• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 26


Shaam me ghar pahunchne ke baad Nisha ne pehle wo chapter complete kiya jo aaj wo college me nahi padh paayi thi…Aur jab wo padhte hue bore ho gayi to hamesha ki tarah fir chhat ki taraf chali gayi.

Jaate vakt usse khayal aaya ki Atul bhi chhat me ho sakta hai…Jab wo chhat me pahunch gayi tab usne dekha ki Atul aaj bhi chhat me tha.

Lekin roj ki tarah aaj uske paas naa hi bat tha, naa hi guitar aur naa hi koi book…Wo chhat ke ek kone me khada tha aur chhat se niche dekh raha tha.

Nisha bhi uske paas apne ghar ki chhat ki uss kone ki taraf gayi…Jis taraf Atul tha.

Nisha:- Hello Mr. AK ?

Nisha ki baat sun kar Atul uski taraf aaya aur kaha.

Atul:- Hi.

Atul ki aawaj se hi lag raha tha ki wo khush nahi hai…Koi tension usse sata raha hai.

Atul ka achanak badla hua roop dekh kar Nisha bhi hairaan ho gayi…Wo sochne lagi ki kuch der pehle college me wo Kajal ke saath hans hans kar baatein kar raha tha lekin kuch hi der me pareshaan bhi ho gaya hai.

Hamesha ki tarah Atul Nisha ke liye unpredictable tha…Nisha kabhi Atul ko acche se samajh hi nahi paa rahi thi.

Nisha:- Kya hua? Tumhara mood thik nahi lag raha hai?

Atul:- Ha thoda tension hai.

Atul Nisha se aankh to milaa raha tha par uske chehre me abhi bhi tension ke bhaaw tha.

Nisha:- Ghar me fir kuch hua?

Atul:- Nahi…Study related tension hai?

Nisha:- Study related tension? Padhne me to tum bahut acche ho, talent bhi ho, full scholarship bhi mila hai aur class bhi regularly attend karte ho? To fir kaisa tension?

Atul:- Aage ki syllabus dekh kar…Abhi starting hi itna mushkil hai…Seniors se suna tha ki aage Immunology, Central Nervous System aur bahut blocks aise aayenge jo bahut mushkil hoga…Fir clinical practice and Internship…Kahi paagal hi na ho jaau padhte padhte.

Socha tha MBBS me enter karna mushkil hai lekin yaha to padhna hi mushkil hai.

Atul ne apna tension ki vajah bataya…Atul ki baat sun kar Nisha ko thoda hansi aa gaya.

Nisha:- Tum to aise mat kaho…Jab tum itna padhte h fir bhi tumhe mushkil lag raha hai to ham to fail hi ho jaayenge.

Atul:- Nahi…Pass hona jyada mushkil nahi hai…Regular padhte rahe to aaram se pass ho jaayenge…Pass hone ka matlab hai sirf doctor ho jaane ki certificate milna…Lekin ek acche doctor hone ke liye sabhi topic me accha knowledge chaahiye.

Pass hone ke liye bhi regularly padhna padega…Matlab kabhi bhi study se jyada break le kar masti nahi kar sakte…Sirf padhte raho aur padhte hi raho.

Kya boring life ho gaya hai…Ghar se college aur college se ghar aur bich me sirf padhaai…Ghar me bhi Maa ke alawa sabhi naraaj hai mera iss decision se…Ek Didi thi jo hamesha support karti thi…Lekin shaadi hone ke baad wo bhi chali gayi.

Aura bb future ke baare me sochta hu to 30 saal lag jaayenge MD complete karne tak…Fir uske baad shaadi, family pressure aur waha bhi life ghar aur hospital tak hi reh jaayega.

Bahut boring life ho gaya hai…Abhi se ye haal hai pata nahi baad me kya hoga.

Atul ne iss baar bahut udaas ho kar kaha…Yahi soch tha uska jis vajah se wo tension me tha.

Atul ki iss baat par Nisha ko aur bhi hansi aa gaya.

Nisha:- Sabhi ke aise hi haal hai…Fikar mat karo…Dhire dhire isme bhi maja aane lagega…Tumne kaha tha ki MBBS tum apne interest se padh rahe ho…Dekhna jab settle ho jaaoge acche se to tumhe bhi maja aane lagega padhaai me…Baaki ham dost to hai hi bich me party, masti aur boring class ke vakt bunking maarne ke liye.

Maje ki bahut se pal aayenge aur saath me jaruri bhi hai ki regularly padhna bhi padega…Dekhna ye 5 saal kaise beetega pata hi nahi chalega.

