• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Abb...Takk..
Mai Turant andar gaya Meera ke Paas....
Jub Meera ke Kareeb Pahuncha to Darr ke Mare Meri Cheekh nikal gayi.....


Update...No..27

Abb..Aage....



Kaala Shareer,
Sar pe Do chhoti chhoti Shingh Rakshas jaise,

Hari hari Aankhein aur Putliyan Bilkul kaali Jaise Amavasya ki Khauf Nak Kaali Raat...

Kisi Vahsi ki tarah nukile Daant bilkul tedhe-medhe,
Aisa KhoonKhar aur kuroop Bacha Aaj tak maine apne Jeevan mein Kabhi nahi dekha tha...

Jo iss samay Meera ke Bagal mein Gudiya ka Hath Pakde huye leta tha,

Meera behosh thi Sayad
Lekin wo Bacha upar ki taraf dekhkar Darawani Muskan
muska raha tha...

Mere Pair to wanhi
barf ki tarah Jam gaye the...
Uss bache ke iss Raudra Roop ko dekhkar mai Tharr-tharr kamp raha tha...
Meri to mano bolti hi band ho gayi thi
Mai Darr se chillana Chahta tha kintu mere Muh se ek bhi Shabd nahi foot raha tha....

Achanak mere kandhe par kisi ka Hath mahsoos hua,
Main Darr ke Turant palta....

AadiGuru - Putr Daro mat,
Yah tumhari hi Santan hai...
Yeh Koi abhishap Nahi Apitu Ishwar ka Vardaan hai...

Mai - lekin yeh......

AadiGuru - Mai Samajh sakta hu tumhari Manodasha ko,
Tumhare Mann bahut se sawal utpann ho rahe iss samay...

Kintu abhi Yeh sahi samay Nahi in baton ka....

Fir GuruMaharaj Aage badhe aur bache ke Mathe ko Chooma aur
Apni Potli se Ek Lal Dhaga nikal kar uss bache Dahine Hath par Bandh diya...

Fir se Ekbaar Mujhe bahut jorr ka jhatka laga kintu iss baar wo Jhatka Kaafi Anandamayi tha...
Mai to uss Pal mein Jaise kho gaya Mujhe khud ka kuchh bhi hosh na raha ..

Hayaan


Uss bache ka Rang-Roop pura badal chuka tha....

Uske Saundarya bakhan ke liye mere paas to Shabad kam pad gaye.....

Bahut hi Sundar Hari - Hari aankhe aise chamak rahi thi Jaise Aasman mein Tare Chamak rahe ho..

Doodh se bhi jyada safed uska Roop Mano ki Swarg se utra koi Rajakumar ho,

Anaya


Hu-Bahu Gudiya ka photocopy lag raha tha,
Anyash hi mere muh se foot pada...

""तुझे पलकों पर बिठाने को दिल करता है,
तुझे अपनी बाहों से लिपटाने का दिल करता है,
खूबसूरती की मिशाल है तू...
तुझपे अपनी तमाम ज़िन्दगी
लूटाने को दिल करता है..""


Meri tantra tab tuti jub Guruji ne mujhe hilaya....


Mai - Hey Guruvar ye kaisa Karishma hai Iss Kudrat ka....
Ek pal dekhne mein Kisi Bhayanak Danav ki tarah tha....Dusre hi Pal Kisi swarg Devta jaisa ho gaya....

AadiGuru - Sahi kaha Putr tumne....
Yeh swarg se hi aaya hua hai...Kintu Yah koi Devta nahi Ek inshan ka Putr hai Jismein Apaar shaktiyan aur Tezz Vidyaman hai....

""Mai tumhein Dono Roop ke Darshan karwana Chahta tha,
Taki Bhavishya mein kisi Satya se Anajan na raho""

Ab iss bache ki Shaktiyan Bandh chuki hai,
Ab Yeh ek Sadharan Manushya ke bache ke samaan hai Kintu abhi bhi Sabse Uttam aur Budhiman hoga""

Ratri Jyada ho gayi hai...
Putr ab Sanyam rakho aur Apne Parivar ke paas Jakar Samay bitao...

Kal MahashivaRatri hai,.
Subah Yag aur Pooja hogi Jisme Naam karan hoga uske baad Sabhi prashno uttar Mai Swayam dunga...

