• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Lgta hai thoda to pyar jagega sany ke Ander is temple me๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜
:laughing:
Sahi pakde h bhai Mana6262 aap, ye 'Trip ' ki update series nature ke kareeb aane ke saath saath, Manav aur saanvi ke beech ki dooriyaan kuch kam karne wali bhi h ๐Ÿ˜‰
:hint:
Temple me Manav ka time enlightenment me spend hoga lekin laut te samay Saanvi ki care me :D

Thank you so much bhai for your lovely words
๐Ÿ˜„๐Ÿ™
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Nil199 Thread me aapka swagat hai ๐Ÿ˜„๐Ÿ’
yea story toh ek or thread me chal raha hai dragon ke name se jo iske bad start hua hai toh kon kiska chipka raha hai

Bro apki story bahut pyaari hai bahut Maza aya bas yah environment Ii details tori do toh air Maza aye ga.๐Ÿ˜‰
Bhai ap sai ek baat kar ni hai Kai yehi forum par Dragon name ka topic hai aye yahi stori copy paste horahi hai jis ki waja sai Kafi zayada readers confused horai hai ap kud ha kar xfroum par Dragon search karo apko pata chal Jai ga apli mahnat ka pal koi air bi chak Raha hai๐Ÿ˜

:sigh: :noo:
My brothers Nil199 and Zohaib896 ...

F@ckYouBitch bhaya ki 'DRAGON ๐Ÿฒ' Mahagatha se bahut pehle start hui thi ๐Ÿ˜Š

Asal me humara yani Mahagatha & DRAGON ๐Ÿฒ- ka reference ek hi [ reference - Dragon king son in law ] h to aapko key elements to same hi milenge baaki DRAGON ๐Ÿฒ aur Mahagatha ke story flow me kaayi differences & variations h.
( example - mahagatha me Manav ki bas dadi h lekin.. DRAGON ๐Ÿฒ me Sahil ke dada dadi dono h)

Initially Mahagatha start karne se pehle meko pata nahi tha ki DKSIL base par pehle se hi ek thread start hai.. :?:
Baad me kuch saathiyon ne bataya to DRAGON ๐Ÿฒ ke kuch updates maine bhi padhe.. adbhut writer h apne F@ckYouBitch bhai ๐Ÿคฉ aur khaas taur par.. usually unki stories me halka sa Haryanavi accent ka effect unki stories ko aur bhi khaas banata h ๐Ÿฅฐ
Khabar mili ke unki nawa story BLACK PLAIN to dhamaal hi h ๐Ÿ˜ meko besabri se intzaar h ki kab me unki BP & Werewolf padhu..

Aajkal me thoda busy chal raha hu to other stories ke update padhne aur unke revo dene me bahut pareshani ho rahi h.. yahan bhi time se update dene h.. upar se exams alag aa gaye.. Altogether time ka management nahi ho paa raha theek se ๐Ÿ˜ž

Waise.. me khud bhi fan hu DRAGON ๐Ÿฒ kahani ka :D I hope ki F@ckYouBitch bhaya jald hi wahan bhi nawa update de ๐Ÿ˜Š

Nil199 :hug: and Zohaib896 :hug: brothers mahagatha ko itna apnapan dene ke liye aap donon ka bahut bahut shukriya
๐Ÿ˜„๐Ÿ™
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Akky Heartily Welcome

๐Ÿ˜„๐Ÿ’
Bhai ,update acha tha
:hi:
Dhanyavaad Akky bhaya ๐Ÿ˜Š๐Ÿ™
par details kam likhoge to shi rhega

Bro apki story bahut pyaari hai bahut Maza aya bas yah environment Ii details tori do toh air Maza aye ga.๐Ÿ˜‰
Bhai ap sai ek baat kar ni hai Kai yehi forum par Dragon name ka topic hai aye yahi stori copy paste horahi hai jis ki waja sai Kafi zayada readers confused horai hai ap kud ha kar xfroum par Dragon search karo apko pata chal Jai ga apli mahnat ka pal koi air bi chak Raha hai๐Ÿ˜
Akky bro aapne specific nahi bataya ki konsi details.. to mai assume karke chalta hu ki aap bhi Zohaib896 bhai ki tarah environment details ka keh rahe the.. :think:

Toh.. my lovely bros Ye Mountain trip ki update series.. environment,nature ke kareeb aane ke liye hi thi to uski details to hongi hi na :D
Saath hi Manav aur Saanvi bhi thoda kareeb aayenge agle kuch update me
Ha par Manav ki saadhna, Rajyavardhan aur East Ocean Dragon Clan ke liye kuch or ahem maayne the iss trip ke :hint: aage pata chalega..

And.. Most importantly .. :akshay:
koi na bhai log :alright3: university bas lautne hi wale h aur wahan laut kar to apne aap hi Manu ko aur uske saath apan sab ko environment se door ho hi jaana h ๐Ÿ˜‰ :laughing:
Acha laga dekh kar ki aap itna interact karte hai :toohappy:
thank you so much brothers ๐Ÿ˜„๐Ÿ™



Ok bro take your time ๐Ÿ˜Š give us a fabulous update๐Ÿ˜
my brother your support is invaluable ๐Ÿฅฐ
thanks a lot bhai ๐Ÿ˜„๐Ÿ™
 
Last edited:

