• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Laa-Waaris .... Adult + Action +Thrill (Completed)

How many numbers do you give to this story?

  • 100

  • 90

  • 80

  • 70

  • 60

  • 50

  • under 50


Results are only viewable after voting.

The king

Well-Known Member
4,243
15,466
158
Update ::: 96
*************




udaypur ki kothi me jo kabhi prabha ka ghar hua karta tha.. ab wo ghar raja ke nana nani ka tha.. usi kothi ke lawn me dinner ke baad ghar ke sare afrad baithe hue the.

sab ke sab kuch der se khamosh the.. kuch der pehle raja ki nani ne apne pati se poochha tha...

raja nani:- kitne din ho gaye han us news ko.. par abhi tak koi bhi aaya nahi.. kahi unko dekhne se pehle meri ankhen hi na band ho jaayen.... nani ne sisakte hue kaha tha.

tak se hi sab khamosh se ho gaye the.. sab ek khush-haal zindagi ji rahe the.. parr andar se wo bhi khali the.. koi apna jo bohut door tha, koi apne jo kho gaye the.. fir unke mil jaane ki khabar bhi mil gayi thi.. par abhi tak koi bhi milne nahi aaya tha.. sabki ankhen aksar hi darwaze ki or ghoom jaya karti thee.. shayad wo aaj aa jaayen, shayad wo abhi aa jaayen.. shayad wo raste me hon aur kuch der me pohnch jaayen..

parr kabhi bhi unka intezar khatam nahi hua tha.. aaj bhi wo sab intezar me the.. aaj bhi wo sab dard me the.. koi na rahe to dard sehn bhi ho jata hai, jaise is ghar ke ek bete jagat ki maut ke dard ko sab sehn kar gaye the.. abb bhi kar lete

parr jinke liye barson se intezar tha, wo barson se nahi aaye the.. nani ki baat par sab ek dusre ko dekh kar sar jhuka kar khamosh ho gaye the.. wo sab bhi to apni prabha se, apna veer singh se apni naina singh se milne k liye bechain the....



Introduction
*************


rana arvind singh:-77
kanaka singh.....:-74

bada beta

rana jagat singh:-dead
keerti singh....:-51 jagat singh wife

ek beti ek beta..

aditya singh....:-25
divika singh....:-23

dusra beta

harish singh....:-50
mansi singh.....:-48

2 bete ek beti

puja singh:-23
yash singh:-21
nikita sing:-19

teesra beta

naresh singh:-46
manya singh.:-45

2 bete ek beti

navya singh:-22
naina singh:-19
veer singh:-18


apne raj aur naina k kho jaane ke baad dono bachhon ko unka naam diya gaya tha.. naresh aur manya ko veer singh aur naina singh se badi mohabbat ho gai thi.. unki ladki ke khari spoot the.. dono judwa the to sab bohut pyar karne lage the dono se.. baad me apne bachhon ko dono ka naam de diya..


ek beti parabha apne raja ki maa aur dusri beti hai


pratibha singh:48
jagdeep singh:50

3 bete han

pradeep singh:23
prabhas singh:21
pankaj singh.:18









saalon ka intezar kisi ka khatam nahi hua tha.. agar kuch rahat mili thi to payal, archana, urvashi aur ritika ke milne ki waja se thi.. unke milne par sab ko bohut khushi hui thi.. par sab khushiyan adhuri thi.. jo chah kar bhi puri nahi ho rahi theee...

abb to sab mil gaye the.. fir wo kyun nahi aa rahe the unke paas.. sab dukhi thi.. sab ek sath baithe hue the...



nani ne fir hichkiyon me rona shuru kar dia.. veer aur naina dono uthe aur nani ko dono side se tham liya

naina:- dadi na royen na pls.. mujhe yakeen hai ab sab jaldi hi aane wale han

veer :- haan dadi abb to humen aas bhi mil gai hai.. payal di aur sab mil bhi to gaye han naa

raja nani;- janti hon mere bachho, par apne dil ka kya karun, mujhse ab raha nahi jata. jaane kaun kambakht hamara dushman ban baitha, aur sab kuch ujaad kar rakh diya..


naina aur veer apni dadi ko sambhalne lage.. baki sab bhi teeno ko dekh rahe the.. kuch der me kothi ke darwaze par kisi gaadi ke horn ki awaz sunaai di to sab udhar dekhne lage..

yahi baithe sab dikh raha tha.. gatekeeper ne gate ki khidki khol kar bahar jhanka. fir ek jhatke me sarr peeche karke foran hi gate me kholne laga.. sath khade hue ek gaurd se kuch bola

wo bhaag kar lawn me baithe huon ke paas aane laga.. use dekh kar sab khade ho gaye..

