• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

andyking302

Well-Known Member
6,024
14,252
174
IMG-20230123-135812.jpg

•°UPDATE 42•°

Recap -

Manav "Ab iske aage hum kal padhenge. Tumhare paas doosre subjects ke koi doubts nahi hai, hai na?
Tum bhi tired lag rahi ho. . 🥱 to aaj ki class apan yahin khatam karte hai."

Hua!

Saanvi ne table ki ek daraaz kheechi aur usme se, practice questions ki kuch moti- moti kitaaben baahar nikaal li.

Uske chehre par badle ki ek behad shaatir muskaan ubhar aayi, jab usne apni saaf aawaaj me kaha,

Saanvi : " Ab me tired nahi balki bahut energetic mehsoos kar rahi hoon!" 😏

AB AAGE :-

"Mujhse ye problem solve nahi ho rahi. . aur yeh bhi, aur... ye wali bhi ! " 🥺
Practice book khol kar, Saanvi ne ball-point pen se questions par circle banate hue kaha.

Thaka hua Manav, jo ab apna aur dimaag nahi khapa sakta tha, usne fir bhi kaha,

Manav : " Uhm... dikhao kya questions hai... " :sweat:

Saanvi : "Yeh to bas Math hai..! mujhe to aur bhi kaayi doubts hai; physics, chemistry, biology, geology, political science..."

Nikaali hui kitaabo ko kholne ke saath hi, usne, ek-ek karke, kisi magic trick ki tarah, uss chhoti si daraaz se aur jyada practice books nikaal li.

Thakaan hone ke kaaran, itni kitabon ko dekhar ab Manav ko chakkar aa rahe the, 😵
aur.. woh kewal kuch hi math problems ko solve kar saka...

Is beech, Saanvi kursi par araam se tik kar baithi thi aur apne haathon ko apni chhaati ke aage baandhe (cross hands) , Manav ko ek kutil muskaan ke saath dekh rahi thi. 😏

Manav (man me) : "Damn! middle school ka syllabus itnaa difficult kabse ho gaya! ???" 😩

Halaanki, chunki woh Saanvi ke saamne khud ko sharminda nahi kar sakta tha, isliye naa chaahte hue bhi use, unn questions par apna dimaag lagana pada..

Wo 8th Class ki math problems solve karne ki koshish kar raha tha, lekin uske dimaag me advanced mathematics ki calculus chal rahi thi;
Aur.. , jab woh physics ke numericals hal kar raha tha, to uski soch, college level physics ki theories ke ird gird ghoom rahi thi...

Inn subjects me, uske vartmaan knowledge aur ek middle school level ke concepts ke beech bada antar tha..
Aur is antar ne uske liye, kewal middle school concepts ko hi use karte hue, questions solve kar paana lagbhag asambhav bana diya..

Jab Manav frustrate hota hua unn sawaalon se joojh raha tha, tab Saanvi ne bade utsaah se poocha,

Saanvi : "Uncle, tum inhe solve kar bhi sakte ho ya.. Nahii !? " :hinthint:

Manav ne use English me bahut torture kiya tha, aur ab use, usse apna revenge lete hue bada sukhad anubhav ho raha tha. :evillaugh:

Apna sar khujate hue Manav sawaalon me uljha hua tha, uska dimag jaise fata jaa raha tha.
Halaanki, koshish karne ke bajaay ye accept karna ki ek top university ka student hokar bhi, woh middle school ki problems solve nahi kar sakta.. jyada sharmnaak hota.

Akhirkar haar maante hue Manav ne pen neeche rakha aur kaha,

Manav : "Tum mujhe apni saari NCERTs dedo.., jisse mai middle school ke concepts ka revision kar lunga. "

Saanvi ne uski baat ka galat matlab samajh liya,

Saanvi : "Lekin kal to mujhe unhe school le jaana hai! " :idk1:

Manav : "It's fine! mujhe bas aaj raat ke liye chahiye"
weh confident lag raha tha.

"Ok wait!" Bolkar Saanvi uth khadi hui, bed ke paas pahuch kar apna school bag uthaya aur usme se sabhi NCERTs nikaal kar Manav ko saunp di.

"Der raat tak mat jaagna," 🙂

Apne haathon me textbooks liye Manav ne, darwaje tak jaate hue usse kaha.

Aashcharya se Saanvi ne uski or dekha. Weh hairaan thi ki itna dimaag khapane ke baad bhi Manav usse kitne achche se pesh aa raha tha aur.. jaisa usne expect kiya tha woh bilkul bhi gussa nahi hua..

Isse pehle ki wo apne aap ko sambhaal paati, Manav, bedroom se jaa chuki tha.
Kahan? oopar attic me yaar jahan Avantika ka studio tha. 😄

Saanvi ne niche apne gulabi pajamas ki or dekha aur fir uski najar collar ke neeche ki apni komal twacha par padi,

Saanvi (man me) : "Kya.. mai usko jara bhi attractive nahi lagti..!?" :?:

"Haar baar.. tution khatam karte hi woh chala jaata hai.. jaise ki ye uske liye bas ek task ho ..."

