• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest LAAL ISHQ - SAFAR BHAI BEHEN KA [INCEST, ROMANCE, ACTION, THRILLER](Completed)

Billi420

Well-Known Member
2,503
13,135
143
Chapter 2 - The Journey

Update 22

Mega Update


Word Count: 7190
Estimated Reading Time: 00:36:00



Aksh apni car le kar ghar se nikal chuka tha, uski aakho me gussa saaf saaf nazar araha tha, kuch der baad wo college me pahoch gaya tha, college me break bhi bass abhi abhi hua tha, waha Sakshi or Mansi bhi Canteen me ane ke liye nikal chuki thi, Aksh apni car park kar ke Shahid ki class ki taraf chal padta he, or Shahid ka naseeb bhi kharab, kyu ke wo apni Class me hi sabke saath kuch bate kar rah tha. Is waqt Shahid ki pith Class Door ki taraf thi, or uske samne kuch ladke the jin se wo baat kar raha tha. Jese hi Aksh class ke andar enter karta he to Shahid ke samne khade ladke Aksh ko dekhne lagte he, Shahid un sabki nazro ka picha karte hue piche mud jata he or Aksh ki taraf dekhne lagta he, Shahid ka chehra dekh kar Aksh ka gussa mano Asman faad kar jane laga tha. Aksh ne Shahid ke paas akar uska Collar pakda or bina der kiye ek zor daar mukka uske chehre par maar diya, Aksh ka mukka Shahid ko itni zor se laga ke Shahid ki aakho ke samne andhera sa hi Cha gaya tha, class me mojud students Aksh ko dekh rahe the, Aksh ne fir Shahid ke dono collar pakad kar use Blackboard par fek diya, apne boss ko is tarah pit ta dekh Shahid ke chele Aksh par chadd jate he, lekin Aksh jitna gusse me tha uske samne jana Matlab apni maut ki dawat dena tha, Aksh zor se Shahid ke un char chelo se jhapat pada, or samne rakha table utha kar un charo par fek diya, ab kisi ki himmat nahi thi ke Aksh ko rok sake, Aksh niche dard me gire Shahid par nazar dakta he or niche jhuk kar uske baal pakad kar uska chehra upar karta he.

Aksh: Madarchod.... bahot badi galati kar di tune Sakshi ke saath aisa ghinona kaam kar ke....
Wo Shahid ki aakho me aakhe dale bade hi gusse me kehta he or ek mukka uske chehre par de marta he.

Aksh ne aaj to mano ek raudra roop le liya tha, uski aakho me gussa saaf nazar araha tha. Shahid ki halat Aksh ke bass kuch ghuso me hi kharab ho gayi, lekin Aksh ne use collar se pakad kar khada kar diya, or fir se uske chehre par mukka mar ke use class se bahar gira diya, ab Aksh is karwa ko bahar chalana chahta tha. Class ke sare students uske piche hi bahar agaye the, wahi bahar khade sare Students Shahid ka haal dekh chok gaye. Aksh ne Shahid ka collar pakad kar use ghutno ke bal ghasit ta College Ground me le gaya, jaha par kafi sare students mojud the. Aksh Shahid ko Ground ke bicho bich gira deta he. Ab halat ye thi ke College me mojud har student is nazare ko dekh sakta tha, wahi Canteen me bethi Sakshi ki nazar Ground par jati he, jaha use Aksh dikhayi diya. Use yaha dekh kar wo ghabra gayi thi.
Sakshi: ye..... Aksh yaha kya kar raha he?
Mansi: kya? or wo kya Shahid ko pit raha he?
Wo Sakshi ki nazro ka picha karte hue Ground par chal rahi muth bhed dekh kar kehti he.
Sakshi: Deva ye ladka pata nahi..... Mansi mujhe abhi waha jana hoga.....
Mansi: chalo me bhi ajati hu tumhare saath....
Fir Sakshi Mansi ke saath Ground ki taraf daud padti he.

Waha Ground me Aksh ne Shahid ki halat khasta kar di thi, lekin Aksh ke dil ko ab bhi koi chain nahi pada tha. Aksh ki nazar apne bagal me lage wicket par pad gayi, usne ek Stump nikal kar sidha Shahid ke per me de mara, Shahid ki dard bhari chik waha gunj rahi thi. Is baar Aksh ne us Stump ko Shahid ke sar me de mara, jis se Shahid ka sar khun se sann chuka tha, or wo Stump 2 tukdo me tut kar bikhar gaya, tabhi Sakshi waha ajati he, Aksh ko aise maar pitayi karte dekh wo Aksh ko rokne lagti he.

Sakshi: Aksh........ Ye.... Ye sab kya......
Wo Aksh ko pakad kar Shahid se dur karte hue keh rahi hoti he lekin Aksh use chup kara deta he.
Aksh: dekh Sakshi tu bass chup rehna, mene kaha tha na aaj college me sabkuch thik ho jayega.... To bass wahi kar raha hu....
Or itna kehkar wo firse Shahid ke paas chala gaya or uski collar pakad kar use apne pairo par khada kar diya, halaki Shahid ki halat pairo par khade hone ki nahi balki Hospital bed par letne ki thi, wo to Aksh ne use pakad rakha tha, jis se Shahid niche nahi girta.

Aksh: Bol..... Jo kuch us Teacher ne Sakshi ke saath kiya, wo sab use kisne karne ko kaha tha? Bol....
Wo Shahid ka kafi takat se dabate hue te hue unchi awaz me kehta he. Ab Shahid ke muh se khun nikalne laga tha, uske aakho ke samne to andhera sa hi cha chuka tha.
Shahid: m..... Me.... Me nahi.... Janta......
Wo apni ladkhati awaz me kehta he, uske muh se jhut sunkar Aksh ka gussa or bhi badh gaya.
Aksh: Madarchod..... Nahi batayega.....
Or ye kehkar usne Shahid ke pet me zor se laat mar di, jis se Shahid dhadam se piche gir gaya, Aksh ka aisa gussa dekh kar Sakshi or Mansi, dono hi darr gayi thi. Aksh ko ab zyada notanki nahi karni thi, isliye usne apni Gun nikal di, or Shahid ke upar Point kar di. Ye dekh kar Sakshi aage ajati he or Aksh ka haath pakad kar Gun Point Shahid se hata deti he.

Sakshi: Aksh ye kya kar raha he tu.... Ab bass ho gaya...
Wo gusse me Aksh ko piche karte hue kehti he.
Aksh: tu bich me matt Aa Sakshi.... Us Teacher ne isi ke kehne par wo harkat ki thi....
Aksh ki baat sunkar Sakshi ko kuch samajh hi nahi ata, kyu ke Sakshi ne aisa kuch nahi kiya tha Shahid ke saath ke wo is tarah se pesh aye. Jabtak wo kuch soch rahi hoti he tabtak to Aksh Shahid ke paas pahoch gaya, or apne ghutno par beth kar Gun Shahid ke mathe par point kar di.
Aksh: Bol...... Kisne kaha tha us teacher ko ye sab karne ke liye.... Warna tere mathe me sari goliya chala dunga.....
Wo bahot hi gusse me, Gun ko Shahid ke mathe par dabate hue kehta he. Ab to Shahid ko bhi sach kehne ke alawa koi or rasta nahi dikh raha tha.
Shahid: ha...... Ha.... Mene.... Mene... Hi kaha tha... mene hi kaha tha...
Aksh: Matharchod, zor se bol..... Kisne kaha tha use....
Wo Shahid ko khada kar ke chillakar kehta he.
Shahid: Tea..... Teacher ne..... Teacher ne, mere kehne... Kehne se hi Sakshi ke saath.... Waisa kiya tha... use Badnam.... Badnam karne ka plan mera hi tha.....
Wo apni himmat juta kar ho sake jitna utni unchi awaz me kehta he, uski baat sunkar waha khade har Student ko herani ho jati he ke bina kisi wajah ke Shahid ne Sakshi ko badnam karna chaha. Ab Aksh ne Shahid ko chhod diya, jis se wo niche gir gaya. Aksh ne apni Gun reload kar ke uspar chalani hi chahi thi ke tabhi Sakshi use dhakka de deti he, Aksh ki ungli trigger par lagg chuki thi, or waha Gun Fire bhi ho gayi thi, lekin Sakshi ke dhakke se goli ja kar Shahid ke shoulder par lag jati he or Sakshi ki wajah se aaj Shahid bach jata he.

Sakshi: Aksh please shant ho ja.... Please aisa matt kar.....
Wo Aksh ke dono haath pakad kar use samjhana chah rahi hoti he. Lekin Aksh aaj kisi ki baat nahi sunn ne wala tha.
Aksh: tu pagal ho gayi he.... Jis insan ne tere bare me aisi soch rakhi me use jine nahi de sakta....
Sakshi: Aksh mere liye maan ja na.... Please ye sab matt kar... Bhale wo galat he, lekin agar tu sare aam kisi ka katl karega to tu us se bhi zyada galat bann jayega.... please Aksh.....
Wo Aksh ko Shahid se dur le jate hue kehti he lekin tabhi Mansi uske samne akar khadi ho jati he.
Mansi: Aksh... Please... Don't do this.....
Wo aage akar apni num aakho se kehti he, Aksh Mansi ki aakho me aasu dekh kar heran ho gaya tha.
Aksh: Mansi... Tu... Tum ro kyu rahi ho?
Mansi: Aksh mene.... Mene apni zindagi me ek baar ye sab hote hue dekha he...... Mujhse nahi dekha jata ye sab Aksh.... Please..... Please.... Don't do this.....
Ab Mansi ke aakho me Aasu dekh kar Aksh apni Gun ko niche kar leta he, lekin abtak waha Police achuki thi, waha sare teachers mojud the, lekin Aksh ka raudra roop dekh kar kisi ki himmat nahi hui use rokne ki. Police ki nazar Aksh ki gun par ja chuki thi, isliye wo sidha Aksh ke paas ajate he.

