• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
โ€ขยฐUPDATE 30โ€ขยฐ


Recap -

Iss nuksaan se bhale hi weh behad niraash tha, ๐Ÿ˜ฅ lekin iske baavjood usne iska doshi Adarsh ko nahi thehraya.

Akhirakaar.. , Adarsh ne use bahut der tak baahar khade hue dekha aur uski bhalayi ke liye hi use aaraam karne ke liye kaha..

Room me aakar Manav apni oopar ki berth par chadh gaya aur let kar jhunjhalaahat me sochne laga,

"Sighs..* Mujhe saadhna ke liye ek shaant jagah doondhni hi padegi.. jahan koi disturbance na ho..! "



AB AAGE :-


Aaj Chennai University me bahut chahal-pahal thi. Bina kisi saaj-sajja aur banners ke baavjood har taraf tyohaar jaisa mahool tha.

Adarsh aur donon namune subah jaldi hi uth kar aaj din ki vyavastha me me lag gaye. Unhonne kuch snacks, drinks, aur jugaad kiye gaye camera, telescope, binoculars aadi cheejen pack ki.
Taiyar ho ve apne aas paas ke rooms ke ladkon ke saath ek badi gang bana, sports field ki liye nikal gaye.

To doosri or, sportswear aur running shoes pehna Manav, cafeteria me breakfast kar raha tha. Wo subah jaldi hi taiyaar hokar yahan aa gaya tha aur wahin corner ki table par baith kar Spirit Concentration Scroll ke 3 round laga liye the.

Baharhaal, breakfast karne ke baad wo bhi sports field ki or rawana hua.

University me Athletic Games ko 2 sections me divide kiya gaya tha. Indoor games jaise badminton, basketball, volleyball haal hi me construct hue stadium me hone the. Jabki track, field , gymnastics wali outdoor activities - sports field me rakhin gayi thi.


Badi jagah hone ke kaaran indoor ki tulna me outdoor events jyada hote the. Isliye yeh jyada popular bhi the.

Chunki university ne iss event ke liye classes ko suspend kar diya tha, isliye first, second aur third year ke students ke liye games ko dekhna mandatory tha.
Niyaam kuch aise the ki, first year ke students ko indoor games dekhne the, jabki outdoor games second aur third year ke students ko dekhna tha.

Nishchit roop se.., lagbhag har student classes suspend hone se khush tha. Kuch baatein karte hue, to kuch snacks khate hue games start hone ka wait kar rahe the. Kuch to ghaas par aise pade hue the jaise picnic par aaye hon.


Halaanki, Sameer jaise ladkon ke liye, apne telescope, binoculars aur cameras ke saath sundar ladkiyon ko taadna sabse jyada interesting tha. ๐Ÿคฃ
...
...
...

"Faisal!"

"Present!"

"Palak!"

"Present!"

"Rupam!"

"Present!"

"Sameer!"

"Present!"
...
...
...

Jab sportswear pehna Manav, apni class ke designated area me pahucha to woh dekhta hai ki, Class President Aahna, attendance lena start kar chuki thi.

Chunki Class President khud attendance le rahi thi to, class ke ladke, dusri classes ke ladkon ki tulna me thode bahut discipline me the. Uski class ke lagbhag sabhi students na sirf wahan maujood the balki ve sabhi behad excited bhi lag rahe the.


Aahna ne ek simple sa shoulder cut white crop top pehna hua tha jispar aage ki or "Don't give up" ka print tha. Iss crop top me woh badi khoobsurat aur tarotaaja dikh rahi thi. Halaanki, jo uske outfit ko highlight kar raha tha wo ye top nahi balki uska ripped jean shorts tha jo uski sunder tango (legs) ko sexy ๐Ÿ˜ bana raha tha.

Uske pehnave se log uske ache mood me hone ka, andaja laga rahe the.

Aamtaur par normal kapde pehenne wali Class President ne aaj short kapde pehne hue the.. Jinme se uski nabhi aur safed, chikne, sudool pairon ko dekh ladkon ke dilon ki dhadkan badi hui thi :hot:

Jab Manav par Aahna ki najar padi to wo uchhal kar chehekte hue boli, :wave:

Aahna : "HeY Manav! are you readY!!?"

