• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 56•°

Recap -

Mobile baahar nikalne par usne dekha ki, yeh Rupam ki call thi. Usne call receive karte hi bina Rupam ki baat sune kaha,

Manav : “Abe raaste me hun. Tum log cards baant lo."

"Chutiye cards ki baat nahi hai..! Maa.. chud gayi yaarrr..! "

Dusri taraf se Rupam ki ghabrayi aawaaj aayi,
"Adarsh.. uska basketball team ke haraamiyo ke saath panga ho gaya hai!!"

AB AAGE :-

Iss 👆 news se Manav hairaan reh gaya. Usne turant poochha,

Manav : "Kaha hai wo?!"

"Basketball Court Zone B !!!"
Rupam phone par chillaaya.

Manav : "Got it ! mai aa raha hun!"

Usne ne call cut di aur Zone B ki direction ki or mud gaya; wo jaane ko hua hi tha ki,

Aahna fauran aage badhi aur uska haath pakad liya,

Aahna : "Kya hua?! " 🤨

Manav : "Adarsh ki basketball team ke ladko ke saath ladayi ho gayi hai !"

Achaanak, Manav ki nazar Aahna ki cycle par padi aur.. bicycle ke handles ki or haath badhate hue usne poocha,

Manav : "Kuch der ke liye mujhe apni cycle do!"

Aahna : "Nahi ! mai bhi saath chal rahi hoon !"

Class President hone ke naate, Aahna ko laga ki, ye sunishchit karna ki uska har ek classmate safe rahe - uski duty thi.

Khair abhi Manav uske saath bahas nahi karna chaahta tha. Usne bicycle ko thoda aage kiya aur apna pair laangh kar turant us par sawaar ho gaya.
Aahna bhi der na karte hue cycle ki pichli seat par baith gayi aur Manav ki shirt ko kas kar pakad liya.

Pichli seat par Aahna ke baithne ke baavjood Manav ko cycle jara bhi bhari nahi lagi. Usne jyada force ke sath paddle mara aur tej speed ke saath cycle aage badh gayi.

Cycle ki speed aur Manav ke pairon ki taakat dekh Aahna chakit thi.
Cycle se girne se khud ko rokne ke liye uske paas, Manav ki shirt ko bheechkar use kas kar pakadne ke alawa koi or option nahi tha.

🚴‍♂️ _-

Aahna ki ye sadhaaran si cycle basketball court ke Zone B ki or tezi se badhti jaa rahi thi.

Screech !

Jab ve court pahunche to Manav ne jor se break laga diye aur, Aahna ka komal najuk shareer turant uski peeth se ja takraya.

Halaanki is baat se bekhabar Manav, furti se cycle se kood gaya aur court me ghus gaya.

Apni chhati me halka dard mehsoos kar rahi Aahna ne fauran bike ko pakda aur use girne se bacha liya.
Usne dekha ki court logon se khachakhach bhara hua tha aur court ke center se ladayi ki awaajein aa rahi thi. Usne cycle ko lock kar ek taraf dhakela aur court ke center me jaa rahe Manav ke peechhe bhagi.

Bheed ko bade force se side me dhakelte hue Manav center ki aur jaldi jaldi aage badh raha tha. Use pehle nahi pata tha ki wo itna force bhi laga sakta tha.
Aahna Manav ke ekdum peeche thi aur.. is tarah se Manav ke saath saath ab weh bhi basketball court ke center tak aa chuki thi.

Court ke center me, basketball team ke 5-6 lambe chaude ladkon ne Adarsh ko gher rakha tha aur uspar tabadtod laate & ghoose barsa rahe the.

Adarsh ki body me har jagah ghaav aa gaye the. Halaanki woh jameen par gir gaya tha, lekin ab weh apne, sport shorts pehne opponents par zor zor se laat maar ne laga.
Uski laaton se chotil ho rahe basketball ke ladke, aur jyada bhadak gaye & Adarsh ko aur bhi jyada berahami se maarne lage.

Manav : "StoPP!"

Gusse se Manav ki dhamniyaan (veins) fadak rahi thi. Woh dauda aur Adarsh ke chehre par laat maarne wale ladke ke chehre par ek jordaar punch maar diya. 👊

Punch khaate hi us ladke ki aankhein aur laal ho gayi.. use ummeed nahi thi ki koi use rokne ki himmat bhi karega.
Punch ke liye wo ready nahi tha isliye, apne chehre par Manav ke haath ka jordaar punch padte hi weh, 3 kadam peechhe hat gaya. Punch se uska chehra sooj gaya tha.

