• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shivraj Singh

Active Member
597
1,105
124
Dosto ab sanvi to manav ki hongi 3 sal bad par manav ko humesha ke liye shalini miss ke sath sanvi ki maa Avantika uski humesha ke liye ho jaye. Isse kisi ko koi problem nahi honi chahiye.
 

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
Dosto ab sanvi to manav ki hongi 3 sal bad par manav ko humesha ke liye shalini miss ke sath sanvi ki maa Avantika uski humesha ke liye ho jaye. Isse kisi ko koi problem nahi honi chahiye.
Muzay chod kisi ki bhi hongi to Muzay problem hogi hi hogi ........ Are Avantika ke liye jan de denge 😏😏😏😏
Lv u avi baby 🥰🥰
 
Last edited:
  • Wow
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
•°UPDATE 32•°


Recap -


Use iss baat ka koi andaaza nahi tha ki jab Aahna apna sar uski or jhuka kar , bade interest se usse baat kar rahi thi, tab.. kitni hi jealous aankhein 👀👀👀👀👀 uski peeth ko ghoor rahi thin..

Achanak,

Sports field ke colourful background ke beech ek sensitive colour.. Manav ki najar me aa gaya..

Wahan.. Light-blue colour ki mid-schooler uniform, foolon 🌺🌻🌹🌷 ki bahaar ki tarah lehraha rahi thi..!




AB AAGE :-


"Sani? ?"

Manav ke dil ki dhadkan ek pal ke liye tham gayi..
Usne thoda dhyaan se dekha to pata chala ki sports field me enter karne wali 1 ke bajaay 2 ladkiyaan thin.

Door hone ke kaaran weh theek se dekh nahi saka ki ve ladkiyaan kaun hai. Halaanki, unki uniforms ka colour aur style, vaastav me Saanvi ke school uniform jaisa hi tha.


Jab Aahna ne Manav ke chehre ke badalte bhaavo ko dekha to usne poocha,

Aahna : "Kya hua Manav..? "

Manav : "Hmm..? Oh.. Nothing.. nothing..! "

Itna kehkar wo phir se stage ke paas se aa rahi un 2 ladkiyon ki or dekhta raha..

Manav (man me) : "ye to 2 hai.. so.. ye Sani nahi hogi..
Haan! woh to school me hogi..!"
Lekin ye Sani ke jaisi uniform...??"

Jo students warm up aur last moment practice karne ground me utre the, ve sabhi audience stand ke apni apni class ke designated area me wapas laut aaye.
Lakshya bhi audience stand par laut aaya aur doosre junior & senior competitors ke saath baith gaya.

Chunki junior students indoor games dekh rahe the aur.. senior & senior most (4th year+) students apni internship ke saath-saath jobs ki talaash me busy the, to unke liye games dekhna compulsory nahi tha. Isliye, junior and senior most competitors ke jyadatar classmates sports field me maujood nahin the.

Halaanki, isse Lakshya ko koi problem nahi thi.. kyonki woh university me famous tha aur sports field me maujood aur field ke aas paas ghoom rahi lagbhag sabhi ladkiyaan uske baare me jaanti thi..
Keh sakte hai ki.. wahan maujood aadhe (1/2) se jyada students uske supporters the.

Jaisa ki Athletic Games ka tradition raha hai..,
University ke Principal apni speech dene ke liye stage par chadhe..
Khair.. Unka speech kuch vishesh khaas nahi raha.. unhone bas students ko apni sports spirit banaye rakhne aur unko niyamit exercise karne ke liye protsahan dene par, jyada jor diya.

Principal ke baad Vice Principal Vinod Bedi ka speech tha. Unhone ek brief speech dene ke baad bade utsaah se Athletic Games ki shuruwaat ka announcement kar diya. :speech:

Yeh pehli baar tha jab Manav ne Vinod Bedi ko kisi public event me dekha tha. Usne kabhi bhi nahi socha tha ki Vice Principal use "special treatment" denge.
**(Update 9) **

Halaanki.. logon ko, sundarta ki parakasttha Ms. Shalini ki jyada parwaah thi jo aaj dikhai nahin di.

Lekin iske baare me agar dekha jaaye to,
Ms. Shalini ek instructor ya class advisor hone ke bajaay bas ek saadharan teacher thi..
Toh unhe iss sports event ko attend karne ki koi jarurat nahi thi.

