• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Talking nain11ster.... Most fastest story taller.... Koi shaq ho to xforum kya kisi bhi forum par search maar lijiye.... Main kitna lamba bhi gape kyon na lun.... Kahani samapan ka samay dusron ke mukable hamesa bahut, bahut, bahut hi kam hota hai... :D...
Atal satya maharaj :love:
:D
 
  • Like
Reactions: HONEY SINGH14

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Ha ji mailk samaz gaye ab yaha pe aur halla hua na to is thread ke malik apn dono ko bahar ka rasta dikha denge,
:slap: :hit: 😜
Arey ap sab ka hi thread h Anky@123 bhai ji
:vhappy1:
aur kal se aapke naye navele update padne wala hu me, wese bhi chitra se mile bade din ho gaye and i miss her so much ,
:shocked:
Mera to abhi chitra se intro hi nhi hua :cry: :sad:
But dekhna bhai chitra se milte hi apse jyada miss kiya karuga me usko :laughing: :yes2:
 

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
•°UPDATE 40•°


Recap -


Baharhaal time tezi se beeta, aur ab sabka dinner lagbhag poora hi hone wala tha.


Avantika (bade laad se) : "Dinner ke baad aap Sani ko padhane mere studio me ja sakte hai.. mai tab tak uske room me aapke liye bistar taiyar kar dungi.. taaki aap aaj raat achchhe se aaraam kar sakein," 😊


"Phew...!"
Hairaan Manav ne turant muh me bhara soop wapas apne bowl me ugal diya,
"Cough* cough*"



AB AAGE :-



Na kewal Manav, Avantika ki iss baat se asamanjas me pad gaya tha.., balki Saanvi bhi apni maan ki or aankh faade dekh rahi thi. 😳


Khair unke ude hue chehre ko dekhkar Avantika ne muskurate hue samjhaaya,

Avantika : "Mera matlab tha, aap aaj raat Sani ke bedroom ki floor par so sakte hein. . Actually Sani ka bedroom kaafi bada hai. Aur usme washroom bhi hai, to aapke liye wahin sona convenient rahega.” ☺


Saanvi : "mOM!!" 😒

Usne apna asantosh vyakt kiya.
Aakhirkaar.. isse pehle koi bhi ladka uske bedroom me nahi soya tha.



Avantika kehne wali thi ki Manav koi ajanbi nahi hai balki apna family member hai. ., lekin Manav ne apne hothon se soup ko ponchha aur se kaha,


Manav : "Aunty.. but Sani hai to ek ladki hi.. so.. mere liye uske bedroom me sona convenient nahi rahega. Em.. kya me living room me soo sakta hun?"



Saanvi ne apna sar Manav ki or ghumaaya aur bina kuch kahe use dekhne lagi. 🤨
Unse to yahi socha tha ki yeh "dirty" uncle iss mauke ka faaida uthayega aur.. use uncomfortable mehsoos karane ke liye pakka uske bedroom me sone ko maan jayega.


Magar.. Manav ke bhi apne vichaar the. Ek or, bhale hi Saanvi ke parents Manav ko support karte the lekin, iske baavjood weh Saanvi ko jyada nahi uksaana chaahta tha.
To doosri or, uska maanna tha ki jab tak unki relationship confirm nahi ho jaati.., tab tak use Saanvi se kuch doori hi banaye rakhna chaahiye.
Agar usne aise nahi kiya to, future me woh chaahkar bhi shaayad, Saanvi se door nahi ho payega...


Avantika ne donon bacchon par ek baar najar daali aur kaha,

Avantika : "Manu ground floor ka ye living room bahut thanda hai. Yadi aap Sani ke bedroom me nahi sona chaahte hai, to oopar attic me, mere studio me bhi so sakte hai... wo thoda chhota to rahega, lekin usually garm rehta hai."


"Okay , ye theek rahega.." Manav ne haan me sar hilaaya.



Fir Avantika ne mudkar Saanvi ko dekha, aur kaha,

Avantika : "Lekin Manu aapke washroom me hi shower lega,"


Saanvi ne shikaayat me apna honth sikod liye,
"Fine," weh badbadaayi.