Ye sab sochte hue Saanvi ne apni chhaati ke halke ubhaar ko dekha. Achaanak, usne dimaag us sundar ladki ka figure aa gaya :booby2: jisse weh Athletic Games ke dauraan, Chennai University me mili thi.

Aahna ki khoobsurati ko yaad karte hi woh jal bhun gayi aur apne bed par kood gayi.

Jab Manav studio me pahuncha, to usne dekha ki wahan ke saaf-suthre farsh par, uske liye bade kareene se bistar lagaya gaya tha, aur bistar ke ek taraf, hanger par uske dhule aur dry kiye hue kapde latke hue the..

Manav (man me) : "Auntie kitni thoughtful aur considerate woman hai. .

Agar Sani me apni mom ke aadhe gun(virtue) bhi aa gye, to future me.. mai bada khushkismat rahunga.... Urm.., ye mai kya soch raha hun... sighs*"

Khair Manav ne bistar par baithne se pehle saari NCERTs ko paas hi floor par rakh diya. Fir usne ek random NCERT uthayi aur use padhne laga.

Baahar, jaisa ki Avantika ne anumaan lagaya tha, toofaan jaari hi raha. ⛈️ Halki peeli roshni se jagmagata chhota sa attic, garm aur shaant tha.

Padhte-padhte use baar baar jhapkiya aarahi thi. :yawn:

Clap!

Iss baar kitaab uske haath se chhootkar neeche par gir padi. :sleep:

Neeche,

Apne kamre me, palang par karvaten badal rahi Saanvi, so nahi pa rahi thi.
Haarkar usne night lamp on kiya aur decorative chamakte sitaron se bhari hui ceiling ko dekhne lagi.

Thodi der baad, wo apne bed se utri aur dabe paanv apne bedroom se baahar nikali aur.. Attic ki seedhiyaan chadhne lagi;
Weh ye jaan ne ko utsuk thi ki Manav kya kar raha hai..

Jab usne Manav ko uske chaaron or bikhari hui textbooks ke saath sote hue paaya, to uska shakki (shak se bhara hua) dil paseej gaya.🥺

Baahar baarish ki boondon ki awaaj, ander attic me halki-halki sunai de rahi thi.

Saanvi (man me) : "Idiot ne meri books har jagah faila rakhi hain." 😔

Usne ek pal ke liye socha aur fir bistar ke paas pahuch gayi. Usne apni books ikatthi ki aur books lekar wahan se nikalne hi wali thi ki achanak uske man me ek vichaar aaya..
Weh jhuki aur kitsabon ko ek taraf rakhkar, aahista se Manav ke pairo ke paas pade kambal ko uthaya aur uspar ache se daal diya..

Iske baad usne sote hue Manav ke chehre ki or dekha aur uski band aankhon ke saamne apna haath lehraaya.. 👋
Uske dimaag me kuch shararat soojhi aur weh Manav ke sar par ek thappad maarne ko hui.. lekin ant me, usne apna haath wapas kheech liya aur use nahi jagaaya.

Khair. . Sabhi kitaaben lekar Saanvi doosri manjil par, apne bedroom me laut aayi.

Agli subah, 🌦

Jab Manav ki neend khuli, to weh apne aap ko hostel-room me na paakar thoda chaunk gaya. Uthte hue, usne dekha ki kambal ek taraf pada hua tha aur uske aas paas bikhri hui saari books ja chuki thi.

Baarish abhi bhi ho rahi thi, halaanki kal raat jitni tej nahi thi.

Baharhaal usne apne kadpe badle aur pehli manjil par jaane ke liye seedhiyaan utarne laga. Jab weh Saanvi ke room ke paas se gujara, to uska room kaafi shaant tha..

Chop ! Chop !...

Kitchen se sabjiyaan kaatne ki awaaj aa rahi thi.

6Manav kitchen ki taraf aaya to use apne apron me Avantika dikhi jo khana banane me busy thi.

Weh andar gaya aur uska abhivaadan kiya,

Manav : "Morning, auntie" 😊

"Are Manu aap uth gaye..? 😄

Avantika uski or dekhakar muskurayi aur poocha,
"Aap ache se so to paaye na?"

Manav : "Haan mai ache se soya. 😀 Kya Sani abhi nahi uthi?"

Avantika : "Wo to ek lazy bug hai.. jab tak ki koi use uthane na jaaye woh nahi uthegi. Aap apne subah ke wash-up ke liye Sani ke bathroom me chale jaein. Maine wahan aapke liye naya towel aur ek naya toothbrush pehle hi rakh diya hai," 😊

Manav : “.. Mai uske uthne ka wait karunga. Aise uske room me jaana sahi nahi rahega. "

Ispar Avantika ne muskurate hue sehmati me apna sar hila diya. :approve:

Vaastav me.., agar Sani ko pata chalta ki Manav ne usko, uske ajeeb-o-gareeb sleeping poses me dekh liya hai, to nishchit roop se weh gusse se tamtama jaati aur subah subah bakheda khada kar deti. 🤣

Galai hui udad daal peeste hue Avantika ne poocha,

Avantika : "Sani ke dad aapko university le jayenge. Abhi ke liye aap living room me relax karein ya TV dekhlein. "