nani:- zarur mere bachhe aaye han...... nani ne apne dil par hath rakh liya.. aksar hi wo aisa kaha karti thi.. par kabhi koi guard bhaag kar nahi aaya tha... sabko bhi kuch hat ke laga.. sabse dilon ki dhadkan badh gai thi.. sab us gaurd ko dekhne lage

guard paas pohnchaa tak tak kuch gaadiyan bhi khule gate se andar aa chuki theee... abb guard ke batane ki zarurat nahi rahi thi..

guard paas pohncha to

guard:- chhoti malkin aur sab aaye han

abb koi shak nahi raha tha. kothi badi thi. gaadiyan porch me rukee.. sab bhi tezi se usi aur badhne lage.. naina aur veer ne nani ko thaam liya tha, jo ye khabar sunte hi girne wali ho gai thee.. jin kadmon me taqat thi wo bhaag khade hue...


<---------------------------------->

helicopter se humne udaypur shehar me hi didi ki ek aur kothi thi, wahi aa thehre.. hum sare ek hi baar me nahi aa sakte the to helicopter ke do chakkar lage aur hum sab udaypur pohnch gaye...



surinder singh ki basti walun se koi dushmani nahi thi.. isliye unko koi khatra nahi tha.. aur fir wahan bana hua basement sabko safe bhi kar sakta tha..

ab hum udaypur me the to surinder bhi jaan jata, fir use basti me jaane ki koi zarurat nahi rehti.. basti walun ki taraf se hum befikr the..


wahi se gadiyon me baith kar hum nana nani ki kothi ki or badhne lage.. maa ke dil ki dhadkan bohut tez ho gayi thi.. main aur naina ne maa ko dono side se thama hua tha.. maa itne salon baad nana nani se mil rahi thi.. dil ki halat ka badalna to banta hi tha.

kuch minton ke safar ke baad hum kothi ke andar the.. lawn par nazar daali to sab wahi baithe hue the... hum gadiyon se utre to sab bhaagte hue hamari or badhe

maa khud parse control bhul gai thi.. maa rone lagi thi.. jaise hi sab paas pohnche to sab ek dusre me zam hone lage... nana dada se mile to maa apne bhaiyon se mil kar oonchi oonchi awaz me rone laga..

mere mama bhi saalon baad apni behen se milkar aansu bahane lage.. bohut bada pariwar tha hamara.. nani paas pohnchi to mamaon ne maa ko chhod dia aur nani se milne diya

maa aur nani ka milap bohut rikkat amez tha.. dono ek dusre ko kass ke mil rahi thee.. dono ro rahi thee..

baaki hum sabb bhi ek dusre se mil rahe the.. sabki ankhon me aansu the, khushi k aansu the.. salon baad beh rahe the.. mere nana mujhse naina se bade pyar se mile.. mere mama meri mamiyan, dusre bhai behen bhi hum sab se milte hue ro pade the..


kothi me bohut se guards the, dushmani ke chalre security bohut pehle se hi badha di gai thi..... humen milte dekh kar sabne hawayi firing shuru kar di thi... aksar gaurds purane the.. bohut se to meri didiyon ko bohut achhe se jaante the.. meri didiyon ne unki zindahiyan bana di thee.. unke pariwaron ko save bhi kiya tha.. RAW me thee to aksar aise hi log mil jaya karte the.. sab ke sab jaan nisar the

wo sab bhi hamari khushi me shamil ho gaye the..



<---------------------------------->


surinder:- haan bolo kya report ha

udhar se:- sir sab udayur pohnch gaye han, sab hawayi firing karke is samay ko celebrate kar rahe han...

surinder:- mana lene do sabko is samay ki milne wali khushiyon ko, kuch dino me sabki khushiyon ko grehn main laga dunga.. jitne bhi admi udaypur me han, sab ko pure shehar me phelaa do.. is baar koi bhi nazron se ojhal nahi hona chahiye... warna apne anjaam k liye tayyar raho...



