• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Level

Smart Achiever
62
251
53
Day Week GIF by Titounis
Happy Thursday GIF
 

दी di

New Member
62
128
33
पन्ने ज्यादा बढ़ाने है या कहानी लिखनी है ऐ ही बता दीजिये साहेब

कहानी मे यह जो प्रश्न पूछे जाते है उसका आपको जवाब चाहिए


कितना देर लगता है बताइये जो आप सवाल करते है और उसका जवाब देने मे



आप कहानी के सूत्र मे है तो कहानी लिखो

आपको भी पता है ये कहा से आई है कहानी


फुटेज क्यों खा रहे है आप

अब
 

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
•°UPDATE 38•°


Recap -



Gate ke baahar se ek garjana bhari damdaar awaaj aayi, ⚡⚡
"Chutiyon kisne tumhe baahar aane ke liye kaha tha!!? 2 minute ke ander sab gym me dikho!!! "


Manav, sahit sabne peeche mudkar dekha.. to paaya ki ek vishaaal aakrti poore darwaaje ko block kar rahi hai..



"bhai ..."

Aahna ke muh se ek behad dheema shabd nikla.



AB AAGE :-


Ball se chot khaane ke baad bhi, 6 feet 4 inch lambe Danish ke dark face par gusse ya badle ke koi bhaav nahi the. Iske vipareet, wo baahar se aayi aawaaj ko sunkar kaamp utha aur ab.. kisi aagyakari student ki tarah dikh raha tha.


Danish ki tarah, uske saath khade bas‍ketball team ke doosre members bhi nervous dikhe.


Apne sar neeche karke, ve sab ek line banakar chupchaap restaurant se baahar nikalne lage. Darwaaje par intjaar kar raha vyakti, unmen se pratyek ke sar par ek thappad :slap: maar raha tha. Jab Danish gate se baahar nikla to usne uske sar par kuch jyada force se thappad maara aur.. Danish thokar khaakar ladkhadate hue kayi kadam aage chala gaya.
Lekin.. Iske baavjood, 6'4 feet lambe Danish ne chu karne tak ki himmat nahi ki.


Gate par khadi bheemkay aur lambi-chaudi kadkathi ko dekhkar.. , Manav aur uske dost uss vyakti ki bejod taakat ke baare me sochne se khud ko rok nahi sake...
Khaaskar tab, jab aate hi usne basketball team ke inn haramkhor ooche-poore ladko ke group ko itna discipline kar diya tha.


"Bhadwo fatafat apni training resume karo ! !"

Ek aur fatkaar ke saath, weh mysterious ladka basketball team ke members ko le university ki or badh gaya, jisse restaurant me maujood logon ko uski chaudi aur damdaar peeth dikhayi de gayi.

Yeh ladka Danish se bhi kareeb adha (1/2) feet lamba tha!


Unke jaane ke baad Chetan, jise university ki amuman jyadatar cheejen pata rehti hai, bola,


Chetan : "Wo hulk Basketball team ka captain Rannvijay Gupta aka Rocky hi hoga! Kewal wahi hi hai jo basketball team ke un belagaam ghodo par lagaam kas sakta hai.."


Haalanki iss ghatna ke shuru se lekar ant tak, Manav, Rannvijay ke chehre ki 1 jhalak bhi nahi dekh paaya tha;
Yeh insaan jab baahar khada tha to restaurant ke darwaje se bhi lamba tha, aur jab weh chala gaya to Manav ko sirf uski peeth ki ek jhalak dekhne ko mil saki. .


Khair Manav ne apne udte khyaalon ko viram diya aur sabse kaha,


Manav : "It's ok guys! Chalo apna dinner karte hai...!"


Situation ko halka karne me, Aahna bhi awkwardly smile karte hue Manav ke saath shaamil ho gayi.


Halaanki, iss gehma-gehmi se unka pehle jaisa party wala utsaah feeka pad gaya tha.


