• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Happy new year😁 bro pata hai bahut dair Baad aya hu ap nai kaha tha next update 2023 mei Aya ga toh soocha 2023 mei hi Bhai. sai Mila Jai yaar ek update do yah Sara sport game niptado bro wasei ab kab shuru kar Rahe ho fabulous update bro🥳🥳🥳💎🎉🎉

Happy New Year Broo!! ...

Dhyan se shadow bhaii....dono ladkiyon ke spark ke beech me Manav kahin jal na jaye😁😂..... Race bhi krna hai usne abhi😁


Bhai Update Kab Aayega

Waiting for update bro

Ghanta Monday se
Etni lambi race hogai

Bas doston kuch hi der me
Intzaar karne ke liye aap sabka aabhaar
Intzaar karwane ke liye tahe dil se maafi 🙏
 
  • Like
  • Love
Reactions: Amrit_#0 and Level

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
•°UPDATE 33•°


Recap -


Halaanki unke vipreet, Manav Aahna ki special care se thoda uncomfortable mehsoos kar raha tha..

Abhi,
jab weh Aahna ki caring se uncomfortable mehsoos kar hi raha tha ki, tabhi uske peechhe se ek saaf, spasht aur sureeli aawaaj aayi,

"Uncle..~!" 🎶



AB AAGE :-


Sanny ka reaction kaisa hoga jab Manu ko athlete me dekhene keliye jayegi...
:D

Iss jaani pehchani awaaj ko sunkar audience stand par khada Manav ekdum se hadbada gaya.

Usne apna sar ghumaaya to dekha ki, Sani apne chehre par ek muskaan liye 🙂 uske just peechhe khadi thi. .

Sani ke paas hi Daksha, jisse weh ek baar VIMS ke gate par mil chuka tha, khadi thi. **(update 6)**


Manav ne aashcharya se Sani ki or dekha,

Manav : "T um.. tum yahan kaise..?? " 😳

Saanvi : "Kaise kya!? Maine school skip kiya hai" :idk1:


Manav speechless tha. Khair uske school chhodne ke baare me sochkar usne Saanvi ko daanta,

Manav : "Tumne khud to school skip kar diya.., aur.. apni friend ka bhi school skip karwa diya..!! too bad!, :noo:

Iske baavjood Saanvi ka ravaiya aisa tha jaise usne school skip karke kuch bhi galat nahi kiya ho,

Saanvi : " Offo! It's fine..! Aaj ki classes utni important nahi hai. "


Ab Manav aur kya kar sakta tha.. Saath hi, use bilkul bhi nahi pata tha ki ab wo iss "aafat" ko kaise jhelega..

Unki baatcheet sun Aahna ne Manav ko confusion me dekha,

Aahna : "yehh ...?" 🤔

Manav : "Ah.. yeh.. meri.. "

aur wo kewal itna hi keh saka -
" meri sister hai.. "

Aahna : "Tumhari lil sister bahut beautiful hai, " 😊
usne genuinely Saanvi ki tareef ki.

Aur.. Saanvi ne bhi soch samajhkar kaha,

Saanvi : " Aap bhi bahut beautiful hai..! Big siSS!"


Iss samay.. jab dono ladkiyaan ek-doosre ko dekh rahi thi, Sameer, jo audience stand me sabse oopar baitha tha aur taash khel raha tha, usne Adarsh ko poke kara :poke: aur Manav ki or ishaara kiya. 👉


Saanvi ko pehchaante hi Adarsh ki bauhe tan gayi.. ye wahi ladki thi jo Banyan Tree Cafeteria me Manav ko bade taam-jhaam se dhoondh rahi thi, **(update 2) **

Adarsh : "Abee Bhenn..choDD! yeh to wahi pichli baar ki chhutki hai.. Apna lodu shayad se.. musibat me hai!"

Sameer ne apne cards niche patak diye aur chintit hoker kaha,

Sameer : "Chale kya neeche?? Dekhte hai ki ab kya matter hai..! "

Adarsh : "Chutiye dekhna kya hai!? wo chhutki bhaukal hai! Mere bas ki to nahi hai woh..! tu jhel lega kya use gandu? ? " :slap:


Sameer : "To Kya kare abb? ?"

