• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
:
•°UPDATE 37•°


Recap -


Lakshya ke ek dost ne uske kandhon par jacket lapetne ki koshish ki, lekin Lakshya ne use ek jabardast dhakka de diya.
Apni laal aankhon ke saath, weh bina peechhe dekhe apne thake hue shareer ko locker room me le gaya.
Jahir tha.. Uska award ceremony attend karne ka koi irada nahi tha.


Yahaan manch par, University ke vice principal, Vinod Bedi, haath mein chaai ka cup liye ek kursi par baithe the. Jab unki nazar Manav par padi, jo race jeet te hi Aahna ki or badh raha tha.. to use dekh kar ve bas muskura kar reh gaye 😊




AB AAGE :-



SAVE-20230105-235213.jpg


Sports field ke beech me ek simple award podium banaaya gaya tha. Manav aur 3rd place runner uspar apni apni rank ke anusaar chadhe, lekin sports event ke aayojak Lakshya ko nahi dhoond sake. .



Commentators ke paas ye announce karne ke alawa koi aur vikalp nahi tha ki, Lakshya race me ghaayal ho gaya hai aur isliye award ceremony me bhaag nahi le sakega.
Sports field ke andar aur baahar, jyadatar ladkiyaan Lakshya ki chinta me aapas me badbada rahi thi.
Asal baat ye thi ki, unn ladkiyon ko is baat ki parwaah nahi ki Lakshya race me first aaya hai ya nahi, ve sab to bas yahi chaahti thi ke woh humesha handsome aur cool bana rahe.


Awards podium par 2nd position khali rehne ke baavjood, award ceremony aage badhi aur Student Council ke President Kunal ne Manav aur 3rd position ke runner ko Certificate of Merit pradaan kiya.



Certificate to bas jeet ka ek symbol tha, jabki awards ka sabse attractive part ye tha ki pratyek game ke Champion ko ₹2000 cash, second aane wale ko ₹1,100 aur 3rd place par aane wale participant ko ₹500 milne the.


Competition me students badh chadh kar hissa le, uhne protsahan mile, iske liye hi prize money rakhi gayi thi. Beshak, Sameer jaise students jo jaante the ki ve sports me kamjor the, kabhi bhi sirf paiso ke liye Competition me bhaag nahi lete.


Jab Manav apna Certificate of merit aur puruskaar rashi praapt kar raha tha, Adarsh apne shart ke paise ikattha karne me busy tha.


Adarsh : "Jaldi! Jaldi! shart me haare hue paise nikalo chutiyon!"
usne bet amount likhe hue paper ko lehraaya,
"Chetan, 200! Kartik, 300! Sameer!!! gandu bhaag mat, fatafat apne 200 nikaal!



Ve log Khush aur dukhi donon the. Ek or.., ve hairaan aur khush the ki Manav race me first aaya; to doosri or, uski kshamta ko kam aakne ke liye khud ko Kos rahe the.


Haath me certificate aur prize money liye Manav, Aahna se baat karta hua stand par wapas laut aaya. Usne aas-paas Saanvi aur Daksha ko dhoondha, lekin shayad donon.. ja chuki thi.


Manav ne apna sar oopar uthaya aur paise ikattha karne me busy, Adarsh se poocha,

Manav : "Adarsh!!! yahan jo 2 school girls baithi thi, kahan hai wo donon!??


Adarsh : "Abee..! wo tere finish line cross karte hi chali gayi thi!,"


"Achchha....." Manav thoda niraash tha.


Lekin weh jald hi apni soch se baahar aaya aur Adarsh aur dusre doston par chillaaya,

Manav : "Mujhe prize money mil gayi hai! Aaj ki dinner party meri taraf se!"


"Tu rehne de Manav!" Sameer jo ₹200 haar chuka tha, thode gusse se chillaaya,
"Adarsh ne tujhse kahin jyaada paisa jeeta hai! Dinner party bhi wahi dega!! "


Sameer ke sujhaav ko sunkar, jo anya log haar gaye the, ve sabhi sahmati me chillaye,


"Haan! Party to Adarsh hi dega!!"