Police: kyu Bhai? Bada gunda lagg raha he tu to? Ab chal thane, waha aage ka program hoga.....
Wo Aksh ke haath se gun lete hue kehta he.
Sakshi: dekhiye.......
Police: na chori.... Kanun ke bich me na bolna, ye sare aam college me ghus kar kisi ki maar pitayi karna kanun ke khilaf he....
wo Sakshi ki baat ko kaat te hue kehta he.
Mansi: accha.... To fir jab ek ladki ke saath ye awara ladke badsaluki karte he, tabb kaha chala jata he aapka kanun?
Wo Aksh or Sakshi ke samne khadi ho kar kafi Sakht lehze me kehti he, ab samne Mansi thi, jise ye Police acchi tarah jante the.
Police: dekhiye.... Hume is ladke ko Arrest karna hoga, aage ki karwahi aap legally kar lijiye.....
Wo apne hawaldar se hatkadi lete hue kehta he.
Mansi: me bhi dekhti hu Aksh ko koi kese haath lagata he.....
Aksh: ek minute ruko Mansi..... Sir, ye dekhiye.....
Wo apni jeb se ek identity card nikal kar Police ko dikhata he, jo ke use Abhinav ne diya tha. Jo ek special ID tha jise dekh kar Inspector ki bolti band ho jati he.
Police: Lekin..... Aap.... Aapko legal formalities Complete karne ke liye Police Station chalna hoga....
Aksh ka card dekh kar Inspector ki bhasha hi alag ho jati he.
Aksh: Ji chaliye......
Sakshi: Aksh me bhi tere Saath arahi hu.....
Aksh: Sakshi tu fikar....
Sakshi: mene kaha na me arahi hu, ab apni mann mani karna band kar.....
Wo gusse me Aksh ki baat kaat te hue kehti he.
Aksh: thik he.....
Mansi: me.... Me bhi chalti hu saath....
Aksh: Mansi please tum rehne do, me bass kuch Legal Formalities puri karne ja raha hu....
Wo Mansi ka ek haath pakad kar kehta he. Fir Mansi aage kuch nahi kehti. Police ne besudh se pade Shahid ko uthakar Hospital rawana kar diya, Sakshi or Aksh dono Aksh ki car se Police station ja rahe the. Sakshi ab bhi kafi sehmi hui si lagg rahi thi.
Aksh: kya hua Sakshi?
Sakshi: kuch nahi.....
Aksh: to fir muh kyu aise latkaya he?
Sakshi: Aksh tune is tarah tamasha nahi karna chahiye tha....
Aksh: ye tamasha nahi tha..... Jab tere character par daag laga tha tabb bhi sara college wahi tha, to fir jab baat us daag ko mitane ki thi, to wo bhi sabke samne hi hona chahiye tha....
Sakshi: lekin ye Gun Fire karna or ye sab....
Aksh: wo to tu bich me agayi, warna to me us kamine ko zinda nahi bhi chhodta.....
Sakshi: ab kyu ye language use kar raha he? Galiya de de kar baat kar na jese waha chilla chilla kar de raha tha.....
Uski baat sunkar Aksh thoda Sharminda sa ho jata he.

Kuch der baad dono Police Station pahoch gaye the, waha sari Legal Formalities puri karne ke baad Aksh Sakshi ko bhi apne saath hi ghar le jata he.

Lekin waha College me Mansi bass kuch gehri soch me thi, uski aakho ke samne baar baar ek bita hua nazara araha tha. Jis me kayi sare log ek ladke ko bahot buri tarah se maar rahe hote he, or akhir me koi ek aadmi bada sa khanjar nikal kar us ladke ke sar me ghused deta he. Itna Disturbing nazara apni aakho ke samne baar baar ane se Mansi ka dhyan kahi bhi nahi lagg raha tha, tabb wo apni car le kar ghar chali jati he or apne kamre me ja kar kuch der takk rone lagti he.


Sham ke waqt Aman ghar agaya tha, uski nazar ghar ate hi pehle Mansi ko dhund ne me lagg jati thi.

Aman: Kiran.... Mansi dikhayi nahi de rahi he.....
Kiran: aaj uska mood kharab he, tabse bethi he apne room me hi....
Aman: accha? Chalo me pehle use dekh kar ata hu...
Kiran: okay....
Fir Aman Mansi ke kamre me chala jata he, Mansi ke room ka door open hi tha, or Mansi Bed par leti hui kafi udas si lagg rahi thi.

Aman: Mansi.... Kya hua beta aise udas kyu ho tum?
Wo Mansi ke bagal me akar beth te hue kehta he. Aman ko waha dekh kar Mansi uthkar beth jati he or bass na me apni gardan hila deti he.
Aman: bata bhi do beta...... Koi pareshani he?
Wo Mansi ke sar pe haath ferte hue puchta he.
Mansi: No Dad..... Wo to bass.... Rishi....... Rishi Bhaiya ki yaad arahi thi to......
Ab Ye naam sunkar to Aman bhi kafi udas ho jata he.
Aman: to ye baat he.... Apne Bhai ko yaad kar rahi ho yaha beth kar.....
Mansi: Dad wo sab kyu......
Aman: Mansi waqt ko koi badal nahi sakta, hum baar baar us situation ko kaus kar kya kar lenge? Batao tum hi....
Wo Mansi ki baat bich me kaat te hue kehta he, lekin abtak Mansi ki aakhe num ho chuki thi.
Mansi: lekin unki kya galati thi? Kya sacchayi ka saath dene ka yahi anjam hota he? Or wo Aadmi jisne.... Jisne..... Bhaiya ko......
Mansi ab rone lagti he or uske rone ki wajah se uski baat bhi adhuri reh jati he.
Aman: Mansi, ab please Rona band kar do..... Niyati ke samne aaj tak kisi ki chali he? Jesa Niyati chahti he, hume bass usi hisab se chalna padta he....
Wo Mansi ko apne sine se laga kar num aakho se kehta he.

Kafi der takk Aman Mansi ko shant karte hue beth jata he, kuch der rone se ab Mansi ka dil halka ho gaya tha.

Waha ghar pe Sakshi bed par lete hue chatt ko ek takk dekh rahi thi. Aksh dono ke liye chay bana kar kamre me ajata he or Sakshi ko is tarah dekh kar wo Sakshi ko awaz laga deta he jis se Sakshi uthkar beth jati he.

Aksh: Kya soch rahi thi Sakshi?
Wo Sakshi ke bagal me bethkar uske haath me chay dete hue puchta he.
Sakshi: kuch nahi bass..... Aise hi.....
Aksh: yaar wo sab bhul ja Sakshi.... Mene kaha tha na aaj sara sach samne ajayega.... Or ab sab kuch thik ho gaya he, to tu ye sochna chhod de.....
Sakshi: hmm....
Fir dono kuch der takk yaha waha ki baate karne lagte he, lekin tabhi Doorbell bajti he, Sakshi jakar Door open karti he to bahar Mansi khadi thi.
Sakshi: Mansi..... Aao andar....
Fir wo dono akar Aksh ke saath hi beth jate he.
Sakshi: tum is waqt yaha kese?
Mansi: actually mera ghar pe mann nahi lagg raha tha, to socha tum se mil lu.....
Sakshi: ohh... Chalo accha kiya tumne yaha akar....
Or fir tino hasi mazak karte he, lekin Aksh ne Mansi ko dekh kar pehchan liya tha ke wo bass upar upar se hi hasne ka natak kar rahi he.
Aksh: waise Mansi kya me tumse kuch puch sakta hu?
Mansi: ha Aksh pucho na.....
Aksh: kya wo Shahid tumhara dost he?
Mansi: bilkul bhi nahi, infact mujhe us ghinone ladke par bahot chid ati he....
Aksh: to fir aaj uski halat dekh kar tumhari aakhe kyu num ho gayi thi?
Mansi: wo.... Wo to.... Mujhe nahi dekha jata ye sab....
Aksh: Mansi bhale hi me tumhe bahot kam waqt se janta hu, lekin is waqt mai itna to me samajh hi chuka hu ke tum kisi baat ko apne andar daba kar jhut muth nahi hass pati.....
Wo Mansi ki aakho me aakhe dal kar kehta he, jis se Mansi bhi hadbada jati he or uski aakhe ek or baar num ho jati he.
Sakshi: Mansi tum rone kyu lagg gayi? Kya baat he please batao na.....
Wo Mansi ke aasu dekh uska haath tham kar kehti he.
Mansi: wo..... Baat ye he ke.... Ke.... Mere bade bhai the, Rishi Bhaiya...... Or kuch saal pehle aise hi someone.... Someone Stabbed Him To Death.... Aaj wahi Situation apne samne dekh mujhe wahi sab yaad agaya tha....
Mansi ki ye baat sunkar Sakshi or Aksh ko kafi zor ka jhatka lagg jata he.
Sakshi: k..... Kya..... Lekin ye sab.... Ye sab kyu.....
Mansi: I Don't Know...... Me nahi janti, ya fir ye kehna thik hoga ke me jankar bhi use maan nahi sakti.....
Uski baate Aksh or Sakshi ke palle bilkul bhi nahi pad rahi thi. Or wo dono Mansi ko iske liye force bhi nahi karna chahte the.
Aksh: tumne apne Bhai ke bare me kabhi bataya nahi Mansi?
Mansi: actually..... Wo mere sage bhai nahi the.... Baat tabb ki he jab Mere Mom Dad College time me the..... Mom ki ek best Friend thi, she was married very early or kuch waqt baad she was Pregnant.... But uske kuch months baad hi unke Husband ki kisi ne behrehmi se jaan le li, tabb wo Aunty to kuch samajh nahi pa rahi thi, or unke na to parents te na koi Relatives... Mom ne unhe apne saath apne ghar rehne ke liye mana liya tha, but jab unhone us bacche ko janm diya to uske baad unhone Suicide kar liya or us bacche ki yani Rishi Bhaiya ki zimmedari Meri Mom ko de di... Meri Mom ne Rishi Bhaiya ko apne hi bete ki tarah parwarish di thi, then 3 saal ke baad my Mom and Dad got Married.... Rishi Bhaiya mujhe bachpan se hi bahot pyaar karte the, humara bachpan saath me hi guzra, lekin abtak hum dono ko ye sacchayi nahi pata thi.....
Ye sab kuch sunkar Aksh or Sakshi apne kaano par vishwas nahi kar pa rahe the.
Sakshi: lekin tumhe ye sab kese......
Mansi: Aaj se 7 saal pehle Rishi Bhaiya me or unki Girlfriend kahi ja rahe the or........

