• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Update kb aayega kl to aaya nhi
๐Ÿ˜ฅ
Very sorry Anky@123 bhaya...
Fri, Sat, Sun - update ki frequency to kab ki khatam ho gayi :sad:
Haa pr free hote hi apan is sequence ko dubara resume karenge :good: :hug:



Kya aaj update aye ga

Kya aaj update ki ummeed karun bhai


Sorry bhai log :verysad:




Next update kal ya time lagega bhai becuz after 15th i will be busy online aane ka time milta he ya nahi pata nahi isliye jitna ho sake utne update padhne ki koshish jari rahegi till 15th๐Ÿ˜‚๐Ÿ˜‚๐Ÿ˜‚


Likh raha hu.. Jitna bhi hua utna kal post kar dunga :good:
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
โ€ขยฐUPDATE 39โ€ขยฐ


Recap -



Boom! Boom... ! โšกโšก


Baadlon ki ek aur gadgadahat ke saath, khidakiyon ke baahar, akaash me bijali ki chamak phail gayi..,


Manav ne, baalon me se paani hatane ke liye apna sar hilaate hue, bag neeche rakh diya.
Kuch hi seconds me Avantika ek safed towel le aayi aur towel dete hue dheemi awaaj me Manav se kaha,


Avantika : "Manu.. tum aaj raat yahin ruk sakte ho... Actually Aaj, Elder Sharad baarish kar rahe hai aur yeh poori raat chale wali hai.." ๐Ÿ˜Š




AB AAGE :-



Jab Manav soch hi raha tha ki Avantika ko kya jabaab de.. tabhi, doorknob ke mudne ki aawaaj, use uski soch se baahar le aayi -
yeh Rajyavardhan tha jo Saanvi ko waapas ghar lekar aaya tha.


Shayad car me hone ke kaaran ve bilkul nahi bheege.. :hint:


Bhale hi hume Rajyavardhan, ek kathor pita ki tarah lagta hai lekin, itna busy insaan hone ke baavjood uska khud Saanvi ko lene uske school jaana.. ye dikhata hai ki woh apni beti se kitna pyaar karta hai. Agar woh chaahta to kisi elder ya worker ko Saanvi ko lene bhej sakta tha.


Apne husband ko aata dekh Avantika fauran Rajyavardhan ke paas gayi,

Avantika : "Baahar toofan aaya hua hai.., Mujhe lagta hai ki baarish mein wapas jaane ki bajaay Manu ko yahin rukna chaahiye..,"


Aur.. Rajyavardhan ne bina kisi hichkichahat ke apni sehmati dedi,


Rajyavardhan : "Okay, yeh Elder Sharad ki baarish honi chaahiye to.. yeh shayad saari raat hone wali hai. Use car se wapas hostel drop karna bhi mushkil hoga. . to aise me.. uske liye yahan rukna hi sabse achchha option hoga,," :approve:


Jab unn donon ne use raat ko yahin rukne ke liye kaha to Manav, apna virodh jatane me bahut sharma raha tha. :fishy:


Weh wapas jaane ki jidd nahi karna chaahta tha kyunki ve donon use yahin rokne ka decide already kar chuke the. Waise agar weh jidd karta to nishchit roop se Rajyavardhan use hostel drop kar deta. Halaanki, Manav is tarah ki toofani raat me, aksar vyast rehne wale Rajyavardhan uncle ko pareshan nahi karna chaahta tha.


Jab Avantika ko Manav ki or se koi objections nahi mila to weh khushi se muskura uthi,

Avantika : "Theek hai, dinner ready hai to chaliye pehle sab dinner hi kar lete hai. Aap.. Manu ko apne kuch kapde de dijiye.. yaha aate samay ye poora bheeg gaye hai,
aur.. Sani! Aap bhi jaldi se dinner ke liye ready ho kar aao! " ๐Ÿ˜Š


"Ok"
Rajyavardhan ne shaanti se haan me apna sar hilaaya aur kuch kapde lene ke liye oopar chala gaya.



Idhar, jahan Saanvi khadi thi, usne wahin se Manav ko kudte hue dekha. Uski mom uske bajaay Manav par jyada dhyaan de rahi thi, iss baat se weh bilkul bhi khush nahi thi.

Asal me weh abhi bhi is baat se sahaj nahi hui thi ki uske parents Manav ko apni family ka hissa maante the. .


Jab ve use family trip par le gaye, tab bhi weh bamushkil iss baat ko pacha paayi thi, lekin ab... ab use raat me rukne ka bol rahe hai? kya pata agli baar aur kya kya ho jaaye..?


