• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Mbindas

Active Member
1,938
4,123
158
Friends ek good news hai...Aap sabhi ke liye bhi aur mere liye bhi...Ye exam pass ho gaya...Abb final exam 1 month baad hai...1 month tak update regular aayega.

Agar fail ho jaata to 2 weeks baad retake exam dena dena padta...Aur update bhi regular nahi de paata.

1 months tak regular update aayega...Next update aaj raat me.

:congrats: bhai pass hone ke liye
&
Thanks roz update dene ke liye
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Mbindas

Active Member
1,938
4,123
158
UPDATE 10


Shaam me ghar pahunchne ke baad Atul ne wohi puraana routine follow kiya...Class me padhaai hua topic ko revise kiya aur fir aage padhaai hone wala topic ko bhi padhne laga.

Issi tarah padhte hue kab 2 ghanta beet gaya Atul ko pata hi nahi chala...Lagatar padhne se abb wo thoda thak gaya.

Fir wo apna guitar lekar chhat me jaata hai.

Chhat ke railing me baith kar wo dheemi aawaj me ek gaana gaate hue guitar bajaane lagta hai.

Wo iss vakt saare duniya se be khabar aur saari tension se dur ho kar iss pal ko hi jee raha tha...Aisa karne se usse ek alag sa sukoon milta hai.

Padhai ka tension aur frustration, Nisha ka usse berukhi se baat karna ye saari baato se usse bahut sukoon mil raha tha...Na past ka tension aur guilt, Aur na future ka dar...Wo bas iss pal ko hi enjoy ho raha tha.

Lekin uska ye enjoyment jyada der tak tik nahi saka...Pados yani Nisha ki ghar se aa rahe aawaj se abb uska gaana se concentration toot gaya.

Wo chhat ke dusre kone mw jaha se Nisha ki ghar ki ground floor saaf dekha jaa sakta tha waha chala gaya.

Waha usne dekha ki Nisha ki Maa aur Papa ek dusre se baat kar rahe hai aur bahut pareshaan dikh rahe thhe.

N. Mom:- Abhi tak nahi aayi meri bacchi college se...Pata nahi kaha reh gayi.

Bahut pareshaan ho kar kaha Nisha ki Maa ne.

N. Dad:- Tumne phone kiya.

N. Mom:- Ha...Lekin mobile ghar me hi chhod kar gayi hai.

N. Dad:- Mai college me phone karke dekhta hu.

Itna keh kar Nisha ki Papa thoda hadbada kar mobile se phone nikaalte hai aur college me phone lagaate hai.

Jab wo baat karke phone cut karte hai tab

N. Mom:- Kuch pata chala? Kaha hai wo aur kab tak aayegi.

Ek hi saans me Nisha ki Maa ne sab kuch puch diya...Har badhte vakt ke saath Nisha ki Maa ki pareshaani badhta jaa raha tha.

N. Dad:- Kuch pata nahi chal raha hai...College wale kehte hai ki chhuti hone ke baad aaj sabhi student ghar chale gaye hai.

Udaas si aawaj me Nisha ki Papa ne kaha.

N. Mom:- Please aap jaldi dhund kar laaiye Nisha ko...Mujhe abb bahut fikar ho raha hai.

Abb Nisha ki Maa ki aankho me aansu aa jaata hai.

N. Dad:- Ha kuch karta hu.

Itna keh kar Nisha ki Papa ghar ke andar teji se chale jaate hai.

Dusri taraf Atul ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai.

Nisha ka abhi tak ghar na pahunchne se Atul bhi hairaan ho gaya tha.

Uske man me bahut se khayal aa raha tha.

Atul:- (In his mind) Ye Nisha bhi bahut ajeeb hai...Bol rahi thi khud ghar aa jaayegi lekin abhi tak nahi aayi...Kaha reh gayi aur itna late kyu ho gayi.

