• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Humnawa

Impure

Member
311
276
63
Khushnasib hote hai wo log jo koi saalgirah, kisika janamdin ya koi zaroori tarikh bhul kar chain ki neend so jate hai... aur ek mai hoon jo itni koshishon ke bawajood aj ki tarikh ko andekha nahi kar paya...


Daftar se ane ke baad Doctor ke kahe anusar har roz ki tarah thik 10 baje so gaya hoon... kisi aur din to fir bhi is paintre se neend aa jati hai der sawer... par aaj koi lakshan nazar nahi aa rahe... April ka mahina apne akhri din gin raha hai aur mausami hawayon ne bahar tandav macha rakha hai... Badal zoron se garaj bhi rahe hai... aur baras bhi... aesa lag raha hai mano mere seene me uth rahe toofan ko kudrat ne apna liya ho...


Niyam anusar kuch hi der me electricity ne dum tod diya... maine ek gehri saans chhodi aur uth khada hua... aaj to neend ane se rahi... karakti bijli ki roshni me ghadi par nazar padi to 12 bajne me abhi 20 minute baaki the... maine mobile ka torch jalakar mombatti dhundi aur study table par baith gaya...


Hathon ne apne ap book-shelf se uski di huyi dairy utha li... Mere pichle janamdin par usne bade pyar se diya tha... kahan tha ki isme mai apni shayariyan likhun... par iske panne aj tak usi tarah khali hai jaise uske bina meri zindegi...


Pichle 10 mahinon se jab se usse bichda hoon har tarika apnaya hai use bhulane ka... bharpoor koshish ki hai zindegi me age badhne ki... kisi naye chehre par mar mitun... kisi aur ki dillagi me itni nayi yaadein bana loon ki uiski yaad bhul kar bhi na aye... par nahi ho saka aur uski kahi huyi baat sach ho gayi...


"Zindegi ke rishte ghar ka toote huye furniture to nahi... ki kabhi bhi badal diya jaye... zindegi me kuch rishtein aese judte hai... ki wo jagah bas usiki ho jati hai... aur us insaan ke chale jane se dobara koi us khalipan ko nahi bhar sakta..."


Mai kayi khubsurat chehron ki karigari me bhi uske sadharan se chehre jitni masoomiyat nahi dhund paya... kisi ke pass uske jitni baatein hai hi nahi jo meri zindegi ka har kona bhar sake... koi mera chehra dekh kar bata hi nahi paya ki mai kya soch raha hun... ya aj mera man kyun udas hai...


Aj uska janamdin hai... aur mujhe uski bohot yaad aa rahi hai... mera sara sabr ghari ki tik tik ke sath toot raha hai... galat kehte hai log ki ek hi jhoot ko baar baar kehne se wo sach ho jata hai... jabki hazaron baar khud ko ye kehne ke baad bhi ke mai uske bina khush hoon... ye baat sach nahi ho payi...


Badi himmat juta kar google drive se uski tasweer nikali... bengani suit aur halka sa makeup... mere chere par eka-ek muskaan aa gayi... maine usse dur hokar jaan liya hai ki mai usse bohot pyar karta hoon... shayad jitna wo karti hai usse bhi jyada... lekin aj is pyar ka koi mol nahi... kyun ki aj wo mere sath nahi... maine use hamesha ke liye khho diya hai... dur kar chuka hoon use mai khud se... aur dobara kabhi laut kar uske pass nahi gaya... aur aj ye halat hai ki us tak jane ka koi raasta bhi mere pass nahi bacha...


Ghari ke kaante ne kuch der baad ek pyari si awaz ke saath mujhe ittela kar diya ki 12 baj chuke hai... meri ankhein nam ho gayi... khud ko itna bebas kabhi mehsoos nahi kiya aj se pehle... maine phone ko apne labon se chhum liya... aur apne zasbaaton ke bandh ko tod unhe behne diya... mere dil se bas ek hi dua nikal rahi thi...


"Happy Birthday Nandita... Tum jahan bhi rehna... bohot bohot khush rehna..."
 