Ye sab kuch itni tezi se hua ki dusre ladkon ko Manav ke hastakshep ki bhanak tak nahi lagi aur isliye ve Adarsh ko laat maarte rahe.

Gusse me, Manav ladayi ke ghere me aa gaya. Adarsh ko apne shareer se bachate hue, Manav ne 2 takhanon (ankle) [ 1 haath se 1 ] ko pakda aur unhen uthakar baahar ki or uchhaal diya.

Dhadaam ! Dhadaam !

Basketball team ke 2 lambe chaude players jameen par gir pade.

Manav ki bheeshan taakat se chakit ho, Aahna ki aankhein phail gayi. :shocked2:

Apne dost ko bachane ki fikr me, Manav ek jhatke me khada hua aur basketball team ke anya 2 ladko ko unki shirt se pakad liya aur.. unhen bhi bheeshan force se uchhaal diya; Do 6 feet lambe ladke hawa me ud gaye!

:what3: :shocking: :shocked: :what3:

Bheed me maujood sabhi log dang rah gaye…

“Kya ye koi superman hai jo Adarsh ko bachaane ke liye aaya hai?"

"Ye to patla aur kamjor dikhta hai.. lekin.. usne palak jhapakte hi basketball team ke 5-6 strong ladkon ko neeche gira diya..!"
😳😮

...
...
Ve sabhi soch rahe the.

Apni 1 aankh ke kone par chot ka nishaan liye, bheed ke kone me khada Sameer bhi dang rah gaya. Weh bhi kareeb kareeb 6 feet lamba tha, aur.. usne bhi Adarsh ki madad karne ki koshish ki thi. Lekin.. use ek mukka maarkar hi ladayi ke ghere se baahar gira diya gaya tha.

Sameer ke bagal me Rupam, jo Sameer se bhi kamzor tha, khada tha. Usne bhi beech bachaav karne ki koshish ki thi aur iss koshish me use, basketball team ke members me se ek ke majboot haath ne uski shirt fadte hue door dhakel diya tha.
Fir usne Manav ko aur madad laane ke liye phone kiya tha lekin, akele Manav ko sabhi opponents ko pachhadte dekhkar woh bhi hairaan rah gaya ... :shocked:

Laal aankhon wale Manav ne, apne shareer se Adarsh ko dhaal (shield) di aur chillaaya,

Manav : "Agar himmat hai to ab ise chhuu kar dikhao !!" 😡

Aahna ki najar me Manav ka ye act, saahas se bhara hua tha.
Pasine me tarbatar aur gusse me laal hue Manav ko dekh rahi Aahna ko , achanak se, ek well-behaved student jo ladayi se door hi raha karta tha, behad dashing lagne laga...

Basketball team ka 6 foot 4 inch lamba Power Forward khada hua aur furti se Manav ki aur lapka,

Power Forward : "Chulguze! tu samjhta kya hai apne aapko!! " :angry:

Power Forward player - basketball team ka ek key player

Use vishwas nahi tha ki Manav uske shareer ko pakad kar ucchaal sakta hai..
Usne iss baat ke liye khud ko hi jimmedaar thehraya ki wo Manav ke vaar ke kiye ready nahi tha.
Aakhirkaar, basketball team ke iss Power forward ki takat bejod jo thi!

Is ladke ko apni or bhaagte dekh Manav ka gussa bhadak utha. Woh dodge bhi nahi kar sakta tha kyonki uska dost Adarsh uske pairon ke paas pada hua tha. Agar wo dodge karta to Power Forward ke attack ki chot Adarsh ko lagti.

Manav ne haath aage badhaaya aur 6 feet 4 inch lambe aur 95 kg ke Power Forward rokne ke liye ready ho gaya !

BANG!

Unki hatheliyan aapas me takra gayi. Russian kushti ki tarah, ve ab sirf apni takat bal par ek doosre ko compete kar rahe the!

IMG-20230323-142243.jpg

Deng! Deng! Deng! Deng!

Manav ke force ne shaktishali Power Forward ko 4 kadam ladkhadate hue peechhe hatne ke liye majboor kar diya aur.. apne aakhiri aasthir kadam par weh Power forward dhadaam se jameen par gir gaya.

Ye sab kuch bas palak jhapakte hi ho gaya tha.