Flashback:


Rishi: Mansi..... Mansi..... Chalo jaldi late ho raha he hume....
Wo niche Living Room me khada ho kar apne room me tayar hoti Mansi ko pukar raha tha.
Mansi: ha abhi ayi Bhaiya..... bass 2 minutes.....
Wo apne room se hi chillakar kehti he.
Rishi: yaar iske 2 minutes pata nahi kab khatam honge....
Wo Living Room me yaha se waha chakkar lagate hue Mansi ka Wait kar raha tha ke tabhi Kiran or Aman bhi waha ajate he.
Kiran: Rishi.... Kahi ja rahe ho tum?
Rishi: ha Mom me Kriti (Rishi's Girlfriend) se milne ja raha tha....
Aman: to fir yaha kyu chakkar kaat rahe ho? Jao....
Rishi: actually me......
Wo is se aage kuch bola ke Mansi bhagte hue niche ajati he.
Mansi: Bhaiya chalo jaldi late ho jayega.....
Wo Rishi ka haath pakad kar use khinch te hue kehti he.
Rishi: iske liye ruka hua tha me....
Wo muskurate hue Aman se kehta he.
Kiran: Mansi ruko.....
Mansi: kya hua?
Kiran: tum kabhi Rishi ko akela bhi chhod diya karo... Kriti se milne ja raha he wo to tumhe waha jane ki kya zarurat he? Chalo ajao yaha, or tum Rishi akele hi chale jao....
Kiran ki baat sunkar Mansi ka hasta hua chehra puri tarah se udas ho gaya tha, jo Rishi dekh kar muskura padta he.
Mansi: me jaungi......
Wo roti hui shakal bana kar kafi dhimi awaz me kehti he.
Kiran: mene kaha na......
Rishi: kya Mom aap bhi.... ye baat to aap bhi acchese janti ho ke Me Kriti ko akela chhod sakta hu lekin Mansi ko..... Mansi ko kabhi nahi.... Chalo nikle Mansi?
Wo niche jhuk kar Mansi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he, jis se Mansi ki khushi uske chehre par jhalak padti he. Fir dono car me bethkar ghar se nikal jate he.

Kuch der baad wo dono ek park me pahoch gaye, jaha Kriti Rishi ka intezar kar rahi thi.

Kriti: kyu agaye tum? Itna late? Me kabse yaha wait kar rahi thi tumhara? Tumhe na meri parwah hi nahi he Rishi.....
Wo Rishi ko dekhte hi uspar barasne lagti he.
Mansi: Sorry Di..... Unko late meri wajah se hua.... Wo to bahot der se tayar ho kar bethe the.... Please Sorry....
Wo Kriti ke aage akar apne kaan pakadte hue us se maafi mangti he.
Kriti: it's... it's okay.... Tum mafi matt mango....
Wo Mansi ke haath pakad kar kehti he.
Rishi: Sorry yaar ab maaf kar do mujhe.....
Kriti: okay.... Ye tumhari Aakhri galati he isliye maaf kar rahi hu....
Rishi: kya Matlab?
Kriti: kuch.... Kuch nahi.... Ab kahi jana bhi he ya bass yahi baate karni he?
Rishi: sure.... Tum batao kaha jana he?
Fir wo log ek jagah decide kar ke waha nikal padte he, kafi der takk wo log yaha se waha ghumte rahe or fir ek khali jagah par chal pade, kehne ko wo rasta to kafi Khubsurat tha, thandi hawaye, dono taraf hare bhare ped, or bich se guzarti jheel. Mansi Rishi ka haath pakade safar ka maza lut rahi thi. Rishi Kriti se baate kar raha tha, tabhi Mansi ki nazar samne arahe ek aadmi par padti he jiske paas redi bhar ke Kacche Aam the. Use dekh Mansi ka mann bass use khane ka karta he.

Mansi: Bhaiya..... Mujhe Kaccha Aam Khana he, please mujhe le kar do na.....
Wo Rishi ka haath pakad kar zor zor se uchalte hue kehti he.
Rishi: kya kaccha aam? Bilkul bhi nahi.... Khatti chize khane se tumhara gala kharab ho jata he... Or fir tumhe School na jane ka bhi bahana mil jayega....
Mansi: nahi...... Mujhe khana he..... khana he.....
Wo roti hui shakal bana kar apni zidd par utar ayi, or Mansi ki zidd chahe sahi ho ya galat, Rishi humesha use puri karta tha.
Rishi: yaar tum nahi manogi..... Lekin kal agar tumne School Jane se mana kiya to pitayi hogi tumhari, samjhi?
Mansi: ha baba samajh gayi.... Me kal school jaungi... Lekin abhi Kaccha Aam khana he....
Rishi: okay.....
Fir wo Rishi tino ke liye Kaccha Aam kharid leta he, tino wo le kar jheel ke kinare beth khane lagte he. Mansi is waqt kafi zyada khush thi, uski khushi dekh Rishi bhi khush ho jata tha.

Rishi: Mansi tumhara ye bachpana kab khatam hoga? Aisi zidd karti rehti ho humesha.....
Mansi: kabhi nahi.... Mera bachpana kabhi khatam nahi hoga.... Infact mujhe to aise bacchi rehne me hi bhalayi lagti he....
Rishi: or aisa kyu?
Mansi: or nahi to kya? bade ho kar bass pareshan rehna padta he, Kriti Di ko hi dekh lijiye..... Kese pareshan si lagg rahi he wo.....
Uski baat sunkar Kriti hadbada jati he.
Kriti: n..... Nahi.... Nahi..... Aisi to... Koi baat nahi he...
Wo apne aap ko sambhalte hue kehti he.
Rishi: kya hua Kriti.... Me bhi dekh raha hu aaj tum kuch alag alag si lagg rahi ho....
Kriti: are nahi Rishi.... Aisi baat nahi he.. wo to bass... Bass me thoda thakk chuki hu.....
Rishi: sach keh rahi ho na?
Wo Kriti ka haath pakad kar puchta he.
Kriti: me kyu jhut Kahungi?
Fir wo tino apne khane par dhyan dene lagte he, Kriti ki nazre baar baar yaha waha kisi ko dhund rahi thi. Or jese hi waha ek aadmi apna muh dhake ata he to use dekh kar Kriti chokanna ho jati he. Waha Rishi Mansi ko apne haatho se Khila raha tha, or tabhi wo muh dhaka hua aadmi akar unke samne khada ho jata he.

Aadmi: Rishi Virani.... Sahi kaha?
Wo Rishi ko dekh kar puchta he.
Rishi: ji.... Me hi Rishi hu.... Aap kon?
Aadmi: me kon hu ye zaruri nahi he.... Kyu ke tumhe to abtak yahi nahi pata ke tum kon ho.....
Rishi: kya Matlab? Me kuch samjha nahi....
Aadmi: are bhai tumhe pata he tumhare maa baap kon he?
Rishi: ye kesa sawal he? Jo kehna he saaf saaf kaho...
Aadmi: thik he to saaf saaf suno..... Ye jo Kiran or Aman Virani he na, wo tumhare nakli maa baap he....
Us aadmi ki ye baat sunkar Rishi ka gussa satve asman par chala jata he, or wo bina kuch soche sidha us aadmi ka collar pakad kar use piche ko dhakel deta he.
Rishi: ye kya bakwas kar raha he tu? Apni zuban sambhal kar baat kar.....
Uska gussa dekh kar Kriti or Mansi use pakad kar rokne lagte he.
Kriti: Rishi.... Ye kya kar rahe ho, aram se baat karo...
Rishi: kya aram se baat karu? Ise kuch pata bhi he ye kya keh raha he?
Kriti: tum please shant ho jao..... Or bhai sahab aap ho kon or ye kya bakwas kare ja rahe ho?
Aadmi: meri puri baat sunn ne se pehle hi tumne mujhe dhakka de diya, meri baat aram se suno... Darasal baat ye he ki......
Fir wo Aadmi un sabko sari hakikat batata chala jata he, Rishi or Mansi ko ispar bilkul vishwas nahi tha, jab wo aadmi apna bolna rok deta he to Rishi use bahot hi gusse se dekh raha tha.
Rishi: dekho me pata nahi tumhare saath kya kar du, isliye tumhari bhalayi isme hi he ke tum yaha se dafa ho jao....
Aadmi: me to chala jaunga.... Lekin ek baar apni Maa ko call kar ke pucho unki ek dost Rukhsar ke bare me... Jo ki tumhari asli Maa thi.....
Wo aadmi Rishi ke bilkul nazdeek akar kehta he, us aadmi ka hosla dekh kar to ab Rishi ko bhi ye baat sahi lagne lagi thi. Lekin uska dil ye maan ne ko tayar nahi tha.
Kriti: dekho ab bass ho gayi tumhari bakwas....
Wo us aadmi ko dhakka dete hue kehti he.
Kriti: Rishi.... Tum abhi Aunty ko call kar ke is bare me puch lo, fir hum ise dekhte he....
Rishi: Kriti.... Ye.... Ye.. nahi....
Uski awaz ab kafi ladkhada rahi thi.
Kriti: i know ye sab bakwas he, lekin ek baar Aunty ko call to karo, fir hum dekhte he ki is aadmi ka kya karna he....
Fir Rishi apne kaanp te hue hatho se jeb se phone nikal kar Kiran ko call kar deta he.