Table par,



Aahna : "Lakshya ko harakar tumne uska ego hurt kiya hai.. may be.. Ab uske friends tumhare liye aur pareshani khadi karenge..
Manav, please be careful.. "

Manav : " .... "

Manav ki chuppi par, Aahna ne aage kaha,

Aahna : "Haan lekin jyada chinta karne ki jaroorat nahi hai.. Atmost, wo log tumhe uncomfortable feel karwane se jyada kuch nahi kar payenge.. "


Manav : "Mai theek hun! ve log bewajah ye sab kar rahe hai. Aur waise bhi ye pehli baar nahi hai jab seniors ne juniors ko bully kiya ho.. Unn logon ne kayi baar Adarsh aur friends ko jabaran basketball court se baahar kar diya.., lekin unse ladne ke liye Adarsh to apne kuch buddies ko bhi bulane wala tha. . "


Aahna ne aah bharte hue use toka ,

Aahna : "Sighs* Acha rahega ki tum log ladai jhagda na karo.. nahin to college tum sabko punish karega."


Usne apne bade bhai se baat karne ke baare me socha ki, woh basketball team par apna control aur tight kar de..


Halaanki, Aahna jaanti thi ki isse kuch khaas fark nahi padne wala tha kyonki akele basketball team ke disciplined ho jaane se university me ragging aur bullying ka tradition kabhi khatam nahi hoga..

Iske alaawa, Lakshya, jo city ke Deputy Mayor ka ladka tha, ne sabse popular Rock Climbing club banaya aur.. college ke doosre sports clubs me bhi uske ache contacts the.
Weh khaas taur par basketball team ke members ke jyada kareeb tha, wo team jiska poori university me koi bhi rival banne ke layak tak nahi tha..



Chennai University ki basketball team poore desh bhar me famous thi. Iss team ne pichle saal ki National College League ki championship jeeti thi, jisse University ko bhi bahut sammaan mila..
Yahi kaaran hai ki college, unki bhayanak academic performances ke baavjood unko tavajjo deta tha.

Basketball team ke members ne saamanya students ko dara-dhamkakar rakha tha...,aur isse bhi jaroori baat ye hai ki unke peechhe university ka full support tab tak tha jab tak ve apni limit cross na kar de.


Aur unke saath ghanishth sambandh hone ke kaaran, Lakshya university me lagbhag jo chaahe wo kar sakta tha.


Khair... , Manav ne race jeetkar Lakshya ko neecha dikhaya tha.. aur ab weh Manav ko kayi problems me fasa sakta hai. .
Iss point ko lekar Aahna thodi chintit thi.


Jab Aahna in sabhi chintaon me khooyi hui thi, apna Manav kuch aur hi soch raha tha. .
Bhale hi Lakshya Deputy Mayor ka beta tha, lekin Manav uske badle ke baare me jyada chintit nahi tha,


Manav ki chinta to so-called celebrity top class students aur regular normal students ke beech ki khataas ko lekar thi. Rock Climbing Club ke members aur basketball team ke kuch khilaadiyon dwara Adarsh aur uske doston ko baar-baar basketball court se door bhaga diya gaya. Yeh campuss me chal rahi unlimited bullying ka sirf ek example tha. Yadi halaat aise hi rahe , to kabhi na kabhi jaroor ek badi ladayi chhid jayegi. .



Yadi ladai chhid bhi jaati hai to, koi bhi winner nahi hoga... Khaaskar Adarsh jaise kamajor log.
Haalanki Manav ko pata tha ki Adarsh pehle se apne anya doston se contact kar raha tha aur.. Agar Rock climbing club aur basketball team ke unn seniors ne apni bullying jaari rakhi, to Adarsh unse bhidne ke liye lagbhag taiyaar tha,



Ek baar to Manav ke dimaag me aaya ki - kya aise samay Elder Vinod ke card ka upyog karke University ke Vice Principal ke saath iss matter par baatcheet ki jaaye..?


Baharhaal.. victory celebration party bahut kam utsaah ke sath khatam hui.
Danish ke unhe disturb karne ke baad se hi Adarsh bure mood me tha. Agar Manav ne use shaant nahi kiya hota, to weh aaj raat apne doston ko un logon se ladne ke liye bulaane wala tha.