<---------------------------------->


kuch der me sab kothi ke andar the.. nani aur nana firse humse lipte hue the, dono aansu baha rahe the.. jr naina aur veer singh maa se lipte hue the.. dono ke naam hamare naam par rakhe gaye the, ye baat bhi hum jaan gaye the.. dono bhi hamare jaise hi maa ke liye aur sabke liye khaas ban gaye the..

mere mama mamiyan, unke bachhe sab humse mile the.. bohut der tak ye milan chalta raha tha... ankhon ki nami jaa hi nahi rahi thi.. meri didiyan sabko dekh kar bohut khush thee..

nani to mera aur naina ka chehra choom choom kar geela kar chuki thee..

dadi:-bass kar kanaka kyun mere bachhon ke sunder chehron ko bigad rahi ha.. dadi boli to nani ne dadi ko ghoor kar dekha..

nani:- tune apne hisse ka pyar wasul kar liya hai na asha, to abb tu side me khadi reh kar bass dekhti reh.. aur khabardaar jo tu abb beech me boli to

dadi:- nahi to kya kar legi tu mera

nani:- tu mujhe jaanti hai naa

dadi:- tu bhi mujhe bhuli nahi hogi kanana

sab nani aur dadi ki tu tu main main sunne lage.. sab pehle wale rang se bahar aane lage the.. dono ne bohut sa samay sath bitaya tha, dono bhi pakki saheliyan ban chuki thee.. dono saalon baad aaj hi mili thee

nani:- chal aa ja fir maidan me, aaj tujhe dikha hi don k mai abb bhi vaise ki vaisi hi hon

nana:- jaise shadi ke samay par thi... nana bol kar apne mohn par dono hath rakh kar ghoom gaye.... baaki sab zor se hass pade.. nani foran hi nana ki aur mudi .. unhe palte hue dekh kar wo wahi se boli

nani:- ae lo miyan sahib bhi aaaj bolne lage..

dada:- aaj hi to bolne ka samay aaya hai.. are arvind yaar tu kyun mohn chhupa kar khada ho gaya hai.. chal aaja, aaj dono dost milkar dono ko maza chakhate han

nani aur dadi jo apas me behs kar rahi thee. dono budhe doston ko ek hote dekh kar hume side me karke dono bhi ek ho gaee.. sab ye dekh kar maza lene lage... dadi aur nani ne bhi fir kamar kass li.

dadi,nani:- haaah aaj hum dono bhi kisi se kamm nahi han samjhe.. are hum to bachhon ke gham me budhi ho gai han, warna to humme abhi bhi utna hi dumm hai, jitna jawani me tha.

dada,nana:- ye baat to hum bohut achhe se jaante han.

hahahaahhahahahaahhahahahaahhahahahaahhahahahaahhahahahaahhahahahaahhahahahaahha

sab fir zor se hass pade the..

nani aur dadi ne firse hum dono ko apni bahun me le liya, aur humen choomne lagee.. maa baba ek sath the... dono ek dusre ko dekhne lage.. saalon baad firse raunqen laut aayi thee..



<---------------------------------->


surinder:- ye kya bakwas kar rahe ho, koi bhi kothi par nahi hai.. aur tum wahan kar kya rahe the.. jaao dhundu sabko, warna kisi ko bhi zinda nahi chhodunga..

surinder apne admiyon pad bhadak raha tha.. ek din bhi nahi hua tha aur udaypur kothi se ghayab ho gaye the...



<---------------------------------->

hum sab avinash wale island par the..


jis raat hum nana ki kothi par pohnche the..usi raat hi hum wahan se nikal liye the.... abb ladai bohut badi ho gai thi.. aur jab tak dushman khatam na ho jaata, sabko surinder ki nazron se bachaye rakhna tha.. surinder ghattiya dushman tha.. dushmani nibhane k liye wo koi bhi ghattiya kaam kar sakta tha, kisi had tak bhi wo ja sakta tha.. pehle bhi aasteen ka saanp bankar wo hamare pariwar ke beech me reh kar moka milne par war karne se nahi chookta tha.. abb to nana family ke sare members surinder ki nazron me the.. kaise wo surinder se chhup sakte the.. baba se badla lene k liye surinder abb kisi bhi hadd tak jaa sakta tha.. pehle koi bhi nazron me nahi raha tha, to surinder ne nana family ko kuch nahi kaha tha, nana aur mere mama bhi bohut power rakhte the, parr yahan risk ki koi gunjayesh nahi thi.

jabse meri didiyan RAW me gayi thi, sabke sochne ka andaz badal gaya tha.. power me hote hue bhi family ki suraksha k liye bohut kuch kiya jaa chuka tha, bohut se badlaao laaye ja chuke the, jo surinder nahi jaanta tha..

