• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest LAAL ISHQ - SAFAR BHAI BEHEN KA [INCEST, ROMANCE, ACTION, THRILLER](Completed)

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,216
13,277
144
Awesome story bro... waiting for next
Waiting bro......
Waiting for the update qaatil bhaai please post the next update soon.....
Qaatil bhai update kdr h :waiting:
Valentine mnane taro ke shaher chle gaye kya 😁
Super Duper hit update Qaatil bhai.......

Story getting interesting day by day..........

Keep posting....
Sabse pehle to aap sabse maafi mangta hu, darasal me yaha akela reh raha hu, apne naye kaam ke silsile me, to bass kayi baar chize sambhalna mushkil ho jata he, baki Update to bilkul ready he, bass ghar ja kar post kar dunga.
Stay Tuned And Keep Supporting ❤️❤️
 

Rangila baba

♛ᎠᎪᎠ⫷Ꮎf⫸ᎠᎬᏉᎥᏞ 😅♛
231
630
94
Sabse pehle to aap sabse maafi mangta hu, darasal me yaha akela reh raha hu, apne naye kaam ke silsile me, to bass kayi baar chize sambhalna mushkil ho jata he, baki Update to bilkul ready he, bass ghar ja kar post kar dunga.
Stay Tuned And Keep Supporting ❤️❤️
Waiting sir ❤️
 

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,216
13,277
144


Chapter 2 - The Journey

Update 15

Mega Update


Word Count: 5010
Estimated Reading Time: 00:25:00



Subabe 4 baje ke andhere me kareeb 30 Trucks jo ke Virani Industries ki the, wo Transport Vehicle Passing par khade the. Samne or kayi sare trucks the, sabko acche se check kiya ja raha tha, lekin jese hi Virani Industries ke 30 Trucks samne ate he, to Inspector barricade hata kar un sare Trucks ko jane ka saaf rasta de deta he. Wo sare Trucks pehle ek sunsas si jagah par jakar rukte he, jaha par Abdul kuch gadiyo or apne admiyo ke saath khada tha. Abdul ke admi jaldi jaldi har truck me se maal nikal lete he or apne gadiyo me bhar kar apne raste chal dete he. Truck ab apni manzil, Virani Industries ki taraf badh jati he.


"Aaj se tum log mere saath jude ho, Rana ki Darindagi ke bare me aaj takk suna he na? Ab dekho...."

Rana 3 logo ke samne apne chehre par ek mask laga kar baate kar raha tha, uska mask uski aakho se le kar naak takk ata tha. Rana apni dayi taraf khade aadmi ko kuch ishara karta he, wo aadmi ja kar ek buzurg ko ghasit te hue Rana ke samne la kar rakh deta he. Un Buzurg ki halat bahot kharab ho chuki thi, pure badan par chaku, talvaro ke nishan the. Tabhi wo Aadmi un Buzurg par petrol daal deta he. Samne khade 3 logo ki ye scene dekh kar gaand fatt rahi thi. Lekin jo aage hone tha us se to un logo ki or zyada fatni thi. Kyu ke Rana ne pehle ek cigarette ko apne muh me rakha or samne pade table par se chota sa khanjar utha kar un Buzurg aadmi ki ek ungli kaat ke apne haath me pakad li, jis se wo Buzurg kafi dard me the. Rana apni jeb se lighter nikal kar unki ungli par laga deta he, wo unglu ab jalne lagi thi, Rana usi jalti hui ungli se apni cigarette jala deta he. Or cigarette jalne ke baad wo jalti ungli ko un Buzurg ke upar fek deta he, kuch hi seconds me wo Buzurg ek behekte aag ke gole me tabdil ho chuke the.

"Rana ki Darindagi...... Dekh lo, kyu ke galati karne ke baad Rana kisi ko moka nahi deta....."
Wo un tino ke nazdeek akar kehta he, tino logo ke gote apne muh me agaye the, wo log thar thar kanpte hue haa me gardan hila dete he.


Rana us kamre se bahar akar aage badhne lagta he, Abdul bhi uske piche piche uske saath chalne lagta he.

Rana: Abdul.... Baccho ke College shuru ho gaye ya nahi?
Wo chalte hue piche mudkar Abdul se puchta he.
Abdul: abhi nahi agle hafte se shuru hone wale he...
Rana: hmm.... Badhiya... Apne bhanje ko samjha dena is baar or zyada janwar pinjare me bharne ke liye...
Abdul: Boss aap chinta matt kijiye.... Use pehle hi samjha diya he mene....
Rana: badhiya.....
Wo balcony me akar samne rakhi chair par beth te hue kehta he. Abdul uski dayi taraf akar khada ho jata he.
Rana: waise kya lagta he Abdul? Ye CBI ke pille Drugs ki Smuggling rok payenge?
Wo cigarette ki kushh lete hue Abdul se puchta he.
Abdul: Chance hi nahi he.... Itne Salo se kuch kar nahi paye, ab kya khaak kuch kar payenge....
Rana: ye bhi thik he.... fir bhi thoda chokanna rehna....
Abdul: aap fikar na kare... Me sabkuch dekh lunga....