Hostel room me,


Adarsh apna seena thapthapate hue,
"Manav, agar wo log tujhe dubara pareshaan kare to bas mujhe ek call kar diyo! Aand phood denge bc sabki!!"


Uski baat par Manav muskuraaya aur jabaab diya,

Manav : "Kuch nahi hoga mujhe bro... vo log sirf bluffing kar rahe hai..! Ve kuch bhi serious nahi karenge.. So calm down" ☺ :alright:



Iss hostel me, Adarsh sabka bada bhai jaisa tha. Adarsh ke sabhi circles aur majors me kayi friends the, mandaliyon aur sabhi clubs me bhi kayi dost the.., isliye usko lagta ki use apne roommates ko cover karna chahiye.



Halaanki, weh kabhi sapne me bhi nahi soch sakta hai ki ab Manav ke support me khud, university ke vice principal Vinod Bedi the!

Vaastav me, so-called Dragon Tribe ke taur-tareekon ke according, Vinod Bedi ko Manav ki respect karna chaahiye aur use "Kunwar 1" Kehkar sambodhit bhi karna chaahiye.




Kunwar 1 isiliye kyuki abhi ye "Final" Nahi hua hai ki Saanvi ki shaadi Manav se hi hogi. Kunwar 2, Kunwar 3..etc matlab var (dulha) banne layak sabhi raajkumar ya ladke. Inme se jo bhi Sarvshreshth hoga wohi Saanvi ka husband banega.. - kuch kuch swyamwar type.
Waise bhi, Manav - Saanvi ki shaadi ka decision jaldbaaji aur majboori me liya gaya tha..


Dekha jaaye to... Agar Elder Vinod uske support me nahi bhi hote.. To bhi, Manav Lakshya se nahi darta...

Manav humesha low-profile rehta tha kyonki use public ki attention me aana pasand nahi tha, lekin... Lekin iska matlab ye nahi ki wo museebaton se darta tha. .!


Baharhaal aaj ka ye utaar - chadaav se bhara din samaapt hua. Agle din, university me sab kuch normal ho gaya.., halaanki kuch log abhi bhi discuss kar rahe the ki ek din pehle kya hua tha.


Class me Manav, middle school English practice questions solve karne me busy tha. Ye jaankar ki Manav aaj se dubara uss little girl ko padhane jaayega.. Sameer ne usse sawal jabaab na karte hue use akela chhod diya.


Long distance race ke champion banne ki shaan ab bas ek yaad bankar reh gayi thi. .
Manav ne ₹2000 ka prize money apne hostel room ke 'party money box' me daal diya tha; ab in rupees ka upyog Manav ke hostel room ke logon ke manoranjan ke lie kiya jayega. :party2:



Manav ke najariye me , kewal Lakshya ke jaise self-important ladke hi is tarah ki shaan aur ladkiyon ki cheerings ki parwaah karenge.. Usne race me apna best dene ki koshish ki kyonki race ke participants me uska bhi naam darj tha aur more importantly, weh Aahna ke protsahan aur uski ummeedon ko nahi todna chaahta tha... :hinthint:


Khair, Shaam hote hi aasmaan me andhera chhane laga tha. Manav ne bus 767 pakdi aur kuch der ke safar ke baad, Saanvi ke 2 manjila ghar ke saamne aa pahucha.


Pehli baar Saanvi ki mom ke haathon bana khaana khaane ke baad se hi, pata nahi kyu par jab bhi Manav Saanvi ko padhane uske ghar jaata tha to wahan.. dinner karne ke baare me sochte hi uske muh me paani aa jata tha.

Chunki aaj tuesday tha to Rajyavardhan se kiye gaye apne vaade ke mutabik, weh aaj Saanvi ko padhaane aaya tha.


Jab Manav ghar ke main door par khada hua, to achaanak Avantika dwaara pakaye gaye swadisht vyanjanon ki khushboo uske naathuno me bhar gayi..


