• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Hotel Royal Palace (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,692
47,475
304
Update 35 (A)

ek pal main uski aankhen badi ho gayi agle hi pal uske hath se uska revolver niche gir gaya aur uski jordar chikh waha gunjne lagi, dandpatte par uske sharir ka wajan hone ki wajah se uska sharir pet se chati tak chira gaya tha aur pet se khoon beh raha tha

khuni koi aur nahi balki JAAL DARUWALA tha......

Ajit rati ki or muda

Rati palang par nishchal awastha main padi huyi thi, uski saas chalu hai ya nahi ye bhi ajit nahi bata sakta tha ajit rati ki or dekh hi raha tha ke uske kano main piche ho raha awaj aaya aur wo ek jhatke main piche muda par use der ho gayi thi

Ajit ko apne sar ki taraf kisi jabardast cheez ke aane ka bhas hua aur agle hi pal wo chiz usme sar se takrayi aur ajit ko din main tare najar aa gaye aur aankhon ke samne andhera chane laga tabhi ek ke piche ek dusra prahar uske sar par hua aur uski najar saaf ho gayi. Najar saaf hote hi apan jamin par gire huye hai aur hanif apne samne hai ye uske dhayan main aa gaya. Ajit ka sar diwal se tika hua tha

"Bewkoof, tu....." Hanif niche jhuk raha tha tab ajit ne kaha aur dayi or palta aur waisa karte huye ajit ne apna daya pair hanif ke pairo main atka kar baye pair se ek sansanit lath hanif ke ghutne par mari jisse hanif jhuk gaya aur agle hi pal uska dhad awaj karte huye jamin par gira, khud ko sambhalkar uthte huye ajit ne hanif ko dhakka dene ki koshish ki usi samay hanif ke kandhe ki jabardast dhadak ajit ko baithi aur hanif ne uski kamar ko jakad liya

jamim par golgol ghumte huye ladte huye dono khule darwaje se bahar nikle, dono hi apne hatho pairo ka pura upayog kar rahe the akhir main ajit ne apne hath se hanif ka chehra door dhakalne ki koshish ki jisse hanif ki uspar se pakad dheeli pad gayi aur ajit jaldi se usse door jakar khada ho gaya

"abe paagal aadmi baat to samajh, maine abhi abhi tera dandpatta jaal ke pet main aarpaar kiya hai, wo aath number ke suite main hanger par tange shirt ke jaise dandpatte pe jhool raha hai, usne rati ka gala daba kar marne ki koshish ki hai..." ajit bol raha tha

hanif khud ko sambhalte huye khada hua aur ajit ki or aane laga, ab ajit ne nirnay le liya tha icha na hote huye bhi usko hanif ko jakhmi karna tha par ye taalne ke liye usne ek aakhri koshish karni chahi

"murkh aadmi, jaal ne hi tere boos ka irani ka khoon kiya hai, madhuri ka bhi khuni wohi hai, usike khhon se ye sab suru hua hai, wo yaha aayi usne jaal ko dekha aur......"

par hanif ajit ka ekbhi shabd sunne ko tayar nahi tha wo apna sar niche jhuka kar ajit ki aur daudne laga aur apne sar se ajit ko takker maar di, kuch samay baad wo dono ekdusre ki pakad se mukt huye par in kuch palo main ajit ne hanif ko kai fatke mare the to hanif ne bhi ajit ko do char fatke dhare the

dono bhi ab char paanch foot ki duri bana kar ekdusre ke samne khade the, ajit ki naak se khoon beg raha tha uska hoth bhi fat gaya tha, mastak sunn aur badhir ho gaya tha wahi hanif ke aankhon ke uper se khoon nikal raha tha, chehre hi durdasha ho gayi thi par garmi kam nahi huyi thi wo fir ajit ki or sarka

"bhagwan ke liye baat sun le bhai" ajit ne vinti karte huye kaha aur shama ke bare main kuch ulta mat sochiyo tum soch rahe ho waisa kuch nahi hai, maine use kkuch nahi kiya hai hanif, ye sab daruwala i wajah se hua hai, pehle uska naam russy mistry tha, uski aur madhuri ki shadi ho chuki thi baad main usne use dhoka de diya baad main yogayog se madhuri se use hotel royal palace main dekh liya tabn usne nera se shadi kar li thi aur...."

