• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
8,612
55,251
204
•°UPDATE 54•°

Recap -

Agli subah, Manav ki dadi ki condition check karne ke baad, doctor ne pushti kar di ke ab sab kuch theek hai.
Fir doctor ne Manav ko patient discharging process poora karne ke liye kaha.

Baharhaal sab kuch niptane ke baad, Manav ne apni dadi ko support dete hue pakad liya aur unhen Hospital se baahar nikalne me help karne laga---
dadi abhi bhi kamjor thi.

Ek Black Stretch Lincoln Limousine **(Update 11)** pehle se hi baahar intjaar kar rahi thi;
Limousine, entrance gate se kareeb 5 meter ki doori par khadi thi.

AB AAGE :-

Pichhli baar ki tarah thigne Elder Sharad, apne ethnic wear dhoti kurte me, black suit pehne 2 daanav jaise aadmiyon ke saath car ke paas khade the. **(update 11)**

Manav ko apni dadi ke saath baahar aate dekh, Elder Sharad furti se uske pahunche,

Sharad : “Kunwar Manav! ...Devi ji aapki fast recovery par badhaai 😁
Please.. aaiye.. car me baithiye."

Dikhne me Elder Sharad dadi se bhi jyada budhe lagte the. Aise umradaraj Elder Sharad ki apne prati respect dekhkar Manav ki dadi asahaj ho gayi thi. Aashcharya chakit hokar, Dadi ne Manav ki or dekha. 😳

Hospital ke andar- baahar, aate jaate logon ki nazaren apne upar padte dekh Manav ko bhi ajeeb lag raha tha. Isiliye, aanan-faanan me usne apni dadi ko support dete hue car me baithaya aur khud bhi jaldi se baith gaya.

Bam ! Bam !

Ant me Elder Sharad ke car me baithte hi car ke darwaaje band ho gaye aur, Stretch Lincoln Limousine tezi se Hospital se door jaane lagi.

Raaste me, Elder Sharad kuch karanwash muskura rahe the lekin kuch bolne ki bajaay ve chup hi rahe. Manav ki dadi bhi kaayi sawaalon me uljhi hui thi, lekin unhone filhal Manav ya Sharad se kuch bhi poochne se parhej kiya.

🚗 -_

Jald hi car Saanvi ke ghar ke saamne thi.

Lekin is baar, Elder Sharad pichli baar ki tarah khud car se nahi utre. **(update 12) **
Iske bajaay, ve Manav aur uski dadi ko ghar ke darwaaje par chhod kar wahan se chale gaye.

Avantika ne car ki awaaj suni aur dadi ka swagat karne ke liye tezi se darwaaje ki or bhaagi.

Hasmukh Avantika se milte hi, dadi maa ka mood bhi achcha ho gaya tha,

Dadi : "Beta.. aapko dubara pareshaan karne ke liye mai maafi chaahti hu..
Mujhe hospital le jaate hue bhi aapko kitni pareshaani hui hogi.. " 🥲

Avantika ne bade lagaav se dadi ka haath pakda aur unhen ghar ke andar laate hue kaha,

Avantika : "Kya auntie.., isme pareshaani wali koi baat nahi hai! Hum ek family hai to.. ye to humari duty hai hehe," 😄

Aaj dadi pehli baar Saanvi ke ghar aayi thi. Andar aakar jab unhone ghar ka luxurious interior aur living room ke pharsh par bicha shaandaar kaleen dekha to unhe samajhte der nahi lagi ki Avantika ka pariwar vaastav me, bahut jyada ameer tha.

"Aap aa gayi..! Welcome!" 😊

Rajyavardhan apne study room se baahar nikla aur muskurate hue dadi ka abhivaadan kiya.

Dadi ne Rajyavardhan ko pehle kabhi nahi dekha, lekin wo samajh gayi thi ki ye vyakti Avantika ka pati tha.

Dadi ne pyaar se sar hilaate hue Rajyavardhan ka abhivaadan accept kiya aur kuch sochne ke baad kaha,

Dadi : "Aapke ghar ka decoration bahut sundar hai.., lekin.. mujhe lagta hai ki.. mujhe yahan nahi rukna chaa..."

Ghabrate hue Avantika ne beech me hi tok diya,

Avantika : "Kyon...??, auntie.. apne to kal promise kiya tha ki hospital se discharge hone ke baad aap yahin rukengi.." 🥺

Ek din pehle jab Dadi ne Avantika ko uske simple business suit me dekha tha to Dadi ko laga ki Avantika ek sadharan pariwar se hogi. Lekin.. yeh dekhne ke baad ki Avantika ka pariwar kitna ameer tha, dadi thodi asahaj ho gayi. Aakhir.. dadi gaon se thi aur unka adhikaansh jeevan gaon ki saadgi me hi beeta tha.

"Daadii~ ..."
Neeche ki aawajen sunkar, hooded shirt aur denim shorts pehni Saanvi, fauran neeche bhaagi.

Apne kapdo me weh badi hi sundar aur pyari lag rahi thi, jaise koi modern pari aasman se neeche utar rahi ho.
Ek shabya aur respectful family ki member hone ke naate weh apne mehmaan ka abhivaadan karne neeche aayi thi.