Akky

New Member
30
61
33
Bhai ,content me main baate to kaam hai or jayda background ki hai like dress ke upar ,environment ke upar. Aapas me interaction bhi kam dikh rha hai ,Isse update lamba to dikh rha hai lekin main topic pe kam baate ho rhi hai hai .
Iss chij ko agar aap thoda work kar do to or bhi behtrin ho jayegi story.
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
Bhai ,content me main baate to kaam hai or jayda background ki hai like dress ke upar ,environment ke upar. Aapas me interaction bhi kam dikh rha hai ,Isse update lamba to dikh rha hai lekin main topic pe kam baate ho rhi hai hai .
Iss chij ko agar aap thoda work kar do to or bhi behtrin ho jayegi story.
In details ko add karne ke kuch reasons h jo aapko aage pata chalenge :monkahmm:
Update 27 dene ke baad unme se kuch reasons share karta hu aapse
By the way got ur point bhai :wavey:
Update 27 par aur apni pratikriya de
Fir sabko summarize kar aage aane wale updates me improvement karte h :good:
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
โ€ขยฐUPDATE 27โ€ขยฐ


Recap -

Apne khayaalon me khoye Manav ko aage na badhta dekhar, Saanvi apni excitement ko control nahi kar saki aur Manav ka haath pakad use hilate hue chillayi,

Saanvi : "Kya soch rahe ho Buddhu! Temple nahi ghoomna kya~ ! Hehehi~"

Kisi tarah... Manav ko Saanvi ke yun hath pakad ke chillane me uske bharose aur lagaav ki milijuli aur.., chhupi hui bhaavna mehsoos hui..๐Ÿ˜Š



AB AAGE :-


Khair.. Manav ki reaction par dhyaan na dete hue, Saanvi ne Buddhist Temple ki or daud laga di!
Pink backpack ko apni peeth par laade Manav ne, Saanvi ke jaane ke kuch der baad, Temple ke entrance gate par kadam rakha.

Temple ki golden shikhar dophar ki dhalti doop ki kirnon ko apne ander sama rahi thi, aur.. poore Buddhist Temple ka mahool gambheer aur shaant dikhai de raha tha.

Chunki dophar ho chuki thi aur mandir pahaad ki choti par sthit tha, toh iss samay wahan anya visitors nahi the.

Saath hi.. rope way na hone se kewal Manav aur Saanvi jaise fit aur drandh sankalp wale log hi iss time Temple tak aa pate hai. Aamtaur par log yahan 12-1 baje tak aane ke liye subah jaldi chadhai shuru karte hai aur phir poori dophar wapas neeche jaane me laga dete hai.


Isliye, aise odd time mein pahunchne par, Saanvi aur Manav ko doosre visitors nahi mile. Buddhist Temple ke front yard mein, kuch young monks giri hui pattiyon ๐Ÿ‚๐Ÿ ko jhaado laga kar samet rahe the. Temple me alaukik shaanti thi... , yahan tak ki Saanvi, jo kuch der pehle cheekh - chilla rahi thi.. Temple mein kadam rakhte hi behad shaant ho gayi thi.

Yard mein, alag-alag rangon ki pakki eenten(bricks) kuch aise bichhai gayi thi jisse yin and yang โ˜ฏ ki ek vishaal tasveer ubhar rahi thi. Iske alawa yard ke South -west corner mein, ek pracheen lekin bahut vishaal bargad (banyan) ka ek ped tha.


Manav jaanata tha ki yeh wahi hazaaron saal purana ped hona chaahiye jiske baare me Rajyavardhan Uncle bata rahe the.
Apne dil me uss ped ke prati respect ko bhar woh, shaanti se us ped ke paas gaya.
Uss vishaal ped ki badi - badi jataye chaaron aur phaili hui thi.


Manav ped ke niche bane chabootre par chadh gaya aur dheere se uske behad mote tane ko apne haathon se sahlaane laga..

Pracheenta, bhudhapa, dhairya jaise kuch bhaav Manav ne apne ander mehsoos kiye.

Tane ki chhaal kisi chatthaan ki tarah thos aur chikni thi. Bahari roop se dekhne par , tane ki chhaal waqai lakdi ki bajaay kisi patthar ki tarah hi dikh rahi thi.


Manav ne dheere se Spirit Concentration Scroll se apne ander energy ka halka bahaav shuru kar diya aur aas-paas ke prakrti ke saar (nature essence) ko mehsoos karne laga..


Vaastav me woh is praacheen bargad ke ped ki kathor chhaal se bahut jyada amount me lakdi ke saar (wood essence ) ko apne ander ghuste hue mehsoos kar paa raha tha..

Iske alawa, wood essence ke prabhav se uske shareer ke andar maujood dragon core vibrate hone laga tha maano wo praacheen ped ke saath ghulmil raha ho...

Garm aur nam oorja ka pravaah Manav ke haathon se hote hue ped ke bheetri bhaag ki or jaa raha tha aur.., usi samay, praacheen ped bhi Manav ki or, uske shareer ko poshan dene ke liye lakdi ke saar ka ek visphot utsarjit kar raha tha..


Saanvi, Manav ke peeche chabootre ke paas to gayi lekin Manav ko dekhte hi wahin chupchaap baith gayi. Wo samajh gayi thi ki ye Manav ka enlightenment ka kshan ho sakta hai aur woh use disturb nahi karna chaahti thi.

Poore ek minute baad, Manav ne apna haath hata liya aur jor jor se saans lene laga. Pahaad par chadhne se jo thakaan use mehsoos ho rahi thi, weh ab poori tarah se gaayab ho chuki thi. Thakaan ki bajaay, use ab apne ander sirf shuddh shakti aur jeevan oorja mehsoos ho rahi thi.

