• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 40 (Last)

Saamne dekh kar Kajal ki chehre me ek alag hi khushiya aa gaya...Kabhi wo Ajith ko dekhti to kabhi saamne baccho ko.

Kajal hi nahi Preeti bhi bahut khus thi.

Kajal:- Bahut accha kiya tumne.

Ajith:- Karta kyu nahi...Bhagwaan ko ghus diya tha...Mujhe bachaane ke liye.

Fir Ajith kuch baccho ko bulaata hai apne paas aur unko introduce karta hai Kajal aur Preeti ke saamne.

Kajal aur Preeti dono hi kuch der baccho ke saath baatein karti hai aur khelti hai.

Ajith:- Jaanti ho Kajal...Tum se akela hone ke baad ye bacchon ke saath vakt bitaa kar apna akelepan dur karta tha.

Ek alag hi sukoon mil raha hai ye orphanage khol kar...Jo kismat mujhe mila tha aage badhne ka inn bacchon ko bhi milna chaahiye.

Akela hona shaayad inka badkismati tha...Lekin apni taraf se kuch to koshish kar raha hu inki bhalaai ke liye.

Kajal bas Ajith ko sunti jaa rahi thi...Wo aaj iss Ajith me apna puraana Ajith dekh rahi thi.

Aaj bhi Ajith badla nahi tha...Jaisa pehle tha aaj bhi waisa hi hai...Naa hi uska vaada badla tha logo ki sewa karne ka.

Preeti:- Bahut accha kaam kiya tumne...Lekin itna paisa...Ye sab kholne me to bahut paisa laga hoga aur upar se abhi bhi tumhara cancer ka treatment chal hi raha hai.

Ajith:- Duniya me acche log aaj bhi maujud hai...Iss gaau ke mukhiya ji...Sab kuch unki vajah se hi possible hua hai...Building aur infrastructure unhone diya...Aur abhi tak wo hi chala rahe hai.

Ek baar mai apna clinic start kar lu...Uske baad khud chalaunga.


Preeti:- Clinoc se yaad aaya...Free me ilaaj karoge? Yahi tumhara aakhiri khwahish tha na?

Ajith:- Nahi...Khwahish ye tha ki logo ki sewa karu...Wo jarur karunga.

Har cheej ki kimat hota hai...Har insaan ka health ka bhi...Aur kuch paise to mujhe bhi chaahiye clinic chalaane ke liye.

Paisa lunga magar saste me ilaaj karunga...Ha paise ki vajah se kisi ki jaan nahi jaayega...Aise case me free me ilaaj kar sakta hu...Gareeb logo ke liye thoda discount bhi hoga...But total free...Ye possible nahi hai.


Preeti:- Waapas kab aa rahe ho?

Ajith:- Abhi nahi...Jab tak immune system normal nahi ho jaata...Tab tak kahi baahar nahi jaa sakta...Waise bhi maine socha hai baaki ki jindagi yahi bitaaunga.

Khushi aur shaanti se.

Preeti:- Kajal tera kya khayal hai?

Kajal:- Wohi jo Ajith ka hai.

Preeti:- Mile hue teen ghanta nahi hua...Abhi se ek dusre ki baat me haami bharna suru.

Ajith:- Pyar aisa hi hota hai.

Preeti:- Mujhe nahi pata...Kaisa hota hai ye pyar.

Ajith:- Jald pata chal jaayega.

Preeti:- Wo kaise?

Ajith:- Vijay.

Ajith ki iss baat par Preeti chup ho gayi.

Ajith:- Abb jyada sharmaao mat.

Preeti:- Tumhe kaise pata.

Ajith:- Bas pata chal gaya...Mai bhi kisi ka aashiq hu...Pyar kya hota hai ye acche se jaanta hu...Kisi ka aankhein padhna mere liye nayi baat nahi hai.

Kajal:- Tum jitna soch rahe ho ye usse bhi fast hai...Pehle hi dono set ho gaye hai.

Ajith:- What?

Kajal:- Tumhara wo last note ne dono ko mila diya.

Abb Ajith ko samajh me aaya Kajal ne kaise usse maaf kar diya aur apna baaki sawaal ka jawaab.


Fir kuch der aise hi baat karne ke baad Preeti waapas seher jaane ke liye taiyar ho gayi.

Preeti:- Phone karte rehna.

Kajal:- Jarur.

Preeti:- Ajith...Jindagi me baar baar mauka nahi milta...Abb aisi mistake kabhi mat karna aage...Bahut khush hu tum dono ko ek hote dekh kar.

Ajith:- Jaata hu ek galti ka anjaam mya ho sakta hai...Abb aage karne ki himmat nahi hai.

Ek request tumse bhi hai.

Preeti:- Bolo?

Ajith:- Picchli baar ki tarah iss baar Dhruva aur Vijay ko kuch mat bataana...Mai thik hone ke baad khud bataaunga unhe.

Iss baar koi chugli nahi.

Preeti:- Chugli...Ye mat bhulo ki abhi jo tum dono ek dusre ke saath ho na...Uski vajah wohi chugli tha.

Ajith:- Uss chugli ka hamesha ehsan rahega...Lekin abb jo chugli kar sakti ho uska nahi.

Please.

Fir Preeti bhi hans kar kehti hai.

Preeti:- Accha...Thik hai.

Preeti ka bus aa jaata hai.

Preeti:- Accha chalti hu...Contact me rehna.

Fir Preeti chali jaati hai.


Abb Ajith aur Kajal...Chal padte hai ek dusre ke saath ek dusre ka haath thaame.

