• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Bhimsen

Member
239
947
93
Update late night aa payega 🥲 kal padhna bhailog
IMG-20221218-143915.jpg

IMG-20221218-143531.jpg

IMG-20221218-144947.jpg

Quiz 1 Maha Reader -
ArpitLegend, malhotra.nisha, gopal.10495

:cheerlead: :yourock: :party1: :rock2: :cheerlead:
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Bhai update daily aata to aur maja ajata hume patahai ki aap ki bhi personal life hai but jyada chahane ki lalach hume bhi hai isilie kehadiya
Aasha hai aap bura nahi manoge☺️☺️☺️☺️☺️
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 52•°


Recap -


Dadi to jaise is topic ko band hi nahi karna chaahti thi. Aur isliye ve usse uski gf se jude ek ke baad ek kayi sawaal pooch rahi thi.

Dadi : "Hmm.. agar tumhari sach me koi girlfriend hoti, to wo mujh mareej se milne jaroor yahan aayi hoti, kyu ?" :sigh


Jaise hi dadi ne apna sawaal poocha, theek usi samay Saanvi, utsukata se room ke andar dakhil hui.
Weh apni blue colour ki school uniform me thi aur uski peeth par ek pink colour ka backpack latak raha tha. .




AB AAGE :-



Jaise hi usne room me Manav aur uski dadi ko dekha, tab jaakar use yakeen hua ki woh galat ward me nahi aayi thi.


Weh dheere-dheere Manav ki or chaldi. Fir Manav ke paas pahuch kar hospital bed par laiti dadi ko dhyaan se dekha, aur dheere se poochha,


Saanvi : "Dadi..., ab aap kaisi hain..?"



"Haha, mai pehle se acha mehsoos kar rahi hoon" 😀
Dadi ne jawaab diya aur Manav ki or mudkar usse poochha,
"Yeh ....?"


Manav : "Ah, dadi ye.. Saanvi Maurya hai, weh bachchi jise mai aajkal tution padha raha hun. Jab aap kal raat behosh ho gayi thi to, iski mom hi aapko yahan, hospital me lekar aayi thi,"


Idhar, ye sunkar ki Manav ne use bachchi kaha.. naa chaahte hue bhi Saanvi ke gaal gusse se fool gaye. 😾



"To fir.. ye to meri little saviour hui!"
Dadi ne Saanvi ko bahut khushi se dekha,
"Dadi ke paas aao beta aur.. dadi ko tumhe achche se dekh lene do" 😀


Jab Saanvi ne dadi ko haath hilakar, use bulate hue dekha to woh bed ke kareeb chali gayi.



Dadi ne apni halki-si dhundhli aankhein sikod li aur khushi khushi Saanvi ko dhyaan se dekha. Ponytail wali is nanhi gudiya ko itna delicate, sundar aur cute paakar, dadi ke man me uske prati ek soft corner ban gaya tha.
Unhone uske sar haath phera aur kaha,
"Ye nanhi si gudiya to bahut sundar hai!" 😄


Dadi ki tareef sunkar Saanvi muskura di. Bright smile se uski chamkeeli aankhein crescent moon 🌙 jaisi ho gayi aur.. uski iss ada se dadi ke man me uska impression aur bhi jyada badh gaya.


Barbie doll jaisi pyaari ladki ke sar par haath pherte hue dadi ne Manav se kaha,

Dadi : "Manu, nanhi Saanvi meri saviour hai. Tumhe iski tution par sincerely dhyaan dena hoga!"


Dadi ki baat sunkar, Saanvi ne Manav ki taraf aise garv se dekha maano ki usne koi badi jung jeet li ho. :cool3:


Uski is harkat par Manav kewal apna sar hila kar reh gaya. . :sigh:


Khair use Saanvi se poocha,


Manav : "Waise.., tum yahan kaise! ?"


Saanvi : "Fridays ko to half day rehta hai. Mai dadi ko dekhna chaahti thi to maine last period skip kar diya," 🙂


Bhale hi Saanvi ne ye baat 👆 bade calm hokar kahi thi lekin, Manav jaanta tha ki woh uski dadi ko lekar chintit thi aur.. unko dekhne ke liye wo apni 1 class tak chhod kar aayi thi.