Use laga jaise uski 'territory' ko divide karke Manav ko diya jaa raha hai.
Yahaan tak ki uske apne parents bhi iss uncle ko support kar rahe the. Isse Saanvi aur jyada chidi hui thi.
Waise bhi jab tak weh Manav se "shaadi" karne ka man nahi banati, tab tak uski sehmati ke bina liya gaya, uske maata-pita ka koi bhi decision (usse juda) beshak virodh karne ke laayak tha.


Bhale hi use kabhi-kabhi lagta tha ki Manav itna bura bhi nahi hai, lekin fir bhi weh uske saath kuch bhi share karne ko raaji nahi thi.., yahi.. Shayad uska chhota sa garv tha.


Khair maahaul ko halka karne ke Avantika ne apni meethi muskaan bikheri aur kaha,

Avantika : "Aap donon ka dinner ho chuka hai.. ab aap log ab oopar jaein. Waise bhi aaj raat Manu yahin so raha hai to, time ki bhi koi problem nahi hai..
Manu! aap pehle shower lelo, relax ho jao, aur phir Sani ko padha dena," 😊



Yeh dekhte hue ki Avantika uthne wali hai, Manav ne furti dikhayi aur sabse pahle uth khada hua aur kuch bartan samet te hue kaha,

Manav : "Aunty , bartanon ko sink tak le jaane me mai aapki help kar deta hun. "


Avantika : "Haha, it's fine! ye sab mai kar lungi! Aap oopar jayein aur pehle shower lelein" 😀


Manav ne thoda jor diya lekin Avantika ko nahi mana paaya. Ant me weh kewal use swadisht dinner ke liye dhanyavaad keh saka..



Manav aur Saanvi ke oopar jaane ke baad, Avantika, jo Dinning table saaf kar rahe thi, ne Rajyavardhan se poochha,

Avantika : "Ab tak ki observation ke baad aap kya sochte hain?"


Rajyavardhan : "Hmm.. uska character achchha hai, calm personality hai, aur.. weh Sani ke liye bhi achchha sochta hai. Iske alaawa, aisa lagta hai ki.. usne Spirit Concentration Scroll ke 2nd level ko paar kar liya hai..
Jaisa ki Elder Vinod ne kaha tha, woh ek smart aur down to earth bachcha hai," 🙂


Avantika : "To.. iska matlab hai ki ab aap usko officially approve karte hai..
Sach kahu to, uske saath kayi baar baatcheet karne ke baad, mai bhi use bahut pasand karne lagi hoon," 😊


Avantika ne apna kaam band kar Rajyavardhan ki or dekha aur poocha,
"Aur haan... to aapne kya socha hai..? West Ocean ke saath kya karna hai? "


Uske sawaal ko sunkar Rajyavardhan ka chehra gambheer ho gaya,


Rajyavardhan : " Har problem ka koi na koi solution hota hai.., filhal iss baare me sochne ka koi faaida nahi hai. Hum kewal koshish kar sakte hai ki jald se jald Manav ki sadhna me sudhaar ho,"


Doosri manjil par,

haath me teaching materials ka bag aur apne geele kapde liye, Manav Saanvi ke bedroom me daakhil hua,
Aur room me ander aate hi halki khushboo uske nathuno me bhar gayi.


Baahar ho rahi musaldhaar baarish ke baavjood, is chhoti si duniya ki khaamoshi par koi asar nahi pada..

Manav ne study materials nikal kar table par rakhe aur bag & kapde wahin neeche rakhte hue Saanvi se poochha,

Manav : "Washroom kahaan hai?"


"Humph!" Saanvi ne apna muh fer liya aur use koi jabaab nahi diya.


Manav : "Maine abhi tak Uncle - Aunty ko nahi bataya hai ki tumne kal apna school skip kiya tha"


Itna sunte hi, Saanvi ke kaan ek dum se khade ho gaye, aur uske chehre ke haav-bhaav se uski baichaini ka saaf pata chal raha tha,

Saanvi : "You... How dare you !"