Kiran: Kaho Rishi......
Rishi: Mom..... Wo..... Aap......
Kiran: kya hua Rishi beta? Tumhari awaz ko kya ho gaya?
Wo Rishi ki dari or ladkhadati awaz sunkar puchti he.
Rishi: Mom.... Kya..... Kya aapki koi dost thi, jiska naam..... Jiska naam Rukhsar tha?
Ab Rukhsar ka naam sunte hi Kiran ke pasine chutt jate he.
Kiran: n..... Nahi..... beta, ye naam... Ye naam to me pehli baat sunn rahi hu...
Ab bhale hi Rishi Kiran ka apna khun nahi tha, lekin Rishi ne to bachpan se hi Kiran ko apni Maa maan liya tha, wo Kiran ki awaz se hi samajh gaya ke Kiran jhut bol rahi he, or ab Rishi ki aakho se aasu ane lagte he.
Rishi: Mom aapne..... Aapne ye baat mujhse kyu chupayi ke me...... Me aapka saga beta nahi hu.....
Uski baat sunkar Mansi ko gehra jhatka lagta he, wahi Kriti ke chehre par ek shaitani hasi ajati he.
Kiran: beta... Ye kya bakwas karne lage tum? Kisne keh diya ye sab tumse.....
Rishi: jisne bhi kaha he.... Lekin.... Lekin yahi sach he na?
Kiran: nahi beta ye jhut he....
Rishi: to fir meri kasam kha kar kaho ki ye sab jhut he....
Ab is kasam wali baat par to har Maa chup ho jati he. Bhale Rishi Kiran ka khun nahi tha, lekin usne Rishi ko apne khun se bhi zyada ka darja diya tha. Or ab Kiran ke paas kuch shabd nahi bache the.
Kiran: na..... Rishi.... Tum... Tum beta ghar ajao.... Fir hum baat karte he....
Ab Rishi Kiran ke baat palatne se is baat ko sach maan beth gaya. Or wo bina Kiran se kuch kahe Call kaat kar niche bethkar Rone lagta he. Uska mobile gir kar tut gaya tha.

Mansi: bhaiya..... Aap ro kyu rahe ho?
Wo Rishi ke samne khade ho kar uske aasu saaf karte hue kehti he.
Kriti: Rishi kya hua? Tum aise rone kyu lagg gaye?
Aadmi: hahaha..... Ab sacchayi samne aa hi gayi na?
Mansi: bakwas matt karo.... Or ab dafa ho jao yaha se warna.... Warna.....
Wo kafi gusse me us aadmi par chilla rahi thi, or ye kehte hue wo aage akar us aadmi ko marne lagti he, us aadmi ne ek hi dhakke me Mansi ko piche gira diya, ye dekh kar Rishi to jese apne hosh hi kho beth ta he.

Rishi us aadmi par jhapad pada, or usne 2-3 ghuse uske chehre par mar diye lekin tabhi us aadmi ne Rishi ko dhakka de kar piche kar diya or apne piche lagaya bada sa Khanjar bahar nikal liya.
Aadmi: sale.... Tere Maa Baap to upar pahoch gaye he, aaj tu bhi unse mil lena....
Or itna kehkar usne aage badhkar Khanjar Rishi par chalaya, lekin Rishi ne apne dono haatho se use pakad liya tha. Ye dekh kar Mansi niche se patthar uthakar use marne lagti he, lekin Kriti use ye karne se rok deti he. Lekin tabhi waha kuch gunde or ajate he, unme se 2 logo ne Mansi or Kriti ko daboch liya, or baki 4-5 log Rishi ko buri tarah se marne lagg gaye, Rishi ko khun me lath path dekh kar Mansi zoro se apne bhai ko chhod dene ki bhik maang rahi thi, lekin tabhi us Aadmi ne Rishi ke sar me wo bada sa khanjar daal diya, jis se ab Rishi ki saase dhire dhire kam hoti chali gayi. Mansi ka haal Rishi ko dekh kar bahot bura ho gaya tha. Mansi kisi tarah us gunde se chutt kar Rishi ke paas chali jati he, Rishi ki saase abhi chal rahi thi. Mansi ja kar uske sar se khun saaf kar rahi thi. Rishi bass use ek takk dekhe ja raha tha. Rishi janta tha ke shayad ye uski Aakhri saase he, Isliye wo apne ek haath se Mansi Mansi ke gaalo ko sehlane lagta he. Jese hi Mansi ne uska wo haath apne haatho me pakda Tabtak Rishi ne apni Aakhri saas le li, or wo bedhal sa aakhe khol is duniya se chal basa. Wo sare Gunde waha se faraar ho gaye Kriti Mansi ko sambhal rahi thi, lekin Mansi to kuch soch samajhne ki halat me nahi thi, Kriti ne ghar pe is bare me inform kar diya tha.

Kiran, Aman or Mansi ek bejan sharir bann chuke the, antim Sanskar ki sari vidhi ho chuki thi. Or ab sirf Rishi ki yaade Virani Family ke saath bachi thi.


Present:

Ye ghatna sunkar Sakshi ki to rooh kanp uthi thi, kyu ke wo Mansi ki situation samajh sakti thi, kyu ke Sakshi bhi apne bhai se jaan se zyada pyaar karti, or use koi kharoch takk ajaye to Sakshi ka dil ro padta he, yaha Mansi ne apni aakho ke samne uske bhai ko tadap tadap kar marta hua dekha tha. Waha Mansi apni baat khatam kar ke fut fut kar rone lagti he, Aksh aage akar Mansi ke aasu saaf kar ke use sambhal leta he. Mansi bhi Aksh ke sine se lagg kar apna dil halka karne lagti he, Sakshi me itni himmat nahi thi ke wo Mansi ko hosla de. Aaj ka din sabke liye bahot hi manhus sa lagg raha tha, aaj koi bhi khush nahi tha, har taraf sirf dukh hi dukh tha.

Khair... Sakshi Mansi ko wahi bitha kar Kitchen me jakar khane ki tayari me lagg jati he. Aksh kisi tarah Mansi ka dhyan un sari baato se hata deta he, or wo tino milkar bemann khana kha lete he.

Ab khair ye to Mansi ne apni aakho dekhi baat bata di, lekin is se saaf saaf nazar araha tha ke iske piche zarur Kriti ka hi haath he. Kya usi ne Rishi ko marwaya tha? Uske liye hume firse Flashback me jana hoga.


Flashback:


Ek khali kamre me koi aadmi tha, jo ke kisi ek hewan sa lagg raha tha, kyu ke wo samne Table par ek kate hue haath se khel raha tha, uske saath khade sare admiyo ke liye to ye roz ka tha. Tabhi waha ek ladki ajati he.

Aadmi: aao.... Aao Kriti....
To yaha ayi ye ladki or koi nahi balki Kriti thi. Wo andar akar us Aadmi ke samne beth jati he.
Aadmi: to kya wo baat pakki he?
Kriti: ji bilkul pakki he.... Mene kafi mushkil se pata lagaya he... Rishi hi wo insaan he....
Aadmi: Rishi..... Galati kar di, bahot badi galati..... Rana ke khilaf kyu chale gaye?
Wo apne samne pade kate hue haath ki ungli alag karte hue kehta he, ye dekh kar Kriti ki jaan halak me arahi thi.
Rana: lekin jis pariwar ki talash mujhe he, kya us bare me Rishi janta he?
Kriti: Rishi ko us pariwar ke bare me puri tarah se jankari nahi he.... Ek aadmi ne use kuch Clue diye he, jise Rishi ne apni diary me likh kar rakha he, jis aadmi ne use ye clue diya he, usne kaha tha ke ye clue thik 9 saal baad uske Dad tak pahoch jana chahiye.... Mene bahot koshish ki us se wo Clue nikalne ki, lekin wo nahi mana....
Rana: koi baat nahi..... Sabse pehle to us Rishi ko khatam kar do.... Fir uske ghar se wo Diary bhi le kar ajana.....
Kriti: thik he... Jesa aap kahe....
Uske baad Rishi ko marne ka pura plan bann jata he, jis din Rishi ko mara gaya, us din pure ghar me matang chaya hua tha. Kriti bhi is waqt Virani House me thi, kuch der baad wo chupke se Rishi ke kamre me chali jati he. Waha ja kar wo Locker se Rishi ki ek Personall Diary nikal leti he. Jisme sirf ek Sentence likha tha. "She is a Witness, Reflect Light Of Sun"

Rana: Is se kese pata chalega us ladki ke naam ka?
Is waqt wo Diary Rana ke haath me thi, use kuch bhi samajh nahi araha tha ke diary me jo likha he uska Matlab kya he, jis se wo kafi irritate ho gaya tha.
Tabhi waha khada ek nojawan aadmi Rana ke samne khada ho jata he.

Aadmi: Boss agar aap kahe to ek baar me ise dekh lu?
Uski baat sunkar Rana us aadmi ko ek takk dekhne lagta he.
Rana: huhhh.... Dekho..... Batao kuch samajh aye to....
Wo diary ko us aadmi ke haath me dete hue kehta he. Wo aadmi sentence padh kar kuch der takk sochne lagta he.
Aadmi: Naam mil gaya Boss.....
Wo muskurate hue Rana se kehta he, jo sunkar Rana ek pal ke liye uspar vishwas nahi kar pata.
Rana: kya naam chupa he isme?
Aadmi: Boss, Witness ka Matlab kya hota he, iska jawab he ya to gavahi, lekin gavahi kisi ka naam to nahi ho sakta, or Witness ka dusra Matlab hota he Sakshi hona..... Or ye to ek naam bhi he.... Or Reflect Light Of Sun ko Sanskrit me Jyotisha kehte he, lekin Jyotisha koi Surname to nahi he, lekin Jyotisha se liya gaya ek Surname he.... Joshi... Matlab Sakshi Joshi..