Saanvi ki or dekhte hue Manav ne socha,

Manav (man me) : "Bhale hi ye apne bol chaal me aag ugalti ho.. par hai badi kind - hearted !" 😇


Manav : "Tumne lunch kiya ? "


Saanvi : "Ghar jaakar kar loongi,"


Manav : "Mai dadi ke liye lunch lene ja raha hun. Tum kuch khaogi?"

Woh andaja laga sakta tha ki uncle humesha hi bahut busy hote hai aur aunty.., French Architect ka swagat satkaar karne me busy hongi. Agar Saanvi abhi ghar wapas chali jaati hai to, shayad.. uske liye wahan proper lunch nahi hoga.


Saanvi ne kuch der socha aur fir apne bag ko hospital bed ke bagal wali chair par rakh diya,

Saanvi : "Mai saath hi chalti hoon. "



Hospital bed par laiti dadi, chupchaap bade interest se un donon ki baatein sun rahi thi,

Dadi (man me): "yeh nanhi gudiya kitni pyari hai" 😄


Halaanki, Dadi kabhi soch bhi nahi sakti thi ki ye nanhi gudiya vaastav me unki hone wali bahu thi..


Saanvi aur Manav neeche chale aaye aur hospital ke paas hi ek restaurant me pahuch gaye. Khaane ke 3 order lene ke baad, ve room me wapas laut aaye.

hospital ka khana kise pasand hota hai 🥲


Saanvi ke aise achanak hospital aa jane se Manav hairaan tha; Aakhir.. ek careless ladki, aaj itna serious aur considerate kaise ho gayi thi?


Jab ve wapas laute, to kuch nurses Manav ki dadi ko doosre room me shift karne ko lekar aapas me kuch discuss kar rahi thi.


Aur.. aisa isliye ho raha tha kyonki Avantika ne apne ek friend ke connection ka istemaal karke, hospital ke management se baat ki thi. Aur isi wajah se Manav ki dadi ko general ward se sabse best private room me shift kiya ja raha tha.


Manav aur Saanvi ne bhi kuch - kuch cheeje utha li aur naye room tak le jaane me nurses ki help karne lage. Nurses aur dadi ma ke peeche peeche ve achi air quality wale east-facing (samudra ki taraf wala) private room me pahuch gaye.

Saanvi ko apne haathon me dadi ka saamaan le jaate hue dekhkar, Manav usse bahut jyada impress hua.



Room me pahunchkar ek nurse ne jaise hi khidki ke pardon ko side kiya, baahar garden se aati tej dhoop ne turant poore room ko roshan kar diya. Ye room yakeenan hospital ke best rooms me se ek tha.


Khair sab kuch settle hone aur nurses ke jaane ke baad, Manav ne lunch box dadi to dete hue kaha,

Manav : "Lunchtime, dadi!"


"Tum donon bhi lunch kar lo. Aise, bhookhe mat raho!”
Dadi ne Manav aur Saanvi ko dekhte hue kaha. Unhe aisa lag raha tha ki abhi naye room me aane ke dauraan, Manav ki student Saanvi ne aaj unki zaroorat se jyada help ki thi.


Dadi ki baat maankar, Manav aur Saanvi ne bhi apne apne lunch boxes khole. Lunch box khulte hi Saanvi ka man badal gaya, ab use Manav ke aaloo ke parathe khane the. Aur isliye.... Manav ko apne parathe uske fried rice se exchange karne pade.


Jab dadi ne unhen lunch ko lekar ladte hue dekha to ve thoda confuse huin. Ve lad to rahe the lekin dadi ko unke beech ki caring aur intimacy bhi saaf najar aa rahi thi. 😳



Baharhaal lunch karne ke baad, Manav ne ek nurse se saline solution badalne ko kaha aur dadi ke sone tak unka khyaal aur unse baatein karta raha.
Saanvi to ghar jaane wali thi, lekin chunki ye room kaafi bada aur comfortable tha to woh ghar jaane ki bajaay yahin par apna homework karne lagi.


Khidki ke saamne rakhi table par, dhoop ki roshni me Saanvi ka shareer aur jyada viksit lag raha tha. Bright sunlight se, neeli school uniform me uski body ke curves ekdum perfect lag rahe the. Aur.. half sleeves me uske najuk haath bhi bade pyare aur komal lag rahe the.


Manav uske paas baith gaya aur uske sabhi doubts ko patience ke saath clear karne laga. Floor par un donon ke shareer ki parchhayi aapas me milkar ek ho gayi thi.