20 saal se surinder ki dushmani ki waja se sab dard me the.. abb aur nahi kisi ko dard pohnchne dia ja sakta tha.. pehle baba akele the, abb hum sab the baba ke sath..

jab pehli baar payal di aur dusri di nana ke ghar me aayen thee.. to tab hi sab ki suraksha ko badhane k liye, emergency me sabko safe rakhne k liye ek surang banane ki baat kar di thii..... fir ek saal ke andar hi sab 3 kilometer lambi surang tayyar kar li gai thi....

usi surang se hote hue sab kothi se nikal pade the.. hum jaan gaye the k surinder sab par nazar rakhe hue hai.. usi hisab se plan banate hue, uske admiyon ki nazron se bachte hue sab udaypur se nikal liye the... by road hi jaipur fir wahi se helicopters ke dwara mumbai fir island ja pohnche the....

islnad wali baat payal di ne hi batayi thi.. island par abb koi nahi raha tha, to wahan hum reh sakte the... ye baat RAW head aur kuch bade ohdedaron ke siva koi nahi jaanta tha... island me rehte hue hum surinder ki nazron se bhi door ho gaye the

island ka huliya hi badla hua tha, island ka 1/4 hissa jala hua tha.. humen isse koi fark bhi nahi padne wala tha....

maa:- payal beta ye jaga to bohut darawani hai, yahan kaise rahenge hum sab

baba;- hahaha dar rahi ho prabha

maa ne baba ko ghoora to

baba:- nahi nahi sher ki patni sherni hoti hai, wo bhala kaise dar sakti hai.. baba bheegi billi bane to maa aur baki sab hass pade

raja:- baba abb se aap sabb kuch samay k liye yahi rahenge

dadi:- kuch samay k liye kyun veer beta, abb to hum hamesha yahi rahenge.. sari umar beet gai ret dekhte dekhte.. abb bachi hui saanse samandar dekhte hue biatane ka mann hone laga hai..

nani:- sahi kaha asha tumne main bhi yahi rehna chahti hon, balke sab yahi rehte han.. jise kaam hoga, jise padhna hoga, wo dushman ke marne k baad kahi bhi padhne ka sakta hai....

jr naina:- haan dadi ye jaga rehne k liye bohut khubsurat hai..

baki sabne bhi yahi baat keh di.. sahi hi to keh rahe the.. rehne k liye ek ghar ki zarurat hoti ha.. aur ghar kahi bhi ho usse kya farq padta hai..

udaypur wali kothi khali ho chuki thi, wahan kaam karne wale aur gaurds sab kothi se nikal chuke the.. khali puri khali kar di gai thi.. mumbai pohnchne k baad wo sab island par aane wale the..



<---------------------------------->


surinder ke admi maare maare fir rahe the.. sher singh aur baaki sabko pure shehar me dhundte fir rahe the, parr kisi ka koi pata nahi chal raha tha, sab surinder se dare hue bhi the, surinder kisi ko maaf nahi karega, aisa sabko lag raha tha, aur sab sahi soch rahe the.. saalon baad surinder ki nazron ke saamne uska dushman aaya tha, kaise wo use hath se nikalte dekh sakta tha..

AK bhi udaypur pohncha hua tha, wo bhi sabko dhundne me laga hua tha.. jise man karta pakad kar peet deta, lekin use kahi se bhi info nahi mil pa rahi thi.. wo nirash nahi tha, man moji banda tha wo.. shehar me ghoom fir kar raja and sisters ka pata karta fir raha tha.. raja and sisters to use nahi mile.. par surinder ke admi use mil gaye

ek hotel ke bahar baitha wo chaye pi raha tha k kuch log baten karne lage, jo pure shehar me hi ajnabi logon ki waja se pareshan the.. surinder ke admi guns liye khule aam shehar me ghoom rahe the..

AK ne jis logon ko baten karte suna to unke paas ja kar ek ko greban se pakad kar utha liya. wo admi ghusse se AK ko dekhne laga, AK ki ankhon me dekhte hi wo chup reh gaya. shehar k badle halat ki waja se bhi wo kuch nahi bol paaya tha, kyun wo kisi ke mohn lag kar, kisi se manda bol kar khud ka nuksan karwata.. yahi baat use AK se bacha bhi gayi

AK:- kiski baat kar rahe ho tum log, kaun kise dhund raha hai

paas ke admi bhi AK ke del dol ko dekh gaye the, wo bhi khamosh reh gaye the... kuch bole nahi the.jiska greban AK ne pakda hua tha, wo apni jan bachane k liye sab batane laga, rana family aur sabke baare me wo batata chala gaya.. AK jo pehle nahi jan paya tha, abb wo jaan gaya tha.. AK ne use side me phenka aur ek side ko chal pada.. surinder ke admiyon ko usne bhi dekha tha, par wo sab usi rana family ko dhund rahe han, ye bat wo nahi jaanta tha..

ab AK k liye baat ki teh tak pohnchna mushkil nahi raha tha.. shehar me usne kai gadiyon par guns liye ghoom rahe logon ko dekha tha..


.
.
.
.
abhi k liye itna hi
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: asadjee
Top