Ek haath se apna bag sambhaalte hue, Manav ne door bell bajayi ke tabhi..


Achaanak aasmaan me jordaar gadgadahat hui aur bijli chamakne ke saath hi moosaldhaar baarish shuru ho gayi.. ⛈️
Darwaje par khada Manav, palak jhapakte hi aadha bheeg gaya tha.


"Aati hoon! !"
Ghanti ki aawaaj sunkar Avantika ne fauran kaha aur jab usne,
Manav ko baarish me bheegte dekha to use turant andar kheench liya.


Boom! Boom... ! ⚡⚡


Baadlon ki ek aur gadgadahat ke saath, khidakiyon ke baahar, akaash me bijali ki chamak phail gayi..,


Manav ne, baalon me se paani hatane ke liye apna sar hilaate hue, bag neeche rakh diya.
Kuch hi seconds me Avantika ek safed towel le aayi aur towel dete hue dheemi awaaj me Manav se kaha,


Avantika : "Manu.. tum aaj raat yahin ruk sakte ho... Actually Aaj, Elder Sharad baarish kar rahe hai aur yeh poori raat chale wali hai.."😊





🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊
iske baad ke words beh gaye sharad ki baarish me 🤣🤣🤣

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Agla update jaldi hi doston... iss time workload jyada hai kya kare 😢
To be continued.....
 

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Kya huaa bhai please update de do
Wait he nhi hota bro 🤜
Late hone ke liye sorry bro
Megha update mangta bro kal
Filhal to possible nahi h :sad:
Thoda free hote hi jaroor :good:
Bhai update kab tak aayega

Waiting for next update bhaiya ji please request
Posted
Bhai aaj to update aana tha
Aagya, traffic me fas gaya tha to late ho gaya😅
Uska hi intezar he bhai

😍😍

Bhai update k liye bola tha
Han bro, posted
पन्ने ज्यादा बढ़ाने है या कहानी लिखनी है ऐ ही बता दीजिये साहेब

कहानी मे यह जो प्रश्न पूछे जाते है उसका आपको जवाब चाहिए


कितना देर लगता है बताइये जो आप सवाल करते है और उसका जवाब देने मे



आप कहानी के सूत्र मे है तो कहानी लिखो

आपको भी पता है ये कहा से आई है कहानी


फुटेज क्यों खा रहे है आप

अब

yar story bi pudi ma war gi ha
Yes buddies Thursday ko kaha tha to Thursday ko ye raha nawa update :hug:
Doston abhi kaam jyada h isliye extra days baad ka bola tha ki update araam se complete ho jaye
Thank you so much for your patience 😄🙏
🍻
 

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
पन्ने ज्यादा बढ़ाने है या कहानी लिखनी है ऐ ही बता दीजिये साहेब
:noo: ye meri favorite story h to isko aap sab ke saath share karni h..
Bas yahi karna h :D
कहानी मे यह जो प्रश्न पूछे जाते है उसका आपको जवाब चाहिए


कितना देर लगता है बताइये जो आप सवाल करते है और उसका जवाब देने मे
:waitwhat: konse sawal :?:
आप कहानी के सूत्र मे है तो कहानी लिखो

आपको भी पता है ये कहा से आई है कहानी


फुटेज क्यों खा रहे है आप

अब
:slap:
दी di ji footage nhi kha rahe 😅
Bas iss samay time manage karna thoda mushkil ho gaya h 🥲
Har par update me jyada gap hi hoga :yes1:
[apni ray rakhne ke liye apka dhanyavaad/B] 😄🙏
 
499
781
93
•°UPDATE 38•°


Recap -



Gate ke baahar se ek garjana bhari damdaar awaaj aayi, ⚡⚡
"Chutiyon kisne tumhe baahar aane ke liye kaha tha!!? 2 minute ke ander sab gym me dikho!!! "


Manav, sahit sabne peeche mudkar dekha.. to paaya ki ek vishaaal aakrti poore darwaaje ko block kar rahi hai..