"ajit bole ja raha tha par uska koi bhi parinam hanif par nahi ho raha tha, hanif ajit ke paas aaya aur apan let se marne wale hai aisa bhas bana kar usne ajit ko rightse mara par ajit ne uska move pakad liya tha hanif ajit ko marte uske pehle hi ajit ka punch uske muh par pad gaya tha aur us punch se hanif ka balance bigda aur wo niche gir gaya, hanif ne dobara uthne ki koshish ki to ajit ne use kandhe se pakad kar niche baitha diya

"hanif please pehle meri baat sunlo..."ajit ne kaha, "meri pant....."

"to wo panttumhari hai ye kabool karte hi??" hanif ne vijayi swar main pucha

"uski kise parwa hai ab" ajit ne kaha, achanak ajit ko apne aaju baju kai rangbirangi pehrav dikhne lage kuch samay pehle hi wo ye dekh chuka tha par tab uska pura dhayan hanif par kendrit tha par ab use uske aaspaas jama gardi dikh rahi thi, wo boring program chhod kar sab unke aaju baju jama ho gaye the

hanif dheere se khada hua aur usne waha jama gardi par se najar ghumayi fir ajit do dekha baad main kuch soch kar sidhe aath number ke suite ki or badh gaya aur uske piche piche ajit bhi suite main aaya

Ajit sidha rati ke paas gaya, rati ke hatho ne halchal ki, dheere dheere chalti saanso se rati ki chati uper njiche ho rahi thi, wo jinda thi, ajit ne bhawan ka shukriya ada kiya

jaal daruwala ki awastha bhayanak thi, uska sharir jara bhi nahi hil raha tha wo beshosh tha uski saanse dheme hi sahi par chalu thi, uske pairoke paas kafi khoon jama ho gaya tha, dandpatte se daruwala ka pet se lekar chati tak ka bhag chira gaya tha jisse uski aatdiya bahar aa gayi thi, uski saanse bhalehi suru thi par jaal darruwala kuch hi minto ka mehmaan tha ye ajit ke dhayan main aa gaya balki wo ab tak mara kaisi nahi iska ajit ko ashcharya hua

Narendrakumar lamba auite main aa chuke the, uski najro ne waha ki har baat notice karne lagi mano dimag main photo chap rahi ho, lamba thake thake lag rahe the, unka chehra utra hua tha fir bhi wo khud par control banaye khad the

Lamba ke prashnarthak najro se ajit ko dekha...

ajit ne ungli se pehle rati ki taraf fir jaal ki or ishara kiya "wo mara nahi haijinda hai abhi" ajit ne kaha, "yaha koi doctor hai kya" ajit ne chillakar waja maujood bhid se pucha, "lamba aap jald se jald police ko khabad kijiye!!"

darwaje ke paas jakar lamba ne jaldi jaldi instructions diye aur wapis suite main aaye, wo tuta hua darwaja unhone fir band kiya aur khurci par baithte huye ajit ko dekha

"aapko aur bhi kuch bolna hai, batana hai??" lamba ne pucha

"aur bhi kuch??"

"tab aapne hanif ko bataya usse jyada kuch?"

"oh...ha aapne suna tha"

"sirf maine nahi balki jis awaj main aap bol rahe the usme sari duniya ke wo baat suni thi, aap samanya awaj nahi baat nahi kar rahe the bakli chilla rahe the" lamba ne kaha

"oh...ha yaad aaya, par meri baat puri nahi huyi thi, yaha aane ke baad madhuri ne apne pati ko pehchan liya tha, unka divorce nahi hua tha balki jaal use dhoka dekar bhag aaya tha, usne use nera se bolte huye suna aur nera ke bare main aapse puchtach ki to aapne hi use bataya tha ki wo jaal ki patni haijispar aapko madhuri ka shoking reaction yaad hoga, uska react hona swabhavik tha kyuki wo khud jaal ki wife thi" ajit ne kaha

ajit ki baat sun kar lamba ne samarthan main garden hilayi

"aur uske baad uska dhayan nera aur irani par kendrit ho gayaaur usne minochar ki hosake utni info jama karni suru kar di" lamba ne kaha

