• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 30


Nisha:- Pata nahi…Kuch dino se yahi sawaal mai khud se kar rahi hu.

Nisha abhi bhi confused thi…Abhi bhi sahi se faisla nahi le paa rahi thi ki Atul ke baare me wo kya sochti hai.

Anjali:- Matlab tujhe Atul se pyar ho gaya hai.

Anjali ne muskura kar kaha.

Nisha:- Nahi…Aise kaise…Itni jaldi kaise ho sakta hai kisi se pyar…Abhi hame college join kiye 1 months bhi nahi hue aur itni jaldi pyar…Not possible.

Nisha ko abhi bhi yakin nahi tha ki itni jaldi usse kisi se pyar ho sakta hai.

Anjali:- Pyar hone ke liye kuch hi pal kaafi hai…Bas kisi ki kuch baatein, koi acchaayi, koi kaam ya fir ham se baat karne ka tarika hamaare dil ko chhu jaaye…Aur sabse badi baat usko dekh kar hame bharosha ho jaaye ki ham jindagi bhar uske saath khus rahenge.

Kabhi kabhi chhoti si mulaakat ya mulaakat ke kuch hi pal me ye pata chal jaata hai ki saamne wala kaisa hai…Accha ya bura insaan ko pehchaane me jyada vakt nahi lagta hai.

Atul ko hi dekh le…Kuch hi din me wo tere bahut paas aa gaya hai…Dil ke bahut karib…Aur tere aise bhi koi ladka dost hoga…Jisse tu bahut vakt se jaanti hai lekin uske liye pyar jaisi feeling to dur ki baat iss baare me tune socha bhi nahi hoga.

Bas itna kahungi ki pyar hone ke liye ye jaruri nahi hai ki tune uske saath kitna vakt bitaaya hai balki ye jaruri hai ki wo tere liye kya maayne rakhta hai, wo tere saath kaise behave karta hai, tere liye kya kar sakta hai aur tu uspe kitna bharosha karti hai.

Nisha ko bhi Anjali ki baat sahi lagne laga.

Nisha:- Kaash ye pyar na ho.

Anjali:- Kyu?

Nisha:- Agar mere taraf se ye pyar bhi hai to bhi kya faaidaa aise pyar ka…Atul ko to dekh…Kitna emotion less hai wo…Selfish hai…Sirf apne baare me sochta hai…Ek baar maine usse pucha tha agar usse kisi ladki ne propose kiya to wo kya karega...Jawaab diya ki wo politely reject kar dega.

Abb tu hi soch…Usse sirf apne feelings ki parwaah hai…Baaki kisi ke pyar se usse koi matlab nahi…Sirf apne liye hi sochta hai.

Agar mai usse pyar karne lagi to wo mere pyar ka koi parwaah nahi karega…Mai agar uske picche paagal ho jaaungi to bhi usse koi matlab nahi.

Atul ek bahut accha dost hai isme koi doubt nahi…Lekin wo pyar ke liye sahi nahi hai.

Anjali:- To ye baat hai.

Anjali ne muskura kar kaha aur fir kehna suru kiya.

Anjali:- Tu usse emotion less kehti hai lekin wo aisa bilkul bhi nahi hai…Dekha hai maine…Patient se history taking ke liye jab ham ward me jaate hai na to mai Ajay aur Atul ek hi group me hote hai. (Roll number me jyada difference nahi hai same alphabet hone ki vajah se)…Tab maine dekha hai Atul kitna emotional hai.

Jab wo koi bhi patient se baat karta hai aur unka beemari ke baare me pucchta hai tab maine dekha hai patient se baat karte vakt patient ka dard ko wo mehsus karke pucchta hai…Iss history taking me bhale hi wo ilaaj nahi kar sakta lekin apne baato se hi mentally and emotionally support karta hai.

Emotion ka matlab ye nahi hai ki wo sirf pyar se related hai…Ha Atul abhi pyar me vishwaas nahi karta…Iska matlab ye nahi hai ki wo kabhi karega hi nahi…Bas sahi vakt aur sahi insaan chaahiye usko vishwaas dilaane ke liye.

