• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 27


Pata nahi kabhi kabhi kya ho jaata hai mujhe ki paagalo jaisi harkat karne lagta hu…Kya jarurat tha mujhe aisi bakwaas sawaal pucchne ka? Aur pucchte hi jaa raha tha ek baar bhi nahi socha ki kya pucch raha hu…Pata nahi kabhi kabhi kya ho jaata hai mujhe? Jald hi aisi aadat sudhaarna padega.

Aise hi khud par gussa hote Atul apne room me chala gaya.


Next Day


Agla din Atul jab college me gaya to waha ka nazaara dekh usse thoda hairaani hua…Aaj Nisha usse pehle class me aa gayi thi aur front seat me jaa kar baith gayi thi.

Atul ne bina kuch react kiye uske paas chala gaya aur baith gaya.

Fir dono kuch der tak baat karte rahe aur tabhi Ravi class me aaya.

Wo aaj apna seat me baithne ki jagah Atul ke paas aa gaya…Kuch der tak Atul ko dekhta raha…Atul bhi usse dekhne laga.

Ravi:- Aaj kal tu jyada hi udne laga hai khaas kar Rahul sir ki class me?

Atul:- To fir tera pankh kat gaya hai kya jot u nahi udd paa raha hai ya fir paralysis ho gaya hai?

Atul ne muskuraate hue kaha lekin uske muskaan Ravi ko uska beizzati mehsus karaane ke liye kaafi tha.

Ravi kuch der Atul ko gusse se ghurta raha fir Nisha ki taraf dekh kar bola.


Ravi:- Nisha…Nisha hi hai na tumhaara naam?

Jawaab me Nisha ne kuch nahi kaha…Wo bhi Ravi ko gusse se dekhne lagi.

Ravi:- Khair naam jo bhi ho…Mujhe to ye pucchna tha ki tum iss Atul ke saath baithne se bore nahi hoti?

Ravi ne thoda muskura kar pucha…Aur iss baar Atul aur Nisha ka gussa aur badh gaya…Iss baar Nisha ne jawaab diya.

Nisha:- Atul ke saath bore hone ki baat chhodo agar koi bhi tum jaise ke saath baith jaaye to uska pura din aise hi waste ho jaayega…Bilkul Bandar jaise ho tum…Jo apna ghar bhi nahi banaata aur dusro ke ghar bhi ujaadta hai ussi tarah tum bhi kabhi shaanti se nahi rehte ho aur dusro ko bhi rehne nahi dete ho.

Jaise abhi hame disturb karne aa gaye.

Nisha ne thoda hanste hue kaha…Nisha ki baat se Atul ko bhi thoda hansi aa gaya.

Atul aur Nisha ke alawa kuch aur students bhi the aas paas me jo Nisha ki baat par muskura rahe the.

Ravi ko ye sab dekh kar bahut gussa aa raha tha…Jyadatar students ki najar uss par hi tha iss vajah se wo uncomfortable feel kar raha tha…Aur iss baar wo bina kuch kahe jaane wala tha.

Nisha:- Kuch jyada hi ghamandi hai.

Nisha ne dheere se Atul ko kaha.

Atul:- Chhodo…Bekaar ladka hai…Iske baare me baat karna hi nahi chaahiye…Waise bhi kicchad par patthar maarne se kicchad khud par hi ucchal kar lagega.

Atul aur Nisha to aapas me baat kar rahe the lekin ye baat Ravi ne bhi suna…Gusse me wo khun ka ghunt pee kar reh gaya lekin usne kaha kuch nahi.

Lekin iss incidence se uska gussa aur nafrat Atul ke liye aur bhi badh gaya.

Fir kuch der me class start ho gaya…Sabhi padhaayi me dhyan dene lage Ravi ko chhod kar.

Iss baar Atul aur Nisha lecture ke bich me bhi ek dusre se baat kar lete the lekin itna bhi nahi jitna kal Atul Kajal se baat kar raha tha.

