• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 60

Atul:- Excuse me.

Shreya:- Kya hua? Kiska phone tha.

Lekin Atul Shreya ki baat ko unsuna kar apna bag pack karne lagta hai...Shreya bas usse dekhte hi reh gayi...Naa hi Atul kuch bol raha tha aur naa hi dhyan de raha tha.

Bag pack karne ke baad.

Atul:- Sorry but mujhe nikalna hai...Maa ka phone aaya tha ghar se Didi ki tabiyat bahut kharab hai...Mujhe jaana hoga.

Atul ki chehre me pareshaani ke saath dar bhi tha...Kahi Didi ko kuch ho na jaaye iss baat ka dar usse andar se khaaye jaa raha tha.

Shreya bhi room se nikal aati hai...Atul bhi jaldi se taala laga kar waha se nikal jaata hai...Kuch dur chal kar piche mudta hai.

Atul:- Jald waapas aaunga.

Shreya:- Intejaar karungi.

Fir Atul chala jaata hai...Shreya bhi Atul ki didi ki tabiyat ko le kar dua karne lagi.



Atul waha se sidha bus stop chala gaya...Bus me chhadh kar wo ek window seat me baith gaya.

Bus khulne me thoda time tha...Iss bich Atul ke man me naa jaane kitne khayal aa rahe thhe...Kabhi usse dar lagta to kabhi wo khud ko hi hausla deta ki kuch nahi hoga.

Ek to pehle hi Nisha se bicchadne ka dard aur abb uski Didi ki tabiyat kharab hone ki khabar...Bilkul toot sa gaya tha Atul.

Tabhi usse phone aata hai.

Atul:- Hello Maa...Kaisi hai abb Di ki tabiyat? Thik to hai naa wo? Unhe bolo ghabraaye nahi...Mai aa raha hu...Sab thik kar dunga.

Atul ne ek hi saans me sab bol diya...Bolte vakt bhi wo dara aur bechain lag raha tha.

A. Mom:- Abb wo thoda thik hai...BP abb dhire dhire kam ho raha hai...Lekin tujhe bahut yaad kar rahi hai...Jaldi aaja beta.

Atul:- Aa raha hu Maa...Unhe kuch mat hone dena.

Fir Atul phone cut kar deta hai...Maa ki baat sun kar Atul ko thoda sukoon milta hai ki abb khatra ki koi baat nahi hai.


Fir Atul wohi bus me baithe baithe sochne lagta hai aage kya karna hai...Kaise Didi ka ilaaj karna hai...Kaise wo uss ghar me jaayega jaha usse apne Papa aur Bhaiya ka saamna karna padega...Bas issi soch me Atul ek gehri neend me chala jaata hai.

Neend uski tab khulti hai jab baarish ki kuch boond uske chehre me padta hai...Jaldbaazi me wo window band kar deta hai lekin jab usse apne aas paas koi nahi dikhta to wo window ko fir se kholta hai.

Baahar baarish dekh uske hontho me ek muskaan aata hai aur khidki se baahar apna nikaal kar ek romantic andaaj me apne dono baaho ko failaaye baarish me puri tarah bhing jaata hai...Iss vakt uske dil aur dimaag me sirf Nisha aur Nisha ke saath bitaaye pyar bhare lamhe thhe...Bahut hi khaas rishta tha uska baarish ke saath.


Nisha:- Hato yaha se...Window seat me mai hi baithungi.

Atul:- Aise kaise...Window seat to mera hi hai...Kisi ko nahi dunga.

Nisha:- Mujhe bhi nahi?

Atul:- Nahi.

Nisha:- To fir thik hai...Tum hi baitho.

Atul:- Thank you...Lekin tum itni jaldi maan kaise gayi.

Nisha:- But at your own risk...Mujhe vomit aayega to tumhaare upar hi vomit karungi.

Atul:- Chheee...Yuck :yuck:...Tum hi baitho.

Fir Atul side ho jaata hai.

Nisha:- Tumse apni baat kaise manwaana hai acche se jaanti hu.

Atul:- Matlab tum aise hi keh rahi thi.

Nisha hanste hue haa me sir hilaati hai.