Place: Mumbai, Maharashtra📍


Aksh apne kamre me yah se waha chakkar laga raha tha, kyu ke aaj uski zindagi ka ek sabse ehem din tha, kyu ke aaj uski meeting CBI Officer Anant se thi. Tabhi Sakshi use Breakfast karne ke liye bulane ati he, lekin Aksh ko aise kamre ke chakkar lagata dekh wo kuch samajh nahi payi.

Sakshi: Aksh.... Tu thik he na?
Wo andar akar Aksh ke samne khade ho kar puchti he.
Aksh: Ha.... Nahi.... Matlab....
Sakshi: kya keh raha he tu?
Aksh: yaar Sakshi aaj mere life ki sabse badi Deal hone wali he, shayad.....
Sakshi: Shayad kyu? Dekhna jesa tu chahta he waisa hi hoga.... Ab chal jaldi chay thandi ho rahi he....
Wo Aksh ke bahe pakad kar kehti he. Lekin Aksh muskurate hue dekhe ja raha tha.
Sakshi: kya? Aise daat kyu nikal raha he?
Aksh: tu bass tayar rehna....
Wo Sakshi ko aakh marte hue kehta he.
Sakshi: tayar? Kis liye?
Aksh: Surprise ke liye.... Agar aaj meri ye deal ho gayi na, to tere liye ek surprise he....
Sakshi: Aksh tu please mere saath ye surprise wala khel matt khel... Or chup chap bata kya surprise he?
Wo Aksh ko gusse me ungli dikhate hue kehti he.
Aksh: bhaag yaha se.... ye Surprise he....
Wo Sakshi se dur hokar kehta he. Lekin Sakshi ko pata tha, Aksh ka har Surprise use jhatka deta he, tabb Sakshi Aksh ko piche se pakad kar bed par gira deti he. Or Aksh ka collar pakad leti he.
Sakshi: Aksh tu bata raha he ya nahi?
Wo zor zor se Aksh ko jhunjlate hue kehti he.
Aksh: Ahh... Ja.... Nahi bataunga.... Jo karna he kar le.....
Wo Sakshi ke haath pakad kar apne collar se hatane ki koshish karte hue kehta he.
Sakshi: Aksh tu.....
Wo aage kuch bolne hi ja rahi hoti he ke Aksh ne use palat kar apne niche le liya, or apni ek ungli Sakshi ke honto par rakh kar use bolne se rok liya.
Aksh: Shhhh..... mene kaha na Surprise he.... Raat ko ghar akar bataunga.....
Wo Sakshi ke ekdum nazdeek akar, dhimi awaz me kehta he. Sakshi bass madhosh si wahi pade rehti he. Tabhi Radha ki awaz se wo hosh me ati he, or dono bahar hall me ajate he.


Aksh Radha or Santosh ke per chu kar ghar ke bahar agaya, or Bike start kar ke nikal hi raha hota he ke, Sakshi daud te hue bahar ajati he. Or gusse me Aksh ke samne khadi ho jati he.

Sakshi: tujhe kahi bahar jate waqt mujhse baat karna accha nahi lagta?
Wo narazgi se apna muh fulaye kehti he.
Aksh: kesi baat kar rahi he tu Sakshi?
Sakshi: to fir waise hi kyu nikal aya tu ghar se....
Aksh: accha Sorry.... Bol kya bate karni he?
Wo gadi ki chabi band karte hue kehta he.
Sakshi: Chal... Chal... Ja ab, me to bass tujhe Best Of Luck kehne ayi thi....
Wo Aksh ke samne se hatkar, ghar ke andar jate hue kehti he, lekin tabhi Aksh use rok leta he.
Aksh: oye.... Ye kesa rukha sukha Best Of Luck tha?
Uski awaz sunkar Sakshi ruk jati he or piche mudkar Aksh ke paas wapis ajati he.
Sakshi: to or kesa tarika hota he?
Wo apne dono haath kamar par rakhte hue puchti he.
Aksh: me batata hu kese hota he..
Or ye kehkar wo bike se utar kar Sakshi ka haath pakad leta he, or use kass kar hug kar leta he. Sakshi to madhoshi me aakhe band kiye, is pal ko jee rahi thi.

Aksh Sakshi se alag ho jata he, Sakshi ke chehre par to jitni muskurahat thi, uski wajah koi zindagi me nahi samajh pata.
Aksh: chal ab me nikalta hu, Raat ko aunga.... Or ha... Surprise ke liye tayar rehna...
Wo bike par beth te hue kehta he. Sakshi bass muskurate hue apna sar haa me hila deti he.










Place: CBI Headquarter, Gandhinagar, Gujrat📍

Anant ne Abhinav ko Aksh ke saath meeting ki baat bata di thi. Jise Abhinav ne pass kar diya. Anant ne Aksh or uske pariwar ki sari details Abhinav ko pehle hi de di thi, taki wo ye insure kar sake, ke kahi Aksh ka unke saath partnership karna dushman ki sazijh to nahi.