Aise hi 3 lectures beet gaye…Atul aur Nisha ek dusre se baatein bhi kar rahe the aur saath me acche se padhaayi bhi kar rahe the.

Fir aaya class Rahul sir ka lunch break se pehle.

Rahul sir ne hamesha ki tarah iss baar bhi apne style me class start kiya…Matlab pehle picchle lectures ke question pucchne ke baad aage padhaana suru kiya.

Aaj ka topic tha Elbow joint.

Unhone padhaana suru kiya aur kuch describe karne ke baad sabhi students se pucha.

Dr. Rahul:- So students abb aap bataaiye ki elbow joint kis type ka joint hai?

Hamesha ki tarah sabhi students shaant.

Dr. Rahul:- Iss baar kuch nahi kahunga…Aaj hi ye chapter padha raha hu to jaruri nahi hai ki aap sabhi ko aana chaahiye…Shoulder joint se matching hai…Try it.

Lekin fir sabhi students shaant hi rahe…Achanak Nisha khadi hui aur usne kaha.

Nisha:- Sir synovial joint and ball and socket.

Nisha ne itna kaha hi tha ki class ke jyadatar student hasne lage aur sabse jyada Ravi…Iss hansi me usse apne beizzati ke baad sukoon mil raha tha.

Nisha ka chehra me gusse ke bhaaw dikhne laga…Usne Atul ki taraf dekha…Atul ne usse shaant rehne ka ishaara kiya…Nisha baith gayi…Fir Atul ne utth kar kaha.

Atul:- Sir mujhe kuch kehna hai.

Dr. Rahul:- Ok.

Fir Atul picche ghum kar bolne laga.

Atul:- Isme hasne ki kya baat hai…Kya kabhi tum logo se galti nahi hota hai jo dusre ki galti par iss tarah se hans rahe ho.

Sir ne to ye question sabhi se puccha tha lekin kisi me himmat nahi hua jawaab dene ka…Lekin jab Nisha ne try kiya aur usse mistake hua to sabhi hasne lage…Jab tum sabhi me answer dene ka himmat nahi hai to dusro par bhi hasne ka hak nahi hai.

Agar tum sabhi ko itna hi confidence hai apne talent par ki tumhe sab aata hai aur koi mistake nahi hoga to mai tum sabhi ko challenge deta hu ki 1 ghante ke liye mere saath meeting karo…I bet ki 1 ghante tak tumhaara chehra aur jawaab sun kar mai hasta rahunga.

Himmat hai to aa jaana.

Itna keh kar Atul chup ho gaya…Sabhi Atul ke gusse par shocked the…Nisha ko Atul ka ye saath bahut accha lag raha tha…Kajal, Ajay aur Anjali ke alawa kuch aur students bhi Atul se sehmat the.

Dr. Rahul kuch kehne hi wale the ki Atul fir suru ho gaya.

Atul:- Aur Ravi tu…Tu sabse jyada has raha tha na…Chal ek baat bata…Tujhse kabhi koi galti nahi hua kya jo Bandar jaisa hans raha hai.

Ravi:- Galti to hua hai lekin aise bewkoofi kabhi nahi kiya…Nisha aise utth kar jawaab de rahi thi jaise wo bilkul sahi hai lekin kya hua uska hi majaak ban gaya…Little knowledge is dangerous…Issi liye agar kuch aata nahi hai to itna ucchalna nahi chaahiye.

Itna aasan sawaal ka jawaab bhi nahi de paayi…Synovial joint thik hai lekin Ball and Socket nahi…Wo sirf Shoulder joint me hota hai.

Ravi ne bhi Atul ke andaaz me hi jawaab diya.

Atul ko Ravi ki baato par hansi aa gaya aur haste hue kehne laga.

Atul:- Waah re padha likha gawaar…Ball and Socket joint hip joint me bhi hota hai…Acche se padh aur dusro par hasna band kar.

