• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hayaan - Ek Insaan Ya Shaitaan

Hayaan-Insaan Ya shaitan Story kaisi hai..?


  • Total voters
    177

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Dost bilkul simple si philosphi hai ek writer ki,
Wo har kisi ko khush nahi kar sakta.....
Bas jo apki soch h use chhapte jaiye...


Yeh wala update gajab tha, lekin agar ab tak realistic rakh rahe ho to ek baat soch kar dekho, ek van mein almost 39 bande kaise jayenge :D
Ek mini bus to honibhe chahiye :hinthint:

Baki gajab ka likh rahein h aap...
:superb:
:10:
:claps:

Thanks Janu Bhai !!

Aapke Jabardast Review ke liye...
Bhai Bus hi Hai Pics bhi to dali thi...
likha Van tha.....Kamiya Batane kw liye Thanks....
Sahi Mayne mein review dete ho Aap...
 

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Abb..Takk...
Geryon ke Shant hote hi Mano Sab kuchh tham gaya...Har taraf Sannata...
Ye ek Shanti thi ya Firr koi bhayavah toofaan aane ka sanket......

Update No. 17

Abb..Aage...

Doston Ishwar ki Mahima Kabeer aur Meera ke Kathin parishram aur lagan se bahut khush hai....
Aur Un dono ka Bussiness bhi Khoob Chalne Laga...
""To Ab aisa karte hai inko thoda tarakki karne do Naam kamane do.......Tab tak Dekh lein Geryon Shanti purvak Kya karne ki kosish kar raha hai...??""

Shaitaan Lok

Geryon ab Shant ho gaya....aur dhyan mein baith gaya Elizabeth ko dhundhne laga.....

Geryon Dhyan mein baithe-baithe Apni Search light Rays Power ko Bhramhand ke har ek kone tak bhej diya,
Elizabeth ko khojne ke liye,

Sath Mein apne Pita Eblis ko bhi ek baar dhoondhne ki kosis ,
Aajmane ke liye Apne pita ki kahi gayi baton ko,

Kintu Geryon ko Na to Elizabeth ki Koi khabar mili Na hi Eblis ka koi ata-pata mila,

Search light punah wapas aakar Geryon mein sama gayin, aur dhyan toot gaya
Geryonn Bahut maayus hua,

Kheejte huye, Man ko shant karne ki kosis karne laga,

Geryon khud hi Baat karne laga...

Waise itni bhi baadi baat bhi na huyi Ki Pita ji Achanak khud ka Astitva hi chhipa lein,
Unke liye ye sab to chutkiyon ka khel hai,

"" Wo to Shatranj ke khel ke Badshah hai,
Jaroor koi chaal chalke Khamosh baith gaye hai,
Agli Chaal ke intezaar mein,""
Ab to Samay aane par hi pata chal payega,??

"Pahle mai Khud ka Asyitva to bacha lun,"
"" iske Pichhe Jaroor koi Rahasya hai,. Jo Pita ji mujhe Nahi batana chahte.""

Geryon ne ek baar fir prayas kiya,
fir se khud ke Mastisk ko free karke Dhyan mudra mein leen ho gaya,



Is baar Geryon ke Body ke Charo oor Kale saye ka Gherav hone hone laga,

Dhire - dhire wo Kaala Andher poore Shaitan lok,
Fir Pure Bramhand mein fail gaya,
Kuchh Pal ke liye Puri Duniya mein andhera ho gaya,


Pisach Lok aur Dharti lok mein bhi Din ke waqt andhera tha,
Sab achanak Rahasyamayi Vichitr andhkar se Ghabra gaye,
Aur hara taraf Afra-Tafri ka mahaul sa ban gaya,

""Lekin Iska prabhav Pari lok aur Jinn lok mein Nahi dekhne ko mila,""

Darasal hua ye tha ki, Dhyan baithe huye Geryon ne Apni Sampoorn Urja ko Apne body se nikal diya aur Elizabeth ko Khojne laga,

Geryon ko Elizabeth to nahi mili Kintu Is bramhand mein aur Prathvi Lok mein Chhupi Aseemit Shaktiyon Ka jaise bhandar dikha,
Jisse Geryon aaj tak anjaan Raha,

Andhera Chhat chuka tha,
Geryon ki aankhe khul chuki thi,

Pahle Bhukamp jhatke Fir Achanak Din ki Roshni ka Raat mein badal jaana,
Kisi ko bhi kuchh samajh nahi aa raha tha,
Sabne Rahat ki Saans li aur iss akasmayik Ghatna ke bare me Charcha karne lage,

Geryon ko bhi ab Gyat ho Chuka tha ki uske Pita Eblis Jate - Jate kya bata gaye hai,
apni urja ko azaad karne ke madhyam se,

Uske Pita ki Kahi huyi baat sach ho rahi thi,
Ki wo ab Elizabeth ko nahi khoj payega,

""Koi tha Jo iss waqt muskura raha tha,
Geryon in harkaton ko dekhkar""

Ab Geryon ko kaun bataye Ki,, ""Elizabeth Duniya mein kahi ho to dikhe...""