Adarsh ne Sameer ko aise dekha jaise usse bada akhand chutiya duniya me koi aur nahi hoga, 🤣

Adarsh : "Gand maraye Manav! 😁 apan to game continue karte hai !"

Aur apne patte me se ek patta niche patakte hue,

Adarsh : "Ekka lelo bhosdi walon..!!
🂡


Idhar..
Saanvi aur Aahna bina kuch kahe.. Kareeb 2 seconds ke liye ek-doosre ko dekhti rahi.


Doston.. Aahna bewakoof nahi thi..;
Jis lehje me Saanvi ne use "big sis" kaha.. usme use thodi jealousy mehsoos hui.
Isliye weh baat karna band kar, wait karne lagi.. ki ab aage kya hota hai..


Khair Saanvi ni najar wapas Manav par jaa pahuchi.. usne poocha,

Saanvi : "Ab to mai yahan aa gayi hoon..! waise tum kya chaahte ho ki mai wapas chali jaaun?"

Manav : "Aur.. tum kya chahti ho!? ki mai tumne school skip karne par appreciate karu!??"


Saanvi : "Humph! Okay then! mai jaa rahi hu Vin.. "

agar woh poora Vinod Bedi bol deti to Manav ke liye musibat khadi ho jati.. kya kya explanations deta wo sabko 😔

Manav ne furti se uske muh par dheere se haath rakh use aage bolne se rok diya aur phir uska komal haath pakad kar bolta hai,


Manav : "Fine..! Fine Fine!! You won. Tum.. thodi der ke liye ruk sakti ho.. lekin dophar se pahle wapas chali jana..!"

Saanvi ne Manav ke haath ko door dhakela, aur Manav ki seat par baith gayi aur Aahna ki seat par Daksha ko apne saath baitha liya.

Manav aur Aahna Dono.. use dekhte reh gaye..

Aahna Manav ke paas ayi aur uske kaan me phusphusate hue kaha,

Aahna : "lagta hai tumhari sister ko jhel paana bahut mushkil hai.. hehe~" 😅


Manav baichaini me apne forehead ko ragad kar reh gaya.. Aur apni asmanjasta ko vyakt nahi kar paya..,
Usne bilkul bhi expect nahi kiya tha ki ye "aafat ki pudiya" apni classes bunk karke yahaan aa jayegi.. :sigh:

Uski seat par baithne ke baad Saanvi ne kaha,

Saanvi : "Mujhko pyaas lag rahi hai. Jao! mere liye ek achi si colddrink lekar kar aao..! oh han, Daksha ke liye bhi ek drink le aana,"

Manav : 🙄 "...Mai tumhen paise de deta hun. Tum khud jaakar khareed lo!"

Saanvi : "Mai tumhare campus se familiar nahi hoon..! Agar me bhatak gayi toh?? Isiliye tum hi jao! " :nono:

Manav : "Achaa? to yahan tak kaise aa gayi??

Saanvi ne apni aankein sikodi aur garv ke sath kaha,

Saanvi : "Itni badi sports field ko dhoondhne me kon si badi baat hai? Aur field me yahan tak aane ke liye.. mujhe kayi students se tumhari class ke area ke baare poochna pada!" 😎

Aahna : "sighs* Manav.. uske liye shaayad.. campus me achi si shop dhoondhna muskil hoga.. to tumhe hi jaana chahiye.."


Akhirkaar... Manav - Saanvi ki bahajbaaji band hui. Aur Manav colddrinks khareedne sports field ke baahar chala gaya.

*pheww..* Saanvi ke paas ki 1 seat chhodkar Aahna doosri seat par baith gayi.

Manav ke sports field ke entrance gate se baahar nikalte hi, Saanvi apne left side mudi aur apne se theek 1 seat door baithi Aahna ki aankhon me ek tak ghoorte hue poocha,

Saanvi : "Kya tum uski gf ho!? " :huh:

Uske iss sawaal ne Aahna ko aashcharyachakit kar diya..

