• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,615
80,410
189
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,615
80,410
189
ju to serious ho gye lgta h
kher aapki itni lambi - chodi bate sunke lgta h apne jd bhai smjh hi gye honge
ya phir kisi diwar se apna sar pit rhe honge:ecs:
Mujhe bura laga tha... Aur sach me bura laga tha... Usse dusre reader ko judge nahi karna chahiye tha... Comparison par main ignore bhi maar deta lekin apne najariye se kisi ko certificate de dena ... Galat tha...

Yep main serious to tha hi ragish bhai ... Isme koi 2 rai nahi... Lekin kewal uske comment par hi, na uske baad aur na uske pahle 🤣🤣🤣
 
9,380
39,528
218
Shandar gaana ... Shayad patthar ke sanam movie ke hai... Uss waqt ek aur movie ka casste para hota tha... Ek ore tha patthar ke sanam aur dusro taraf "do badan" ... Dono ke song achhe the... Do badan ke song to ab yaad b na... Jata hun Google par search marne song .. ek refresh to banta hai
दो बदन और पत्थर के सनम दोनों मनोज कुमार की फिल्म थी । दोनों पिक्चर अच्छी थी पर मुझे दो बदन बहुत ज्यादा पसंद थी । वो एक ऐसी रोमांटिक फिल्म थी जहां नायिकाा( आशा पारेख ) अंत में मर जाती है और उसी वक्त बैक ग्राउंड से पिक्चर की सबसे बेहतरीन गीत होती है - " लो आ गई उनकी याद वो नहीं आए " ।
मुझे तो सारे गाने अभी तक याद है । वैसे भी मैं ६० और ७० के संगीत का बहुत बड़ा फैन हूं ।
हर गीत का कोई अर्थ होता था और मेलोडी के लिए तो क्या कहना !
नौशाद , एस डी बर्मन , रौशन , ख्ययाम , कल्याण जी आनंद जी , लक्ष्मी कांत प्यारेलाल , पंचम दा , सी रामचंद्र , शंकर जयकिशन जैसे बड़े बड़े संगीतकार के कम्पोजिशन में म्यूजिक तैयार होता था ।
और सिंगर भी तो गजब के थे । मोहम्मद रफी , मुकेश , किशोर कुमार , महेंद्र कपूर , तलत अजीज , मन्ना डे , हेमन्त कुमार , लता मंगेशकर , आशा भोसले जैसे सिंगर्स थे ।
इसके अलावा गीतकार भी काफी उच्च स्तरीय थे ।
अब वो सब कहां !
 

Dgadkari

New Member
56
167
33
na na bhai ju galat track pakde ho
ye hella nischal imli krne wale sbhi log ne bhanvar ke 1 - 1 update ki 1 - 1 line pdi h
wo to nibba apsyu kuch logo ko thoda bigda hua lgta h
to use sudharne ke liye apni Naina ji or 11 ster fan bhai apne nain11ster bhai ko goli dene m lge h
ki roko jra iss apsyu ko
thoda lagaam dalo iski bhavnao pr
baki aap words pr na jaye
character ke liye readers ka pyar dekhe jo dusri story pr bhi uska picha na chod rha
Samajh gya bhai...vaise ye jo aapki 6 fav stories h inme se 5 toh mai padh chuka hu ya fir padh rha hu but ye 'gods and demons' nhi padhi h...toh kaisi h ye story aur iska theme kya h? Ise pdhu ya nhi ya fir koi aur story suggest kro fantacy me se....
 

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,113
143
Update:-100







Kabhi-kabhi hum len-den ke khel ki poori planning kar lete hain, jisme sabko apne-apne fayde mil jaye, lekin fayde-nuksan ke iss khel me, kahin na kahin Nischal, Nandni aur Ansh ko unki ore se baimani aur chhal kiya gaya saaf najar aa raha tha...