Abhinav: hmm... Ladka to puri tarah se clear he... koi aisa connection bhi nahi he uska kisi ke saath ke hum uspar shak kar sake...
Anant: ji sir.... Or uski behen ka bhi to Surat me admission hua he, to ho sakta he ke ye dono wahi par rahe....
Abhinav: ha ho sakta he.... Lekin mujhe ek baat nahi samjhi...
Anant: konsi baat sir?
Abhinav: Aksh ne Drugs ka sample kis liye manga?
Anant: mene pucha tha, to usne kaha ke us system ko configure karne ke liye Drugs ka thoda sa hi sample lagega...
Abhinav: accha? Dekhte he kesa system banaya he ladke ne.... Me ek important kaam se ja raha hu, mere ane takk Aksh ko jane matt dena, or mujhe batana ke uska System kaam karta he ya nahi...
Anant: Okay sir....



Kareeb 11 baje Aksh Gandhinagar pahoch chuka tha, usne apne saath wo system bhi laya tha, Aksh jaldi se CBI Headquarters pahoch gaya, jaha par use acche se check kiya gaya, ek peon use le kar meeting room me ajata he. Aksh waha beth kar Anant ka intezar karta he, tabhi waha Anant ajata he, use dekh kar Aksh apni jagah se khada ho jata he.

Anant: Good Morning Mr. Aksh....
Wo andar akar Aksh se haath milate hue kehta he.
Aksh: Good Morning Sir.....
Wo chair se uthkar kehta he.
Anant: please Have a seat....
Wo Aksh ko bethne ka ishara karte hue kehta he.
Anant: koi takleef to nahi hui yaha ane me?
Aksh: no sir.....
Fir wo dono kuch yaha waha ki baate karte he.
Anant: so let's come to the point..... Jesa aapne kaha ke aap apne system ke zariye Drugs Smuggling ko rokna chahte he... But Why?
Aksh: Sir is Drugs ki wajah se na jane kitno ki zindagiya barbad ho rahi he.... Most of them are Young Teenager.... Mera vision yahi he ke unko is galat addiction ka shikar hone se bajau....
Anant: So bus yahi Aapka irada he? I mean ke aap Profit ke liye ye kaam nahi karna chahte?
Aksh: aisi baat nahi he sir.... Me logo ko is galat addiction me jane se to bachana hi chahta hu, lekin me iske chakkar me khud bhi to loss nahi kar sakta na...
Usne saaf saaf apni baat samne rakhi, jis se Anant ko Aksh ka ravayya bahot pasand aya.
Anant: Good.... So aapne Mujhse kuch Drugs ke sample lane ke liye kaha tha, kyu?
Aksh: me aapko apne system ka demo dikhana chahta hu, isliye...
Anant: okay....
Fir Anant peon ko call kar ke ek chota sa packet manga leta he. Jo ki Anant ke cabin me tha. Aksh apne saath ek bag laya tha, jisme ye system tha. Aksh use nikal kar table par rakh deta he. Waise to wo ek choti si machine hi thi. Anant ko kuch samajh nahi araha tha.
Aksh: this is my System.... or ye Master AI (Artificial Intelligence) he....
Anant: so how it works?
Aksh: let me show you sir....
Fir Aksh Drugs ka bahot hi chota sa hissa us machine me daal deta he, kuch seconds me hi Aksh ka kaam ho gaya tha. Darasal ye machine Drugs ki pH level ko identify karne ka kaam karti thi.
Aksh: Sir ye Master AI ab Configure ho chuka he, ye Master AI humesha aapke paas hoga, or baki machine hum Gujrat ki sari Transport Vehicles me fit kar denge... Or sir ye machine Drugs ki pH Level ko identify karti he, jab bhi kisi Transport Vehicles me Drugs load kiya jayega tabb ye machine uski pH level ko identify karegi, or aapko us Vehicle ki sari jankari aapke Master AI dwara is computer me dikh jayegi...
Anant Aksh ki is machine ko dekh kar hakka bakka reh gaya tha.
Anant: to kya jitne bhi machine he, unme pehle ye Drugs ka sample dalna hoga?
Aksh: no sir.... Yahi to AI ki khasiyat he... Drugs kafi strong hote he, Machine me laga Filter hawa me fele Drugs ke smell ko catch karega, or AI us pH ko Master AI me configure kiye Drugs ke pH se match karega, agar wo match hota he to uski sari jankari aapko yaha par mil jayegi...
Aksh ka idea Anant ko waqayi me behadd shandar laga tha.
Anant: or iski accuracy kitni hogi?
Aksh: sir 100%.....
Anant: really Good invention.... Mujhe waqayi aapka idea pasand aya.... Great....
Aksh: Thanks Sir....
Anant: okay me bass DGP sir ko yaha bula leta hu....
Fir Anant Abhinav ko call kar ke bata deta he ke Aksh ka system lajawab he. Abhinav 1 ghante baad waha agaya tha, jabtak Aksh or Anant is bare me kuch discussion kar rahe the. Abhinav kamre me agaya tha, jise dekh kar Aksh or Anant apni chair se khade ho gaye.