Athletic Games me focus students ke major par rehta tha naa ki unke year par.. ki woh graduation ke kon se year me the.
Pehla game tha - 400 meter relay race. .!
Toh.. Management Major, Environmental Chemical Engineering Major, Mechatronic Engineering Major, Life Science Major etc. ke sabhi participants ground me utar gaye..

IMG-20221102-113420.jpg



Manav ne dekha ki Lakshya, joki International Business Administration Major se tha, woh bhi apne golden sportswear me ground me pahuch chuka tha.

Uske track par kadam rakhte hi ladkiyon ki cheekh nikal gayi. :toohappy: :toohappy:

Usi samay, Manav ki nazar sports field ke uss entrance par padi jahaan use wo 2 ladkiyaan dikhai di thi. Unn dono ladkiyon ko wahan na paakar usne raahat ki sans li. :sigh2:

Sabhi participants, track par apni positions laga chuke the.

BANG ! :gunfire:

Pistol ki aawaaj aate hi 8 majors ko represent kar rahe sabhi students achaanak bahut tezi se aage badh gaye.. 🏃💨 -_

Aahna : " sighs* ye sab kitne fast hain... "

Manav ko pata tha ki aisa hi kuch hoga kyunki ve sabhi apne major me best the..
Ve sabhi elite athletes the, aur.. saaf tha ki
unki performance - high school level ke sports - se kayi guna jyada achi thi!

Jald hi, 3 relay poore ho chuke the, aur kisi bhi major ne pass miss nahi kiya tha . .
Khair.. Ab relay batons ko unke last contestants ko saump diya gaya ..

Manav ka dhyaan kewal Lakshya par hi focused raha kyonki.. . weh shayad subconsciously.. Lakshya ko 1500 meter ki race me apna competitor maanta tha.


Jab baton teesre runner ke haath me tha to International Business Administration Major, first se 2nd position par aa gaya tha.
Aur yeh IBA Major ka runner, 1st place place par aa chuke Mechatronic Engineering Major ke runner se kareeb 5 meter peechhe ho gaya tha.

Halaanki, relay baton apne haath me aate hi Lakshya furti se 1st position wale ME Major ke runner ke peeche dauda.

Unn 5 meter ko mahaj 100 meter ki doori me cover kar paana behad mushkil tha.

Lakshya ko daudta dekh kuch shaant sa pad gaya audience stand achaanak cheering se goonj utha!

Yahaan tak ki Aahna bhi bade dhyaan se race dekh rahi thi aur saath hi apni seat se uth khadi hui.

5 meter! 4 meter! 3 meter!

Aashcharya se Manav ki aankhein khuli ki khuli reh gayi, :what3:

Lakshya ki running me ek powerful explosive force tha.. Bilkul kisi rocket ke jaisa! 🚀

Ladkiyon ki cheering, cheekh-pukaar mein badal gayi. .


Adarsh aur baaki sab jo taash khelne me magan the, ve sabhi apne cards neeche rakh aashcharya chakit ho race ko dhyaan se dekhne lage.. 🤨😲🧐


2 meter! 1 meter! ! ab ve barabari me hai!!!

"LakshyaAA...!!" :shout: :cheerlead: :toohappy:

Uske naam ki cheering se poora sports field goonj utha.

Athletic Games ki shuruwaat ke hi game me ban aaye iss romaanchak drshya ne university officials ke chehron par santoshjanak muskaan la di.. 😊

BOOM !


Aur, apne haath me relay baton liye Lakshya ne, aadhe (1/2) kadam ki tezi se finish line cross kar li !

Usne baton ko oopar uthaa diya aur audience ki or haath hilakar, apne "Winner" hone ka charm bikherne laga. :thanx:

"Lakshya!! Lakshya!!"

"Lakshya!! Lakshya!!"

ladkiyon ne aise uska naam pukaarna shuru kar diya maano wo uske lehrahate haath ke saath apni cheering ki rhythm mila rahi ho..

Lakshya jeet ki khushee me dooba hua tha. .
Jaise hi uske kaale baalon se paseena tapakne laga to usne apna sar shake kiya, aur ladkiyaan baawli ho uthi!