"bhai ..."

Aahna ke muh se ek behad dheema shabd nikla.



AB AAGE :-


Ball se chot khaane ke baad bhi, 6 feet 4 inch lambe Danish ke dark face par gusse ya badle ke koi bhaav nahi the. Iske vipareet, wo baahar se aayi aawaaj ko sunkar kaamp utha aur ab.. kisi aagyakari student ki tarah dikh raha tha.


Danish ki tarah, uske saath khade bas‍ketball team ke doosre members bhi nervous dikhe.


Apne sar neeche karke, ve sab ek line banakar chupchaap restaurant se baahar nikalne lage. Darwaaje par intjaar kar raha vyakti, unmen se pratyek ke sar par ek thappad :slap: maar raha tha. Jab Danish gate se baahar nikla to usne uske sar par kuch jyada force se thappad maara aur.. Danish thokar khaakar ladkhadate hue kayi kadam aage chala gaya.
Lekin.. Iske baavjood, 6'4 feet lambe Danish ne chu karne tak ki himmat nahi ki.


Gate par khadi bheemkay aur lambi-chaudi kadkathi ko dekhkar.. , Manav aur uske dost uss vyakti ki bejod taakat ke baare me sochne se khud ko rok nahi sake...
Khaaskar tab, jab aate hi usne basketball team ke inn haramkhor ooche-poore ladko ke group ko itna discipline kar diya tha.


"Bhadwo fatafat apni training resume karo ! !"

Ek aur fatkaar ke saath, weh mysterious ladka basketball team ke members ko le university ki or badh gaya, jisse restaurant me maujood logon ko uski chaudi aur damdaar peeth dikhayi de gayi.

Yeh ladka Danish se bhi kareeb adha (1/2) feet lamba tha!


Unke jaane ke baad Chetan, jise university ki amuman jyadatar cheejen pata rehti hai, bola,


Chetan : "Wo hulk Basketball team ka captain Rannvijay Gupta aka Rocky hi hoga! Kewal wahi hi hai jo basketball team ke un belagaam ghodo par lagaam kas sakta hai.."


Haalanki iss ghatna ke shuru se lekar ant tak, Manav, Rannvijay ke chehre ki 1 jhalak bhi nahi dekh paaya tha;
Yeh insaan jab baahar khada tha to restaurant ke darwaje se bhi lamba tha, aur jab weh chala gaya to Manav ko sirf uski peeth ki ek jhalak dekhne ko mil saki. .


Khair Manav ne apne udte khyaalon ko viram diya aur sabse kaha,


Manav : "It's ok guys! Chalo apna dinner karte hai...!"


Situation ko halka karne me, Aahna bhi awkwardly smile karte hue Manav ke saath shaamil ho gayi.


Halaanki, iss gehma-gehmi se unka pehle jaisa party wala utsaah feeka pad gaya tha.


Table par,



Aahna : "Lakshya ko harakar tumne uska ego hurt kiya hai.. may be.. Ab uske friends tumhare liye aur pareshani khadi karenge..
Manav, please be careful.. "

Manav : " .... "

Manav ki chuppi par, Aahna ne aage kaha,

Aahna : "Haan lekin jyada chinta karne ki jaroorat nahi hai.. Atmost, wo log tumhe uncomfortable feel karwane se jyada kuch nahi kar payenge.. "


Manav : "Mai theek hun! ve log bewajah ye sab kar rahe hai. Aur waise bhi ye pehli baar nahi hai jab seniors ne juniors ko bully kiya ho.. Unn logon ne kayi baar Adarsh aur friends ko jabaran basketball court se baahar kar diya.., lekin unse ladne ke liye Adarsh to apne kuch buddies ko bhi bulane wala tha. . "


Aahna ne aah bharte hue use toka ,

Aahna : "Sighs* Acha rahega ki tum log ladai jhagda na karo.. nahin to college tum sabko punish karega."


Usne apne bade bhai se baat karne ke baare me socha ki, woh basketball team par apna control aur tight kar de..


