• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
•°UPDATE 19•°

Recap -

Avantika ne apni tone kam ki aur aage kaha, "Ab samay aa gaya hai ki aap apne is chidchide aur gusse wale swabhaav ko badal lein! Aapka itni hinsak soch... Mujhe chinta hai ki is saal ki Tribulation/pariksha aap kaise nikal payenge...."
**(update 8 - paas baithi mahila ki baat) **

"Kuch bhi ho.., mai abhi bhi Sani ki shaadi is garbage ladke se karane ke phaisle ke khilaf hun," Indrasen bade dheere se budbudaya.

*Sighhhhs* Avantika aage bahas nahin karna chaahti thi, usne Manav ki or dekha aur kaafi lagav se kaha, "Theek hai, ab khaane par focus karte hain.. "

AB AAGE :-

Dinning table par,

Avantika, Saanvi se uske school mein ho rahi cheejon ke baare me poochh rahi thi, aur Saanvi jabaab de rahi thi.

Manav chupchaap unki baatcheet sunte hue khaana kha raha tha...

Dono maa - beti bilkul ek jaisi dikhti thi, lekin ek gentle aur mature thi aur doosri.. cute aur shaitan! :evillaugh:
Un dono ko baatein karte dekhna dilchasp tha. . 😍

Wahin doosri or Indrasen.., aise jor-jor se kha raha tha maano usne khane ke chakkar me apni saans rok rakhi ho... :noo:

"Saanvi ke dad.. Rajyavardhan Uncle.., behtareen leadership skills wale ek intelligent vyakti lagte hai.. Aur ye Indrasen shaayad unke chhote bhai hain. .
Inki personality to laaparwaah aur straight-forward type ki hai..! Khadoos chacha! ,,, kitne alag hai ye apne bade bhai se..
Appearance ko dekhe to, ye, Rajyavardhan Uncle jitne achchhe bhi nahin dikhte.. Wo kitne cool hai aur ye ? ye kitne saawle hai aur oopar se inke chehre me kroorta jhalakti hai...!" Indrasen ko dekhte hue Manav ne man hi man soch raha tha.

Manav ki najar apne oopar mehsoos karte hi, achanak se Indrasen ne apna sar uthaaya aur Manav ko ghoor kar dekha..
Kaale aur ghani daadhi waale chehre ne Manav ko to dara hi diya tha...“ :scared:

Baharhaal, dinner ke baad, maa - beti, ke beech ki baatacheet aakhirkaar khatm ho gayi. Avantika uth khadi hui aur bartan sametne lagi,

Avantika : "Sani, ab aap oopar jaayein aur Manu ke saath padhayi karein."

Ye sunte hi Saanvi ne apna chhota sa muh fula liya,

Saanvi : "Par mom.. maine abhi abhi to khaana khaya hai.., Mujhe TV dekhni hai..! mera favorite show aane wala haii... "

Avantika : "Nahi Sani! Manu ko wapas jaane me der hogi." Avantika ne Saanvi ki request ko seedhe mana kar diya aur use aage kuch aur kehne ke liye koi mauka nahi diya..

Saanvi ne udaasi mein apna muh twist kiya , apne honthon ko kaata aur Manav ko gusse se dekha!! 😡
Aisa lag raha tha jaise wo apna gussa Manav par nikaalna chaahti thi!

Avantika : "Ab yahan kyu khadi hai aap!! oopar jaiye aur padhai kariye!!!”
Usne daanta.

Saanvi : "Ok..! Ok! Jaati hoon!" Aur wo seedhiyon ki or badh gayi.

Manav hasa 😅 usne apna study material uthaya, aur uske peechhe-peechhe oopar ki or chal pada..

Manav ne Saanvi ko apni mangetar ke roop me socha tak nahi tha... uske liye to wo chhoti ladki ek panauti jaisi thi jo humesha mushkile khadi kiya karti thi!

Apratyaashit roop se..., jab Indrasen ne un dono ko oopar jaate dekha.. To wo bhi unke peeche peeche oopar jaane laga,

Magar Avantika ne tok diya,

Avantika : "Aap kyu oopar jaa rahe hain? ?"