Jab Manav ne stand par rakhe samaan aur Avantika ko daal peeste hue dekha to wo uske paas gaya aur uski help karne laga,

Manav : "Mendu vada with sambhar and sandwiches? Mai aapki help kar deta hu, " :smile:

Avantika ne use madad karne se mana nahi kiya. Woh muskurayi aur boli, "Good Boy. ." 😊

Manav : "Aur aap ek Great Mother~"

Ispar Avantika ne yunhi casually kaha,

Avantika : "Hehe~ isme great kya hai.. Usually sabhi mothers breakfast banati hai.. Apki mom bhi to banati hongi ? " 😄

Manav ne thoda sochne ke baad uttar diya,

"Woh.. bahut busy hai.. aur unke paas unn sabhi cheejon ko karne ka time nahi rehta hai joki normal mothers kiya karti hai." :sigh2:

Manav ki awaaj me halki maayusi ko bhampte hue, Avantika uski or dekhkar muskarayi,

Avantika : "Koi baat nahi Manu.. yeh bhi to ab aapka hi ghar hai, ” 😊

Uski baat Manav ke dil ko chhuu gayi. Weh nahi jaanta tha ki uske liye Saanvi ke man me kya feelings hai, lekin use itna jaroor pata tha ki Avantika use apne family member ke roop me maanti hai.

Khair use samajh nahi aaya ki Aunty ki iss baat par wo kya kahe..
Weh sambhar ki taiyaari me busy ho gaya aur chupchaap uspar kaam karta raha.

Kuch hi der baad, Rajyavardhan aur Saanvi neeche pahli manjil par aa gaye.
Ab tak, swaadisht khushboo faila rahe mendu vada, sambhar aur sandwiches dinning table par pahuch chuke the. 🤤
Ye Manav aur Avantika, donon ke efforts ka result tha.

Saanvi ke neeche aate hi Manav uske bedroom me chala gaya,
Aur idhar.. Table dekhkar Rajyavardhan bhi khush tha ki.. Manav ne naashta banane me Avantika ki madad ki..

Saanvi to surprised thi ki Manav kitha mehnati aur kaabil ladka tha.

Halaanki, jab uski maan ne use aise ashcharyachakit hone ke liye daanta, aur Manav se kuch seekhne ne liye kaha, to usne virodh me apne gaal fula liye. 😠

Baharhaal, unka simple breakfast khatam hone tak, raat bhar se ho rahi baarish bhi band ho chuki thi. 🌥☁

Rajyavardhan, Saanvi aur Manav ko school & college le jaane ke liye ready ho gaya,
Jabki Avantika ne fatafat kitchen ka kaam nibtane ke baad apna apron utaar diya, jisse uska patle straps wala flower halter top ujaagar ho gaya.

Usne apna sunglasses pehna aur garage me jaane se pehle ek bahut hi sundar lady-like kaala purse utha liya.

Kareeb 2 minute ke baad, Avantika ne garage se ek laal rang ki Ferrari nikaal li.

Manav, Avantika ke turant ek perfect mother se ek fashionable woman me badal jaane se hairaan tha.
Lekin haan.., yah koi aashcharya ki baat nahi thi... kyunki Avantika ek top-rated designer jo thi. . so uska fashionable hona to laajmi hi hai. 😍

Manav ne use jyadatar ek aadarsh maan ke roop me dekha tha aur shayad weh bhool gaya tha ki Avantika ka khud, apna designing career tha.
Apni reputation aur ability ke saath, weh yakeenan apni elite team ko lead kar rahi thi aur apna independent studio chala rahi thi.

Sabko bye karne ke baad, Avantika ki chamakdaar laal Ferrari tezi se aage badh gayi.

Idhar apni low-profile black Chevrolet se Rajyavardhan ne Saanvi aur Manav ko apne apne institutions me chhoda.

Khud par logon ki jyada attention se bachne ke liye,
Manav ne Rajyavardhan se use, University ke main gate se lagbhag 100 meter door chhodne ko kaha.

Aur.. Rajyavardhan ko alwida kehne ke baad, Manav university ke main gate ki or badh gaya.

Door se hi, usne dekha ki kuch students gate ke oopar ek bada banner laga raha the, jispar likha tha,

“A Warm Welcome to the World Famous Biologist Manas Shisht and Globally Well-known Meteorologist Anvi Kapoor who will be Giving Lectures at the University!”

" Vishv prasiddh Biologist Manas Shisht aur vishv star-par jaani maani Meteorologist Anvi Kapoor ka hardik swaagat hai..
Ye dono prasiddh hastiyaan jald hi University me apna Lecture dengi!"

Ye update yahin tak..
bache replies bhi kuch der me karta hu :good:

Doston next sunday (5 Feb) ko mera exam hai to tab tak ke liye break, kya kare padhna to padega :sad:

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Haa lekin beech me 1 ya 2 update jesa bhi possible raha mai post kar dunga :wavey:
Tab tak ke liye be happy, be healthy and
God bless you all 😇
To be continued.....
शानदार जबरदस्त भाई लाजवाब update bhai jann superree duperrere update
 
Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,854
159
✨🅼🅴🅶🅰
🆄🅿🅳🅰🆃🅴✨

•°UPDATE 43•°

Jab Manav gate ke thode paas pahucha to use unn 👆 bade aksharon ke theek neeche chhote aksharon ki ek line dikhi:

Thursday, March 18th at 8 PM in Shaw Auditorium.