Ab tak Meera ko bhi Hosh aa chuka tha...
Uski khushi ka koi thikana na tha...

Apne saare dukh dard bhool chuki thi Aaj aisi khushi mili use..

Ho bhi kyun na Hamne to bas ek Santan ki Kaamna ki thi Kintu Ishwar ne Hume do-do santan ka sukh pradan kiya...

Upar wala Jub bhi deta...deta chhappar Faadke..

Meera Kabhi Gudiya ko Choomti to Kabhi Uss bache ko...dono ko apne seene se Lagaye Aansu baha Rahi thi...

Mai Meera ke Sar ke Paas Baith Jata hu aur uske mathe par apne hathon ka sparsh dene lagta hu...

GuruMaharaj ke Bahar Jate hi,
Rishi Kanyaon Aur Rishi Muniyon ka kutiya mein pravesh hota hai...Sabhi bari bari aakar Bache ke darshan karke hai
Aur Hath ko choomkar bahar Chale jate hai...

Aisa kafi der chalta raha Ant mein Maaji aur Sadanan ji Aate hai...

Maaji Bache ko Pyaar se sahlati hai aur uske Mathe ko Choom Kar,
Sach mein Aaj main Bahut khush hu tum dono ke liye..aaj main do bachon ki Nani ban gayi hu...


Gudiya ko apne Godi mein Uthane ki kosis karti hai...kintu uss bache ne Gudiya ke Hath ko bahut mazbuti se pakda tha...

Sadanan ji - Maaji Rahne de abhi...
unhe sath mein hi letne de...

Sadanan ji kareeb aate hai Aur Bache ke Hatho ko chhukar Ashirvad lete hai....

Sadanan ji - Bahut Bhagyashali ho tum dono Jo in Bacho ke Mata-Pita banne ka saubhagya mila....

Inka Khayal Rakhna...itna kahte huye bahar chale gaye....

Maine uthkar Meera ko Gangajal diya aur Sath me prashad bhi
Grahan karne ko diya Jo Guruji de gaye the....

Dono bacho ko beech mein karke Hum dono kinare letkar aaram karne lage....
Maji wahin paas mein padi chauki mein letkar so gayi.....

subah 7 bje Mobile ke Ring se Nind khuli dekha to Rashmi di ka Call aaya tha,

Mai - Hello di, Gm kaisi ho..??
Rashmi di - Sab achha hai,
Ye bata hame aana kaha hai,
Hum log Maana ganv pahuchne wale hai...

Mai - Vyas Gufa chale aayiye Mai Yahi milunga....

Meera bhi Jag chuki thi kintu Dono bache abhi so rahe the....

Kitni Masumiyat thi dono ke chehre mein sote huye dono muskura rahe the...

Na chahkar bhi Har baar Unke roop mein kho hi jata tha main....

Meera ne Hilakar mujhe kaha ki, Jao fresh ho jaiyye, mujhe bhi Jans hai.....

Maaji bachon ke Paas baith gayi,

aur unhrin puchkarte huye.khelane lagin..

Mai Meera ko Shahara dene laga Bahar le jane ke liye....
Kintu Meera ne Mana kar diya...ki wo bilkul thik hai...
Aaram se Chal pa rahi thi...ekdam Normal dikh rahi thi...

Ab to Jaise aadat pad gayi thi Aise chamatkaron ki Jubse Gudiya ne Hamari Zindagi me kadam rakha....

Hum dono fresh hokar wapas kutiya mein aa gaye...Pooja shuru hone ko kuchh hi samay bacha tha...

Hum sab ready ho gaye...

Itni hi der mein ek shishy ke Sath Rashmi di,
Vijay jiju aur unke Bache Akhil aur Mahi aate dikhe...

Tab Meera dono Bacho ko StanPaan kara rahi thi...
Rashmi didi to Ye sab dekhkar Chaunk gayi...kyuki wahi aage aayi thi aur aakar Meera ke pas gayi thi...

Unke Man mein Bahut se sawal uthne lage mujhse puchhne bhi lagi,
maine kuchh bate bata di....
Baaki baad mei batane ko kahkar
Pooja shthal mein Chalne ko Kaha....

Aaj Vyash Gufa me bahut Bhid dikh rahi thi..
Sadhu, Rishi, Aghori, Insaan Sabhi Padhare the,
Ek bade se Pandal ke niche Pooja sthal bana hua tha...