Manav : "YeaH! " ๐Ÿ™‹โ€โ™‚๏ธ

Manav uske paas pahucha.

"Woahh.......! "

Class President ko achanak itna khush aur utsahit dekhkar logon ki aah nikal gayi,

Khair, Aahna jaldi hi apne sakht Class President form me laut aayi aur sabko daante hue kaha,

Aahna : "Woahh.. Kya!?? Agar aap sab itne hi capable hai to aap sabhi Games me participate kar sakte the!"

Uske mulaayam silky baal uske peechhe bandhe hue the, jisse uski lambi surahidaar gardan aur komal kandhe saaf dikhai de rahe the. Uska chehra dhoop me bahut damak raha tha. Bina makeup ke bhi woh behad beautiful lag rahi thi; uski sundarta... natural thi, usme jara bhi seductivity nahi thi. ๐Ÿฅฐ

Halaanki, uski daant ke baavjood aaj ladke usse dare nahi. Iske bajaay, ve aur bhi mastikhor ho gaye.. :toohappy:

Aahna Manav ke paas aayi aur uski collar theek karte hue kaha,

Aahna : "Good Luck~ Manav!"

"WOwW....!! "

Aahna ke iss move se sabhi log aashcharya se chillane lage.
Shor machane me aaspaas ki classes ke kuch ladke bhi unke saath shamil ho gaye the.

Halaanki University me Aahna ne khud ko low profile hi rakha tha, phir bhi weh apne major ki sabse sundar ladkiyon me se ek thi.

Uske yun collar theek karne se Manav thoda embarrass hua aur peechhe hat gaya,

Manav : "thanks... I will try my best..!"

"HERE! Class President!! mai bhi 1500 meter race me participate karna chaahta hu! !" โœ‹

"Mujhe bhi participate karna hai! !"

"Me toO! !" ๐Ÿ™‹โ€โ™‚๏ธ

...
...
...


Doosre male students jalan aur eershya se chillaye.

Aahna ne unpar ke sarsari najar daali aur kaha, ๐Ÿ™„

Aahna : "Humph! Jab apna name dena tha tab to kisi ne diya nahi! Aur ab ye nautanki kar rahe ho!"

Class President ki iss baat par Sameer ucchal kar aage aaya,

Sameer : "Class President mera name bhi list me tha! Meri collar bhi theek karo na please...! " ๐Ÿ˜

Adarsh bhi peeche nahi reh saka,

Adarsh : " Naam to mera bhi tha! Haha..!" ๐Ÿ˜

Manav ko achche se yaad tha ki Aahna ne inn donon ke naam randomly note kiye the kyonki koi aur apna naam nahi dena chaahta tha. Aur ab.. donon namune iska faaida uthakar Aahna aur Manav ke maje le rahe the.

Khair.., Aahna ne unki "request " ko najarandaaj kar diya. Aur woh sharmate hue wapas sabki or mudi,

Aahna : "Ok..! Attendance resume karte hai..

Ritik...!"

Safed crop top me uske excellent figure ke ubhaar :booby2: aur curve dikh rahe the ๐Ÿ˜
Halaanki Aahna apni khoobsurati ka show off nahi karna chaahti thi, phir bhi wo londo ki najron me ek top level beauty/item thi.

University me apni pehli class attend karte hi Sameer ne apne teeno roommates ke saath shart lagai thi. Shart thi ki, class ke 38 ladkon me se kon iss beauty (Aahna) ko apni girlfriend bana payega.
Lekin vaastav me.. sacchai ye thi ke, ab tak na kewal unki class se, balki poori university me se koi bhi ladka Aahna ka boyfriend to door, uska achcha dost bhi nahi ban paya tha. Aur.. naa hi uske affair ki kabhi koi afwaah phaili thi.



University ki sabse popular ladki Fareeha , jiske affair ki afwaah aksar sunne ko milti thi, uske comparison me Aahna yakeenan low profile hi thi. Haan agar Sameer ki 'Girl Rating โญ' ko dekha jaye to 3rd year ki Fareeha.., look aur temperament, dono me hi Aahna se peeche thi. . Wo to bas, college ke popular aur prabhaavshaali lakdon ko rijhane me hi aage thi. Doosre tarike se kahe to Fareeha ki skills bas khud ko popular aur promote karne tak hi seemit thi.