Manav (man me) : " Thursday.. Isme to poora ek week hai.., lekin University management ne, abhi se main gate par banner lagwa diya.. hadd hoti show-off ki bhi .." :sigh:

Halaanki Chennai University vartmaan me ek vyaapak aur vishaal university thi, magar iska vaastavik goal ek research-focused university banna tha. Aur is goal ko paane ki raah me, university science & technology lectures aayojit karne aur science research projects ko start karne ke liye bahut mehnat kar rahi thi.

Isi strategy ke anusaran karte hue, Chennai University ki research branch progress kar rahi thi jabki iski comprehensive abilities me abhi bhi sudhaar ho raha tha.

Iske undergraduate programs rashtriye star par Top 10 me aate the, jabki masters aur doctors programs ka vikaas antar-rashtriya star par ho raha tha.

Ek ke baad ek puddles ko paar karte hue, weh campus ke raaston se gujar raha tha.
Raat ke toofan ke baad, Pedon (trees) ki adhik sankhya hone ke karan, campus, thandi aur taazgi bhari hawa se bhara hua tha. 🍃

Main Gate se campus ke southern entrance gate tak chalne ke baad, Manav ne ek sadak aur paar ki aur apne hostel tak pahuch gaya.

Uske roommates pehle hi classes ke liye jaa chuke the so, usne apna bag uthaaya aur lectures ke liye campus area me dobara laut gaya.

Class me, Manav ko apne paas baith te dekh Sameer chillaya,

Sameer : "Manav, ab to tu relationship me hai! haii na !? " :hinthint:

Manav ne furti se ek book nikali aur Sameer ke sar par maar di,

Manav : "Apni bakwaas band kar!"

Sameer ne apne sar ko apne donon haathon se dhak liya aur hasne laga,

Sameer : “Sale to phir tu kal raat wapas kyun nahi aaya? hum sabko laga ki tujhe kisi rich woman ne one-night-stand :sex: ke liye apne saath
rakh liya hai !" 😂

"Hatt be! ye to teri fantasy thi! " Manav ne apni kitaab se Sameer ke sar par 2 baar aur maara,
lekin dheere se.

Aahna, jo unke saamne baithi thi, ne unki bakchodi suni. So weh unhen dekhne ke liye peeche mudi, 👀

"Lodu ! kya tu kal raat uss chhutki ke ghar me ruka tha jise tu coaching padha raha hai!?"
Unki baatcheet me shamil hote hue Adarsh ne sawal daaga.

Manav : "Haan.. mai toofaan ke kaaran wapas nahi aa saka.. aur isliye, raat ko unke ghar hi rukna pada.."

Rupam ne bhi judte hue poocha,

Rupam : "Uske gharwalon ne pakka tujhe raat rukne ke liye kaha hoga..! Mujhe to lag raha hai ki wo log tujhe apna damaad bana chaahte hai ! " 😁

Yeh dekhte hue ki Manav ne apni kitaab wapas rakh di hai, Sameer ne apna sar uthaaya aur kaha,

Sameer : "Ho sakta hai Rupam! " :approve:

Fir Manav ki or mudkar,
"Bete hum teeno ne kal aadhi raat tak teri situation ka analysis kiya aur.., hume lagta hai ki uss little girl ke man me jaroor tere liye chhipi hui feelings hai. . Nahi to aise woh Athletic Games me teri race dekhne nahi aati !" :hinthint2:

Slap!

Iss baar Manav ki kitaab Sameer ke chehre par buri tarah se jaa lagi.

Manav : "Apni wild guesses ko ab band karo! Sirf toofan ke karan hi mai raat bhar wahin ruka tha,"

Aur itna kehkar woh bag se aur cheejen baahar nikaalne laga.

"Aur... Tere aur Aahna ..."
Sameer uske kaan 👂 ki or jhuk gaya aur dabi hui awaaj me poocha,

"... ke beech kuch nahi chal raha kya ! ?" :D

Manav : "Abee....! Bas kar! Tu kabse auntiyon ki tarah gossip karne laga! ? 🙄

Sameer : "Ye koi aam gossip nahi hai be! Iss baat ki keemat 1,000 rupee hai. Agar teri koi girlfriend ban jati hai to, Adarsh mujhe aur Rupam ko ₹1,000 dega. " 😁😉

"Lalchi !" Manav ne Sameer ke chehre par apni mutthi ke pichhla hissa jad diya.

Khair.. akhirkaar professor aaye aur lecture start hua.

Lunch ka time hata de to, Subah aur poori dophar yunhi, ek ke baad ek Classes me guzar gayi thi.

Manav ne aaj raat, Saanvi ko jo padhana hai.. Uske liye notes taiyar karne me bhi kuch samay bitaaya, aur middle school ke notes banate banate kab aakhiri class khatam hui pata hi nahi chala.

Dinner mein abhi 2 ghante baaki the.
Sabhi londe , aamtaur par, iss time ko hostel me taash khelne ya internet cafe me games khelne me bita dete the.

