• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 65

"Kyu bhai? Kyu kar raha hai aisa? Apne saath aur ham sab ke saath?"

Atul ka haal dekh Nidhi bhi ro padi.

Atul:- Nahi Di...Aap mat royiye.

Atul fir Nidhi ki aansu ponchne lagta hai.

Nidhi:- Lekin apna aansu kyu nahi ponchta tu kabhi?

Atul:- Behne dijiye...Kabhi kabhi hi to behte hai...Warna aankho se to jaise aansu sukh hi gaye hai.

Atul ne muskura kar kaha lekin muskaan ke picche ka dard Nidhi se chupa nahi paaya.

Nidhi:- Himmat rakh bhai...Vakt ke saath sab thik ho jaayega...Lekin khud ko itna taklif to mat de.

Atul:- Kya aapko sach me aisa lagta hai? Vakt sab thik kar dega...Vakt bhi mujhse aise ruth gaya hai jaise kismat...5 saal ho gaye hai Di lekin jo ghaaw hai dil me wo bharne ki jagah wo aur bhi gehra hota jaa raha hai...Aur iss naa bharne wali ghaaw jindagi bhar saath nibhaayega.

Atul chhath ka dusra kona me chala gaya...Aur aasmaan ki taraf dekh muskuraane laga...Usse aisa lag raha tha jaise ye "Chaand sitaare bhi uski iss haalat aur naa kaamyaabi par has rahe hai."

"Koshish to kar?" Tu haar kaise maan sakta hai? Mera bhai aisa nahi hai...Jo sochta hai kar ke dikhaata hai...Yaad hai mere kehne par hi tune MBBS padha tha.

"10th me tha tu...Mai bhi Doctor banna chaahti thi...Papa ne saaf mana kar diya...Aur mai kuch bol bhi nahi sakti thi...Scholarship bhi nahi mila tha...Kaise Papa ko mana sakti thi itne paiso ke liye jab unhone saaf inkaar kar diya tha.

Aur bas issi vajah se tune 11th se hi MBBS ko target kar ke din raat mehnat karne laga...Aur pehli baar me hi tujhe scholarship mil gaya...Fir Papa ke khilaaf jaa kar Doctor ban gaya tu.

Jaanta hai tujh se jyada khus mai thi...Meri adhuri iccha ko tune pura kiya...Aisa laga jaise mai naa sahi lekin mera bhai to Doctor banega."

Agar meri itni chhoti khwahish ke liye itna kar sakta hai tu fir meri iss khwahish ko kyu pura nahi karega jiski bahut jarurat hai.

Meri khwahish yahi hai ki tu jindagi me khush reh...Tanhaayi aur aisi dard se baahar nikal aur khul kar jindagi to jee."

Atul:- (With smile) Di aapko mai kabhi mana kar sakta hu kya? Bacchpan se le kar aaj tak aap mere saath hai aur hamesha rahengi...Kya kuch nahi kiya hai aapne mere liye...Bachpan me ek dost ban kar mujhe sambhala...Galtiya karta tha to Maa aur Papa se bachaati thi aur ilzaam khud par leti thi...Aur jawaani me kadam rakha to har buri aadat se dur rakha...Aur aaj tak aapne har mushkil vakt me saath nibhaya yaha tak ki aaj bhi.

Aap, Maa aur mera duty...Inke alawa mera abb hai hi kaun...Aapki khwahish puri karna mai bhi chaahta hu...Aakhir kaun chaahta hai itna dard me jeena? Lekin dard aur ye yaadein jo hai wo kabhi saath hi nahi chhodti.

Lekin koshish karunga Di...Koshish karunga...Jaise bhi aage badhne ki.


Atul ki iss baat par Nidhi kuch der sochti rahi...Usse samajh me nahi aa raha tha ki kya ye baat puchna sahi hai? Himmat kar ke pucchne ka faisla kiya.

Nidhi:- Bhai tu shaadi kar le...Fir sab thik ho jaayega.

Nidhi ne keh to diya lekin ye baat Atul ke liye kisi jhatka se kam nahi tha.

Atul:- Nahi.

Fir Atul dusre kone me chala gaya...Chehra me hairaani aur gussa ka mila jula bhaaw tha.

Nishi:- Aakhir kab tak? Umar bhi ho gaya hai abb to...30 ke karib ho gaya.

Lekin Atul chup hi raha.

Nidhi:- Nisha mujhe bhi acchi lagti thi...Bilkul "Made for each other" lagte thhe...Maine bhi bahut koshish kiya tha tum dono ke liye...Lekin abb ek hi jagah par to nahi reh sakta na tu bhi...Aage badhna to padega naa.

Atul:- Nisha ek vajah hai shaadi naa karne ki...Iske alawa mai khud bhi taiyaar nahi hu...Aur agar kisi se shaadi kar bhi liya to uski jindagi barbaad ho jaayega...Ye sirf naam ki shaadi hoga aur kuch nahi...Aise me kaun karna chaahega mujhse shaadi?