Us aadmi ki baat sunkar Rana apne hosh hi kho betha tha, kyu ke us aadmi ne bilkul sahi tarike se is Sentence ko decode kar diya tha. Or Joshi naam sunkar Rana ke dimag ki batti jal padti he, kyu ke ye naam usne apne pita Mahendra Pratap Rana se bhi suna tha. Ab Rana uthkar us aadmi ko pith par thap thapate hue Shabbashi dene lagta he.
Rana: shabbash...... Bahot badhiya Abdul..... Bahot badhiya......

To ye aadmi or koi nahi, balki Rana ka sabse vishwasu, Abdul tha. Abtak Abdul ko is Gang me shamil hue bass kuch hi waqt hua tha, lekin usne apne dimag ka istemal kar ke Rana ke mann me apni ek image bana li thi, jiska natija ye nikla ke Rana ne Abdul ko bahot jald hi apna khas aadmi bana liya. Lekin yaha Abdul ki zindagi me bhi kuch mod ane wale the. Jo khud Abdul bhi nahi janta tha.

Kriti: to ab is ladki ko dhund na padega.....
Rana: nahi..... Sabkuch waqt ke hisab se hi hoga... 11 saal..... Thik 11 saal baad is ladki ka wo hashr karna he, jiske liye humari pushte intezar kar rahi thi..... Hahahaha......


Present:


Waha Hospital me Shahid behoshi ki halat me tha, bahar uske Maa Baap or Kavita bhi mojud thi, Kavita aaj college nahi gayi thi, or use kisi ne is bare me bataya, jis se wo Shahid se milne ayi thi, lekin Shahid ka kafi khun beh chuka tha, jis se wo abhi hosh me nahi tha. Kavita ko bhi ab darr lagne laga tha, kyu ke Aksh ne to aaj Shahid ki jaan le hi li thi. Kuch der ke baad use hosh agaya tha, sab log us se mil lete he, thodi der baad Doctor uske parents ko apne saath cabin me le jata he, tabb yaha Kavita or Shahid akele hi the.

Kavita: Shahid.... shayad hume ab sab chhod dena hoga.... Kahi aisa na ho ke is badla lene ki aag me hum dono hi jal jaye....
Shahid: badla..... Badla to lena hi hoga....
Kavita: please Shahid..... Ab chhod do ye sab.... Me na hi Mansi se Badla lena chahti hu, or na hi Sakshi or uske bhai se...
Shahid: ye goli ka ghav dikh raha he? Ye to bass tab hi mitega jab me us se badla lunga....
Kavita: tum ab kuch nahi karoge..... Waise bhi tumhe ab us college se nikal diya gaya he... Me bhi waha nahi padhna chahti, hum dono kisi dusre college me admission kar lenge....
Shahid: lekin.....
Kavita: mene keh diya na..... Or ab ye badla bhul jao, mujhe nahi lagta hum kabhi unse jeet payenge.... Ab jo hoga dekha jayega....


°
°
°
°
°
°


Raat dhal chuki thi, ab Mansi apne ghar jane ke liye nikal rahi thi, Aksh or Sakshi use darwaze takk chhod ne ke liye ajate he.

Sakshi: kal college me milte he.... Or ab zyada kuch sochna matt, Take Care....
Wo Mansi ke dono haath pakad kar ek badi si muskurahat ke saath kehti he. Lekin tabhi ghar ke andar uska phone Ring karne lagta he, Sakshi apna phone Check karne chali gayi.

Aksh: Aaram se jana..... Or ab please Rona matt.... Is chehre par ye Aasu bilkul acche nahi lagte....
Wo Mansi ka chehra pyaar se apne haatho me thamkar kehta he, or use kas kar huge kar ke Mansi ke gaal par kiss kar deta he. Aksh ki is harkat se to Mansi ka chehra sharm ke mare laal ho chuka tha, wo bina Aksh se nazre milaye waha se tezi se nikal jati he.


Raat ke kareeb 2 baje hue the, Sakshi Aksh ke bagal me so rahi thi, lekin aaj jo kuch Mansi ne bataya tha, uske dimag me wahi sari baate chal rahi thi. Or iska natija ye hua ke Sakshi ko sapna ajata he jisme Aksh ka bhi kuch wahi haal ho raha tha, jesa Rishi ka. Ye sab dekh kar Sakshi darr ke mare nind se jaag jati he, or wo zor zor se Aksh ko pukar ne lagti he, uski awaz sunkar Aksh bhi nind se jaag gaya tha.

Aksh: Sakshi..... Kya hua? Sakshi me yahi hu, chup ho ja....
Wo Sakshi ki bahe pakad kar kehta he, lekin Sakshi bass use pukare ja rahi thi.
Aksh: me yahi par hu Sakshi..... Relax, dekh me tere samne hi hu.....
Wo Sakshi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he, jab Sakshi hakikat me ati he or apne aas paas nazar dauda ti he to use samajh ata he ke jo kuch abhi ho raha tha wo ek sapna tha. Wo Aksh ko apne samne sahi salamat dekh kar use apne se lipat kar lambi lambi saase bharne lagti he. Aksh bhi samajh gaya ke Mansi ne batayi sari baate Sakshi ke dimag me chal rahi thi, or shayad usne Aksh ko le kar waisa hi koi sapna dekh liya hoga. Wo Sakshi ke sar pe haath fer kar use relax kar deta he.
Aksh: ruk me tere liye pani lekar ata hu.....
Wo Sakshi ko apne se alag kar ke kehta he, lekin tabhi Sakshi uska haath pakd kar use jane se rok deti he.
Sakshi: mujhe nahi pina pani.....
Aksh: Sakshi yaar Relax..... Bass pani le kar ata hu me....
Fir Aksh ja kar Sakshi ke liye pani la kar use pila deta he, Sakshi pani pi kar Aksh ko kass kar apni baho me jakde aakhe band kar deti he. Aksh bhi pyaar se uske baalo me haath fer raha tha, jiske chalte Sakshi turant so jati he.

Dusri taraf Raat ke isi waqt me Abdul apni Gun gadi me rakh kar ek kabrastan me chala jata he, is waqt Abdul bilkul akela tha, wo andar akar ek kabr ke paas beth kar Dua karne lagta he, kuch der Dua karne ke baad Abdul us Kabr ko dekh kar rona shuru kar deta he, or wo rote hue us kabr se lipat jata he. Ek nirdayi, darinde ko is tarah rota dekh kar kisi ko yakeen karna mushkil tha. Lekin baat ye thi ke Abdul har roz yaha par ata tha, or roz us kabr se lipat kar gidgidate hue maafi mangta tha. Or aaj bhi wo silsila jari tha.

Abdul: mujhe..... Mujhe maaf kar do Rukhsar Aapa... Mujhe maaf kar do....


To Be Continued.....



To dosto ye tha aaj ka Update, i know kuch zyada hi late ho gaya, lekin kya karu? Is bimari ne kuch aise pakad liya tha ke ummid hi kho chuka tha apne wapis ane ki. Lekin ab sab ki duao se thik ho gaya he. Thank You So Much All Of You For Your Good Wishes ❤❤

Baki Update ho sakta he thoda alag sa lage, kyu ke abhi bhi puri tarah thik nahi hu, or mentally bhi thoda pareshan hu, kyu ke is Bimari ke chalte I Lost My Job... Financially kafi buri tarah se hit hua hu, to dimag kaam nahi kar raha, dekhte he aage jo hoga accha hi hoga.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊😊
Bhaiya mn apki khani ka silent reader hoon apki dosri khani b parhi boht achi thi full of emotions pr apki ic khani k start mn Jo seen dikhya gya osy soch k dr b lagta hy k ghoom phir k khani mn wo moor too aana hi hy 😔😔😔 ici liay kamoshi sy khani Read kr rha tha pr aaj socha itni achi khani ki tareef nh karna boht zyadti hogi 😍😍
Pr kuch swal heen
Mansi k bhai ko marny k baad dosri larki ka zikar aaya too wo larki khee Sakshi too nhi q k mansi too pehly sy onki nazro mn thi oor osy dhondny ki baat samjh nhi aati🤔🤔🤔ap ki khani ki hr update ka besabri sy intyzar rehta hy 😍😍😍
 
Last edited:

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,217
13,270
144
Bhut hi bdiya update bhai ji :love:


images

Aksh :D

Andaza shi nikla, triangle love ho gya ye to :love2:
Abhi mja aayega jab sakshi ko bhi puri trah se aksh mansi ke bare me pta chalega ya.....
Bdiya update bhai ji :love:

Ye kavita,sahid ki maa ka bhosda :angry:

Bc sakshi ne suicide ka socha ek pal ke liye :cry:

Teacher ke sath to bdiya kiya aksh ne ab dekhte h us chutiye sahid ka game kese bjta h :bat1:
Bhut hi bdiya update bhai ji :love2:

Arjun Reddy :hukka:

images


images

Apda me avsar :hinthint2:

images


Bc ye rukhsar abdul ki aapa thi, ab khi ye abdul rana ka vafadar bnke usko hi to nhi marne wala :hmm2:

Lost job lekin kese
Kuch din hi to hue the bimar hue sayad :sad:bc koi policy naam ki chiz bhi hai ya nhi
Chalo. Dua h bhai koi achi si naukri mil jaye apko :hug:
Eagerly waiting for next update qaatil bhai :elephant:
Thank You So Much Bhai Ji For Your Precious Reviews ❤️❤️
Update aaj Dopeher ko de dunga, actually dawai ki wajah se zyada tar tired lagta he, or upar se job nahi thi, to uske tension me update ko edit nahi kar paya, warna Update ready tha, lekin ab job bhi mil gayi he, to koi chinta nahi he, next Week se Update pehle ki tarah se post kiye jayenge...

Lost job lekin kese
Kuch din hi to hue the bimar hue sayad :sad:bc koi policy naam ki chiz bhi hai ya nhi
Chalo. Dua h bhai koi achi si naukri mil jaye apko :hug:
Actually bhai wo to jab company me pata chala ke Covid case he, tabb meri job chali gayi, warna nahi hota aisa kuch.... Khair new job mil chuki he... Everything is normal now....
 