Indrasen ne oopar jaate hue apna sar khujaya aur embarrassment me jabaab diya,

Indrasen : "Hehe... Bhabhi wo mai bas.. dekhne ke liye oopar ja raha hu. "

Jaahir tha, wo Saanvi aur Manav ko akela chhodne ko lekar chintit tha. Isliye, unki nigrani karne ke liye wo unke peechhe oopar ja raha tha.
Saath hi wo yeh bhi dekhna chaahta tha ki Manav kitna smart hai? aur kya wo waqai.., Saanvi ko padhane ki kabileeyat rakhta hai ya nahi! ?

Avantika spasht roop se jaanti thi ki Indrasen, oopar jakar dono bachhon ke padhai ke mood ko kharab kar dega.. lekin wo uska kuch nahi kar sakti thi. . 😔
Usne aah bhari aur table saaf karne me lag gayi..

Manav, Saanvi ke peechhe peechhe oopar aya aur uske bedroom me dakhil hua.
Chhote chacha ko apne peechhe aate hue dekhkar weh hairaan rah gaya..

Khair, Indrasen usse bada tha, aur yeh Saanvi ka bedroom tha.., to uske paas use baahar nikalne ka koi kaaran nahin tha..

Bedroom me-

Muh fulaye Saanvi, naakhush hokar desk ke saamne baith gayi.

Manav ne apna bag khola, ek test paper nikaala aur uske saamne rakh diya,

Manav : "Sabse pehle is test pepar ko khatm karo."

Saanvi ne Manav ko unfriendly attitude se dekha aur bahana diya,

Saanvi : "Mujhe aaj bahut saare assignments poor karne hain! "

Manav : "Tum test paper solve kar rahi ho ya mai tumhari mom ko oopar bulaun?"
Manav uske saath bahas nahin karna chaahta tha isliye usne seedhe Avantika ko bulane ki dhamki de dali..

"Humph!"

Saanvi ne turant apni jidd chhod di. Usne test paper apni or kheecha, ek pen uthai, aur test dene ko taiyar hui,,, Lekin.....,
Test start karte hi uski bhaunhen tan gayi!

Ye questions Manav ne tamaam test banks, question banks se liye the, aur asal me ye sabhi easy aur basic questions the.

Sirf ye dekhne ke liye ki Saanvi abhi kis level par hai, use Saanvi ko iss tarah ka test paper dena pada tha..

Saanvi pen ko muh me chabate hue , ek ek karke questions solve karte ja rahi thi. Manav ne ek chair kheenchi, aur uske paas baith chupchaap use test paper solve karte hue dekhne laga.

Thodi der baad, chhote chacha apni jagah se uthkar unke paas aye aur paper par chupchaap jhaankne lage... Halaanki, in kaale English words ne unhe -

"kaale akshar bhains barabar "

yaad dilate hue sardard de diya tha...! aur unhen vaapas apni jagah baithna pada 🤣 aur baithkar ve Manav ko ghoorne lage.

1/2 Aadhe ghante ke baad, Saanvi ne aakhirkaar iss simple test ko poora kar liya tha. Manav ne usse paper liya, aur mahaj 2 minute me poora check kar diya, aur... Check karte hi usne......
Aashcharyajanak roop se paaya ki ... 😲

Ki....

iss Saanvi ki English...
behad Kharaab thi...!!! 😞

😅😂

Test paper par jagah jagah red cross

❌
❌❌
❌❌❌ ke nishaan dekh kar, Saanvi chup nahi reh saki,

Saanvi : "Areyy.. ye kya! kya maine itne saare questions galat kar diye!!?”

Manav : "100 me se bas 20 marks! !" 😔😔

Manav ne test paper pakda aur uske saamne lehra diya.

Saanvi ka chehra peela pad gaya tha fir bhi usne jiddipane se kaha,

Saanvi : "Nahi!! Tumne ye jaan boojhkar kiya!! "

"Okay! ," Uski baat ignore kar Manav ne test paper ko wapas table par rakha,

Manav : "Chalo ab officially tumhari class start karte hain."