Halaanki, Aahna jaanti thi ki isse kuch khaas fark nahi padne wala tha kyonki akele basketball team ke disciplined ho jaane se university me ragging aur bullying ka tradition kabhi khatam nahi hoga..

Iske alaawa, Lakshya, jo city ke Deputy Mayor ka ladka tha, ne sabse popular Rock Climbing club banaya aur.. college ke doosre sports clubs me bhi uske ache contacts the.
Weh khaas taur par basketball team ke members ke jyada kareeb tha, wo team jiska poori university me koi bhi rival banne ke layak tak nahi tha..



Chennai University ki basketball team poore desh bhar me famous thi. Iss team ne pichle saal ki National College League ki championship jeeti thi, jisse University ko bhi bahut sammaan mila..
Yahi kaaran hai ki college, unki bhayanak academic performances ke baavjood unko tavajjo deta tha.

Basketball team ke members ne saamanya students ko dara-dhamkakar rakha tha...,aur isse bhi jaroori baat ye hai ki unke peechhe university ka full support tab tak tha jab tak ve apni limit cross na kar de.


Aur unke saath ghanishth sambandh hone ke kaaran, Lakshya university me lagbhag jo chaahe wo kar sakta tha.


Khair... , Manav ne race jeetkar Lakshya ko neecha dikhaya tha.. aur ab weh Manav ko kayi problems me fasa sakta hai. .
Iss point ko lekar Aahna thodi chintit thi.


Jab Aahna in sabhi chintaon me khooyi hui thi, apna Manav kuch aur hi soch raha tha. .
Bhale hi Lakshya Deputy Mayor ka beta tha, lekin Manav uske badle ke baare me jyada chintit nahi tha,


Manav ki chinta to so-called celebrity top class students aur regular normal students ke beech ki khataas ko lekar thi. Rock Climbing Club ke members aur basketball team ke kuch khilaadiyon dwara Adarsh aur uske doston ko baar-baar basketball court se door bhaga diya gaya. Yeh campuss me chal rahi unlimited bullying ka sirf ek example tha. Yadi halaat aise hi rahe , to kabhi na kabhi jaroor ek badi ladayi chhid jayegi. .



Yadi ladai chhid bhi jaati hai to, koi bhi winner nahi hoga... Khaaskar Adarsh jaise kamajor log.
Haalanki Manav ko pata tha ki Adarsh pehle se apne anya doston se contact kar raha tha aur.. Agar Rock climbing club aur basketball team ke unn seniors ne apni bullying jaari rakhi, to Adarsh unse bhidne ke liye lagbhag taiyaar tha,



Ek baar to Manav ke dimaag me aaya ki - kya aise samay Elder Vinod ke card ka upyog karke University ke Vice Principal ke saath iss matter par baatcheet ki jaaye..?


Baharhaal.. victory celebration party bahut kam utsaah ke sath khatam hui.
Danish ke unhe disturb karne ke baad se hi Adarsh bure mood me tha. Agar Manav ne use shaant nahi kiya hota, to weh aaj raat apne doston ko un logon se ladne ke liye bulaane wala tha.


Hostel room me,


Adarsh apna seena thapthapate hue,
"Manav, agar wo log tujhe dubara pareshaan kare to bas mujhe ek call kar diyo! Aand phood denge bc sabki!!"


Uski baat par Manav muskuraaya aur jabaab diya,

Manav : "Kuch nahi hoga mujhe bro... vo log sirf bluffing kar rahe hai..! Ve kuch bhi serious nahi karenge.. So calm down" ☺ :alright:



Iss hostel me, Adarsh sabka bada bhai jaisa tha. Adarsh ke sabhi circles aur majors me kayi friends the, mandaliyon aur sabhi clubs me bhi kayi dost the.., isliye usko lagta ki use apne roommates ko cover karna chahiye.



Halaanki, weh kabhi sapne me bhi nahi soch sakta hai ki ab Manav ke support me khud, university ke vice principal Vinod Bedi the!