Nischal:- Dil par ek bojh sa lag raha hai mujhe... Un teeno ke liye to katai hi nahi, kyonki vijayi muskaan unke chehre par hai. Jis natije ke liye unhone mehnat ki, unhe wo mila... Jis natije ke liye humne mehnat ki hume mila... Isse kabhi galat nahi kaha ja sakta... Lekin tumhare liye Miya aisa mehsoos ho raha hai jiase mera dil jal raha hai... Aisa lag raha hai Jivisha galat kar gayi…


Miya:- Didi ko galat mat bolo..


Nischal:- Haan usne galti ki hai, aur ye koi chhoti galti nahi hai... Aur maine ye...


Nischal aage bol nahi paya, uske honth sil gaye the. Achnak wahan ki mehfil me Jivisha dikhne lagi. Jivisha apne poore kalpnik sharir ko uss mehfil tak pahuncha chuki thi….


Sabki aankhen badi si ho gayi. Jivisha kafi gusse me dikh rahi thi. Har koi uske gusse ko mehsus kar rahe the...


"Maine ek ke sath nahi, tumhe 4 char ke sath baantne ka dard jhela hai love. Jab ye khel shuru hua tha, tab kisi ko pata nahi tha Hurriyent par base Viggo ke bare me... Isliye galat aaklan mat karo"…

"Haan ek swarth maine sadha tha. Maine swarth ke mad me galti ki. Ek poori sajis ke tahat apna kaam karwayi. Lekin har kisi ke apne-apne karm hote hain love. Tumhe marta dekhne ki khawish rakhna aur usse anjaam tak pahunchane ke liye iss kaam ke liye raji hona, kya ye galat nahi tha"

"Kya aakhri Viggo samjh'kar ek poore samuday ko samapt karne ki khwaish rakhna galta nahi tha"

"Haan tumhara Miya ke liye afsos karna sahi hai. Kyonki wo jhoot bol rahi hai ki uska koi chahne wala hai, balki wo tumhe hi chahna shuru kar chuki hai, ek patni ki tarah. Wo yahan se jayegi to fir koi uski dobara shoorat nahi dekh payega, kyonki usne galti ki aur chupchap uska bhugtan karegi bina kisi ehsas karwaye"..

"Chalo ishvar ko kaho aakar faisla karne jisne 2 maa ka dard mujhe dikhaya aur maine ek behad hi galat faisla kiya ek poore samuday ko bachane ke liye"…

"Ek Viggo jo apni sacchi mohabbat bhula chuka tha. Maanti hun uss waqt ka kuchh bhi kiya galat nahi tha, to kya ek raat me 4 shadi karna uski galti nahi... Usne bhi to apna samuday badhane ka sahmati jatayi thi. Kyon Nischal tab ye galat nahi tha"

"Alhad si ek ladki jise bachpan se har chij karne ki azadi thi. Har khushi ko uske baba ne, uske kadmon me daal diyaa. Wo ladki aise indecent purposal par jodi banane ke liye jab haan kahi thi, tab puchho kya wo nafrat me haan kahi thi ya apne baba ki khushi ke liye haan kahi thi. Apne pita ki khushi ke liye ek poore samuday ko maarne ki sajis rachna kya galat nahi tha"…

"Tum sab jis ishvar ki pooja karte ho usse kaho aakar sahi galat ka faisla kar de"..


Nandni:- Bus re ladki itni hyper kyon hoti hai...


Jivisha:- "Kyon na hun main hyper... Saatvik Aashram wale kahte rah gaye ki har galti ki saja tay nahi ki ja sakti... Kshtriya dharm ka Nischal anusaran kar raha hai... Ek jaan lena usse doshi nahi bana sakta, fir bhi bewakoofi me ja'kar khud ke liye saja maang aaye"...

"Aaj bolte-bolte kahne wala tha, main Jivisha ki iss galti par hum dono ko saja dete huye, aaj ke baad uska chehra nahi dekhne wala... Kiya kya tha maine… puchho jaraaa...


Miya:- Didi shant ho jao...


