• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 44


Boating ka safar bhi aise hi maje me chalta raha…Sirf Nisha ko chhod kar…Wo to bas Atul aur Kajal ki baatein hi sun rahi thi…Kabhi kabhi usse Atul par bahut gussa bhi aa raha tha.

Ajay bhi dusri taraf koi kami nahi rakhna chaahta tha Anjali ko impress karne me…Jitna bhi time spend aur baatein kar sakta tha usme koi kami nahi rakh raha tha.

Bechaara kabhi comedy karke Anjali ko hasaane ki koshish karta to kabhi apne badlaaw aur acchaayi ki kahani sunaata…Lekin fir bhi bechaare ko lagta ki Anjali ko kuch khaas fark nahi pad raha hai.

Fir bhi wo haar nahi maan raha tha…"Never give up" attitude usme hamesha se tha…Aur apni taraf se koshish karte jaa raha tha.

Anjali bhi Ajay ki haalat dekh kar man hi man muskura rahi thi…Usse bhi Ajay ko tadpaane me bahut maja aa raha tha.


Jab Nisha ko laga ki Atul aur Kajal ki baatein iss janam me khatam nahi hoga to usne apna dil behlaane ke liye kuch aur karne ka socha…Kuch samajh me nahi aaya to wo boat ke niche apna haath le jaa kar paani ke dheemi lehro ko mehsus karne lagi.

Dil me ek alag hi dard ko mehsus kar rahi thi wo…Jab bhi Atul ko Kajal ke saath baat karte hue dekhti usse abb yahi lagta ki pyar to dur ki baat hai wo Kajal se dosti me bhi haar gayi hai…Kabhi waha sabhi ko dekhti…Sabhi enjoy kar rahe the iss tour ko…Sirf wo hi thi jisse vakt ke har ek pal chhubh raha tha…Anjali ko bhi Ajay ke saath baatein karte dekh dimaag me sirf ek hi khayal aaya.

Nisha:- (In her mind) Andhera me to khud ka saaya bhi saath chhod deta hai…Dusro se ummeed bhi kya karna.

Aaj usse Anjali ki saath ki jarurat mehsus ho rahi thi…Sirf ek wo hi to thi jo ye jaanti thi ki Nisha Atul se pyar karti hai…Iss vakt Nisha ko Anjali ka hi sahara chaahiye tha apni dil ki baat kehne ke liye aur dil me utth rahi dard ko halka karne ke liye.

Aur Anjali ko Ajay ke saath khus dekh kar Nisha ne himmat bhi nahi kiya Anjali ko bulaane ke liye.

Iss vakt wo dosto ke bheed me khud ko akeli mehsus kar rahi thi…Itne dost maujud the uski lekin dard aisa tha ki kisi bhi dosto ke saath share nahi kar sakti thi aur naa hi koi dost uski madad kar sakta tha...Bheed me tanhayi mehsus kar rahi thi wo.

Kabhi wo khud ko iss tour me aane ke liye kosti to kabhi Atul se pyar karne par gussa aata.

Nisha:- (In her mind) Kyu kiya maine ye pyar? Kitna khus thi pehle…Jindagi me koi kami nahi tha aur naa hi koi taklif…Lekin jab se pyar hua hai din ki chain aur raat ki neend udd gayi hai…Lekin Atul ko koi fark nahi padta…Sach hi kehta hai wo pyar karna hi nahi chaahiye…Abb samajh me aa raha hai kitna sahi tha wo…Dekh liya natija maine pyar karne ka.

Kya nahi kiya tha maine…Hamesha uske saath time spend karti thi, baatein karti thi, apna sukh dukh baant ti thi…Aur hamesha ek ishaara bhi diya ki mai hamesha uska saath dungi…Lekin usse kya fark padta hai…Insensitive jo hai.

Dekh liya aaj kal ke pyar…Sacche pyar ka kisi ko kadr hi nahi…Log ya to dusro ki feelings ki parwah nahi karte ya fir beech raaste me hi dhokha de dete hai.


Kuch aise hi soch me kho gayi thi Nisha…Sabse bura to usse iss baat ka lag raha tha ki jab se Atul Kajal se baatein karne laga tha wo Nisha ko bhul hi gaya tha…Aur Atul ka ye ignore karna Nisha ko aur bhi jyada hurt karta jaa raha tha.

Dil ro raha tha lekin aankho aur shabdo se wo bayan nahi kar paa rahi thi…Aur naa hi kisi se wo kuch baatein kar sakti thi…Jindagi me pehli baar wo itni bebas mehsus kar rahi thi khud ko…Na jaane ye pyar aage kya kya dikhaane wala tha usko.