Aahna : "Uh... um... ?" 😳

Aahna ne use awkwardly dekha kyunki use Saanvi se iss tarah ke sawaal ki jara bhi ummeed nahi thi. Oopar se aap se seedha tum..

Usne is chhoti si ladki ko dhyaan se dekha aur paaya ki uski gori skin bahut naajuk aur smooth thi.. Uski badi badi kaali aankhein uski cuteness ko aur bhi jyada badha rahi thi.
Iske alawa.. ek sadhaaran middle school uniform me wo bilkul bhi average nahi dikh rahi thi.. Balki, uska look behad youthful aur lively tha!

Uski body jo bhale hi dheere-dheere grow kar rahi thi, lekin fir bhi usne logon ko yeh sochne par majboor kar diya ki aakhir weh itni sundar kaise thi... ? 😍
Koi bhi use dekhega to use behad sundar hi payega aur bade hone par uske vaastvik saundarya ki kalpna kare bina nahi reh sakega.


Haan wo alag baat hai ki Saanvi ki aggressiveness se Aahna ko woh jara bhi cute nahi lagi. 😅
Aisa lag raha tha maano Saanvi ki body se ek "dangerous aura" nikal rahi ho.., jisse "big sis" Aahna, joki usse takareeban 4 se 5 saal badi thi, thoda nervous ho gayi thi. :?:

Saanvi : "Maine dekha tha ki tum use paani de rahi thi," 🤨

Aahna : "Ohh.. acha wo..! "
usne rahat ki saans li,
"Manav bilkul tumhari tarah hai.. wo bhi apne saath peene ke liye kuch nahi laya tha to maine use apni water bottle de di thi..
Bas itna hi hua tha..! " 😅

Saanvi ne apni garden tirchhi ki aur Aahna ko aise dekha maano wo use double-check kar rahi ho,

Saanvi : "To tum uski gf nahi ho??"


Aahna ne dheere se naa me sar hilaaya,

Aahna : "um... nope ..."


Saanvi dheere se budbudayi,

Saanvi : "Laga hi tha! akhir ek 'uncle' jaise ladke ki gf kaise koi ban sakti hai? "


"Uncle...."
yah 'Title' sunte hi Aahna hairaan reh gayi. Bhale hi Manav utna good-looking nahi tha.. lekin weh kisi uncle jitha boodha aur dull bhi nahi dikhta tha.

Khair.. Aahna ne Manav ki anupasthiti ka upyog kiya aur poocha,


Aahna : "Tum.. uski sister ho?"


Saanvi : "Tum sach sunna pasand karogi ya jhooth? "

Aahna : "uh.. Sach.. of course..! "

"Of course " phrase jodne ke baad bhi, Aahna, ka lehja hesitant wala hi lag raha tha. .
Shayad weh sach aur jhooth donon sunna chaahti thi!

Saanvi : "Mai tumhe pehle hi bata doon ki Uncle ek useless person hai! Agar tum use apna bf banati ho to tum pakka aage bahut pachtaogi! "

Aahna : "Oh.... to.. sach kya hai! ?"

uski iss unexpected "advice" ko sunkar Aahna ke maathe par paseene ki kuch boonden ubhar aayi..


"Sach? Sach yeh hai ki,.."
Saanvi jaanboojh kar thoda ruki, "Mai uski fiancee (mangetar) hoon."

Aahna : "Ehh...?? " :shocked:


Uska muh khula ka khula reh gaya, aur weh lagabhag apni seat se aage ki or girne ko ho gayi,

Isi samay, Manav cold-drinks ki 4 bottle lekar, bhaagte hue wapas aaya.

Saanvi aur Aahna ko separate karne ke liye woh jaanboojhkar unke beech ki khaali seat par baith gaya. Phir, usne Saanvi ko 2 bottle pakda di,

Manav : "yeh tumhare aur tumhari classmate ke liye."

Fir, usne Aahna ko ek bottle di,
"yeh tumhare liye!"