Idhar dadi, chhoti si Saanvi ki sundarta aur cuteness se mantramugdh thi. Unhone use apni baahon me le liya aur uske sar ko pyaar se thapthapaya,

Dadi : "Good girl! mai.. abhi-abhi hospital se aayi hoon to aapke liye koi gift na laa saki..."

"Dadi~ mujhe to gift me bas aapki good health hi chahiye !" 😺
Saanvi ne madhurta se kaha.

Wo dil se chaahti bhi yahi thi. Asal me, jab Saanvi ne hospital me Manav ko behad ghabraya hua aur chintit dekha to, use Manav ki aur jyada fikr hone lagi thi.
Pehle bhi, apni fikr se chalte hi weh apne dad ke saath Manav ko lene gayi thi .. iss ummeed me ki woh bhi Manav ki kuch madad kar sake...

Haan ek baat pehle hi clear kar du : - Manav ke liye chinta karne ka matlab ye nahi hai ki woh use pasand karne lagi hai :D

Khair..,

"Auntie.. please humare sath hi rahiye na!" 🥺

Avantika ne phir request ki.

Apni baahon me aayi Saanvi ko dekhkar dadi hichkichayi aur kaha,

Dadi : "Beta ji... wo baat ye hai ki.. mujhe dar hai ki kahin meri wajah se aapko aur jyada pareshaani hui to.. " :?:

Rajyavardhan : "It's Fine.. aapke rehne se hume pareshaani nahi balki bahut khushi hogi.. aaiye lunch ke liye baithte hai," 😊

Manav ne dining table ki or dekha. Table par pehle hi swadisht aur lajeez vyanjan sajaye jaa chuke the.

Manav ne table tak jaane me apni dadi ki help ki. Table par dadi ke liye alag se ek aaramdaayak kursi lagayi gayi.

Ve paanchon baithe aur saath me bade utsaah se apna lunch kiya.

Dadi ke saath hui iss ghatna ke baad, Manav Saanvi ke family ke prati bahut aabhari tha.

Yahaan tak ki agar future me uske aur Saanvi ke beech ki problem ka koi aur solution mil jaata hai to bhi, woh Avantika aur Rajyavardhan dwara uske liye kiye gaye is bade ehsaan ko kabhi nahin bhoolega.

Baharhaal lunch ke baad, Avantika dadi ko unke haal hi me ready hue room me, aaraam karne ke liye le gayi aur room me pahuch kar dadi ka samaan set karne lagi.
Isliye Manav aur Saanvi ko kitchen ki bachi hui saaf safai ka kaam saunpa gaya.
Raha Rajyavardhan, to wo apne kuch jaroori business matters niptaane study room me wapas chala gaya.

Kitchen me, sink par bartan dhote samay Saanvi, Manav ke saath kandhe se kandha milaakar khadi thi. Sach kahein to, Saanvi bartan dhone me bilkul anaadi thi. Uske dwaara dhoyi gayi koi si bhi plate theek se saaf nahi hui thi, aur isliye Manav ko unhen phir se maanjhna pad raha tha.

Manav ne Saanvi ki plates ko phir se dhote hue kaha,

Manav : "Itni madad ke liye thank you so much.. " 🙃

"Maine aisa kuch nahi kiya," 🙄
Saanvi ne apne hothon ko sikod liya.

Manav ne muskurate hue kaha, "Agar tum chaaho to mai, dopher me tumhare saath games khel sakta hu" 🙂

Saanvi : "Huh.. mujhe tumhari company ki jaroorat nahi hai! waise bhi mai aaj dophar, Daskha ke saath shopping karne ja rahi hoon!"

Itna bolkar Saanvi ne sabhi jhoothi plates ko Manav ki or dhakela aur kitchen se baahar chali gayi. Bahar pahuch kar, usne apne haath sukhaye aur socha ki uska kaam poora ho gaya hai.

Manav ne peeche mudkar Saanvi ko dekha to woh use main door se chup chaap, ghar se baahar bhaagti hui dikhai di.

Manav (man me) : “Yeh ladki.. jaroor ye auntie ki permission ke bina hi shopping karne ja rahi hai. I'm sure.. usne girly things khareedne ke liye chhote chachu se pocket money li hogi..." 🤔

Ya.. shayad ye uske kehna ka tarika tha ki Manav usse door hi raha kare.. :hmm:

Khair, aah bharte hue Manav ne apna sar shake kiya aur bartan dhona jaari rakha..

Uska baaki ka din Dadi ma ko company dene me gujra.

Idhar, Daksha ke saath shopping karne ke baad Saanvi ne uske ghar par hi dinner kiya. Phir, usne Daksha ke parents se uske ghar par phone karne ke liye kaha ki woh aaj raat Daksha ke ghar par hi rukne wali hai.

Yeh jaante hue ki Daksha aur Saanvi best friends thi, Avantika ne Saanvi ki request ko maan liya.
Aakhirkaar, ye weekend tha, aur woh khud bhi chaahti thi ki uski ladli ke paas kuch fursat ka samay ho.

Manav apni dadi ko company dene ke liye aaj raat Saanvi ke ghar me hi soya.

Agle din Sunday tha aur Manav, Saanvi ke ghar me apni dadi ko comfortable hota dekh university wapas laut aaya.

Tention bhare weekend ke baad, Manav apne hostel laut aaya tha aur Adarsh & friends ke saath, uski ast-vyast aur khushhaali bhari routine wapas se shuru ho gayi.
Is tarah ek naye week shuruwat hui. ..