Doston aapne bhi kabhi observe kiya hoga generally ladkiyaan is umr me, apni cheejon ko lekar bahut possessive aur territorial hoti hai..
yahan tak ki kayi baar school me, bench par line tak khich jaati hai ki itna area mera aur utna tera!


Khair.. uski jalti ghoorti nigahon ko Manav ne poori tarah se ignore kar diya.
Usne to kabhi Saanvi ko apni mangetar ke roop me maana hi nahi..
Use Saanvi se bas yahi ummeed thi ki weh apne English subject ke grades sudhaar le bas.. aur agar aisa wo kar paayi to, jo bharosa uske parents ne Manav par dikhaya tha wo nahi tootega.
Rajyavardhan aur Avantika.. donon ka vyavhaar bhi to Manav ke prati kitna acha hai.



Baharhaal jald hi Rajyavardhan, grey plaid pajamas ke 1 set ke saath wapas neeche chala gaya aur set Manav ko saumpte hue kaha,


Rajyavardhan : "Jayiye, jaldi se apne kapde change kar lein"


"Thank you!" Manav ne pajamas liya aur kapde badalne chala gaya.


Ab use nahi pata tha ki washroom kahan par hai.., Avantika kitchen se dishes baahar laa rahi thi, Saanvi oopar thi aur.. study room khali tha to Manav wahin chali gaya,


Halaanki ye kapde uske liye thoda bade the, lekin fir bhi... geele kapdo se to behtar hi the. .


Avantika saari taiyari pehle hi kar chuki thi aur ab sabka dinning table par wait kar rahi thi. Jald hi ve teeno bhi ready hokar, dinner karne ke liye baith gaye.


Table par swadisht vyanjan dekhkar Manav apni saari asahajta bhool gaya.
Agar beeta hua kuch samay dekhe to, Manav ko Avantika dwara banaya gaya lajeej khaana khaye kayi din ho chuke the. Isiliye.. khaane ko dekh kar uski ye pratikriya to swabhavik hi thi.


Manav (man me) : "Sani kitni lucky hai jo uski aisi.. wonderful mom hai jo itni caring, loving, intelligent and yeah.. very beautiful hai..." ๐Ÿ˜


Apna dinner karne ke ke dauraan achanak Avantika ne Saanvi ke school work ke baare me se poocha,


Avantika : "Manu, kya Sani ne apne English tests' scores me koi improvement dikhaya hai..?


Avantika ke sawaal ko sunte hi Saanvi ne Manav ki or ghabraahat se dekha, ๐Ÿ˜ง


Manav : "Ji Aunty.. Kuch improvements to hue hai. Sani pehle se behtar kar rahi hai..,"


Bhale hi Manav ne seedhe jabaab nahi diya.. Lekin vaastav me, kewal Saanvi hi jaanti thi ki uski English kitni weak hai. ๐Ÿ˜‘



Khair Avantika ne poochna jaari rakha,


Avantika : "Um.. Improvements to theek hai.. Par Sani ki school me overall performance kaisi hai?"


Manav ek pal ke liye to halka - bakka reh gaya kyunki use laga ki... ve usse Saanvi ke school bunk karne ke baare me pooch rahi hai. .
Usne ek reasonable answer ke baare me sochne ki bahut koshish ki lekin sab bekaar.. usko samajh nahi aa raha tha ki ispar wo kya bole.


Idhar Saanvi bhi ishare par ishare karti hui apni poori koshish kar rahi thi Manav uski or dekhe aur uski mom se kuch bhi ulta seedha na bolde..
Lekin sab waste.. Manav ne uski or dekha hi nahi ๐Ÿคฃ
Thak haar kar usne gusse se apni spoon kas kar pakad li, apne honth curl kar liye, aur sulagti najaron se Manav ko dekhne lagi.. ๐Ÿ˜ก


Khair Avantika ne aage kaha,


Avantika : "Oh, mera matlab hai ki, kya aapko lagta hai ki yein English padhne me apni poori mehnat kar rahi hai?"


Manav ne Avantika ko dhyaan se dekha.. use ehsaas hua ki ve abhi tak Saanvi ke school skip karne ke baare me nahi jaanti hai. .
Ispar usne raahat mehsoos ki aur kaha,


Manav : "Um., iske basics clear ho gaye hai. Ab ye shaayad apni class, jyada focus ke saath attend kar rahi hai.. "


"Hm, that's good, " Avantika ne muskurate hue haan me sar hilaaya.


Saanvi ne chupke se apni tention se bhari gehri saans chhod di.. Use to lag raha tha ki Manav uski pol khol dega.