Daksha ne Saanvi ke haath se bottle li, aur uske kaan ke paas apna muh laakar phusphusayi,

"Wo.. Fiancee wali baat joke thi na? "

Saanvi uske kaan me phusphusayi,

Saanvi : "Of course! mai use pagal bana rahi thi,"
Aur usne Daksha ko ek aankh maar di, 😉


Daksha : "Lekin Sani tune unke saath aisa kyu kiya?"
Usne asmanjas me poochha.

Saanvi : "Muje kisi baat par gussa aaraha hai.. Usko pagal bana diya to kya ho gaya!?" 😤


Saanvi aur uski classmate ke aane ke baad, Manav aur Aahna ke beech ka mahool thoda alag lag raha tha. .
Pehle to dono, competition & competitors ko lekar bahut baatein kar rahe the; par ab..
Ab donon ka dhyaan middle school ki unn 2 ladkiyon par hi tha.



Manav ke piche baithe kuch ladke jo Saanvi ke baare me kuch bhi nahi jaante the, unhone Manav ko chheda,

"Yeh teri behen hai kya, Manav! ?"

Manav (man me) : "sighs* in logon ne to apne hi pairon par kulhadi maar li " 😔

Uska sochna bhi bilkul theek tha kyonki Saanvi bahut short-temper (gussail) wali thi..,
ab bas.. uske gusse se fat padne ki hi der thi...! 🌋


Halaanki, Manav ki ummeed ke vipreet Saanvi apne chehre par ek pyara sa cute expression laayi aur unse kaha,

Saanvi : "Hii~, kya aap logon ke paas kuch snacks hai?" 😺


"Ah..? "
"Oh..? "
...
...


Iss supar cute chhutki ki aisi farmaish sunkar ve dang rah gaye. Unhonne turant apne potato chips ke packets, biscuits aur chocolates.. sab kuch Saanvi ko deliver kar diye, 🤣


Saanvi : "Thanks..! cool Big Brothers! " 😀

Saanvi ne unhen ek bright smile di, jise dekh ve log khushi me lagbhag behosh hi ho gaye..

Iss tarah se, Saanvi ko baahar jaakar snacks khareedne ki zaroorat nahi padi. Usne snacks ke kuch packets khole aur unhen Daksha ke saath khaate hue competition dekhne lagi.
Manav ki existence ko to usne poori tarah se ignore kar diya tha.

Donon ladkiyan bahut enjoy kar rahi thi. Unhen itna maza aa raha tha ki aisa lag raha tha jaise ve kisi field trip ke liye aayi hon.


Idhar Manav poori tarah se speechless tha.. aur is baat par khud se bahas kar raha tha ki aaj raat, Sani ki kartooton ki shikayat Uncle se karna chahiye ya nahi.
Aur to aur, Saanvi ko bilkul bhi nahi lag raha tha ki school skip karke usne koi galti ki hai..

Yeh.. Kuch aisa tha jo Manav ki school life me kabhi nahi hua..
Kam se kam use apne classes bunk karne par nervous to hona chahiye tha.. :sigh2:


Na kewal Manav, balki Aahna ne bhi un donon ko hairaani se dekh rahi thi.
Chhote se hi weh ek Tri-Merit student rahi hai.. To uske liye ye kalpna karna bhi bahut mushkil tha ki dono middle schoolers ne school bunk karne ki himmat ki.. wo bhi bina kisi reason ke!


(Tri-Merit Student - wo students jinki grades humesha A+ , jo sports me bhi sabhi aage aur.. jo morality me bhi sabse ache..
Teeno aspects me merit holders)


Sahi socha aapne..
Nishchit roop se, Aahna jis cheej ke baare me sabse jyada soch rahi thi, weh thi "fiancee" wali situation jiske baare me Saanvi ne kuch der pehle use bataya tha.
Use jara bhi vishwaas nahin hua ki yeh chhoti ladki Manav ki mangetar thi. Iske bajaay, uski soch me Saanvi.., kewal ek shararati chhoti ladki thi.


Halaanki, usne, Manav ko pick karne Lincoln Stretch Limousin ke aane.. aur uski engagement hone jaisi kuch afwaahen jaroor sun rakhi thi.