Atul me bas yahi kami dekha hai maine ki wo pyar par bharosha nahi karta hai…Aur ye jaruri bhi to nahi ki usse hona hi chaahiye.

Aur tu keh rahi thi ki wo selfish hai aur apne baare me hi sochta hai…Aaj usne apne baare me nahi tere liye socha…Ek dost ke liye socha…Ek dost ke liye 10 -15 dost se bhi ladne se picche nahi hata kyu ki kal tu sahi thi aur usne sacchaai ka saath diya.

Pyar wo abhi nahi karta hai tujhe fir bhi itna kuch kar raha hai to soch pyar karega to kya karega…Atul ke baare me yakin ke saath keh sakti hu ki agar wo kisi se pyar karega to sacche dil se pyar karega…Bas jarurat hai to usse pyar par bharosha hone ka.

Atul kisi se pyar nahi karta hai lekin kisi se jhutha pyar ka dikhaawa, time pass aur dusro ke dil ke saath bhi nahi khelta.

Anjali ki baat Nisha ko aur sochne par majbur kar raha tha…Nisha ne iss baar kuch nahi kaha…Wo Anjali ki baato ko sochti hi rahi.

Anjali:- Ek aur baat kahungi…Agar pyar karne lagi hai to pyar ko chhupa mat…Jitna bhi chhupaane ki koshish kar le chhupa nahi paayegi…Aur pyar ke bich me ego ko mat aane de ki wo tujhse pyar nahi karta…Tu apna pyar nibhaati reh aur Atul ko apne pyar ka ehsas karaane ki koshish kar aur bata de usse tera pyar kitna saccha hai aur saccha pyar kitna jaruri hai.

Dekhna jab bhi wo tujhse pyar karega sacche dil se pyar karega...Tujh pe mar mitega.

Nisha ko Anjali ki har baat sahi lag raha tha…Aur saath hi ek hairaani bhi ki wo Atul ke baare me itna kaise jaanti hai.

Nisha:- Baat to tu sahi keh rahi hai…Lekin tu Atul ke baare me itna kaise jaanti hai ki wo kaisa hai aur baad me kaisa karega.

Anjali:- Ajay…Ajay ne bataya mujhe Atul ke baare me ye sab…Ajay ko mai school se hi jaanti hu…Class 10 tak Ajay kaisa tha ye tu nahi jaanti…Vishwaas bhi nahi karegi.

Har ek character tha uske paas jo ek gunda me hota hai…Class 10 me hi usne sab kuch suru kar diya tha…Daru, cigarette, gang fight, gaali aur dhamki dena…Apne Papa ke paise me aiyaashi karna, dusro ko be vajah pareshaan karna aur gundo ke saath gundagardi karna…Ye sab roj ki aadat ban gaya tha uska.

Lekin pata nahi jab 11 me wo hostel me gaya padhne to achanak se usme bahut badlaaw aa gaya…Atul ki dosti me puri tarah se badal gaya aur wo sab buri aadatein chhod kar padhaai me dhyan dene laga...

Ajay se hi baat karke Atul ke baare me pata chala…Jab bhi Ajay Atul ka naam leta hai respect ke saath leta hai…Dono hi dost aapas me majaak karte hai aur ek dusre ka majaak udaate hai lekin ek dusre ke liye bahut respect hai.

Tune dekha bhi hoga Atul jab bhi Ajay ka majaak udaata hai tab mujhe bura nahi lagta hai…Dono ka dosti dekh kar accha lagta hai.

Abhi ke Ajay aur pehle wala Ajay me bahut fark hai...Aur vajah hai to sirf Atul...Issi liye mai bhi Atul ko bahut respect karti hu aur vishwaas bhi hai ki Atul tere liye sahi ladka hai.

Nisha:- Matlab tu bhi Ajay se pyar karti hai.

Anjali:- Ha…Lekin tujhe kaise pata chala.