Halaanki, Saanvi ke chehre ke sabhi haav-bhaav Rajyavardhan se chhipe nahi reh sake [baap.. Baap hota hai ๐Ÿคฃ]

Haan lekin woh unki baatcheet me shaamil hue bina apna dinner karta raha.



Avantika : "Na kewal English, balki ye doosre subjects me bhi utni achchhi nahi hai.."

Avantika ne ek pal rukne ke baad aage kaha,


"Midterms kuch dinon me start hone wale hai. I hope ki inki tests grades tab tak behtar ho jayengi.. isliye, yadi aapko koi problem naa ho to kya aap inhe other subjects bhi padha sakte hai..?โ€


Aur.. nishchit roop se apna Manav, "saasu maa" ki request ko naa nahi keh saka. :D
Usne haan me sar hilaaya aur kaha,

Manav : "Ok aunty... I will try my best.." ๐Ÿ™‚


Avantika : โ€œEnglish hi inka sabse weak subject hai. Aapko college ka bhi padhna rehta hoga to aap doosre subjects aise specifically mat padhaiye..
Kaisa rahega ki agar Sani ko kuch bhi doubt ya problem hui to wo aapke paas khud aa jaye?" ๐Ÿ˜Š


Manav : "Sure.. no problem"

Manav ne keh to diya lekin ab wo pareshaniyan khadi karne wali iss "chhoti mangetar" ke saath phans chuka tha..,
Halaanki iske baavjood weh apni itni achchi "saas" ke baare me koi shi shikayat nahi kar sakta tha.. Avantika thi hi itni achi :hinthint:



Avantika : "Humare liye Sani ki sabhi cheejen bahut pyari hai.. sirf, padhaai ke liye inka ravaiya hi hai jo humen pareshaan karta hai. Inke grades humesha se class me sabse low rahe hai.., aur isliye, jab kabhi hum parents-teacher meeting attend karte hai to hum.. har baar embarrass ho jate hai.., sighs*"


"To isliye....., ab samjha.. Aunty ek parent ke roop me embarrass nahi hona chaahti. Jab Sani ke grades itne kharaab hai to.., super charming aunty ke liye bhi apni devil beti par proud karna mushkil hota hoga..., "
Manav soch raha tha,
"Hehe, yahan tak ki Dragon Tribe bhi duniya ke kisi bhi ordinary parents ki tarah apne bacchon ko lekar pareshaan hai." :laugh:


Aur yaha.. Avantika ki baat par, Sani ka chhota sa chehra sharm se bhar gaya. ๐Ÿ˜ณ
Khud ko defend karne ki koshish me uske honth to khule.., lekin kya bole use kuch nahi soojha. Uske excellent PE (Physical Education) grades ko chhodkar, weh doosre sabhi subjects me class ke sabse duffer students me se 1 thi. :sigh:



Jab Avantika ko ehsaas hua ki woh Manav se kitne sawaal pooch rahi hai to usne kaha,


Avantika : "Sorry Manu~ mai bhi na.. hehe.. kuch jyada hi questions pooch rahi hoon, " ๐Ÿ˜…


"It's ok.." ๐Ÿ˜„ Manav hasa.


Woh kewal Avantika ke khaatir hi, Saanvi ko padhane ki apni poori koshish karega.



Dinning room me, sukoon dene wala classical music baj raha tha, aur.. baahar ho rahi bhaari baarish bhi, yahan ke aaramdaayak maahaul me koi khalal nahi daal paa rahi thi..
Ghar ke mukhiya ke roop me baitha Rajyavardhan to humesha se hi kam bolta tha.
To doosri or, khoobsurat Avantika ke chehre par ek aakarshak muskaan saji hui thi, maano weh is baat se santusht thi ki uske apno ka jeevan sahi disha me ja raha hai. .


Bachi Saanvi... to uski bhauhen tani hui thi aur muh phoola hua tha. ๐Ÿ˜ค
Weh shaayad... apni life me aaye, Manav naam ke "atikraman" se nipatne ki yojna bana rahi thi.


Baharhaal time tezi se beeta, aur ab sabka dinner lagbhag poora hi hone wala tha.


Avantika (bade laad se) : "Dinner ke baad aap Sani ko padhane mere studio me ja sakte hai.. mai tab tak uske room me aapke liye bistar taiyar kar dungi.. taaki aap aaj raat achchhe se aaraam kar sakein," ๐Ÿ˜Š


"Phew...!"
Hairaan Manav ne turant muh me bhara soop wapas apne bowl me ugal diya,
"Cough* cough*"








itna hi likh saka.. waise complete update tuesday ko dena tha par 15 th hai aaj to aaj de diya :D

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,

๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

Fir milenge next update me :wavey:
To be continued.....
 
Status
Not open for further replies.
Top