"correct !! jab irani maaldar party hai ye use malum pada tab usne unse paise kaise nikale jaye iske bare main sochna chalu kar diya, uski baat sach thi aisa hum maan kar chale to jaal aur nera ki shadi gairkanuni thi usme nera pregnent thi wo jaal ke bacche ki maa banne wali thi aur apna bank balace badhane ke liye aisa suvarn avsar madhuri ko dobara milne wala nahi tha aab sare hukumm ke patte madhuri ke hatth main the...." ajit ne kaha

"tark ki drishti se aapki bate manne layak hai par ise practically prove karne ke liye aapke paas paryapt saboot hai kya??" lamba ne kaha

""ha aur sabse bada saboot to mainne diwal par tang diya hai" jaal ki or ishara karte huye ajit bola, "aur bhi bahut sare saboot mil jayenge jaise madhuri aur jaal ka marriage certificate wagaire aur khoon ke jaal kaha tha iska pata chal jaye to aur bhi saboot hath aa sakte hai. main jab hotel main aaya tha tab jaal yaha nahi tha aur antahpur main bhi wo thode samay baad aaya tha. rati bhi hosh main aane ke baad uske jo batana hai batayegi hi par lamba ab sach bolne ki bari aapki hai..." ajit ne kaha

"kya matlab ki ab meri bari hai?" lamba ne kaha

"wo to aapko bhi pata hai, agar madhuri ne irani ko mil kar apni kahani batayi aisa maan kar chale to is paristithi main unhone kya kiya hoga?? wahi ko har kisi ne is paristithi main kiya hota, iranine jald se jald apni beti ke pati ko yani jaal ko bulaya"

"ha too.."

"aapne agar minochar ka khoon nahi kiya hai tokhuni ekhi vyakti tha, Jaal daruwala aur ye baat sab saaf hai, madhuri ka unko marna mushkil hai kyuki mere hisab se madhuri jis chiz ke piche bahg rahi thi wo use mil gaya tha, madhuri apna muh band rakhe isiliye irani ko kafi paise mojne pade uske bad police ko kisi aadmi ne estate par goli chalne ka phone kiya, ab hum pure matter ko jaal ke drishtikon se dekhte hai ki ghatnaye kaisi huyi hogi, irani ne unhe kya kaam hai ye jaal ko bataya, matlab iska parinam jaal ko bhugatna padta nera se divorce lena hi padta aur sath hi wo irani ke croro ki sampatti se hath dho baithta, shayad royal palace ke general manager ke post se bhi use nikala ja sakta tha aur court aur jailki baat hi chhodo, ya to insab ko face karo ya irani ko ki khatam kar do ye do hi option jaal ke samne the, Lamba aap ambetpada ke irani ki estate par kya kar rahe the?? aapko khoon ke bare main pata nahi tha ye baat main manne ko tayar nahi hu aur aap mujhe ye baat sabit bhi nahi kar paoge, jaal ne aapko phone kiya tha??" ajit ne apni baat puri ki

"nahi" lamba ne kaha, "khud Minochar ne !"
 
Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,692
47,475
304
Update 35 (B)

"kya?? minochar ne??"

"haa"

police jeep ke siren ka awaj ajit ke kano main aa raha tha

"tab samay kya hua hoga?" ajit ne pucha

"sawa chhe"

"hmm unke estate par pahuchne main aapko kitna samay laga?? aap waha gaye the na?" ajit ne pucha

"ha, phonepar irani ne kaha tha ke bahut imporant baat hai aur wo jald se jald mujhse milna chahte hai, mujhe waha pahuchne main dus minute lage par uske pehle hi unhe goli maar di gayi thi, kuch samay kya karna hai mujhe kuch samajh hi nahi aa raha tha main bahar nikla aur bordi road se ghar ki or aa gaya" lamba ne kaha

"badhiya aur madhuri aapke ghar kyu aayi thi??"