Kuch issi tarah ye boating ka safar bhi khatm hua…Nisha ke alawa sab iss tour ko enjoy kar rahe the.

Jab aaj ka visit khatam hua aur sabhi hotel waapas aaye to Nisha sidhe apne room me chali gayi aur khud ko lock kar liya.

Dil me utth raha dard, jalan aur gussa ki sabut uski aankho se beh rahi aansu de raha tha.

Bed me baith kar aaj ki incidence ko soch kar usse aur bhi rona aa raha tha...Kitna bebas ho gayi thi wo aur uski pyar!!! :(

Kuch hi der hua tha usse room me aaye tabhi uska room me kisi ke knock karne ki aawaj aaya.

Nisha:- (Gusse se) Kaun hai?

(In her mind) Chhain se do pal akele rehne bhi nahi dete.

Anjali...Dusri taraf se aawaj aaya.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Bhai update kafi achha tha par maine ye story xossip par padhi thi isi liye sirf aage ki story ko padhna chahta hu isi liye review nahi deta
Welcome on the story :dost:..4-5 din me story waha tak pahunch jaayega jaha tak xossip me likha tha...Umeed hai uske baad aap sabhi ka saath milega ek baar fir se.
 
  • Like
Reactions: NOVA SHARMA

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 45


Fir Nisha gate khol kar bina Anjali ki taraf dekhe hi waapas bed me aa jaati hai.

Anjali:- Kaisi hai?

Lekin Nisha koi jawaab nahi deti.

Anjali:- Aur kitna jhuth bolegi khud se?

Nisha:- Kya matlab?

Iss baar Nisha ne thoda gusse ke saath kaha.

Anjali:- Matlab kab tak tu khud se hi jhuth bolti rahegi aur galatfehmi me rahegi ki tu Atul se pyar nahi karti?

Anjali ki iss baat par Nisha koi jawaab nahi deti hai…Wo bas niche dekh rahi thi…Udaasi aur gussa abhi bhi uske chehre se saaf dikh raha tha.

Anjali:- Kab tak?

Nisha:- Ye kya wohi sawaal dohra rahi hai…Jaanti to hai tu bhi mai usse pyar karta hu.

Agar mere munh se hi sunna chaahti hai to sun…Bahut pyar karti hu usse…Uske saath baatein karna, vakt bitaana, masti majaak karna bahut accha lagta hai…Aur sabse badi baat jab wo muskura kar mujhse baatein karta hai na to bahut accha lagta hai…Man karta hai ki uska chehra dekhta hi jaau…Kuch alag si feelings aane lagta hai jab uske paas rehti hu to…Aur jab wo Kajal uske saath chipki hui rehti hai to mujhse bardaast nahi hota…Bahut gussa aane lagta hai uss par.

Lekin tum sab ko isse kya? Naa hi Atul ko mere pyar ki parwaah hai aur naa hi tum sab ko meri dosti se koi matlab.

Nisha ne ek saans me hi apne pyar aur feelings ko Anjali ke saamne rakh diya.

Nisha ki baat sun kar Anjali muskuraane lagti hai…Isse Nisha aur bhi gussa ho jaati hai.

Nisha:- Maine kaha tha na…Tujhe bhi mera dosti se koi matlab nahi…Tu bhi meri haalat ka maja lene aayi thi..Abb agar tera entertainment ho gaya hai to please yaha se chali jaa aur mujhe kuch der ke liye akela chhod de.

Anjali Nisha ki iss baat par abb hanste hue kehti hai.

Anjali:- To baat ye hai ki mere dost ko pyar ho gaya hai…Aur wo iss vajah se naraaj hai ki uska pyar yani Atul usse jyada bhaaw nahi de raha hai aur koi dusri ladki se chipakne laga hai.

Anjali ne Nisha ki gaal khinchte hue kaha jaise Nisha koi bacchi hai.

Nisha:- Sirf wo hi nahi…Tum sab ko bhi dekh liya…Mujhe to lagta tha mere 4 dost hai yaha…Lekin sab ki dosti dikh gayi aaj…Ye bhi dikh gaya ki mai tum sab ke liye kya maayne rakhti hu…Sahi hai…Jab mushibat aati hai na tab hi pata chalta hai ki koi dost sach me hamaara dost hai ya sirf apne matlab ke liye dosti ka dikhaawa karta hai? Aaj ye bhi dikh gaya.


Anjali:- Kya dikha?