Subah ki 2 classes ke baad, Manav ne dher saari library books uthayi aur unhen wapas karne akele hi library ki or badh gaya.

Books lautane ke baad usne kuch aur nayi books borrow ki. Kuch samay pehle, uske paas padhne ke liye kafi samay hua karta tha. Lekin ab, use Saanvi ko tution dena tha aur saath hi apne busy regular class schedule se time bachakar saadhna bhi karni hoti thi..;
Isliye ab uske paas aaram karne ya time pass karne ke liye free time nahi rehta tha aur.. ab woh Adarsh aur doosre doston ke jaise taash aur other games bhi nahi khel sakta tha.

Manav ko dheere-dheere aisa lagne laga jaise Saanvi ka ghar uska apna ghar hai..
Weh har din college ke baad wahan jaaya karta tha aur.. ab to uski dadi bhi wahin reh rahi thi.

In sab 👆 vichaaron se jhoojhte hue Manav library se baahar jaane ko hua. Books lekar jab woh seedhiyon utar raha tha, to usne dekha ki safed shirt pehni Class President Aahna periodicals reading room me kuch padh rahi thi.

Shayad se use Manav ki presence ka ehsaas ho gaya tha... weh mudi aur seedhiyon par khade Manav ko dekha. 👀

Eye contact hote hi Manav muskuraya aur uski or haath hilaakar wave di. :wavey:
Uske baad, woh haathon me kitaaben liye wapas se seedhiyaan utarne laga. Ground floor par hall se gujarte hue wo library building se baahar nikal gaya.

Jab woh apne hostel ki direction ki or mud hi raha tha to, use apne peechhe tez kadamon ki aahat sunayi di.

Weh muda aur dekhta hai ki Aahna apni baahon me kitaaben aur notebooks liye uski or daud rahi hai..

"Manav, ruko! mujhe tumse kuch baat karni hai..!"

P.S. :-

Aapke man me kabhi na kabhi sawal aaya hoga ki kyu Dragon king & queen apni princess ki shadi ek aam insaan se karwana chaah rahe the..
Saanvi ki unichcha ke baavjood wo har sambhav koshish kar rahe the uski shadi Manav se ho jaye..

• Main reason to hume pata hi hai ki Saanvi ki dragon core ko wapas lene me Manav ki jaan jaa sakti thi.

Iske alawa bhi, Avantika aur Rajyavardhan ke kuch aur kaaran bhi the jo wo ek sadharan insaan ko apna damaad banana chaah rahe the. Inn kaaranon ko bhi hum jald hi dekhenge!

And that's all bhailog 😂 .. jaldbaaji kya karna! Aahna ko araam se aane do.. use kya baat karni hai apan agle update me jaan lenge :D

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

:yes1: Next update sunday ko
To be continued.....
Nice update bro....halka fulka paariwarik update....
 
Rohit1988

Well-Known Member
2,191
7,138
158

Bahut hi shundar update bro
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,211
42,569
174
•°UPDATE 53•°

Recap -

Iss mudde par Avantika ko itna polite dekhkar, dadi ko theek nahi laga aur isliye unhone dohraaya,
"nahi, nahi, nahi ... aisa thode hota hai! "

Avantika : “Auntie! please mere saath stranger jaisa vyavahaar na karen.. hum ek family hai...,"

"Ek family?" 🤨
Dadi ne Avantika ko asamanjas me dekha.

Manav ko to aisa laga jaise uska dil baahar uchak kar floor par gir gaya ho!

AB AAGE :-

Manav ki dadi ke chehre par chhayi uljhan ko dekhkar, Avantika samjhaya,

Avantika : "Ji wo mera matlab hai, Manu humari Sani ko padha raha hai, aur.. hum aapas me ek family ki tarah ghul-mil gaye hain.." 😄

"Hehe,"
Dadi is explanation par khushi se hansi aur kaha,

"Haan.., mai dekh sakti hoon.. Manu aur Sani ki achchhi bonding ban gayi hai" 😀

Dadi ke itna bolti hi turant Saanvi ke chehre par sharm ki halki laali chha gayi. Usne bahut hi dheemi awaaj me khud ko defend kiya,

Saanvi (bahut dheere se) ; "Huh.. kisne kaha ki meri uske saath achchi bonding hain ..." :fishy:

Avantika : "Maine abhi Doctor se puchha, aur.. unhone bataya ki, ek aur din ki observation ke baad agar sab kuch theek rehta hai, to aap ghar ja sakti hai,"

"Apka bahut-bahut dhanywaad! 😊 lekin.. mujhe aapko pay back to karna hi hoga. . ek baar mai yahan se discharge ho jaun to, mai bills dekh kar aapko pay back kar dungi!"
Dadi ne jor diya.

Unhe naa maanta dekhkar, Avantika ne aur behas karna theek nahi samjha. Isliye, usne anichchha se haami me apna sar hilaaya,

Avantika : "Okay ..."