Jivisha:- Aa Ja Miya tu mere pass... Hum teeno ki galti hai jise ishvar bhi nahi suljha sakta. Hum teeno hi suljhayenge...


Miya:- Lekin didi...


Jivisha:- Kya Miya, Viggo ki sacchi chahat ke bare me soch rahi… Bahut dhit jaan hai uski... Nahi marega wo, tu chinta mat kar...


Nandni:- Pagal ye kya kah rahi hai tujhe samjh me bhi aa raha hai... Hosh to na kho baithi... Aur wo Viggo ki sacchi chahat... Jiske kisse sun, sun'kar hum pak se gaye hain...


Juvisha:- Wo Viggo hai to main Vishes hun.. jivan srijan mera kaam hai... Dar mat Nischal ki mirtyu Jodi viyog, ya jodi ke sath dhoka karne se kabhi nahi hogi, kyonki sacchi chahat kewal ek Viggo ki nahi ho sakti. Aur, kisi ki sacchi chahat me itni bhi takat ho sakti hai ki itihas badal de Nandu... Niyati apna khel rach chuki hai aur sab mante hai ki galti hui to iss galti ki saja ab har doshi bhugtega... Fir main hun, ya Nischal, ya fir Miya...


Ansh, fusfusaya... "Batao, maza ko saja bata rahi... Kamal ki hai ye ladki"…


Nandni:- Jivishaaaaaa jhalliiiii...


Jivisha:- Jo hai wo ander daba le.. Tu uss pagal ko samjha.…. aaooooo maaaaaaa... Sabko medical assitence do…. Sabse pahle uss Dhuri kooooo...


Kisi tarah dard bardast kar, Jivishsa apne aakhri ke chand shabd kahi aur wahan se gayab ho gayi. Uske gayab hote hi Miya ne jin-jin doctors ko rahne ke liye kahi, un doctors ke alawa sabhi ko bahar kar diya gaya...


Haan labour pain bilkul bhi nahi shuru hua tha Dhuri ka, lekin uski delivary shuru ho chuki thi. Kafi swasthya baccha tha. "Anagh ko mere pass lao. Didi boli chuki hai koi bhi baccha, ek bhi pal ke liye in teeno ke pass nahi rahna chahiye.… Apni dushmani me teeno ne stri hone ke sabse bade sukh ka apman kiya hai"...


Ansh:- Bus bhi karo Miya, hum samajh gaye tumhari bhavnao ko...


Idhar Jivisha ke pass Shwetna, Serin aur Wishper planet ki kayi madayen baithi hui thi. Jivisha har kisi ki pira ko apne ander samete hui, wahan bina dard ke delivary karwa rahi thi...


Labour pain ke ek dard ko Jivisha ka sharir abhi pacha bhi nahi paya tha ki dusra labour pain takriban 6 ghante baad shuru ho gaya... Aur thik ussi ke 15 minute baad teesra labour pain bhi... Tiya aur Apurvi ki delivary lagbhag ek hi waqt par 15 minute ke antral par hui thi...


2 labour pain ki pira ek sath jhelna... Jivisha ki lagbhag stithi marne-marne jaisi ho chuki thi... Serin ke aankhon se aanshu nikal aaye.… "Shwetna naag dansh ka istamal kar'ke isse recover kyon nahi karti"…


Shwetna:- Ye naag dansh hai koi jadu ki chhadi nahi jo kisi par ghuma diya to budhe jawan ho jayenge... Kisi bahri aaghat me sharir ki hui haani ko ye turant recover karta hai Serin. Ye dard shashika ko jhelna hi hoga...


Jivisha poori tarah se behosh ho chuki thi. Shwans bilkul madhyam chal rahi thi. Meena apne pankh se baar-baar Jivisha ka chehra saaf kar rahi thi.. Wo apne jibh se uska chehra chat kar, uthane ki kosis me juti hui thi… Serin usse aur khud ko dilasa deti hui kahne lagi... "Chinta mat kar, teri maa ko kuchh nahi hua. Meena chal bhabhi ko lekar medical section me chalte hain"


Jaise hi Serin ne apni baat kahi, Jivisha ne Serin ka hath, apne mutthi me daboch liya… aur naa me sar hilane lagi... Jivisha ne khud ye jagah chuni thi... Hari ghas ke upar wo leti hui thi… Prakriti ki gode me.