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,217
13,270
144

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,217
13,270
144
Aur ye ek aur villian ka naam kirti rakh diya

Naam hi badnaam kar diya kirti ka to apne aur Champ_AK_81 bhai ne :cry:

Kirti to awesome h yaar :love:
Punnu-Kirti :love1:
Kahi is naam se aapka koi rishta to nahi he na bhai ji 😁😁😁😁
 

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,217
13,270
144
Brilliant Update ek baat zaroor kahu ga Salami hai ap ko bhai sach me itna bara update likhna koi Asan baat nahi hai jab reader tha tab sochta tha ye sirf 2k ya 3k words per update kiu khatam ker dete hai life me First time main ne 4k words ka updare likha aur lag pata gaya mujhe Kitni mehnat lagti hai iss me kitna dimagh ka danhi hota hai har scene double check karna parta hai kanhi koi galti to nahi ho gayi sach me bhai zabardast kaam hai ap ka baki baat ksre update ki to maaf karna pehle parh nahi saka kiu ke apna update likhne me busy tha aj he parha


Akhir Aksh ka ek dusra roop samne aa he gaya jo shakshi ka rakshak hai bohat he bhayankar roop hai Akhir us ne apni behan ki izzat bacha he li aur us card ki madad se Aksh sahi bach gaya warna police ne us ki jo durgati karni thi us ka Andaza ache se hai mujhe (mere saath nahi ek dost ke saath hote daikhi hai)

Mansi ke kuch zakhm hare ho gye iss me us Aksh ke liye pyaar bhi dikh raha hai ap fikar bhi us ki he karte ho jis se pyaar karte ho Aur mansi jaisi larki pehle to pyaar kare gi nahi agar Kare gi to sabhi hade par ker sakti hai wo pyaar me daikhna ye hai pehle kis ke pyaar ke bare me kis ko maloom hota hai


Kriti ye naam Koi to rok lo Story me parha tha laga nahi tha iss naam se kabhi nafrat ho gi lekin writer ji ap ne majboor ker dia inhi chand larkiyo ki wajha se baki larkiya bhi badnam aur shahid jaise chand larko ki wajha se larke badnam hai lekin duniya ka ye he niyam hai Achai aur burai dono hai iss duniya me


Abdul ka scene bhi bohat zabardast tha us ke baare me kuch kahu ga nahi abhi daikhna chahta hu aage kia ho ga


Chalo ji ab agla update jaldi chap do Waiting
Are Bhai ji bahot bahot shukriya tarif karne ke liye... Or naam ka kya he? Kayi baar to swayam bhagwaan ke naam par apna rakhne wale log bhi darindo ki tarah pesh ajate he...
Baki Agla Update aaj Dopeher takk Post kar dunga...
Stay Tuned And Keep Supporting ❤️❤️
 

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,217
13,270
144
Bhaiya mn apki khani ka silent reader hoon apki dosri khani b parhi boht achi thi full of emotions pr apki ic khani k start mn Jo seen dikhya gya osy soch k dr b lagta hy k ghoom phir k khani mn wo moor too aana hi hy 😔😔😔 ici liay kamoshi sy khani Read kr rha tha pr aaj socha itni achi khani ki tareef nh karna boht zyadti hogi 😍😍
Pr kuch swal heen
Mansi k bhai ko marny k baad dosri larki ka zikar aaya too wo larki khee Sakshi too nhi q k mansi too pehly sy onki nazro mn thi oor osy dhondny ki baat samjh nhi aati🤔🤔🤔ap ki khani ki hr update ka besabri sy intyzar rehta hy 😍😍😍
Thank You So Much Bhai aapke support ke liye, or jankar accha laga ke aapko meri stories pasand ayi...
Baki bhai mujhe aapka sawal samajh nahi aya... Kya aap first Update me likhe gaye scene ke bare me keh rahe ho? Ke waha Sakshi or uske puri family ki tasveer lagi he? Agar aapka sawal waisa he to jo first Update ka scene he, to wo pichle Update me Rana ke scene se alag he... Wo aapko aage pata chal jayega... Agar aapka sawal koi or he to be jijhak puch lena.... Next Update Dopehar ko post hoga.
Stay Tuned And Keep Supporting ❤️❤️
 

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,217
13,270
144


Chapter 2 - The Journey

Update 23


Mega Update


Word Count: 4001
Estimated Reading Time: 00:20:00



Pichle 2 dino se Aksh apna kaam nahi dekh paya tha, isliye aaj wo subah jaldi hi apne kaam par nikal jata he. Waha Gujrat ki kafi sari Transport Vehicles me System ko fit karwa diya gaya tha, Aksh Company me har roz new batches ka production dekhta tha. Or jo System Fit ho chuke he unhe examine karne me lagg jata tha.

Abhinav, Anant or Aksh ne milkar ye tay kiya tha ke is Drugs Smugglers ko kuch waqt baad hi hirasat me lenge, bass 2 din me hi CBI ko kafi sare Drugs Smugglers ka pata is system ke dwara chal gaya tha, wo Gadiya kaha ja rahi he, or kaha se arahi he, in sabka data CBI ke paas tha, unhone puri planning ki thi in Smugglers ko pakadne ke liye.


Waha Sakshi College se ghar agayi thi, Aksh aaj late ane wala tha, isliye Sakshi ghar ka kaam nipta kar so jati he, lekin dusri taraf Mansi apne ghar me bed par bass karvate badal rahi thi, use kafi bechaini si ho rahi thi.


Mansi (mann me): Uhhhhh..... Ye kya ho raha he mere saath? Kuch bhi accha nahi lagg raha, kisi bhi chiz me mann nahi lagg raha he..... kya karu? Ha.... Aksh se milkar ati hu, waise bhi waha mera mann laga rehta he, pata nahi kyu?

Apne dil me Aksh ka khayal ate hi Mansi ke chehre par ek pyari si muskurahat or sharm ke bhav ajate he, wo uthkar jaldi jaldi tayar ho gayi, or sidha chal padi Aksh se milne. Waha Aksh apne Cabin ne bethkar kaam me mashruf tha, tabhi uska Door knock hota he. Lekin Aksh apne kaam me wo sunn hi nahi pata, door firse knock hota he.

Aksh: Come In....
Uski awaz sunkar Door open ho jata he, Aksh samne Mansi ko dekh kar kafi khush ho gaya.
Aksh: Mansi tum..... Aao betho....
Wo aage Mansi ke paas akar kehta he. Fir dono akar bagal me pade sofe par beth jate he.
Aksh: waise tum ye Door kabse knock karne lagi?
Mansi: aise hi kisi ke cabin me ghus jana, Bad Manners.....
Aksh: lekin ye baat to sirf parayo ke liye lagu hoti he... Apno ke liye nahi....
Fir kuch der takk dono yaha waha ki baate karne lagte he, lekin tabb waha kuch seconds ke liye bilkul pin drop silence ho jata he.

Aksh (mann me): yaar.... Kya me Mansi ko bol du ke me us se kitna pyaar karne laga hu? Lekin kahi uske dil me mere liye ek dost se badhkar koi feeling na hui to? Lekin me kabtak aise hi chup rahunga? To kya abhi Mansi se bol du?

Aksh kafi gehri soch me chala gaya tha, or is bich use ye bhi ehsas nahi hua ke uske cup me coffee khatam ho chuki he, or wo bass khali cup ki chuskiya le raha tha. Or uski ye harkat Mansi dekh leti he.

Mansi: Aksh..... Coffee khatam ho chuki he.....
Uski awaz sunkar Aksh apne khayalo ki duniya se bahar ajata he.
Aksh: ah..... Ha... Wo... Mene dekh hi nahi....
Mansi: waise kya soch rahe the tum?
Aksh: Mansi..... Mujhe tumse kuch.... Kuch zaruri baat karni he.....
Wo apni himmat juta kar apne pyaar ka izhar karne ja raha tha. Or pata nahi kyu lekin Mansi ko bhi ye ehsas ho gaya tha.
Mansi: ha..... Ha.... Kaho na kya baat he.....
Aksh: Mansi me.... Me.... Me tum...... I..... I....
Wo kafi himmat juta kar Mansi ko propose karna chah raha tha, lekin is waqt Aksh ki halat kafi kharab ho chuki thi.
Mansi: kya..... Kya kehna chahte ho tum Aksh.... Please..... Please.... Saaf saaf kaho na....
Wo apni mutthi ko zor se band karte hue kehti he. Ab Aksh apna aakhri faisla kar hi leta he, or Mansi ke haatho ko apne haatho me thamkar uski nazro se nazre mila leta he.

Aksh: Mansi..... I Love You...... I Love You So Much..... Me kafi waqt se tumhe apne dil ki baat batana chahta tha, lekin kafi darr raha tha ke kahi tum bura na maan jao, lekin ab me apne aap ko rok nahi paya Mansi.... Tumhe pata he jab mene tumhe pehli baar dekha tha, tab se hi me shayad tumse pyaar kar betha tha, ab tum soch rahi hogi ke hum pehli baar us raat ko mile the jab tumhari car ka tyre kharab hua tha, lekin nahi, dimag par zor dalne ke baad mujhe yaad aya ke hum us se pehle bhi mile the, yaad he jab tum apne Dad ke saath Mumbai ayi thi, or tumhari car bigad chuki thi, jise thik karane tum mere garage par ayi thi..... Me to us waqt hi apna dil tumhe de betha tha, lekin us waqt ye sab namumkin lagg raha tha, kaha tum or kaha me? Lekin bhagwaan ne humari firse mulakat karwa di, or is tarike se karwa di ke.... Ke me apne aap ko tumse beinteha pyaar karne se rok nahi paya.... Mansi me janta hu ke aaj bhi me tumhare Dad jitna kabil nahi hu, me janta hu ke me kisi rich family se belong nahi karta, me to ek middle class family se hu, na zyada padha likha..... lekin... Lekin me tumhari sari khushiyo ko pura karunga..... Tumhe kabhi kisi baat ki kami nahi lagne dunga.... me, Sakshi, Aai, Baba.... Hum sab... Hum sab milkar tumhe humesha khush rakhenge.... i promise..... Tumhe... Tumhe kabhi koi pareshani nahi hone denge..... Kabhi nahi...... Mansi ab mere paas dusra rasta nahi he, me apna dil kab ka haar chuka hu, or is raste se wapis jana mujhse marte dumm takk nahi ho payega..... I Love You..... Till The end of my time, I'll be loving you....

