Class President, gentle and serious. Tum.. har cheej ko lekar bahut gentle aur serious raha karti ho, lekin.. aaj ke lecture ke liye tum.. ek teenager girl ki tarah excited ho gayi thi. " 😄



Seedhi baithi Aahna ne apni chamakdaar aankhon se Manav ko dekha,

Aahna : "huh, kya mai itni excited thi?" 👁👁



Manav : "Yeah.. aur tumhara face to abhi bhi pink hai," 🙂


Aahna ko Manav ki baaton par yakeen nahi hua, isliye usne check karne ke liye apne gaalon ko chhua. Iske baad, uske chehre par sharm ki halki lali chadh gayi. :blush1:



Usne thoda socha aur Manav ko explain karne ki koshish ki,


Aahna : "Fine, mai aaj kuch jyada hi excited thi. Lekin Academician Shisht and Academician Kapoor mere sabse favorite scientist hai. To.. ye to normal hi tha ki unko live dekhne.., unse mile ke baad mai bahut excited ho gayi... "


Lekin uske is explanation ne baat aur bigaad di.
(Are bhai ye 👆 explanation bhi yahi bata raha hai ki Aahna abhi bhi excited hai 😂)


Khair.. Manav ne bebasi se haami me sar hilaya,


Manav : "Yeah.. yeah.. normal baat hai.. " :approve:



Manav ki reaction dekh kar Aahna thodi nakhush thi, lekin.. is baat ko wo jyada tuul nahi dena chaahti thi. Usne topic badalte hue Manav se sawal kiya,


Aahna : "Kya.. tumhare aur Lakshya ke beech koi problem hai ? ?"



Manav : "Tumne ye.. aise suddenly kyu poocha?"
Manchurian kha rahe Manav ne apna sar uthaaya.


Aahna : "Em.., maine suna hai ki basketball court ko lekar fight isliye hui kyonki tumhare aur uske beech kuch problems hai.. "



Chicken ka ek piece uthate hue Manav ne laparwahi se kaha,


Manav : "Mai use pasand nahi karta, aur woh.. mujhe. Bas itni si baat hai. "



Kuch seconds sochne ke baad Aahna kehti hai,

Aahna : "Uhm ... tum donon ke beech sab kuch theek karne me mai kuch help karu..?"



Manav : “Don't worry Class President. Tum in sab me mat pado. Lo, chicken to taste karo, yummy hai,"

Manav ne garlic chicken ki dusri plate ko Aahna ki or badha diya.


Aahna ne haan me to apna sar hila diya, lekin weh abhi bhi Manav ko lekar chintit thi.

Halaanki, Manav ki baaton se Aahna ko aisa lag raha tha ki jaise use Lakshya se koi fark hi nahi padta.
Isliye, ant me Aahna ne socha ki shaayad.. Manav ke paas aise log honge jo Lakshya ke influence ko counter kar sake. .



Khair.. Lakshya ke saath kya hota hai isse Aahna ko koi fark nahi padta.


Ye to uska bhai tha, jo basketball team ka captain tha, jisne use chintit kar diya.
Basketball team ko hue bhari nuksaan ke kaaran use kuch andaja nahi tha ki uska bhai Manav ke saath kya karega..



Jis tarah se university ne is matter ko deal kiya, wo basketball team ke liye behad harsh tha. Aur to aur.. Manav aur Adarsh ko kuch bhi punishment nahi mila.., jo basketball team ke saath seedha seedha anyaay tha.

Aahna ko vishwaas tha ki uska bhai is notice se pakka behad gusse me hoga.



Baharhaal apna dinner karte hue, unhone class me hone wali har tarah ki cheejon ke baare me baat ki.
Time nikalne ke saath, baatcheet ki direction aaj ke lectures par wapas chali gayi. Mr. Shisht ke baare me sochte hue Manav ne mehsoos kiya ki Aahna, waqai unki bahut badi fan thi.


Baat karte hue Manav aur Aahna, donon ko is baat ka dhyaan hi nahi raha ki restaurant ki bheed kam hoti ja rahi hai.



Anayas hi Aahna ki najar deewaar par lagi ghadi ki or chali gayi. Abhi ke time ko dekhte hi Aahna lagbhag cheekh padi,


Aahna : "AHH! 11:30 ho gaye !!! " 😳



Manav ne ghadi ko dekha. Phir,
usne aas paas dekha aur paaya ki ab restaurant me bas kuch hi log bache the.