Serin ka hath bhinchti hui Jivisha kisi tarh dhimi aawaj nikal payi... "Bus ho gaya, Som aur Bharg (Miya ke hone wale bacche) aane wale hain. Fir chalte hai"… Tabhi Jivisha ke kano me awaj pahunchi… "Didi tum thik to ho na"…


Jivisha telepathy karti Miya ko haan me jawab di. Fir Miya vinti karti hui kahne lagi.… "Didi mujhe mere bacche ka dard lene do. Ye mera haq hai"…


"Hmmm beta tumhara sharir itna dard nahi jhel payega. Thik hai Som ka dard tera, Bharg ka dard mera. Ab koi bahas mat kar aur mujhe aaram karne de"…


Kayi tarah ke jadi buti aur prasav ke baad sharir ko majboot karne ke liye panchhi rani khud, Wishper ke khas falon ka juice Jivisha pila rahi thi.


Dusre delivary ke lagbhag 12 ghante baad Miya aur Jivisha ko ek sath labour pain shuru hua tha. Ek ke baad ek dard ne Jivisha ko poori tarah se tod diya tha. Serin usse utha'kar viman ke medical section me le'kar aayi...


Jadi buti ki jitni liquid ho sakti thi nikali... Body test ki... Sharir ki haalat dekh'kar Serin aur Shwetna dono sadme me ja chuke the... Meena dono ke chehre ko dekhti... "Bua kya hua hai maa ko, wo thik hai na"…


Serin:- Bahut kamjor hai beta...


Meena:- Koi baat nahi main hun na yahan aap inhe majboot karne ki dawa dete rahiye...


Serin:- Hmmm ! Kosis yahi hai.... Lekin beta agle 3 din tak inhe koi distrub na kare.…


Meena:- Baba kahan hai... Unhe yahan hona chahiye tha lekin na jane wo kahan chale gaye... Kya unke liye poori duniya jaroori hai… maa nahi jaroori...


Shwetna:- Wo bhi aa hi rahe honge... Tumhare bhai ko lene gaye hai...


Meena:- Hmmm thik hai... Baba ko bolo jaldi aane..


Jivisha ko jab hosh aaya, tab uske chehre par khili si muskaan aur aankhon me aanshu the. Hathon me lage iv needle ko noch'kar nikalti hui wo khadi hui, aur 6 palne me kilkaari maar'kar rote huye bacchon ke ore chal di.


Badan me itni jaan nahi thi ki Jivisha khadi ho sake. Apne pahle hi kahadn par wo bilkul ladkhayi aur agle hi pal... "Maa tum baura gayi ho... Mai deti hun na sabhi ko utha'kar bistar me, tum aaram karo"..


Meena, Jivisha ko sambhalti hui upar bade se bed par litayi... Jivisha tek laga'kar let gayi. Meena apne panje me aitihatan bacchon ko utha'kar teen idhar aur teen udhar rakh di.


Jivisha muskurati hui apni baahn hawa me aise failayi ki poori ki poori Meena usme simat gayi... "Meri pyari beti" kahti hui Jivisha bhi apni jibh chalane lagi uske gaal aur sar poora gila ho gaya... "Maa.. main badi ho gayi... Ye chatori aadaten band karo"…


"Achha aur tu jo tension me mujhe chat rahi thi tab tu chhoti ho gayi"…


"Haan bilkul main chhoti ho gayi... Bhai ko dekho kitna mast cute hain na... Sab ke sab gol matol"…


"Hahaha... 2-3 mahine ruk ja fir tu isse bahar le jana khilane... Tu apni chhoti maa se mili"… Jivisha sabhi bacchon ko apne hath ke sparsh se sneh deti hui puchhne lagi…


"Wo behosh hain... Unhe jyada aaram ki jaroorat hai"…


"Meena, Panchhi raja ko main dudh ke liye bol rakhi thi, unhone pahuncha diya kya???"