Saanvi : "Mumma, aaj to aapke studio me Philippe Starck aane wale the na? mujhe laga.. ki aap unke saath dinner karne ke baad hi wapas aa paogi "

Avantika : "Maine unhe studio ka creative center dikha diya hai. Lekin.. chunki Manav dadi bimaar hain, to maine yahan aane ke liye humare dinner arrangements cancel kar diye," 😊

Manav ko yeh jaankar bahut achcha laga ki auntie ne apne kaam ki bajaay uski dadi ko prathmikta di. Halaanki, use iss baat ka andaaja nahi tha ki Philippe Starck ek world famous designer tha, jisne world ke sabse bade soccer stadium ke saath-saath duniya ki kaayi famous hotels ke architecture par bhi kaam kiya tha. France ke former President Francois Mitterrand ke ghar ko bhi bhi Philippe Starck ne design kiya tha.

Hospital me admit Manav ki dadi ko dekhne ke liye Avantika ne kisi aam insaan ke saath dinner karna cancel nahi kiya tha.
Ab kyuki wo yahan thi, to jaahir tha ki woh Manav ki dadi ke saath kuch der baat- cheet kiye bina to jaane se rahi..

Halaanki, wo abhi bhi apne business attire me thi, lekin phir bhi woh, ek samajhdaar patni aur apni bachchi ko beinteha pyaar karne wali maa thi... jiska vyaktitva behad down to earth tha.
Uski sanjeeda & lagaav se bhari baatcheet aur smart prati-uttaron ne, Manav ki dadi ke saath taal mel baithaneme bahut madad ki.

Avantika ki baaton se impress hote hue dadi man hi man apni khud ki bahu se thoda naakhush thi. Har samay apne kaam me busy hone ki wajah se Manav ki maa, naa to Manav par aur naa hi apne parivaar par utna dhyaan de pati thi.
Isliye, jab dadi ko pata chala ki Avantika - ek professional hone ke baavjood, na kewal ghar ke sabhi kaamon nipun thi balki apne pariwaar ki dekhbhaal bhi bahut achche se rakh rahi thi.., ab to dadi Avantika ko aur bhi jyada pasand karne lagi thi.

Unki baatcheet ke dauraan, Avantika ne puchha,

Avantika : "Auntie, aapke liye beach house me rehna bada inconvenient rehta hoga.. aap.. main city me shift kyon nahi ho jaate?

Dadi : "Manu ke dad ka kehna ki beach par taazi hawa hoti hai, isliye usne wahin par ek cottage le liya tha. Pehle, hum city me hi rehte the lekin humne wo ghar kayi saal pehle bech diya. . "

Avantika : "Aap itni senior hai.. aunty. .. to aapke liye wahan akele rehna safe nahi hai. Kal jab aapka blood pressure badha.. to Manu bahut jyada ghabra gaya tha. Mujhe lagta hai ki.. agar aap main city me reh rahi hoti to kal Manu ke liye mushkilen itni nahi badhti.. "

Dadi, Avantika ke tark se kuch had tak sehmat thi. Unhone Manav ke chehre ki or dekha aur kalpna ki kal raat wo kitna pareshaan ho gaya hoga...

Avantika ne bolna jaari rakha,
" Kaisa rahega agar aap recover hone tak humare saath rahe..?" 😊

Side me khada Manav , jo aunty aur dadi ke beech ho rahi baatcheet ko sun raha tha, Avantika ke suggestion ko sunte hi wo tention me aa gaya,

Manav (man me ) : "Dadi.. Sani ke ghar me rahe..? iska kya matlab hai..?" 😳

".. iski.. jaroorat nahi hai beta ji! "
Dadi ne jhat se naa me haath hilaaya aur aage kaha,

"Mujhe beach par akele rehne ki aadat ho gayi hai. Mai wahin theek hoon.. hehe. Saath hi, Manu ke parents bhi next week wapas aa rahe hai, to. . mai unki dekhbhaal se jaldi recover ho jaungi.., " 😀

"Next week ?" 🤩
Avantika ki aankhein chamak uthi.

Dadi : "Haan, agle Wednesday ko unhe aa jana chaahiye. Mai Manu ke dad se kahungi ki, meri jaan bachane ke liye aapka acha se shukriya ada kare aur.. aapki family ko lunch ya dinner ke liye bhi invite kare," 😊

Avantika : "Hehe ~ please aap itna pareshaan mat hohiye... waise bhi hum to ek hi family hai," 😃

Avantika ne dubara ullekh kiya ki ve sab ek hi parivaar the.

Halaanki, usne jald hi aage kaha,

Avantika : "Lekin.. lunch ya dinner ke bahane hi sahi, hum sabka milna bhi ho jayega.. ye bahut achcha rahega hehe" 😇

Aur..

Ab Manav ka dil baith gaya. Use laga jaise wo abhi-abhi kisi jaal me phans gaya ho. 😨

Bhale hi uski dadi shaheer se healthy dikhti thi lekin, unhe severe high blood pressure ki samasya thi. Halaanki, yah ek nirvivaad fact tha ki Avantika ne is baar.. Manav ki family par bahut bada ehsaan kiya tha.

"Badhiya! Manu ke dad ke wapas aane par mai use koi accha sa venue reserve karne ko kahungi.. taaki hum apna aabhaar vyakt kar saken!" 😄

Dadi ne bade utsaah se kaha.

Avantika ne hanste hue, haath se apna muh dhak liya 🤭 aur Manav ko ek jhalak dekha. Avantika se najre milte hi Manav bas bebasi se aahe bhar kar reh gaya.. :sigh2:

Waise woh jaanta tha ki, bhale hi dadi ke saath ye ghatna na hui hoti lekin fir bhi, future me donon families ka milna to nishchit hi tha...