Adarsh ki fitarat kanjoosi wali nahi thi; iske vipreet, weh poore friend group me sabse dildaar banda tha. Wo hansa,

Adarsh : "Theek hai! aaj raat, chalo kuch fancy khaate hai! mai saara jeeta hua rupya Manav ki victory party me kharch kar dunga!" 😄


(Aahna ki maujoodgi me usne apne shabdon par control rakha)


Baki sab bhi sahmat ho gaye. Aakhirkaar, unhen garv tha ki Manav ne race jeet li, aur unmen se kisi ne bhi apne chhote-chhote nuksaano ki parwaah nahi ki.


Apni class ke ladkon ke beech gehri dosti dekhkar Aahna khushi se muskura gayi 😊


Usko dekh Adarsh chillaya,


Adarsh : "Class President! Tum bhi party me aa rahi ho! !"


"uh..?" Aahna hairaan thi, "Nah.. mujhe include mat karo.. Enjoy your celebration guys!!" 😅


"Oh come on! Haan Class President! maan jaao!"


Adarsh ne utsaah ke saath use manaya, jabki doosre ladke bhi sehmati me chillaye.


Aahna sharma gayi, “Ok ok.., mai tum logon ke celebration me add ho jaungi. Lekin... tum class ki sabhi girls ko bhi invite karo..! " 😅


Agar weh unke beech akeli ladki hoti to ye uske liye kuch awkward nahi hota?


Khair unki class me le deke kul 6 ladkiyaan thi, isliye Adarsh ne bade utsaah se apna haath unki or hilaaya aur chillaaya,

Adarsh : "theek hai! ! Tum sab bhi party me invited ho! ! :wave:


“So the next event is.. the Aerobics Competition!! All the contestants..,
Please enter the field as soon as possible!”

Commentators ne next competition ka announcement kiya.


Announcement ke samay, uddhami ladke achanak se shaant ho gaye, aur unki ankhein chamak uthi. Phir, ve khushi se jhoom uthe.

(Aerobics aur doorbeen.. :what1: shareer ka ek ek utaar chadaav saaf-saaf dikhega 🤤)


"Well... *sighs* ye log ..."
bebasi se Aahna ne aah bhari aur apni seat par baith gayi.



Jahir tha.., weh jaanti thi ki unn logon ke dimaag me kya chal raha hai.
Ladkon ka Aerobics Competition me apna interest dikhana ekdum jhooth tha, vaastav me unka dhyaan to, competition me aayi hui ladkiyon ke angon par tha. :boobyattack:


Manav ne bhi apni seat leli. Weh Aahna ki or jhuk kar uske thoda kareeb aaya,

Manav : "Urm.., Class President, mai apne prize money ke ₹ 2,000 class ko donate karna chaahta hun. Maine inhe aaj ke dinner par kharch karne wala tha.. lekin ab Adarsh sabka payment karega to... ma.."


Manav ko ghoorte hue, Aahna ne use beech me hi toka,

Aahna : "Tum prize money ko donate kyu kar rahe ho Manav! ? ise tumne apni mehnat se jeeta hai! Aur.. iske alawa, tumne apni class aur Major ka honour bhi to badhaya hai.. ise tum hi deserve karte ho!"


Uske serious expression ko dekhkar Manav thithak gaya.. ,

Manav : "O-okay..., phir.. ise mai hi rakh leta hun.."


Vaastav me, weh apni jeet ke liye Aahna ka bahut ehsaan maan raha tha, aur puraskaar rashi ko class me donate karna.. ye uske aabhaar jatane ka tareeka tha.


Isi beech, Ground ko dekhti hui Aahna soch rahi thi,

Aahna (man me ) : "Manav sach me doosre ladkon se alag hai. . woh na to laalchi hai aur na hi dirty-minded (ashleel).."