Usne apna wallet nikala aur jaldi me kaha,

Manav : "Sir, Bill Please! " :itsme:



Waiter ne paise liye, aur.. Manav & Aahna jaldi se Koshy’s Restaurant se baahar nikal aaye.


Baahar aate hi unhone dekha ki Central Square ka students se bhara busy area pehle hi sunsaan ho chuka tha.


Aahna : "Ab kya...." :?:

Aahna ne apne backpack ke belts thoda kas ke pakad liye. Weh chintit dikh rahi thi.


Usne kabhi bhi apne ghar ya hostel ke baahar raat nahi bitayi thi! ye pehli baar tha jab weh time se hostel pahuchne me late ho gayi thi.



Khair Manav ne use bicycle ki pichhli seat par baithaya aur hostels area ki or badhte hue use dilasa diya,


Manav : "It's okay.. ho sakta ki warden abhi jaag rahi ho.."



Jald hi ve university ke south area ke, Girls Hostel Building No. 3 ke entrance gate par pahuch gaye.


Wahan pahucte hi unhone dekha ki hostel gate band ho chuka tha aur warden ke office ki light bhi off thi.
Iska matlab tha ki warden so chuki thi.

(Warden ka bedroom, office se attached tha)


Oopar se hostel building ki sabhi khidkiyon ki light bhi band thi, shayad.. ladkiyaan bhi so chuki thi..


Aahna hadbadi me back seat se koodi aur warden office ki khidki ke paas jaakar awaaj di,



Aahna : "Ma’am !! Ma’aM !!!”


Lekin kuch nahi hua. . aisa lag raha tha jaise warden gehri neend me so gayi thi.


Manav ko pata tha ki uske Boys Hostel Building No. 7 ki warden humesha der se soti thi, aur agar by chance ve so bhi jaati hai to bhi, uske paas unhe jagane ke kayi tareeke the.

Iska matlab hai ki Manav abhi bhi apne hostel me ja sakta tha.



Halaanki, chunki Aahna ab apne hostel me nahi jaa sakti thi, isliye woh use aise akele baahar.. bhala kaise chhod sakta tha?



Baharhaal kayi baar chillane ke baad bhi Aahna warden ko nahi jaga saki to. .

Haarkar, weh wapas Manav ki or mudi aur chinta me boli,



Aahna : "Ab kya hoga..?" 😦


Humesha confident rehne wali Class President.. is samay bebas najar aa rahi thi. 🥲


Manav, jisne aksar Adarsh and gang ke saath raatein baahar bitayi thi, usko aakhirkaar apne unn experiences ka use karne ka mauka mil gaya. .


Manav : "Hum... internet cafe me raat bita sakte hai?" :monkahmm:



"Kya wahan... safe rahega..??"
Aahna ne bhauhen chadhate hue hichkichahat se poocha.



Internet cafe ka maahaul aur air quality.. dono yakeenan bahut kharab the, aur waise bhi Aahna games nahi khelti thi to use, is tarah ki jagah par le jaana theek nahi hoga. .



Manav ne kuch der socha aur fir Aahna se poochta hai,


Manav : "ya fir ... campus ke baahar.. hotels me..?"






Aur is sawal ke saath hi ye update yahi par samapti hota hai.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Fir milenge!
To be continued.....
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Next update please

Waiting for your next update 😁

Waiting for next update

update bro waiting !

Next update kab tak ayga bhai

Updatewa jaldi diya karo bhaya

Waiting for update sir g

Waiting bhai


Phir to maza aayega I love emotional things

Aur suno bhaya apan ke name thoda spelling idhar udhar hogya quiz mein to usko sahi kar dena bhaya

Waiting for next update

Bhai wait for next update

Bhai agla update ka wait kar Raha hu , aapki story lajawab hai Bhai

Next update please

Ye kuch der kitnik hoti h?


Update has beep posted my dear friends
 
  • Like
Reactions: HONEY SINGH14
145
245
43
Nice update bro

Khair update thanda gya but ok tha
Adarsh sameer aur rupqm wala scene best tha

Aur aahna to hai hi baklol bak bak karni shuru ki to late ho gayi ab drane alag se yahan ni jana vahan ni jana

Sali lagta hai pichle kuch updates se bheja gira ke ayi hai kahi ya fir drame kar ri hai
 
  • Wow
Reactions: Shadow_Chaser
Status
Not open for further replies.
Top