Wahan maujood sabhi logon ke chehron par avishwaas wale bhaav the.

"Akhir.. hua kya tha..?" :shocking:
Sabhi logon ke man me ek jaisa sawal utha.

Jameen par dharaashaayi Power Forward ne bhi Manav ko aashcharya se dekha,

Power Forward (man me ) : "Yeh... ordinary student.. jo mere se lagbhag aadha (1/2) hai, ne mujhe jameen par dhakel diya!!" 😧

"Mai Basketball Team ka Power Forward hun jisne College Basketball League ke champion ka khitaab jeeta tha ... isne mujhe jameen par dhakeel diya..!!!" :what3:

Snap ! Snap !

Takraav ke force se Manav ke donon jooton ki shoelaces toot gayi.

Khair wo neeche jhuka aur Adarsh ko uthne me madad ki. Fir usne basketball team ke members ki or dekha aur sirf do shabd bole,

Manav : "Don't Dare..." 😠

Swoosh !

Bheed ne ek taraf apna kadam badhaaya aur un donon (Manav-Adarsh) liye apne aap ek raasta bana diya.

Manav ne langdate hue Adarsh ko basketball court se baahar, campus ke out area me stith apne hostel ki or le jaane me madad ki.

Sameer aur Rupam ne ek-doosre ko dekha, jaldi se court se baahar aaye, aur Manav-Adarsh ke peechhe hostel ki or chal diye.

Basketball court me aashcharyachakit bheed avaak reh gayi, jismen... Aahna bhi shaamil thi.
Uske haath me uska mobile phone tha aur woh apne bade bhai **(Update 38)** ko call karne ka soch rahi thi.
Lekin Manav ne to baaji hi palat di thi.
Apni class ke un 4 ladkon ko, dhalte suraj ki roshni me basketball court ki taar wali fencing ko paar karte hue dekhkar, Aahna asamanjas me thi ki.. ab aage.. kya kiya jaye... ? 😳

Idhar, Boys Hostel Building number 7 ke logon ko Adarsh ki ladayi ke baare me tab tak pata nahi chala jab tak ki ve chaaron wapas hostel nahi aa gaye. Chetan, Ritik, Armaan aur paas ke rooms ke doosre ladke, ladayi ke baare me poochhne ke liye un chaaron ke pass aa gaye.

Jab un sabko pata chala ki Adarsh ka jhagda Basketball team ke pehelwano ke saath hua hai to ve sabhi hairaan rah gaye.
Sameer ki aankh sooj gayi thi aur sooj kar wo ek panda 🐼 ki aankh ki tarah lag rahi thi; Rupam, halaanki ghaayal nahi hua tha, lekin uski shirt phati hui thi aur peeth par ek bade aakaar ka laal panja chhappa hua tha; Magar... Adarsh ko sabse gambheer choten lagi thi jismen.. khoon se lathpath muh, maathe par ek gehri kharonch, iske alawa uski naak se khoon beh raha tha, aur.. uske haath aur pairon par anginat chot ke nishaan the.

Apni tooti hui shoelaces ko chhodkar, kewal Manav hi tha jise kuch nuksaan nahi hua tha. Jis din ve chaaron university me enroll hue the, us din se lekar aaj tak, room no. 302 ( Manav and gang ka room) ke liye ye sabse gambheer durghatna thi.

Chetan apne room se dettol solution & cotton le aaya aur solution ko haule se Sameer ke ghaav par lagane laga.
Wahin doosri or, Adarsh ko yeh dekhne ke liye hospital to jaana hi padega ki kahin use kahi fracture to nahi aaya.. oopar se uske ghaav bhi jyada the.

Armaan, jo amuman apne room me hi rehta tha aur novels padha karta tha, gusse se dahaadta hua bola,

Armaan : "Damn!! Bhen ke lodo ne humse ladne ki himmat ki ! Chetan, apne Mechatronic department ke sabhi ladkon ko bula le ! Aaj bc court hi tod dete hai.. naa rahega baans na bajegi basuri !! " :mad1:

Armaan ne Chetan se kaha kyonki, wahi sabse bharosemand yaar tha jo bahut saare ladkon ko bula sakta tha.

"Bas karo tum sab!"

Achaanak darwaaje ke baahar se ek crisp female voice aayi!

Kon hai ye female jo bas karne ko bol rahi hai..? Ye hum next update me dekhenge.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

To fir milte hai!
To be continued.....
 
दी di

New Member
62
129
33

Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top