Badi shraddha se usne apne dono haath jodkar pracheen ped ko pranaam kiya aur fir jhukkar ek dhok di.. :bow:

Manav ne dekha ki, Saanvi wahin baith kar apni ankhein faade use dekh rahi thi.. :what3:
Usne muskurate hue usse kaha,

Manav : "Chalo Sani.. Temple me chalte hai" ๐Ÿ˜Š


Kuch seconds ke liye, Saanvi bhauchakki hi rahi aur kuch react nahi kar paayi. Fir uske muh se bas ek "oh.. " nikla.. aur wo uth khadi hui aur Manav ke peeche uske nakshekadam par chalne lagi.

Jaise hi wo front yard se gujarkar mahal me pahunchi, woh phir se pehle wali udhami aur jungli Saanvi ho gayi!

Halaanki, Manav ne abhi-abhi use jo muskaan di thi, uski chhavi uske dimaag me ghoom rahi thi.. aur.. achanak,

Lub-dub* ! !

use apne dil ki dhadkan mehsoos hui. .

Aur yahan.. Manav ko to pata hi nahi chala ki woh Saanvi ko dekhkar kitni aatmiyeta se muskuraaya tha. Mahal ke ander jaate hi,
unhein Buddhism ke founder Lord Buddha ki vishaal moorti dikhayi di.. Manav ne sar uthakar moorti ko oopar se lekar necche tak observe kiya aur aage ander ki or badh gaya.



Poora Mahal ek bhavy, shaandaar, gambheer aur vismaykaari vatavaran de raha tha. Aas paas kaayi vishaal-kaay moortiya thi. Mahal ki chakachaundh ne Manav ko turant mehsoos karaya ki oopar choti tak aane ki unki mehnat, safal aur sarthak hui thi..

Saanvi Manav ke bilkul peeche ho aage badh rahi thi. Vishaal kaay moortiyon se ghire hone ke kaaran 'devil bachchi' ab thoda dari hui thi.๐Ÿ˜…

Mahal se hote hue ve back yard me aa pahuche. Yard ke east direction me ek patthar ki jhopdi thi, aur jhopdi ke andar ek patthar ka smarak tha jo aisa lag raha tha jaise ki kayi hazaroon saalon se aise wahan par maujood ho.

Kisi tarah, praacheen ped ke paas hue enlightenment ke baad, Manav ko achaanak laga ki Rajyavardhan uncle ne unhen jaanboojhkar pracheen ped aur patthar ke shila-lekh ke baare mein bataya tha.

Manav patthar ke smaarak ke saamne jaakar khada ho gaya aur us par ankit lekh ko dhyaan se padhna shuru kiya..



" เคฏเคน เคšเคฟเคฐเคธเฅเคฅเคพเคฏเฅ€ เคนเฅˆ เค”เคฐ เค‡เคธเฅ‡ เคจเคพเคฎ เคจเคนเฅ€เค‚ เคฆเคฟเคฏเคพ เคœเคพ เคธเค•เคคเคพ | เคฏเคน 'เค…เคธเฅเคคเคฟเคคเฅเคต-เคนเฅ€เคจ' เค•เคพ เคฎเฅ‚เคฒ เคถเฅ‚เคจเฅเคฏ เคนเฅˆ | เคฏเคน 'เคเค•เคคเคพ' เคนเฅ€ เคธเคคเฅเคฏ เคนเฅˆ เคœเฅ‹ เค…เคฆเฅƒเคถเฅเคฏ เค”เคฐ เคจเคฟเคฐเคพเค•เคพเคฐ เคนเฅˆ | เค‡เคธเฅ‡ เค…เคธเฅเคชเคทเฅเคŸ เค”เคฐ เค…เคฎเฅ‚เคฐเฅเคค เคญเฅ€ เคฎเคพเคจเคพ เคœเคพ เคธเค•เคคเคพ เคนเฅˆ | เคœเคฌ 'เคเค•เคคเคพ' เค•เคพ เคธเคคเฅเคฏ เค†เค—เฅ‡ เค†เคคเคพ เคนเฅˆ, เค‡เคธเค•เคพ เค…เค—เฅเคฐ เคญเคพเค— เคจเคนเฅ€เค‚ เคฆเฅ‡เค–เคพ เคœเคพ เคธเค•เคคเคพ | เคœเคฌ เค•เฅ‹เคˆ เค‡เคธเค•เคพ เคชเฅ€เค›เคพ เค•เคฐเคจเฅ‡ เค•เคพ เคชเฅเคฐเคฏเคพเคธ เค•เคฐเคคเคพ เคนเฅˆ , เคคเฅ‹ เค•เฅ‹เคˆ เค‡เคธเค•เคพ เคชเคฟเค›เคฒเคพ เคญเคพเค— เคจเคนเฅ€เค‚ เคฆเฅ‡เค– เคธเค•เคคเคพ | เคฎเฅ‚เคฒ เคธเคคเฅเคฏ เค…เคฐเฅเคฅเคพเคค เคชเคฐเคฌเฅเคฐเคฎเฅเคน เค•เฅ‡ เคธเคพเคฅ เคฐเคนเค•เคฐ เคนเฅ€, เค•เฅ‹เคˆ เค…เคธเฅเคคเคฟเคคเฅเคต เคฎเฅ‡เค‚ เคฎเคนเคพเคฐเคค เคนเคพเคธเคฟเคฒ เค•เคฐ เคธเค•เคคเคพ เคนเฅˆโ€ฆ"


"Yeh chir-isthayi hai aur ise naam nahi diya ja sakta. Yeh 'astitv-heen' ka mool shoonya hai. Yeh 'ekta' hi satya hai jo adrashya aur nirakaar hai. Ise aspasht aur amoort bhi maana jaa sakta hai. Jab 'ekta' ka satya aage aata hai, iska aagr bhaag nahin dekha ja sakta. Jab koi iska peecha karne ka prayas karta hai, to koi iska pichhla bhaag nahi dekh sakta. Mool satya arthaat Par-brahm ke saath rehkar hi, koi astitva me maharat haasil kar sakta hai... "

Manav ne samajhne ki bahut koshish ki, lekin woh kewal kuch sentences ko hi samajh paaya tha.