College me rukne ki bhi koi vajah nahi hai...Kahi uska koi accident...

Itna sochte hi Atul sidhe chhat se niche utar gaya...Aur ghar se apna bike nikaal kar college ki taraf chala gaya.

Usne jyada to socha nahi tha ki kaise Nisha ko dhundna hai ya fir kya karna hai lekin wo bas iss ummeed me aage badhta raha ki Nisha jald hi usse mil jaaye.

Ghar se college jaane me usse 30 minute lagta tha lekin iss baar wo itna tej chala raha tha ki wo 20 minute me hi pahunch gaya.

Wo sidha parking ki taraf chala gaya aur bike rokte hi usse ek ladki dikha jo haath se apna chehra dhak kar ek kone me baithi thi.

Lekin dress dekh kar Atul ne pehchaan liya ki wo Nisha hi hai.

Nisha ko pehchaane ke baad Atul ne ek pal ka bhi deri nahi kiya...Nisha ko sahi salaamat dekh usne raahat ka saans liya ki uski koi accident nahi hua hai.

Wo sidha Nisha ke paas pahunch gaya.

Atul:- Kya hua...Aise haath se chehra kyu dhak rahi ho?

Atul ki aawaj se Nisha bhi samajh gayi ki aane wala shakhs Atul hai.

Nisha kuch kadam piche jaa kar apne chehre se haath hataati hai aur kehti hai.

Nisha:- Pehle bike ka light off karo...Aankh me pad raha hai.

Nisha ki baat sunte hi Atul waapas bike ke paas jaa kar light off karke aata hai.

Nisha:- Kyu aaye ho yaha?

Atul ke aane ke baad Nisha ne ek raahat ka saans liya lekin puchne ka andaaz pehle jaisa hi tha.

Atul:- Tumhe dhundne.

Nisha:- Lekin kyu?

Atul:- Paagal ho kya...Yaha kya kar rahi ho...Jaanti ho tumhaare ghar wale kitna pareshaan hai tumhaare ghar na pahunchne ki vajah se.

Mujhe laga shaayad tum yahi milogi ya fir...

Atul accident ki baat kehne se pehle hi chup ho gaya...Usne jo kuch bhi bola tha bahut gusse me bola tha...Nisha ne bhi Atul ko itna gussa pehli baar dekha tha issi liye usse abb Atul se thoda dar bhi lag raha tha.

Nisha:- Wo kya hua ki...

Atul:- Nahi chaahiye tumhaara koi safaayi...Pehle se hi mera dimaag bahut kharaab hai...Abb jaldi se bike me baitho...Ghar pahuncha deta hu.

Itna keh kar Atul Nisha ko dekhne laga...Lekin Nisha Atul ko hi dekh rahi thi...Atul ko itna gussa dekh abhi usse aur dar lag raha tha.

Lekin Nisha ka iss dar ka Atul ne duara hi matlab nikaal liya...Apne side ke building ke wall me dheere se punch karke usne kaha.

Atul:- Lekin tumhe to problem hai mere saath bike me baithne ka...Ruko.

Itna keh kar Atul parking se baahar ki taraf jaane laga.

Nisha:- Kaha jaa rahe ho.

Dar se hi sahi lekin Nisha ne himmat karke pucha...Iss baar usse dar tha ki agar Atul waapas chala gaya to shaayad usko puri raat yahi rukna padega.

Atul:- Canteen

Nisha:- Kyu?

Atul:- Koi glass ya fir cup laane...Petrol apne bike se nikaal kar tumhaari scooter me rakh dunga aur tum apne hi scooty se ghar jaa sakogi.

Atul ki iss baat par Nisha ko thodi si hansi aa gayi.

Wo kuch kahe bina hi Atul ki bike par baith gayi aur fir boli.

Nisha:- Nahi iski koi jarurat nahi hai...Tumhaare saath hi bike me chali jaaungi.