Atul:- You cheater :beee:

Nisha:- Everything is fair in love.

Atul:- Haa...Yahi to galti hai mera...Naa hi tumse pyar karta aur naa hi kuch bhi fair hota.

Nisha:- Kisne kaha tha mere piche daudne ke liye...Mujhe hi taras aa gaya tum par jo tumhaare propose ko accept kar liya.

Atul:- Abb pachta raha hu.

Nisha:- (With smile) Pachtaate raho...Jindagi bhar ke liye mere ban chuke ho tum...Abb jo bhi mi kahungi wohi fair hoga.

Fir Nisha window ko slide karti hai...Aur baarish ki jhatka dono ko bhinga deta hai.

Atul:- Ye...Ye kya kar rahi ho tum...Bhing jaayenge hum.

Nisha:- Bhing gaye hai hum.

Atul:- Jaldi band karo...Ye kya bachpana hai...Baarish me aise kaun bhingta hai.

Nisha:- (Sar par haath maarte hue) Kitna unromantic bf hai?

Atul:- Kya...Kya kaha tumne? Mai unromantic hu...Kiss ki baat karta hu to dur bhaagti ho...2 din se tadpaa rahi ho.

Nisha:- Are dhire bolo...Koi sun lega.

Atul:- Accha ji...Unromantic ho jaao to problem aur romantic hone me bhi problem...Sun le koi...Mujhe kya...Mai apni gf se baatein kar raha hu...Waise bhi bus khaali hi hai.

Nisha:- Aa aa chhi.

Nisha bahut jor se chnkti hai.

Atul:- Are thik to ho naa...Nisha ki peeth ko sehlaaate hue Atul apna hanky pass karta hai.

Nisha ke normal hone ke baad Atul window band kar deta hai.

Atul:- Jaanti ho tumne kya kiya...S. pneumoniae, M. tuberculosis, H. Influenzae Rhino virus, Adeno virus jaise bacteria aur virus ko hawaao me failaa rahi ho.

Nisha:- Itna hi nahi. S. pyogenes, B. pertusis aur C. diptheriae bhi.

Nisha Atul ko gusse se dekhti hai.

Nisha:- Yaha mujhe jukhaam ho gaya hai aur tumhe majaak lag raha hai.

Atul apna jacket nikaal kar Nisha ko pyar se pehna deta hai.

Nisha bhi pyar bhari nighaawon se Atul ko dekhti hai.

Atul:- Abb aise bhi mat dekho...Bahut kuch hota hai.

Nisha:- Kya hota hai?

Fir Atul Nisha ki kaan me kuch kehta hai.

Nisha:- You...Bahut maarungi tumhe?

Fir Nisha Atul ko maarne lagti hai...Atul mar khaane ke baawjud bhi hans raha tha...Kuch der baad Nisha bhi sharmaate hue hasne lagi.


Nisha:- Tumne to apna jacket mujhe de diya...Tumhe bhi jukhaam ho gaya to?

Atul:- No chance...Immunity bahut accha hai mera...Aise chhote mote bacteria mera kuch ukhaad nahi paayenge.

Atul ne itna hi kaha tha ki usse bhi bahut jor se cheenkh aata hai.

Atul:- Aa chiiiii.

Nisha ye dekh jor jor se hasne lagti hai.

Nisha:- Abb mai bolu tum ne kitne bacteria hawa me failaaya hai.

Atul:- Maaf kar dijiye madam...Abb aap se koi pangaa nahi.




Aisi hi pyar aur masti bhari yaadein aur pyar bhari nok jhok soch Atul muskuraane lagta hai...Aur jab iss baat ka ehsas hota hai ki Nisha uski jidagi se bahut dur chali gayi hai to aankhein fir se namm hone lagta hai.

Iss baar ka dard bhi kuch aisa hi tha...Iss judaai ka dard usse saha nahi jaa raha tha...Sabhi ki najro se bachne ke liye apna chasma utaar kar ek black sun glass laga leta hai aur jee bhar kar rone lagta hai.

Na jaane kitna dard tha iss pyar me aur kitna aur sehna baaki hai...Bas dard hi dard reh gaya tha Atul ki jindagi me.
 
Top