• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 64•°



Recap -



Halaanki andar jaane se pehle, Academician Mr. Shisht, jo apne lambe kad ke kaaran bheed me alag hi dikh rahe the, ne chaaron or ek nazar daali :eyes2: aur unki nazar ek second ke liye Manav aur Aahna par jakar ruk gayi.




Aahna : "Ab chalo bhi ! jaldi karo!!"

Aahna ne hadbadi me Manav ka haath kas kar pakad liya aur lagbhag kheechte hue use Lecture Hall me le gayi. :bff:





AB AAGE :-



Lecture Hall logon ki bhaari bheed se khachakhach bhara hua tha.
Halaanki Academic Building E ke iss sabse bade Hall me saikdon seats thi, lekin aaj ki bheed ke mukable ve seats kam pad rahi thi.



Apni seats kho dene ki chinta me, Aahna ne Manav ka haath kas kar pakad liya aur apni reserved seats ki or lagbhag.. daud padi.



Aakhirkaar, usne apne tickets number wali seat dhoondhli. Weh Manav ka haath pakadte hue seats ki row me chali gayi aur phir raahat ki saans lete hue baith gayi. :sweat:



Ab jab vo befikr hokar baithi to, use ehsaas hua ki vo is poore samay Manav ka haath pakde hue thi. Uska chehra turant laal ho gaya, aur.. usne jhat se Manav ke haath se apna haath door kar liya.


Aahna ki hatheli paseene se thodi geeli ho gayi thi; aur filhal weh bahut nervous ho rahi thi.. :shy:



Manav ne bhi awkwardly apna haath peeche kar liya aur apne kapdon se, apna halka geela haath ponch liya.
Jab Class President Aahna Manav ka haath pakde hue thi, to use Aahna se apna haath chhodne ke liye kehne me embarrassment mehsoos ho rahi thi.. isliye usne, Aahna ko apna haath pakadne diya.



Khair.. Manas Shisht ke stage par pahuchne ke saath hi, Hall me ho raha shorgul turant shaant ho gaya.



Achanak Aahna ke kaha,


Aahna : "Ohh.. mai water bottle laana bhool gayi!," 🙆‍♀️



"It's okay.. mai le aata hu! "
Khade hote hue Manav ne kaha.



"Rehne do!"
Aahna ne uska haath pakad liya aur use seat ki or wapas kheech liya,
"Lecture bas start hone wala hai! " 😄



Manav ne mudkar uski or dekha, 👀 aur.. Aahna sharma gayi aur usne turant apna haath wapas le liya.


Aahna (man me) : "Shayad aaj mai kuch jyada hi excited hoon.., nahi to mai use aise baar baar touch nahi kar rahi hoti..." :fishy:

Aahna ka chehra abhi bhi laal tha.



Manav : "Ok..."

Aahna ke chehre par dhyaan diye bina Manav wapas apni seat par baith gaya.




Aaj ke khaas program ke liye Lecture Hall ki sitting capacity ko 3 sections me divide kiya gaya tha.




Front ki 2 rows, politicians, officials, senior professors, university staff aur doosre naamcheen scientists & professors ke liye reserved ki gayi thi.



Chennai city ki kayi anya prasiddh universities ke science major ke Master & doctoral (phd) students bhi, world wide famous scientist couple ka lecture attend karne aaye hue the.

Inmen se bhi kayi students aage ki row me baithe professors ke favourite students the.
Inn 👆 sabhi ke liye beech ki 6-7 rows fix ki gayi thi.



Aur baaki peeche ki bachi hui rows ko Chennai University ke undergraduates ke liye chhod diya gaya tha.
Halaanki, jaisa ki Aahna ne kaha, tickets bhi kaafi limited the. Usne tickets lene ki bahut koshish ki aur akhir me use, Student Council ke maadhyam se kewal 2 tickets hi mil sake. .
Jin students ko seats nahi mili unhen to poore lecture ke dauraan sabse peeche khade rehna tha.



Waise jo seats Aahna ko mili wo achhe spot par thi. Ve donon teesre section ki front row me baithe the jisse ve, stage par maujood Manas Shisht aur unki wife ko theek se dekh paa rahe the.



Poora Lecture Hall bheed se tight packed tha. Yahaan tak ki hallways bhi students se bhare hue the.
Sabse aakhir me to students apne pairon ke panjo par khade the, is ummeed me ki ve famous couple ki ek saaf jhalak dekh sake..



Kulmilakar yeh Lecture, Chennai University ka ek anootha aur bhavya program tha.