Hum sabhi Sadanan ji ke Paas pahunche aur unka Ashirvad liya....
Abhi GuruMaharaj kahi najar nahi aa rahe the...

Kuchh der baad Pooja sthal ki oor Rishiyon ki toli aati najar aayi Jisme sabse Aage AadiGuru Maharaj the....

Kul 7 Hawan kund banaye gaye the,
1 beech mein jo Sabse bada tha..aur Baaki 6 uske charon oor...

Sabhi Kund ko 7 - 7 rishi-muni gher Kar baith gaye,

Tabhi Sadanan Ji hamare Paas aaye Mujhe, Meera aur Mere bacho ko aone sath lekar AadiGuru Maharaj ke Dahini taraf Baitha diya....Aur khud Guruvar ke Bayen taraf baith gaye....

Rashmi di Parivar aur Maaji ko dusre Agni Kund ke Paas baithaya gaya...

Fir Sabhi Pooja shthal ke sameep aakar baith gaye Aur GuruMaharaj aur Unke sath Aaye Rishi-Muniyon ne Milkar Pooja ka shubharambh kiya.....

Mantro ka Jaap, Agni Kund mein Ahuti prarambh ho gayi....
Bada hi Manmohak Drishya tha...

Mantro ke shur jahan kaan ko Bha rahe the Wahi kund ki agni Vatavaran mein ek nayi Jaan bhar rahi rahi thi....

AadiGuru baar baar koi mantra padhte aur Dono bacho ke sar par dam kar dete
Wahi dono bache Muskura rahe the...
Jaise wo bhi Aanad le rahe ho is Manoram Drishya ka....


Lagabhag ek Ghante tak yah Karyakram chalta raha....
Puja Samapti ke Baad Mujhe aur Meera ko Gangajal aur Prashad grahan karne ko diya....
Sabne bhi Prashad grahan kiya...
Pooja samapti ke baad,

AadiGuru Maharaj,

Mujhe, Meera aur mere bacho ko Sadanan ji ke sath unki kutiya mein aane ko kaha....

Maine Rashmi di aur Maaji ko apni kutiya main wait karne ko kaha aur Sadanan ji ke sath chal diya......


Hum sabhi Guruji ke Charno ko Sparsh kiya aur unka ashirvad lekar unke saamne shish jhukakar baith gaye....

AadiGuru Mharaj ne bolna shuru kiya....

Dekho Putr itna to tum Jaan hi chuke ho Ki Ye sono Bache Ishwar ka vardaan hai,
Ye koi Sadharan nahi hai Inke Paas apaar shaktiya hain. .
Jinka ek Matra Uddeshya Jan-sansar Lok ka Kalyan karna hai...

Tumhari Putri mein Sakshath devi ka Vaas hai aur daiviy shaktiyan hai jo sada hi bhalayi hi karegi...

Kintu tumhare Putra bilkul vipreet shaktiyon ka dharak hai....uske Andar achhayi aur Burayi dono ki Aapar Shaktiyon ka Nivaas hai.....
Jivan ke do pahlu ho sakte hai...


Ab tum dono ke sanskar par nirbhar hai ki tum iska Jivan kaisa banate ho....

Waise to Yah bacha Hamesa shant vritti ka prateet hoga kintu Ise krodh aane Par iska dohra roop samne aayega Raudra Roop jo sabkuchh Nasht kar sakta hai..

Yadyapi Aapki Putri iss bache ke saamne aa jaye to punah Apni Vastvik pravritti mein aa jayega....

Yah hamesha apni marji ka malik hoga Apitu koi ise badhya na kare....
Nahi to iska Parinam bahut bhayankar hoga...

Apne Putr ko Andhere se bachakar rakhna Wah hamesa andhere aur bure karmon ki oor bhagega....
Kayi bure log aur buri Shaktiyan iss tak pahunchne ki kosis karengi....
Vaise bhi Kal Raat tumne Ek Jalte huye Shaitaan ko Upar ki taraf Bhagte huye dekha hoga...

Kintu tumhe Isko Sabse bacha kar rakhna hai Jub tak ki Yeh 12 Varsh ka na ho jaye....

12 varsh tak Jis Pravritti mein Yah palega usi ka ho jayega...

Issliye Ab tum dono ko Sonpur mein 12 varsh tak rahna hoga sabse bachakar rakhna hoga inhein....