Nisha ki baat se Atul bhi thoda sehmat ho gaya.

Nisha:- Agar MBBS nahi padhoge aur doctor nahi banoge to bhi mushibat piccha nahi chhodega…Life is all about struggle….Aur iske bina jindagi ka maja bhi nahi hai…Sabhi ka life aisa hi hai…Sabhi ko mushibat ka saamna karna padta hai aur karte bhi hai…Fir bhi apni life se khus hai.

Ha doctor banenge to life me kuch extra stress bhi sehna padega…Raat ke 2 baje phone aayega…Hospital ki taraf daudna padega, Kabhi kabhi kuch extra cases dekhna padega…Aur jab ham apni taraf se puri koshish karte hai fir bhi patient ki death ho jaata hai tab patient party ki taraf se kuch baatein sunna padta hai galti ke bina…Ghar aur duty dono ko ek saath sambhaalna bahut mushkil ho jaata hai.

Lekin acchi baatein bhi to dekho…Agar tum sirf paisa kamaana chaahte ho to accha salary milega, aur sach me apni patients ki sewa karna chaahte ho to alag hi sukoon milega…Patients ki jaan bachaane ka aur apna duty pura karne ka.

Mehnat aur kaam jyada hai aur samaaj me ijjat, paisa aur farz nibhaane ka sukoon bhi hai…Jab bhi koi insaan beemar hota hai to bhagwaan ke roop me hame dekhte hai…Bhale hi ham bhagwaan nahi hai lekin bahut jaan bacha sakte hai aur hamare haath me raha to naye jindagi de sakte hai… It is one of the most respectful profession.

Hame khush hona chaahiye ki hame aisa mauka mil raha hai…Bahut log chaah kar bhi nahi padh paate hai…Kisi ke paas paise ki kami hota hai to kisi ke paas talent ki.

Nisha itna keh kar Atul ko dekhti hai…Atul uski baatein sun kar muskura raha tha.

Kya hua? Nisha ne ishaara me pucha.

Atul:- Bahut samajhdaar ho gayi ho.

Atul ne muskura kar kaha par uski baato me sacchaai tha…Nisha kuch kehti usse pehle Atul ne kaha.

Atul:- Mera sangat me.

Atul ki iss baat par Nisha ne jhutha gussa dikhaa kar dhire se Atul par mukko ki barsaat karne lagi.

Nisha:- Kya kaha?

Atul:- Kuch nahi.

Atul ne hanste hue jawaab diya.

Atul:- Ye baatein to mera bhi dimaag me aata hai lekin tension ki vakt khud hi bhul jaata hu…Tumhaari har baat me sacchai hai.

Atul ne Nisha ki taarif karte hue kaha.

Fir dono ke bich kuch pal ke liye khaamoshi chha gaya…Kisi ko bolne ke liye kuch mil hi nahi raha tha.

Iss khaamoshi ko tod kar Nisha hi boli.

Nisha:- Waise ek idea hai mere paas tumhaara abhi ka padhaai ka stress karne ka?

Atul:- Kya?

Atul ne utsukta ke saath kaha.

Nisha:- Koi girlfriend bana lo?

Nisha ki iss baat se Atul ki chehre me fir se hairaani chha gaya.

Atul:- Kya?

Nisha:- Abb ye mat kehna ki tum behre ho?

Nisha iss vakt pure majaak ke mood me thi.

Atul:- Wo to nahi hu…Lekin ye kaisa idea hai girlfriend banau…Bataya tha na tumhe mai iss chakkar se dur hi rehta hu.

Nisha:- Maine to bas idea diya…Abb maanna ya na maanna ye tumhaara faisla hai.

Atul:-Ha wo to nahi maanunga…Iss chakkar se dur hu issi me mera bhalaayi hai…Accha ye bataao…Girlfriend banana se kaise padhaai ka stress kam hoga?

Nisha:- Tum hi kehte ho padhaai ki bahut stress hai…Aise vakt me agar tum kisi ko apne dil me chal rahi baat kisi ko bataaoge to tum ghutan bhi mehsus nahi karoge aur emotional support bhi milega…Aur wo tumhaara mood hamesha khush bhi rakhegi.

Atul:- Idea bura to nahi hai…Fir bhi mai single hi thik hu.

Nisha:- Koi vajah?

Atul:- Pehle hi bata chuka hu.

Nisha:- Oh..Bhul gayi thi.

Fir Nisha apne man me kehti hai.