Vaastav me, so-called Dragon Tribe ke taur-tareekon ke according, Vinod Bedi ko Manav ki respect karna chaahiye aur use "Kunwar 1" Kehkar sambodhit bhi karna chaahiye.






Dekha jaaye to... Agar Elder Vinod uske support me nahi bhi hote.. To bhi, Manav Lakshya se nahi darta...

Manav humesha low-profile rehta tha kyonki use public ki attention me aana pasand nahi tha, lekin... Lekin iska matlab ye nahi ki wo museebaton se darta tha. .!


Baharhaal aaj ka ye utaar - chadaav se bhara din samaapt hua. Agle din, university me sab kuch normal ho gaya.., halaanki kuch log abhi bhi discuss kar rahe the ki ek din pehle kya hua tha.


Class me Manav, middle school English practice questions solve karne me busy tha. Ye jaankar ki Manav aaj se dubara uss little girl ko padhane jaayega.. Sameer ne usse sawal jabaab na karte hue use akela chhod diya.


Long distance race ke champion banne ki shaan ab bas ek yaad bankar reh gayi thi. .
Manav ne ₹2000 ka prize money apne hostel room ke 'party money box' me daal diya tha; ab in rupees ka upyog Manav ke hostel room ke logon ke manoranjan ke lie kiya jayega. :party2:



Manav ke najariye me , kewal Lakshya ke jaise self-important ladke hi is tarah ki shaan aur ladkiyon ki cheerings ki parwaah karenge.. Usne race me apna best dene ki koshish ki kyonki race ke participants me uska bhi naam darj tha aur more importantly, weh Aahna ke protsahan aur uski ummeedon ko nahi todna chaahta tha... :hinthint:


Khair, Shaam hote hi aasmaan me andhera chhane laga tha. Manav ne bus 767 pakdi aur kuch der ke safar ke baad, Saanvi ke 2 manjila ghar ke saamne aa pahucha.


Pehli baar Saanvi ki mom ke haathon bana khaana khaane ke baad se hi, pata nahi kyu par jab bhi Manav Saanvi ko padhane uske ghar jaata tha to wahan.. dinner karne ke baare me sochte hi uske muh me paani aa jata tha.

Chunki aaj tuesday tha to Rajyavardhan se kiye gaye apne vaade ke mutabik, weh aaj Saanvi ko padhaane aaya tha.


Jab Manav ghar ke main door par khada hua, to achaanak Avantika dwaara pakaye gaye swadisht vyanjanon ki khushboo uske naathuno me bhar gayi..


Ek haath se apna bag sambhaalte hue, Manav ne door bell bajayi ke tabhi..


Achaanak aasmaan me jordaar gadgadahat hui aur bijli chamakne ke saath hi moosaldhaar baarish shuru ho gayi.. ⛈️
Darwaje par khada Manav, palak jhapakte hi aadha bheeg gaya tha.


"Aati hoon! !"
Ghanti ki aawaaj sunkar Avantika ne fauran kaha aur jab usne,
Manav ko baarish me bheegte dekha to use turant andar kheench liya.


Boom! Boom... ! ⚡⚡


Baadlon ki ek aur gadgadahat ke saath, khidakiyon ke baahar, akaash me bijali ki chamak phail gayi..,


Manav ne, baalon me se paani hatane ke liye apna sar hilaate hue, bag neeche rakh diya.

Kuch hi seconds me Avantika ek safed towel le aayi aur towel dete hue dheemi awaaj me Manav se kaha,


Avantika : "Manu.. tum aaj raat yahin ruk sakte ho... Actually Aaj, Elder Sharad baarish kar rahe hai aur yeh poori raat chale wali hai.."😊





🌊🌊🌊🌊🌊🌊🌊
iske baad ke words beh gaye sharad ki baarish me 🤣🤣🤣

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Agla update jaldi hi doston... iss time workload jyada hai kya kare 😢
To be continued.....
Supb bhai

Aise hi update dete raho,hum padhte rahenge 😂
 
Status
Not open for further replies.
Top