Nisha:- Abhi jis tarah se tu Ajay ka naam le rahi thi usse hi sab pata chal jaata hai...Ye laal laal gaal aur aankhein.

Itna keh kar Nisha Anjali ki gaal pinch kar deti hai.


Nisha:- Accha to tune abhi tak propose kyu nahi kiya.

Anjali:- Itni bhi kya jaldi hai…Abhi to uss buddhu ki haalat dekh kar maja aa raha hai…Bahut baar propose karne ki koshish kar chuka hai lekin har baar dar kar baat badal deta hai…Abhi to uska maja le rahi hu lekin bahut jald accept kar lungi.

Nisha:- Bahut tadpa rahi hai bechaare ko…Kahi aisa na ho ki kisi aur pe uska dil aa jaaye.

Anjali:- Chup manhus.

Fir dono hasne lagte hai…Lekin iss hansi ke picche bhi Nisha apne soch me gum thi…Wo Anjali ki hi baatein soch rahi thi…Jisne usse aaj alag tarike se sochne par majbur kar diya tha.

Fir Nisha apne ghar ki aur jaane lagti hai jaha ek aur surprise uska intejaar kar raha tha.
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Superb Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 31


Nisha kuch hi der me apne ghar pahunch gayi…Aur daily routine ki tarah kuch der padhne ke baad fir chhat me fresh hone chali gayi…Aaj bhi Atul chhat me nahi aaya tha.

Kuch der aise hi chhat me ghumne ke baad uska najar niche apne ghar ki main gate ki taraf pada…Aur usne jo kuch bhi dekha wo kisi surprise se kam nahi tha.

Main gate se baahar uski Papa aur Atul ek dusre se baat kar rahe the…Aur usse bhi bada jhatka tab laga jab usne dekha ki dono hans kar baatein kar rahe the.

Nisha baatein to nahi sun paa rahi thi bas dekhe jaa rahi thi…Usse apne Papa par hairaani bhi ho raha tha…Atul ke ghar walon ke saath jab bhi Nisha ke Papa ne Nisha ke saamne baat kiya tha to sirf ladaayi karte vakt hi dekha tha…Dono ghar me kabhi acche se baat hua hi nahi tha.

Lekin aaj Nisha ke Papa Atul se baat kar rahe the wo bhi hans kar…Nisha tab tak dono ko baat karte dekhti rahi jab Atul waha se apne ghar nahi aa gaya.

Fir Nisha bhi thoda hairaani aur confusion me niche hall me chali gayi…Hall me pahunchne ke baad usne dekha ki uske Papa naasta kar rahe the.

Nisha ko dekh kar uske Papa ne usse apne paas bulaaya aur kaha.

N. Dad:- Kaisi chal rahi hai tumhaara padhaai beta? Koi taklif to nahi hai naa?

Nisha ke Papa ne hamesha ki tarah pyar se puccha.

Nisha:- Accha chal raha hai …Aur koi pareshaani nahi hai.

N. Dad:- Pareshaan lag rahi ho…Koi baat hai kya?

Nisha:- Nahi Papa…Koi pareshaani nahi hai…Bas padhaai thoda mushkil lag raha hai abhi…Aur aage kaise padhna hai bas wo hi soch rahi hu.

Nisha ne aadha sach hi kaha aur Atul wali baat chhupa liya.

Nisha ki baat par uske Papa ne thoda muskura kar kaha.

N. Dad:- Abb tumne field hi ye choose kiya hai to thoda mushkil to hoga hi…Lekin mujhe pura vishwaas hai tum par tum acche se padhogi…Bas issi tarah mehnat se padhti raho dekhna dhire dhire sab kuch aasan ho jaayega.

Hamesha ki tarah pyar se aur Nisha ki hausla badhaate hue unhone kaha.

N. Dad:- Bas koi bhi kami ho to bataana…Aur compromise karne ki bilkul bhi jarurat nahi hai…Bas agar kisi bhi cheej ki jarurat ho to bataana pura karne ke liye mai hu…Tera padhaai me koi rukaawat nahi hone chaahiye.