Nisha:- Tum sabhi ka dosti…Sab khud me hi lage hue the…Mujhse koi matlab nahi kisi ko.

Anjali:- Maine tujhe ussi vakt udaas dekh liya tha…Aur ye bhi pata chal gaya tha kya vajah hai…Uss vakt maine issi vajah se baat mahi kiya kyu ki uss vakt tujhse sidhe baat bhi nahi kar sakti thi sabhi ke saamne aur bekaar ki baatein karke tujhe aur irritate bhi nahi karna chaahti thi…Lekin abb jab mauka mila to sidhe tere room me aa gayi.

Nisha fir Anjali ko dekhti hai.

Nisha:- Maine Atul se pyar karke koi galti to nahi kiya?

Jo sawal Nisha kuch der pehle khud se kar rahi thi iss baar usne Anjali se kiya.

Anjali:- Aisa kyu lagta hai tujhe?

Nisha:- Pyar to bahut karti hu usse…Pata nahi kyu aur kaise ho gaya…Lekin jab bhi ehsas hua hai tabhi se pata chala hai ki mai usse kitna pyar karne lagi hu…Lekin wo bahut insensitive hai yaar…Kisi ki dil ki baatein samajhta hi nahi.

Anjali:- Kaise samjhega? Wo to khud hi pyar se dur bhaagta rehta hai…Aise me wo kaise kisi ke pyar ko samjah paayega? Wo to tujhe hi usse ehsas dilaana hoga ki tu usse kitna pyar karti hai?

Nisha:- Mai?

Nisha ne chaunk kar kaha.

Anjali:- Nahi to kaun Kajal?

Anjali ne Nisha ka maja lene ki socha…Nisha usse gusse se ghurne lagti hai.

Nisha:- Lekin kaise yaar? Wo to kehta hai ki wo kisi se pyar karega bhi nahi…Aise me mai kaise usse apne dil ki haal bata paaungi aur kaise wo samajh paayega?

Anjali:- Kehne se sab kuch ho jaata hai ? Ye pyar hai madam…Kisi ko bata kar nahi hota hai…Apne aap ho jaata hai…Isse jitna bhi dur bhaago utna hi kheench ke karib le aata hai.

Age hai hi kitna Atul ka…20 ke aas paas hoga…Aur ye koi mature age bhi to nahi jo khud ke liye hue faisle par kaayam reh sake…Abhi to pyar aur attraction hone ka umar suru hua hi hai…Dekhna kabhi bhi wo apna ye raay badal lega ki usse kabhi pyar hoga hi nahi.

Pyar hone ke liye ek pal hi kaafi hai…Bas uss ek pal me ehsas hona chaahiye ki…Yahi hai wo jiske saath ham puri jindagi gujaar sakte hai…Aur iske bina jindagi bilkul adhura hai.

Tu bas apni taraf se koshish kar…Dekhna Atul ko bahut jald tere pyar ka ehsas ho jaayega...Aur jab bhi ehsas hoga usse tere pyar ka wo bhi sacche dil se tujhse pyar karega...Tune bahut acche ladke se pyar kiya hai...Bas jarurat hai to usse bhi pyar ki ehsas hone ka.

Nisha:- Mai to hamesha yahi koshish kar rahi hu…Lekin ye Kajal bich me aa jaati hai…Aur Atul bhi ussi ke saath lag jaata hai baat karne me…Tujhe kya lagta hai Kajal Atul se pyar karti hai?

Nisha ke man me ek alag sa dar usse sataane laga tha.

Anjali:- Sure to nahi hu…Kabhi lagta hai ha to kabhi nahi…Agar pyar karti bhi hogi to tere jitna gehra aur saccha pyar abhi nahi hai.

Aur rahi baat Atul ka uske saath baat karne ki…To iska vajah ye hai ki Atul Ajay ke alawa kisi ke saath bhi koi topic par based ho kar hi baat karta hai…Aur aaj hua bhi waisa…Kajal se kisi topic related baat se suruwaat hua aur fir baad me hassi majaak me badal gaya wo baat.

Nisha:- Hmm.

Anjali:- Ek baat aur yaad rakhna…Atul ka college me pehla ladki dost Kajal hi thi…Issi vajah se dono bahut close friend hai…Iss baat se tu uncomfortable mat hona…Wo Atul ki best friend ho sakti hai par pyar nahi…Dono me bahut fark hai…Abb tu decide kar ki apne dosti ko kaise pyar me badal sakti hai.

Nisha:- Jaanti hu…Atul bhi Kajal ko sirf dost hi manta hai…Lekin jab bhi dono ko baatein karte hue dekhti hu kuch accha nahi lagta.