Aahna (man me) : "Aisa ho sakta hai ki.. Manav iss ladki ki badi behen ka fiance ho.."

"Agar aisi baat hai to.., no wonder ki Manav usse jyada kuch nahi keh saka.. aur usko apni chhoti behen ki tarah treat kar raha hai.., "

Iss tarah Aahna ne apne intelligent brain se "fiancee" situation ka analysis kiya.

"Haan par.. yeh little girl kitni sundar hai. . Iski behen to aur bhi sundar hogi...!"
Aahna ke dimaag me ek aur vichaar aaya.


Baharhaal javelin throw ka winner Life Science Major ke second year ka student bana. Halaanki uske javelin throw ki tulna Neeraj Chopra se to bilkul bhi nahi ki ja sakti thi, lekin phir bhi.. uski performance shaandaar thi.

Isi beech, doosre games bhi chal rahe the, jaise high jump, long jump, shot put, etc.
Stage ke paas lagi big screen par, best performers ke naam, scores aur unke photos dikhaye jaa rahe the.

Yahan.. Games dekhte dekhte donon, lagbhag poore snacks khatam kar chuki thi.


Achanak Saanvi Manav ki or mudi,

Saanvi : "Uncle, tumhara turn kab ayega? "

Manav : "Meri race dopaher me hogi.. "


Saanvi : "Konsi race?? "


Manav ne shanti se kaha,

Manav : "1500 meter-"

Itna sunkar Saanvi ki ankhein chodi ho gayi,

Saanvi : "Bas 1 hi! ??? "

Manav ne haan me sari hilaya, "Hmm.."

Saanvi : "Useless uncle..! "
Manav ke answer ko sunkar weh budbudayi.


Manav : "Tum kya chaahti ho? ki mai poora din bas running karta rahu!???

Saanvi : "Mai humesha apne school me, long distance race me first aati hoon! huh"


"Fine! next time mai tumhare school aaunga aur tumhari running dekhunga..! "
Manav ne yunhi absent mind se kaha.


Uski baat sunkar Saanvi ke chehre par thode jhunjhlaahat wale bhaav aaye , aur.. apne man ki asal baat ko baahar late hue woh chillayi,


Saanvi : "Youu..!! yadi tum race me first nahi aaye to tum bilkul useless ho!! " 😤


Kisi tarah..., uske shabd Manav ke dil tak utar gaye.
Use achaanak ehsaas hua ki Sani ke school bunk karne ka reason shayad... yahi tha ki.. woh Manav ki race dekhna chaahti thi!

Manav ke dil aur dimaag me Saanvi ke school skip karne ka jo virodh chal raha tha.. achanak weh virodh gayaab ho gaya...
aur ab, virodh ki jagah uske ander bas apanepan ka ehsaas tha..
Lekin.. agar yahi baat hai to...


Manav : "Tumhe dopaher se pehle wapas jaana hoga..! "

Saanvi : "Tum ek baat ke itna peeche kyu pad jaate ho!?? " usne apni sunder eyebrows twist ki,
" maine pehle hi aaj ke liye leave ki application submit kar di thi! "

Manav : "Leave lene ka reason? "

Jald hi use ehsaas hua ki woh Saanvi par kuch jyada hi discipline thoop raha hai. . Khaaskar tab, jab weh kuch hafte pehle iss chhoti ladki ko jaanta tak nahi tha...


Manav ke sawaal - jabaab se jhunjhlakr iss baar Saanvi lagbhag cheekh padi,

Saanvi : "Mujhe bukhaar jaisa mehsoos ho raha tha!!! "

Manav ko ummeed nahi thi ki woh sirf uski race dekhne ke liye fever ki leave application de degi..

Saanvi ki or thoda jhukte hue weh bola,

Manav : "Fine, lekin meri race ke baad tumhen wapas jaana hoga."