Atul ki iss jawaab se fir kuch students hasne lage Ravi par.

Atul:- Mai iss liye nahi has raha hu ki tune galti kiya…Tera ghamand par has raha hu.

Waise bhi ye galti karne ka time hi hai…Abhi ham students hai galti kar sakte hai…Galti se hi ham sikhte hai…Agar galti nahi karte to aaj tak kuch sikh bhi nahi paate.

Jab ham chhote the tab bahut baar gire the chalne ki koshish me…Bolne me bhi galti kiya tha jab bolne ki suruwat kiya tha…Bacche ka example chhod…Ham me se bahut aise bhi honge jo bike chalaana sikhte vakt gire hai.

Aise bahut se examples hai…Galti se hi ham sikhte hai aur behtar bante hai…Galti aam baat hai lekin usse sikhna badi baat hai.

Issi tarah ham medical students hai…Iss field me galti aam baat hai…Hame apne galtiyon se sikhna chaahiye…Aur iss vakt sikhna chaahiye jab ham student hai…Doctor ban jaane ke baad galti nahi kar sakte.

Abhi to tum 15 students has rahe ho lekin jab doctor ban kar galti karoge tab tumhaare piche 15000 log hasenge aur gussa honge ki doctor ki galti ki vajah se patient ka death ho gaya.

Friends jab ham sikhte hai to galti ho hi jaata hai warna hame teacher ki jarurat hi nahi padta…Ye sabhi se request hai mera ki jab koi kuch bolne ki koshish karta hai usko appreciate karo naa ki uski galti par majaak banaao.

Sir ka question ka answer mujhe bhi pata tha lekin keh nahi paa raha tha…Lekin Nisha ne kehne ki himmat kiya iske liye mai usse appreciate karta hu…Aur ye ek cheej hai jo mujhe aur ham me se jyadatar students ko sikhna chaahiye.

Sorry agar gusse me kuch galat keh diya ho aur agar tum sabhi ko bura laga ho to…Nisha par iss tarah se hasna mujhse bardaast nahi hua.

Fir Atul chup ho gaya aur Sir ki taraf dekhne laga…Uski iss baat se class ke sabhi students usse impress ho gaye aur kuch ko apni galti ka ehsaas bhi hua.

Dr. Rahul:- Ho gaya tumhaara…Soch raha tha kab tum chup honge aur mai kuch bolunga…Lekin tum to non stop bol rahe the jaise class ke leader ho…Baat to tumhaara thik hai lekin bolne ka tameez nahi.

Atul:- Sorry sir…Gussa me kuch jyada hi bol diya.

Dr. Rahul:- Tumne to sabko samjha diya ki galti par hasna nahi chaahiye lekin mai tumhe sikhaaunga ki doctor ke liye itna gussa sahi nahi hai…Kya tum apne patient se bhi itna hi gussa me baat karoge…Lunch break me mujhse milne aao…Wahi tumhe sikhaaunga.

Rahul sir bahut gusse me bole.

Atul:- Sorry sir.

Dr. Rahul:- Abb baitho aur mujhe padhaane do…Pehle hi bahut time waste kar diya hai tumne.

Fir Atul bhi kuch nahi bola…Rahul sir padhaane lage aur fir sabhi students iss baat ko bhulaane ki koshish kar ke padhaai me concentrate karne lage…Lecture ke vakt bhi Nisha kabhi kabhi Atul ko dekh laeti thi…Aaj uske dil me Atul ke liye respect aur bhi badh gaya tha.

Lecture ke baad Rahul sir ne Atul ko jaldi aane ko bol kar chale gaye.

Sir ke jaane ke baad Ravi gusse se canteen ki taraf nikal gaya…Baaki students ne Atul ki taarif bhi kiya aur kuch students ne apna galti bhi maan liya.

Sabhi ke jaane ke baad Atul ki dost hi waha baaki reh gaye.