Time yunhi nikalta raha, dadi bhi ab uth chuki thi. Aur idhar Saanvi ne Manav ki help se weekend ka kareeb aadha homework poora kar liya tha. Uski kuch textbooks abhi bhi Manav ke paas thi, aur.. ab Manav unhen hostel pahuchkar hi lauta sakta tha.


"Ah.. to unhone room change kar diya...,"

Ek gentle aawaaj sunaai di. Manav aur Saanvi ne apna sar darwaje ki or ghumaya to dekha ki Avantika, apne business suit me darwaje par khadi thi.


Jab usne Saanvi ko yahan dekha to woh thoda chaunk gayi,

Avantika : "Aap yahan kyon hain, Sani?"


Aunty ke expression se, Manav ko vishwas ho gaya tha ki dadi se milne aana, Saanvi ka khud ka idea tha.


"Um, mumma mai yahan Manav ki dadi ko dekhne aayi thi,"

Saanvi ne apni notebooks & material bag ke andar rakhte hue kaha.


Uski baat sunkar Avantika santushti me muskura gayi. Shayad.. use aisa laga jaise uski chanchal Sani achaanak se badi aur samajhdaar ho gayi ho.


Manav ne dekha ki aunty ke haathon me fruits aur dietary supplements ke bags the to, weh jaldi se unke paas gaya aur kaha,

Manav : "Aap itni saari cheejen kyun laayin, auntie?" 😳


"It's ok Manu, ye itna bhi nahi hai," ☺
Avantika muskurayi aur usne fruits & dietary supplements, dadi ke bed ke bagal wali almari me rakh diye.


Fir usne dadi se poochha,

Avantika : "Ab aap theek hain?"


Manav ki dadi Shyam ki tarah sust nahi thi. Saanvi ke saath hui is mahila ki baatcheet se ve jaan gayi thi ki ye Avantika hai.
Wo uth baithi aur boli,


Dadi : "Kal meri jaisi bujurg ko hospital laane ke liye apka bahut bahut dhanyavaad." 😊


"Aap aisa mat kahiye.. mujhe yahi karna chaahiye tha! 😇
Avantika ne frankly jabaab diya.


Dadi ne bolna jaari rakha,

Dadi : "Hospital ke fees ma..."


Avantika ne dadi ke haath pakad liye aur unhone aage nahi bolne diya,

Avantika : " Aap please iske baare me chinta na karen!" ☺


Iss mudde par Avantika ko itna polite dekhkar, dadi ko theek nahi laga aur isliye unhone dohraaya,
"nahi, nahi, nahi ... aisa thode hota hai! "


Avantika : “Auntie! please mere saath stranger jaisa vyavahaar na karen.. hum ek family hai...,"


"Ek family?" 🤨
Dadi ne Avantika ko asamanjas me dekha.


Manav ko to aisa laga jaise uska dil baahar uchak kar floor par gir gaya ho!





Update ends here..
Chhota tha par itna bhi nahi 😅


:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Next update jald hi :wavey:
To be continued.....
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Waiting for next update

Waiting for next update

Bhai aaj update dedo.

Waiting for next update


Agla update ka intejar rahega bhai

Update kab tak aaega bhai

update bhai eagerly waiting

Waiting for next update bro

Bhai next update kb de rhe ho



aj toh de do:sip:

Bhai aapki ye story bahot hi badhiya hai mere hisab se x forum ki top 10 me se ek... Aap kaafi mehnat se poori detail se ise likh rahe hai par jis tarah se iske update aa rahe hai week me ek yaa 2 is se ye story us unchayi par nahi poahanc paayegi jaha ise hona chahiye.... Jab tak agala update aata hai readers poorane jo bhool chuke hote hai jis se jo connection story se bana hai wo kamzoor ho raha hai... Aap itne ache writer hai to is baare me zarror kuch soche aur jaise pehle bina kisi gap k fri sat aur Sunday ko regular updates aate the waisa hi continue kare taa k readers update ka intazaar karte karte niraash naa ho... 🙏🙏🙏

Bro aapne Din fix kar liya hai k Friday ko hi update dena hai ab main Friday ke alava aur kisi din Intezar nahin karta pata hai ki Friday ko aaega

Aur biro long time no see bro 😁

Waiting for next update

Bhai update daily aata to aur maja ajata hume patahai ki aap ki bhi personal life hai but jyada chahane ki lalach hume bhi hai isilie kehadiya
Aasha hai aap bura nahi manoge☺️☺️☺️☺️☺️