Atul bhi abb apne bike ke paas aa gaya.

Atul:- Shaam me to keh rahi thi ki mera bike me baithna tumhe pasand nahi hai.

Nisha:- Lekin mujhe raat me scooty chalaane ki practice nahi hai...Dar lagta hai ki kahi accident na ho jaaye.

Nisha ne bahut hi maasumiyat se kaha ye baat.

Fir Atul Nisha ki jawaab sune bina hi bike chalaane lagta hai aur tabhi Nisha piche se kehti hai.

Nisha:- Agar bura na maano to ek baat keh sakti hu?

Atul:- Ha...Bolo

Nisha:- Mujhe bahut bhukh lag raha hai...Aur paise bhi aaj 1 time lunch ke liye hi laayi thi.

Atul bike se utar kar Nisha ko dekhta hai...Aur fir kehta hai.

Atul:- Chalo canteen.

Itna keh kar Atul aur Nisha dono canteen me aa jaate hai.

Canteen me jaane ke baad Atul apne liye ek coffee aur Nisha ke liye dinner set order karta hai.

Order aane me abhi thoda time tha.

Atul:- Aaj yahi rehne ka plan tha kya tumhaara?

Thoda gussa me Atul ne pucha.

Nisha:- Nahi...Jab bus stand gayi tab dekha bus me bahut bheed tha aur khade hone ke liye bhi jagah nahi tha...Jab 3 aur 4 bus bhi aise hi bheed se bhara hua dikha to mai yaha waapas aa gayi.

Aur ghar me phone karne ka socha to pata chala aaj mera mobile ghar me hi chhut gaya.

Aur fir yaha aa gayi ye ummeed me ki shaayad Papa mujhe dhundte hue yaha aa jaayenge.

Nisha ki baat sunne ke baad Atul ko yaad aaya ki Nisha ki Papa bhi Nisha ko dhundne ke liye yaha aane wale the.

Atul:- Ye lo mobile aur apne ghar me phone karke kaho ki tum thik ho...Bechaare bahut pareshaan the.

Aur ho sake to ye mat kehna petrol khatam hone ki aur bus ki vajah se tum yaha ho...Aur pareshaan ho jaayenge.

Keh do ki library me padh rahi thi aur late ho gaya...Abb thodi der me ghar aa rahi ho.

Nisha:- Lekin mai jhuth kyu bolu?

Atul:- Mat bolo...Lekin ghar me phone karo...Bahut pareshaan bai tumhaare parents aur Papa ko bhi bula lena tumhe waapas le jaane ke liye.

Lekin galti se bhi mujhe involve mat karna inn baato me...Hamaare ghar me bhi accha relation nahi hai...Tum late ho gayi isme mera koi galti nahi hai aur mai nahi chaahta hu ki iss case me mera naam tumhaare ya fir mere family me aaye.

Itna keh kar Atul chup ho gaya aur Nisha ka decision ka wait karne laga.

Nisha:- Shaayad tum thik keh rahe ho...Agar sach bata dungi to Maa aur Papa bahut pareshaan ho jaayenge.

Fir Nisha apne Papa ko phone karke batati hai ki usse library me padhte hue late ho gaya aur wo apne dost ke number se phone kar rahi hai...Aur wo thodi der me aa jaayegi.

Phone cut hote hi Nisha Atul se kehti hai.

Nisha:- Thanks a lot Atul...Agar tum na aate to shaayad mujhe bahut der tak yahi rukna padta...Papa college ki jagah police station jaa rahe the complaint likhwaane.

Atul iss baat ka kuch jawaab nahi deta hai aur order ka wait karne lagta hai.

Nisha:- Itna chup kyu ho tum? Abhi bhi gussa ho?

Abb Nisha ko Atul ki chuppi accha nahi lag raha tha.

Atul:- Nahi...Koshish kar raha hu chup rehne ka...Tumhe to meri baatein pasand hi nahi.