Manav : "Dare what..? aisa kuch nahi hai jo mai nahi keh sakta. Aur tum ye fact jhuthla nahi sakti ki tumne apna school skip kiya tha,"



Saanvi : "wo ... wo maine tumhara competition dekhne ke liye kiya thA !! "


Manav : "Is it so..?? mujhe to yaad nahi ki maine tumhe kab invite kiya tha. Tum apna school bunk karne me khud responsible ho! Ok? Mujhe blame mat karo. "



Ab Saanvi nihshabd thi. Vaastav me.., Manav ki race dekhne ke liye school chhodna to bas ek chhota sa bahana tha; asli wajah to ye thi ki woh, dekhna chaahti thi ki ek well- reputed university ka Athletic Competition kitna entertaining hota hai.


Manav : "Waise.. Kal tumne dekha! ? Mai race me first aaya tha" 😎


Pata nahi kyu par Saanvi sharma gayi aur lagbhag Manav ko apna punch 👊 maarne hi wali thi, par khud ko rokte hue usne kaha,


Saanvi : “Huh.. us tarah ke bakwas competition me 1st aana.., isme itni shekhi baghaarne ki kya baat hai !?"



Yeh dekhkar ki, khud ko defend karne weh kaise safed jhooth bol rahi hai.., Manav hansa aur phusphusaaya,

Manav : "Aur.. iss bakwas competition ko dekhne ke liye tumne apna school chhod diya?" 😂


Itna sunte hi Saanvi tamtama gayi. Gusse se uski chhaati oopar-niche ho rahi thi,

Saanvi (man me ) : "Ye uncle kuch jyada hi oversmart ban raha hai..! Ughh annoying ugly donkey uncle!! "


Beshak! ye sach tha ki wo race me Manav ki performance dekhna chaahti thi, lekin asal me use gussa iss baat par aaya ki, ek to woh apni padhai chhodkar use dekhne ke liye gayi.. aur ab ye 'uncle' uska majak uda raha tha, oopar se use dara bhi raha tha ki wo uske mom dad ko sab bata dega...


Wo bahut gusse me thi halaanki use is baat ka ehsaas nahi tha ki usne pehle bhi kayi baar Manav ke saath theek yahi bartaav kiya tha.


(Kaisa bartaav? Areey bhai yahi - darana, khilli udana, efforts ki kadr na karna, dhamki dena etc)


Manav : "Hmm.. yadi tum chaahti ho ki mai uncle - aunty ko tumhare school skip karne ke baare me na bataun to, iske liye tumhe apne mid term exam me, sabhi subjects me, class me top 10 rank par aana padega! "


Saanvi : " Tumm.. mujhe dhamki de rahi ho..!!?? "

Saanvi apne daant peeste hue aise boli, maano weh Manav ko kachcha chaba jayegi.


Manav ne apni ek ungli ko naa :nono: me hilaya
Aur kaha,

Manav : "Ye dhamki nahi hai.. bas ek condition(shart) hai" 😏



Saanvi ne apne bagal me rakha naram takiya uthaya aur use Manav ke oopar phenk diya,

Saanvi : "Mai tumhari ye stupid condition accept nahi karungiii !!"



Manav ne takiya pakad liya aur phir se muskuraaya,

Manav : "Ab ye tum par hai accept karo ya mat karo. Lekin agar mid term me tumhari class rank top 10 me nahi aayi to mai uncle - aunty ko sab bata dunga,," :D:



"YaahhhhHHH !!! "


Saanvi gusse se poori paagal hue ja rahi thi. Aaj tak use kabhi aisa experience nahi mila ... ki koi use force kar raha tha, uspar apni conditions thoop raha tha..
Aur to aur , uske maata-pita, jo use itna laad pyaar dete the, ab ve bhi Manav ka paksh lene lage the.