Baharhaal professor ke jaane ke baad students class room se baahar nikalne lage.

Achaanak, Manav ne dekha ki jo students class room se baahar nikal rahe the, ve sabhi gate par hi ruk gaye. .

Manav aur Sameer jab bakchodi karte hue, dheere-dheere darwaaje par pahuche to unki manodasha bhi aur students jaise hi ho gayi..
Kyoki,

baahar khadi thi cold beauty Ms. Shalini ! 😍

Shalini, jo shaayad hi kabhi classes ke alawa campus me dikhayi padti thi, darwaje par khade thi aur use dekh kar aisa lag raha tha jaise maano woh kisi ka intjaar kar rahi ho..

Manav ko dekhte hi, weh aage badhi aur kaha,

Shalini : "Mr. Shisht, please take a walk with me around the campus."

Uski baat sunkar aaspaas khade classmates achanak phusphusana chhod ekdum shaant ho gaye. Yahan tak ki Class President Aahna ne bhi aashcharya aur confusion me Shalini aur Manav ko dekha. :what3:

Manav ki chuppi par, Shalini ne poochha,

Shalini : "Kya hua.. mujhse dar rahe ho?"

"Chaliye!"
hao ren ne apne kandhon ko seedha kiya aur Shalini ko gate se thode dur, seedhiyon tak le gaya.

Uske classmates peechhe reh gaye, aur apni aankhen faade unhen ghoorte rahe. :shocking: :shocking: :shocking:

Ve seedhiyon se neeche utre aur Academic Building se baahar nikal gaye. Raaste mein, jitne bhi students the, ve sabhi un donon ko badi hairaani se dekh rahe the.. kyunki unhone Ms. Shalini ko pehle kabhi kisi male student ke saath aise kadam se kadam milakar chalte hue nahi dekha tha.

Upar se aaj, Shalini, apni black and white dress me jyada hi kahar dha rahi thi. Iss short-sleeved dress ki U-shape wali neckline, uski sundar - surahidar - lambi gardan ko aur nikhar rahi thi..
Kulmilkar uska mukhda kisi Greek goddess ki khoobsurati ko bhi asaani se maat de raha tha.

Iske saath hi usne bade retro style kangan pahane the jisse uski baahen patli aur royal type lag rahi thi.

Uske bagal me saath chal raha Manav, aaj use bahut kareeb se dekh pa raha tha.

Manav achambhe me tha ki Ms. Shalini ya phir.. Avantika auntie..?
Kiska fashion sense jyada behtar hai..? :confused:

Jab usne aas paas najar daali, to usne Sameer aur doosre ladkon ko thodi doori par, chupke se unka peechha karte hue dekha.

"Ye log ..." :sigh:

Manav ko nahi pata tha ki unki iss harkat par vo kya kare...

Halaanki weh ye bhi jaanta tha ki Ms. Shalini ko bina dekhe hi maloom tha unke 'fans' unka peechha kar rahe the.

Chunki, weh openly Manav ke liye aayi thi, isliye usne apni iss mulakaat ko secret rakhna jaroori nahi samjha.

Jab ve Academic Building se kareeb ek darjan meter door aa gaye tab Shalini ne achanak kaha,

Shalini : "Maine iss matter par detailed investigation ki hai,"

uske fresh Cherry jaise muh se ek halki khushboo aa rahi thi. Bina makeup ke bhi, Shalini ki khoobsurati lajawab thi.. :love:

Manav : "Apka matlab.. Meri dragon identity ka matter?"

Chunki ve aur logon se bahut door the, isliye Manav ko ye baatein, kisi ke sune jaane ki chinta nahi thi.

"Yes,"
Shalini ne haan me sar hilaaya aur aage kaha,
"Maine Vinod Bedi se poochtaach ki hai aur Sani ka viewpoint bhi samjha hai. So mujhe iss poori situation ki clear understanding hai.”

Manav : "To kya.. ab aap meri dragon identity ko accept karti hai..?"

Dheeme kadamon se chalte hue Shalini ne jabaab diya,

Shalini : "Well.. Haan bhi aur nahi bhi, chunki East Ocean yahi chaahta hai to, maine tumhe ek exceptional chance deti hoon.
Tum by birth dragon nahi ho, lekin kuch special circumstances aur.. Sani ke parents , jinka mujhpar karz hai, ki appeal ke kaaran, mai temporarily" tumhari dragon identity accept karti hoon,"

"Temporarily..!?" Manav ne keyword pakad liya tha.

Shalini : "Right! Only Temporarily. East Ocean ke saath hui meri negotiation se ye decide hua hai ki yadi tum Dragon Tribe ki techniques ki saadhna me minimum level clear nahi karte ho, to mujhe, ek inspector hone ke naate tumhe Dragon Tribe ka member banne se disqualify karna padega.
Aur.. khud ko prove karne ke liye tumhari Time limit hai..."

Shalini ek second ke liye ruki aur boli,
"...only 1 month."

Manav : "Matlab mujhe 1 month ke ander Spirit Concentration Scroll siddh karna hoga?"