Yahi Fareeha.., jo filhal kisi bigdail ladki ki tarah dhoop mein chhate โ˜‚๏ธ ke neeche baithi thi, Aahna ke classmates ka shor sunkar unki or dekhne lagi.


Aahna, jo apne casual kapdo me behad sundar lag rahi thi.. Usko dekhte hi Fareeha thoda hairaan hui. ๐Ÿ˜ฏ

Lekin uski hairaangi... irritation aur jealousy me tabdeel ho gayi jab usne dekha ki uski khud ki class ke jyadatar ladke use nahi balki Aahna ko taadne me lage hue the.

Halaanki Aahna ka iraada uske charm ko challenge karne ka nahi tha; usne aaj thode revealing kapde aur halka makeup isliye liya tha taaki weh apni class ke ladko ko cheer kar sake..

Wo alag baat hai ki bas Manav hi tha jo uski class se sports event me participate kar raha tha. :hinthint:

Kuch der tak Aahna ko ghoorne ke baad Fareeha ki najar sportswear pehne Manav par tik gayi. Kuch sochte hi uske chehre par sade hue expression aa gaye. Aur turant usne apni najar fer li ki logon ko ye na lage ki use ek ordinary ladke me interest hai.. :sigh:

Yahan.. 2nd year wale section me itna halla ho raha tha ki Manav shor ko aur nahi jhel saka.. Usne Aahna se kaha,

Manav : "Mai warm up ke liye wahan jata hu..! " ๐Ÿ‘‰

Aahna : "Warm up.. Abhi se..?? tumhari 1500 meter race to dopaher me hogi.. "

Aahna samajh nahi paayi .. ke Manav, Sameer aur doosre namunon se bachne ki liye wahan.. khali jagah par jaa raha tha.

Khair, audience stand ki seedhiyon se Manav jogging karte hue niche utarne laga aur utarte hue hi usne Aahna ko wave di aur kaha,

Manav : :wavey: "Sabhi long distance races dopaher me hi hongi.. to baad me warm up ke liye enough space milna mushkil hoga..! "


Manav ki chamakti aur hawa ke veg ๐ŸŒฌ jaisi bhaagti body ko dekh Aahna apni soch me kahin gum ho chuki thi. Jab ek classmate ne jor se uska naam pukaara tab jakar wo apne hosh me wapas aayi.. aur fir usne bachi hui attendance lena resume kar diya. .

Aahna (man me) : "Ye.. Manav.... ek weekend me hi itna handsome kaise ho gaya...? "

Weh chintit thi ki kya yeh uska subconscious mind tha jisne use aisa khyaal diya..,?

" Sundarta dekhne wale ki aankhon me hoti hai- kya iss phrase ka real life experience aisa hi kuch hota hai....?"
Uska sochna jaari raha..

Baharhaal jab Manav ground par pahuncha, to.. usi samay Lakshya bhi apne expensive golden Adidas sportswear me sports field me daakhil hua,
**(Update 22) **

Track ke najdeek pahunchkar Lakshya ne kuch quick squats lagaye.. Fir apne pair stretch karne ke liye ruk gaya.

Isi beech usne uss direction ki or mudkar ek flying kiss ๐Ÿ˜˜ di jahan sabse jyada ladkiyaan khadi thi,

"Aaaaahhhh....!!!!! "

Kya Advertising major, kya Business major ya Finance major... Lakshya ke iss move ko dekhkar maximum ladkiyon ne aise cheekh maari maano unhone Legend,, Virat Kohli ko dekh liya ho!

"OooOOhhHH!!! "

"LakshyaAAA!!!! "

Kareeb 40 seconds tak aise hi ek ke baad ek cheekh-pukaar ka silsila jaari raha..

Yahan tak ki,

Lakshya ko dekh Manav ke hi Mechatronic Engineering major ki Senior.., Fareeha bhi excited ho gayi thi..! ๐Ÿ˜




ye update yahin tak ๐Ÿ˜

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,

๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

Next update??
SOON~ ๐Ÿ˜‡
To be continued.....
 
Status
Not open for further replies.
Top