Khair.., usne mehsoos kiya ki.. use Saanvi ko discipline karne ki koi jarurat nahi thi.. woh to uska guardian bhi nahi hai..
Aur to aur jab wo khud middle school me tha to usne bhi apni kuch classes bunk thi..
Class bunk karne ka silsila University me aakar to or bhi jyada ho gaya tha.. !
Isliye Manav, Saanvi ko iss baat par kaise apna lecture suna sakta tha..


Saanvi : "Theek haii!! tum kitne annoying ho! " 🙄😑


Daksha, jo uske paas baithi thi, ne haste hue apne muh dhank liya. :gaylaugh:

Yeh.. shaayad pehli baar tha jab usne 'nidar' Saanvi ko kisi ke dwara itna pareshan hote hue dekha tha. 😁


Use aaj Saanvi ki wajah se school chhodna pada.. aur jo reason usne teacher ko diya woh tha ki use, hospital me Saanvi ko company dena tha.
Uske school ke lagbhag sabhi teachers ko pata hai ki Saanvi ki family kitni rich aur prabhaavshaali hai, to unhen leave bhi asaani se mil gayi.

Haan lekin jis baat ne Daksha ko chaukaya woh thi, ki bhale hi school me Saanvi ek excellent student nahi thi lekin yeh pehli baar tha jab usne apni classes skip ki thi..


Filhaal Aahna ka to dhyaan ground par hi raha..

Aahna : "Ab 1600 meter relay race hogi! "
Usne Manav ko yaad dilaaya.

Announcement hote hi darjan bhar students apni seats se uthkar, track par apne apne spots ki or chal pade.


Uski baat sun jab Manav ne apna dhyaan ground par lagaaya to usne dekha ki Lakshya iss race me bhi participate kar raha tha.

1600 meter relay race Chennai University ke Athletic Games me mukhya aakarshan thi, kyunki is race me na kewal sehen-shakti aur explosive force ki jarurat hoti hai balki team work bhi utna hi maayne rakhta hai.

Aur iss race ke vipareet, 400 meter relay race itne jaldi khatam hoti hai ki audience vaastav me theek se maja hi nahi le paati.
Isliye ise 1600 meter race ke liye bas warmup ke roop me dekha jata hai.


Kuch der pehle jo audience stand lagbhag khamosh tha.. Lakshya ke track par aate hi cheering se goonj utha.


IMG-20221222-170735.jpg



Lakshya ne apne shaandaar thos solid deltoid muscles ko dikhane ke liye, jaanboojhkar apni half sleeves kandhe oopar chadha li. Uske sports shorts ke neeche mote, muscular aur majboot pairon (legs) ki jodee thi.
5'11 height hone ke kaaran weh apne un mote pair se thigna (short) aur motu nahi balki, behad shaktishaali lag raha tha. 💪

Jis tarah se usne apne muscles ka show off kiya, usse lagbhag sabhi ladkiyon ke cheekhne ki ek aur lahar sports field me goonj uthi.

Track ko dekhte hue Daksha ne Saanvi se kaha,

Daksha : "Sani! wo golden sportswear wala ladka kitna handsome hai na. .! " 😍

Lakshya ki or dekhkar Saanvi ne haan me sar hilaya..


Saanvi : "Em.. yeah"


Unki baat sunkar Manav ne apni apatti jatayi,

Manav : "Little kids, tum 'good looks' ke baare jaante hi kya ho?"


Daksha ghoomi aur usne Manav par kuch pal nazar daali 🙄
Uske expression se aisa laga.. jaise Manav ne unke 'beauty taste' ka tiraskaar kar diya ho. :buttkick:

Halaanki, Saanvi ne Manav ke shabdon ko nahi sun paane ka naatak kiya. Aur woh track ko aise ghoor rahi thi jaise weh Lakshya, jo wahan khud ko 'cool' dikhane ki koshish kar raha tha, ki tareef kar rahi ho.
Uski iss harkat se Manav ko thodi jalan mehsoos hui.

Halaanki usne Saanvi se shaadi karne ke baare me kabhi nahi socha tha, lekin phir bhi.. bhale hi naam-matra se, par thi to woh uski mangetar hi..