Iska arth hai ki Ab Geryon ko,
Anant Gahrayi ki Kaid mein Jana tay hai,
Geryon fir bad badbaya..
""Pita ne kaha hai ..Mai Wapas aaunga...Ek din mai Fir se Azaad ho jaunga...??""
to sach hi kaha hoga,
unka kahan gaya kathan kabhi bhi asaty nahi hota,
akhirkar wo door drashti jo thahre,

""Ab mujhe apne pita ke dikhaye gaye marg mein chalna chahiye,
Aur sabse Pahle Bramhand mein chhupi Sabhi Shakti ke Anant Shrot ko mai hasil karunga""
Jisse mai aur takatwar ho jaunga..

Aur Jaane se Pahle Uss Pari Lok ka to Astitva hi mita dunga....Ab hoga Sarvanash..!!

Hahaha....Qaid se wapas aane par mai SarvShaqtiman Ban jaunga"", Geryon muskuraya

itna Sab bolkar Geryon Jorr se shaitani hansi hansne laga...

Geryon Jorr se chillaya, "Tammullluuuu..??"

Tamulu - Ji Malik !!

""Sabhi Pramukh aur sena ko,
Jitni jaldi ho sake Shaitan Lok mein ikattha karo "", Geryon ne Adesh diya !!

Kuchh der Baad....

Geryon apni Ma Bella ke sath Singhasan mein baitha hua tha,

Aaj pure Shaitan lok mein Had-kamp macha hua tha,
Pura Shaitan Lok Ek se badhkar ek khatarnak aur khoonkhar Shaitan se bhara hua tha,
Saamne jaha tak bhi nigaah jati bas Danav, Rakshas, Asur, Pishach, Chudail, Na jane kaisi kaisi ghinouni shakl ki Sena hi Nazar aa rahe the,

Sab iss tarah achanak bulane se Chintit the, aur Charcha kar rahe the,



Sab apni Sena ke sath Line se khade the Sabse Aage unki Sena ka Head the,

"Sab aa gaye", "Geryon ne Jorr se dahaad kar kaha"

Ek dam Sannata Chha gaya,

""Mahamahim !! Kasdeya Malik nahi aaye abhi"",. 'Tamulu ne Sar Jhuka kar kaha,'

Achanak Sabha mein Jorrdar Tufaan aur bijli ke Shor ke sath koi Prakat hua,..??



Aaj Ke liye Bas itna hi...
Keep reading and Supporting..!!

""Comments, Likes, Aur Reviews Ka Rakhna Dhyan.....Aapka dost Hayaan..!!""
 
Last edited:

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Behad umda shuruwat hai kahani ki..
Sabhi shaktiyo ka bahut shandar description diya hai aapne..
Eblis ke nakaratmak banne ka sahi vivaran diya hai..
Ab aage padh ke dekhta hu..
Dost bilkul simple si philosphi hai ek writer ki,
Wo har kisi ko khush nahi kar sakta.....
Bas jo apki soch h use chhapte jaiye...


Yeh wala update gajab tha, lekin agar ab tak realistic rakh rahe ho to ek baat soch kar dekho, ek van mein almost 39 bande kaise jayenge :D
Ek mini bus to honibhe chahiye :hinthint:

Baki gajab ka likh rahein h aap...
:superb:
:10:
:claps:
Nice update
Bhai apka story apki choice... Apna Hisb se likho bki jaye bhar me
Kahani kaafi interesting mod le rahi hai
Brilliant update with awesome writing skill...... :rose:
बहुत ही खूबसूरत अपडेट भाई

Today Update is Posted...
Give Your Review and Suggestion..
https://xforum.live/threads/hayaan-ek-insaan-ya-shaitaan.9240/
 
  • Like
Reactions: AdityaA

Hayaan

●Naam to Suna Hi Hoga●
6,286
13,904
144
Very nice bro kip it up bohat achy yar
Nice update ........
Keep it up bro .........
Bahu

Bahut hi khubsurat update hai Bhai ...simple and perfect ...
Koi v insan Bina mehnat ke aage nhi badhta hai ...ye to acha hua kabeer or Mira city life Mai kho nhi gye...balki apni perfection ko profession bna Diya....
I hope aage story Mai kuch twist aaye kiw ki story Mai Avi tk hero ko koi jikr nhi hai ..JB story start Hui thi to mujhe lga hero kabeer hoga but ab aisa nhi lgta ..any way aage dekhte hai kiy hoga
Superb Update Bro...
Waiting For Next
badiya update bhai

Today Update is Posted...
Give Your Review and Suggestion..
https://xforum.live/threads/hayaan-ek-insaan-ya-shaitaan.9240/
 
  • Like
Reactions: AdityaA
Top