Update has been posted mitron 🙃
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Xabhi and Amrit_#0

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Bhai aapki ye story bahot hi badhiya hai mere hisab se x forum ki top 10 me se ek...
😍,😍😍
Apka bahut bahut dhanyavaad Devilrudra brother :hug: 😇🙏

Aap kaafi mehnat se poori detail se ise likh rahe hai par jis tarah se iske update aa rahe hai week me ek yaa 2 is se ye story us unchayi par nahi poahanc paayegi jaha ise hona chahiye.... Jab tak agala update aata hai readers poorane jo bhool chuke hote hai jis se jo connection story se bana hai wo kamzoor ho raha hai...
Haa bhai ye to hota h... jyada gap hone se connection weak ho jata hai 😞
Aap itne ache writer hai to is baare me zarror kuch soche aur jaise pehle bina kisi gap k fri sat aur Sunday ko regular updates aate the waisa hi continue kare taa k readers update ka intazaar karte karte niraash naa ho... 🙏🙏🙏
Bhai 3 updates per week dena to abhi possible nahi h.. 🥲
2 per week h - Thursday & sunday
Apan day change kar sakte h.. aap batao kaisa theek rahega
And thanks a lot bhai 🥰 it means a lot :hug:
 

andyking302

Well-Known Member
6,024
14,252
174
•°UPDATE 52•°


Recap -


Dadi to jaise is topic ko band hi nahi karna chaahti thi. Aur isliye ve usse uski gf se jude ek ke baad ek kayi sawaal pooch rahi thi.

Dadi : "Hmm.. agar tumhari sach me koi girlfriend hoti, to wo mujh mareej se milne jaroor yahan aayi hoti, kyu ?" :sigh


Jaise hi dadi ne apna sawaal poocha, theek usi samay Saanvi, utsukata se room ke andar dakhil hui.
Weh apni blue colour ki school uniform me thi aur uski peeth par ek pink colour ka backpack latak raha tha. .




AB AAGE :-



Jaise hi usne room me Manav aur uski dadi ko dekha, tab jaakar use yakeen hua ki woh galat ward me nahi aayi thi.


Weh dheere-dheere Manav ki or chaldi. Fir Manav ke paas pahuch kar hospital bed par laiti dadi ko dhyaan se dekha, aur dheere se poochha,


Saanvi : "Dadi..., ab aap kaisi hain..?"



"Haha, mai pehle se acha mehsoos kar rahi hoon" 😀
Dadi ne jawaab diya aur Manav ki or mudkar usse poochha,
"Yeh ....?"


Manav : "Ah, dadi ye.. Saanvi Maurya hai, weh bachchi jise mai aajkal tution padha raha hun. Jab aap kal raat behosh ho gayi thi to, iski mom hi aapko yahan, hospital me lekar aayi thi,"


Idhar, ye sunkar ki Manav ne use bachchi kaha.. naa chaahte hue bhi Saanvi ke gaal gusse se fool gaye. 😾



"To fir.. ye to meri little saviour hui!"
Dadi ne Saanvi ko bahut khushi se dekha,

"Dadi ke paas aao beta aur.. dadi ko tumhe achche se dekh lene do" 😀


Jab Saanvi ne dadi ko haath hilakar, use bulate hue dekha to woh bed ke kareeb chali gayi.



Dadi ne apni halki-si dhundhli aankhein sikod li aur khushi khushi Saanvi ko dhyaan se dekha. Ponytail wali is nanhi gudiya ko itna delicate, sundar aur cute paakar, dadi ke man me uske prati ek soft corner ban gaya tha.
Unhone uske sar haath phera aur kaha,
"Ye nanhi si gudiya to bahut sundar hai!" 😄


Dadi ki tareef sunkar Saanvi muskura di. Bright smile se uski chamkeeli aankhein crescent moon 🌙 jaisi ho gayi aur.. uski iss ada se dadi ke man me uska impression aur bhi jyada badh gaya.


Barbie doll jaisi pyaari ladki ke sar par haath pherte hue dadi ne Manav se kaha,

Dadi : "Manu, nanhi Saanvi meri saviour hai. Tumhe iski tution par sincerely dhyaan dena hoga!"


Dadi ki baat sunkar, Saanvi ne Manav ki taraf aise garv se dekha maano ki usne koi badi jung jeet li ho. :cool3:


Uski is harkat par Manav kewal apna sar hila kar reh gaya. . :sigh:


Khair use Saanvi se poocha,


Manav : "Waise.., tum yahan kaise! ?"