Last edited:

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Daftar se ane ke baad Doctor ke kahe anusar har roz ki tarah thik 10 baje so gaya hoon... kisi aur din to fir bhi is paintre se neend aa jati hai der sawer... par aaj koi lakshan nazar nahi aa rahe... April ka mahina apne akhri din gin raha hai aur mausami hawayon ne bahar tandav macha rakha hai... Badal zoron se garaj bhi rahe hai... aur baras bhi... aesa lag raha hai mano mere seene me uth rahe toofan ko kudrat ne apna liya ho...

very sweet description :thumbup:

reading ahead
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Impure

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
"Zindegi ke rishte ghar ka toote huye furniture to nahi... ki kabhi bhi badal diya jaye... zindegi me kuch rishtein aese judte hai... ki wo jagah bas usiki ho jati hai... aur us insaan ke chale jane se dobara koi us khalipan ko nahi bhar sakta..."

Mai kayi khubsurat chehron ki karigari me bhi uske sadharan se chehre jitni masoomiyat nahi dhund paya... kisi ke pass uske jitni baatein hai hi nahi jo meri zindegi ka har kona bhar sake... koi mera chehra dekh kar bata hi nahi paya ki mai kya soch raha hun... ya aj mera man kyun udas hai...
bahot hi umda likha hai , behad passand aya mujhe aap ki writing skill superb.... reading ahead
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Impure

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Ghari ke kaante ne kuch der baad ek pyari si awaz ke saath mujhe ittela kar diya ki 12 baj chuke hai... meri ankhein nam ho gayi... khud ko itna bebas kabhi mehsoos nahi kiya aj se pehle... maine phone ko apne labon se chhum liya... aur apne zasbaaton ke bandh ko tod unhe behne diya... mere dil se bas ek hi dua nikal rahi thi...

"Happy Birthday Nandita... Tum jahan bhi rehna... bohot bohot khush rehna..."

bahot hi behtareen tarike se aap ne iss pehle update ko likha hai... mazaa agaya ....
Ab nandita se kyun door hue, kia maajra hai sab janne ke liye kahani ko aguey badhaao
congrats for this sweet story. I am sure I will like it. yahan par kayi threads ko main ne pedhne ki koshish kiye magar yahan ziada tar log sirf conversation likh kar post karte hein jeise ek serial mei hero aur heroine baatein kar rhe hote hein, bahot boring hota hai weise script padhna! mujhe khushi hui ke at least ek kahani jissko achchi tarah se describe gaya hai iss forum mein mila padhne ko! thanks . will impatiently wait for net update.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Impure

Impure

Member
311
276
63
Very happy to see your thread /story Impure bro. :vhappy:

:reading:
Hello sir... welcome to the thread :hug: Hope you will like it... a humble request from my side... as a female member i would really appreciate proper addressing for me...

very sweet description bhai :thumbup:

reading ahead

bahot hi umda likha hai bhai, behad passand aya mujhe aap ki writing skill superb.... reading ahead

bahot hi behtareen tarike se aap ne iss pehle update ko likha hai... mazaa agaya bhai.....
Ab nandita se kyun door hue, kia maajra hai sab janne ke liye kahani ko aguey bdhaao bhai!!
congrats for this sweet story. I am sure I will like it. yahan par kayi threads ko main ne pedhne ki koshish kiye magar yahan ziada tar log sirf conversation likh kar post karte hein jeise ek serial mei hero aur heroine baatein kar rhe hote hein, bahot boring hota hai weise script padhna! mujhe khushi hui ke at least ek kahani jissko achchi tarah se describe gaya hai iss forum mein mila padhne ko! thanks bhai. will impatiently wait for net update.

Bohot khushi huyi jankar ki apko meri lekhni pasand ayi... kuch naya karne ki koshish hai meri... mai generally male prospective se kabhi kuch nahi likh pati... par asha hai is baar safal rahungi... asha hai ap sab ko pasand ayegi :love: sathe bane rahe :)
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top