"Haan maa pahuncha diya hai"…


"Thik hai beta bottol me bhar laa, sabko bhukh lagi hogi"…


"Kisi ko bhukh nahi lagi, abhi to maine sabko dudh pilaya tha... Ewwwww maa aur sabhi saitan hai, jitna khate hain utna hi nikalte bhi hai... Sabhi pooty bhi khub karte hain"…


"Hahaha... Haan abhi abcche hain na"...


"Maa ye kitne dino me mere sath khelne layak ho jayega"…


"1 saal baad dhun'mun dhun'mun chalne lagega... Lekin khel to tu kabhi bhi sakti hai"…


"Nahi maa abhi thodi si padesani hai... Wo main gode me le rahi thi tab"…


"Haan maine dekh liya, apne bhai ke pith par tattoo bana dee… koi baat nahi, majboot hai tera bhai... Aakhir ek Viggo jo hai… tu dil chhota na kar"…


"Maa usse dukh nahi raha hoga"..


"Achha issi wajah se sab abhi roye the"


"Haan wo pata nahi galti se nakhun lag gaya... To pahle wo roya, aur usse dekh'kar baad me sab rone lage. Lekin dekho aapke pass jate hi sabhi bilkul shant ho'kar kaise so rahe saitan"..


"Ja iske baba ko bula la. Koi dawa laga dete hain. Thik ho jayega"…


"Maa baba ko mat batana… unhone mana kiya tha mujhe"…


Jivisha thodi hairani se dekhti... "Kya mana kiya tha"…


"Jab mere bhai aaye the, tabhi maine apne gode me maanga tha. Tab baba ne kaha tha... Abhi bahut chhote hain, thode bade ho jaye fir lena gode me. Warna kahin nakhun lag gaya to ghayal ho jayega... Aur maine baba ki baat nahi maani"…


"Tu bula ke laa apne baba ko"…


Lagbhag 1 din se upar ho gaye the Jivisha ko behosh huye. Miya ab tak thik se hosh me nahi aayi thi. Bacchon ko sota dekh'kar sab log kuchh der pahle hi khane ke liye nikle the.


Jivisha ko hosh aa gaya sunte hi Nischal aur baki sabhi log daud'kar aa gaye. Jaise hi Nischal pahuncha, Jivisha usse dekh'kar muskurai… iss se pahle ki koi baat hoti, Nischal ki najar bhi uss scratch par pad gayi...


Nischal:- Meena tumhe mana kiya tha na...


Jivisha:- Khabrdar jo mere kisi bacche ko mana kiye, uske bhai bahan ke sath khelne se to… mana kyon kiye...


Nischal:- Wo abhi chhote hain Jivisha aur dekho nakhun lag gaya na... .


Jivisha:- Haan to jakar dawa lao Love… bacchon ko mana mat karo… aur khaskar meri betiyon ko....


Nandni, hansti hui… "jaeye love dava le'kar Aaeye"… aur fir Jivisha ke sar ko apne gode me rakhti aankhon se hi sawal karne lagi…


Jivisha samjh gayi ki wo Miya ke bare me liye gaye faisle ko samjhne ki kosis kar rahi hai... Jivisha muskurati hui kahne lagi.… "Sab nahib ka khel hai Nandu. Miya bahut pyari hai. Humara bich na aaye isliye jhuthi kahani tak bana dee"….
superbb update nain bhai
to baccho ki delivery ho gyi
or sara labour pain mila bechari jivi ko
eksath lagtar
taqtwar mahila ko maranasann posithion m pahucha diya
kher taktwar thi tbhi jhel gyi baki to shayad hi koi esa kr pata
or ye miya to wakayi bhut sarif nikali bhai
batao jisse nafrat or badle ki aag liye shadi ki
ab usi ke bhale ke liye jhuti kahani tk suna di
kher lgta h apne nischal bhai ke dono hatho m laddu h
doc sahab ki bhasa m bole to " sza m bhi mza "
 

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,113
143
Mujhe bura laga tha... Aur sach me bura laga tha... Usse dusre reader ko judge nahi karna chahiye tha... Comparison par main ignore bhi maar deta lekin apne najariye se kisi ko certificate de dena ... Galat tha...