Manav ke bagal me khadi Saanvi bhi chupchaap smarak par likhe shabdon ko padh rahi thi.



" เคฏเคฆเคฟ เค‡เคšเฅเค›เคพ เคธเฅเคต-เค†เคคเฅเคฎ เค•เฅ‹ เค›เฅเคชเคพเคเค—เฅ€, เคคเฅ‹ เคธเฅเคต- เค†เคคเฅเคฎ เคธเฅเคตเคฏเค‚ เค•เฅ‹ เค”เคฐ เค…เคงเคฟเค• เคชเฅเคฐเค•เคŸ เค•เคฐเฅ‡เค—เคพ | เคฏเคฆเคฟ เค‡เคšเฅเค›เคพ เคธเฅเคต- เค†เคคเฅเคฎ เค•เฅ‹ เค•เคฎเคœเฅ‹เคฐ เค•เคฐเฅ‡เค—เฅ€, เคคเฅ‹ เคธเฅเคต -เค†เคคเฅเคฎ เคธเฅเคตเคฏเค‚ เค•เฅ‹ เค”เคฐ เคญเฅ€ เค…เคงเคฟเค• เคฎเคœเคฌเฅ‚เคค เค•เคฐเฅ‡เค—เคพ | เคฏเคฆเคฟ เค‡เคšเฅเค›เคพ เคธเฅเคต- เค†เคคเฅเคฎ เค•เฅ‹ เคคเฅเคฏเคพเค— เคฆเฅ‡เค—เฅ€, เคคเฅ‹ เคธเฅเคต -เค†เคคเฅเคฎ เค”เคฐ เคญเฅ€ เคธเคฎเฅƒเคฆเฅเคง เคนเฅ‹เค—เคพ | เคฏเคฆเคฟ เค‡เคšเฅเค›เคพ เคธเฅเคต- เค†เคคเคฎ เค•เฅ‹ เคตเค‚เคšเคฟเคค เค•เคฐเฅ‡เค—เฅ€, เคธเฅเคต -เค†เคคเฅเคฎ เค”เคฐ เคญเฅ€ เค…เคงเคฟเค• เคชเฅเคฐเคฆเคพเคจ เค•เคฐเฅ‡เค—เคพ | เค‡เคธเฅ‡ เคชเฅเคฐเคฌเฅเคฆเฅเคง เคชเฅเคฐเค•เฅƒเคคเคฟ เค•เฅ‡ เคฐเฅ‚เคช เคฎเฅ‡เค‚ เคœเคพเคจเคพ เคœเคพเคคเคพ เคนเฅˆ เคœเฅ‹ เคธเฅ‚เค•เฅเคทเฅเคฎ เคฒเฅ‡เค•เคฟเคจ เค—เคนเคจ เคนเฅˆ | เคธเคœเฅเคœเคจเคคเคพ เคถเค•เฅเคคเคฟ เคชเคฐ เคธเคฆเฅˆเคต เคตเคฟเคœเคฏ เคชเคพเคคเฅ€ เคนเฅˆ, เค”เคฐ เคจเคฎเฅเคฐเคคเคพ เคฌเคฒเคตเคพเคจ เคชเคฐ เคธเคฆเฅˆเคต เคตเคฟเคœเคฏ เคชเคพเคคเฅ€ เคนเฅˆโ€ฆ"


" Yadi ichchha swa-aatm ko chhupayegi, to swa-aatm swayam ko aur adhik prakat karega. Yadi ichchha swa-aatm ko kamjoor karegi, to swa-aatm swayam ko aur bhi adhik majboot karega. Yadi ichchha swa-aatm ko tyaag degi, to swa-aatm aur bhi samraddh hoga. Yadi ichchha swa-aatam ko vanchit karegi, swa-aatm aur bhi adhik pradaan karega. Ise prabuddh prakrti ke roop mein jaana jaata hai jo sookshm lekin gahan hai. Sajjanta shakti par sadaiv vijay paati hai, aur namrata balvaan par sadaiv vijay paati haiโ€ฆ"

Manav jitna jyada padhta jaa raha tha, shila - lekh ko samajhna utna hi mushkil hota jaa raha tha. Uski hi tarah, apni bhauhen ko taane, Saanvi bhi ise padh to rahi thi magar poori tarah wo bhi samajh nahi paa rahi thi.



" เคฏเคน เคœเคฒ เค•เฅ‹ เค†เคฆเฅ‡เคถ เคฆเฅ‡เคจเฅ‡ เค•เคพ เคคเคฐเฅ€เค•เคพ เคฅเคพ.. "

(" Yeh jal ko aadesh dene ka tareeka tha.. ")

Achaanak! Manav ke dimaag me enlightenment ki ek bhaavna panap gayi..

Yeh kuch aisa tha maano uske dil ki gehrai se 'awareness ki ek stream' paida hui ho.. jaise yeh stream.. uske aagya chakra (forehead) ko bhedkar uske sar tak pahunchne wali ho...