Khair, jaise hi Manav ko mehsoos hua ki Saanvi ke gusse ka jwalamukhi 🌋 fatne wala hai, to usne use dilasa dete hue kaha,


Manav : "Okay..! Sani okay! Tum is baare me soch lena. Mai ab shower le leta hun.. "
Aaspaas dekhte hue,
"Washroom.. Kahan hai..? "


Saanvi ka dhyaan bhatka hua tha to usne fauran ek safed cabinet (almari) ki or ishara kiya,

Saanvi : 👉 "Wahan. Kya tumhare paas aankhein nahi hai??” 😤



Manav wahan gaya, us safed cabinet ka darwaaja khola, aur darwaja khulte hi chhipa hua ek well-equipped washroom uski aankhon ke saamne aa gaya,


Manav (man me) : "sighs* Hadd hai!" agar usne nahi bataaya hota, to mai ise kaise dhoondh pata? "


Weh ander chala gaya aur shower chaalu kar diya.
Waqai me, Manav nahana chaahta tha kyunki baarish me bheegne ke kaaran uska shareer chipchipa ho gaya tha. Halaanki, yeh pahli baar tha jab wo kisi ladki ke personal washroom me naha raha tha.


Garm shower lene ke baad, jab weh gate kholne ko hua to use washroom ke darwaaje ke paas bade kareene se teh kiye hue baby pink pajamas ka ek set dikha, aur jab woh room me aaya to use Saanvi kahin nahi dikhi.


Khair Manav room se baahar chala aaya, to use agle room se aa rahi Saanvi ki aawaaz sunai di.


Ander kamre me Avantika ne shaayad uske kadmon ki aahat sun li thi,


Avantika : "Ander aa jayiye, Manu!"


Manav ne darwaaje ko dhyaan se push kiya aur Saanvi ke maata-pita ke bedroom me dakhil hua.


Ye bedroom Saanvi ke bedroom se bhi bahut bada tha, aur iski interior design bhi badi shaandaar thi. Pehli najar me hi ye bedroom logon ko ek sukhad aur aaraamdaayak ehsaas de dega.


Rajyavardhan aur Avantika donon ne aaraamdaayak night dresses pehni hui thi. Ve sab 3 meter chaude bed par laite hue the aur unke saamne ki or 54 inch ki plasma TV chalu thi, jis par ek comedy show chal raha tha. Saanvi apne maata-pita ke beech me laiti hui thi. Aisa lag raha tha jaise usne iss bedroom ke washroom me abhi abhi nahaya ho..


Manav ko ander aate dekh, Saanvi, jo hans rahi thi, achaanak uski hasi ruk gayi.


Jab Manav ne dekha ki 3 sadasyon ki ye family achchha samay bita rahi hai, to use laga.. ki use yahan nahi aana chaahiye tha.



Khair Avantika uth khadi hui,

Avantika : "Aapne naha liya? apne kapde washroom me hi chhod dena, mai unhen dho dungi.. ve kal tak sookh jayenge.” 😊


Manav : " No aunty.. Iski jarurat nahi hai..! " 😅



Avantika : "It's ok Manu, don't worry! Ab hum ek family hai.. aap sharmaiye nahi" 😄



Avantika ne Manav ki ek na suni. Weh kamre se baahar nikal gayi, aur uske kapde lene ke liye Saanvi ke room me chali gayi.



Rajyavardhan : "Aap TV par kuch dekhna chahoge ? "


Manav room me darwaaje ke paas hi khada raha aur kaha,

Manav : "uh.. no thanks, uncle" 🙂


Rajyavardhan : "Aap abhi bhi bahut tensed ho, Manu,"
Itna bolkar usne Saanvi ke kandhe ko thapthapaya,
"Jaiye ab padhaj kariye.. apni mom ko nirash mat hone dena."


Saanvi anichchha se palang par khadi ho gayi, aur carpet par kood gayi, phir usne

gulabi cartoon slippers apne pairo me daal li.


Rajyavardhan jaati hui unki vipareet aakritiyon ko dekh raha tha: ek lambi aur doosri chhoti; grey aur pink pajamas me jaise hi ve bedroom se baahar nikle, Rajyavardhan ne ek sarthak-poorn aah chhodte hue wapas apna dhyaan TV par laga diya..





P.S. :-
* West Ocean - jaldi pata chalega iske baare
Kuch kuch idea aap khud laga sakte hai Rajyavardhan ke East Ocean se 😉





Aur update yahin tak..

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Agla update aaj se mahaj 2 din baad - sunday :D
To be continued.....
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top