Nisha:- (In her mind) Buddhu hai ye ladka…Dekhti hu kab tak aise hi pyar se bhaagta rahega?

Atul:- Nisha…EK baat puchhu.

Nisha:- Ha.

Atul:- Tumhaara koi boyfriend hai ?

Atul ka iss sawal se Nisha chaunk gayi…Usse Atul ka iss sawal ka matlab samajh me nahi aaya.

Nisha:- Nahi…Lekin kyu puch rahe ho?

Atul:- To bana lo…Tumhaara mood bhi hamesha thik hi rahega.

Atul ye pucchte vakt khud soch raha tha ki wo ye kaisi baatein kar raha hai ?

Nisha:- Nahi…Koi jarurat nahi hai…Waise bhi mai apni life me khush hu aur koi tension bhi nahi hai.

Atul:- To kya apne life me khush hone wale insaan pyar nahi karte hai?

Nisha:- Karte hai…Par mera case alag hai…Koi aisa ladka mila hi nahi jisse mujhe pyar ho sake.

Atul:- Kaisa ladka chaahiye?

Atul abb sach me paagal ho raha tha ye soch kar ki wo ye kaisa bina matlab ke sawaal puch raha hai…Flow flow me bina matlab ki sawaal pucche jaa raha tha.

Atul ki baat sunne ke baad Nisha ne apni aankhein band kar liya aur sochne lagi.

Nisha:- Koi aisa ladka…Jo mujhe respect kare, mera feelings ka respect kare, dil ka accha ho aur mujhe sacche dil se pyar kare, mere saath vakt bitaaye, pyari pyari baatein kare, jindagi ke har haal aur har vakt me saath nibhaaye, kabhi akela na chhode, aur kabhi dominant hone ki koshish na kare aur aakhir me mujhe bahut pyar kare.

Itna keh kar Nisha ne apni aankhein khol liya…Sharam se gaal thoda laal bhi ho gaya…Atul ko dekh kar wo kuch bolne hi wali thi ki Atul ne achanak se keh diya.

Atul:- Matlab mera ek bhi character matching nahi hai.

Atul ne ye keh to diya par kehne ke baad khud par hi gussa ho gaya…Pata nahi kya kya bole jaa raha tha wo.

Nisha:- Kya?

Hairaani me Nisha ne pucha.

Atul:- Kuch nahi…Bas keh raha tha ki tumhaara dream boyfriend mujhse bahut alag hoga…Mera to ek character match nahi ho raha hai.

Atul ne baat sambhaalne ke liye kaha.

Nisha:- Ek bhi character match nahi ho raha hai? Matlab tum ladki ki respect nahi karte?

Nisha ki iss sawaal se Atul aur bhi soch me pad gaya…Pata nahi wo kya kya bol raha tha aur abb aake Nisha ki sawaal me fass gaya.

Atul:- Nahi nahi…Karta hu…Sabhi ka respect karta hu…Pata nahi kya bol diya bina baat samjhe.

Ha ye time dene ka matlab sab kaam dhandha chhod kar acchi aur pyaari baatein hi karna, har haal me saath nibhaana ye to impossible hai…Kabhi koi majburi hoga aur busy ho jaaunga to aise me bhi pyar nibhaata rahunga kya? Pyar hi sab kuch nahi hota madam responsibility bhi koi cheej hoti hai.

Atul ne ye to keh diya par kya kaha usse khud hi kuch samajh me nahi aaya…Usse to bas Nisha ki sawaalo se bachna tha aur bachne ke liye bakwaas aur boring baatein keh diya.

Aur hua bhi aisa hi ye baat Nisha ki samajh me bilkul bhi nahi aaya…Wo kuch samajhti aur pucchti usse pehle hi niche se Nisha ki Maa ki aawaj aaya.

Nisha:- Accha to abb mai chalti hu…Acche se padhna aur stress bilkul mat lena.

Aur ha gf bana lena. (Smiling :D)

Itna keh kar Nisha chali gayi…Aur chhat me akela reh gaya Atul.

Iss vakt duniya bhar ka saara gussa Atul ke chehre me tha wo bhi khud ke liye…Apni aisi bakwaas par usse khud par bahut gussa aa raha tha.
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
UPDATE 25


FLASHBACK




Nisha:- Nahi nahi…Ye mai kya soch rahi hu…Atul mera dost hai…Bahut accha dost hai…Aur thoda unique bhi…Issi liye uske baare me kuch baatein yaad aa jaata hai…Iska matlab pyar to nahi hai…Mai bhi paagal ho gayi hu…Pata nahi kya kya soch rahi hu.