"mujhe is bare main sach main koi idea nahi hai"

"usne phone se ya kisi aur jariye se aapse contact karne ki koshish kithi??"

lamba ne na main garden ghumayi

"nahi " lamba ne kaha, "mera number uske paas nahi ho sakta aur mere ghar se jane ke baad usne ghar par phone lagaya hoga to pata nahi par wo mujhse kyu milne aayi thi iske bare main to main bhi soch raha hu"

"ab ye baat hum madhuri se to puch sakte nahi hai iske bare main to sirf hum tark kar sakte hai, shayad jaal apne piche pada hai ye wo samajh gayi hoyi aur jaan bachane ke liye aapke ghar aayi hogi lekin jab maine use dekha tha tab wo ghabrayi nahi dikh rahi thi aur agar mera dusra tark sahi hai to wo aapse bhi paise aithne ke liye aapke ghar aayi hogi" ajit

"matlab ain inaugration ke din kuch gadbad na ho isliye main use paise dunga aisi uski asha hogi, aap ye to nahi kehna chahte" lamba ne kaha

"kareeb kareeb, iranike jaise aapke paas bhi croro rupiya hoga aisa uske laga hoga jisme koi ashcharya ki baat nahi hai" ajit ne kaha, "irani ke aapko phone par kya kaha tha bata sakte hai?"

uskiwaqt do log room ke ander aaye unme se ek ke hath main doctor ki bag thi, uski najar sab taraf ghoom rahi thi aur ab kya karna hai ye use batane ki jarurat nahi thi, doctor ne pehle rati ko check kiya aur fir jaal ki taraf muda aur nirasha se apni garden hila di aur apni bag kholi

lamba ne ekdum dheeme awaj main bolna suru kiya

"unhone mujhe unke jamai aur hotel ke bare main bahut important kuch baat batane ke liye bulaya tha jo inaugration ke pehle mera janna avashyak tha isiliye main jald se jald unse milu aisa unhone kaha " lamba ne kaha

"theek hai,unhone sava chhe baje aapko phone kiya jiske dus minute baad aap waha pahuche yahi chhe pacchis ko aur chhe baj kar atthais minute par police ko goli chalne ki khabar dene wala phone aaya, shayad jaal ne hi wo phone kiya hoga par usne thodi der kar di par uska hetu kareeb kareeb safal ho gaya tha"

"kareeb kareeb??"

"haa, aap jab irani ke ghar se nikal kar apne ghar ja rahe the tabhi police waha pahuchi thi aur police ne aapki car ambetpada se jate huye dekh li, police agar thoda jaldi aati to aapko vardaat wali jagah par pakad leti, police waha kitni der main pahuch sakti hai ye jaal ne andaja laga liya hoga us hisab se aap ghar main the tab usne police ko phone laga diya, aapke pehle agar police waha pahuch jati to jaal ka khel kharab ho jata, ekto uski samay samajh main gatli ho gayi ya uska naseeb kharab tha"

"tumhare hisab se jaal ne irani ko goli mari, yani jab irani ne mujhe phone kiya tab jaal waha maujood tha aisa to nahi kehna aapko?" lamba ne vicharmagna hote huye pucha

"bilkul main yahi kehna chahta hu isiliye aap irani ke ghar aane wale ho ye jaal janta tha"

"aur uske hisab se yogya samay par usne police ko phone kar diya" lamba ne pucha

"ha par wo apki raah dekhte irani ke ghar par nahi ruka, wo irani ko goli maar ke waha se nikal gaya aur usne kahi bahar se police ko phone kiya hoga is baat par main shart lagane ko tayar hu"

Rati ke sharir main halchal huyi...

lamba aur ajit dono bed par rati ke paas pahuche, rati ne aankhen kholi wo bhayateet najro se dono ko dekh rah thi, uska sunder chehra murjha gaya tha, ajit ne use pani ka glass diya , rati ne thartharate hatho se pani ka glass liya aur pani piya aur wo bolne ki manstithi main aayi, uski najar jaal par na pade isiliye ajit uske samne khada tha, doctor aur uske sathi ne dandpatta nikal kar jaal ko jamin par lita diya tha

"Rati jaal ne tumhara gala dabane ke pehle kya hua tha??" ajit ne pucha

"wo jab ander aaya tab usne jis program ke bare main mujhse phone par baat ki thi us bare main baat karega aisa mujhe laga" rati ne khud ko kafi sambhal liya tha, "par usne madhuri ke bare main baat karna suru kiya, jis raat wo mere sath rahi thi us raat ke bare main uske mujhse puchna suru kiya akhir main usne mujhse pucha ke kiya madhuri ne mujhe uske pati na naam bataya tha kya? jiske baad mujhe kuch yaad aa gaya"

"kya yaad aaya??" ajit ne pucha

"us samay mujhe is baat ka itna importance nahi laga tha, madhuri ne mujhe uske pati ka naam to bataya tha par mujhe yaad nahi tha aisa maine jaal ko kaha" rati boli, "par wo kaha hai??"