For example :

Rajyavardhan : 'Shaurya Group' **(update 7 )** ke CEO ke roop me, Manav ke maata - pita ke projects me invest karke ya fir unke projects ko sponsor karke, bade araam se Manav ke maata - pita se mil sakta tha.

"Chunki ab hum ek family hain.. to,"
Mauke par chauka maarte hue Avantika ne aage kaha,
"Aap.. kuch dinon ke liye humare saath reh sakte hain.. aur Manu ke parents ke wapas aane se pehle hi, poori tarah recover ho sakte hain..
Recover hone ke baad, hum aapko wapas aapke cottage le jayenge. Plus, humara ghar Manu ki university ke bahut paas hain. . aur Manu.. daily Sani ko padhane bhi aata hai. To.. aap log ek doosre se, cottage ke comparison me jyada baar mil bhi paoge.
Hehe~ eh kitna acha rahega na auntie~ ! 😄 Kal Shyam ji ke call ke baad, Manu bahut pareshan ho gaya tha... aur.. aap bhi use dubara itna pareshaan aur chintit nahi dekhna chaahengi.., right?" ☺

Avantika ke in shabdon se dadi poori tarah sehmat thi, lekin.. woh abhi bhi jhijhak rahi thi,

Dadi : "yeh ... isme aapko bahut jyada pareshaani hogi....." ;

"Not at all~ aunty! humare paas ek extra room hai, aur.. mai ghar wapas jaate hi unn room ko aapke liye ready kar doongi. Isme kuch bhi pareshaani wali baat nahin hai..; bas aapko hume bhi apna thoda aashirvaad dena hoga haha~" 😄
Avantika ne utsaah se kaha.

Dadi Manav ki or mudi. Wo abhi bhi jhijhak rahi thi.

Idhar Avantika ke suggestion ko sunkar Manav khud duvidha me tha. Ek taraf, wo Sani ki family ko uski dadi ki kaaran pareshaan nahi karna chaahta tha.
To doosri or, wo ye bhi chaahta tha ki Hospital se discharge hone ke baad uski dadi ko achchi dekhbhaal mile . Woh chaahta tha ki dadi jald se jald theek ho jaye taaki itne budhape me unhe jyaada takleef na uthani pade.

Shyamu kaka khud 45+ saal ke prodh the, aur iss umr ke chalte ve dadi ki sehat se judi bahut si cheejon ko ignore kar sakte the. Agar dadi hospital se wapas seedha cottage jaati hai to ye Manav ke liye badi chinta wali baat hogi.

Isliye, current situation ka achchi tarah se analysis karne ke baad Manav ne kaha,

Manav : "Mom.. dad.. next week tak aa payenge.. to, dadi ke liye better hoga ki ve mom-dad ke aane tak aunty ke saath rahen..
Dadi.. ! dad ke aane ke baad apan wapas cottage me chalenge, "

Manav (man me) "Humen Sani ki family ka ye favour return karna hoga.. unhone jaroorat ke samay me dadi par apna money, time aur energy kharch ki hai..
Ye achchi baat hai ki Sani abhi chhoti hai! mai dad se keh dunga ki jab wo Sani ki family se mile to Sani ko gift ke roop me ₹ 70,000 - ₹ 80,000 ka ek envelope de dein. Itna amount gratitude express karne aur aunty ko repay karne ke liye kaafi hona chahiye. " :monkahmm:

Apne pote ki baatein sunkar dadi ne aakhirkaar apna man bana liya. Unhone embarrass hote hue Avantika se kaha,

Dadi : "..ehh... apko pareshaan karne ke liye very sorry ..." :?:

Dadi ke khyalaat bhi Manav ke jaise the. Manav ke pita ke wapas aane ke baad dadi, Saanvi ke parivaar ko laakho baar dhanyavaad dena chaahti thi.

Avantika : “Koi pareshani nahi hai aunty~ ab aap thoda rest kariye! sabse pehle to mai.. kal subah aapko lene ke liye ek car bhej deti hoon, " 😄

Avantika khushi se hansi. Fir weh uth khadi hui aur dadi ko pranaam kiya. Phir usne apne haath se Saanvi ko chalne ka ishara kiya.

Apni mom ka ishara paate hi Saanvi ne school bag ko apni peeth par tang liya aur dadi se girly tone me kaha,

Saanvi : "Bye, dadi~ !" 😺

Jaise hi donon room se baahar nikli to, dadi ne aah bhari,

Dadi : "Tum vaastav me ek ache parivaar ke sampark me aaye ho, Manu! " :sigh2:

🌅

Agli subah, Manav ki dadi ki condition check karne ke baad, doctor ne pushti kar di ke ab sab kuch theek hai.

Fir doctor ne Manav ko patient discharging process poora karne ke liye kaha.

Baharhaal sab kuch niptane ke baad, Manav ne apni dadi ko support dete hue pakad liya aur unhen Hospital se baahar nikalne me help karne laga---

dadi abhi bhi kamjor thi.

Ek Black Stretch Lincoln Limousine **(Update 11)** pehle se hi baahar intjaar kar rahi thi;
Limousine, entrance gate se kareeb 5 meter ki doori par khadi thi.