Itna keh kar wo thoda muskuraayi jaise usne sach me usse koi nadaani kar diya hai...Jo seriousness uske chehre me aaya tha wo achanak hi gaayab ho gaya.

In Class


Class me pahunch kar Nisha Atul ke paas baith gayi…Ek najar usne Atul ko dekha…Atul ka hansta muskuraata hua chehra dekh kar usse yakin ho gaya ki Ajay ne majaak hi kiya tha.

Tabhi waha Kajal aa gayi.

Kajal:- Nisha!! K
ya tum picche mere seat me baith sakti ho? Iss lecture me mai yaha aage baithna chaahti hu.

Nisha:- Kyu?

Kajal:- Wo Anatomy ki class me mai bahut picche reh gayi hu…Rahul sir ki last class me acche se dhyaan bhi nahi de paayi…Agar aaj bhi dhyan nahi de paayi to aur picche reh jaaungi…Aaj kisi tarah sab cover karna hai please aaj picche chali jaa.

Nisha ka picche jaane ka man bilkul nahi tha…Abb usse bhi front me baithna accha lag raha tha.

Nisha:- Lekin Rahul sir ka class to sabse last me hai? Abhi bahut time hai?

Kajal:- Lekin abb koi break bhi nahi hai…Agar abhi seat exchange nahi kiya to bahut mushkil ho jaayega…Rahul sir seat bhi change karne nahi denge…Bahut strict hai…Picchli baar Ajay ko bhi bahut sunaya tha unhone…Please yaar jaa na…Kahi sir aa gaye to ye mauka bhi nahi milega.

Kajal ne ek hi saans me saari baat keh diya.

Abb Nisha ke paas bhi kehne ke liye kuch bacha nahi tha…Jaane ka man bhi nahi tha aur mana bhi nahi kar sakti thi…Wo bina kuch bole utth kar chali gayi par chehre me udaasi ko dikhne nahi diya.

Nisha piche Anjali ki paas baith gayi…Aur bag se book nikaal kar dekhne lagi…Usne Anjali se bhi koi baat nahi kiya.

Thodi der me class start ho gaya.

Class start hone ke baad Nisha padhaai me dhyan dene lagi…Kabhi kabhi uska dhyan aage Atul aur Kajal par bhi chala jaata.

Jyadatar dono ka dhyan padhaai me hi tha lekin kabhi kabhi teacher ki najro se bach kar dono hansi majaak bhi kar rahe the.

Ek lecture khatam hua aur dusra suru...Yaha bhi dono ka haal aisa hi tha…Padhaai ke vakt dono acche se padhaai bhi kar rahe the aur teacher se bach kar masti bhi.

Abb dhire dhire Nisha ko gussa aane laga.

Nisha:- (In her mind) Ye Atul bhi ajeeb hai…Jab mai uske paas baith ti hu to kehta hai ki masti majaak free time me…Lecture ke vakt sirf padhaai…Lekin abhi dekho kaise iss Kajal ke saath hans hans kar baatein kar raha hai…Aur ye Kajal…Sidhe bol deti ki mujhe Atul ke saath baithna hai tum picche chali jaao…Chali jaati…Lekin isse padhaai ka bahana chaahiye.

Nisha ye soch kar aur bhi gussa ho rahi thi…Ya indirectly jealous feel kar rahi thi aur iska ehsas abhi bhi ussse hua nahi tha…Iss lecture Nisha ke liye bekaar ho gaya…Atul aur Kajal ki chakkar me wo concentrate hi nahi kar paayi.

Fir aaya class Rahul sir ka.

Class me sir ki entry hone ke baad pin drop silence chaa gaya…Picchle lecture ke baad sabhi Rahul sir ko ek strict teacher ke roop me jaane lage.

Dr. Rahul:- So students kaise hai aap sab?

Aate hi sabhi ko dekh kar Rahul sir ne pucha.

Kuch hi students ne bola "Fine sir".

Dr. Rahul:- Are itna silence kyu hai? Daro mat koi bhut nahi hu…Aap sabhi ka teacher hi hu.

Rahul sir ne muskura kar kaha.

Dr. Rahul:- So students…Aaj ham forearm padhenge…Lekin usse pehle last lecture ki kuch question aap sabhi se puchunga…Ummeed hai aap sabhi padh kar aaye honge.