Manav phir se uss praacheen bargad ke ped ki samraddhi aur jeevant-ta ke baare me sochane laga..;
isne use us samay ki yaad dila di jab wo math problems solve kar raha tha. . Use laga.. jaise uski 'soch' ab sahi raaste par aa chuki hai aur jindgi ki chunauti-poorn problems ko hal karne me saksham hone wali hai..


"เคœเคฒ เคœเฅ€เคตเคจ เคฆเฅ‡เคคเคพ เคนเฅˆ เค”เคฐ เคชเฅƒเคฅเฅเคตเฅ€ เคชเคฐ เคธเคญเฅ€ เคตเคธเฅเคคเฅเค“เค‚ เค•เคพ เคชเฅ‹เคทเคฃ เค•เคฐเคคเฅ€ เคนเฅˆ | เคœเคฒ เคฌเค‚เคง เคจเคนเฅ€เค‚ เคชเคพเคคเคพ เค”เคฐ เค‡เคธเฅ€เคฒเคฟเค เคธเคญเฅ€ เคฌเคพเคงเคพเค“เค‚ เค•เฅ‹ เคชเคพเคฐ เค•เคฐเคคเคพ เคนเฅˆ |"

"Jal jeevan deta hai aur prathvi par sabhi vastuon ka poshan karta hai. Jal bandh nahi pata aur isiliye sabhi baadhaon ko paar karta hai "

BONG !! :::::::::::::: ! !

Ghante ๐Ÿ”” ki apratyaashit awaaj ne Manav ki paani ke jaisi behti soch ko achanak rok diya tha.


Saanvi, jo khud apne hi khayaloon me khoi hui thi, wo bhi ghante ke tez shor se bichak kar kood padi thi.. ๐Ÿ˜…

Manav Mahal ki or mud gaya aur chalte hue apne moblie ko dekha. Moblie par time dekh use pata laga ki, unhonne kareeb 1/2 aadha ghanta is patthar ke smaarak ke saamne khade hokar bitaa diya tha..

Jab ve front yard me wapas pahuche to pracheen bargad se lagataar jhad rahi pattiyan ๐Ÿ‚ unke sar aur kandhon par gir rahi thi, aur.. saaf-safai ka kaam kar rahe yuva monks bhi shayad aaraam karne ke liye laut chuke the.

Manav aur Saanvi ab is khaali yard me akele the.

Manav : "Bahut der ho gayi hai.. ab hume chalna chahiye.., "

Saanvi : "O..kay.... "

Saanvi ne bade aagyakaari dhang se jabaab diya. Aisa lag raha tha.. ki uska dhyaan abhi bhi smaarak par likhe lekhon par hi tha.

Manav ne apna haath badhaaya aur Saanvi ko uske baalon aur kandhon par gire patton ko hatane me madad ki...

Uska haavbhaav casual aur gentle tha, aur Saanvi... ain-waqt par react nahi kar paayi.
Use, Manav ko uski help karta dekh aashchary hua aur saath hi... dil ke kisi kone me Manav ke prati mithaas ka bhi anubhav hua.. ๐Ÿฅฐ

"Yeh insaan.. sach me... mere liye kitna achchha hai.."
Saanvi ne man hi man socha.

Dusri or.., Manav ne apne is helping gesture ke baare me jyaada nahi nahi socha. Usne neeche dekha aur apne kapdo par lagi pattiyon ko jhadaya.. Phir chalte hue Saanvi ke saath entrance gate ke bahar aa gaya.

Shaam, pahaad par vishesh roop se jaldi aati hui lag rahi thi. Jaise Jaise sooraj dhalta jaa raha tha, uski roshni ki aakhiri kiranein aakaash ko roshan karne ki nakaam koshish kar rahi thi; aisa lag raha tha ki jald hi aakaash me andhera chha jayega.

Ab ve neeche lautne me aur deri nahi kar sakte the,

Manav : "Andhera hone wala hai.. Chalo! Fatafat neeche utarte hai!"

Aur Manav furti se seedhiyon utarne laga.

Apne naajuk hothon ko sikod kar, Saanvi man hi man Manav ko kos rahi thi ke use opposite sex (female) ke liye koi daya nahi hai..
Halaanki samay ko dekhte hue wo khud bhi aur der karne ki himmat nahi kar sakti thi.., isliye usne Manav ke peeche peeche uske jitni speed se seedhiyaan utarna shuru kar diya.

Jaisa ki ummeed thi.., seedhiyaan utarna, seedhiyaan chadhne ke comparison me jyada aasaan tha. Halaanki, suraj dhal chuka tha, to visibility kaafi kam ho gayi thi. Aur chunki ve apne pairon ke neeche ki seedhiyaan saaf- saaf nahi dekh pa rahe the, isliye unhen jyada saavdhani se aur bahut dheere-dheere utarna pad raha tha.

Hare rang ke patthar ki seedhiyaan kisi musical instrument ke taar jaisi lag rahi thi, aur pahaad ki jal - dharaayen musical notes ki tarah sunayi pad rahi thi. Aur..., donon saath milkar pahaad ki rhythm baja rahi thi.. ๐ŸŽถ

Thandi, taaza aur komal pahaadi hawa ke jhonkein teji se pedon (trees) ki anginat shakhaon ko paar kar rahe the.., jisse sabse jyada prakrtik sangeet paida ho raha tha.

Jaise-jaise ve neeche utarte gaye ve, apne chaaron or hone wale sabhi badlaavon ke baare me jyada jaagrook hote ja rahe the.
Ant mein, aisa laga jaise ki unhonne 'prakritik saralta ki adhik gahanta' wali samajh ko viksit kar liya ho jise Buddhist monks bhi badhaava diya karte the. .