"jaal ke bare main mat socho wo waha pahuch gaya hai jaha use hona chahiye tha shayad use aisa darr hoga ki kisi ne tumhe wo naam pucha to tumhe yaad aa sakta hai" ajit ne kaha

"shayad par usne hi mujhe madhuri ke pati ka naam bataya tha.." rati

"acha..."

"maine madhuri ke muh se russi mistry ye naam kabhi suna hai kya aisa jaal ne mujhse pucha tab mujhe yaad aaya ki madhuri ne bhi mujhe yahi naam bataya tha, russi ki najro se bachne ke liye wo mere suite par ruki thi aisa bhi maine usse kaha aur...." rati ki aankhon main fir se darr ke bhav aa gaye, "aur achanak usne mera gala pakad liya!!" us baat ki yaad se hi rati ka awaj kampne laga tha, "par usne mujhe marne ki koshish kyu ki??"

""kyuki wo khud russi mistry tha" ajit ne kaha, "wo ek lambi kahani hai, par ab sab khatam ho gaya hai" jeb se cigarette ka packet nikalte huye ajit bola, "use pata tha ya nahi main nahi janta par wo baji haar raha tha, shanti se jine ke liye use 2-3 logo ko aur marna padta jaise ki tapan banerjee aur main aur mujhe marne ki to usne do baar koshish ki thi" ajit ne apne sar ke piche hath ghumaya jana uspar hamla hua tha aur hanif ke sath huyi jhadap main us ghav se khoon nikalne laga tha, jakhmo ke mamle main ajit khushnaseeb tha uske ghav kafi jaldi reciver hote the.

"ajit, khoon nikal raha hai.." rati ne kaha

"haa, thoda sa...."

"aur tumhari pant kaha hai??" is puri baat chit main pehli baar rati ka dhayan gaya ke ajit sirf underwear aur shirt main hai

"pant..??" ajit ne kaha

"ha aur tumhara pair.." rati ne kaha aur wo sar ke bare main nahi balki pair ki jakham ke bare main bol rahi hai ye ajit ke dhayam main aaya aur uski najar pairo ki or gayi, jaal ki chalayi huyi goli ajit ki jangh ko chu kar niakl gayi thi, jakham gambhir nahi thi par usme se kafi khoon beh chuka tha

"ajit, tumhari pant??" rati ne dobara pucha

"pant?? jane do yaar rati wo vishay mat nikalo yaar" ajit fir lamba ki or dekhte huye bola, "lamba mera itna khoon beh raha hai aur aap dekh rahe ho, bhalai ka to jamana hi nahi hai....khair, Mr. Lamba apne jis kaam keliye mujhe hire kiya tha wo ho chuka hai ab mujhe meri fees de dijiye to main yaha se niklu" ajit ne kaha

"fees?" lamba ne pucha

"ha 2000 ki paanch note"

"paanch?? bhaiya tumhe noto ka pura bag kamaya hai" lamba ne shanti se kaha

"pura bag?? Mr. lamba jaldbaji mat kijiye hamare beech sauda hua thaki mujhe ye case inaugration ke pehle solve karna hoga par ab samay nikal gaya hai ab bas mujhe meri fees dijiye aur hospital ka kharch" ajit bola

"Mr. Deshmukh mujhe sari bate pata hai aur jab aapne hanif ke samne kuhuni ka jikra kiya tab main waha tha tabhi meri najar ghadi par gayi to bara bajne main 3 seconds baki the isiliye aapne wada nibhaya hai aur waise bhi maine to aapko jyada se jyada sham tak ka waqt diya tha aur main meri baat se palat ta nahi hu aapko aapke 10 lakh mil jayenge, you deserve it!" lamba ne shanti se kaha

tabhi darwaja khula aur inspector bhave, sub inspector ingle, hawaldarshelar aur sara police station ka staff ander aaya, bhave se baat karne ke liye ajit ke paas samay nahi tha kyuki uska dhayan lamba par tha, lamba darwaje man khade hokar kisi se baat kar rahe the

"hanif, mere paas abhi samay nahi hai, mujhe tumse bahut bate karni hai hum jald hi milenge!" lamba ne kaha

Hanif!! wo ab bhi wahi tha, uska naam aate hi ajit ke chehre ke expressions bigad gaye, wo waha kya kar raha tha?