Abhinav: Please Have A Seat....
Wo samne ki chair par beth te hue dono ko bethne ke liye kehta he. Fir Aksh Abhinav ko bhi sab kuch samjha deta he, Abhinav to shock me tha ke jis tarah Aksh ne Technology ko istimal kar ke wo kar dikhaya jo shayad kabhi mumkin nahi tha.
Abhinav: So Aksh.... Aapko ye Idea kese mila?
Aksh: bass sir agar Observation acchi ho to sabkuch possible he....
Abhinav: Right.... To ab mujhe lagta he Deal honi hi chahiye..... What you say Anant?
Anant: yes sir.... Mujhe bhi ye technology kafi umda lagg rahi he...
Dono ki baat sunkar Aksh bahot khush ho gaya tha.
Abhinav: lekin Aksh aapko publicly is AI ko showcase nahi karna.... Aapki company sirf ek AI based company he, aise hi show hogi... Kyu ke is kaam ko secretly karna hoga...
Aksh: yes sir... Darasal mera bhi yahi maan na tha, ye system Secret taur par hi kaam karna chahiye...
Abhinav: waise aap apni behen ke saath Surat me hi rahoge?
Aksh to Abhinav ki baat sunkar dangg reh gaya tha.
Aksh: sir... Apko....
Abhinav: Don't Forget aap CBI ke saath partnership kar rahe ho, aapki sari details hume pata he... Aapki behen ne Surat ke college me admission liya he na? To kya aap bhi wahi rehne wale ho?
Aksh: yes sir.... me uske saath hi rehne wala hu, darasal meri success ke piche sabse bada haath Sakshi ka hi he... Or wo meri strength he, uske bagair me shayad hi kuch kar pau...
Abhinav: ye to kafi acchi baat he.... bahot pyaar karte ho shayad apni behen se....
Aksh: sabse zyada sir....
Abhinav: good.... so can you tell me in which area will you stay?
Fir Aksh Karim ki behen ke ghar ka Address bata deta he.
Abhinav: See Aksh.... Aap waha nahi reh sakte...
Aksh: kyu sir?
Abhinav: Aksh ye Drug Smuggling koi chote log nahi karte.... Or aapke is system ki khabar kabhi bhi kahi bhi leak ho sakti he, even is project ke bare me sirf hum tino hi jante he... Agar ye information kisi bhi tarah leak hoti he to it will be dangerous for you as well as For CBI so... Aapki safety ka dhyan rakhte hue aapko kisi Safe jagah stay karna padega....
Aksh: okay sir.... I'll do....
Fir unme budget ko le kar bate hoti he, ab AI kafi mehengi technology hoti he or Gujrat ke sari Transport Vehicles me ise lagane me kharcha ana tha wo tha 110 crores.
Abhinav: okay... aapki Technology par mujhe pura bharosa he... Normally aise deals me Payment half half se hi milta he lekin, Kyu ke ye aapki Shuruwat he, or aapka vision bhi accha he to mai 2 din me aapko pura payment CM sahab se karwa dunga...
Uski baat sunkar Aksh ki khushi ka koi thikana nahi raha. Aaj Aksh ko Aman ki deal ko mana karne ka decision bilkul sahi lagg raha tha, tabb usne lalach nahi dikhaya, or uska fal aaj Aksh ko us deal se dugna mil raha tha.
Aksh: Thanks.... Thanks sir.....
Wo Abhinav se haath milate hue kehta he. Lekin Aksh ke haath bahot kaanp rahe the.
Abhinav: Are You Okay?
Aksh: yes sir... I'm... I'm.. fine... Wo to bass kabhi socha nahi tha ke....
Abhinav: ohh... Koi baat nahi, jinka irada nek hota he, unke saath bhi sabkuch accha hota he...
Abhinav: Btw ab aapko to is machines ko manufacture karne ke liye facility start karni hogi, kya aapne in sabki tayari ki he?
Aksh: yes sir... Mene sab soch rakha tha, mene socha tha ke agar ye deal hoti he or waha se mujhe jitna bhi payment pehle milega us se me Surat me hi ek Facility start karunga...
Abhinav: or use kitna waqt lagega?
Aksh: sir ise kam se kam ek month lagg jayega....
Abhinav: ek month..... Anant kya kehte ho?
Anant: sir ye bilkul sahi hoga, kyu ke agar humne is doran koi action liya to in Smugglers ko shak ho sakta he...
Abhinav: thik kaha tumne... Okay then, 2 din me aapko apna paisa mil jayega, or aap apne kaam par lagg jana...
Aksh: okay sir.... Btw sir meri aap dono se ek request he...
Abhinav: request...
Aksh: yes sir..
Abhinav: or wo kya he?
Aksh: sir aap mujhse kafi bade he.... Or mujhe kafi ajib sa lagta he jab aap dono mujhe Aap Aap kehkar baat karte ho.... To please mujhe Normally hi baat kijiye...
Uski baat sunkar Anant or Abhinav hass padte he.
Abhinav: thik he jesi aapki.... I mean Tumhari marzi...
Fir wo log kuch der aage ki baate karte he, kareeb 3 baje Aksh Airport chala jata he or apne ghar ane ke liye nikal jata he. Aksh ko aaj ka din aisa lagg raha tha jese wo koi sapna hi dekh raha ho, uske chehre par jitni khushi thi utni pehle kabhi nahi dikhayi di.

Sham ko Aksh ghar par ajata he, is waqt Santosh, Radha or Sakshi hall me TV dekhte hue chay pi rahe the. Doorbell bajte hi Sakshi samajh gayi ke Aksh hi bahar hoga, wo uthkar darwaza kholti he. Aksh bina der kiye wahi par Sakshi ko kas kar gale lagaye uchalne lagta he.