Ajith:- Sasurji ka phone number bataao.

Kajal:- Sasurji?

Ajith:- Tumhaare Papa.

Kajal:- Wo to mujhe bhi pata hai...Lekin phone number.

Ajith:- Bataana to padega na unki beti mere saath surakshit hai.

Kajal:- Lekin abhi.

Ajith:- Unhe fikar ho raha hoga tumhari...Itne dino baad ghar se baahar gayi ho...Aur aisi haalath me.

Kajal:- Mujhe dar lag raha hai.

Ajith:- Daro mat...Wo mere sasurji hi hai...Koi shaitaan nahi.

Ajith ki iss baat par Kajal usse ghurne lagti hai.

Ajith:- Yakin hai na mujh par.

Kajal ka jawaab uski muskaan deti hai.

Fir Ajith phone number note kar leta hai.

Kajal:- Phone to kiya hi nahi.

Ajith:- Itni bhi kya jaldi hai...Raat me karunga...Ye abhi itna romantic mausam chal raha hai usse chalne dete hai.

Fir dono haath pakad kar chalte rahe ek sunsaan raaste me.

Kajal:- Mana loge na?

Ajith:- Kya lagta hai tumhe?

Kajal:- Vishwas hai tum par...Mana loge tum.

Fir dono aage chalne lage.

Kajal:- To shaadi ka kab soch rahe ho?

Ajith:- Itni bhi kya jaldi hai...Puri tarah se thik to hone do...Agar bich me hi...

Isse aage Kajal kuch kehti Ajith ne uske munh pe haath rakh kar chup kara diya.

Kajal:- Iss baar mai tumhaare saath hu...Kuch nahi hone dungi...Vishwas hai na tumhe mujh par?

Kajal ka pyar aur vishwas dekh Ajith muskuraaye bina reh nahi paaya.

Ajith:- Mai bhi...Ham saath hai.

Khus hu mai tumhaara saath aur pyar paa kar...Jindagi ki har khwahish pura ho gaya...Sirf aur sirf tumhaari vajah se.

Abb tumhaara saath paa kar naa hi koi dar hai...Naa hi koi chinta...Jaanta hu aage jindagi me mushkil vakt aur chunauti bahut aayenge...Lekin mujhe vishwas hai tum par ham saath ladenge aur mushkilon se jeetenge.

Sukh aur dukh hamesha ek saath jeeyenge.

Kajal ne bhi apne sir ko haa me hila kar sehmati dikhaya.

Fir dono aise hi saath chal pade apne pyar ki raaste par...Ek dusre ka haath thaame aur ek dusre ka vishwas liye...Pyar ki aage ki safar par...Jaha pyar tha, khushiyan tha aur saath me bahut saari chunauti...Jo har ek ki jindagi me hota hai...Lekin dono ki jindagi me dono ek dusre ke saath the...Apne baaki ki jindagi ko jeene ke liye.


THE END OF STORY NOT LOVE

Link of my new story:- https://xforum.live/threads/kasam-love-is-not-everything.1095/
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Writer's Note

Friends, finally this is our 2.5 months long journey in this story...Aap sabhi readers and friends ka dil se shukriya iss story me mera saath dene ke liye...Aap sabhi ke saath ke bina story ko complete kar paana possible nahi tha.

Aaj tak 3 long story complete kar paane me kaamyab hua hu...Iss baat ki bahut khushi hai...Aur aap sabhi ko story complete karne ki vaada bhi aaj pura ho gaya.

Iss story ke saath ek medium size story likh paane me bhi kaamyaab raha...Iss story likhte vakt bahut kuch naya sikha aur ek alag hi experience mila.

Story likhte time kabhi kuch galti hua ho aur update dene me kabhi late hua ho to uske liye dil se sorry.

Once again thanking all my readers, friends and silent readers as well...Thanks for being part of this completed story...Really enjoyed your comments on each and every update.

Story abb complete hone ke baad bahut ajeeb sa feel ho raha hai ye jaan kar ki abb aaj ke baad ye story me likhne ke liye kuch nahi rahega.

Abb aap sabhi ke liye fir se Kasam start kar raha hu...Ummeed hai wo story bhi aap sabhi ko pasand aayega aur aap sabhi ka saath waha bhi milega.

https://xforum.live/threads/kasam-love-is-not-everything.1095/

Aap sabhi ka intejaar rahega.

Sincerely yours,
Champ_AK
 
Last edited:

Loveshuda111

Member
486
1,203
138
Aaj jitna der update padha utne time bich bich me aansu nikal aate the chahe kitna bhi sochta rona nhi h ye to sirf ek story h

Story padhte Time room ka door bhi lock kr diya ki koi mujhe rota na dekhe
And story was superb bhai
Bhut hi achhe trike se sabhi character ko darshaya h aisa lga sabhi character jinda h

Aapka dil se shukriya bhai aisa behtarin kahani share krne ke liye
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Aaj jitna der update padha utne time bich bich me aansu nikal aate the chahe kitna bhi sochta rona nhi h ye to sirf ek story h

Story padhte Time room ka door bhi lock kr diya ki koi mujhe rota na dekhe
And story was superb bhai
Bhut hi achhe trike se sabhi character ko darshaya h aisa lga sabhi character jinda h

Aapka dil se shukriya bhai aisa behtarin kahani share krne ke liye
Thanks Loveshuda bhai for your support and review...Bahut dino baad aapko story me dekh kar bahut accha laga aur ye jaan kar bhi ki aapko story itna pasand aaya...Thanks for your support in this story...Ummeed hai aapko next story bhi pasand aayega.
 
Top