"rati, chup chap yaha se niklo!" ajit ne kaha uski najar hanif par padi, ajit ke sath huyi hatha pai main hanif ki pant bhi fat gayi thi to usne ajit ki pant pehan li, ajit ki najar apni pant pehne hanif par padi, uche bade sharir wala hanif ajit ki pant main jokar jaisa dikh raha tha, ajit hanif ke paas aaya

"hanif tum na bas sharir se bade huye ho tumhara uper ka mala khali hai" ajit ne kaha

"teri pant bahut tight hai yaar" hanif ne muh bigadte huye kaha

"abe pant sahi hai tu hi hele jaisa badh gaya hai" ajit bola

"aisa kya, aur agli baar agar maine tera bheja teri khopdi se alag nahi kiya na to naam badal lunga" hanif ne gusse main kaha to ajit ko hasi aa gayi

"jab mujhe goli lagi thi tab tu mera kuch nahi kar paya to main fit hote huye to...." ajit ne kaha

"waise tum bhi kacche khiladi nahi ho" hanif ne kaha

"hanif hum na ek shant samjhota kar lete hai, kuch samay ke liye sahi, faltu main ekdusre se ladne main kisi ka fayda nahi hai"

"badhiya matlab tumme thodi akal hai, ajit agar tum itni jor se nahi bhagte na to ye sab kabhi khatam nahi hota" hanif ne kaha

"hanif kuch chizo ke mamle main main tumse kabhi compitition nahi karunga aur running unme se ek hai!!" ajit ne puredil se kaha

ajit ne hanif ki or dekha, khoon se uske hath laal ho gaye the, ajit ko bhi hanif ke do char fatke jabardast lage the aur itni der se chipa hua dard ab malum padne laga sar dukh raha tha aur pair bhi

" par mujhe tumse kuch baat karni hai" ajit ne hanif se kaha

"theek hai uske liye main kabhi bhi tayar hu" hanif

hanif ne ekbar lamba ko fir gardi ko dekha aur jane laga aur ajit rati ki or muda...........
--------------------------------------------------------------------------
raat ke paune aath baj rahe the, sharir par jagah jagah bandage bandh kar ajit beauty contest ke baki dus judges ke sath judge ban kar baitha tha aur uske bagal main rati baithi thi

"matlab nera aur jaal ki shadi gairkanuni thi?" rati ne pucha

"ye adha sach hai, jaal kabhi nera ka pati nahi tha, usne madhuri se bhi kanuni taur par shadi nahi ki thi unka marriage certificate bhave ko nahi mil paya tha, wo modelling karta tha, usne madhuri ko pataya aur usse mandir main shadi ki, us shadi main na koi bharman hajar tha na parsi purohit par madhuuri uske piche itni diwani thi ke usne apni shadi registrar ko marriages ke paas registar nahi karayi hai ispar bhi usne dhayan nahi diya, sirf madhuri nahi bakli jaal ne kai ladkiyo ko apne pyaar ke natak karke dhoka diya tha, apni shadi bhi kanuni nahi hai ye madhuri ko akhir tak pata nahi tha wo khud ko jaal ki legal wife samajh rahi thi" ajit ne kaha

Jaal us bhayanak stithi main 1 ghante tak jinda raha tha aur aakhri pandhra minute main wo acha khasa hosh main tha, police aur dostors ki maujoodgi main dahanu ke cottage hospital main uska statement record kiya gaya tha akhir ajit ne bolna suru kiya