Manav ke is sawal par Shalini ne neerasta se kaha,

Shalini : " :sigh: In your dreams. Yeh bas ek basic technique hai, aur bhale hi tum ismen master ho jao, lekin phir bhi tum ek sadhak nahi kehlaoge. Minimum level se mera matlab Kan level se tha, jo Dragons ki sadhna yaatra me sabse lower level hai.
Qian, Kun, Xun, Dui, Gen, Zhen, Li, and Kan ; ye 8 levels hain, aur Kan sabse neeche hai!"
**(Update 19)**

Ye sunkar Manav thoda niraash hua. Spirit Concentration Scroll ke pehle level ko paar karne me hi use lagbhag 2 hafte lag gaye the...

Shaayad wo Sadhna ki duniya me sabse kam talent wale logon me se ek tha. .
Dekha jaye to uske liye ek mahine ke bheetar Kan level tak pahunchna behad mushkil hoga..

Khair Shalini ne aage bolna jaari rakha,

Shalini : "Maine tumhen sab kuch bata diya hai jo tumhen jaanna chaahiye. Yadi tum meri iss requirement ko poora nahi kar sakte ho, to mujhe, East Ocean ke mujhpar ehsaan hone ke bawjood, apni duty poori karni padegi. Abse kuch samay tak, mai tumhari Sadhna ki progress par kadi najar rakhungi. "

Ispar Manab kya bolta..?
Woh to bas chupchaap man hi man apni footi kismat ko kos kar reh gaya.
Ab us par na kewal University ke Vice Principal aur uske " Dragon king Sasur", balki... Sabki Attention apni aur kheechhe wali Shalini dwara bhi nigrani rakhi ja rahi thi.

In teen logon ki dekhrekh me rehne badtar aur kya ho sakta hai bhala.. Kuch bhi nahi! 😔

Shalini : "Aur.. Mai tumhe pehle hi warn kar deti hoon. Mai Dragon Tribe me akeli inspector nahi hoon. Ye to mai hoon jo tumhare saath narami se pesh aa rahi hoon, lekin agar yadi tum kisi doosre inspector ki najar me aa gaye, to shayad tumhara luck tumhara saath na de. "

Manav ne hairani se poochha, "Aapka matlab..." 😳

"Yadi tumhara luck acha raha, to wo kewal tumse poochhtaachh karega ya karegi. Lekin agar tum lucky nahi rahe, to wo tumhen direct, jaan se maar bhi sakta hai,"
Shalini ne har ek shabd par jor dete hue kaha.

Jab Manav ghabrahat me wahin jam gaya to, Shalini ne uski or dekha aur kaha,

Shalini : "Panic mat ho. " :alright:

Fir usne jeb se ek silver necklace nikaala,

"Iss necklace me maine kuch special array formations design ki hai, jisse ye necklace tumhari body se aa rahi halki dragon presence (aura) ko chhipa dega.. To doosre inspectors tumhe notice nahi kar payenge"

Abhi ke liye itna samajhlo ki ye ek technique aur skill hai jisse hum kisi cheez ki appearance ko manipulate kar sakte hai.

Example : Maanlo ek darwaja hai uspar maine khidki ki array formation kar di, matlab actual me hoga to woh darwaja hi par dikhegi khidki.

Jaise yahan ke ads :mahboi: hume dikhta to update ka link hi hai par aisi array formation kari gayi hai ki click karne par open hoga kisi ad website ka page :D

Khair.. Necklace dekhkar Manav ko rahaat mehsoos hui. Usne man hi man Ms. Shalini ko bhala bura kaha ki unhone use darane ke bajaay pehle hi ne necklace baahar nikal liya hota.

Necklace ko Manav ke haath me dene ki bajaay, Shalini uske theek saame, ekdum paas khadi ho gayi aur necklace ko uske gale me daal diya.

Sameer aur dooste ladke, jo door se unka peechha kar rahe the, sabhi dang rah gaye..

"Ho kya ho raha hai....!???? :shocked:

"Ms. Shalini, Manav ke itne kareeb hai..!..?? " :shocking:

"Wo use ek haar pehna rahi hai!!! " :what3:

"Shayad.. ye unka Manav ke liye gift hai!!!"

...
...
...

Aur bhi tamaam khyalaat unn londo ke dimaag me chal rahe the.

Idhar, Manav ko bhi, jara bhi ummeed nahi thi ki Shalini khud use necklace pehna degi!

Beshak, sahi socha aapne. Iss ghatna ke gawaah sirf Sameer aur doosre ladke nahin the. Balki campus ke aaspaas ghoomne wale other students ne bhi iss ghatna ko dekha tha.

Akhirkaar... Ms. Shalini ko shaayad hi kabhi kisi ne aise campus me ghoomte dekha hoga.. aur saath hi ve jahaan bhi jaati thi to.. har koi iss supar beauty ko bade dhyaan notice kiya karta tha.

Har koi hairaan tha, lekin.. Sameer ki hairaangi to apne charam par thi; hairaani me usne apni ungli apne muh me daal li aur use lagbhag chaba hi daala. :nervous:

Baharhaal necklace Manav ke gale me daal, Shalini ne apne patle aur komal haathon ko neeche kiya aur use samjhaaya,

Shalini : "Iss par maine array formation design ki hai to, sirf mai hi ise tumhe pehna sakti hoon aur.. Sirf mai hi ise nikaal sakti hoon."

