• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 37

Truck to apne hi speed se aage badh raha tha...Lekin Kajal ka kismat itna bhi bura nahi tha ki iss tarah wo Ajith se mile.

Ek shakhs ne hawaa ki raftar se aa kar usse wapas picche ki taraf khinch liya.

Dono road ki side me aa kar gir gaye...Ladka niche gira hua tha aur Kajal uske upar...Kajal ko bahut gussa aa raha tha...Har baar kismat uske khilaaf hi saajish kar raha tha...Pehle Ajith ko chheen liya aur abb iss tarah se bacha liya.

Kajal uss ladka se alag ho gayi aur gusse se usse dekhne lagi.

Uss ladka ka chehra dekhte hi ek tej jhatka laga Kajal ko...Face mask utaar kar dekha.

Pehli najar me hi uski saansein tham si gayi...Dil me ek dard ki lehar utha...Pyar ke.

Usse apne aankho par vishwas hi nahi ho raha tha...Ek dar tha...Kahi ye fir se khwaab to nahi.

Iss baar usne pyar se uske chehre ko chhua...Iss baar wo chehra nahi badla...Chehre ko bade pyar se dekhne lagi...Wo ladka bhi usse pyar bhari nighaawo se dekh raha tha...Uski najar me bhi ek tadap tha...Shaayad wo ladka bhi usse dekhne ke liye bekarar tha.

Abb iss baar Kajal ki aankho se aansuon ki baandh toot pada...Wo beinteha rone lagi.

Aaj usse uska Ajith mil gaya tha...Isse khushi ki baat uske liye kya ho sakti thi...Aisi haalaath me mulaakat hogi usne kabhi socha bhi nahi tha.

Aaj uski khushiyan uski aansuon me dikh raha tha...Ajith ne bhi Kajal ko jee bhar ke rone diya.

Fir pyar se apne ungliyon se Kajal ki aansu ponchne laga...Aaj bhi Kajal Ajith ko utni hi pyari lag rahi thi jaisi pehli najar me laga tha.

Usne bhi kabhi nahi socha tha ki iss janam me fir kabhi Kajal se mulaakat hoga.

Aaj Kajal ko itne dino baad apne saamne dekh kar wo fir khud ko hi bhul gaya tha...Wo kya hai aur yaha kyu hai ye bhi bhul gaya tha...Bas Kajal ko dekhe jaa raha tha...Pyar se...Shayad kal ho naa ho.

Achanak wo utth kar baith gaya...Pocket se teji se antiseptic spray nikaala aur Kajal ki jakhm par spray kar diya.

Kajal ne bhi spray chheen kar Ajith ko laga diya...Jaanti thi wo infection se bachna Ajith ke liye kitna jaruri hai.

Ajith:- Aaahh

Kajal ne fir apni ungli Ajith ki hontho par rakh diya wo bhi badi maasumiyat se...Aaj Ajith Kajal ki iss adaa par fir fidaa ho gaya.

Kuch der dono issi tarah ek dusre ko aankho se apna pyar ka izahaar karte rahe.

Fir Ajith utth gaya.

Kajal ne bhi der na karte hue Ajith ko kas kar gale laga liya...Iss baar wo Ajith ko khud se dur jaane nahi dena chaahti thi.

Ajith bhi pyar me paagal usko apne baaho me bhar liya.

Abb Kajal se raha nahi gaya...Jor jor se rone lagi wo...Bilkul kissi bacche ki tarah...Jiska sabse kimti khelauna kho gaya tha.

Lekin Ajith koi khilauna to tha nahi...Jaan tha wo Kajal ka...Aur usko khone ka dard jo wo 1 mahine se mehsus kar rahi thi aaj uska rona issi baat ka gawaah tha.

Ajith bhi Kajal ki sir ko sehlaa raha tha.

Kajal:- I hate you.

Kajal itna keh kar waapas jaane lagi...Ek do kadam hi aage badhi thi ki.

Ajith:- Fir se mana lunga.

Ajith ne pyar se kaha...Kajal apni jagah par hi ruk gayi.

Ajith:- Shaadi ke baad thoda moti ho gayi ho.

Ajith ne hanste hue kaha.

Kajal waapas Ajith ke paas aa gayi...Uske chaathi par mukkon ki barsaat karne lagi.

Do mukka ke baad.

Ajith:- Pehle se hi bahut kamjor hu.

Kajal ne maarna band kar ke uski chaathi ko sehlaane lagi.

Kajal:- Dard to nahi hua na.

Jawaab me Ajith muskuraane laga...Kajal ki iss adaa par usse bahut pyar aa raha tha.

Ajith:- Uss chugalkhor Preeti ne sab kuch ugal diya na?

Kajal:- Chugalkhor mat bolo...Agar kuch nahi bataati to mujhe kaise pata chalta tumhare baare me.

Ajith:- Sorry.

Ajith ne apne galtiyo ke liye maafi maanga wo bhi bacchon ki tarah.

Kajal:- Ye to cheating hai...Pehle rulaate ho aur fir sorry :beee:

Jaante ho tumhaari yaadon me pichle 1 mahine se kitna royi hu.