Kabeer - thik hai Gurudev jaisi aapki Aagya...
Kintu hame hi kyu chuna gaya...??
Aap to sab jante the fir chhupaya kyun.??

AasiGuru - Ishwar ki Mahima Ishwar hi jaane,
Mai to bas unka bhakt hu unke nirdeshon ka palan kar raha hu,..

Kabeer - Kintu Guruji,
Jub ye dono bache judva the,
to fir ye chamatkar kaisa..??

AadiGuru - Ye samajh lo Tumhare putr ke liye wo Samay uchit nahi tha, issliye use garbh mein hi Rakha gaya...
Aur MahashivaRatri ke Pawan Ratri mein Janm hua....

Har baat ka ek Sahi samay hota hai,
Aaj uchit samay aaya to gyat ho gaya....
Jitna Avashyak tha maine bata diya,

baaki Samay aane par fir dhire-dhire svatah pata chal jayega....

Ab Sabhi chalein Namakaran ka Samay ho gaya...
Main aur bhi Sawaal Poochhna Chahta tha kintu Guruji ke Mana karne ke karan himmat na huyi....


Ek baar fir Hum sabhi Ek jagah ikattha huye....

AadiGuru Maharaj,
Dono bacho ke Aankhein aur Mashtak ko bade dhyan se dekhne lage...
Fir dhyan mein baith gaye.....

Kuchh der baad aankhein kholi....

Hayaan aur Anaya.....
hoga in dono ka Naam...

Anaya - God has shown favour, "care" “protection” "diligence”

Hayaan - Another name for Lord Shiva; One who is full of life...


Hum Sabne AadiGuru Maharaj ka Ashirvad liya..aur Dhanyawad ada kiya unke upkaar ka....

Kabeer - Ab kya aadesh hai Hamare liye Guruvar...??

AadiGuru - Sadanan !!
Inke sath inke ghar jao aur,
Inke ghar ko Surakshit kar do....
Suraksha Mantra aur Ghar ka sudhi karan kar dena.. aur ghar ke andar aur Bahar Pooja sthal ki Jagah sunishchit kar do...""

Hum Sabne Guru Maharaj ko Pranam kar Hum sabhi apne Ghar Sonpur ke liye nikal gaye......

..
..
..
..
Aaj ke liye Bas itna hi...
..
..
Kaisa laga aur Khamiyan dono batayein..??
 
Last edited:

Last benchers

Well-Known Member
3,071
6,809
158
Bhai review kl deta hu ...Bhai kiw ki Mai ache v read v nhi kiy Bhai..thora sar dard KR RHA hai... Jitna v pic SE malum cla hai.haivaan SE insan bna hai..padh KR acha SA review dunga
 
Last edited:

janu2016

Well-Known Member
2,827
4,341
159
Update aa gaya
:reading:

Lekin aaj ki date mein :D

Koi nahi aaj ek aur aa jayega :yay:
Abhinto isko padhta hun :esc:
 
  • Like
Reactions: Hayaan

Last benchers

Well-Known Member
3,071
6,809
158
Awesome fantastic Mind-blowing update Hayaan Bhai..

Sach kahu to Ek pal ke liye Sala mujhe v dar lg gya..apne hero ke pic dekhkar...

But uske bad Jo hua..wo kiy bolu kabeer ki tarh kuch haal Mera v ho gya..kiw ki apke writing skills Mai wo power aagai hai ki reders ko padh KR aisa lgta hai ki SB kuch uske aankho ke samne ghatit ho RHA hai.. gjbb Bhai.

Hayaan ki sis ka name Sacha Mai bahut sweet SA hai..
Kabeer ko hero ka dono rup ka darshan krana jruri tha...
Hmm ek BT or clear ho gai ..adiguru kiw kabeer ko SONPUR mai rhne ke bola tha..bahut SE dout clear ho gye..ab kahni next level PR clne Bali hai ..
""तुझे पलकों पर बिठाने को दिल करता है,
तुझे अपनी बाहों से लिपटाने का दिल करता है,
खूबसूरती की मिशाल है तू...
तुझपे अपनी तमाम ज़िन्दगी
लूटाने को दिल करता है.."".
Kiy bolu aap to sayr v bn gye hai..Kahn SE sayri late hai PTA nhi but situation ki hisab SE padh KR or mjaa aajata hai...
 
Top