Buddhist Temple aur uske aas paas ka parisar, door jungle ki ant-heen hariyali ke sagar me mein alag hi dikh rahe the.

Alag dikhne ke baavjood ye structures, pahaad aur aas paas ke jungle ka ek atoot hissa lag rahe the.. Maano sab ek hi hon..
Nishchit roop se Manav ke liye aisa shaandaar drshy yeh accept karne ke liye kaafi tha ki ek legendary Bodhisattva vaastav mein is parvat mein raha karte the...!

Manav, raaste me apne aaspaas ki khoobsurat sceneries me dooba hua tha ke achanak use Sani ka khyaal aaya aur use dekhne ke liye wo peeche muda..

Mudkar wo dekhta hai ki weh bahut pehle hi seedhiyaan utarna band kar chuki thi aur usse bahut peechhe thi.

Manav apni hatheliyon se ek megaphone ๐Ÿ“ฃ banane ki koshish karta hai aur chillate hai,

Manav : "SANIIII !!!! "

Manav ki aawaaj sun Saanvi khadi hui aur phir dubara wahin baith gayi.
Asal me, wo neeche utarne ki bajaay thak kar wahin ek seedhi par baith gayi thi.

"Ise kya hua...!??"

Manav ne apni speed badhayi aur uske paas jaane laga.

Jab woh oopar uske paas pahuncha, to usne sawaal kiya,

Manav : "Kya hua..!?? Aise kyu baithi ho Sani ! ?

Muh phulakar Saanvi palat gayi aur Manav ki or paith karke baith gayi,

Uski haalat dekh kar Manav samajh gaya tha ki weh behad thak gayi hai. Isliye wo bhi ek break lene ke liye uske paas baith gaya.

Use iss chhoti si Sani ke man ki baat bilkul samajh nahin aayi thi....; aur.. neeche utarte samay woh pahaad ke najaron me itna dooba hua tha ki usne Saanvi ko bilkul bhi nahi dekha..
Bhale hi Saanvi ne uski tej speed ka virodh nahi kara aur uski speed se utarne ki apni poori koshish ki, lekin ab woh khud ko neglected mehsoos kar rahi thi aur behad upset thi... ๐Ÿ˜Ÿ

Yeh dekhte hue ki Saanvi ka uthne ka koi irada nahi hai.. Aur adhera badhta hi jaa raha hai.. Manav usse pooche bina nahi reh saka,

Manav : " Kya.. tum abhi aur chal sakti ho..? "

Saanvi : "Agar mere paas mera dragon core hota.. to mai bahut pehle hi hotel pahuch gayi hoti.. aur yahan tumhari bakwas nahi sun rahi hoti..! " ๐Ÿ˜ 

Ab, Manav ko aakhirkaar mehsoos hua ki usne is fact ko poori tarah najarandaaj kar diya tha ki woh, kewal ek chhoti ladki thi aur saath hi uski physical strength bhi limited thi. Saanvi ke parents ne use uski dekhbhaal karne ke liye kaha tha, aur use...., bas time ki padi thi! Use bas yahi chinta thi ki ve samay se pahaad se neeche utar jaye,, Saanvi ki bhalai ke baare me usne bilkul bhi nahi socha... .
Ve oopar jaate samay bhi jaldbaaji me the aur ab neeche bhi ve jaldbaaji me utar rahe the..
Manav ko apni galti ka ehsaas ho chuka tha,


Manav : "Agar....." wo sochane ke liye ruka, "Kaisa rahega.. Agar mai tumhen apani peeth par carry kar lu..?"

Saanvi : "Huh!! aisa kaun chaahega!??" ๐Ÿ˜ 

gusse se phoole hue gaalon ke saath, Saanvi uth khadi hui aur neeche ko jaane lagi.

Manav turant uske peechhe bhaaga.. use dar tha ki kahin wo gir na jaye. .,

Manav : " Areyy..! Sani dheeree!! "


Ab use is chhoti ladki ke vichaaron ki thodi behtar samajh hone lagi thi.
Halaanki Sani is baat par zor deti rahi ki use Manav ki dekhbhaal ki koi jarurat nahin hai, ab jab Manav ne bhale hi anjaane me lekin, vaastav mein use ignore kiya, to wo bahut dukhi ho gayi...,

Baharhaal neeche jaate samay, Saanvi ne speed pakad li thi. Manav uska peechha kar raha tha, aur use kisi bhi sambhaavit khataron se bachane ki poori koshish kar raha tha.

Phir bhi..., unke teji se utarne ke prayaas ke baavjood, andhere ne aakaash ko poora dhak liya tha.


Ab jab roshni ki aakhiri kiran bhi bhaag khadi hui thi aur.. ve abhi bhi pahaad ki talhati se 2 ghante door the.., Saanvi vaastav mein bahut chintit ho gayi,

Saanvi : "Tum apni speed badhao...!! "


Maddham roshani mein, Manav ne map dekha aur poochha,

Manav : "Right side mudna hai ya left side!?"

Ve aadhe raaste ke jitna kareeb honge, utni hi chhoti pagdandiya aur alag-alag raaste unhe milenge..

๐Ÿ‘ˆ Saanvi ne left ki taraf ishara kiya,

Saanvi : "Iss baar pakka yahi side hogi!

Manav : " Ohh.. Fir to jaroor right side hi sahi hogi! "
itna bol wo right side wale raste par aage badh gaya.