Anjali:- Isse jalan kehte hai madam…Aur ye kuch had tak sahi bhi hai…Isse pata chalta hai tujh me kitna patience hai aur kaise tu khud ko sambhaalti hai…Agar pyar me samajhdaari aur patience na ho to ye kabhi bhi pyar ko khokhla kar sakta hai.

Sirf do tarfa pyar hona hi sab kuch nahi…Uske baad bhi kai aise vakt aate hai jab pyar kamjor pad jaata hai…Ye aam baat hai lekin jaruri ye hai ki kaise ham apne pyar ko sambhaalte hai…Aise hi mauke par samajhdaari aur dhairya (patience) kaam aate hai.

Anjali ki iss baat par Nisha thoda muskurati hai aur kehti hai.

Nisha:- Bahut gyan hai yaar tujhe iss pyar ki topic par.

Anjali:- Kyu bhul jaati hai ki mai bhi kisi se pyar karti hu? Aur ye sab baatein jaana jaruri bhi hai.

Nisha:- Bahut tadpa rahi hai bechaare ko.

Anjali:- Ha maja aa raha hai Ajay ki haalat dekhne me.

Nisha:- Tu aur Atul dono hi bahut bure ho…Sacche pyar karne walo ki jajbaat ka majaak udaate ho…Atul to abhi anjaan hai lekin tu?

Anjali:- Bas kuch der aur…Fir usse aur nahi tadpaaungi…Abhi to thoda maja lene de…Pata nahi baad me kab aisa mauka dobaara mile.

Nisha:- Accha thik hai…Lekin jyada mat tadpa…Kahi kisi aur par uska dil aa gaya to tu tadapti reh jaayegi.

Anjali Nisha ko iss baat par ghur kar dekhti hai aur kehti hai.

Anjali:- Mera Ajay aisa nahi hai.

Fir Anjali ke mobile par phone aata hai.

Nisha:- Kiska hai?

Anjali:- Ajay ka.

Nisha:- Naam liya shaitaan haajir.

Anjali:- Khabardaar jo mera Ajay ko shaitaan kaha…Kitna pyara hai wo.

Fir Anjali phone uthaa kar kuch der baatein karti hai…Phone kar lene ke baad.

Anjali:- Bula raha hai baahar…Abhi jaana hoga fir baad me aaungi.

Nisha:- Bechaara bechain ho raha hoga.

Anjali:- Wo to hai…Pyar karta hi itna hai.

Fir Anjali jaane lagti hai..Lekin 2 kadam aage badh kar ruk jaati hai aur kehti hai.

Anjali:- Pyar ki baat hai…Pyar se hi samjhaana Atul ko aur apni taraf se puri koshish karna dekhna jald hi samajh jaayega wo tere pyar ko…Aur ha Kajal se koi competition mat karna…Pyar koi competition nahi hai…Ye bas do dil ka safar hai ek dusre ko samajhne ka, chaahne ka aur saath rehne ka…Agar tum dono ka saath me rehna likha hai to tum dono ko koi alag nahi kar sakta…Bas jarurat hai to apne pyar nibhaane aur apne pyar me vishwas rakhna.

Anjali ki baat par Nisha sirf sehmati me sar hilaati hai.

Anjali:- Jaane se pehle SRK ka ek dialogue bhi bol deti hu…Agar kisi cheez ko dil se chaaho, to puri kaynaat tumhe usse milaane ki koshsh me lag jaati hai.

Nisha:- Samajh gayi yaar…Abb tu jaa…Aur bitaa apne aashiq ke saath kuch pyar bhare pal.

Anjali jaane hi wali thi ki Nisha ki baat par fir ruk jaati hai.

Nisha:- Thanks yaar…Bahut kuch samajhaya tune aur mood bhi thik kar diya.

Anjali fir ek smile ke saath waha se chali jaati hai.

Anjali ke jaane ke baad Nisha window ki taraf jaati hai aur apne soch me kho jaati hai…Anjali ki baato se uski kuch galatfehmi dur ho gayi thi aur saath hi aage kya karna chaahiye iss baat ki hint bhi mil gaya tha…Abb ek naya josh aa gaya tha uske andar…Usne soch liya ki kisi bhi tarah wo Atul ko apne pyar ka ehsas dila kar hi rahegi aur Atul ko bhi uska pyar ka ehsas hona hi padega.
 

Mbindas

Active Member
1,928
4,105
158
Bhai bohot sahi kar rahe ho aap ek din me 2 update.
Very beautiful update bhai.
:yourock:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top