Aur... Jo baat use pata nahi thi wo yeh.. ki jab Saanvi ne Aahna ko use paani pilate hue dekha tha.. to Saanvi ke vichaar bhi lagbhag uske jaise hi .. jealousy wale the. :hint:

Khair.. Kuch minutes tak warm up karne ke baad, sabhi athletes ne apni apni position le li.


" Come oN ABC!! "
" Ceome ON XYZ!! "
...
...

Jaisi cheerings poori sports field me goonj gayi.
Halaanki, sabhi cheerings me se jo sabse oonchi aur laybadhh thi .. Woh nishchit roop se yahi thi 👇


"COME ON LAKSHYA !!!!!"

"COME ON LAKSHYA !!!!!"

...
...

Iss awaaj se Manav jhunjhla gaya,

Manav (man me) : "Hadd hai!! itna acha sports event ab kisika 'private show' ban gaya hai..! "

"Woh to acha hai ki Athletic Games ke rules ache hai jinke according ek student maximum bas 3 games me hi participate kar sakta hai..
Nahi to.. pata nahi yeh aur kitni limelight le leta.. *sighs*"

Manav ko ehsaas nahi hua ki Lakshya ke prati uski jhunjhalahat, ghrina me badal gayi thi..



Halaanki, jyaadatar ladke apne apne kaarano se, Lakshya se naraaj hi the.
Jaisa ki weh humesha khudke "cool" hone ka dikhawa karta tha.., University ke jyadaatar ladke man hi man use gaaliyaan dete the.


Aakhirakaar, Lakshya ke pita Chennai City ke Deputy Mayor the, aur wo khud bhi sabse popular rock climbing club ka president tha; Adhikaansh londo ko.. uske paas aane tak ka mauka nahi mil pata tha.


BANG! :gunfire:

Jaise hi pistol se goli nikli, sabhi participants bahut jyada acceleration se aage badhe. Dekhte hi dekhte poora mahaul garm ho gaya. . Field me tarah-tarah ki cheerings goonj uthi.


Mechatronics Engineering Major ki tulna me, International Business Administration Major me jyada male students nahi the.
Yahi wajah hai ki unhone ne Games me kabhi achchha pradarshan nahi kiya..
Isliye Major ki performance ko boost dene ke liye, turup ke ikke ke roop me - Lakshya ko 4th runner ki position par rakha gaya.



3rd runners ke turns poore hote hote, International Business Administration Major aur doosre Majors ke beech ki doori aur bhi badhti gayi..
Ab jab relay baton Lakshya ko saunp di gayi thi, to Mechatronic Engeenering Major ke 1st place runner se uski doori kareeb 500 meter thi aur Computer Science Major ke 2nd place runner se kareeb 400 meter.

"Uska itne distance gap ko cover kar paane ka to koi chance hi nahi! "
Track ki situation ko analyze karne ke baad Manav ne man hi man socha .


Halaanki, sabse baahar ke track par daud rahe Lakshya ne ab apni speed badhayi. Uska golden sportswear aisa lag raha tha ki maano sportswear ne uske chaaron or ek golden bavandar 🌪 paida kar diya ho!
400 meter ki doori wo lagaataar flat-out sprint me aise dauda jaise ki woh bas 100 meter ki daud laga raha ho.


2 meter! 1 meter!

Aur wo 2nd place runner ko pachhaad kar khud 2nd place par aa gaya!

1st place me ab kewal 100 meter bache the!


Jaisa ki 400 meter relay race ke dauraan hua tha, ab weh 1st place wale runner se lagbhag 5 meter peechhe tha!

Uska 1 st place runner ko pachhaad pana impossible tha kyonki woh pehle hi pichhle 500 meter ki doori apni poori gati aur dum se daud chuka tha.
Race ki aakhiri 100 meter ki doori woh kaise dubara sprint lagaakar daud sakta tha..??


Manav apni seat se uthe bina nahi reh saka aur khade hokar dhyaan se track ko dekhne laga; uska dil joro se dhadak raha tha.

Darasal..,

Manav akela nahi tha. Audience stand par lagbhag sabhi log iss aakhiri 'Dash' ko dekhne ke liye khade ho gaye the.