Ajay:- Kya baat hai bhai…Aaj to tu hero ban gaya pure class me.

Atul:- Please bhai abhi majaak ke mood me nahi hu…Jo sahi laga wohi bol diya.

Nisha:- Thanks Atul…Aaj tumne mere liye pure class ke khilaaf chale gaye…Agar tum aaj support nahi karte to mai aaj ke baad kabhi iss tarah utth kar jawaab nahi deti.

Atul:- Tum aaj sahi thi…Aur mai hamesha sahi ka saath deta hu…15 students to kya pura class se dushmani kar leta jarurat padne par…Kabhi galat ka saath nahi dunga aur naa hi galat banunga.

Kajal:- Abb sir ne tumhe kyu bulaya hai?

Ajay:- Kahi Sir isse suspend na kara de!

Atul:- Chup manhus…Aisa nahi karenge wo…Agar kiya to bhi mujhe parwaah nahi…Maine koi galti nahi kiya hai jo mai daru…Sach ka saath diya hai…Suspend hua to bhi khud par yakin hai ki ghar me hi self study kar lunga.

Atul ki iss baat par kisi ne koi jawaab nahi diya.

Atul:- Tum sab canteen me jaao…Mai Sir se mil kar aata hu.

Itna keh kar Atul Rahul sir ke office ki taraf nikal gaya.

Aaj ki iss bahas ne bahut kuch badal diya tha…Nisha ke dil me Atul ke liye aur respect badh gaya tha…Saath me Ravi apna beijaati nahi bhul paa raha tha aur uska Atul se nafrat aur bhi badh gaya tha...Aur ye nafrat aage kya roop lene wala hai ye sirf vakt ko hi pata hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
:claps: ravi aur atul k bich nafrat paida hui h

Maybe ravi badla lene ki sochega ab
Thanks Rocky bhai for your support and comment...Nafrat ka suruwat to ho chuka hai...Dekhte hai iska anjaam kya hoga...Saath bane rahiye.
 
  • Like
Reactions: Badshah111

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 28


Rahul sir ke cabin me pahunchne ke baad.

Atul:- May I come in sir.

Dr. Rahul:- Yes come in.

Fir Rahul sir ek chair ki taraf ishaara kar ke.

Dr. Rahul:- Sit there.

Atul bina kuch kahe baith jaata hai.

Dr. Rahul:- Tumhe pata hai maine tumhe yaha kyu bulaya hai?

Atul:- Aap class me mujh se gussa ho gaye the aur time bhi jyada nahi tha issi liye aapne mujhe yaha bulaya.

Dr. Rahul:- Gussa nahi tha mai tumse.

Rahul sir ne thoda muskaan ke saath kaha…Atul unka chehra ki taraf hairaani se dekhta hai.

Dr. Rahul:- Kuch baatein karna tha akele me aur kuch samjhaana bhi tha.

Dr. Rahul:- Aaj tumne jo baat sabhi se kaha wo bilkul sahi tha…Impressive.

As a student you are brilliant…Hamesha padh kar aate ho aur lecture me bhi dhyan dete ho…Class me tumhe dekh kar hi pata chalta hai ki tum padhaai me bahut dedicated ho…Dusre department se bhi tumhaara taarif suna hai.

As a student tum me wo sabhi kuch hai jo hona chaahiye…Padhaai me hardwork, talent aur dedication.

Itna keh kar Rahul sir Atul ki taraf dekhte hai…Atul kaafi khush dikh raha tha jo dikha raha tha ki usse apna taarif bahut accha lag raha tha.

Dr. Rahul:- Iske alawa Nisha ka side lekar tumne sabhi ko acche se samjhaya aur dosti bhi bahut accha nibhaaya.

Lekin jaante ho tumne kya galti kiya hai?

Fir wo Atul ki taraf dekhne lage.

Atul:- Nahi sir.