Aur saath hi mai bhi jabardasti ke shaadi aur jimmedaari ke bojh me nahi jee sakta.

Nidhi:- Ek ladki hai mere najar me jo tujhse shaadi karna chaahti hai...Bas jarurat hai to tujhe iss rishte ko vakt dene ki.

Atul:- Kahi aap Preeti ke baare me to nahi bol rahi hai?

Atul ne Nidhi ko ghurte hur pucha.

Nidhi:- Nahi...Uske saath to sochna bhi mat...Mai to....

Atul bich me hi bol pada.

Atul:- Nahi Di...Mujhe iss baare me kuch baat nahi karna...Aapki khwahish jarur pura karunga...Lekin bina shaadi ke bhi khush rahuna.

Maine khud se hi vaada kiya tha, "Nisha ke alawa kisi ke baare me sochunga bhi nahi." Abb aise me khud ki najro me gir jaaunga...Mera Kasam ka koi mol nahi rahega...Khud me hi ghut ghut kar mar jaaunga.

Aap mujhe khus dekhna chaahti hai na...To force mat kijiye...Aap hi sochiye "Khud ki najro me gira hua insaan kabhi khus reh paayega?" Thoda sa vakt dijiye...Koshish karunga jeene ki lekin Shaadi ke liye force mat kijiye.

Nidhi bhi samajh gayi ki Atul uski ye baat nahi maanega...Jor jabarjasti karne ka bhi koi matlab nahi.

Wo bas Atul ko hi dekh rahi thi...Atul chup tha aur iss shaadi ki baat sun kar dukhi bhi tha.

Tabhi Nidhi ko phone aata hai.

Atul:- Kiska phone hai?

Nidhi:- Tera bhanja...Lekin tujhe to kisi se koi matlab hi nahi.

Nidhi majaak me kehti hai tab Atul ko ehsas hota hai aur khud ke sar par maarta hai...Sach me usne apne alawa kisi se acche se baat bhi nahi kiya tha.

Atul:- Sorry.

Fir Nidhi phone uthaati hai..Aur kuch der phone karne ke baad Atul ko phone deti hai.

Atul bhi kuch der apne bhanja aur Jiju se baat karta hai...Bhanja se baat karte vakt uski maasum baato me Atul ki khoyi hui hansi fir se laut aati hai.

Ye dekh Nidhi ko bhi thoda thoda samajh me aata hai ki abb usse kya karna chaahiye.

Fir Nidhi se kuch der baat karke Atul apne room me chala jaata hai.

Iss baar uska dil halka ho jaata hai Nidhi se baat kar ke...Usse iss baat ki khushi tha ki uske paas bhi koi hai jo usse har haal me saath denge.

Apne room me pahunch kar.

Atul:- Dekha na Nishu...Abb shaadi ki baatein chal rahi hai...Di ki bhi koi galti nahi...Abb to har koi ye sawaal pucchega...Aur mai kya kya jawaab dunga aur kitno ko jawaab dunga?

Shaadi karne ji soch bhi kaise sakta hu...Aakhir mera Kasam ka kya? Mera vaada ka kya? Mere sapne me tum ho...Sirf tum...Tumhaare alawa kisi aur ke saath jindagi ka soch bhi nahi sakta...Tumhara tha aur tumhaara hi rahunga...Always love you jaan.


Dusri taraf ek ghar ke chhat me do aankhein aise thhe...Jo kahi khoye hue thhe aur aansu ki kuch boond se bhing gaya tha...Dil tha ki aaj kuch jyada hi bechain ho raha tha...Kisi ki yaado me...Kisi ki yaado me!!!
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,252
189
Kasam..... hummm... to atul ne Kasam khai hai ki boh sirf nisha ka hai.. aur uske dil me dusri ladki ke liye boh jagah nahi hai, joh nisha ke liye hai...
wow..... nidhi ne man hi man me kuch to solution nikali hai.. jish se atul ki hashi, uski khusi lout aaye.... sayed chote bachhe logo se atul ka man jaldi hi khushnuma ho jata hai. isi se koi idea nikalegi nidhi.
let's see what happens next
Brilliant update champ ji.....
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Kasam..... hummm... to atul ne Kasam khai hai ki boh sirf nisha ka hai.. aur uske dil me dusri ladki ke liye boh jagah nahi hai, joh nisha ke liye hai...
wow..... nidhi ne man hi man me kuch to solution nikali hai.. jish se atul ki hashi, uski khusi lout aaye.... sayed chote bachhe logo se atul ka man jaldi hi khushnuma ho jata hai. isi se koi idea nikalegi nidhi.
let's see what happens next
Brilliant update champ ji.....
Thanks Naina ji for your support and review...Nidhi kya idea nikalegi ye dhire dhire pata chal jaayega..Aise hi saath bane rahiye.
 
  • Like
Reactions: Naina
Top