Aksh ki pehli line sunkar hi Mansi ke asuo ka bandh tut chuka tha, or jese jese Aksh aage baat kar raha tha, waise waise Mansi ki saase tez hoti ja rahi thi. Mansi bass Aksh ko ek takk dekhe ja rahi thi. Aksh ko ab darr lagg raha tha ke kahi Mansi naraz to nahi ho gayi.
Aksh: M..... Mansi.... Please... Kaho na, kya tum.... Tum bhi....
Fir Mansi Aksh se apne haath chhuda kar use kass kar Gale laga leti he, or fut fut kar rone lagg gayi, lekin Mansi ki is harkat se Aksh to bilkul sadme me chala gaya, usne bhi Mansi ko apni baho me jakad liya,

Mansi: Aksh.... I was always thinking that love was wrong.... But, tumne.... Tumne meri us soch ko puri tarah se badal kar rakh diya.... Tumhare ane se, sabkuch badalta chala gaya, sabkuch..... Yes, everything was changed when you came along..... Aksh, You've Opened my heart.... i know deep in my heart..... Mujhe jab bhi tumhare khayal ate he, i feel very blessed.... I feel very happy..... Jab bhi tum mere samne hote ho, to me... To me us pyaar ko mehsus kar pati hu jise me pehle mehez ek waste samajhti thi, but now i have no doubt, and I'll say it loud that I Love You Eternally Aksh.....

Mansi Aksh ko kas kar apne dil ke jazbat uske honto par la hi deti he. Or uski baate sunkar, Aksh apne pyaar ki jung jeet chuka tha, use bhi yakeen nahi ho raha tha, ke Mansi bhi use pasand karti he. Ab apna pyaar mukammal hone se Aksh kafi khush tha, wo Mansi ko jitna ho sakta tha, utna kas kar apni baho me bharta he, wahi Mansi ko bhi Aksh ki baho me is puri kaynat ki khushi mil rahi thi. Dono hi kuch der takk ek dusre ko apni baho me jakad kar apne aap me samane ki nakam koshish me lage rehte he, or fir dono alag ho kar beth gaye. Ab na to Mansi ki himmat ho rahi thi Aksh se nazre milane ki, or na hi Aksh ki himmat thi Mansi ko ek nazar utha kar dekhne ki.

Mansi: m..... Me.... Me chalti hu ab.....
Wo apni jagah se khade ho kar kehti he, Aksh bhi aage kuch nahi kehta fit Mansi Cabin se bahar jane lagti he, lekin door takk pahochte hi use Aksh ki kal wali harkat yaad ajati he, tabb Mansi piche mudkar Aksh ke samne akar khadi ho jati he.

Mansi: apna khayal rakhna...... Or ab please Rona matt.... Is chehre par ye Aasu bilkul acche nahi lagte....
Wo Aksh ka chehra apne haatho me thamkar kehti he, or use hug kar ke apne hont Aksh ke honto se laga kar uski lambi si kiss le leti. Achanak hue is humle se Aksh hakka bakka reh gaya. Mansi to Aksh ko kiss kar ke turant waha se nikal jati he, lekin is waqt Aksh ka chehra dekhne layak tha, uske to tote udd gaye the or wo kisi murat ki tarah usi jagah khada tha, jab use samajh aya ke Mansi ne abhi kya kiya, tabtak waha wo akela hi tha.
Aksh (mann me): yaar..... Ye Mansi to bahot tez he....

Fir Aksh apne kaamo me lagg jata he, lekin itihas gawah he, ke naye naye pyaar ka jispar bhoot sawar hota he, uska mann koi kaam me nahi lagt, kuch yahi haal Aksh ka bhi tha, use to kaam me bilkul mann nahi lagg raha tha, jab use yaha kaam karna mushkil hone laga to wo uthkar apne ghar jane ke liye nikal gaya. Lekin pure raste me bhi wo bass Mansi ke khayalo me tha.

Kuch der baad Aksh ghar pahoch gaya, Sakshi is waqt so rahi thi, Door bell ki awaz sunkar wo uthkar darwaze par ajati he, jese hi usne door open kiya to samne Aksh ka khushi se khila hua chehra dekh, use kafi sukoon milta he.

Sakshi: Aksh, tu itni jaldi kese agaya?
Uski baat ka Aksh koi jawab nahi deta, balki Sakshi ko kass kar Hug kar leta he, or use waise hi uthakar ghar me le ata he.
Sakshi: aye Bavlat, kya kar raha he? Chhor mujhe...
Aksh: yaar Sakshi.... Me na aaj bahot khush hu, bahot hi zyada khush hu....
Wo Sakshi ko gale lagaye gol gol ghumte hue kehta he.
Sakshi: Deva.... To muh se bata na kya baat he, aise bandaro ki tarah uchalna zaruri he?
Wo Aksh ka uchalna rokte hue kehti he.
Sakshi: ab bata.... Kya baat ho gayi jo tu itna khush lagg raha he?
Aksh: Sakshi..... Wo.... mene tujhse ek baat chupayi rakhi thi....
Sakshi: konsi baat Aksh?
Fir Aksh aage badh kar Sakshi ki taraf pith kar ke khada ho jata he.
Aksh: actually.... Sakshi, pata nahi kyu lekin... Lekin jis din mene Mansi ko dekha he, usi din ae me Mansi ko pasand karne lagg gaya tha, or ye pasand kab pyaar me tabdil ho gayi, me nahi janta.... lekin shayad jis pyaar ki talash mujhe thi, wo Mansi ke rup me mujhe mil gayi he.... Or to or Mansi bhi mujhse pyaar karti he, mene aaj us se apni dil ki baat ki, or usne bhi uske dil me mere liye jo pyaar tha, uska izhar kar diya.... Sakshi mujhe na ye sab... Ye sab hakikat nahi lagg rahi he... Aisa lagg raha he, jese me ek sapna dekh rah hu....

Aksh Sakshi ko sabkuch batata chala ja raha tha, use lagg raha tha ke Sakshi ko is baat se bahot khushi hogi, lekin mahol iske ulat tha. Sakshi ne jese hi suna ke Aksh kisi or se pyaar karta he, uska dil to mano dhadkana hi bhul sa gaya. Jese jese Aksh aage bol raha tha, uski sari baate Sakshi ke dil ko chakna chur kar rahi thi, use apne aap ko sambhalne me kafi mushkil ho rahi thi. Usne kafi mushkil se apne Asuo ko roke rakha tha. Aksh ne jese hi apni baat khatam ki, or Sakshi ki taraf muda to wo Sakshi ko dekh kar kuch samajh nahi paya, kyu ke Sakshi to ekdum sadme me ja chuki thi.

Aksh: kya hua Sakshi? Tu thik he na?
Wo aage akar Sakshi ko khando se hilate hue puchta he.
Sakshi: h..... Ha.... Me.... Me... Thik hu....
Aksh: tere chehre se to aisa nahi lagg raha, kya tujhe Mansi or mera ye Rishta pasand nahi aya?
Wo Sakshi ke dono haath thamkar kehta he.
Sakshi: nahi.... Nahi to.... Aisi baat nahi he..... Wo to me bass soch rahi hu ke kya tu wahi Aksh he, jise samajh pana har kisi ke bass ka nahi tha? Wo Aksh jo kabhi.... Jo kabhi kisi se pyaar to dur, baat bhi nahi karta tha.... Wo Aksh, jisne mujhe kaha tha ke... Ke wo mujhse zyada pyaar or kisi se nahi karta..... Jisne mujhse kaha tha ke uske zindagi me meri jagah koi nahi le sakta, or aaj usi ki zindagi me koi agayi he, jo uske liye sabse important he....

Wo Aksh ki aakho me aakhe dalkar kehti he, or jo itni der se usne apne asuo ka bandh rok kar rakha tha, waha se kuch asu uski aakho me jhalak hi padte he, jise dekh kar Aksh heran sa reh jata he, wo aage badh kar Sakshi ke aasu saaf kar ke uska chehra apne haatho me tham leta he.
Aksh: oye.... Ye kya baate karne lagi Sakshi tu? Or ye Asu kis baat ke? Or ye baat jaan le, ke jo kuch mene tujhse kaha tha me uspar ab bhi amal karta hu, meri life me kisi ki importance tujhse zyada nahi he, or na hi kabhi hogi.... Pagal.... Or Pyaar to tujhse sabse zyada karta hu, lekin Mansi se pyaar, wo to alag he na Sakshi? Tu kyu aise behave karne lagi?
Ab Sakshi ko kuch samajh nahi araha tha, akhir uska pyaar kisi or ne chinn liya tha, lekin wo Aksh ke samne is sacchayi ko nahi lana chahti thi. Isliye wo pehle Normal hone ka sochti he.
Sakshi: tu.... Tu sach keh raha he?
Aksh: or me jhut kyu bolunga?
Sakshi: okay.... Tu ja kar fresh ho ja.... fir khana laga dungi me....
Wo bina Aksh se nazre milaye kehti he, or jaldi se apne kamre me ja kar door lock kar deti he. Aksh ko Sakshi ka ye mijaz kuch thik nahi lagta, wo ja kar Sakshi ko door open karne ke liye keh raha tha, lekin Tabtak Sakshi washroom me ja kar shower on kar deti he, or wahi beth kar apna muh dabaye rone lagti he.