Principal : "Good Evening Everyone! aaj ke iss great occasion par science community se ek world-famous couple, Academician Manas Shisht aur.. Academician Anvi Kapoor, ka apni scientific research par lecture dena.. hum sabhi ke liye bade honour ki baat hai. Academician Manas Shisht, Council of Scientific and Industrial Research (CSIR) ke member hai. . to Academician Anvi Kapoor, Meteorological department of india (MDI) ki member hai!
Apni Europe Trip se India me land hote hi ye great scientists, yahan.. iss lecture ke aaye hain; yeh! vaastav me Chennai University ke liye bahut sammaan ki baat hai!
Haal hi me, Academician Manas Shisht ne apni trip me biomedical scientific community ka sabse prestigious award, Gairdner Award jeeta tha! aur Academician Anvi Kapoor.. inhone apni recent climate research me Graff Award jeeta tha jise, scientific community me “Nobel Prize in Ecology” bhi kaha jata hai! " :speech:



University ke Principal bahut khushi aur utsaah ke saath introductory speech de rahe the.
Aahna, jo Manav ke paas baithi hui thi, apna sar oopar kiye hue bade focus ke saath principal ki speech sun rahi thi.. maano Manas aur Anvi ke bajaay, usne (Aahna) wo awards jeete the.



Lekin jab usne mudkar Manav ko dekha to use unghta 🥱 hua paakar Aahna ke chehre ka utsaah 😃, naraazgi 😒 me badal gaya.
Usne Manav ke haath par ek jhapad de maara aur fir phusphusayi,


Aahna : "Suna tumne ! ve kitne brilliant hain! unhone abhi-abhi 2 international prizes jeete hain!"



"Bas kuch prizes hi to hai.., itni bhi badi baat nahi hai. " Manav ne shaanti se kaha.



"Youu!" 😬
Aahna ne bura muh banaya. Usne Manav se baat karna band kar diya aur dubara bade dhyaan se stage ki or dekhne lagi.



Aahna ne scientific news par bahut research ki thi aur isi process me use pata chala ki Gairdner Award ko "the mini Nobel Prize" bhi kaha jaata hai.. kyunki, Gairdner Award receive karne walon me se kareeb 1/4 ne baad me Noble Prize jeet chuke hai.
Isliye, is award ko kayi baar "Pre-Nobel Prize" bhi kaha jaata hai.



Baharhaal jaise hi Principal ne apni speech khatam ki, Hall me taaliyon ki gadgadahat goonj uthi.

:applause: :applause: :applause: :applause: :applause:




Taaliyon ka kram bahut lamba chala. Aisa isliye nahi tha kyunki Principal ne bahut achi speech di thi balki, iske bajaay, awards jeetane ke baad 2 world-famous scientists ke aagman ne asal me students ke excitement level ko behad badha diya tha.



Khair.. Principal ke podium se neeche aane ke baad, Manas Shisht, jo ek lambi-chaudi kad kathi wala tha, apni prabhavshali presence ki chhap sab par chhodte hue podium tak chala aaya.


Aur ye dekhkar Aahna ki aankhein turant chamak uthi 🤩; woh Manas ki die hard fan jo thi.



Manas ne mic adjust kiya aur fir apna gala saaf karte hue muskuraya,


Manas : “Principal Sir ne meri kuch jyada hi tareef kar di hai.. 😅 balki sach to ye hai ki science ki raah par hume, abhi bhi bahut aage jaana hai..
India me science ka development pichli kayi generations ke contribution ka result hai jise, trophies ya awards se nahi taula ⚖️ ja sakta. Govt. sponsored meri aur meri wife ki Europe trip ka main purpose awards jeetna nahi tha..; iske bajaay, is trip ka aim, foreign ke professionals aur scientists ko apni country ke diverse research programs se jodna tha. Apni trip complete karne ke baad, Chennai University pehli jagah hai jahan hum.. ye lecture dene aaye hai. Actually, kyonki hum abhi-abhi hi trip se wapas aaye hai to humare paas kuch free time bhi tha.. iske alawa maine graduation bhi Chennai University se ki hai.. to yeh mere liye bahut khusi ki baat hai ki.......................
.....
....."


Manas ki awaaz bahut saaf aur aakarshak thi.



Aahna apni aankhein faade bahut dhyaan se sun rahi thi.
Keh sakte hai ki Scientist Couple ke prati uska junoon uske peeche baithe aur khade hue tamaam students se kahi jyada tha.



“Aww~ Manas Sir kitne attractive hai na!; sooo clever and charming.. 😍 kaash mera future husband bhi aisa hi ho... hehe"


"Haan yaar~ aur Anvi Mam bhi kam nahi hai! unki skin ka glow to dekh.. 🤩"

...
...