Hazaar baar ki tarah iss baar bhi Nisha ki Papa ne iss baat ko dohraya aur hazaar baar ki tarah Nisha ka wahi jawaab.

Nisha:- Nahi Papa…Koi taklif nahi hai aur aap kabhi hone bhi nahi denge…Aapne itna paisa kharch karke padhaaya wohi bahut hai mere liye.

Ye kehte vakt fir Nisha thoda emotional ho gayi.

N. Dad:- Tu ek louti beti hai meri…Tujh par kharch nahi karunga to kis par karunga…Abb to teri khushi hi meri khushi hai.

"Itna laad pyaar hi iss maha raani ko bigaad raha hai" Nisha ki Maa bhi ye kehte hue baap aur beti ke bich me aa gayi.

Nisha ki Papa ne unki taraf sawaal bhari nigaah se dekha.

N. Mom:- Kuch hi din pehle mobile liya isne…Wo bhi 10, 000 wala aur abb keh rahi hai isse laptop aur wifi bhi chaahiye…Abb ye maha raani padhaai karegi ya fir time pass.

N. Dad:- Ha to kya galat hai isme…Aaj kal to internet aur mobile sabhi student ke paas hota hai…Aur ussi se aaj kal ke padhaai chalta hai…Aur bahut padh ne ke baad mood fresh ke liye time paas bhi jaruri hai.

N. Mom:- Aap kuch bhi kahiye…Lekin mujhe nahi lagta ye aaj kal pehle jitna padhti hai…Mujhe to lagta hai ghar ke kaam se bachne ke liye padhaai ka naatak karti hai.

N. Dad:- Kuch bhi majaak karne se pehle ye soch lo ki kiske baare me majaak kar rahi ho…Doctor banne wali hai ye…Aur budhaape me hamaara ilaaj yahi karegi…Tab tumhaara har ek majaak ka chun chun kar badla legi.

Nisha ki Papa ne aakhiri ki baatein hans kar kaha…Wo bhi jaante the ki Nisha ki Maa bhi majaak kar rahi hai…Kyu ki wo bhi Maa Beti ka naatak bahut jhel chuke thhe.

N. Mom:- Aap ke saamne mera kuch chalta hi nahi.

N. Dad:- Pehle chalta tha…Lekin abb bahut dekh chuka hu tumhara over acting.

Aur fir sabhi hasne lagte hai…Nisha bhi apne ghar ke maahaul ko dekh kar bahut khus thi aur khud ko lucky maan rahi thi ki usse itna pyar karne wala Maa aur Papa mila hai.

Fir Nisha ko Atul wali baat yaad aa gaya…Papa ka accha mood dekh kar himmat karte hue Nisha ne puccha.

Nisha:- Papa tabhi aap baat kar rahe the main gate ke baahar.

Itna keh kar Nisha chup ho gayi…Thoda dar bhi rahi thi ki kahi Papa gussa na ho jaaye aur soch rahi thi ki aage pucchna chaahiye ya nahi.

Kuch der sochne ke baad Nisha ke Papa kehna suru karte hai.

N. Dad:- Accha wo Atul…Bahut accha ladka hai…Baatein bhi accha karta hai…Aur usne bataya bhi tha ki wo tumhaara classmate hai.

Unke iss baat ne Nisha ko aur bhi jyada hairaani me daal diya…Wo soch rahi thi ki uske Papa gussa ho jaayenge lekin unhone bahut halke se jawaab de diya.

Nisha:- Aap jaante hai wo kaun hai?

Nisha ko abb lagne laga ki uske Papa Atul ke baare me jyada nahi jaante hai.

N. Dad:- Hamaare hi padosi ke beta hai.

Padosi kehte vakt unhone kuch socha lekin fir halke se jawaab de diya.

Nisha:- Fir bhi aap hans kar baatein kar rahe the…Bilkul bhi gussa nahi lag rahe the.

Jawaab uske Papa ne muskura kar diya.