Nisha:- Sorry Atul...Pehle thoda misunderstanding tha issi liye mai tumhaare baare me galat sochti thi.

Atul:- Aur abb.

Nisha:- Aur abb tumhaare baare me khayal badal gaya...Samajh gayi ki mai galat sochti thi tumhaare baare me...Itna raat me tum mera fikar karte hue aaye mera tumse nafrat karne ke baawjud.

Agar koi aur hota to usse fark nahi padta ki mai kis haal me hu lekin tumne dosti ka farz nibhaaya aur meri help ke liye aa gaye...Tumhaara harkat aur gussa dekh kar keh sakti hu ki tum sach me mere liye pareshaan thhe...Gusse me bhi tumne apna dosti nibhaaya.

Thanks Atul.

Atul:- Dosti nahi madam insaaniyat ke liye aaya hu...Abhi bhi mai tumhe apna dost nahi maanta hu.

Aur ek baat puchna chaahta hu maine tumhaare saath aisa kya kiya hai jo tum mujhse nafrat karti thi.

Kabhi tumhaare saath kuch galat nahi kiya, naa hi badtameezi, naa hi koi nukshaan ya fir kuch aur...Bas ek tour me tumhaare saath baat jyada kya kar liya tumne mere baare me bahut accha khayal bana liya...Aur mere saath aisa behave karne lagi jaise mai koi aawara hu, mujhe koi kaam nahi hai ladki ke picche padne ke alawa...Itna cheap samajhti thi tum mujhe?

Khair ye baatein chhodo...Ye baat se koi faaidaa bhi nahi hoga...Mujhe laga ki tumhe madad ki jarurat hoga sirf issi liye aa gaya...Isse jyada kuch nahi.

Warna pehle hi soch liya tha tumse jitna dur rahu utna hi behtar hai.

Atul ki ek ek shabd me Nisha ke liye gussa tha...Itne din ka gussa abb baahar nikal gaya tha...Aur Nisha ko bhi abb bahut bura lag raha tha Atul ki baat sunne ke baad.

Wo nahi jaanti thi ki uska ek chhota sa misunderstanding Atul ko itna bura lag sakta hai.

Usne apne galti maante hue dheere se kaha.

Nisha:- Sorry Atul...Mujhe sach me pata nahi tha tumhaare baare me aur ye mera galti hai ki itna jaldi tumhaare baare me decision le liya.

Iss baar Nisha ne dil se maafi maanga lekin Atul ne koi jawaab nahi diya.

Fir kuch der me order bhi aa gaya...Dono chup chaap khaate rahe aur iss beech bhi dono me se kisi ne bhi koi baat nahi kiya.

Dinner karne ke baad Atul Nisha ke saath bike me ghar ki taraf chal deta hai.

Raaste bhar bhi dono chup rahe...Atul Nisha se baat karna nahi chaahta tha to Nisha bhi Atul fir kahi gussa na ho jaaye iss dar se chup hi rahi.

Jab dono ka ghar paas me aaya tab ek gali me Atul ne bike rok kar kaha.

Atul:- Abb yaha se khud chali jaao...Mai nahi chaahta koi mujhe tumhe ghar drop karta hua dekhe...Mujhe jo kuch bhi karna chaahiye tha maine kar diya hai.

Nisha bhi bike se utar gayi aur.

Nisha:- Thanks Atul.

Iss baar muskura kar Nisha ne kaha.

Atul:- Kya?

Nisha:- Thanks Atul for your help.

Iss baar Nisha ne thoda aur muskura kar kaha aur apne ghar chali gayi.

Fir Atul bhi bike aage badha deta hai apne ghar ki aur...Nisha ka muskura kar thanks bolne se uske chehre me bhi apne aap muskaan aa gaya.
Lajawab update bhai

:yourock:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Mbindas

Active Member
1,938
4,123
158
Bhai waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Top