Fir se Kajal ki aankho me aansu aa gaya.

Ajith:- Mai nahi tha na...Abb aa gaya hu waapas...Kabhi tumhaari aankho me aansu aane nahi dunga.

Ajith ne Kajal ki aansu ponch kar kaha.

Kajal ne dekha aas paas road me chal rahe kuch log unhe hi dekh rahe hai.

Kajal sharmaa kar waha se bhaagne lagi.

Aaj Ajith Kajal ki har adaa par fir se fidaa ho raha tha...Kajal ka aise sharmaa kar bhaagne se uske dil me ek dard de gaya...Pyar ka dard.

Ajith:- Ruko to...Kitna bhaagti ho.

Kajal lekin aaj kuch sunne ki mood me nahi thi...Wo to hawaaon me udd rahi thi...Apne Ajith ko waapas paa kar...Ajith ko sahi salaamat dekh na jaane kitni baar bhagwaan ka shukriya adaa kar chuki thi jinse usne duaa maangi thi.

Ajith bhi dusri aur hadd se jyada khus tha...Pichle 8 mahine me shaayad pehli baar itna khus tha wo...Kajal se fir se khul kar apne pyar ka izahaar kar paayega...Abb naa koi rok tok...Naa hi koi majburi.

Aaj fir se Kajal uski Kajal thi...Fir wohi pyar aur wohi khushiyan...Aur issi khushi ke liye wo maut se bhi lad kar waapas aaya tha.

Aaj Kajal uske saamne thi aur bahut khus thi...Isse khushi ki kya baat ho sakta tha uske liye.

Ye kisi sapna se kam to nahi tha...Lekin kabhi kabhi sapna hakikat bhi ban sakta hai...Agar iss sapna me jaan, vishwas aur ek dusre ki prati chaahat ho wo bhi siddat wali.

Ajith piche se Kajal ko pyar se dekh raha tha...Aaj jaise uska duniya pura ho gaya tha...Sab kuch mil gaya tha.

Dil se usne Dhruva aur bhagwan ko shukriya kiya...Aaj wo jinda tha to Dhruva ki vajah se...Aaj usse Kajal mili thi to apne kismat aur bhagwan ki vajah se.

Aaj dono ek dusre se waapas milne ke baad dono ki khushiyon ka koi thikaana nahi tha...Aasman me jhum rahe the...Naye naye sapne dekhne lage the...Khushiyon se paagal ho jaana chaahte the.

Dono hi jaante the apne mohabbat ki mol...Kitna anmol tha unka ye mohabbat...Aur isse khone ki kimat se bhi anjaan nahi the.

Abb unhe apna iss mohannat ki kadar karna tha...Ek dusre ka saath dena tha, saath rehna tha aur saath jeena tha.

Dono ke dil se ek hi aawaj nikal raha tha ek dusre ke liye.

"Never Let You Go."

Jindagi bhi ek unsuljhi paheli ki tarah hai...Pal bhar me khushi aur pal bhar me dard...Kaha Kajal apne jaan dene jaa rahi thi aur kaha agle hi pal duniya bhar ki khushi mil gaya usse.

Jindagi me khushi bhi milta hai aur dard bhi...Bas agar jarurat hai to intejaar ka.


Mile ho tum humko
Bade naseebon se
Churaya hai maine
Kismat ki lakeeron se

Mile ho tum humko
Bade naseebon se
Churaya hai maine
Kismat ki lakeeron se

Teri mohabbat se saanse mili hai
Sada rehna dil mein kareeb hoke

Mile ho tum humko
Bade naseebon se
Churaya hai maine
Kismat ki lakeeron se

Mile ho tum humko
Bade naseebon se
Churaya hai maine
Kismat ki lakeeron se

Teri chahaton mein kitna tadpe hain
Sawan bhi kitne tujh bin barse hain
Zindagi meri sari jo bhi kami thi
Tere aa jaane se ab nahi rahi

Sada hi rehna tum
Mere kareeb ho ke
Churaya hai maine
Kismat ki lakeeron se

Baahon mein teri ab yaara jannat hai
Maangi khuda se tu wo mannat hai
Teri wafa ka sahara mila hai
Teri hi wajah se ab main zinda hoon

Teri mohabbat se
Zara ameer hoke
Churaya hai maine
Kismat ki lakeero se

Mile ho tum humko
Bade naseebon se
Churaya hai maine
Kismat ki lakeeron se

Teri mohabbat se saanse mili hai
Sada rehna dil mein kareeb hoke
 

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,765
274
:woohoo:
:vhappy:

Ajith wapas lout aya wo bhi sahi salamat per aise kaise :hmm: Dhurv ne apni dost nibhai, per Dhurv ne aisa kya kiya janne ki mujhe bahut curiosity hai....


Tum Ho Paas Mere
Saath Mere Ho
Tum Yun
Jitna Mehsoos Karoon Tumko
Utna Hi Paa Bhi Loon
Tum Ho Mere Liye
Mere Liye Ho Tum Yun
Khud Ko Main Haar Gaya
Tum Ko, Tumko Main Jeeta Hoon
 
Top