Uski baat sunkar Manav ne necklace ko utaarne ki koshish ki lekin asafal raha..
Iske alawa, ye necklace shayad kisi special material se banaya gaya tha to, ise asaani se toda bhi nahi jaa sakta tha.

Necklace ki banawat ko dekhte hue,

Manav (man me) : “pheww.. Chalo.. ye achi baat hai ki necklace sundar hai. . Nahi to ye kisi dog collar ke jaisa dikhta..," 😔

Agar.. Agar Sameer ne Manav ke iss rukhe khyaal ko suna hota, to usne jealousy se Manav ka gala hi daba diya hota!
Areey bhai, kyunki agar Shalini ne Sameer ki gardan par kutte ka collar bhi daal diya hota, to bhi woh khushi ke maare behosh ho chuka hota. :lol1:

Shalini : "Aur Haan, is necklace ke aur bhi functions hai. Ek function to ye ki isse mai jab chahoon tumhe har detail ko track kar sakti hoon,"

Manav (man me) : "Damn..! Inhone to mujhe bewakoof bana diya!, yeh.. Ms. Shaliniii sach me me ek shatir lomri (fox) hai. Yein meri safety ko lekar chintit hone ka bas natak kar rahi thi, aur.. inka asal maksad to mujh par nazar rakhana aur mujhe control karna hai!" 😑

Manav ke chehre par afsoos ke bhaav dekhkar Shalini muskurayi,

Shalini : "Ab jo ho chuka hai uspar rone ka koi faaiya nahi.. Tum ise tab tak nahi hata sakte jab tak ki tum mujhse jyada powerful person ko na dhoondh lo. " 😀

Uske khoobsurat muskurate hue chehre ko dekhkar, Manav ne man hi man vilaap kiya ki, khoobsurat mahilayein.. sabse nirdayi bhi hoti hai!
Usne apne dimaag me Shalini se adhik shaktishali vyakti ki talaash ki aur ek hi naam uske dimaag me aaya :

Saanvi ke chhote chachu!
**(Update 29)**

Halaanki, chhote chacha (Naam batana aap log :cool: ) Manav ko bilkul bhi pasand nahi karte the aur.. shaayad uski madad karne ke liye ve kabhi apni taakat barbaad nahi karenge..

Aur rahi baat doosre logon ki to, na to Vice Principal Vinod aur na hi Avantika ke paas Shalini se jyada taakat thi.

“Shatir inspectorrr! Kitni chalaki se inhone mujhe apne jhaanse me le liya, aur ab mai.. poori tarah inke control me hun! Ye lady bhale hi cold nature ki hai, lekin asal me bahut chaalaak hai," 😖
Manav chupchaap iss khoobsurat lady ko kos raha tha, jiske liye university ke amuman sabhi log deewane aur baavle hue pade the.

Khair Shalini ki woh kshanbhangur muskan jald hi gayab ho gayi. Firse aage chalte hue usne Manav se poocha,

Shalini : “Well.., kya tumhe aur koi questions ya doubts hai? Mai tumhare saath aur aadhe ghante tak walk kar sakti hoon,"

Manav jaldi se uske saath aage bada,

"Mai.. jaanna chaahta hun ki aise.. total kitne inspectors hai ...!?"

Sameer, Rupam, Adarsh aur baaki sab ne bhi, kuch doori banaye rakh, unke peeche chalna shuru kar diya. Jab unhonne Manav ko Ms. Shalini ke saath kandhe se kandha milaakar chalte hue, baat karte hue dekha, to ve sabhi eershya se bhar gaye.

Shalini : “Inspectors ke number fix nahi hai. Kuch cities aur doosri jagahon me openly ghoomte hai, to kuch ne apni identities famous artists, musicians etc. :hint: ke roop me banayi hui hai, aur.. mere jaise inspectors.., ek city me hi rehte hue aur us area ke sabhi dragons ko supervise karte hai,"

Manav ko yeh 'upyogi information' paakar bahut khushi hui. Usne aage poochha,

Manav : "To phir mai.. in inspectors ko kaise pehchaan sakta hun?"

Yeh sawal uske survival ke liye bahut jaroori tha, aur saath hi use inspectors se related sari information bhi jaan ni thi.

Shalini : "Tum inspectors ko nahi pehchaan sakte, khaaskar unhen jo idhar-udhar ghoomte rehte hai. Yahaan tak ki Vinod Bedi jaise experienced Elders bhi shaayad.., unhen nahi dekh sakte. Kewal inspectors hi ek doosre ki maujoodgi ko mehsoos kar sakte hai,"

To ye inspectors, secret agents ki tarah the jinse aap bach nahi sakte. Yahaan tak ki shaktishali East Ocean Dragon Clan ko bhi unke prati respectful vyavhaar karna padta hai. Koi aashcharya nahi ki jab Avantika auntie ne Ms. Shalini ka jikr kiya to ve bhi behad satark thi...
Manav ko ab poori sthiti ki behtar samajh ho chuki thi.