Saanvi : "Fridays ko to half day rehta hai. Mai dadi ko dekhna chaahti thi to maine last period skip kar diya," 🙂


Bhale hi Saanvi ne ye baat 👆 bade calm hokar kahi thi lekin, Manav jaanta tha ki woh uski dadi ko lekar chintit thi aur.. unko dekhne ke liye wo apni 1 class tak chhod kar aayi thi.


Saanvi ki or dekhte hue Manav ne socha,

Manav (man me) : "Bhale hi ye apne bol chaal me aag ugalti ho.. par hai badi kind - hearted !" 😇


Manav : "Tumne lunch kiya ? "


Saanvi : "Ghar jaakar kar loongi,"


Manav : "Mai dadi ke liye lunch lene ja raha hun. Tum kuch khaogi?"

Woh andaja laga sakta tha ki uncle humesha hi bahut busy hote hai aur aunty.., French Architect ka swagat satkaar karne me busy hongi. Agar Saanvi abhi ghar wapas chali jaati hai to, shayad.. uske liye wahan proper lunch nahi hoga.


Saanvi ne kuch der socha aur fir apne bag ko hospital bed ke bagal wali chair par rakh diya,

Saanvi : "Mai saath hi chalti hoon. "



Hospital bed par laiti dadi, chupchaap bade interest se un donon ki baatein sun rahi thi,

Dadi (man me): "yeh nanhi gudiya kitni pyari hai" 😄


Halaanki, Dadi kabhi soch bhi nahi sakti thi ki ye nanhi gudiya vaastav me unki hone wali bahu thi..


Saanvi aur Manav neeche chale aaye aur hospital ke paas hi ek restaurant me pahuch gaye. Khaane ke 3 order lene ke baad, ve room me wapas laut aaye.





Saanvi ke aise achanak hospital aa jane se Manav hairaan tha; Aakhir.. ek careless ladki, aaj itna serious aur considerate kaise ho gayi thi?


Jab ve wapas laute, to kuch nurses Manav ki dadi ko doosre room me shift karne ko lekar aapas me kuch discuss kar rahi thi.


Aur.. aisa isliye ho raha tha kyonki Avantika ne apne ek friend ke connection ka istemaal karke, hospital ke management se baat ki thi. Aur isi wajah se Manav ki dadi ko general ward se sabse best private room me shift kiya ja raha tha.


Manav aur Saanvi ne bhi kuch - kuch cheeje utha li aur naye room tak le jaane me nurses ki help karne lage. Nurses aur dadi ma ke peeche peeche ve achi air quality wale east-facing (samudra ki taraf wala) private room me pahuch gaye.

Saanvi ko apne haathon me dadi ka saamaan le jaate hue dekhkar, Manav usse bahut jyada impress hua.



Room me pahunchkar ek nurse ne jaise hi khidki ke pardon ko side kiya, baahar garden se aati tej dhoop ne turant poore room ko roshan kar diya. Ye room yakeenan hospital ke best rooms me se ek tha.


Khair sab kuch settle hone aur nurses ke jaane ke baad, Manav ne lunch box dadi to dete hue kaha,

Manav : "Lunchtime, dadi!"


"Tum donon bhi lunch kar lo. Aise, bhookhe mat raho!”
Dadi ne Manav aur Saanvi ko dekhte hue kaha. Unhe aisa lag raha tha ki abhi naye room me aane ke dauraan, Manav ki student Saanvi ne aaj unki zaroorat se jyada help ki thi.


Dadi ki baat maankar, Manav aur Saanvi ne bhi apne apne lunch boxes khole. Lunch box khulte hi Saanvi ka man badal gaya, ab use Manav ke aaloo ke parathe khane the. Aur isliye.... Manav ko apne parathe uske fried rice se exchange karne pade.


Jab dadi ne unhen lunch ko lekar ladte hue dekha to ve thoda confuse huin. Ve lad to rahe the lekin dadi ko unke beech ki caring aur intimacy bhi saaf najar aa rahi thi. 😳



Baharhaal lunch karne ke baad, Manav ne ek nurse se saline solution badalne ko kaha aur dadi ke sone tak unka khyaal aur unse baatein karta raha.
Saanvi to ghar jaane wali thi, lekin chunki ye room kaafi bada aur comfortable tha to woh ghar jaane ki bajaay yahin par apna homework karne lagi.