Sakshi (mann me): akhir jiska darr tha wahi ho gaya..... Ho gaya Aksh mujhse dur.... Ab me kya karungi? Jiske liye ye dil dhadakta he, aaj uske dil me kisi or ne apna ghar basa liya..... Meri Duniya ek hi pal me ujad kar rakh di Mansi ne.... Kyu? Mene kya bigada tha tumhara? Kyu tumne mujhse mere Aksh ko chinn liya? Me kabhi maaf nahi karungi tumhe..... Kabhi nahi.....

Kareeb Kareeb 20 minutes takk Sakshi Shower ke niche bethkar roti rahi, lekin uska mann bilkul bhi halka nahi ho raha tha, is bich Aksh bhi uske kamre ke bahar hi khada raha, jab usne Sakshi ko awaz lagayi to Sakshi ne use jawab diya ke washroom me he, uski awaz sunn kar Aksh ek pal ke liye rahat mehsus karta he. Lekin wo abtak Sakshi ke kamre ke bahar hi khada rehta he. Waha Sakshi ka ro ro kar bura haal ho chuka tha, lekin ab Sakshi is sacchayi ko maan na hi sahi samajhti he.

Sakshi (mann me): lekin me kis haqq se Mansi ko kos raho hu? Isme galati na to Aksh ki he, or na hi Mansi ki... Galati to meri he na, me hi is duniya ke taur tarike ke khilaf ja kar Aksh se pyaar kar bethi.... Shayad Aksh ka pyaar mere naseeb me nahi he... Or me aise behave karungi to, pata nahi Aksh kya soch lega....

Aksh ka kahayal ate hi Sakshi uth kar khadi ho jati he, ir khudko sukha kar kapde change kar ke Door ki taraf ajati he. Usne jese hi Door open kiya to samne Aksh ko dekh kar wo hadbada gayi.

Sakshi: A.... Aksh... Tu... Tune... Tune change nahi kiya abtak? Ja jaldi se... Change kar ke aja.... Me Tabtak khana laga deti hu....
Wo Aksh se nazre chupa kar aage badh jati he, lekin tabhi Aksh uska haath piche se pakad kar Sakshi ko rok leta he. Waha Sakshi apni puri koshish kar rahi thi ke uski aakho me Aasu na aye. Aksh Sakshi ko apni taraf mod deta he, lekin Sakshi ab bhi us se nazre nahi nila rahi thi, tabb Aksh uski Chin pakad kar upar deta he.

Aksh: kya hua Sakshi? Tujhe Mansi or mera Rishta pasand nahi aya? Agar aisi baat he to bol de na.... yaar Me tere liye apni jaan takk qurban kar sakta hu, Mansi to mehez ek Ladki he....
Wo bahot hi pyaar se, muskurate hue Sakshi se kehta he.
Sakshi: nahi..... Nahi.... Mujhe to koi problem nahi he...
Aksh: kyu jhut bol rahi he? Agar aisa he to fir ye roti aakhe, aisi baate karna jese kisi ne mujhe tujhse chinn liya, or ye tera mujhse nazre churana..... Ye sab kyu?
Sakshi: nahi... Me to... Me to bass soch rahi thi ke kahi tu bhi bakiyo ki tarah is pyaar ke chakkar me apno ko hi na bhul jaye....
Aksh: yaar Sakshi tu bhi na.... Kuch bhi sochti rehti he... Me tujhse wada karta hu ke me bakiyo ki tarah majnu bankar nahi ghumunga.... Or tujhe bhulne ki baat bilkul betuki he... Aisa kabhi ho sakta he kya Sakshi?
Sakshi: thik he....
Aksh: to bolna, kya tujhe Mansi or mera Rishta manzur he? Kyu ke Sakshi, meri life me teri sehmati bahot zaruri he... Teri sehmati ke siwaye to me kuch bhi nahi kar paunga....
Sakshi: mujhe..... Mujhe koi problem nahi he...
Wo apne dil par patthar rakh kar Aksh or Mansi ke rishte ko manzuri de deti he.
Sakshi: ab.... Ab tu ja kar Change kar le, me khana laga deti hu...
Fir Aksh apne kamre me akar change kar leta he, lekin Sakshi ko to ab bhi bass rone ka mann kar raha tha, lekin usne kisi tarah apne aap ko sambhale rakha tha. Aksh akar Dining room me beth jata he, Sakshi use khana paros deti he, or bass kuch sochte hue beth jati he.
Aksh: kya hua Sakshi? Tujhe khana nahi khana?
Sakshi: nahi... Nahi... Wo mene khana kha liya he...
Aksh: accha? Itne waqt ho gaya hume yaha rehte, tabb to tune kabhi akele khana nahi khaya...
Sakshi: are mene to... Wo.. college me apni dost ke saath kha liya...
Aksh: are to use kitna waqt ho gaya..... Chal muh khol apna...
Wo khane ka niwala Sakshi ki taraf karte hue kehta he. Ek pal ke liye to Sakshi ko Aksh ka apne liye itna pyaar dekh kar khushi hoti, lekin tabhi usko Mansi ka khayal ajata. Sakshi bemann se thoda bahot kha leti he, or Aksh se sar dard ka bahana bata kar kamre me ja kar sisak sisak kar rone lagti he.

Sakshi (mann me): batane hi wali thi na me Aksh tujhe apne dil ki baat.... Mere kehne ke baad agar tu in sab se mana kar deta to mujhe itni takleef nahi hoti, jitni mujhe ab ho rahi he..... Kya mene galati kar di tujhe teri us daldali duniya se bahar la kar? Kya uska anjam yahi tha? Ke tujhe koi or mujhse chinn le.... Ab me kya karungi? Mera jo kuch tha, wo sab to chinn gaya mujhse.... Sab chinn gaya....


Aksh (mann me): yaar Sakshi ko kya ho gaya he? Wo kyu aisi baate kar rahi thi? Shayad use lagg raha he ke me is pyaar vyaar ke chakkar me use kam importance dene na lagg jau... Lekin Sakshi ab tujhe kese batau me ke teri importance meri life me utni hi he, jese is sharir me Rooh ki.... Is dil me dhadkano ki.... Meri life me koi bhi ajaye, lekin wo kabhi tujhse badhkar nahi ho sakta.... kyu ke mujhe meri sakshiyat tune hi di he... Or me kese tujhe kam importance de du.... Pagal kahi ki....


Yaha dono hi ek dusre ki feelings se anjan the, or waha Mansi ke bhi sar pe is pyaar ka surur chadd chuka tha. Khair, dhire dhire din dhalta chala gaya, kafi der takk rote rote Sakshi ki bhi aakh lagg jati he.

Sham ke 6 baje hue the, tabhi Aksh ko Mansi ka call ajata he, Aksh aaj din bhar Sakshi ki chinta me hi tha, lekin Mansi ka call dekh kar uske chehre par halki si muskurahat ajati he, or wo bina der kiye call pick kar leta he.

Aksh: Ha Mansi Kaho......
Mansi: aise hi call kiya mene to...
Aksh: kya kar rahi ho?
Mansi: kuch nahi.... Bass lete lete tumhari yado me khoyi thi....
Aksh: accha? Or batao, kesa ja raha he meri jaan ka din?
Mansi: Aksh, you know what.... Mujhe lagg raha he ke tum na un ultra legend couple ki tarah pesh arahe ho, wo hote he na...... Mele Babu ne Thana tha liya kya? Mele babu ne pani pi liya kya? Babu so lahi he kya?
Mansi ki baat sunkar Aksh ki hasi chutt jati he.
Aksh: yaat Mansi.... Sachme pagal ho tum....
Mansi: kyu? Tumhe pagal Wife nahi chalegi?
Aksh: shayad tunhara yahi pagalpan is pyaar ka zariya bana he, kese nahi chalegi ye pagal wife?
Dono hi kafi der takk ek dusre se pyaar bhari baate karte rehte he, or is bich Aksh ja kar backyard me beth jata he, or wahi Sakshi ki nind khul chuki thi. Wo jab kamre se bahar ati he to uski nazar bahar haste hue Aksh par chali gayi, wo samajh gayi ke Aksh is waqt Mansi ke saath baat kar raha he, Aksh ko Mansi ke saath itna khush dekh kar Sakshi ka dil me ek tadap uth ti he.

Khair jese taise Sakshi apne aap ko sambhal rahi thi, or wo ja kar ke kamo me lagg jati he, Raat ko dono milkar Dinner kar lete he, us waqt bhi Sakshi zyada kuch bol nahi rahi thi, or jab sone ki baat ayi tabb Sakshi or Aksh uske kamre me hi the, or kareeb 9 baje Sakshi uthkar apne kamre me jane lagti he.

Aksh: kaha ja rahi he Sakshi?
Sakshi: sone ke liye....
Aksh: to yahi so rahi he na?
Sakshi: me apne kamre me ja rahi hu....
Aksh: kyu? Tujhe to yaha akele sone ki adat nahi he na?
Sakshi: ha lekin ab kuch adate badalni hi padegi....
Or itna kehkar wo apne kamre me chali jati he. Aksh soch leta he ke wo badme Sakshi se baat kar lega.

Aaj ka din kuch mila jula tha, jaha Aksh or Mansi ke sar pe pyaar ka surur tha, wahi Sakshi ke dil me apne pyaar ka dur jane ka gum. Nind to tino ki aakho se gayab thi, jaha Aksh or Mansi apne aane wale kal ke sapno ko boon rahe the, wahi Sakshi apna kal kya, apna aaj hi kho bethi thi.

Ab in tino ki zindagi kis mod par jayegi? Mansi or Sakshi ka amna samna jab hoga tabb kya Sakshi apne aapko normal rakh payegi? Or kya Aksh ko Sakshi ke dil ki baat pata chalegi? Or agar use ye baat pata chal gayi to uska reaction kya hoga? Sawal kafi sare he, lekin jawab to ane wale Updates hi denge.

And dosto sorry itne delay ke liye, darasal dawai ke asar se kafi tired sa feel hota he, or job kabhi masla chal raha tha, lekin ab sabkuch thik he. Next week se Updates pehle ki tarah se hi aya karenge.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
 
Top