Dr. Rahul:- Tumhaari baato se gussa saaf dikh raha tha…Wo to accha hua ki baat jyada nahi bigda warna aaj hi tum 10- 15 students ko apna dushman bana lete…Tumne jo baat kaha tha usse tum dhire se aur acche se samjha bhi sakte the…Kabhi kabhi gusse ki vajah se hi chhoti chhoti baato par bhi dushmani ho jaata hai.

Aur class me tum sabhi dost ho aur ek dusre se dushmani karna thik bhi nahi hai…Kabhi kabhi kuch baato ko ignore bhi karo.

Atul:- Sir mai jyada gussa to nahi hota hu par jab bhi gussa ho jaata hu to control nahi kar paata…Aaj jab sabhi hans rahe the to bilkul bhi control nahi kar paaya.

Dr. Rahul:- Aaj ke liye to thik tha…Tumhaara gussa jaayaz tha…Lekin fir bhi aisi haalat me khud par kaabu karna sikhna hoga…Ek doctor ke liye ye bahut jaruri hai…Knowledge ke saath saath emotions par bhi control karna padta hai...Sach bolna chaahiye lekin gusse se nahi...Tum unhe acche se bhi samjha sakte the.

Aakhir me ye hi kahunga ki kisi se dushmani kar ke apna relation kharab mat karo…Kabhi kabhi dusro ki galti ko bhi ignore karna sikho.

Aur ha Ravi ko jitna ignore karoge utna hi accha hai…Na uske saath dosti accha rahega aur naa hi dushmani…Pehle se jaanta hu usse…Bahut ghamandi hai.

Atul:- Ha sir…2 baar dekh chuka hu uska ghamand…Aaj bhi uski vajah se hi mood off ho gaya tha…Sir aap kaise jaante hai usse?

Dr. Rahul:- Uska baap bhi doctor hai…Bas kabhi kabhi mulaakat ho jaata hai…Unse mulaakat ka hi time dekha tha Ravi ko ek do baar…Tabhi se uska ghamand dekh chukka hu…Lekin mujhe koi matlab nahi hai usse…Naa hi uske baap se karibi relation hai naa hi usse(Ravi) koi matlab…Abb bas ek hi relation hai usse…College me teacher aur student ka relation.

Khair ye baatein chhodo…Tumhe sirf ye samjhaane bulaaya tha ki thoda gussa par kaabu karo, jo sahi lage wo bolo lekin gusse me nahi aur hamesha aise hi padhte raho.

Atul:- Ok sir.

Dr. Rahul:- Padhaai me koi problem to nahi…Agar kuch samajh me nahi aaye to kisi bhi vakt aake pucch sakte ho.

Atul:- Abhi tak to nahi hai sir…Sab samajh me aa raha hai…Agar problem hoga to jarur pucchunga.

Sir lekin itne kam vakt me itna jyada padhna pad raha hai…Bas iska pressure hai.

Atul ki baat sun kar Dr. Rahul ne thoda hans kar kaha.

Dr. Rahul:- Iss problem ka koi ilaaj nahi hai…Medical field me aaye ho to padhna to padhega…Har ek topic important hai aur doctor banne wale ho to sabhi aana chaahiye…Ye problem to sab ka hai…Mera bhi tha…Lekin dhire dhire adjust ho jaaoge…Bas issi tarah acche se padhaai karte rehna…Help ke liye sabhi department ready hai.

Atul:- Ok sir…Sir ek baat kehna chaahunga…Aap jitna strict dikhte hai utna nahi hai.

Dr. Rahul:- Abhi class me nahi hu iss liye…Class me bhi bahut baar keh chukka hu…Class se baahar tumhaara dost jaisa hu…Agar koi problem ho to bejhijhak bolna…Solve karne ki puri koshish karunga.

Lekin class ke andar ek responsible teacher hu...Waha koi compromise nahi.