Saanvi dwara lagataar 3 baar galat direction diye jaane ke baad, Manav ka uski direction sense par se vishwas uth gaya tha aur ab use yakeen tha ki neeche hotel tak pahunchne ke liye use uske anumaan ki opposite direction me jaana hoga.. ๐Ÿ˜…


Saanvi avaak rah gayi.. Khair waise bhi.., use khud apni direction sense par bharosa nahin tha. ๐Ÿคฃ
Ab ant mein.., woh kewal Manav ke peeche peeche hi aage badh sakti thi.
Par haan ajeeb baat thi.., jab bhi Manav Saanvi ke anumaan ke khilaaf, doosre raaste par aage badha...., wo pahaad ke neeche jaane ka sahi raasta nikla! ๐Ÿ˜›

Poore pahaad par un donon ke alawa kisi aur insaan ka koi naamo-nishaan nahin tha.., aur saath hi poore pahad par sannaata pasra hua tha. Natijan...., Manav aur Saanvi ke kadam andhere me goonjte hue aur adhik spasht hote ja rahe the! __๐Ÿšถโ€โ™‚๏ธ๐Ÿšถโ€โ™€๏ธ__

Suraj ke ast hone ke baad, pahle ke bhavy aur khoobsurat najaare ab gambheer aur andhkaar bhare ho gaye the. Iss sudoor aur ghane jungalon wale pahaad me hone ke kaaran, Saanvi nishchit roop se dari hui thi kyonki.. woh thi hi kon? bas ek yuva ladki... Nateejatan, dar se uski speed kam ho gayi thi, aur ab weh alag thalag nahi daud rahi thi balki, Manav ke kareeb ho uske saath dheere - dheere chalne lagi.

Is baar, Manav ne pata laga liya tha ki uske man me kya chal raha tha aur isliye usne uska chhota sa haath pakadne ki pahal ki. .
Jahir tha.., uska faayda uthaane ka Manav ka koi intention nahin tha; balki use chinta thi ki agar dar ke maare uske pair kaampne lage to woh pahaad se neeche bhi gir sakti hai!

Jaise-jaise aasmaan me aur andhera chhaane laga, unhe aur bhi dheere-dheere aage badhna pada... Aur dekhte hi dekhte 7 baj chuke the. Raat ka samay tha, aur ve abhi bhi apni current speed se hotel pahunchne me, kam se kam 2 ghante door the..

Iske alawa.., pahaad ke oopar Temple ke aas paas ke kuch hisso ko chhodkar, poore pahaad me phone ke signal nahi milte the..
Toh ve kisi ko madad ke liye bhi nahi keh sakte the. Isliye, Manav aur Saanvi kewal ek doosre ki madad kar ke hi aage badh sakte the.

Pahaad ke raaste tedhe-medhe the. Raaste kabhi oopar ki or jaate to kabhi unka dhalaan neeche ki or hota. Kabhi - kabhi to donon asmanjas mein pad jaate the ki ve pahaad par chadh rahe hain ya utar rahe hain. .
Phir bhi, unhone mehsoos kiya ki ab ve pahaad ki talhati ke najdeek hi the..

Saanvi : "Kya... Kya hum.. bhookh se yahin mar jayenge..?๐Ÿฅบ

Manav ki hatheli par chikoti kaatte hue, bhookhi aur thaki Saanvi poochhe bina nahin reh saki,

Manav : "Agar bag me khaane ke liye kuch nahi bacha hai.., to mai tumhen hi khaunga..! Whahaha..," :evillaugh:

Saanvi : "Bakwas.. nahii ! "

Apani naak sikodte hue, Saanvi ne Manav ko ghoor kar dekha, uske gaal gusse se phoole hue the. Halaanki Manav ke saath baat karte-karte uska dar apne aap door ho gaya tha.

Time nikal raha tha; raat ke 8 baj chuke the. , Aur... pahaad ka talhati unhen abhi bhi kooson door lag rahi thi.

Iss pahaad mein phanse hone ke kaaran jahan pakshiyon ki chehchahahat subah manmohak lag rahi thi.. To ab wahi chehchahaht.. sabse darawani thi! Saanvi ke paas Manav ke alaawa koi nahi tha jispar wo bharosa kar sake... Weh uske kareeb hi rahi saath hi, usne Manav haath aur bhi kas kar pakad liya!

Manav khud bhi pahaad se aparichit tha. Choonki wo torch nahin laaya tha, aur uske mobile me flashlight bhi nahi thi toh, woh kewal mobile ki screen ki kamjor light ke sahare hi apne pairon ke neeche ke raaste ko dekh sakta tha..
Man hi man wo pray :pray: kar raha tha ki uska ek kadam bhi na chooke nahi to wo Saanvi ke saath pahaad se neeche ludhak jayega..

Raaste mein aas paas ki ghaas (grass) me unhen kuchh ajeeb-o-gareeb keede udte hue mile jo apni body se golden light nikaal rahe the. Halaanki, ye jugnoo (fireflies) nahin the kyonki jugnoo aamtaur par pahaad ki chattaanon se ek saath jhund me chipke hote hai..


Saanvi ko keedon se bahut dar lagta tha. Wo Manav ke theek bagal me aur dhans gayi aur uske haath se kaskar majbooti se lipat gayi..
Use ab bahut pachtaava ho raha tha ki usne choti par jaane ki jidd kyu ki.. Ye uski jidd ka hi result tha ki raat ke andhere me.., beech pahaad par ve donon atke hue the..