Sakshi: Aksh... Are.... Rukja... Aksh... Kay kartos.... Bavlat... Sod mala.... (Kya kar raha he pagal, chhod mujhe)
Dono ko dekh kar Radha or Santosh bhi waha ajate he.
Radha: Aksh.... Kya baat he?
Uski awaz sunkar kar Aksh Sakshi ko azad kar ke Radha or Santosh ke per chu leta he.
Santosh: beta bata to kya hua?
Aksh: Aai.... Baba.... Me... Me...
Wo khushi ke mare kuch bol nahi pa raha tha, or uski aakho se asu ane lage.
Radha: Aksh... Tu ro kyu raha he beta? Ha? Bolna...
Wo Aksh ka chehra apne haatho me thamkar puchti he.
Aksh: Aai.... Meri Deal ho chuki he... Or ab meri ek or company shuru hogi....
Uski baat sunkar tino kafi khush ho jate he.
Santosh: wahh.... Shabbash... Waise kitne lakh ki hui ye deal?
Wo Aksh ko Shabbashi dete hue puchta he.
Aksh: Baba... Deal pure.... Pure 110 crores ki hui he....

Aksh ki baat kisi ko hazam nahi ho tahi thi, waha khade tino ke muh khule ke khule reh gaye the.
Radha: mera beta.... Humesha ise daant te ayi hu, tane marte ayi hu, lekin aaj... Aaj isne wo sab kar dikhaya jo padhe likhe log bhi nahi kar pate...
Wo num aakho se Aksh ko apne sine se lagate hue kehti he.
Santosh: sahi kaha.... Aksh beta... Mujhe maaf kar dena, mene kabhi tere is soch ko badhava nahi diya, ulta humesha tujhe sunate aya hu, ho sake to maaf kar dena mujhe beta......
Wo Aksh ke samne apne haath jodkar kehta he. Lekin Aksh turant uske haath niche kar ke Santosh ko gale laga leta he.
Aksh: Baba aap mujhe Sharminda matt kijiye.... sach kahu to me bhi tabb sahi raste par nahi chal raha tha, lekin aaj me jo kuch bhi hu, uski asli hakdar Sakshi he....
Wo Sakshi ki taraf dekh kar Muskurate hue kehta he. Sabki nazar Sakshi par tikk jati he.
Sakshi: me... Mene... Mene kya kiya... wo to....
Wo is se aage kuch kehti ke Aksh use hug kar leta he, Sakshi to jabb bhi Aksh ki baho me jati, wo bass usi jagah ko apni duniya maan leti. Sakshi bhi use kas kar pakad leti he.
Aksh: Thank You Sakshi..... Thank You So Much....
Sakshi: chup reh.... Ye kya thank you ki ratt lagayi he tune, Bavlat kahi ka....
Wo Aksh se alag hokar uske sar pe chapet marte hue kehti he.
Aksh: accha ek kaam kar, apne kamre me ja tu....
Sakshi: kyu?
Aksh: bhul gayi, subah kaha tha na mene ke tere liye ek surprise he...
Sakshi: yaar Aksh...
Aksh: tu ja rahi he ya nahi?
Sakshi: thik he....
Or fir Sakshi apne kamre me chali jati he.
Radha: kya surprise laya he Sakshi ke liye tu?
Aksh: kuch laya nahi hu....
Santosh: to fir?
Or Aksh dono ko sari sacchayi bata deta he ke wo kya business kar raha he, kis ke saath milkar kar raha he etc. Ye sab sunkar Radha or Santosh ko Aksh par bahot garv mehsus ho raha tha.
Santosh: bahot badhiya beta.... Mujhe tujhpe garv he...
Wo Apna sina chhoda karte hue kehta he.
Radha: sahi kaha, or ab to hume Sakshi ki koi fikar bhi nahi hogi.... Dono wahi par rahenge to...
Aksh: waise Baba, agar aapko thik lage to hum sab Surat me hi shift ho jate he....
Santosh: bilkul bhi nahi.... Me marte dum tak yahi rehna chahta hu, ye ghar sirf ghar nahi he.... Yaha meri bhavnaye judi hui he... Me chahkar bhi is ghar ko chhod kar kahi or nahi reh sakta...