Rahul sir ne muskura kar hi kaha lekin unki iss baat se sabhi students ke chehre me dar chaa gaya…Sabse jyada Kajal ke chehre me.

Dr. Rahul:- Accha to fir koi bataao…Cubital fossa ka boundary kya hai? Muscles ka naam bataao.

Unhone pucha to sabhi students se tha lekin kisi ne apna munh nahi khola…Sabhi ko khaamosh dekh Rahul sir ne sabhi students ko dekha…Fir Atul par najar padte hi unhone pucha.

Dr. Rahul:- Atul tumhi bata do? [Last lecture me sir ko Atul aur Ajay ka naam pata chal gaya tha.]

Atul:- (Khada ho kar) Sir medially it is Pronator teres and laterally it is Brachioradialis.

Dr. Rahul:- Very good…Sit down.

Unka muskaan iss baar thoda aur badh gaya…Fir unka najar Kajal par pada…Fir unhone Kajal se sawaal kiya.

Dr. Rahul:- So tell me its content?

Kajal ko jo dar tha wohi hua…Usne iss topic me kuch padha hi nahi tha.

Dr. Rahul:- Maine practical me bhi padhaya tha?

Lekin Kajal khaamosh hi khadi rahi…Kajal ko aisi haalat me dekh pata nahi kyu Nisha ko bahut accha lag raha tha…Last lecture ka saara frustration nikal gaya tha.

Dr. Rahul:- Koi aur bata sakta hai iss question ka answer?

Rahul sir ne itna kaha hi tha ki Nisha achanak khadi ho gayi aur kehna suru kiya.

Nisha:- Sir…From medial to lateral it is Median nerve, Brachial artery, Tendons of Biceps brachii and Radial nerve.

Dr. Rahul:- Excellent…Sit down.

Fir Kajal ki taraf dekh kar.

Dr. Rahul:- Aap bhi baith jaaiye.

Kajal baith jaati hai lekin usse bahut bura lag raha tha…Wo soch rahi thi ki puri class me uski beijjati ho gaya.

Dr. Rahul:- So students…Picchli baar bhi kaha tha aur aaj bhi keh raha hu…Ummeed hai aage kehna na pade…Mere class me discipline, punctuality to compulsory hai…Lekin iske alawa aap sab ko hamesha padh kar aana hoga.

Itna aasan sawaal ka jawaab nahi de paa rahe hai…Exam me to ye important question hai lekin saath me aap sab baad me jab doctor banenge tab ye aur bhi important hoga…Jab aap ko pata hi nahi ki artery, vein aur nerve kaha hota hai to kaise patient ka treatment karenge?

So be serious in your study from now…Aap log soch rahe honge ki baad me padh kar bhi cover kar lenge to ye impossible hai…2 saal hi hai aapko basic knowledge padhne ke liye Fir 2 saal clinical science and 1 saal internship…Aur kitna syllabus padhna padega ye to aap ko pata hi hai…Iss tarah padh kar kaam nahi chalega…Bahut mehnat chaahiye.

Ummeed hai aage se aisi mistake repeat nahi hoga…Jaanta hu kuch jyada hi strict ho raha hu…Aap sabhi adult aur mature ho chuke hai…Iss tarah baatein karna mujhe bhi accha nahi lagta…Lekin kya karu profession hi aisa hai…Patient ki life aur acche medical system ka sawaal hai…Agar aap sab nahi padhenge to aap ka career to mushkil me pad jaayega aur saath hi patient ki life bhi.

So after entering into medical college be serious…Koi bhi problem ho bina dar ke mere paas aa jaana…Puri help karunga…Class ke baahar aap sabhi ka dost hi hu lekin class ke andar ek responsible teacher.

Aage se padh kar aana…At least jo lecture complete ho chukka hai wo jarur padh kar aana.

Itna keh kar Rahul sir Nisha aur Kajal ka naam puch kar aage ki lecture padhaana start karte hai.

Unki iss baat se sabhi student sehmat the…Khaas kar Atul aur Nisha…Kajal ko bhi realize ho gaya ki Sir ne jo kaha hai bilkul sahi kaha hai…Padhne ke liye abhi bahut kuch baaki hai aur time bhi jyada nahi hai…Saath me doctor ko responsible bhi hona chaahiye.

Iss lecture me Nisha ne Atul aur Kajal par bilkul bhi dhyan nahi diya…Iss baar wo sirf lecture par concentrate kar rahi thi…Rahul sir ki baato se wo bahut motivate ho gayi thi aur usse padhne me maja bhi aa raha tha…Aur saath me jeet ka khushi bhi.