Uska dil dhadak utha 💓


Lekin jab weh Manav ki or mudi,


To usne use, Management Department ki pehli aerobic contestant ko, jo ground par jaa rahi thi, ghoorte hue dekha..
Manav ka muh thoda sa khula hua tha, aur uski aankhein chamak rahi thi 🤩


"Sighs* well..... forget it..."
Aahna speechless thi.


Aerobics Competition aakhiri event tha. Sabhi majors se select hui kaamuk ladkiyon ne music ke saath chhalaang lagate aur jhoomte hue apne kartab dikhaye..

yeh bada manmohak drashy tha. 😍


Iss 'master-class game schedule' ne, adhikaansh students ko poore competition ke ant tak baithai rakha.
Aur Top 5 best performer Majors ke result ke announcement ke saath hi Athletic Games ka great event samaapt hua.
Top performer Majors ko unki competition me rahi overall performance ke adhaar par, University Management Team dwaara puraskrit kiya gaya.


Aur iske saath hi stand par maujood students ek ke baad ek wahan se chale gaye.


Adarsh, apne sabhi doston aur class ki ladkiyon ko ek jagah ekatrit kar, unhe ek BBQ restaurant le gaya.

(BBQ ya barbecue restaurant - jiski specialty barbecue-style cuisine aur dishes hoti hai)


Unn 2 ladkiyon ko chhodkar, jinhone party me shareek hone me apni asamarth-ta jatayi, Aahna sahit 4 ladkiyaan, 20 se jyada ladkon ki party me shaamil ho gayin.
Jab ve sabhi paas ke chhote restaurant me daakhil hue, to unhone lagbhag aadha restaurant cover kar liya tha.


Long distance race me Manav ki jeet bhale hi unexpected thi lekin jashn manane laayak thi. Manav ko award dene ke liye, jo aaj ka Hero tha, Adarsh aur kuch doston ne jidd ki, ke chehre par gulabi laalima wali sundar Class President Aahna, Manav ke bagal me baithe.


Manav ne unhen rokne ki bahut koshish ki aur saath hi saath weh Aahna se, un logon ki taraf se maafi bhi maangta raha..
Lekin kismat se Aahna, un sabki khushi samajh sakti thi; bebasi se weh pout karte hue Manav ke paas baith gayi, aur.. Adarsh aur baaki sab se gussa nahi hui.


Beer, roasted meat, vodka, cold drinks, side platters aur sundar ladkiyaan... in sabhi ne ladkon ke adrenaline level ko badha diya.
Ve baar-baar apne beer mugs ko cheer 🍻 karte hue takra rahe the,
Lagbhag.. aadha BBQ restaurant unke mauj-masti ka sthaan ban gaya tha.

(adrenaline - ek hormone jo apne excitement level & energy level ko badha deta hai :toohappy: :happy: )


Bhole-bhaale dikhne wale Rupam 🥺 ki kayi baar request kar par, Aahna ko 2-3 glass beer peeni padi..
Manav ke bagal me baithi Aahna ka chehra gehra gulabi ho gaya tha, aur ab weh kisi fresh apple ki tarah sweet sweet aur chamakdaar dikh rahi thi.


Jahaan tak Manav ki baat hai, to ve uske saath narami se pesh nahi aaye. Lagbhag sabhi doston ne uske saath ek ek glass gatke. :cheers:
Halaanki yeh bas beer thi, lekin itni maatra aur drinks ki habit na hone ke kaaran Manav, apne ander nasha sa mehsoos kar raha tha. .


Yeh scene Manav ki jeet ke jashn ki tulna me shaadi ki daawat jaisa jyada lag raha tha.🤣


Aadhe nashe me dhut Manav, Saanvi ko poochne ke liye ek message bhejna chaahta tha ki kya weh university se wapas surakshit laut aayi thi . .
Halaanki, jab usne apna mobile nikaala, to use achaanak yaad aaya ki uske paas to Saanvi ka number hi nahin hai. .
Usne apne sar ko thapthapaaya aur apne nashe ki halaat par man hi man vilaap karne laga. :sigh2:


"HellO! Tum log bahut shor kar rahe ho!!"