“yeh cheez jo aapne mujhe di hai..,"
Manav ne necklace ki or ishaara kiya aur poochha,

"kya yah permanent aise hi rahegi?"

Shalini : “Necklace ka array formation bas 1 month tak rahega. 1 month ke baad, agar mai ismen aur energy(adhyatmik) transfer nahi karti hoon, to ye array formation automatically kaam karna band kar dega,"

Koi bhi Shalini se iss tarah ke detailed explanations ki ummeed nahi karega..,

Shalini - jiska class me itna cold behaviour rehta tha ki weh kayi baar to students ke genuine questions ka bhi jabaab nahi deti thi.

Kewal Manav hi hairaan nahi tha. Balki, Sameer aur doosre students, male aur female donon, jo unhen door se dekh rahe the, ve bhi Ms. Shalini ko ek male student ke saath lagataar baatein karte dekh chakit the. :shocking:

Aasmaan me baadal chhaye hue the, lekin umas (humidity) ki bajaay, tazi hawa beh rahi thi. Jheel ke kinaare pedo 🌳🌳🌳 ki chhaav neeche, sadhaaran se dikhne wale Manav ke saath kandhe se kandha milakar chalne wali behad sundar Ms. Shalini....

----- Ye ek perfect scene to nahin tha, lekin doosre logon ko jaroor.. ye drashya bada intimate laga. .

Shalini ne aage kaha, “isliye maine tumhe 1 month ki time limit di hai. Agar tum iss ek month me Kan level tak pahunch jaate ho, to tumhari body pure dragon energy release karne lagegi, aur doosre inspectors aasani se tumhari sacchai ka pata nahi laga payenge.

Iske alawa, yadi tum Kan level tak pahunchte ho, to bhale hi tum kisi strict inspector ke haath lag jao, lekin tumhare paas apne aap ko defend karne ke liye kuch taakat to rahegi hi. "

Use bolte dekhte hue, Manav ko achanak ehsaas hua ki weh vaastav me uski madad kar rahi thi. Apne bhaavon ko jubaan par laate hue Manav ne poocha,

Manav : "Officially aap to mujhe ek dragon ke roop me accept nahi karti hai.., to fir kyu.. aap meri itni help kar rahi hai..?"

Shalini ne halki aah bhari, "kyunki mujh par East Ocean ka ehasaan hai aur tumhari help karke mujhe us ehsaan ko lautana hai,"

"Kis.. tarah.. ka ehasaan.. ?" Manav ne poochhna jaari rakha.

Shalini ne use dekha aur jabaab dene se pahle kuchh der socha,

Shalini : "Mai East Ocean Dragon Palace(Rajmahal) me pali-badhi hoon. Rajyavardhan aur Avantika ne pehle mera khyaal rakha tha."

"Dragon Palace ! ?"

Manav ne vismay me apni aawaj tez kar di. Weh dang reh gaya ki legendary Dragon Palace vaastav me maujood tha!
**(Update 4)**

Shalini : "Yes. Yeh East Ocean ke neeche chhipa hua hai.. East Ocean jise modern world me 'Bay of Bengal ' and ' Indian Ocean' bhi kaha jata hai..
aur.. mujhe lagta hai ki Rajyavardhan tumhe ek din jaroor wahan le jayenge. East Ocean ke maximum Elders Dragon Palace me hi rehte hain aur apni saadhna karte hue uski rakhwali karte hain. Kuch chuninda smarts elders hi hai jo yahan city me rehkar, Rajyavardhan ki help kiya karte hai. "

Shalini ki baatein sunkar Manav ke dil mein ajeeb si bhaavnayein umad padi. Usne to socha tha ki, so called dragons to insaanon jaise bahut hi normal dikhte hai aur saath hi iss fact ne, ki legendary Dragon Palace hakikat me maujood hai, use aur jyada hairaani me daal diya tha.

Manav (man me) : "To phir Saanvi aur city me rehne wale doosre dragons ke liye, Dragon Palace yakeenan unke ghar aur main base ki tarah hona chaahiye.."

"To aap Dragon Palace me pali-badhi !?" Manav ne interest lete hue usse poochha.

Shalini (dheeme swar me) : "Mai ek anaath hoon aur East Ocean ke ek Elder ne mujhe adopt kiya tha. Isliye maine apna bachpan East Ocean Dragon Palace me bitaaya.."

Jab Shalini ne ye shabd kahe, to uski abhivyakti bina kisi udaasi ka bhaav liye, bas shaant thi.

Kuch seconds tak sochne ke baad, Manav ne bedhange-pane se poochha,

Manav : "Mai.. soch raha tha.. ki.., abhi aapki age kya hogi..?" :?:

Aur ss sawal ke saath hi ye update hota hai yahin par end.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Apke replies - baad me,
Index update - baad me,

Sab baad me to abhi kya?

Abhi - only bye :sweat: :flybye:

Fir milenge dooston.. saath bane rahiyega 😇
To be continued.....
 
Last edited:

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,394
28,383
218

Awesome update
 
Amrit_#0

Active Member
1,745
3,792
143

Bahut hi romanchak update bro 💗💗
 
Status
Not open for further replies.
Top