Usse lag raha tha ki wo aaj Kajal se jeet gayi hai…Pata nahi anjaane me kaisa competition tha uske dil me…Jo bhi tha wo Nisha ki chaahat aur insecurity ko dhire dhire dikha raha tha.

Superb Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
UPDATE 26


Shaam me ghar pahunchne ke baad Nisha ne pehle wo chapter complete kiya jo aaj wo college me nahi padh paayi thi…Aur jab wo padhte hue bore ho gayi to hamesha ki tarah fir chhat ki taraf chali gayi.

Jaate vakt usse khayal aaya ki Atul bhi chhat me ho sakta hai…Jab wo chhat me pahunch gayi tab usne dekha ki Atul aaj bhi chhat me tha.

Lekin roj ki tarah aaj uske paas naa hi bat tha, naa hi guitar aur naa hi koi book…Wo chhat ke ek kone me khada tha aur chhat se niche dekh raha tha.

Nisha bhi uske paas apne ghar ki chhat ki uss kone ki taraf gayi…Jis taraf Atul tha.

Nisha:- Hello Mr. AK ?

Nisha ki baat sun kar Atul uski taraf aaya aur kaha.

Atul:- Hi.

Atul ki aawaj se hi lag raha tha ki wo khush nahi hai…Koi tension usse sata raha hai.

Atul ka achanak badla hua roop dekh kar Nisha bhi hairaan ho gayi…Wo sochne lagi ki kuch der pehle college me wo Kajal ke saath hans hans kar baatein kar raha tha lekin kuch hi der me pareshaan bhi ho gaya hai.

Hamesha ki tarah Atul Nisha ke liye unpredictable tha…Nisha kabhi Atul ko acche se samajh hi nahi paa rahi thi.

Nisha:- Kya hua? Tumhara mood thik nahi lag raha hai?

Atul:- Ha thoda tension hai.

Atul Nisha se aankh to milaa raha tha par uske chehre me abhi bhi tension ke bhaaw tha.

Nisha:- Ghar me fir kuch hua?

Atul:- Nahi…Study related tension hai?

Nisha:- Study related tension? Padhne me to tum bahut acche ho, talent bhi ho, full scholarship bhi mila hai aur class bhi regularly attend karte ho? To fir kaisa tension?

Atul:- Aage ki syllabus dekh kar…Abhi starting hi itna mushkil hai…Seniors se suna tha ki aage Immunology, Central Nervous System aur bahut blocks aise aayenge jo bahut mushkil hoga…Fir clinical practice and Internship…Kahi paagal hi na ho jaau padhte padhte.

Socha tha MBBS me enter karna mushkil hai lekin yaha to padhna hi mushkil hai.

Atul ne apna tension ki vajah bataya…Atul ki baat sun kar Nisha ko thoda hansi aa gaya.

Nisha:- Tum to aise mat kaho…Jab tum itna padhte h fir bhi tumhe mushkil lag raha hai to ham to fail hi ho jaayenge.

Atul:- Nahi…Pass hona jyada mushkil nahi hai…Regular padhte rahe to aaram se pass ho jaayenge…Pass hone ka matlab hai sirf doctor ho jaane ki certificate milna…Lekin ek acche doctor hone ke liye sabhi topic me accha knowledge chaahiye.

Pass hone ke liye bhi regularly padhna padega…Matlab kabhi bhi study se jyada break le kar masti nahi kar sakte…Sirf padhte raho aur padhte hi raho.

Kya boring life ho gaya hai…Ghar se college aur college se ghar aur bich me sirf padhaai…Ghar me bhi Maa ke alawa sabhi naraaj hai mera iss decision se…Ek Didi thi jo hamesha support karti thi…Lekin shaadi hone ke baad wo bhi chali gayi.

Aura bb future ke baare me sochta hu to 30 saal lag jaayenge MD complete karne tak…Fir uske baad shaadi, family pressure aur waha bhi life ghar aur hospital tak hi reh jaayega.

Bahut boring life ho gaya hai…Abhi se ye haal hai pata nahi baad me kya hoga.

Atul ne iss baar bahut udaas ho kar kaha…Yahi soch tha uska jis vajah se wo tension me tha.

Atul ki iss baat par Nisha ko aur bhi hansi aa gaya.

Nisha:- Sabhi ke aise hi haal hai…Fikar mat karo…Dhire dhire isme bhi maja aane lagega…Tumne kaha tha ki MBBS tum apne interest se padh rahe ho…Dekhna jab settle ho jaaoge acche se to tumhe bhi maja aane lagega padhaai me…Baaki ham dost to hai hi bich me party, masti aur boring class ke vakt bunking maarne ke liye.