Update yahi tak

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Kuch dinon ke baad fir milenge :wavey:
To be continued.....
Dadi or avantika ji ke Bich huye conversation me ha na ha na hota rha Vahi manav ka sochna bhi sahi hai ki pita se kahkr vo sanvi ko ek lifafa de dega...

Vaise to jo avantika ji ne manav ke liye kiya hai uska koi (koi sahi sabd hi nhi mil rha) payback hai hi nhi, Unhone yha Jo bhi kiya family samajh kr kiya pr jb manav ke mata pita aayenge or unka vyavhar hame pta chal jayega tb khud hi ham samajh jayenge ki kitna wast deference hai dono family ki ideology pr soch pr, ek middle class family or ek rich family, jaha rich hote huye vo apni family ko sath le kr chal rhe hai or itne vinamra hai Vahi dusri taraf middle class family hokr vo apni family ko khud se dur kiye huye hai, ab vo vinamra hai ya nhi Ye to baad me pta chal hi jayega...

Vaise sochne vali baat hai ki manav ne phone pr apne papa Ya ma se baat hi nhi Kari ya kahe vha se call hi nhi aaya, hmare samne abhi tk...

Avantika ji us world class meating ki party ke sath dinner hi Cancel kr aayi apne manav ki dadi se milne ke liye...

Superb bhai sandar jabarjast update
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,211
42,569
174
•°UPDATE 54•°

Recap -

Agli subah, Manav ki dadi ki condition check karne ke baad, doctor ne pushti kar di ke ab sab kuch theek hai.
Fir doctor ne Manav ko patient discharging process poora karne ke liye kaha.

Baharhaal sab kuch niptane ke baad, Manav ne apni dadi ko support dete hue pakad liya aur unhen Hospital se baahar nikalne me help karne laga---
dadi abhi bhi kamjor thi.

Ek Black Stretch Lincoln Limousine **(Update 11)** pehle se hi baahar intjaar kar rahi thi;
Limousine, entrance gate se kareeb 5 meter ki doori par khadi thi.

AB AAGE :-

Pichhli baar ki tarah thigne Elder Sharad, apne ethnic wear dhoti kurte me, black suit pehne 2 daanav jaise aadmiyon ke saath car ke paas khade the. **(update 11)**

Manav ko apni dadi ke saath baahar aate dekh, Elder Sharad furti se uske pahunche,

Sharad : “Kunwar Manav! ...Devi ji aapki fast recovery par badhaai 😁
Please.. aaiye.. car me baithiye."

Dikhne me Elder Sharad dadi se bhi jyada budhe lagte the. Aise umradaraj Elder Sharad ki apne prati respect dekhkar Manav ki dadi asahaj ho gayi thi. Aashcharya chakit hokar, Dadi ne Manav ki or dekha. 😳

Hospital ke andar- baahar, aate jaate logon ki nazaren apne upar padte dekh Manav ko bhi ajeeb lag raha tha. Isiliye, aanan-faanan me usne apni dadi ko support dete hue car me baithaya aur khud bhi jaldi se baith gaya.

Bam ! Bam !

Ant me Elder Sharad ke car me baithte hi car ke darwaaje band ho gaye aur, Stretch Lincoln Limousine tezi se Hospital se door jaane lagi.

Raaste me, Elder Sharad kuch karanwash muskura rahe the lekin kuch bolne ki bajaay ve chup hi rahe. Manav ki dadi bhi kaayi sawaalon me uljhi hui thi, lekin unhone filhal Manav ya Sharad se kuch bhi poochne se parhej kiya.

🚗 -_

Jald hi car Saanvi ke ghar ke saamne thi.

Lekin is baar, Elder Sharad pichli baar ki tarah khud car se nahi utre. **(update 12) **
Iske bajaay, ve Manav aur uski dadi ko ghar ke darwaaje par chhod kar wahan se chale gaye.

Avantika ne car ki awaaj suni aur dadi ka swagat karne ke liye tezi se darwaaje ki or bhaagi.

Hasmukh Avantika se milte hi, dadi maa ka mood bhi achcha ho gaya tha,

Dadi : "Beta.. aapko dubara pareshaan karne ke liye mai maafi chaahti hu..
Mujhe hospital le jaate hue bhi aapko kitni pareshaani hui hogi.. " 🥲

Avantika ne bade lagaav se dadi ka haath pakda aur unhen ghar ke andar laate hue kaha,

Avantika : "Kya auntie.., isme pareshaani wali koi baat nahi hai! Hum ek family hai to.. ye to humari duty hai hehe," 😄

Aaj dadi pehli baar Saanvi ke ghar aayi thi. Andar aakar jab unhone ghar ka luxurious interior aur living room ke pharsh par bicha shaandaar kaleen dekha to unhe samajhte der nahi lagi ki Avantika ka pariwar vaastav me, bahut jyada ameer tha.

"Aap aa gayi..! Welcome!" 😊

Rajyavardhan apne study room se baahar nikla aur muskurate hue dadi ka abhivaadan kiya.

Dadi ne Rajyavardhan ko pehle kabhi nahi dekha, lekin wo samajh gayi thi ki ye vyakti Avantika ka pati tha.

Dadi ne pyaar se sar hilaate hue Rajyavardhan ka abhivaadan accept kiya aur kuch sochne ke baad kaha,

Dadi : "Aapke ghar ka decoration bahut sundar hai.., lekin.. mujhe lagta hai ki.. mujhe yahan nahi rukna chaa..."