Uski pakad se Manav ladkhada gaya to usne Saanvi ke chehre ki or mudkar poocha,

Manav : "Areey..., agar tum mujhe itna kas kar pakdogi to mai chalunga kaise..? don't worry..! Kuch nahi karenge ye keede.. " :alright:

Uske gore chehre par saji hui, samudra jaisi gehri aankhein... Itne andhere me bhi bahut sundar aur aakarshak lag rahi thi.


Saanvi ki khud ko majboot dikhane ki determination ne anaayaas hi use Manav se door kar diya tha,

Saanvi : "Mai..... mujhe dar nahi lag raha hai.. wo.. mujhe bas thodi thand lag rahi thi.."


Uski pasine se chikni aur phislan bhari hatheli ko apne haath me kas kar, Manav ne use, time se pahaad se neeche pahuchane ke liye tezi se aage badhne ki apni ichchha-shakti majboot kar li..

Kareeb 1 ghante se jyada samay tak andhere mein apna raasta banane ke baad, aakhirkaar unhen pahaad ki talhati ke paas kahin se roshni ki ek jhalak mili... Aur thodi hi der baad unki aankhon ke saamne shaandaar lights wale hotels bhi aa gaye.. !

Saanvi ka haath kheechte hue Manav ne apni speed badha di,

Manav : "Hum bas ab pahuch ne hi wale hai! "


Uska mobile bhi full discharge hone wala tha, aur Saanvi ke mobile ki light bahut dheemi thi.. Agar ve mobile discharge hone se pehle neeche nahin utare to ve gambheer roop se pahaad par phans jayenge!

Khair, hotels ki lights dekh Saanvi ne bhi raahat ki saans li aur apni speed badha di.

Ant me, lagabhag 15 minute ke baad, ve parvat ke entrance gate par pahunch gaye the.

Chunki Saanvi neeche jaate samay behad chintit aur thodi dari hui bhi thi, uski hatheli ab poori tarah se pasine se tar ho chuki thi.

Aur ab jab wo surakshit thi, to aakhirkaar use ehsaas hua ki Manav pichle kuch ghanton se uska haath pakde hue tha.. To achaanak usne apna haath uske haath se kheech liya.

Saanvi : "Humph! "

Uske aggressive bartaav ko dekh Manav ne aah bhari,

Manav : " *sighs* kisi ki goodwill kaise itni aasaani se bure intention me badal di jaati hai......"

Saanvi : "Haan toh!!?? kiski permission se tumne mera haath pakda tha!!?? Huh !!!"

Manav uske saath bahas karne ke mood me nahi tha kyonki ab thake hone ke saath hi uske pet me chuhon ne utpaat machaya hua tha. Neeche jaate samay unhonne bag mein rakha saara naashta bahut pahle hi khatm kar diya tha.


Baharhaal, talhati pahuchte hi Manav turant hotel ki or chal diya. Saanvi bhi uske peechhe peechhe chal di, uske chehre par alag alag bhaavnao ka indradhanush ๐ŸŒˆ bana hua tha. Sach kahe to, wo jaanti thi ki pahad se neeche aate samay woh Manav par bahut depend ho gayi thi.
Agar Manav uske saath nahi hota.. Aur wo akele hoti to.. naa jaane kya hota....!

Saath hi, wo ye bhi admit nahi karna chaahti thi ki woh kewal uski madad se hi neeche utar paayi hai.. Use vishvaas tha ki yadi use sach me koi khatra hota, to uske parents nishchit taur par usko protect karne ke liye aa jate,

Hotel pahunchte hi aisa lag raha tha maano ab unka 'gathbandhan' toot chuka hai. Aur Saanvi, Manav ko aise khaa jane wali najaron se dekh rahi thi jaise ki Manav ne usse laakhon rupee udhaar liye ho.. :sigh:

Ab jab Saanvi use cold look de rahi thi, to Manav bhi uske saath friendly vyavhaar karne me apna time waste nahi karna chaahta tha.
Filhal to use sabse jyaada chinta is baat ki thi ki use Saanvi ke dad ke saath room share karna tha... Aur Manav ke anusaar ye bada awkward tha......

Jaise hi ve hotel mein daakhil hue, apne-apne rooms me chale gaye. Thaka aur bhookha, Manav yeh jaankar hairaan hua ki bed ke paas ki table par ek note tha. Jis par likha tha,

"Sani ki mom aur mai ek friend se milne ja rahe hai.. jo paas hi me rahta hai; Aap donon dinner kar lena.. hum wapas aane me late ho sakte hai. ."

Ding Dong..! Ding Dong...! ๐ŸŽถ

Tabhi, uske kamre ki door bell bajne lagi.

Wo darwaaja kholne ke liye dauda aur jab darwaaja khoola to dekha.. Saanvi awkwardly khadi hui thi,

Saanvi : "umm... :?: chalo kuch khaate hain..?" usne apne honth kaatte hue kaha...





Aur yahin end hota hai ye update.


:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,

๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„


Important : Doston January me mera SSC GD Constable ka exam h.. Fir uske baad college ke exams start ho jayenge isiliye mai update ki -Friday - Saturday -Sunday- waali frequency continue nahi rakh paunga :verysad:

Lekin haa ye story nahi rukegi :yes1: mai apni poori koshish karunga ki bina jyada gap ke jald se jald new update post karu ๐Ÿ˜Š
Agar aapka bhi koi exam h to
~Best of Luck~
apka result acha hi ayega :yes2:Saath bane rahiyega ๐Ÿ˜„ :hug:

Fir milenge agle update me... :wavey: :flybye:
Be healthy~ , Be happy~ ๐Ÿ˜„
And God bless you all ๐Ÿ˜‡
To be continued.....
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top