Manav ke peechhe, kuch ladkiyaan apni excited awaaj me, couple ke upar comments kar rahi thi.



Manav (man me) : "Ehh..., kya ye itne good-looking hai ..." :hmm2:
Woh avaakk tha.



Unn ladkiyon ki baat sunkar Manav, Aahna ko dekhne ke liye muda, 👀


Aahna ki aankhein chamak rahi thi, 🤩
Uska haath uski chin (thuddi) ke neeche tha & uska muh thoda khula hua tha, 😲
Aur.. uske facial expressions saaf bata rahe the ki woh kitna mantrmugdh thi.



Podium par, jab Manas ka "polite words" kehna ho gaya to usne apni uss recent scientific research ke baare me baat karna shuru kar diya, jiske liye use award mila tha.


Front rows me baithe tamaam professors aur master & doctoral students aise dhyaan se sun rahe the aur notes bana rahe the jaise ki ve classroom me baithkar padh rahe ho. Kuch to lecture me itne doobe hue the ki pehle ve Manas ki baat par apna sar hilate
:approve: :approve: :approve:
aur phir notes likhne ke tezi se apna sar neeche kar lete maano unhen kuch rehesya ki baat pata chal gaya ho.
:writing: :writing: :writing:




Teesre section me baithe aur khade Chennai University ke undergraduates bina kisi shor ke chupchaap aur dhyaan lagakar lecture sun rahe the, bhale hi ve poori tarah se samajh nahi paa rahe the ki Manas Shisht kis baare me baat kar rahe the.



Halaanki Manas ka lecture, subject matter ki gehrayi me nahi gaya. Yahan tak ki wo undergraduates, jo biology major se nahi the, ve bhi lecture ke kayi points ko samajh paa rahe the. Bus kuch minor details hi thi jo unke sar ke oopar se jaa rahi thi.



University me ek aisa scientific lecture rakhne ka main reason, university ki image ko badhane ka tha.
Ek taraf, is program ke dwara undergraduates, high level ke scientific research environment se parichit ho sakte the aur deep academic knowledge ka live experience le sakte the.
To doosri or, isse media aur scientific community ka dhyaan aakarshit ho raha tha aur University ki popularity badh rahi thi.



Lecture ke dauraan Manas ne vaakpatuta ka kaushal dikhate hue apni baat rakhi.
Beech-beech me woh apne shabdon ka prabhaav badhane ke liye gestures ka use bhi kar raha tha.
Safed baalon wale kayi senior scientists ne uske clear statements aur logical thinking ki jamkar tareef ki.



Dekhte hi dekhte pata hi nahi chala ki kab 1 ghanta beet gaya aur Manas ka lecture bhi khatam ho gaya. .
Iss ek ghante me Hall me maujood sabhi logon ne science ke charm ka anand liya aur sabhi chaah rahe the ki lecture aur lamba chale.
Aisa sabhi logon ke saath tha chahe wo raajneta ho ya official, professor ho ya koi average student!




Jaise hi bheed apne hosh me
wapas aayi aur sabko pata chala ki lecture khatam ho gaya hai,

Swoosh Swoosh Swoosh…

:laughclap: :laughclap: :claps: :claps: :laughclap:

Taaliyon ki tez gadgadahat Lecture Hall me goonj uthi.



Taaliyon ka silsila kam se kam 5 minute tak chala.



Idhar Manav bhi bheed ke flow me shaamil ho gaya aur use khoob taaliyaan bajayin.


Aahna ko shaayad.. laga ki Manav, aakhirkaar science se prabhaavit ho gaya hai. Usne garv se Manav ke haath ko chhua aur kaha,


Aahna : "Dekha! ye hoti hai science ki power" :cool3:



Iske baad,

Aahna (man me) : "For real.. ye ek great scientist hai! Inhone kaise itne advanced concepts ko itna easily samjha diya.., inki communication skills bhi kamaal ki hai! " 😍



Manav bebasi se Aahna ke utsahit chehre ki or dekh raha tha. :sigh2:
Use laga ki.. Aahna ne kaafi had tak Mr. Shisht ko apna aadarsh bana liya tha. .

Idhar apne khyaalon me khoyi Aahna abhi bhi ankhein faade Manas Shisht ki or dekh rahi thi. 🤩







Aur iske saath hi update yahin par khatam hota hai.


And..!
Doston second Quiz bhi ready hai.. Good luck.. :D

I hope aapko maja ayega 😜


Quiz 2 : 👈 Click here



(Quiz 2 se jo bhi sabse pehle high score karega ya karegi, wahi Maha Reader hoga - only one 🙂)


:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄


To be continued.....
 
Status
Not open for further replies.
Top