• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
🔥 🇲🇦🇭🇦🇬🇦🇹🇭🇦🔥

महागाथा


𝗦𝗮𝗱𝗵𝗻𝗮, 𝗦𝗮𝗱𝗵𝗮𝗸, 𝗦𝗵𝗮𝗸𝘁𝗶𝘆𝗮 𝗮𝘂𝗿 𝗗𝗿𝗮𝗴𝗼𝗻𝘀

साधना, साधक, शक्तियाँ और ड्रैगन्स


🔥, 💥, 🐲
 
Last edited:

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Preface

To kaise hai aap log...
Aap sabhi ka swagat hai apke apne iss new thread par -


Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Ab yeh sach me Mahagatha ban pati hai ya nahi ye iss kahani par to depend karta hi hai.. par sath hi aap sabka sath aur support bhi equal importance rakhta hai..

To chaliye shuru karte he apne iss Maja Safar ko.. Aasha hai ki aap logon ko ye kahani pasand aayegi
 
Last edited:

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144
Introduction

Parts :
Ye story 5 parts me divide rahegi -



Part l Onset of the Storm
Part ll (...
Part lll to be declared
Part lV ...)
Part V The last ditch Effort



Genre :

Non - EroticHaremThriller
ActionRomanceLove
MysteryAdventureMythology
RevengeFamilyDrama

In sabka combo 🌪

Updates :

• Thursday & Sunday •

Annexures :

inme story se related extra information rahegi .

About story :

Ye kahani hai ek normal se ladke MANAV SHISHT ki..
Manav ek simple sa par sanskaron wala ladka hai. Yaha Hum dekhenge ki kaise koi apne karm, apne junoon se apni kismat yaha tak ki dusro ki kismat bhi badal sakta hai.

Kaha bhi gaya hai :


सर्वे कर्मवशा वयम्।

(We all are under karma.)

..... Aur jab baat dragons ki ho to South East Asian culture aa hi jata hai..
Ji haan iss kahani me apko South East Asian culture ke bhi kuch rang bhi dekhne ko milenge.

About Reference :

Story ka basic reference - Dragon King Son in Law rahega.


-----------------------------------
To fir milte hai pehle update ke sath... 📝
 
Last edited:

Shadow_Chaser

ᗪEᗩᗪ 💀
1,215
3,847
144

Annexure l : The World Order
🌫🌏🪐💫



~World✨ , Duniya..., kitni badi hai ye duniya? Kya kya hai is duniya me? Kisne ne banaya hai ise....???

Insaan humesha se hi in sawaalon se jhoojhta raha hai.. Alag-alag region ke logon ne apne alag-alag tareekon se iss duniya ko banane wale ke baare me bataya hai.. Halaanki uss shakti ko broadly "GOD" ya "BHAGWAAN" kaha jata hai!

Aisa hi kuch South-East Asian culture me hai. Yahan..., kayi logon ka maanna hai hai ki duniya ko banane wali shakti. .. "DRAGON GOD" hai!!


To be updated.... 😊

───── °∘❉∘° ─────

✧ Mortals - apne jaise log jinka birth-death ka cycle chalta rehta hai. Inse ulat ,


✧ immortals- jo amar hote hai, jinhe kahi angels, to kahi dev, to kahi farishte bhi kaha jata hai.


(Aam Dragons ko kayi baar Immortal samjha jaata hai kyuki inka average life span saikado saalon ki hoti hai jaise 600 saal ya 800 saal kayi baar to 1000+ saal!)


Mortal world jise Human Realm bhi kaha jata hai, yahi hai apni duniya.. dharti

Heavenly Realm - paarlaukik duniya. Ab ise heaven kaho ya fir jaanat ya swarg..


Heavenly Realm ke log to immortal hote hi hai lekin Human Realm ke log (Insaan, dragons, demons) bhi apni sadhna ke dum par immortal ban jaate hai :

~ Insaan immortal bane to use Earthly Immortal kaha jata hai.

~ Ek Dragon immortal bane to use Heavenly dragon kaha jata hai.

───── °∘❉∘° ─────

Jaisa ki hum jaante hai ki duniya me kayi tarah ke organisms hai. Insaan, jaanwar, ped-paudhe, microbes.. waise hi dragons bhi hai.


Maana jaata hai ki sabhi dragons, Dragon God ki santaanein hai. Ye dragons khud bhi, Dragon God ko apne kul devta ki tarah poojte hai.

Waise Dragon God ne to sab kuch hi banaya hai to ek tarah se hum sab insaan bhi unki santaanein hai.


Heavenly dragons aur Earthly Dragons ke alawa ye Dragons aur bhi kayi types ke hote hai, aur use hisaab se inki apni apni Clans hai - dekhiye Annexure ll world mapping 👈 click here

×××


~ Dagon Core/Internal Core ~


Ye core har dragon ki body me hoti hai. Is core ke kaaran har ek dragon janam se hi sadhak hota hai.
Dragon core ke baare me detailed information - Annexure Ill Sadhna 👈 click here - me di gayi hai.