Ghabrate hue Avantika ne beech me hi tok diya,

Avantika : "Kyon...??, auntie.. apne to kal promise kiya tha ki hospital se discharge hone ke baad aap yahin rukengi.." 🥺

Ek din pehle jab Dadi ne Avantika ko uske simple business suit me dekha tha to Dadi ko laga ki Avantika ek sadharan pariwar se hogi. Lekin.. yeh dekhne ke baad ki Avantika ka pariwar kitna ameer tha, dadi thodi asahaj ho gayi. Aakhir.. dadi gaon se thi aur unka adhikaansh jeevan gaon ki saadgi me hi beeta tha.

"Daadii~ ..."
Neeche ki aawajen sunkar, hooded shirt aur denim shorts pehni Saanvi, fauran neeche bhaagi.

Apne kapdo me weh badi hi sundar aur pyari lag rahi thi, jaise koi modern pari aasman se neeche utar rahi ho.
Ek shabya aur respectful family ki member hone ke naate weh apne mehmaan ka abhivaadan karne neeche aayi thi.

Idhar dadi, chhoti si Saanvi ki sundarta aur cuteness se mantramugdh thi. Unhone use apni baahon me le liya aur uske sar ko pyaar se thapthapaya,

Dadi : "Good girl! mai.. abhi-abhi hospital se aayi hoon to aapke liye koi gift na laa saki..."

"Dadi~ mujhe to gift me bas aapki good health hi chahiye !" 😺
Saanvi ne madhurta se kaha.

Wo dil se chaahti bhi yahi thi. Asal me, jab Saanvi ne hospital me Manav ko behad ghabraya hua aur chintit dekha to, use Manav ki aur jyada fikr hone lagi thi.
Pehle bhi, apni fikr se chalte hi weh apne dad ke saath Manav ko lene gayi thi .. iss ummeed me ki woh bhi Manav ki kuch madad kar sake...

Haan ek baat pehle hi clear kar du : - Manav ke liye chinta karne ka matlab ye nahi hai ki woh use pasand karne lagi hai :D

Khair..,

"Auntie.. please humare sath hi rahiye na!" 🥺

Avantika ne phir request ki.

Apni baahon me aayi Saanvi ko dekhkar dadi hichkichayi aur kaha,

Dadi : "Beta ji... wo baat ye hai ki.. mujhe dar hai ki kahin meri wajah se aapko aur jyada pareshaani hui to.. " :?:

Rajyavardhan : "It's Fine.. aapke rehne se hume pareshaani nahi balki bahut khushi hogi.. aaiye lunch ke liye baithte hai," 😊

Manav ne dining table ki or dekha. Table par pehle hi swadisht aur lajeez vyanjan sajaye jaa chuke the.

Manav ne table tak jaane me apni dadi ki help ki. Table par dadi ke liye alag se ek aaramdaayak kursi lagayi gayi.

Ve paanchon baithe aur saath me bade utsaah se apna lunch kiya.

Dadi ke saath hui iss ghatna ke baad, Manav Saanvi ke family ke prati bahut aabhari tha.

Yahaan tak ki agar future me uske aur Saanvi ke beech ki problem ka koi aur solution mil jaata hai to bhi, woh Avantika aur Rajyavardhan dwara uske liye kiye gaye is bade ehsaan ko kabhi nahin bhoolega.

Baharhaal lunch ke baad, Avantika dadi ko unke haal hi me ready hue room me, aaraam karne ke liye le gayi aur room me pahuch kar dadi ka samaan set karne lagi.
Isliye Manav aur Saanvi ko kitchen ki bachi hui saaf safai ka kaam saunpa gaya.
Raha Rajyavardhan, to wo apne kuch jaroori business matters niptaane study room me wapas chala gaya.

Kitchen me, sink par bartan dhote samay Saanvi, Manav ke saath kandhe se kandha milaakar khadi thi. Sach kahein to, Saanvi bartan dhone me bilkul anaadi thi. Uske dwaara dhoyi gayi koi si bhi plate theek se saaf nahi hui thi, aur isliye Manav ko unhen phir se maanjhna pad raha tha.

Manav ne Saanvi ki plates ko phir se dhote hue kaha,

Manav : "Itni madad ke liye thank you so much.. " 🙃

"Maine aisa kuch nahi kiya," 🙄
Saanvi ne apne hothon ko sikod liya.

Manav ne muskurate hue kaha, "Agar tum chaaho to mai, dopher me tumhare saath games khel sakta hu" 🙂

Saanvi : "Huh.. mujhe tumhari company ki jaroorat nahi hai! waise bhi mai aaj dophar, Daskha ke saath shopping karne ja rahi hoon!"

Itna bolkar Saanvi ne sabhi jhoothi plates ko Manav ki or dhakela aur kitchen se baahar chali gayi. Bahar pahuch kar, usne apne haath sukhaye aur socha ki uska kaam poora ho gaya hai.

Manav ne peeche mudkar Saanvi ko dekha to woh use main door se chup chaap, ghar se baahar bhaagti hui dikhai di.

Manav (man me) : “Yeh ladki.. jaroor ye auntie ki permission ke bina hi shopping karne ja rahi hai. I'm sure.. usne girly things khareedne ke liye chhote chachu se pocket money li hogi..." 🤔

Ya.. shayad ye uske kehna ka tarika tha ki Manav usse door hi raha kare.. :hmm:

Khair, aah bharte hue Manav ne apna sar shake kiya aur bartan dhona jaari rakha..

