Update 20
"humse jis police officer ne puchtach ki thi usne is bare main matlab nera ke pita ki death ke bare main kisi ko batane se mana kiya, lamba ke hath main kuch hukum ke ekke hai aur shayad wo unhi ka istamaal kar rahe hai" jaal ne apni ghadio par najar daudate huye kaha "party suru ho chuki hai aur mujhe kitchen main ek chakker laga hai aur shayad aapko bh pet puja karni hogi"
"ha" ajit
"theek hai to main aapse thodi der main milta hu" itna bol kar jaal waha se chala gaya aur ajit bhi swimming pool ke paas bane garden restaurent main aa gaya jaha bufet ki vyastha thi, bufet main alag alag prakar ke desi aur continental, veg non-veg sabhi prakar ki dishes available thi ajit bhi waha pet puja karne laga aur petpuja karte huye hi use wo mil gayi jise wo dhund raha tha, carol d'souza use waha mil gayi, darasal carol ko uski ek saheli ne awaj diya tha jisse ajit ka dhayan us or chala gaya
apini saheli se baat karne ke baad carol firse bufet table ke paas aa gayi aur ajit uski or sarak gaya, usne sab taraf najar ghumayi, waha sabhi apna apna group bana kar bate karne main magna the, waha sabhyata aur parampara ki chadar odhe middle class log nahi the isiliye sab taraf free mahol tha, jo ek dusre ko jante the wo apni bato main lage uye the aur wo nahi jante the wo pehchan badha rahe the, ajit ki or kisika dhayan nahi tha
"excuse me, aap hi carol d'souza hai na??" ajit ne sawaal kiya to carol ne uski or chauk kar dekha
"ha, par maaf kijiyega maine aapko pehchana nahi"carol ne kaha
"Myself Ajit Deshmukh" ajit ne handshake ke liye hath aage badhate huye kaha "kya apke paas paanch minute ka samay hai"
"waise samay to nahi hai par aapko mian paanchminute de sakti hu" carol ne kaha
"thanks mujhe aapse kuch information chahiye thi......ar.......hum thoda dor jakar baat kare to nahi chalega kya"ajit
palbhar carol ne ajit ko dekha fir kaha "theek hai par paanch minute se jyada nahi"
"main bhi aapka jyada samay nahi lunga" ajit ne kaha aur fir dono apni apni plates main khana bhar kar garden ki sunsaan jagah par pahuch gaye
"puchiye kya puchna tha aapko?" chicken sandwich ka tukda todte huye carol ne kaha
"mujhe madhuri sen ke bare main kuch baat karni thi" ajit ne kaha aur uski baat sun kar carol ke chehre be haav bhav jaldi jaldi badalne lage
"har koi mujhse madhuri ke bare main hi baat kyu kar raha hai yahi mujhe samajh main nahi aa raha haikuch samay pehle jo mujhse baat kar raha tha wo bhi mujhse madhuri ke bare main hi puch raha tha aur ab aap.." carol ne kaha
"usne aapse kya pucha?"
"yahi ki madhuri kaha hai wagaire wagaire lekin main uski room partner bhale hi hu par mujhe sach main nahi pata ki wo kaha hai aur yahi maine use bhi bataya " carol ne kaha
"kaun tha wo..."ajit ne pucha lekin fir use shama ke chehre par cigarette ka dhua chhodne wale jadiye ki yaad aa gayi usne use carol ke sath baat karte dekha tha lekin uske hath main cigarette na hone ki wajah se wo use jaldi pehchan nahi paya tha, confirm karne ke liye ajit ne sab taraf najar ghumayi lekin wo use kahi nahi dikha, shayad wo gardi main mix ho gaya tha,
ek pal ko ajit ko laga ki uske piche jaya jaye lekin carol se kuch jyada impportant bate pata chal sakti thi isiliye usne wo moh tyag diya ek to pehle hi bahut prayaso ke baad use carol mili thi aur baad main wo samay par milkegi ya nahi is bat ki koi guranty nahi thi aur usi ek cheez ki ajit ke paas kami thi, samay ki kami, chunki madhuri ka khoon ajit ki aankhon ke samne hua tha isiliye usne carol ne madhuri kaha hai aisa bachkana sawaal nahi kiya aur wo apne khayalo main hi tha ke carol ne uske kiye sawaal ka jawaab diya
"usne mujhe apna naam wagaira nahi bataya bas madhuri ke bare main pucha aur jab maine use kaha ki main nahi janti to wo waha se chala gaya" carol ne kaha
"tumne isse pehle kabhi us aadmi ko dekha tha"
"nahi"
"madhuri tumhari room partner thi aisa tumne kaha barobar?"
"ha, hum jyadatar log yaha budhwaar ko hi aaye us raat madhuri mere hi room main sone wali thi lekin main main use pure din main bas ek baar dekha, raat main bhi wo room par nahi aayi aur mujhe akele hi sona pada" carol ne kaha
"o ho ho...khair tum mujhe bata sakti ho kal tumne use kab aur kaha dekha tha?" ajit ne pucha
"kal jab main rati ke suite ke paas se ja rahi thi tab rati ne kisi ke liye darwaja khola aur maine bas jhank kar ander dekha to waha mujhe madhuri dikhai di" carol
"Rati?? kahi tum rati ganguly ke bare main to baat nmahi kar rahi?"
"obviously aur kiske bare main baat karungi lekin rati ke sath suite main hokar bhi madhuri khush nahi dikh rahi thi"
"to tumne apni aankhon se madhuri ko kal rati ke suite main dekha barobar??" ajit ne dobara confirm karne ke liye apne hi shabdo par jor dete huye pucha
"ha, par tumhe usme itni dilchaspi kyu hai?"
"tumne use exact kab dekha tha bata sakti ho?" carol ke sawaal ko najarandaj karte huye ajit ne pucha
"dinner karneke baad rati ne darwaja khola tha aur room service ka waiter ek tray lekar ander ja raha tha" carol ne jawab diya
"rati, usne room main khana mangwati hai kya?"
"nahi maine use royal palace ke mandarin room main khana khate dekha tha kyuki main bhi wahi thi" carol ne kaha
"us tray main koi khane ka saman tha kya?"
"pata nahi kyuki wo dhaaka hua tha lekin shayad rati ne madhuri ke liye room main lunch mangwaya ho" carol ne kaha
"theek hai miss carol aapne jo mujhe paanch minute diye uske liye apka shukriyaa" aur ajit waha se nikal gaya aur carol use dekhti reh gayi
Rati ganguly ko dhundna ab ajit ke liye jaruri ho gaya waise ye kaam jyada mushkil nahi tha kyuki contest main participate karne wali ladkiyo ke group main wo khadi thi aur shayad industry main kuch karne ke liye rati koi break degi isiliye sari ladkiya uske aaju baju mandra rahi thi
"hi" ajit ko dekhte hi rati ne hath hila kar uska swagat kiya " do ghanto main ye hamari dusri mulakat hai"
"ha aur kya main aapka paanch minute ka samay le sakta hu" ajit ne kaha
"ha jaroor " aur rati bhi us ladkiyo ke group se bahar aa gayi shayad wo bhi un sab se pareshan ho chuki thi to uske ajit ke paas aakar pucha "boliye kya kaam tha?"
"yaha nahi kya hum jara door chalkar bat kar sakte hai" fir ajit aur rati jaha koi unki baate na sun sakte aisi jagah aaye aur ajit rati ki or muda..........