Maje ki bahut se pal aayenge aur saath me jaruri bhi hai ki regularly padhna bhi padega…Dekhna ye 5 saal kaise beetega pata hi nahi chalega.

Nisha ki baat se Atul bhi thoda sehmat ho gaya.

Nisha:- Agar MBBS nahi padhoge aur doctor nahi banoge to bhi mushibat piccha nahi chhodega…Life is all about struggle….Aur iske bina jindagi ka maja bhi nahi hai…Sabhi ka life aisa hi hai…Sabhi ko mushibat ka saamna karna padta hai aur karte bhi hai…Fir bhi apni life se khus hai.

Ha doctor banenge to life me kuch extra stress bhi sehna padega…Raat ke 2 baje phone aayega…Hospital ki taraf daudna padega, Kabhi kabhi kuch extra cases dekhna padega…Aur jab ham apni taraf se puri koshish karte hai fir bhi patient ki death ho jaata hai tab patient party ki taraf se kuch baatein sunna padta hai galti ke bina…Ghar aur duty dono ko ek saath sambhaalna bahut mushkil ho jaata hai.

Lekin acchi baatein bhi to dekho…Agar tum sirf paisa kamaana chaahte ho to accha salary milega, aur sach me apni patients ki sewa karna chaahte ho to alag hi sukoon milega…Patients ki jaan bachaane ka aur apna duty pura karne ka.

Mehnat aur kaam jyada hai aur samaaj me ijjat, paisa aur farz nibhaane ka sukoon bhi hai…Jab bhi koi insaan beemar hota hai to bhagwaan ke roop me hame dekhte hai…Bhale hi ham bhagwaan nahi hai lekin bahut jaan bacha sakte hai aur hamare haath me raha to naye jindagi de sakte hai… It is one of the most respectful profession.

Hame khush hona chaahiye ki hame aisa mauka mil raha hai…Bahut log chaah kar bhi nahi padh paate hai…Kisi ke paas paise ki kami hota hai to kisi ke paas talent ki.

Nisha itna keh kar Atul ko dekhti hai…Atul uski baatein sun kar muskura raha tha.

Kya hua? Nisha ne ishaara me pucha.

Atul:- Bahut samajhdaar ho gayi ho.

Atul ne muskura kar kaha par uski baato me sacchaai tha…Nisha kuch kehti usse pehle Atul ne kaha.

Atul:- Mera sangat me.

Atul ki iss baat par Nisha ne jhutha gussa dikhaa kar dhire se Atul par mukko ki barsaat karne lagi.

Nisha:- Kya kaha?

Atul:- Kuch nahi.

Atul ne hanste hue jawaab diya.

Atul:- Ye baatein to mera bhi dimaag me aata hai lekin tension ki vakt khud hi bhul jaata hu…Tumhaari har baat me sacchai hai.

Atul ne Nisha ki taarif karte hue kaha.

Fir dono ke bich kuch pal ke liye khaamoshi chha gaya…Kisi ko bolne ke liye kuch mil hi nahi raha tha.

Iss khaamoshi ko tod kar Nisha hi boli.

Nisha:- Waise ek idea hai mere paas tumhaara abhi ka padhaai ka stress karne ka?

Atul:- Kya?

Atul ne utsukta ke saath kaha.

Nisha:- Koi girlfriend bana lo?

Nisha ki iss baat se Atul ki chehre me fir se hairaani chha gaya.

Atul:- Kya?

Nisha:- Abb ye mat kehna ki tum behre ho?

Nisha iss vakt pure majaak ke mood me thi.

Atul:- Wo to nahi hu…Lekin ye kaisa idea hai girlfriend banau…Bataya tha na tumhe mai iss chakkar se dur hi rehta hu.

Nisha:- Maine to bas idea diya…Abb maanna ya na maanna ye tumhaara faisla hai.

Atul:-Ha wo to nahi maanunga…Iss chakkar se dur hu issi me mera bhalaayi hai…Accha ye bataao…Girlfriend banana se kaise padhaai ka stress kam hoga?

Nisha:- Tum hi kehte ho padhaai ki bahut stress hai…Aise vakt me agar tum kisi ko apne dil me chal rahi baat kisi ko bataaoge to tum ghutan bhi mehsus nahi karoge aur emotional support bhi milega…Aur wo tumhaara mood hamesha khush bhi rakhegi.