Lakshya ke chehre par garv aur santosh ke bhaav the. :winner:

Finish line ki or dekhte hue Aahna ne aah bhari,

Aahna : "S i g h s...* no wonder ki wo rock climbing Club ka president hain...,"

Manav : "Tum.. use like karti ho...!?

Ispar Aahna ne naa me sar hila diya,

Aahna : "Nahin...! bas mujhe lagta hai ki woh bahut cool~ hai.. uske grades achchhe hain, aur.. uska face bhi kitna cute hai.. oopar se sports me bhi wo acha performer hai...
No wonder ki woh itni saari girls ke liye unka 'Prince Charming~' hai."

Manav : "aur.. wo ek decent family se belong karta hai! ?"

Aahna ne mudkar uski or dekha,

Aahna : "Manavv...? Kya tumhe jalan ho rahi hai..?"

Manav ne apne kandhe uchkaye aur ek ajeeb si muskurahat ke saath poocha,


Manav : "Afternoon me meri uske saath 1500 meter ki race hai.. toh tum... uske liye cheer karogi ya mere liye? "😏

Aahna : "Of course tumhaare liye!"
Usne bina soche samajhe jawaab diya.

Manav ne satisfaction me apna sar hilaaya.

Achanak Aahna ko kuch galat mehsoos hua to usne poocha,

Aahna : "Tum..., kya soch rahe the Manav? ?"


Manav : "kuchh nahi... mujhe laga ki tum bhi uske fans me se ek ho..,"

Aahna : "Mai un ladkiyon jaisi nahin hoon! ,"

Halaanki, yeh sentence Manav ko kuchh jaana pehchaana sa laga. .

areeyyy bhai.. ab har ladki khud ko doosri ladkiyon se alag hi to batati haii.. 😅

Baharhaal second game start hote hi ladkiyon ki cheering feeki padne lagi...

Lakshya agle game ke liye thoda relax karne apni seat par laut aaya tha. Wahaan se, usne Manav ki or ghamand se dekha. :hinthint:

"Kya yeh ek warning hai??"
Manav ne socha.

Halaanki, long distance race me explosive force ki importance utni jyada nahi rehti hai..
Khair Spirit Concentration Scroll ko apne ander 1-2 baar dohrakar, Manav ne khud ko shaant kiya,

Second game javelin throw tha, aur yeh University me relatively ek naya sports tha..
Neeraj Chopra ke Olympic champion banne ke baad se University Athletic Games me iss game ki lokpriyata badhne lagi..

Aahna ne paani ki ek bottle ka dhakkan khola aur kuch ghoot peene ke baad, bottle Manav ko pakda di.

Aahna : "Manav.. pani, "

Usne pata tha ki Manav yahan khaali haath aaya tha..

Manav : "Thank you, Class President." 😅

aur wo embarrassment se hans pada.

Aahna : "Tumhe apni race ke kiye taro taaza rehna hai," 😊

Sameer aur baaki dost, yeh dekhkar bahut jealous hue ki Aahna, Manav ka kitna khyaal rakh rahi thi. .
Ve sabhi games me participate na karne ke apne decision par pachhta rahe the.🥲
Agar unhone apna naam Athletic Games ke liye diya hota to bhale hi wo games me last aa jate lekin Aahna unki bhi, Manav ki hi tarah dekhbhaal kar rahi hoti.... 🤤😖


Halaanki unke vipreet, Manav Aahna ki special care se thoda uncomfortable mehsoos kar raha tha..

Abhi,
jab weh Aahna ki caring se uncomfortable mehsoos kar hi raha tha ki, tabhi uske peechhe se ek saaf, spasht aur sureeli aawaaj aayi,

"Uncle..~!" 🎶


Are sanny Kidhar hai usko jaldi bulao re koi😁😁😁😁race suru hone wala Hai......


yeh last update hai..
.
.
.
.
.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

yeh last update hai iss saal ka 🤣
next updates next year se 😁

To be continued.....
Kya batau dosto saal ke aakhiri dinon me workload bahut badh gaya h isiliye update nahi de paaya
Abhi bhi bahut saara kaam bacha h. Replies and index update bhi baad me hi kar paunga 😞
Next week me extra updates deta hu.. Milte h fir 2023 me :flybye:
images-1.jpg
 
Status
Not open for further replies.
Top