Yep main serious to tha hi ragish bhai ... Isme koi 2 rai nahi... Lekin kewal uske comment par hi, na uske baad aur na uske pahle 🤣🤣🤣
iss bura lgne m m bhi aapke sath hu
mekko bhi bura lga ki kese koi nain bhai ko action sikhne ki nashihat de sakta h
baki kuch log alg - alg stories pr jakr esa mahol banate hi h
to ju chill rhne ka
wese apuna janta h ki ju already chill hi h
inse kisi ki watt lagwalo
inki koi nhi lga sakta
bs kbhi kbhi Naina ji jarur lapet deti h
usme apne 11 ster fan bhai pura - pura sath dete h unka
 

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,113
143
Samajh gya bhai...vaise ye jo aapki 6 fav stories h inme se 5 toh mai padh chuka hu ya fir padh rha hu but ye 'gods and demons' nhi padhi h...toh kaisi h ye story aur iska theme kya h? Ise pdhu ya nhi ya fir koi aur story suggest kro fantacy me se....
piche ke kuch pages m story se related reader or writer ke beech jo bhi discussion hua usko eksaide rakho bhai
baki story kafi lazwab h attitude isk risk 2 ki trh iska apna level h bhai
agr padoge to such m enjoy kroge
ho sakta h kuch jgh boriyat mahsoos ho
kyoki jay bhai har cheez ko kafi describe krke likhte h
baki patience se padiyega
aapko mza aayega
or theam ka to esa h bhai
ki ek ldka hota h
jo reborn hota h
ya phir kah lo uski soul countless year k baad new body m aati h
behisab power k sath
bs us power ko kese wo dhire - dhire apne use m lakar apne aapko strong banata h
or jo last janm m na kar paya wo sare kaam krta h ya karna chahta h
bs uske safar ki hi kahani h
kafi rochk h
aap behichak pdo
 

Dgadkari

New Member
56
167
33
piche ke kuch pages m story se related reader or writer ke beech jo bhi discussion hua usko eksaide rakho bhai
baki story kafi lazwab h attitude isk risk 2 ki trh iska apna level h bhai
agr padoge to such m enjoy kroge
ho sakta h kuch jgh boriyat mahsoos ho
kyoki jay bhai har cheez ko kafi describe krke likhte h
baki patience se padiyega
aapko mza aayega
or theam ka to esa h bhai
ki ek ldka hota h
jo reborn hota h
ya phir kah lo uski soul countless year k baad new body m aati h
behisab power k sath
bs us power ko kese wo dhire - dhire apne use m lakar apne aapko strong banata h
or jo last janm m na kar paya wo sare kaam krta h ya karna chahta h
bs uske safar ki hi kahani h
kafi rochk h
aap behichak pdo
Thanks bhai for your suggestion ab toh jarur padhunga vo story aur aapse hi suggestion isiliye liya because aapki 6 fav me se baki 5 toh meri bhi favourite h toh socha ye bhi shayad acchi hi hog...chalo baki toh abhi padhne ke bad hi pata chalega kaisi h toh 😅
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,211
42,569
174
Samajh gya bhai...vaise ye jo aapki 6 fav stories h inme se 5 toh mai padh chuka hu ya fir padh rha hu but ye 'gods and demons' nhi padhi h...toh kaisi h ye story aur iska theme kya h? Ise pdhu ya nhi ya fir koi aur story suggest kro fantacy me se....
Aap padh sakte ho Jay Bhai ki gods and demons Ya fir Immortal padh sakte ho aap Ristrcted Bhai ki dono hi jabarjast hai
 
Top