Uska baaki ka din Dadi ma ko company dene me gujra.

Idhar, Daksha ke saath shopping karne ke baad Saanvi ne uske ghar par hi dinner kiya. Phir, usne Daksha ke parents se uske ghar par phone karne ke liye kaha ki woh aaj raat Daksha ke ghar par hi rukne wali hai.

Yeh jaante hue ki Daksha aur Saanvi best friends thi, Avantika ne Saanvi ki request ko maan liya.
Aakhirkaar, ye weekend tha, aur woh khud bhi chaahti thi ki uski ladli ke paas kuch fursat ka samay ho.

Manav apni dadi ko company dene ke liye aaj raat Saanvi ke ghar me hi soya.

Agle din Sunday tha aur Manav, Saanvi ke ghar me apni dadi ko comfortable hota dekh university wapas laut aaya.

Tention bhare weekend ke baad, Manav apne hostel laut aaya tha aur Adarsh & friends ke saath, uski ast-vyast aur khushhaali bhari routine wapas se shuru ho gayi.
Is tarah ek naye week shuruwat hui. ..

Subah ki 2 classes ke baad, Manav ne dher saari library books uthayi aur unhen wapas karne akele hi library ki or badh gaya.

Books lautane ke baad usne kuch aur nayi books borrow ki. Kuch samay pehle, uske paas padhne ke liye kafi samay hua karta tha. Lekin ab, use Saanvi ko tution dena tha aur saath hi apne busy regular class schedule se time bachakar saadhna bhi karni hoti thi..;
Isliye ab uske paas aaram karne ya time pass karne ke liye free time nahi rehta tha aur.. ab woh Adarsh aur doosre doston ke jaise taash aur other games bhi nahi khel sakta tha.

Manav ko dheere-dheere aisa lagne laga jaise Saanvi ka ghar uska apna ghar hai..
Weh har din college ke baad wahan jaaya karta tha aur.. ab to uski dadi bhi wahin reh rahi thi.

In sab 👆 vichaaron se jhoojhte hue Manav library se baahar jaane ko hua. Books lekar jab woh seedhiyon utar raha tha, to usne dekha ki safed shirt pehni Class President Aahna periodicals reading room me kuch padh rahi thi.

Shayad se use Manav ki presence ka ehsaas ho gaya tha... weh mudi aur seedhiyon par khade Manav ko dekha. 👀

Eye contact hote hi Manav muskuraya aur uski or haath hilaakar wave di. :wavey:
Uske baad, woh haathon me kitaaben liye wapas se seedhiyaan utarne laga. Ground floor par hall se gujarte hue wo library building se baahar nikal gaya.

Jab woh apne hostel ki direction ki or mud hi raha tha to, use apne peechhe tez kadamon ki aahat sunayi di.

Weh muda aur dekhta hai ki Aahna apni baahon me kitaaben aur notebooks liye uski or daud rahi hai..

"Manav, ruko! mujhe tumse kuch baat karni hai..!"

P.S. :-

Aapke man me kabhi na kabhi sawal aaya hoga ki kyu Dragon king & queen apni princess ki shadi ek aam insaan se karwana chaah rahe the..
Saanvi ki unichcha ke baavjood wo har sambhav koshish kar rahe the uski shadi Manav se ho jaye..

• Main reason to hume pata hi hai ki Saanvi ki dragon core ko wapas lene me Manav ki jaan jaa sakti thi.

Iske alawa bhi, Avantika aur Rajyavardhan ke kuch aur kaaran bhi the jo wo ek sadharan insaan ko apna damaad banana chaah rahe the. Inn kaaranon ko bhi hum jald hi dekhenge!

And that's all bhailog 😂 .. jaldbaaji kya karna! Aahna ko araam se aane do.. use kya baat karni hai apan agle update me jaan lenge :D

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

:yes1: Next update sunday ko
To be continued.....
Sanvi ke dhoye bartan manav ko dobara dhone pade, just imagine Yahi kaam tum apni gf Ya Bibi ke sath kr rhe ho, bhaya Bibi vahi bartan sar me maregi or khana alag se nhi degi ek time ka...

Vahi gf vo to kam se kam 3-4 hjar ka chuna lagva degi shopping or Restorent ke bill me...

Un sabke mukable me sanvi akele chali gyi khud ke paiso me shopping karne saheli ke sath, yah to Badhiya hi hai manav ke liye...

Dadi sanvi ke ghar me rahne ke liye maan gyi hai or dhire dhire comfortable bhi ho rhi hai, pr aisa kon sa reason hai jiske chalte avantika ji manav ke sath sadi karvane ke liye itna jor de rhe hai (sochna padega vo gupt reason kya ho sakta hai)...

Maza aaya padh kr update bhai sandar jabarjast superb
 
Mr-Z

New Member
99
288
68
Bht achi story hay bhai update ka intazar rehta hay. Please naraz nahi hona but story ka pace bht slow hay specially Manav ki sadhna ko lay k. Is kay elawa sanvi or Manav ka interaction b bht kam hay yani payari si nook jhonk cute si larai wagera. If they are meant to be together to uska build up kam hay.
 
Status
Not open for further replies.
Top