Atul:- Idea bura to nahi hai…Fir bhi mai single hi thik hu.

Nisha:- Koi vajah?

Atul:- Pehle hi bata chuka hu.

Nisha:- Oh..Bhul gayi thi.

Fir Nisha apne man me kehti hai.

Nisha:- (In her mind) Buddhu hai ye ladka…Dekhti hu kab tak aise hi pyar se bhaagta rahega?

Atul:- Nisha…EK baat puchhu.

Nisha:- Ha.

Atul:- Tumhaara koi boyfriend hai ?

Atul ka iss sawal se Nisha chaunk gayi…Usse Atul ka iss sawal ka matlab samajh me nahi aaya.

Nisha:- Nahi…Lekin kyu puch rahe ho?

Atul:- To bana lo…Tumhaara mood bhi hamesha thik hi rahega.

Atul ye pucchte vakt khud soch raha tha ki wo ye kaisi baatein kar raha hai ?

Nisha:- Nahi…Koi jarurat nahi hai…Waise bhi mai apni life me khush hu aur koi tension bhi nahi hai.

Atul:- To kya apne life me khush hone wale insaan pyar nahi karte hai?

Nisha:- Karte hai…Par mera case alag hai…Koi aisa ladka mila hi nahi jisse mujhe pyar ho sake.

Atul:- Kaisa ladka chaahiye?

Atul abb sach me paagal ho raha tha ye soch kar ki wo ye kaisa bina matlab ke sawaal puch raha hai…Flow flow me bina matlab ki sawaal pucche jaa raha tha.

Atul ki baat sunne ke baad Nisha ne apni aankhein band kar liya aur sochne lagi.

Nisha:- Koi aisa ladka…Jo mujhe respect kare, mera feelings ka respect kare, dil ka accha ho aur mujhe sacche dil se pyar kare, mere saath vakt bitaaye, pyari pyari baatein kare, jindagi ke har haal aur har vakt me saath nibhaaye, kabhi akela na chhode, aur kabhi dominant hone ki koshish na kare aur aakhir me mujhe bahut pyar kare.

Itna keh kar Nisha ne apni aankhein khol liya…Sharam se gaal thoda laal bhi ho gaya…Atul ko dekh kar wo kuch bolne hi wali thi ki Atul ne achanak se keh diya.

Atul:- Matlab mera ek bhi character matching nahi hai.

Atul ne ye keh to diya par kehne ke baad khud par hi gussa ho gaya…Pata nahi kya kya bole jaa raha tha wo.

Nisha:- Kya?

Hairaani me Nisha ne pucha.

Atul:- Kuch nahi…Bas keh raha tha ki tumhaara dream boyfriend mujhse bahut alag hoga…Mera to ek character match nahi ho raha hai.

Atul ne baat sambhaalne ke liye kaha.

Nisha:- Ek bhi character match nahi ho raha hai? Matlab tum ladki ki respect nahi karte?

Nisha ki iss sawaal se Atul aur bhi soch me pad gaya…Pata nahi wo kya kya bol raha tha aur abb aake Nisha ki sawaal me fass gaya.

Atul:- Nahi nahi…Karta hu…Sabhi ka respect karta hu…Pata nahi kya bol diya bina baat samjhe.

Ha ye time dene ka matlab sab kaam dhandha chhod kar acchi aur pyaari baatein hi karna, har haal me saath nibhaana ye to impossible hai…Kabhi koi majburi hoga aur busy ho jaaunga to aise me bhi pyar nibhaata rahunga kya? Pyar hi sab kuch nahi hota madam responsibility bhi koi cheej hoti hai.

Atul ne ye to keh diya par kya kaha usse khud hi kuch samajh me nahi aaya…Usse to bas Nisha ki sawaalo se bachna tha aur bachne ke liye bakwaas aur boring baatein keh diya.

Aur hua bhi aisa hi ye baat Nisha ki samajh me bilkul bhi nahi aaya…Wo kuch samajhti aur pucchti usse pehle hi niche se Nisha ki Maa ki aawaj aaya.

Nisha:- Accha to abb mai chalti hu…Acche se padhna aur stress bilkul mat lena.

Aur ha gf bana lena. (Smiling :D)

Itna keh kar Nisha chali gayi…Aur chhat me akela reh gaya Atul.

Iss vakt duniya bhar ka saara gussa Atul ke chehre me tha wo bhi khud ke liye…Apni aisi bakwaas par usse khud par bahut gussa aa raha tha.
Super Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top