Baaki ke department kya kehte hai mujhe nahi pata lekin suggest karunga ki sabhi subject acche se padho…Abhi jitna padhoge baad me utna accha doctor ban paaoge…Issi liye strict banna padta hai.

Atul:- Ok sir…Koshish karunga shikaayat ka koi mauka nahi dene ka.

Dr. Rahul:- Ek baat bataao…Tumhaara koi girl friend hai.

Rahul sir ki achanak iss question se Atul chaunk gaya.

Atul:- Nahi sir…Lekin aap kyu pucch rahe hai.

Dr. Rahul:- Tumhe dekhta hu to mujhe apna past yaad aata hai jab mai student tha…Padhaai me bahut serious hua karta tha…Mujhe bhi aise boyfriend girlfriend ka chakkar me koi interest nahi tha…Lekin aaj sochta hu ki shaayad galat tha…Masti ka time to wohi tha…Jo aaj miss kar raha hu.

Tumhe bhi yahi kahunga ki padhaai me koi compromise mat karna aur baaki masti karne ka bhi koi mauka mat chhodna.

Atul:- Ok sir.

Dr. Rahul (Ghadi dekhte hue) 10 minute ho gaya…Abb jaao…Lunch break khatam ho gaya to din bhar bhukha rehna padega.

Atul:- Thank you sir.

Itna keh kar Atul waha se nikal gaye…Atul khus tha ki Rahul sir uski baato se sehmat the…Iske baawjud usse apna kuch kamjori bhi dikha jo usse sudhaarna tha.


In Canteen


Atul apne dosto ke paas bura munh bana kar chala gaya.

Kajal:- Kya hua Atul…Sir ne kya kaha?

Kajal Atul ko udaas dekh boli…Usse lag raha tha ki kuch to galat hua hai Atul ke saath.

Atul:- 2 weeks ke liye suspend.

Kajal:- Kya? Ye to hadd hai…Tumhaara galti bhi nahi tha…Agar Rahul sir ki najar me ye galti tha to itna bhi bada nahi ki tumhe suspend karwa de.

Kajal bahut gusse me boli.

Nisha:- Sorry…Ye sab mera vajah se hua hai…Naa hi mai wrong answer kehti aur naa hi ye sab hota.

Nisha ko Atul ke liye bahut bura lag raha tha…Aur usse abb khud par hi gussa aa raha tha.

Atul:- Nahi tumhaara koi galti to nahi hai…Galti to iss Ajay ki hai.

Atul ne Ajay ko bahut gusse se dekhta hua kaha.

Ajay:- Maine kya kiya yaar.

Ajay chaunkte hue bola.

Atul:- Tu hi wo manhus hai jisne suspend ki baat kiya tha aur hua bhi aisa hi…Tu manhus jubaan meri najro se abhi dur chala jaa isse pehle mai kuch karu.

Atul ne bahut gusse me kaha…Andar se usse hansi bhi aa raha tha…Uska acting koi pakad nahi paa raha tha.

Ajay Atul ke paas aaya aur dhire se bola.

Ajay:- Sorry yaar…Pata nahi tha aisa ho jaayega..Maine to majaak me kaha tha lekin sach me ye manhus baat bol kar galti kar diya.

Itna keh kar Ajay waha se jaane laga.

Achanak Atul hasne laga…Sabhi Atul ko ghurne lagte hai…Kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki Atul kyu hass raha hai…Atul ke rukne tak sabhi usse ghurte hi rahe…Fir Atul bola.

Atul:- Tum sab ne ek baar puccha tha na…Ajay kabhi serious nahi hota hai…Lo dekh lo abb iska serious shakal.

Itna keh kar Atul fir hasne laga.

Atul ki iss baat par Ajay aur Nisha ki alawa sabhi hasne lagte hai.

Nisha to pehle se hi alag mood me thi…Wo bas aaj class me hui incident ko hi yaad kar rahi thi.

Ajay:- Tu kabhi nahi sudhrega.
 
Top