Khidki ke saamne rakhi table par, dhoop ki roshni me Saanvi ka shareer aur jyada viksit lag raha tha. Bright sunlight se, neeli school uniform me uski body ke curves ekdum perfect lag rahe the. Aur.. half sleeves me uske najuk haath bhi bade pyare aur komal lag rahe the.


Manav uske paas baith gaya aur uske sabhi doubts ko patience ke saath clear karne laga. Floor par un donon ke shareer ki parchhayi aapas me milkar ek ho gayi thi.


Time yunhi nikalta raha, dadi bhi ab uth chuki thi. Aur idhar Saanvi ne Manav ki help se weekend ka kareeb aadha homework poora kar liya tha. Uski kuch textbooks abhi bhi Manav ke paas thi, aur.. ab Manav unhen hostel pahuchkar hi lauta sakta tha.


"Ah.. to unhone room change kar diya...,"

Ek gentle aawaaj sunaai di. Manav aur Saanvi ne apna sar darwaje ki or ghumaya to dekha ki Avantika, apne business suit me darwaje par khadi thi.


Jab usne Saanvi ko yahan dekha to woh thoda chaunk gayi,

Avantika : "Aap yahan kyon hain, Sani?"


Aunty ke expression se, Manav ko vishwas ho gaya tha ki dadi se milne aana, Saanvi ka khud ka idea tha.


"Um, mumma mai yahan Manav ki dadi ko dekhne aayi thi,"

Saanvi ne apni notebooks & material bag ke andar rakhte hue kaha.


Uski baat sunkar Avantika santushti me muskura gayi. Shayad.. use aisa laga jaise uski chanchal Sani achaanak se badi aur samajhdaar ho gayi ho.


Manav ne dekha ki aunty ke haathon me fruits aur dietary supplements ke bags the to, weh jaldi se unke paas gaya aur kaha,

Manav : "Aap itni saari cheejen kyun laayin, auntie?" 😳


"It's ok Manu, ye itna bhi nahi hai," ☺
Avantika muskurayi aur usne fruits & dietary supplements, dadi ke bed ke bagal wali almari me rakh diye.


Fir usne dadi se poochha,

Avantika : "Ab aap theek hain?"


Manav ki dadi Shyam ki tarah sust nahi thi. Saanvi ke saath hui is mahila ki baatcheet se ve jaan gayi thi ki ye Avantika hai.
Wo uth baithi aur boli,


Dadi : "Kal meri jaisi bujurg ko hospital laane ke liye apka bahut bahut dhanyavaad." 😊


"Aap aisa mat kahiye.. mujhe yahi karna chaahiye tha! 😇
Avantika ne frankly jabaab diya.


Dadi ne bolna jaari rakha,

Dadi : "Hospital ke fees ma..."


Avantika ne dadi ke haath pakad liye aur unhone aage nahi bolne diya,

Avantika : " Aap please iske baare me chinta na karen!" ☺


Iss mudde par Avantika ko itna polite dekhkar, dadi ko theek nahi laga aur isliye unhone dohraaya,
"nahi, nahi, nahi ... aisa thode hota hai! "


Avantika : “Auntie! please mere saath stranger jaisa vyavahaar na karen.. hum ek family hai...,"


"Ek family?" 🤨
Dadi ne Avantika ko asamanjas me dekha.


Manav ko to aisa laga jaise uska dil baahar uchak kar floor par gir gaya ho!





Update ends here..
Chhota tha par itna bhi nahi 😅


:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Next update jald hi :wavey:
To be continued.....
Bohot khubhsurat badiya लाजवाब update bhai ❤️❤️❤️❤️❤️

Ye sani yaha dadi ko milne keliye apna एक class bunk Kar Ke agyi hey..
To usko dadi ki bohot hi fiakr ho rahi thi ye ismey dikhata hey

Aur an usnse dadi ke dil mey apna ek sthan pa liya हे...

Aur manav ke bhi dil mey..

Aur inki khane ko leke ladayi ko dekh ke dadi ke man mey kuch to dought aya hi hoga...

Last mey apni Ava agyi a dadi ko milne keliye or ate smy bohot Kuch leke agyi hey ha....

Aur uske last ke hum family hey ye sunke to dadi to confuse hogyi..

Lekin manav ka kaleja hi bahsr agya hey 😁😁😁

❤️❤️❤️😍😍
..
 
Status
Not open for further replies.
Top