"kal jab madhuri irani se mili to wo jaal se divorce le legi aisa usne irani se kaha aur uske badle main 25 lakh ki mang ki, hotel ke inaugration main kuch gadbad na ho isiliye icha na hote huye bhi irani ne madhuri ko 2lakh rupaye diye aur baki baad main dene ki baat ki, paisa irani ke liye important nahi tha apni shadi ho chuki hai ye chupa kar jo usne irani se gaddari ki thi use wo maaf nahi kar sakte the, ushone turant jaal ko bulaya aur nera ko baccha hote hi jaal ko use talak dena hoga ye baat saaf saaf keh di jise jaal bardasht nahi kar paya" ajit bol raha tha, "jaal ne irani ko goli maar di aur jaldi se hotel main aa gaya aur yaha ke public phone se usne police ko irani ke khoon ki khabar ki aur usi waqt usne madhuri ko apni car main baithte dekha, jab tak madhuri jinta thitab tak jaal aur nera ke rishte ko kanuni manyata nahi mil sakti thi sath hi agar irani ke khoon ki khabar bahar aa jati to madhuri samajh jati ke iske piche kiska hath hai jisse do bate hoti, ya to madhuri sidha police ke paas jati ya jaal ko blackmail karti isiliye use maran uske liye jaruri tha aur wo uske piche nikal gaya"

"lamba ke ghar ke paas jaal ne madhuri ko khatam kar diya aur chori ke hetu se ye khoon hua hai aisa bhas nirnam karne ke liye usne madhuri ki purse gayab kar di jisme 2 lakh rupaye the ye wo janta tha kyuki irani ne khud use paiso ke bare main bataya tha aur irani apnesafe main hamesha kam se kam 5 lakh rakhte hai aisa jaal ne khud bhave ko bataya tha par waha police ko sirf 3 lakh mile to irani ka khoon bhi chori ke liye hua hai aisa bhram nirman karne ke liye usne police ko ye khabar di thi, ye uski galti thi par un halato main wo baat fit baithti thi, uske baad usne mujhe antahpur main nera ke sath dekha, usne mujhpar goliya chalayi hone ki wajah se usme apradhi ki bhavna thi, mere samne aane ki uski icha nahi thi fir bhi wo aaya, main use pehchan pata hu ya nahi ye use janna tha uske baad jab maine tumhe sawal puche uska har ek shabd jaal ne dhayan se suna, shayad tum mujhe madhuri ke pati ka naam bata dogi is darr se uske mujhe us rat royal palae ke jungle main marne ki koshish ki aur uske baad us raat aur aaj subah kya kya hua ye to tum janti hi ho...." ajit ne kaha

tabhi Hotel Royal Palace ke khas stage ka parda utha...

aur beauty contest suru ho gaya..............

The End................
 
Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,692
47,475
304
Main mere un sabhi dosto ka shukriya ada karna chahta hu jinhone is kanahi se safar main mera sath diya jisse main is kahani ko khatam kar paya,

Iron Man lone_hunterr Chutiyadr Rahul Mr.Marlega Vikram Bhosle Chinturocky aur mere tamaam silent reader dosto ka dil se shukriya, aur bas jate huye itna hi ki....

AJIT DESHMUKH WILL BE BACK.......
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,529
94,694

:reading:
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,529
94,694
304

Chutiyadr

Well-Known Member
16,889
41,092
259

bahut badiya story :applause:
 
Chutiyadr

Well-Known Member
16,889
41,092
259
Main mere un sabhi dosto ka shukriya ada karna chahta hu jinhone is kanahi se safar main mera sath diya jisse main is kahani ko khatam kar paya,

Iron Man lone_hunterr Chutiyadr Rahul Mr.Marlega Vikram Bhosle Chinturocky aur mere tamaam silent reader dosto ka dil se shukriya, aur bas jate huye itna hi ki....

AJIT DESHMUKH WILL BE BACK.......
aapka bhi dhanywad aadi bhai itani achchi story likhane ke liye :thank_you:
bas do anurodh hai aapse
1st agali story kripiya devnagri me likhe , jaisa ki maine aapko contest wali story me bhi bola tha , aapki bhasha bahut hi shudhdh hai aur achchi aur shudhdh bhasha ko devnagri me padhne me jitana maja aata hai utna hi roman me padhne me kast deh ho jata hai ..
aur dusara ye ki jab bhi nayi story shuru kare kripiya mujhe jarur msg kar de :approve:
kya hai na itani story yanha par chalte rahati hai ki pata hi nahi chalta ....
 
Top