Radha: thik kaha apne... Mujhme me bhi itni himmat nahi he ke is ghar ko chhod kar kahi or reh lu....
Aksh: thik he Aai Baba.... Jesa aap kahe....
Radha: chal ab ja Sakshi ko bhi bata de, wo bhi khush ho jayegi.....
Aksh: thik he...
Fir Aksh Sakshi ke kamre me chala jata he, jaha Sakshi Aksh ke surprise ke bare me hi sochte hue yaha se waha chakkar laga rahi thi. Aksh ko dekh kar wo jaldi se uske paas ajati he.
Sakshi: ab bata.... Kya surprise he? Subah se mera dimag kaam nahi kar raha... Tere Surprise matlab jhatke hi deta he tu...
Aksh: batau?
Sakshi: ha bata na....
Wo utsukta se Aksh ki bahe pakad kar kehti he.
Aksh: to sunn.... Ab tu akeli Surat me nahi rahegi...
Sakshi: kya matlab?
Wo nasamjhi ki halat me Aksh se puchti he.
Aksh: Matlab ye ke ab me bhi tere saath Surat me rahunga....
Uski baat sunkar Sakshi ke chehre ka rang hi udd jata he.
Sakshi: tu mazak kar raha he na?
Aksh: are yaar... Me mazak kyu karunga.... Darasal baat ye he ki......
Fir Aksh use sari baat bata deta he, Sakshi ko iski ummid bilkul nahi thi, jaha Aksh soch raha tha ke Sakshi khushi se jhum uthegi, lekin waha Sakshi ke to 12 baje hue the.
Aksh: kya hua Sakshi? Tu mere waha rehne se khush nahi he kya?
Sakshi: are.... Ye... Ye kesi baat kar raha he tu? Me to bass soch rahi thi ke... Ke tu ab kitne bade bade kaam karne laga he na....
Wo baat ko thoda alag track par le jate hue kehti he.
Aksh: ab sochna chhod, hum 4 din baad hi Surat jane wale he... Kal tujhe me shopping le jaunga... Okay?
Sakshi: okay...
Wo jhuti hasi apne chehre par late hue kehti he. Aksh thaka hara aya tha, to wo apne kamre me chala gaya, Sakshi uske jane ke baad turant kamre ka darwaza band kar ke wahi beth jati he.

Sakshi(mann me): Ahhhhh..... Ye kya ho raha he mere saath? Deva aise kyu kar raha he tu? Kyu meri itni mushkil pariksha le rahe ho? Yaha me Aksh ki adat se dur jana chahti hu, or..... Ahhh... Mujhe kuch samajh nahi raha me kya karu?

Sakshi kafi frustration me bethi thi, kuch der apne dil or dimag se jhunj ne ke baad Sakshi ke mann me kuch baate ajati he.

Sakshi(mann me): ek minute.... me ab jesa meri zindagi me ho raha he, usi hisab se chalungi.... Ab bass ho gaya, aise bhi to me Aksh se apne dil ki baat kehna hi wali thi na? Or waha hum dono akele honge to mujhe Aksh ke or zyada nazdeek jane ka moka milega... Me Aksh ko kisi bhi tarah apne pyaar ka ehsas karwa dungi... fir to.... Fir to wo maan hi jayega.... Ha.... Or shayad bhagwaan khud chahte he ke ye sab ho.... Thik he.... Ab me Aksh ko kisi bhi kimat par hasil kar ke rahungi.....

Or ye sab sochte hue Sakshi ka chehra kisi gulab ki tarah khil uth ta he. Ab Sakshi ke andar ek positiveness achuki thi, wo jaldi se Aksh ke kamre me chali jati he, Aksh bass nahane ke liye washroom me gaya hi tha.
Sakshi: Aksh..... Aksh.... are bahar ana jaldi....
Sakshi washroom ka darwaza pit te hue use bahar ane ko keh rahi thi.
Aksh: kya ho gaya? Rukja naha kar ata hu....
Sakshi: nahi... Tu abhi bahar aja....
Wo unchi awaz me kehti he, Aksh bhi kuch na samajhte hue bahar ajata he, wo abhi bass Shorts par tha, usne t-shirt bhi nahi pehni thi, jo dekh kar Sakshi ka chehra sharm se laal ho jata he.
Sakshi: besharam..... Ja pehle Shirt pehen le, Bavlat kahi ka.....
Wo Aksh ko washroom ke andar dhakka dete hue kehti he, or bahar se darwaza laga leti he. Aksh soch me khada tha ke ye kya kar rahi he.
Aksh: Sakshi tu pagal ho gayi he kya?
Sakshi: tu jaldi se naha kar aja... Mujhe kuch baat karni he tujhse....
Or wo kamre se bahar bhaag jati he.
Aksh: yaar ye ladki sachme pagal ho gayi he...
Fir Aksh naha kar bahar ajata he, or fir Sakshi ke kamre me chala jata he.

Aksh: ab bol.... Kya kehna tha tujhe?
Wo bed par Sakshi ke bagal me bath te hue kehta he.
Sakshi: Aksh mujhe abhi shopping karni he...
Aksh: kya? Are kal jayenge na....
Sakshi: nahi mujhe abhi jana he, isi waqt jana he....
Wo zidd karte hue Aksh se kehti he.
Aksh: thik he thik he.... jate he....
Wo Sakshi ko shant karate hue kehta he, Sakshi kati khush ho gayi thi.
Sakshi: okay.... 5 minute rukja mujhe tayar hone de...
Aksh: thik he... Jaldi ajana..
Fir Aksh bahar hall me akar Radha or Santosh ko bata deta he ke wo Sakshi ke saath bahar ja raha he.



Kuch der baad dono Sakshi ke liye kharidari karne nikal chuke the, Sakshi aaj itne dino baad khul kar hass rahi thi, jo ke Aksh ne mirror me dekh liya tha.