"Huh! !" Saanvi ka ab aur padhne ka man nahi tha.

Manav ne 2nd question ki or ishara karte hue use samajhaya,

Manav : "Tumne second question galat kiya. . Sani,

' Finish' ek Verb hai aur tumhe ise polish karne ke liye Adverb 'Quickly' lagana tha!
Aur yahaan.. Question keh raha hai ki yeh doosre logon ki tulana mein fast hai, isliye idhar 'more quickly' likhna chaahiye tha na ki 'more quick' , kuch samjh aya.."

Saanvi sharma gayi,

Saanvi : "Mujhe pata hai! Maine bas jaldbaaji me ise galat padh liya tha! "

Manav ne uske bahaane ko nazarandaaj kar teesre question ki or ishaara kiya,

Manav : "Go to the beach in July and arriving on July fifth.
Kisi bhi - Year, month, season aur week se pehle 'in' preposition lagate hai. Aur jab clear Date mention ho tab hi 'on' ka use hota hai... Yadi arrival ka fix time diya ho, jaise 5 o' clock, to 'at' ka use hota hai."

Saanvi : "Mujhe ye bhi pata hai! Bas mera dhyaan kahin aur thaa!!"
Usne fir khud ko defend karne ki koshish ki.

"Aur ye 4th question....."

"6th question..."

"7th question..! 8th question..."

...

...

...

Manav ne ek-ek karke saare questions samjhaaye, lekin Saanvi ke paas humesha koi na koi bahana hota tha. Aur Agar usne kisi question ko galat nahi padha.., to yeh Manav ke test paper ki kami thi ki uske questions clear nahi the!

Kul milaakar..., Saanvi ke liye uski English bahut achhi thi usme koi problem nahi thi. 😎🤘

Ant mein......, Indrasen ab kewal ek mookdarshak banke nahin baith sakta tha.. Wo do baar khaasa,

Indrasen : " Khoo..! khooo..!! ahemm.. Sani, aapko English me aur dhyaan dene ki jarurat hai! "

Saanvi : "Chachuuu..! Iska test bahut kathin tha..!"
Apne chacha se baat karte samay Saanvi ka chehra laal ho gaya tha.

Uski baat sun, Manav speechless tha 😑😑 kyuki ye questions middle school English ke lihaj se sabse easy aur sabse basic questions the..
Yahaan tak ki usse 2 saal chhote, 6th class ke middle school students bhi shaayad aadhe (1/2 ) se jyada questions ka sahi sahi answer de sakte the!

Maana ki Indrasen gussail aur akdu tha, lekin wo bewakoof nahin tha. Usne Saanvi ko dekha.. 🙄 weh jaanta tha ki uske English me basics hi clear nahi hai. . !
Isliye, use ab Manav ki kaabiliyat par kuch bharosa ho gaya tha...,

Indrasen : "Betu..! mujhe lagta hai ki, vaastav me aapko English tution ki bahut zaroorat hai."

"But Chachuuu....." Saanvi ne jor se chillaaya. Uska chehra laal tha, aur use khud par bahut sharm aa rahi thi..

Indrasen : "Hmm.. time ho gaya hai! Jald hi apke dad aate honge.. Mai ab nikalta hun nahi to aapke dad meri class lagane lagenge.. "

"Haahaa... Chhote chachu~ aapko dar hai ki dad aapko lecture dene lagenge, hai na? Hehehe.." 😆😆

Saanvi ne achaanak khushi se kaha. Use laga jaise use koi saath me dad ke lecture sunne wala mil gaya ho.. 😁

Indrasen ko bhi sharmindgi mahsoos hui,

Indrasen : "Wo kuch bhi ho... mai ab waapas ja raha hun!"

"Okay! mai aapko baahar tak chhodne chalti hoon!" Saanvi kursi se kood gayi. Use aisa lag raha tha jaise wo apne chhote chachu ke dar ko jaan unke aur bhi kareeb ho gayi ho..