Aur..

WhoOSH!

Lakshya ne aashchary-janak roop se 1st place ke runner ko peechhe chhod diya aur usse 1 meter ke gap se finish line paar kar li!


"wOWWWW....!!"

Poori audience mantrmugdh ho gayi. 😍


Manav hairaan hokar kabhi finish line to kabhi winner Lakshya ko dekh raha tha,


Manav (man me) : "Kya yeh sach me ek insaan hai! ?? Uske paas itna strong explosive force aur itni gazab ki sahan-shakti kaise ho sakti hai!?" 😲


Daksha : "Ye kitni fast running karta hai~!!" 😍

jab Daksha ne ko pehli baar Lakshya ko daudte hue dekha to woh uski tareef kiye bina nahi rah saki.


International Business Administration Major ke 2nd aur 3rd year ke kayi students khade hue aur chillakar taali bajate hue apne senior ke liye joordaar cheering karne lage!

:claps: :applause: :laughclap: :claps: :applause: :laughclap:


Ek baar firse se 'Hero' banne ke baad, Lakshya ne turant apni golden sports T-shirt utaari aur apne hard muscles ka show off karne laga.
Phir usne T-shirt ko apne ek haath me pakda aur oopar lehrahate hue chaaron or wave :wave: di.



"Dekh sala kitna natak kar raha hai! "

"Kya ye khudko 'World Champion' samjhta hai! ?"

..
..
..

Result dekhkar, Manav ke aaspaas ke log ek ke baad ek baith kar, apna asantosh jaahir karte gaye.


"LAKSHYA!" "LAKSHYA!!"

"LAKSHYA!" "LAKSHYA!!"


Iss naam ko International Business Administration Major ke kareeb 1,000 se jyada students rhythm ke saath chilla rahe the.


Manav ne bhi apni seat leli aur paas rakhi Aahna ki water bottle se usme bacha aakhri ghoot pi gaya.


"Isne apne Major ko haarne se bacha liya aur.. 2 baar aakhiri moment me jeet haansil ki. Iss respect se, ye yakeenan proud karne ke layak hai...

Halaanki, ye apne Major ki respect ke liye nahi khel raha hai.., ise bas apni limelight ko badhane se matlab hai...
Ye bas doosron ko aise hi khudke liye cheer karte hue dekhna chaahega! "

"Jaahir hai.. usne apne team members ke saath apni victory ko celebrate nahi kiya. Iske bajaay, woh akele hi dikhawa karta raha jaise ki poori race sirf usne daudi ho.."

Lakshya ki jeet ke baad Manav shaanti se uske behaviour ka analysis kar raha tha, ke tabhi..

Saanvi ne Lakshya ki or ishara karke achanak poocha,

Saanvi : "Kya ye wahi hai.. jiske saath tum dopaher ko compete karne wale ho!? " 👉




Aur.. Saanvi ke iss sawaal ke sath ye update yahin khatam hota hai.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Socha tha shaam ko update du lekin kuch adchane aa gayi thi.. Abhi time bhi bahot ho gaya 11:56 pm, mujhe kareeb 1 ghante pehle so jana chahiye tha 😅
khair milte hai kal next update me..
To be continued.....
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Nice story bhai waiting for next update

Update bhai ji

Waiting for update Bhai

Waiting for next update bhaiya ji

Waiting bhai

Happy new year😁 bro pata hai bahut dair Baad aya hu ap nai kaha tha next update 2023 mei Aya ga toh soocha 2023 mei hi Bhai. sai Mila Jai yaar ek update do yah Sara sport game niptado bro wasei ab kab shuru kar Rahe ho fabulous update bro🥳🥳🥳💎🎉🎉

Happy New Year Broo!! ...

Dhyan se shadow bhaii....dono ladkiyon ke spark ke beech me Manav kahin jal na jaye😁😂..... Race bhi krna hai usne abhi😁


Bhai Update Kab Aayega

Waiting for update bro

Ghanta Monday se
Etni lambi race hogai

Update has been posted
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top