Aksh: waise ek baat to bata Sakshi....
Sakshi: kya?
Wo apni chin Aksh ke piche bethe bethe hi uske kandhe par rakhte hue puchti he.
Aksh: aaj tu kuch zyada hi khush lagg rahi he.... Raaz kya he iska?
Sakshi: raaz kya hoga? Me to tere liye hi khush hu, itna accha kaam karne ja raha he tu.... To me khush na hu?
Aksh: accha? Waise hume parso firse Gujrat jana hoga....
Sakshi: parso? Wo kis liye?
Aksh: are parso mujhe apna payment collect karna he, or mene 3-4 ghar dekhe the, unme se tu khud pasand kar lena kaha rehna he....
Sakshi: kya kaha? Ghar?
Aksh: ha, darasal DGP sir ne mujhe kaha tha ke hum jaha pehle rehne wale the wo jagah thik nahi hogi, to unhone mujhe kuch jagah batayi thi, unme se tu khud ek select kar lena....
Sakshi: Bavlat.... Iske liye to waha naya ghar le lega? Rent par nahi le sakta tha?
Aksh: are future me kya pata hum sab wahi par shift ho jaye, to fir ghar le kar rakhne me kya burayi he?
Sakshi: tu pagal ho gaya he.... Me nahi jaungi apni Mumbai chhod kar kahi bhi....
Aksh: accha ji? Itna pyaar he Mumbai sheher se?
Sakshi: ha to? Mumbai meri dhadkano me basti he, or meri last wish bhi yahi hogi ke me apni akhri saas bhi Mumbai me hi lu.....
Wo apni bahe felate hue kehti he, or apne dil me Mumbai se pyaar ko jatati he.
Aksh: are me sachme thodi na waha basne ki baat kar raha hu, me to mazak kar raha tha, Aai Baba bhi Mumbai se jane ke liye nahi maan ne wale... lekin fir bhi waha ek ghar to le hi sakte he na? As a Investment....
Sakshi: fir thik he....
Or aise hu bate karte hue wo dono Sakshi ke liye dher sari Shopping karne lagte he, aaj pehli baar Sakshi khud Aksh se alag alag chize lene ki zidd kar rahi thi, jis se Aksh ko bhi accha lagg raha tha. Warna humesha se Sakshi apna mann maar ke chize nahi leti thi.

Raat ke kareeb 9 baj chuke the, Sakshi or Aksh bahar hi Dinner kar lete he, or 10:30 ke kareeb dono ghar agaye the.

Sakshi apne sone ki tayari kar chuki thi, lekin use nind nahi arahi thi, usne ab apne mann me thaan liya tha ke wo Aksh ko hasil kar ke hi rahegi, is doran Sakshi ke chehre ke expression badalte ja rahe the, kabhi uske chehre par duniya bhar ki Khushi ajati, to kabhi wo pyari si sharm.


To aaj ke Update me bass itna hi, ab in dono ku zindagi ka ek or safar shuru hone ja raha tha, lekin is safar me angrezi wala Suffer bhi shamil tha, bass ab dekhna he Aksh ka society ke liye ek accha kadam aage badhana sahi tha? Wahi dusri taraf Sakshi apne mann me na jane kya kya sapne saja rahi he, Kya Sakshi ke sapne pure honge? Or jab Aman ko ye pata chalega ke Aksh uske hi sheher me akar business karne laga he to wo aage kya kadam uthayega? Jaan ne ke liye bane rahe.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
 

Qaatil

Embrace The Magic Within
2,216
13,277
144
15th Update of chapter 2 posted, Give A Like And Don't Forget To Post Your Precious Feedback ❤

Nice update 👍
Mast update hai
Nice introduction.......
Jhakaasssss😇
Next update Qaatil sir aap kab de rho ho
Awesome update
lajwaab update bro
Fantastic update. There seems to be only love between the siblings. Agar lust bhi hota toh aur bhi maza aata.
But please continue as per your story.
I am enjoying it. Thanks
Next part
aapke update ka intzaar rahega bhai...aap sach mein ek behatrin writer ho...aapki likhne ki shaili bahut achhi hai...waiting for your next update
sure @Qatil99 bhai aapki story hi itni interesting hai ke banda khud ba khud juda rehta hai...keep writing bro...we readers will definitely support you.
Super update
Ye turning update h
Keep posting
Very good starting and nice script
Full paisa wasool performance.
Waiting for the next update.
Nice update waiting for next
Atulniya Update sirji 😍


Most beautiful scene of this Update ❤
N
Nice start 👍👍 bro
Super se bhi uper update
shandar update
𝐰𝐞𝐥𝐜𝐨𝐦𝐞 𝐛𝐚𝐜𝐤 𝐛𝐡𝐚𝐢

𝐚𝐧𝐝 𝐧𝐢𝐜𝐞 𝐬𝐭𝐚𝐫𝐭𝐢𝐧𝐠

𝐛𝐫𝐨
Lajawab update
Superb Starting bro keep it up
Ohhh sirf poster be hi mera lund kada kiya
Awesome update
Bahut badhiya update bhai
Good name of story. 😈
Me janta hu ke me bht late hu but Congratulations for the story, or kasam se bht hi shandar likh rhe ho, agle update ka intezar he.
Superb update bhai...... :applause: :applause: :applause:
Fantastic update..bhai
nice update .waise santosh ne zabardasti science me daal diya aksh ko ..
aur teacher to wakai me ghatiya type tha ,pehle hi din hausla badhane ki jagah taane maarne laga aur maa baap se complain bhi kar di ..
ab aksh class change karna chahta hai isse sakshi naraj ho gayi par aksh ko ghar aane se bura kyu lagta hai 🤔🤔.
Bdiya update bhai ji :love:

Update padte padte kab khtm ho jata h pta nhi chalta 😭😭

Bhai mere hisab se do updates ikathe diya karo to story padne me bhi dilchaspi rhegi chahe do din ke baad update do

Age apki marzi
Nice update..
Aksh does not want to study but he wants to be a successful man, that's a good thing. I have said this before and now I am saying here again that there is no fault of anyone, just need to understand each other and it is not good to have controversy again and again.:sigh: Sakshi is intelligent and good, taking everyone along and caring.:shy: Send that teacher to me, I teach him. :angry: If someone says something wrong to Aksh, Sakshi does not like it, reflect her love in anger.:love:
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...