Indrasen ne Saanvi ke bedroom se baahar nikalte hue kaha,

Indrasen : "Bahar tak to nahi.. Aap bas mere saath neeche tak chal sakti hain..."

Indrasen ne Manav ko kuch aur kehna ya bye karna to dur use dekha tak nahi..
Spasht tha ki usne Manav ko accept nahin kiya tha!

Un donon ke jaane ke baad,

Manav, Saanvi ke bedroom mein akela reh gaya. Weh neeche se aa rahi Saanvi ki halki phusphusati aawaaz ko saaf saaf sun sakta tha,

"Chachu~ wo itna bura bhi nahi hai jitna aap sochte hain ..."

phir iske baad, neeche aur bhi baatcheet hui,

"Abhi jaa rahe aap? Sani ke dad ghar wapas aane me hi hai. Aap unse nahi milenge! ??"

"Agli baar... Bhabhi agli baar... mai is baar bas Sani ko dekhne aaya tha!"

" Aapko dar hai ki ye daant layenge ki, aap apni saadhna par theek se mehnat nahin kar rahe hain, kyu yahi baat hai na hehe..? Acha theek hai.., drive safe…!”

Manav aur bhi sunna chaahta tha, lekin Saanvi apne bedroom mein wapas aa gayi thi.

Jaise hi wo andar aayi, unse turant Manav se shikaayat ki,

Saanvi : "Tumne mujhe mere chhote chachu ke saamne duffer bana diya! !" 😤

Manav ne uski or dekha, "Lekin tumne sach me un questions ko galat solve kiya tha!"

Usne gusse se Manav ko dekha,
Saanvi : "To tum acting to kar sakte the na ki maine unhen sahi kiya..!!"

Manav muskuraya aur uske saath aage bahas nahin karna hi sahi samjha, "Iss kiddo ki English utni achchhi nahin hai, lekin ye kaise apne chachu ke saamne sharminda hone se darati hai" 😅 usne socha.

Manav ne baat ko badalte hue kaha,
"Lagta hai... tumhare chhote chachu mujhse nafrat karte hain...",

Saanvi : "Tum akele nahi ho. . Unko mortals pasand nahin hai! "

Manav ko nahin pata tha is par wo kya kahe, lekin ye sunkar chhote chachu ke prati uska impression aur 30% kam ho gaya tha!

Uske expression dekh Saanvi ne use comfort diya,

Saanvi : "Ve bas ye sochte hai ki tum mere liye perfect match nahin ho.. But don't worry ok! Wo sirf baatein keh dete hai lekin asal mein wo tumhara kuch bura nahin karenge!"

Manav : "Sach kahu to mai abhi bhi tum logon ke baare me jyaada nahin jaanta... Waise Elder Vinod ne mujhe pichhli baar jo Aatm Ekaagrata ka Scroll diya tha, asal me wo hai kya..?"

Saanvi : "Ye bas Saadhna ki starting method hai. Asal me ye scroll jyada kuch nahin karta... Ye bas apne shareer ki shuddhi ke liye hai."

Saanvi ne Manav ki or dekha aur bolna jaari rakha,

Saanvi : "Tum kitne dinon se saadhna kar rahe ho.., lekin phir bhi aisa lagta hai ki tumhare shareer me iska koi asar hi nahi hai. .?"

Uski tiraskaar-poorn nigaahon ko dekhkar, Manav samajh gaya tha ki Saanvi ab uski 'saadhna class' ke bahane apni sharmindgi ka badla lene wali thi! :evillaugh:

Manav : "Kya humari deal nahi hui thi..!? Mai tumhe padhaunga aur tum mujhe saadhna ki techniques sikhaogi..!
Agar mai kharaab tarike se saadhna kar raha hun, to iska matlab yahi hai ki tum ek bekaar teacher ho!"

Saanvi ne use apni badi badi aankhon se dekha, :what3:
Saanvi: " Nonsense! maine tumhen pahle kabhi kuch nahi sikhaaya! So Don't!!"