Hall ke doosri taraf, table par kuch patakne ke ek jordaar noise ke saath, ek kathor aawaaj ne unki hasi - majaak aur baatcheet ko kaat diya..


Adarsh aur baaki sabne baat karna band kar diya aur us disha ki or dekhne lage.


Haath me beer ka glass pakde hue, crew-cut hairstyle wala ek hatta-katta ladka unhen ghoor raha tha.



Adarsh ne us ladke ko ek pal dekha aur fir khade ho kar jabaab diya,

Adarsh : "Ye ek public place hai. Agar tumhe humare shor se pareshani hai to, tum doosri jagah ja sakte ho,"


Hostel ke captain ke roop me, Adarsh ne Manav ko humesha apne protection me rakha tha.
Iske alawa jab woh school me tha, tab bhi weh apne school me ek badi toop ke roop me mashhoor tha. Weh naa kabhi kisi se dara naahi kabhi ladai-jhagde se peeche hata.



Baharhaal, woh hast - pusth ladka bhi khada hua aur Adarsh ko dekhte hue usne poocha,

Ladka : "Juniors, right!? "


Jab weh khada hua, to Hall me maujood logon ne uski asamaanya height ko dekha! Lagbhag 6 feet 5 inch height wala, weh ladka Adarsh se kareeb 1 feet jyada lamba tha!



Mahool me bhaavi ladaai ko bhaampte hue, Aahna turant uth khadi hui aur apne Class President ke lahje me kaha,

Aahna : "Adarsh! Chupchaap baith jao aur use ignore karo!"


Halaanki, Adarsh to Adarsh tha.. Darkar ya sehem kar peechhe hatna, uske usoolon me nahi tha.
Usne bina kisi dar ke us ladke ki taraf ghoor kar dekha.


Doosre ladke jo uss lambe ladke ke saath khaana kha rahe the, ve bhi achaanak khade ho gaye.
Unmen se har ek ladka kam se kam 6 feet lamba tha, aur.. ve ek saath khade hone par aakramak pahaadon ke samooh ki tarah dikh rahe the!


Adarsh ki safety ke dar se, aamtaur par darpok Sameer, jo apne group ke ladkon me sabse lamba tha, furti se Adarsh ke bagal me khada ho gaya. **(Update 5)**


Phir.., Manav ki class ke doosre log bhi Adarsh ke paas gaye aur uske donon or khade ho gaye. Manav bhi uske paas jaane wala tha, lekin Aahna ne uska haath majbooti se pakad kar use rok liya.


Adarsh ke group ko height ka koi advantage nahi tha, lekin unki sankhya opponents ki sankhya se 4 guna jyada thi.
Yadi ladaai chhid gayi, to uska result donon pakshon ke liye bhaari nuksaan wala hoga. .


Yeh bhaampte hue ki ladaai shuru hone wali hai, Aahna chillayi,

Aahna :"Take your seats guys! ! Don't fight! !


Lekin iss samay..., uski raay ki parwaah kaun karega?


Crew-cut wale sabse lambe ladke ne achaanak Manav ki or ishaara kiya, jise Aahna ne rok rakha tha,


Lamba Ladka : "Tu! tu chakka hai kya lalle?


Aahna ne aashcharya se us ladke ko dekha aur use ehsaas hua ki ve log yahan Manav ko pareshan karne ke liye aaye the. .
Usne apne dimaag par jor lagaya aur achaanak use yaad aaya ki yeh ladka 4th year ka student Danish Mirza tha.. aur University ki basketball team ka Deputy Captain tha. Yeh Danish, Lakshya ke khaas doston me se ek tha.



Jab Aahna kuch solution dhoondhne ke liye apna dimaag khapa rahi thi, Adarsh uss ladke ka actual intention samajh chuka tha. Usne uss ladke se direct pooch liya,


Adarsh : " To tum sab yahan Manav se bhidne aaye ho!?"