🖤🖤🖤
Shandar Dumdar Update👏👏👏Aksh Kahin per Bhi galat nahi hai, maa baap ko apne faisle kuch had tak apne baccho per thopna kam kar dene chayiye unhe apne baccho ko moivate karna chayiye saath dene chayiye agar bacche bhatag bhi jaye tho unhe sahi raaste mein lane ka kartawya bhi maa baap ka hai jo ki santosh aur radha mein nahi dekha de rahi hai aur ek taraf yeh zalim zamana to kisis ko bhi chain se zene nahi dete aksar school life mein college life mein, humhe demotivate karna aam baath hogayi log puchthe unhi ko hai zo intelegent, smart, hota hai. Aksh ke saath bhi wahi ho raha hai.
Dekthe hai Aksh ke behaviour mein kya changes aate hai....
Kya aksh apni manzil per pouch payega ya fir yunhi batag tha rahe ga.???
dekthe aage kya hota.....
Waiting for next.....
Shandar Bhai
Khubsurat Update Qaatil bhai ❤
Pyar, dard, kuch karne ka junun sabka kamal combination tha, Next Update ka intezar rahega bhai ❤
:congrats: For completed 25k views on your story thread.....
hum mera manna hai baap login ko bete ki bhi sunni chahiye wo kya chahta hai kuch usko uske hisaab se bhi aage badhne dena chahiye jabardasti har baat thopna nai chahiye uspar lekin kuch mamle me jaise study me wo kya chahta hai karna kaam kya pasand usko koi bhi subject chota nai hota ok..ab aate hain nibbi par to nibbi na wo chutiya hota hai sayad :D
Waiting For Next Update
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb
Waiting bro
Intazar rahega bhai 😊
Or kya chapter 2 me inke pyar ki Shuruwat hogi?
Tu hi hai meri jeene ki ummid ,
tujhse judi hai dil ki preet.
Tu hasen to bahare gulzar ho,
Aur roye to jeena hi duswar ho.

Ho sakta hai bhavishya me akash ko kafi muskilo ka samna karna pade lekin jab tak sakshi ka hath sath fir darne ki kya baat hai.
jaise kahani ka title hai us hisab se akash aur sakshi ka rishta aage kya karwat lega ye to bhavishya ki gart me chhupa hai.

Ab kahta hu ek bhai ke point of view se ki bachpan se abtak ke jeevan ke safar me sakshi ne akas ke liye ek bahan se badhakar maa aur best friend ka hak ada kiya hai.
vaise dono bhai bahan ka prem hai adbhut.
Hum kahani aur lekhak mahodaya ke achchhe bhavishya ki kamna karte hai.
Love you dear brother
Waiting for the next update.
Superb update bro
Fabulous update bro 👌💥
Good story
Bohot hi badiya update bhai muje laga sakshi Akash se apne pyar ka Izhaar kar degi par nahi kia ab age dekhte h kya hota h 👍
Waiting bro
नमस्कार सर जी।
कहानी का पहला भाग आज पढ़ा।

कहानी की शुरुआत देखकर लगता है कि आकाश और साक्षी के माता पिता राधा और संतोष की किसी ने हत्या कर दी है।

अच्छा साक्षी और आकाश के जन्म में बस एक मिनट का अंतर है और दोनों बड़े शरारती है।
पूरा घर सिर पर उठा रखा है दोनों ने।

लेकिन दोनों भाई बहन में बहुत प्यार भी है।।

कहानी की शुरुआत बहुत अच्छी है।
बहुत जल्द पूरी कहानी पढूंगी।
behatrin story bro....................

mene aapki 1st story read ki thi....kafi acchi story thi

but iss story ka to level hi alag h 1st story se kafi improvement kiya h aapne............

hero k emotions uski feelings or life ke sangharsh ke sath sath uski apne sapne ko pura krne ki lalak ko kafi acche se describe kiya h aapne............

sat hi villen ki darindgi or samaj m jahar gholte drugs k bare m kafi acche se likha h .................

whi ek successful businessman ke roop m aman ko bhut acche se prastut kiya h jisme uska ground se juda hona bhi dikhaya h .......

sath hi apni 1st deal pura nhi hone jo ese ldke ne mna kiya tha jiska ye startup tha usse hone wali becheni or life k prati uski najariya ko bdlne wale pal bhi kafi khubsurat the.......................

overall outstanding story till continued update................


next update ka intzar rahega bro.....................
Bhai next update kab ayega?
Waiting for the update qaatil bhaai please post the next update soon.....
 
Top