Isi Dragon Core ki wajah se Dragons, duniya ke sabhi normal organisms se jyada shaktishali hote hai.


Dragon Clan me ek - dusre ko jaan se maarne ki anumati nahi hai.
Ye ek pauranik niyam hai jiska paalan inspectors karwate hai.

───── °∘❉∘° ─────

Pehle Earthly Dragons aur Insaan sadhak, ek - dusre ke maamlon me dakhal diye bina apne - apne areas me shaanti se rehte the.


Lekin jaisa ki aam duniya ka itihaas raha hai, apni shakti badhane, resources par kabja karne, etc reasons se anekon desho, sabhyataaon aur raja-maharajaon ke beech yuddh hue hai.

Isi tarah, shuru hota hai dragons aur humans sadhakon ke beech apna varchasv kayam karne ka yuddh.


• Yuddh ki kon jyada shaktishali hai?
• Yuddh ki kon kisko sunega?
• Yuddh ki kon poori Earth par raaj karega?


Is yuddh me Earthly dragons ki jeet hoti hai. Aur dharti par unka raaj kayam ho jata hai. Iske parinaam swaroop samuche Human Realm ke human "sadhak" log aur unki sabhyataaon ko upar aasmaan me Heavenly Realm (swarg, jannat) ki taraf palaayan karna pada...


Koi 300 saal pehle insaan sadhak ke aakhiri daste ke heaven jaane ke baad, shayad ab iss duniya me koi bhi aam insaan sadhak nahi bacha hai.. Lekin,


Kaha jaata hai ki 2-3 super powerful insaan sadhak abhi bhi iss duniya me reh rahe hai..
Inke iss mortal world me rehne ka kaaran ye bhi hai ki mortal world me balance bana rahe. Matlab dragons aam insaano par koi atyachaar naa kare iss dar se ki abhi bhi super powerful human sadhak is dharti par maujood hai.

~ Dragon inspectors ka ek kaam ye dekhna bhi hota hai ki kahin koi dragon kisi insaan ko pareshan to nahi kar raha. Dragon Authority ko dar hai ki kahi aam insaano par aatyachar hone se ye super powerful insaan sadhak bhadak naa jaye.

(Example - Update 8
Meeting me jab Indrasen salah deta hai ki - Manav ko jaan se maarkar Saanvi ki dragon core uski body se nikaal lo aur Manav ki laash ko samudra me fek do-
To uski salah sunkar sabhi Elders sakte me aa gaye the. Kyu?
Kyuki kaaran the - Dragon Inspectors aur iss duniya me reh rahe super powerful human sadhak gan)



Khair.. abhi present condition aisi hai ki koi bhi aam human sadhak heavenly realm se yahan neeche mortal world ya Human Realm ki dharti par kadam nahi rakh sakta, aur...

Koi bhi aam dragon iss duniya se upar heaven me nahi jaa sakta.

Agar kisi bhi taraf se ye condition toot-ti hai to shayad ek aur Maha-Yuddh hoga..

(Aam insaan sadhak, Aam dragons se matlab ye hai ki ye sadhak abhi immortal nahi hue hai.

Sadhana ki duniya me shakti ka bolbala hai. Ek tarah se jungle raaj hai yaani jiski laathi unki bhains - agar koi powerful sadhak (Dragon ya Insaan) niyam todta hai to kon rokega use..? shayad koi nahi!

Ab aap kahoge ki Gods kya karenge? To mai aapko batata chalu ki Gods in saansarik pachdon me nahi padte. Jab bhi kabhi duniya ka santulan ya fir duniya ka astitv khatre me padega, sirf tab hi Gods apna role play karenge.)

───── °∘❉∘° ─────

Inspectors, Dragon Clan me khaas logon ka ye ek group hai jo Dragon Clan ke internal matters ki dekh-rekh karta hai.

In logon ko aisi kisi bhi cheej me interfere karne ka adhikaar hai jo rules ke khilaaf ho jaise rishvat ya murder... Jab tak inke paas apradhon ke saboot hai, tab tak inhe apne se oopar ke inspectors ko report kare bina, khud se hi case handle karne ka poora adhikaar hai.

Inspectors ye bhi sunishchit karte hai ki koi bhi dragon aam insaan ko pareshan na kare, aam duniya ke balance ko naa bigade.


Inspectors ke number bhi fix nahi hai. Kuch inspectors cities me openly ghoomte hai, to kuch ne apni identities artists, musicians etc. ke roop me banayi hui hai, aur..
Shalini jaise inspectors.., ek city me hi rehte hue aur us area ke sabhi dragons ko supervise karte hai.
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top