Halaanki Mechatronics Engineering Department ke 2nd year ke adhikaansh ladke computers ke jyada kareebi the, lekin aaj jarurat padne par ve ek-doosre ke support me khaade ho gaye..
Bhale hi ve humesha Manav ko chhedte the, use pareshaan kiya karte the! lekin unhone kabhi kisi ko use bully karne ka mauka nahi diya tha!
Never Ever!


Jab uske haath par Aahna ki pakad thodi dheeli hui, to Manav ne araam se apna haath chhudaya aur aage aate hue kaha,


Manav : "Adarsh, ye yahaan mere liye aaye hai."


Weh kadapi nahi chaahta tha ki Adarsh aur uske doosre dost uski wajah se hurt hon. Chunki ve log uske liye aaye the, to uske paas chhipne ka koi reason nahi tha.


Lambe ladke (Danish) ne Manav ko darane-dhamkane ki planning ki thi.. lekin use ummeed nahi thi ki sadhaaran sa dikhne wala Manav Shisht uska saamna karne ki himmat karega!
Uska majaak udane ke liye usne jo speech taiyaar kiya tha, wo ab bekaar ho chuka tha.
Ab aage kya karna hai... ye sochta hua woh ektak Manav ko dekhta raha.


Khair uski chuppi par, Manav uske paas gaya aur kaha,

Manav : "Agar aapko lagta hai ki hum aapse chhote hai aur bully ke liye achchhe targets hai, to sir..! aap bilkul galat hai!
Senior hone ke naate, aapke paas aisa kuch nahi hai jispar aap proud feel kar saken.. Maana ki, Lakshya kuch areas me excel rakhta hai, lekin apne oopar unhe kuch jyada hi ghamand hai! unhone khud ko overestimate kiya aur isliye mujhse haar gaye..! "


Danish ne halka sar neeche karke Manav ki aankhon me dekha,

Danish : "Tu sach me bahut arrogant hai! "


Manav ne apna sar naa me hilaaya aur ek aah bhari,

Manav : "Sighs* yeh arrogance nahi hai :noo:
Mai aapke saamne tark rakhne ki koshish kar raha hun. Aap mujhe pasand nahi karte, waise hi jaise mai aapko pasand nahi karta! Halaanki, maine aise randomly apke saath kabhi nahi uljha, shayad.. aapko lagta hai ki hum juniors hai to aap hume kabhi bhi bully kar sakte hai ya humari ragging kar sakte hai.. to sir.. again you are very wrong! "


Idhar Adarsh Manav par chillaya,

Adarsh : "Unke saath tark aur logic ki baath karne ka koi matlab nahi hai Manav! ye laato ke bhoot hai baaton se nahi maanenge!! "


Adarsh ko ye dambhi seniors kabhi pasand nahi aaye jo kamjor students par apni dhaus jamate the.
Uski naraazgi ki doosri badi wajah ye bhi thi ve baar-baar basketball court se use aur uske doston ko door bhaga dete the. :buttkick:



Swoosh… 🌬 -_ 🏀


Achaanak, ek brown basketball baahar se udti hui ander aayi!


Ball Adarsh ke sar ke oopar se gujri aur Danish ke chehre par ja lagi.


Danish bhale hi ek majboot shareer ka malik tha, lekin weh, high speed se aayi basketball ke takraav ka saamna nahi kar saka, aur... uski naak se khoon behne laga..


Gate ke baahar se ek garjana bhari damdaar awaaj aayi, ⚡⚡
"Chutiyon kisne tumhe baahar aane ke liye kaha tha!!? 2 minute ke ander sab gym me dikho!!! "


Manav, sahit sabne peeche mudkar dekha.. to paaya ki ek vishaaal aakrti poore darwaaje ko block kar rahi hai..



"bhai ..."

Aahna ke muh se ek behad dheema shabd nikla.






And... this update ends here.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Doston iss update ke saath hi 'Daily update series' bhi yahin end hoti hai :sad:
Next update - Thursday ko
aaj to yar hadd ho gayi thi net ro ro kar chal raha tha 😩
Be healthy~ , Be happy~ 😄
And God bless you all 😇
To be continued.....
 

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top