Manav uske paas aakar baith gaya aur kaha,

Manav : "To ab tum start kar sakti ho..!" 😄

Saanvi : "Well.. Okay..! to my idiot student..! Dragon Clan mein saadhna ko normally umm.... haan, 8 levels mein divide kiya gaya hai:

Kan, Li, Zhen, Gen, Dui, Xun, Kun, Qian,

Aur... Highest level Qian ko Heavenly/deviye level bhi kaha jaata hai. Waise.. heavenly level to chhodo, tum to abhi Kan level se bhi bahut dur ho! Jab tumhari body ki power kuch had tak badh jayegi, to dad ya fir Elder Vinod tumhe saadhna ki ek real technique denge. Aur jab tum saadhna ke Kan level tak pahuch jaoge, to tum officially ek saadhak kehlaoge..!"

Uske aadhe-adhure explanation ko sunkar, Manav ne guess kiya ki shayad uski saadhna bhi utni achi nahin thi..

Yakeenan.., Manav ka anumaan sahi tha. Saanvi ko saadhna me koi interest nahi tha aur wo kabhi- kabhar hi beman se saadhna kiya karti thi..
Phir bhi! use khudse bahut ummeedein thi aur khud ko saabit karne ke liye wo chintit rehti thi.. Aur...,
Khud ko sabit karne ki koshish me hi ek din usse galti ho gayi thi..! jisse weh aasmaan se seedhe Manav ki baahon me ja giri thi! **(Update 1) **
Ab uske parents use Manav se shadi karne ke liye majboor kar rahe the, kya yeh usse hui galti ki saja nahi thi???

Manav : "Kya saadhna techniques seekhne me ya saadhna karne me koi khatra hai?"

Wo is baare me chintit tha.

Ab weh kuch dinon pehle ho rahe ajeeb-o-greeb anubhavo se ubar chuka tha aur usne vartmaan sthiti ko swikaar kar liya tha..

Saanvi : "Bilkul! khatre to hai! Agar choten halki hui to tumhare haath ya pair toot sakte hain... Aur.. ain-mauke tumhari jaan bhi ja sakti hai!"

ye sunte hi Manav, turant vichlit ho gaya, "uh..."

Saanvi : "Hehe~ kitni achi baat hai na? Ab meri jagah tum saadhna kar rahe ho, hehe.. ab mujhe pareshan ya tention lene ki koi jarurat nahi." 😄

Ye uski jaanboojhkar Manav ko pareshaan karne ki koshish thi..

"To ye aisa sochti hai. ... Halaanki, bhale hi saadhna me khatre honge..., par ab shaayad Sani un khatroon se dur ho gayi hai..

Shaayad wo yeh jaankar khush ho rahi hogi ki use ab ye boring saadhna nahi karni padegi..." Manav ne socha.

Saanvi ko chidhate hue usne kaha,

Manav : "Haan...sahi kaha!, mai tumhari jagah saadhna karunga. . Tum to waise bhi mujhse shaadi karne wali ho."

Itna sunte hi Saanvi ka chehra gusse se bhar gaya..

Saanvi : "Doob maro!! StupiD UncleEE!!!" 😡

BaM!

Aur Usne Manav ke chehre par ek punch maarne ke liye apna haath badha diya !
👊👊👊

Update hota hai yahi par khatam..

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

1 minute aur rukiye!
Aaj Saanvi ne Dragons ki Saadhna ke 8 levels bataye.. Kya lagta hai aapko... Saadhna ke konse level tak pahuch payega apna Manav?

Apne vichaar poll dekar share kare 😄

Poll 1 : Manav Saadhna ke kis level tak pahuch payega? 👈 click here

Poll result time to time milta rahega 👍

Dekhte hai aap readers ko kitna bharoosa hai Manav par 🤣

Annexures ke names aur Annexure I bhi update kar diya hai.. Page no. 1 & 2 par check karlen..

To fir milte next update me..
To be continued.....
 
Amrit_#0

Active Member
1,723
3,739
143

Awesome update bro 💗💗
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser
Status
Not open for further replies.
Top