N. Dad:- Isme uska kya galti hai…Mera dushmani uske Papa aur uske bhaiya se hai…Usse nahi…Aur mai ek insaan se dushmani dusre par nahi nikaalta hu…Acchaayi aur buraai ko samajhna chaahiye naa ki dushmani ke paagalpan ko khud par haawi hone de kar andha ho jaaye.

Atul ne mujhse acche se baat kiya aur maine bhi usse acche se baat kiya…Uske Papa aur bhaiya dushmani karna chaahte hai to mai bhi unke saath waisa hi hu.

Nisha ki Papa ne bahut hi suljha hua jawaab diya.

Nisha ko abb sab kuch thik lag raha tha aur Atul ki taarif apne Papa ki munh se sunna bhi usse bahut accha lag raha tha.

Fir kuch der aise hi baatein karne ke baad Nisha apne room me aa gayi.

Abhi iss vakt wo apne ghar ki maahaul se bahut khus thi aur iss khushi me aaj usse padhne ka man bhi nahi kar raha tha…Wo apne mobile le kar baith gayi.

Kuch der mobile chalaane ke baad usse kuch yaad aaya aur usne Anjali ko phone lagaya.

Anjali:- Hello.

Nisha:- Ha Anjali…Ek baat pucchna tha tujh se.

Anjali:- Ha punch.

Nisha:- Tu kehti hai Atul bahut accha ladka hai…Lekin usse pyar karne me ek aur risk hai yaar.

Nisha ne kuch sonchte hue kaha…Iss vakt wo bahut serious thi.

Anjali:- Kaisa risk?

Nisha:- Hamaare ghar waale ek dusre ke dushman hai…Baad me wo nahi maanenge…Aur iss pyar ka future soch kar hi dar lag raha hai.

Anjali:- Pyar karti hai to dil se kar…Aise dar kar nahi…Apna pyar ko itna majbut bana ki tu apne pyar ke liye kisi ke khilaaf bhi lad sakegi…Pyar apna raasta khund dhund nikaalega…Tu bas sacche dil se pyar kar aur apne future ko future ke upar chhod de.

Anjali ne galat to nahi kaha tha par uski baatein puri tarah se sahi bhi nahi tha…Har baar har sacche pyar ko manjil mile ye jaruri bhi nahi hai…Agar hota to shaayad aaj Atul aur Nisha ek hote.

Anjali ki baat Nisha ko bhi kuch hadd tak samajh me aaya…Wo kuch soch hi rahi thi ki Anjali ne fir kaha.

Anjali:- Matlab abb tu maanti hai ki tu Atul se pyar karne lagi hai.

Nisha:- Maine aisa kab kaha?

Anjali:- Tu nahi teri baatein aisa keh raha tha.

Nisha:- Nahi abhi koi decision nahi liya hai maine…Bas har taraf se soch rahi thi…Abhi mujhe thoda time chaahiye iss baare me sochne ke liye…Abhi khud uljhan me hu aur kuch samajh me nahi aa raha hai.

Anjali:- Puri vakt le…Aise faisle jaldbaazi me liya bhi nahi jaata hai…Jab tujhe yakin ho jaaye ki ye pyar hi hai tab hi apna dusra kadam aage badhaana…Agar ye attraction hi hai to fir tum dono ke liye hi mushkil ho jaayega baad me…Soch samajh kar faisla lena.

Nisha:- Hmm.

Fir Nisha phone kaat deti hai aur Anjali ki baaton ko fir se sochne lagti hai.
 

Chinturocky

Well-Known Member
4,305
12,574
158
Bhai ye story ko thoda present me bhi aage badhao jisase inke mukhya patron me interest bana rahe. Abhi to inka future pata hone ki wajah se utna interest nahi lag raha hai. Dono hero aur heroin bahut hi achche hai per present me story aage badhegi to inko ek naya shade milega aur kahani interesting bhi lagegi ke dono kaise milenge. Aur atul ka uski bahan aur maa se reletion bhi batao kaisa hai.
Story bahut badhiya hai.
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Very Nice Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top